• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
Last edited:

Thakur

Alag intro chahiye kya ?
Prime
3,235
6,761
159
  • Like
Reactions: Naik and parkas

Naik

Well-Known Member
20,247
75,394
258
Update 18- Rakta-Ranjit






kuchh he der me hum sab khane ko baith gaye ,babu ji bahar phone pe baat kar rahe the aur sab ke liye khana parosa ja raha tha, babu ji mere side me aake baith gaye ,itne me Lata aunty sabji parosne lagi aur jo he unhone babu ji ko sabji di aur unki najre mili wo dono wahi freeze ho gaye ! Me kabhi babu ji ko to kabhi aunty ke chehre ko dekh raha tha !

.

.

.

To be continued...







Raat ke 12 baj chuke the aur sab apne apne kamare me the, par me jaag raha tha aur shayad baki log bhi ! Aaj jo bhi mene dekha usse laga isse bura kya hoga par kismat ne ise bhi as a challenge liya aur dikhaya ke “beta abhi bohot kuchh dekhna he tumhe”. Maine padhne ka try kiya par jab man he na ho to kya khaak padhai hogi ,assignments bina man ke kaano me earphones laga ke likhna alag baat he aur padhna alag baat, wo log jo sochte he gaana sunte sunte padh lunga fir pass ho jaunga, O bhai ye chuna kisi aur ko lagana :sigh: .

Me uth ke baitha aur bag ke inner pocket se cigarette nikali, par yaha nahi pi sakta ,kabhi bhi koi bhi aa sakta he khas kar ke didi, par babu ji ya Ashu ne dekh liya to Bhagwan bachaye muze, to mene chupchap kundi kholi aur bahar nikla. Sahi me sab jaag rahe the, hall me babu ji andhere bistar lagaye soye hue the, unke saath dadi dusre kone me nind me badbada rahi thi , didi ke kamre ki light chalu thi matlab wo 3no bhi jaag he rahi hogi ,me chupchap halke kadmo se chal ke kitchen gaya aur pani pi ke wahi se pichhe wale darwaje se bahar aaya.

Upar kaale aakash me ardh-chandra baadalo ke bich se taanka-jhaki kar raha tha, me ghar ke saamne chal ke aaya aur cigarette jala ke aage chalne laga, saamne wale aam ke ped ke niche ruk ke zip kholi aur mutna chalu he kiya tha ke …

“Waha mat mutna”

Ek jhatka se pichhe ghum gaya, pichhe das kadam pe babu ji khade the ! Cigarette abhi bhi mere muh me thi ,mene hadbadi use pichhe fek diya ,tabtak wo mere paas aaye, muze laga wo ek ghuma ke denge par wo mere side se nikal ke uss aam ke ped ke paas gaye aur uspe hath firane lage.

Babu ji : iss ped ko hum chaaro ne mil ke lagaya tha, iske jaise aur bhi kaafi saare lagaye the yahi pe, par jab hamara ghar jalaya gaya tab ghar ko firse banane ke liye in pedo ko kaatna pada, bass iss ek ko chhod diya unki yaad me.

Babu ji ki baate mere kaan me pighle hue shishe jaisi ghusi aur mene pichhe mud ke dekha to hamara jalta hua ghar dikha jo arthaat meri kalpana me jal raha tha par jo bhi tha bhayanak tha.

Iske baad babu ji ne kuchh nahi kaha, me unki taraf dekh raha tha ke ab wo kuchh kahenge par wo chupp he rahe aur bass uss ped ko dekhte rahe.

Me : aapne ye baate kyu nahi batai ?

Babu ji : purane jakhm jo mushkil se bhare ho unhe khured ke milega kya ? dard aur kuchh nahi.

Me : ab to me bada ho gaya hu , kya ab bhi muze ye sab janne ka koi adhikar nahi ?

Babu ji : Hai na, pura adhikar he par jaise me kasam aur vachano se bandha hu waise he tuze bhi baandhna hoga tabhi tuze atit bataya jayega ,warna tu pagal saand ban jayega.

Me : Me vachan deta hu…

Babu ji : yaha nahi, chalo …



Babu ji chalne lage aur me bhi unke pichhe pichhe chalne laga, babu ji kheto ke virudhh disha jaha se gaav ki seema khatam hoti he aur jungle shuru hota he waha jaane lage. Ek ped ke aage jaake wo khade ho gaye aur mutne lage, me bhi ek side hoke dusri jagah apni tanki khali kar ke wapas aaya.

Babu ji : cigarette de .

Ye thoda shocking tha par mene packet aur lighter unko diya.

Unho ne cigarette jalayi ek chhota fir lamba kash liya fir nikal ke kaha ,

Babu ji : Chalo.

Me unke saath chalta gaya, jungle ke iss hisse me me kai baar aaya tha par yaha kaante bohot the aur gaddhe bhi isliye baad me yaha aana chhod diya, gaon ke logo ne gaon ke aaspaas ke ped kaat kaat ke waha sapaat jamin banai gayi thi isliye gaon ki dusri side me khula khula sa tha, par yaha kaafi saare ped the jinhe kabhi kisi ne haath nahi lagaya, pata nahi kyu ?

Me : aaj shaam ko dadi kaafi anap shanap bol rahi thi , dada ko bohot gariya bhi rahi thi.

Babu ji : sahi keh rahi thi wo, tera dada tha he aisa par mera baap itna bhi bura nahi tha ke me bhi use gaali dene lagu !

Me : Par babu ji unhone kiya kya tha ?

Babu : 2-4 galat kaam chhodo to sab kuchh kiya tha bapu ne ! khun, dakaiti , jail tode, supari li, politician bana , sab kuchh kiya tha bapu ne :roflol:

Meri aankhe khul ke chaudi ho gayi ye sab sun ke, upar se babu ji ye sab haste hue suna rahe the jaise bohot abhimaan he unhe dada ji pe !

Babu ji : Hum 3 bhai the ,me sabse chhota tha, muzse bade Indrajit thakur bhai (Vidya didi ke papa) aur sabse bade bhai, hamare pita ji ki carbon copy Mahendra Thakur ! Hum teeno me sirf ek ek saal ka antar tha, par me dono bade bhaiyo ko hamesha bhaiya he bulata tha. Maa babu ji ka pyaar sabke liye ek jaisa tha par unka ek dusre ke sath rishta kadwa he raha jo baad me pata chala jab hum bade hue.

Me : Mahendra chacha ka kya hua ?

Babu ji : pata nahi, jab hamara ghar jalaya gaya tab tere dada aur Mahendra bhaiya bahar the, maine Ranjit bhaiya ne aur Shambhu (pehelwan chacha) ne mil ke ghar ki aag bujhane ki koshish ki par nakaam rahe, ganimat thi ke maa surangh me chip gayi warna wo unn hatyaro ke hatho maari jaati, agle din humne ye jo gaon he na hamara jo aaj hume itni ijjat se pranam karta he use jala diya jo ki aag lagane wale bhi to yahi the !

Ok ,WHAT THE FUCK ! ab ye sab sun ke aise lag raha tha jaise me itne saalo se jinke bich raha wo mere apne nahi mere dushman he !

Babu ji : Puri baat sunna fir sochna.

Me : Hmm .

Babu ji : Babu ji ne khun-kharaba, dakaiti kai saalo pehle chhod diya tha, wo iske upar uth ke politics me utar chuke the aur unke khaas mitra Hardayal singh ke saath nayi political party banai jo kaafi logo ke najro me khal gayi. Galat kaam to humare khaandan me pidhiyo se chalte aa rahe the, kaafi saare politician bapu ki madat ke liye hamare darwaje pe naak ragadte the par unka khud politics me utarna unke liye kaafi badi chot thi . Unhone hamare khilaf shadayantra racha aur hamare gaon ke kuchh logo ko bhadka ke ghaat laga ke hamla kiya.

Babu ji bolte bolte ruk gaye, hum jungle ke kaafi andar aa gaye the aur saamne ek khandar tha jaha me bachpan me ekad baar aaya tha par tab bhi itne kaante the ke andar nahi ja paya tha.

Babu ji : Ye khandar nahi hamara ghar he jise jalaya gaya tha !

.

.

.

To be continued…


अपडेट 18- रक्त-रंजीत







कुच्छ ही देर मे हम सब खाने को बैठ गये ,बाबू जी बाहर फोन पे बात कर रहे थे और सब के लिए खाना परोसा जा रहा था, बाबू जी मेरे साइड मे आके बैठ गये ,इतने मे लता आंटी सब्जी परोसने लगी और जो हे उन्होने बाबू जी को सब्जी दी और उनकी नज़रे मिली वो दोनो वही फ्रीज़ हो गये ! मे कभी बाबू जी को तो कभी आंटी के चेहरे को देख रहा था !

.

.

.

टू बी कंटिन्यूड...







रात के 12 बाज चुके थे और सब अपने अपने कमरे मे थे, पर मे जाग रहा था और शायद बाकी लोग भी ! आज जो भी मेने देखा उससे लगा इससे बुरा क्या होगा पर किस्मत ने इसे भी अस चॅलेंज लिया और दिखाया के “बेटा अभी बोहोत कुच्छ देखना हे तुम्हे”. मैने पढ़ने का ट्राइ किया पर जब मन ही ना हो तो क्या खाक पढ़ाई होगी ,असाइनमेंट्स बिना मन के कानो मे इयरफोन्स लगा के लिखना अलग बात हे और पढ़ना अलग बात, वो लोग जो सोचते हे गाना सुनते सुनते पढ़ लूँगा फिर पास हो जौंगा, ओ भाई ये चुना किसी और को लगाना .

मे उठ के बैठा और बॅग के इन्नर पॉकेट से सिगरेट निकली, पर यहा नही पी सकता ,कभी भी कोई भी आ सकता हे खास कर के दीदी, पर बाबू जी या आशु ने देख लिया तो भगवान बचाए मुझे, तो मेने चुपचाप कुण्डी खोली और बाहर निकला. सही मे सब जाग रहे थे, हॉल मे बाबू जी अंधेरे बिस्तर लगाए सोए हुए थे, उनके साथ दादी दूसरे कोने मे नींद मे बड़बड़ा रही थी , दीदी के कमरे की लाइट चालू थी मतलब वो 3नो भी जाग हे रही होगी ,मे चुपचाप हल्के कदमो से चल के किचन गया और पानी पी के वही से पिछे वाले दरवाजे से बाहर आया.

उपर काले आकाश मे अर्ध-चन्द्र बादलो के बीच से तांका-झकी कर रहा था, मे घर के सामने चल के आया और सिगरेट जला के आगे चलने लगा, सामने वाले आम के पेड़ के नीचे रुक के ज़िप खोली और मुतना चालू ही किया था के …

“वाहा मत मुतना”

एक झटका से पिछे घूम गया, पिछे दस कदम पे बाबू जी खड़े थे ! सिगरेट अभी भी मेरे मूह मे थी ,मेने हड़बड़ी उसे पिछे फेक दिया ,तबतक वो मेरे पास आए, मूज़े लगा वो एक घुमा के देंगे पर वो मेरे साइड से निकल के उस्स आम के पेड़ के पास गये और उसपे हाथ फिरने लगे.

बाबू जी : इश्स पेड़ को हम चारो ने मिल के लगाया था, इसके जैसे और भी काफ़ी सारे लगाए थे यही पे, पर जब हमारा घर जलाया गया तब घर को फिरसे बनाने के लिए इन पेड़ो को काटना पड़ा, बस्स इस्स एक को छ्चोड़ दिया उनकी याद मे.

बाबू जी की बाते मेरे कान मे पिघले हुए शीशे जैसी घुसी और मेने पिछे मूड के देखा तो हमारा जलता हुआ घर दिखा जो अर्थात मेरी कल्पना मे जल रहा था पर जो भी था भयानक था.

इसके बाद बाबू जी ने कुच्छ नही कहा, मे उनकी तरफ देख रहा था के अब वो कुच्छ कहेंगे पर वो चुप्प हे रहे और बॅस उस्स पेड़ को देखते रहे.

मे : आपने ये बाते क्यू नही बताई ?

बाबू जी : पुराने जख्म जो मुश्किल से भरे हो उन्हे खुरेद के मिलेगा क्या ? दर्द और कुच्छ नही.

मे : अब तो मे बड़ा हो गया हू , क्या अब भी मूज़े ये सब जानने का कोई अधिकार नही ?

बाबू जी : है ना, पूरा अधिकार हे पर जैसे मे कसम और वचनो से बँधा हू वैसे हे तुज़े भी बाँधना होगा तभी तुझे अतीत बताया जाएगा ,वरना तू पागल सांड़ बन जाएगा.

मे : मे वचन देता हू…

बाबू जी : यहा नही, चलो …



बाबू जी चलने लगे और मे भी उनके पिछे पिछे चलने लगा, बाबू जी खेतो के विरुध्ह दिशा जहा से गाव की सीमा ख़तम होती हे और जंगल शुरू होता हे वाहा जाने लगे. एक पेड़ के आगे जाके वो खड़े हो गये और मूतने लगे, मे भी एक साइड होके दूसरी जगह अपनी टंकी खाली कर के वापस आया.

बाबू जी : सिगरेट दे .

ये थोड़ा शॉकिंग था पर मेने पॅकेट और लाइटर उनको दिया.

उन्हो ने सिगरेट जलाई एक छोत्त फिर लंबा कश लिया फिर निकल के कहा ,

बाबू जी : चलो.

मे उनके साथ चलता गया, जंगल के इश्स हिस्से मे मे कई बार आया था पर यहा काँटे बोहोत थे और गड्ढे भी इसलिए बाद मे यहा आना छोद दिया, गाओं के लोगो ने गाओं के आसपास के पेड़ काट काट के वाहा सपाट ज़मीन बनाई गयी थी इसलिए गाओं की दूसरी साइड मे खुला खुला सा था, पर यहा काफ़ी सारे पेड़ थे जिन्हे कभी किसी ने हाथ नही लगाया, पता नही क्यू ?

मे : आज शाम को दादी काफ़ी अनाप शनाप बोल रही थी , दादा को बोहोत गरिया भी रही थी.

बाबू जी : सही कह रही थी वो, तेरा दादा था ही ऐसा, पर मेरा बाप इतना भी बुरा नही था के मे भी उसे गाली देने लगू !

मे : पर बाबू जी उन्होने किया क्या था ?

बाबू : 2-4 ग़लत काम छ्चोड़ो तो सब कुच्छ किया था बापू ने ! खून, डकैती , जैल तोड़े, सुपारी ली, पॉलिटीशियन बना , सब कुच्छ किया था बापू ने

मेरी आँखे खुल के चौड़ी हो गयी ये सब सुन के, उपर से बाबू जी ये सब हस्ते हुए सुना रहे थे जैसे बोहोत अभिमान हे उन्हे दादा जी पे !

बाबू जी : हम 3 भाई थे ,मे सबसे छ्होटा था, मुज़से बड़े इंद्रजीत ठाकुर भाई (विद्या दीदी के पापा) और सबसे बड़े भाई, हमारे पिता जी की कार्बन कॉपी महेंद्रा ठाकुर ! हम तीनो मे सिर्फ़ एक एक साल का अंतर था, पर मे दोनो बड़े भाइयो को हमेशा भैया हे बुलाता था. मा बाबू जी का प्यार सबके लिए एक जैसा था पर उनका एक दूसरे के साथ रिश्ता कड़वा ही रहा जो बाद मे पता चला जब हम बड़े हुए.

मे : महेंद्रा चाचा का क्या हुआ ?

बाबू जी : पता नही, जब हमारा घर जलाया गया तब तेरे दादा और महेंद्रा भैया बाहर थे, मैने रंजीत भैया ने और शंभू (पहेलवन चाचा) ने मिल के घर की आग बुझाने की कोशिश की पर नाकाम रहे, गनीमत थी के मा सुरन्घ मे छीप गयी वरना वो उन्न हत्यरो के हाथो मारी जाती, अगले दिन हुमने ये जो गाओं हे ना हमारा जो आज हमे इतनी इज़्ज़त से प्रणाम करता हे उसे जला दिया जो की आग लगाने वाले भी तो यही थे !

ओक ,वॉट दा फक ! अब ये सब सुन के ऐसे लग रहा था जैसे मे इतने सालो से जिनके बीच रहा वो मेरे अपने नही मेरे दुश्मन हे !

बाबू जी : पूरी बात सुनना फिर सोचना.

मे : ह्म्म .

बाबू जी : बाबू जी ने खून-ख़राबा, डकैती कई सालो पहले छ्चोड़ दिया था, वो इसके उपर उठ के पॉलिटिक्स मे उतर चुके थे और उनके ख़ास मित्र हरदयाल सिंग के साथ नयी पोलिटिकल पार्टी बनाई जो काफ़ी लोगो के नज़रो मे खल गयी. ग़लत काम तो हुमारे खानदान मे पीढ़ियो से चलते आ रहे थे, काफ़ी सारे पॉलिटीशियन बापू की मदत के लिए हमारे दरवाजे पे नाक रगड़ते थे पर उनका खुद पॉलिटिक्स मे उतरना उनके लिए काफ़ी बड़ी चोट थी . उन्होने हमारे खिलाफ षडयंत्रा रचा और हमारे गाओं के कुछ लोगो को भड़का के घात लगा के हमला किया.

बाबू जी बोलते बोलते रुक गये, हम जंगल के काफ़ी अंदर आ गये थे और सामने एक खंडहर था जहा मे बचपन मे एकद बार आया था पर तब भी इतने काँटे थे के अंदर नही जा पाया था.

बाबू जी : ये खंडहर नही हमारा घर हे जिसे जलाया गया था !

.

.

.

टू बी कंटिन्यूड…
Bahot khoob shaandar update
Gher jalaya gaya tha kaafi dushman rehe honge tabhi aisa huwa hoga
Baherhal dekhte h Babu ji or batatae h
 

Naik

Well-Known Member
20,247
75,394
258
Update 19- Shekh-Chilli





Babu ji bolte bolte ruk gaye, hum jungle ke kaafi andar aa gaye the aur saamne ek khandar tha jaha me bachpan me ekad baar aaya tha par tab bhi itne kaante the ke andar nahi ja paya tha.



Babu ji : Ye khandar nahi hamara ghar he jise jalaya gaya tha !

.

.

To be continued…



Mere saamne hamara ghar tha jisme maine kabhi pair bhi nahi rakha tha par tha to mera he ghar. Bahar kaanto wale paudho ka compound banaya hua tha jo itna thick he ke nikalne jao to laal ho ke he niklo. Par babu ji ne ek baar khandar ko dekha fir mud ke ek taraf chalne laga, me bhi unke saath ho liya, kuchh dur chal ke wo ek jagah ruke fir jameen se mitti hatane lage, waha jaise gutter ka dhakkan hota he waisa he dhakkan dikha, use puri taqat se uthaya to niche jaane ke liye sidhiya dikhi, maine mobile ki light ON ki aur unke saath sidhiyo se niche utarne laga. Andar mera dam ghutne laga tha, babu ji aage chalte hue ek kamre ke ja ruke aur koi lever khincha, kuchh he der me aisa laga jaise andar ki saari ghutan kisi jagah se nikal gai he aur ab me dhang se saans le pa raha tha.

Tab maine uss kamre ko gaur se dekhna shuru kiya, usme dekhne jaisa kuchh nahi tha, na koi furniture na koi table wagera, bass 5-6 purane sanduk the jinpe dhul jami hui thi . Maine unke upar dhul hatani chahi to ,

Babu ji : andar kapde, bartan aur chopdi chhod ke kuchh nahi milega , jo kaam ki chije thi sona, hire, property ke papers unko bank ke locker me rakha he maine .

Me : me journal leta hu fir bhi …

Mene ek sanduk khola, andar ek aur chhota box tha jisme kapdo me lipte journals the, kuchh kitabe thi aur purane album .

Babu ji : ye jo dusra darwaja he na , ye sidha upar haveli ke godam me jaata he, jo ke ab khali int-pathharo ka malba he . Chalo ab, tumhe apni jamin dikhata hu.

Hum jaise aaye the waise he bahar nikle,

Babu ji : Iss haweli ke aaspaas ki ye jo jameen he 200 acre ki wo hamari he. Itne saalo me kaafi sare log aaye the shehero se jameen kharidne par Indar bhaiya ki laat kha ke he gaye.

Me : aap ko ye jameen pasand nahi he na ?

Babu ji : Hmm sach kaha tune beta, ye jameen bapu ne kaise bhi kamai ho par jaha humlog ab rehte he wo jagah, wo ghar, wo jameen maine aur Indar bhaiya ne apne mehnat se liya he hamara judaav usi se raha, akhir maa ka swabhimaan he tha jisne hame aisa banaya . Bhaiya ka man hota tha baar baar yaha aane ka to aksar aate rehte the isliye unhone sheher2 me he ghar le liya ke is jameen se iss gaon se aur yaha ke logo se wo dur ho jaye.

Me : unki maut accident he thi ya kuchh aur ?

Babu ji : Maine koshish bohot ki pata lagane ki par kabhi kuchh bhi hath nahi laga, jisne bhi karwaya wo shatir he bohot jyada shatir . chalo ghar jaate he, tumhe bhi kal unko ghumane le jana he .

Me : Lata aunty ko aap jaante he ?

Babu ji : Hmm, purani dost he wo, Dilli me jab padhta tha tab ek he college me the hum, isse jyada kuchh nahi.

Bass fir hum chupchap ghar wapas aa gaye, babu ji to jaake sidha so gaye par mere dimag jo dvanda shuru hua wo ruk he nahi raha tha . dada Ranjit Thakur ko to kabhi dekha nahi, photo me bhi nahi ! Indar chacha se bhi bade chacha he ye baat pata he nahi thi ! Mahendra Thakur (sabse bade chacha ) kaha he ,jinda he ya nahi , agar jinda he to wapas kyu nahi aaye iska bhi koi uttar nahi he. Sawal pe sawal khade hote ja rahe he aur jawab kisi ka bhi nahi. Nind aa nahi rahi to socha bahar jaake cigarette he fukta hu.

Me firse ghar ke bahar tha, abhi 3:30 baje hue the andhera fir kam hoke aakash nila sa dikh raha tha ,hawa me thandak mehsus kar ke mene cigarette nikali aur dhua fukne laga, ekaek muze laga kuchh aur bhi hoga jo me bhul raha hu, maine mobile nikala aur ek dost ko 10-15 msg kar diye ,muze pakka vishwas he ke ye mera kaam karega he karega, bass jaldi kar de :pray: .

Subah Ashwini ne jagaya to dekha kuchh naraj si lag rahi thi par uthaya he matlab itni bhi nahi he.

Me : Kya hua Ashu ?

Ashwini : Ready ho jao, ek ghante me hume ghumne jana hai.

Meri baat sune bina wo apne ghar chali gayi, me bathroom gaya to andar koi naha raha tha, matlab aaj firse bahar he nahana he.

Me naha dho ke ready hua, tabtak baki gharwale Renu aur uski mummy bhi ready taiyar the.

Me : Maa nashta ho gaya ?

Didi : Nashta pack kar liya he hum 4ro ke liye ,raaste me kha lena tum ,abhi chalo late ho gaye he already.

Me Renuka aur didi bahar aaye, tabtak Ashwini bhi jeep leke aa gayi. Me driving seat pe baitha to wo side me baith gayi, didi aur Renuka pichhe baith gaye.

Me : Jaana kaha hai ?

Ispe Ashu ne kuchh nahi kaha, to didi ki or dekha,

Didi : teri marji ,tu jaha le chal.

Mera mood pehele se tha kharab uspe in 3no ki nautanki, par jaane do apna time bhi ayega. Mene gaadi ki speed badhai aur gaon se 30 km dur purane kile ke pe leke gaya. Ye kila (fort) chhota he par unche pahad pe bana he isliye apne time pe ye ek important jagah thi, ab ek achha khasa tourist destination he, mene gaadi jaha tak chadh sakti thi chadhai fir utar gaya. Pet se awaj aa rahi thi to sab ne ped ki chhav me baith ke nashta kiya. Aaj ka din bhale he achha ho, jagah bhi mast he par ye 3no bhi gumsum se lage isliye mera bhi mood kharab hone laga.

Me : Tumlog ghumo idhar, me ja raha hu !

Renu : Aye kya hua yaar tuze ? Ghumna he na hume aaj .

Me : Ha to aise muh latka ke baithe ho na chupchap to aur maja ayega na ghumne, isse achha he me sheher1 he jaata hu.

Didi : Achha thik he, kal jo bhi hua usi se sab disturbed he to maja nahi aa raha he aise ghumne me, ek kaam karte he mall jaate he ,thoda shopping bhi kar lenge bhi movie dekh ke wahi dinner karenge aur raat ko ghar , kaisa rahega ?

Didi ke suggestion pe sab ne hami bhar di to humlog sheher1 wale mall me chale gaye, south ki comedy film thi to sab ne khali film dekhi to mera aur baki sab ka bhi mood sahi hua, iss sab me sham ke 6 baj gaye to thodi shopping karne ka socha. Ab wo 3no sahi me ek dusre se ghul mil gayi thi aur mil ke shopping kar rahi thi, me unke pichhe bag uthane ka kaam karte karte raat wali baat pe soch raha tha ke babu ji ne kaha tha ke jitna bhi sona,hire aur property ke papers he wo bank wale locker me rakhe he, matlab apne paas paisa he ,jamin he aur bohot saara he :ecs: babu ji aadarshwadi he par me thodi na unke jaisa hu, muze kamana he paisa wo arabo me, ye crore rupayye se mera to honewala he nahi. Bas wo paisa nikalna aana chahiye :y:

Shopping kar ke humlog ek achhe se restaurant me gaye khana khane, Ashwini mere sath baith gayi aur Renu didi ke sath.

Me : Chicken masala aur roti, tumlog bhi order karo .

Ashwini : Me biryani order kar rahi hu, bohot bhook lagi he yaar.

Renuka : To Ajay tumhari study chal rahi he ya mere jaise tum bhi hawabaji kar rahe ho ?

Me : Bass thoda thoda chal rha he baki time to kheto me aur baki kaam me laga hu.

Renuka : Tum civil engineering kar rahe ho na ?

Me : ha, tune bhi ?

Renu : Yess, kyu na hum sath sath study kare ?



Fuck. Faila he diya rayta . Achha khasa sab chal raha tha par nahi humse ye sab thodi dekha jayega :sigh: Didi menu card read karte karte muze he dekh rahi thi aur Ashu ,wo to uski sandal se mere panje pe dabaye he ja rahi thi, mushkil se me apne facial expressions chhipa raha tha .

Me : Me me khud kheto me laga rehta hu fir raat ko 10-11 ke baad padhne baithta hu, mere pichhe fokat me tera time bhi waste hoga . Isse achha he hum dono notes exchange karte he, kyu ?

Renu : (low tone me) ha yahi sahi rahega.

Tabtak hamara order bhi aa gaya aur humlog khane lage, Ashu ne uski biryani side me rakhi aur mere sath he share kar ke khane lagi, jab chicken roti kha ke ho gayi to hum dono ne uski biryani share ki ek he thaali me. Maine dekha didi kaise bina koi reaction diye apna palak paneer kha rahi he jaise unhone hume dekha he nahi, wahi Renu to hume dekhte dekhte he kha rahi thi, thodi shocked bhi thi jo ki use aaj nahi to kal pata chalna he tha, par jaha tak muze yaad he usne pichhli baar bhi hum dono ko mall ki parking me kiss karte hue dekha tha to use itna bhi react karne ki jarurat nahi he .



Khane ke ke baad hum sidha gaon ki taraf nikle , Ashu drive kar rahi thi aur me side me baitha dost ko msg me he gariya raha tha, wahi jise kal raat ko maine kaam bataya tha. Hum ghar aaye to dekha Renuka ki mummy Lata aunty ko babu ji ne subah he unke ghar chhod diya he aur unki car bhi pohoncha di he.



Renuka : Wo Ajay muze ghar chhod doge please ?

Babu ji : Itni raat ko mat jao, aaj raat yahi ruko kal subah hote he wo chhod dega.

Renu : Wo uncle actually kal mummy ko bahar jana he to urgent he .

Babu ji : Thik he Ajay chhod dega tumhe, Ajay sambhal ke le jana .

Me : ji ,me use chhod ke sidha kheto wale ghar jaunga raat ko.

Babu ji : Thik he.



Mene bike nikali aur Renu ko leke nikal gaya, Ashu ka chehra utra hua tha par use kal he samza dunga .

Renu : Ajay

Me : Hmm

Renu : yaar gaon bada pyara he tera ..

Me : ha

Renu : tere gharwale bhi

Me : hmm

Renu : aur Ashwini bhi !

Me : Renu gf he wo meri, bass ab khush ? Sorry mene tuze pehle nahi bataya.

Renu : Its ok par mall me jab mene tumhe dekha tha kya kiss kar rahe the yaar tum dono

Bolte bolte usne pichhe se hug kiya aur apne gaal meri pith se ragadne lagi jaise teddy bear se ragad rahi ho, me bike rok nahi sakta ke rokunga to fir koi chutiyap hoga jo me nahi chahta. Abtak jitne bhi relationship me raha wo un sab me tutne ka kaaran jyadatar me he tha, akhir koi bhi ladki ek loyal bf he chahegi na ke mere jaisa.

Mene uski baaki baato ko ignore kiya aur fatfati ko bhagate hue sidha uske ghar ke saamne ruka. Uski mummy bahar he baithi thi uske liye, use chhod ke me nikla ke main road pe he tyre flat ! Bhagg bc ye gaon he panoti he mere liye, sala jab bhi yaha aata hu kuchh achha ho na ho bura jarur hota he :angry: . Mene gariyate hue bike ko ek dukaan ke paas lagaya aur dekha ke tyre me purani keel ghus gayi he. Ab raat ke 11:30 baje gaon me lawda puncturewala milega. Mene socha paidal he jaata hu ghante bhar me pohoch jaunga aise to, tabhi dost ka call aaya.

Dost : saale kanjoos tune bataya nahi itna paisa he tere pass !

Me : dekh Ankush dimag ghuma hua he ya to subah bata ya fir mudde pe aa.

Ankush : Ha Thakur ji mudde pe he aata hu, mene govt portal pe check kiya he tere baap ke naam pe koi 350 acre jameen he aur …

Me : aage bol saale , ye 350 acre to mene bhi dekhi he ,tu dada ka bata.

Ankush : Ha to pehle baith ja tu ek jagah fir sun

Me wahi raaste ke kinare baith gaya,

Me : Ha ab bata

Ankush : 800 acre ki non-agricultural jameen aur 5800 acre ki agricultural jameen he tere dada ke naam pe .



Wow just wow . matlab itne saal se me fokat me fakir bana fir raha tha jabke mere dada ki itni saari jaydaad he ! Fuck bc fuck . Babu ji usoolo wale he achhi baat he ,koi issue nahi par jo apna he wo apna he hai aur use apnana he mera kaam he 😉.

Ankush : Hello hello , abe mar var gaya kya kutte ?

Me : Jinda hu lawde, tu aage bol..

Ankush : aur bhi koi jameen he to me dekhta hu aur tuze detail me bhejta hu, ok

Me : ha thik he , aur thanks bhai for help.

Ankush : Bass kya bhai thanks mat bol khali jameen milne ke baad apne ko koi achhi si job dila de aur kuchh nahi chaiye ,party bhi me he dunga .

Me : Done bhai done.

Mene phone cut kar diya aur wahi raaste pe let gaya, iss time mere thobde pe jo smile thi wo McDonald’s ke putle se bhi badi thi, me itna saara paisa aur jameen ko jise mene abhi tak paaya bhi nahi he use imagine kar ke he has raha tha , meri haalat is samay shekh-chilly se kam nahi thi :D .

.

.

.

To be continued…
Bahot badhiya shaandar update
Saala Zameen ki tow bharmaar h sahi h ab dekhte kaise sab hasil hota h
Yeh line badi zabardast thi McDonald's ke putle se badi 😁😁😊
 
Top