UPDATE 7
Maithili-mein ab apni practice continue karne jaa rahi hu.
Yeh baat usne Kabir ko dekh kar kahi thi. Uski aankhe hamesha ki tarah bright aur clear thi.
Maithili ko kabhi bhi yeh pasand nahi tha ke usse training karte waqt koi bhi disturb kare. Uske face par Kabir ko dekh ka raise hi expressions the ke tum abhi mujhe disturb ka rahe ho. Kyo ki vo class mein bhi jyada kisi ke saath baate nahi karti thi specially boys se toh abhi uske bato mein friendliness bohot hi kam tha.
Kabir-Thik hai phir mein nikalta hu.
Kabir ne ek baar usse dekha, jisse Maithili bhi ne feel kiya aur apne mein sochne lagi.
Maithili-Kya jis tarah Kabir mujhe dekh raha hai vo thoda rue nahi hai ?
Usse is baat se thoda gussa aa gaya. Holy Osian institute mein aur bhi bohot se boys the jo uske piche pade hue the par Maithili unhe ignored kar deti thi. Vo sirf apne training par focus karna chahti thi. Isliye usse laga ke Kabir bhi ab un baki boys ke tarah behave kar raha hai.
Maithili-tum abhi bhi kyo nahi gaye ?
Maithili ne yeh baat thode gusse se kahi. Kabir usse kafi waqt se disturb kar raha tha.
Kabir ki nazar Maithili ke pairo par padi. Usne koi bhi shoe nahi pehna the aur vo uske slender pairo ko dekh sakta the jo moonlight mein thode red se dikh rahe the.
Kabir-jab raat hoti hai tab tumhe aisa hi feel hota hai ke tumhare pairo ko kisi ne fire se burn kar diya hai.
Kabir ki baat sunkar Maithili thodi shock si hui lekin phir jaldi hi usne apne aap ko sambhal liya aur Kabir se pucha.
Maithili-tumhe kaise pata ?
Us burning heat ki wajah se Maithili raat mein jab bhi training karti thi tab shoe nahi pehenti thi.
Kabir-of course mujhe pata hoga. Sirf yeh hi nahi mujhe isse bhi zyada pata hai. Isrf tumhare pair hi burning heat jaise feel nahi hote tumhe tumhari body bhi extremely cold ho jati hai. Every midnight tumhe isse bhi zyada pain hota hai. Even osul force ki training karna bhi hard ho jata hai kyo ?
Maithili ab puri tarah se shock ho gayi thi. Kabir ko pata tha ke usne sahi guessed kiya hai. Toh Maithili ke past life ki bilari arctic disease hai. Raat mein training karne ke wajah se kabhi kabhi cold air body mein chali jati hai jiske wajah se body mein jo nas hoti hai vo block ho jaate hai. Arctick disease ki light case kisi ko bhi seriously bimaar kar sakti hai aur extreme case kisi ki body tak ko explode kar sakti hai. Uske past life ki Maithili kafi lucky thi jo vo sirf bedridden hi hui 2 years ke liye.
Kabir- in sabhi mein tumhare body par jagah jagah kahi injuries bhi hogi. Vo injuries bhi painful hongi saath hi vo fail bhi rahi hogi. Tum abhi tak 1-star bronze rank par nahi ho lekin jab ho jaogi tab tum seriously bimaar ho jaogi jisse tumara cultivation bohot hi piche pad jaayega aur kisi extreme situation mein tumhari death bhi ho sakti hai.
Kabir ki in baato ko sunkar Maithili bohot hi shock ho gayi thi. Usne apne fists ko kafi zor se close kiya aur uski aankhe bhi red ho gayi thi. Yeh kaise ho sakta hai ? vo itani strong ho kar bhi. Vo is shock ko jhelne ki koshish kar rahi thi. Kabir ne sirf ek baar dekh kar hi bata diya tha ke usse kya bimari hui hai.
Jab se vo badi hui hai tab se uski family chahti hai k evo sacred family ke Arun se shaadi kare. Jaise jaise Maithili badi hui waise waise usse pata chala ke Arun kaisa ladka hai. Kyo ki vo us playboy se shaadi nahi karna chahti thi uske wajah se usne hard practice karna start kar diya jisse vo apni is kismat ko change Kar sake. Lekin uske kismat ko shayad yeh manzoor nahi tha. Vo jaldi hi 1-star bronze rank par pohochne wali thi ke usse aisi news mili.
Jis Maithili ko Kabir ne hamesha strong dekha tha Aaj vo uski aisi halat dekh kar uske liye bura feel kar raha tha.
Maithili-kabir jab tumhe mere bimari ke baremein pata hai toh isse thik kaise kiya jaata hai yeh bhi pata hoga right ?.
Dari hui halat mein usne kabir se pucha. Usne apne strong guard ki bhi drop Kar diya jisne usne Kabir ke against rakha hua tha.
Maithili-kya tum meri help kar sakte ho ?.
Maithili bhi kabir ke hi age ki thi.
Maithili ek ek strong personality ki person thi jo bohot kam hi kisi se help leti thi. Kabir ne jab uski yeh baat suni toh usne ek smile ki. Vo thodi der shant raha phir usne kaha.
Kabir-yeh bimari treat ho sakti hai. Tum Holy Osian institute ke library mein isse dekh sakti ho isse Arctic Disease kaha gaya hai.
Maithili-okay aur yeh treat kaise ki jaati hai.
Kabir-The Daoyin technique ka use kar ke jaha par bhi injuries hui waha massage karna hota hai. Golden Striped Grass aur Imperial Sky Grass se bani medicine ko har din lena hoga. Tumhari situation dekh kar tum 1 month meni thik ho jaogi. Best case scenario mein 10 days ke andar tum fully recover ho sakti ho.
Ek yahi method thi Arctic Disease ko cure karne ki.
Maithili-Daoyin Technique ?
Vo thoda sochne lagi. Vo ek noble family se thi par usne kabhi bhi daoyin technique ke baremein nahi suna tha.
Kabir-is treatment ke waqt tum raat mein apne soul force ko train nahi karogi.
Yeh keh kar Kabir ne apne haath ko aage kiya.
Kabir-mujhe apni cu;tivation technique dikhao mujhe vo dekhni hai.
Maithili ne ek baar Kabir ki taraf dekha. Agar koi stranger hota toh usse lagta k evo uski cultivation technique ko churana chahta hai. Par jab une Kabir ke expressions ko dekha tab usse uspar trust ho gaya. Kabir ne usse ab tak bohot kuch bata diya tha. toh usne Kabir par pura trust dikha diya. Usne apne interspatial ring mein se apne cultivation technique ko banar nikala aur Kabir ko de diya. Vo ek purana sa parchment paper tha jispar kuch densely words likhe hue the.
Jab Kabir Maithili se vo parchment paper le raha tha tab uska haath Maithili ke haath se touch ho gaya par usne usse mind nahi kiya. Vo toh us paper ko dhyan se dekhne laga.
Jaise hi Kabir ka haath Maithili ke haath ko touch hua usne jhat se apne haath ko piche le liya. Uske dil ki dhadkane thodi badh si gayi. Usne socha ke Kabir usse blackmail na kare. Ya kya pata uske dim mein koi aur hi thoughts ho uske liye.
Jab usne apne sir ko upar uthaya tab usne dekha ke Kabir ne uske reaction ko notice hi nahi kiya hai jab unke haath touch hue the. Kabir ke expressions kafi serious ho gaye the us parchment paper ko dekh kar. Yeh dekh kar Maithili bhi usse dekhne lagi. Usne ek moment ke liye react kiya. Phir usne apne sir ko niche kar ke sochne lag gayi.
Kabir-ek huge aur powerful noble family ki direct bloodline actually itani low grade cultivation technique practice kar rahi thi. Tabhi Osian city destroy ho gayi.
Kabir ne yeh baat apne aap se kahi.
Maithili-kya kaha tumne abhi ?
Maithili ne apni aankhe badi ki aur Kabir ko dekhne lagi. Usne Kabir ko apne aap se baate karte hue duna lekin usne kya kaha vo nahi sun paayi.
Kabir-nahi kuch nahi. Yeh cultivation technique kafi poor hai. Yeh tumhe damge kar sakti hai agar tum isse practice karti rahi toh. Tumhe Arctic Disease hone ki sabse badi wajah yeh cultivation technique hi hai. Yeh part change kar ke psychic mind se heavenly psychic kar do aur is soul and spirite merge ko bhi change kar do. kabir aage aage continue karte gaya aur har jagah kuch na kuch cultivation technique mein bhi change karta gaya.
Maithili Kabir ki baato ko sunti jaa rahi thi jo uske soul force cultivation technique ko alter karte jaa raha tha jisse vo thoda achha nahi feel kar rahi thi. Uski yeh cultivation technique uske ancestor se pass down hui thi. Yeh rank 6 thi family mein. Kaise Kabir isse suddenly alter kar sakti hai ? [hir bhi Maithili uske baate aage sunti gayi. Vo practitioner thi is cultivation technique ki toh usse is baremein experience tha. Jaldi hi Maithili samajh gayi ke Kabir ne jo bhi changes kiye hai vo reasonable hai. In fact jo bhi changes hue hai vo kafi better hai original se.
Maithili ke aankhe badi ho gi kanir ko dekh kar. Uski nazar aur soch Kabir ko dekhne ki change ho gayi thi.
Maithili-kabir kya tum mujhe yeh sab phir se bata sakte ho mujhe sab phir se sunna hai.
Kabir-okay
Kabir ne apne speech ko dheere kiya aur batane laga. Apne soul force ke training se Maithili ko ek ability mil gayi thi aisi baate dhyan mein rakhne ke liye. Vo bhi bina kuch bhule. Even vo sirf kuch part hi samajh paayi thi modification ka lekin phir bhi usne sab kuch yaad rakh liya. Usse jaise jaise samajh ne laga ke usse pata chal gaya ke Kabir ne modified ki hui cultivation technique kitani powerful hai.
Maithili ki peheli nzari kabi ki taraf zyada kuch achhi ahi thi lekin ab uski aankho mein Kabir ke liye admiration thi.
Kisi ko kitne knowledge ki zaroorat hoti hai ek high-rank soul force cultivation technique ko change karne mein. Even black-gold rank demon spiritualist bhi aise changes nahi kar sakte the. Kya Kabir ki cultivation ki understanding black gold rank demon spiritualist se bhi aage nikal gayi hai. Ya phir legend rank demon spiritualist se bhi.
Maithili ne sab kuch apne dhyan mein rakh diya jo bhi modifications Kabir ne kiye the. Usne dil mien ek ajeeb se feeling ne janam le liya tha jisse vo abhi samajh nahi paa rahi thi.
Kabir ki age uske itani hi thi lekin phir bhi Maithili ne yeh jaan liye ke uske aur Kabir ke beech bohot bada gap hai. Vo hamesha yahi sochti thi ke Kabir class mein kuch bhi nahi hai. Usne abhi realise kiya ke teacher Shital kitani ignorant thi saath hi calss ke baki students bhi. Usse suddenly yaad aaya ke Kabir ne kaha tha k evo legend rank demon spiritualist banne kibaat vo sach kar ke dikhayega.
Jab se vo young thi no matter what talent or intelligence Maithili ne almost sabhi ko oiche chod diya tha. yeh uska first time tha ke vo kisi ko apne upar dekh rahi thi. Vo bhi uske same age ke hi ladke ko.
Kabir ne kaha tha ke vo Osian city ke sabse khubsurat ladki se shaadi karega. Jab usse yeh yaad aaya tab Maithili ne apne sir ko jhatka diya aur niche dekhne lagi. Tabhi uske mind mein ek figure aa gayi. Yeh Rati thi. Maithili ko apne looks par confidence tha lekin yeh usse bhi pata tha ke vo rati ke saath compete nahi kar sakti thi.
Kabir- kis baremein soch rahi ho tum ?
Yeh baat Kabir se Maithili ki taraf dekhte hui kahi. Usse kuch samajh nahi aaya Maithili ke expressions dekh kar.
Maithili-nahi kuch nahi.
Maithili jhat se sir apne naa mein jhatak diya.
Maithili-kabir kya tumhe Daoyin technique pata hai ?
Kabir-of course. Par Daoyin technique use karne ke liye directly injuries ko touch karna padta hai. Jiske liye shayad mein inappropriate hu.
Maithili ne apna sir utha kar Kabir ko dekh aur uski aankho ko dekhne lagi jinmein usse ek chamak dikh rahi thi. Uske aura mein ek handsomeness tha. Jo uske dil mein slowly utar raha tha.
Maithili-nahi mein kisi bhi cheez ko mind nahi karungi. Tum mujhe treat karne wale ho. Mujhe useless person mein nahi change hona hai.
Maithili ne last sentence apne aap ko comfort karne ke liye kaha.
Kabir ke samne usne pen cold guard ko drop kar diya.
Kabir kuch der ke liye shant raha aur usne socha.
Kabir-agar mein kisi ladki ko naa kahu toh mein aur bhi bura lagunga sabhi ko.
Uske dil mien pehle se hi Rati thi. Uske dil mein Maithili ko lekar ek small impression tha. usne zyada kuch nahi socha aur kaha.
Kabir-okay. Mein Daoyin technique use karke tumhari injuries ko heal karunga har 3 days mein. Ab ghar jaa kar wahi karna jo mein ne kaha hai. Un herbs se bani medicine ko le lena.
Maithili ne apne sir ko haa mein hila diya.
Kabir- roh batao kaha kaha hui hai tumhe injuries ?
Yeh sunkar Maithili ke gaal laal ho gaye aur usne apne pairo ki taraf ishara kiya.
Maithili-yaha ek hai.
Kabir ne apne sir ko niche kiya aur dkehne laga. Usne dekha k eek deep purple patch tha uske pairo par. Yeh injury pehle se hi serious ho gayi thi.
Kabit-yeh toh serious hai. Achha hua yeh pairo par hi hai warna kahi or jagah hoti toh mein shayad na kar pata. Yeh zyada convenient hai, kyo ki ye pairo ke upar hai, Yeh jaldi hi thik ho jayega.
Kabir niche baith gaya.
Maithili ne ye nahi kaha tha ke sirf yahi ek injury hai usse. Jab usne Kabir ke pairo par apna par rakha tab vo kuch aur hi sochne lag gayi thi.