• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
Last edited:

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
Mahesh or Ajay ki bonding mast lagi
Mahesh ki Shaadi ki pehli Raat dande se pitayi ho gayi yeh kon si rasm h bhala dhoolan apne pati ko hi Pite woh bhi pehli Raat ko
Baherhal Ajay sahab ko direction Mili h dekhte h ab yeh direction in sahab ko kidher kidher le jaati
Badhiya update bhai shaandar
Thanks for such review Naik bhai :hug:
 
  • Like
Reactions: Naik

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
Update 25- Hunt begins !



Me flat ko lock kar ke aaspaas se jaruri saman lene laga, aur sabse pehle maine ek bada whiteboard liya aur diwar pe chipka ke jo jo mere sath hua he aur muze jo karna he wo likh ke rakha as future plans ko likh ke rakhne se apna mind clear ho jata he !



Raat ke 2 baje the aur me board ke samne khada hoke dekh raha tha ke kaise ye sab hua aur muze aage kya karna he, iss naye ghar me jaha sirf ek gadda aur chadar he ise he ab khud ka naya basera banana he. Iss bhawar me jisme meri kashti dub chuki he aur jaha tinake ka sahara dhundh raha tha waha muze tinka na sahi par tinke ka saaya to mila ! Muze bhale he target na mila ho par ek direction jarur mili !

.

.

.

To be continued…



Subah 6 baje alarm bajne se meri nind khuli, me to thoda aur sona chahta tha par aaj ka din mere liye important hone wala he to aaj nahi. Bathroom jake me fresh ho liya fir track pant nikal ke running ke liye nikla, society me rehna he to sabse thodi he sahi jaan pehchan banani he hogi, shayad koi kaam aaye. Me gaane sunte hue society ke 3 chakkar lagaya aur dekha ke yaha aaspaas kya kya he, konsi dukane he, park kaha he, boundary wall wagera sab check kiya fir society ke side wale park me jake ghaas pe let gaya. Upar aasman me kaale baadal chhaye hue the par barish abtak nahi aayi thi. Jab saanse sambhali tab utha aur nashta kar ke flat pe aaya, yaha pe rehne ke liye sab saman set karna he aur ye mere akele ka kaam to he nahi isiliye Ashwini ko bula liya, wo aa jayegi 1 ghante me. Fir ready hoke me bahar aaya aur ek garage wale se purani 2nd hand bike li jiske papers nahi the aur use paas me he ek jagah rakh diya, tabtak Ashwini apni gaadi leke society ke gate ke saamne aayi.

Ashu : Praan nath ye sab kya chal raha he ?

Me : Ashu tu muze naam se he bula aur abhi to kuchh nahi chal raha he, bus me thoda serious ho raha hu career ko leke, thoda experience lena chahta hu , kuchh paisa bhi kamana he, kuchh sawalo ke jawab chahiye muze jo yaha milenge. Tu bata tere kya plans he ?

Ashu : Me maa ji ki sewa karne wali hu ghar baith ke, baki sab tum dekho, bass ek baat yaad rakhna agar muze tumhare bare me kuchh bhi ulta sidha pata chala na duniya se gayab kar dungi !

Me : Muze agar kuchh ulta sidha karna hoga na to muze kisi ke paas jaane ki jarurat he kya ? tu he na meri jaan :kiss:

Ashu : Ayy apne hath pichhe lo, aur control karo khud ko, apni shadi hone do fir jo marji karna !

Hum dono local market gaye waha se kitchen ka jaruri saman kharida, fir mall jaake ration aur baki saman bhi le liya, ek furniture wale se bed bhi le liya jo ki iske bina to maja nahi aayega :wink: .

Sham ko jab hum flat pe aaye to thakk gaye the, mera shirt pasine se bhig gaya tha to me shower lene chala gaya,

Me : Ashu mere bag se towel dena plz,

Me : Ashuuu

Ashu : Khud aake lelo, me nahi dene wali

Iski kya nautanki he ab, bc me kya nanga he bahar aau ab !

Again wo nahi aai to muze waise he nanga bahar aana pada, mene dekha wo kitchen me thi aur kuchh bana rahi thi , mene underwear pehna fir towel khud ko pochh ke uske paas gaya aur usko pichhe chipka liya..

Me : mene khali towel manga tha na Ashu !

Ashu : Muze shadi tak risk nahi lena 😊.



BC ye smart he ya oversmart



Me : Risk to ab bhi le rahi he na tu, mere sath iss kamre me akele , kyu ?

Ashu ne gas band kiya aur mud ke hatho ko fold kar ke mere samne khadi ho gayi,

Ashu : Kya kar loge tum , hmm ? bolo ?

Mene dekha uski ankho me na chanchalta thi na dar tha, waha pe sawal the jo mere agle kadam ka intjar kar rahe the . Mene apna chehra uske hotho ke najdik laya, maine dekha uski aankhe abhi bhi khuli he jo dekhna chahti he me kya karta hu. Mere honth uske hontho se kuchh millimetre he dur the par mene uske hontho ko chhua nahi bas uski aankho me dekhta raha .

Kiss to humne pehle bhi kiya tha, mall ke parking me , hamare kheto me aur bhi kai jagah par abhi ki situation alag thi, muze pata nahi chal raha tha ke wo muze challenge kar rahi he ya sawal kar rahi he.

2 minute ke baad me uske saamne se hat gaya aur hall me aake kapde change karne laga, aaine me dekha wo pichhe se muze dekh rahi he par uske chehre pe muskan nahi he aur na he koi feelings jo baat muze khatak gayi.

Itne me doorbell ring hui, maine door khola to side wale flat me rehne wale uncle the.

Me : Ji namaste uncle, kuchh kaam tha kya ?

Uncle : Kuchh nahi beta hum log chai pi rahe the to socha aap ko bhi invite karu.

Ab muze pata tha inko avoid kar ke bhi koi fayda nahi he as ye harmless log he aur khali mere baare me janna chahte he aur kuchh nahi, to me aur Ashu unke ghar gaye , unka 2 BHK flat he jo tiled he aur well furnished bhi. Aunty chai leke aayi aur hamare sath he baith gayi fir baate hui intro hua.

Uncle : To Ajay beta aap kya karte ho aur ye aapke sath …

Me : Me civil engineering kar raha hu aur ye Ashwini he meri Bhabhi ki behen he, bhaiya aur me kaam ke liye yaha aate rehte he to rehne ke liye ek jagah chahiye thi to ye flat rent pe liya.

Uncle : Achha achha muze laga yaha koi bachelor rehne aaya hoga, yaha humari society me bachelors ko koi bhi ghar nahi deta na isliye puchha .

Me : Hmm wo to he..

Humari formal baate hui, unhone formally hume khane ke liye bhi kaha par mene mana kiya as Ashu ko ghar bhi jana he.



Sham ke 7 baje hum gaon ki taraf nikle, me drive kar raha tha aur Ashu chupchap baithi apne he khayalo ghum thi, maine bhi koi baat nahi ki jo ki me apne agle kadam ke baare me soch raha tha.



Ashu ke ghar jane ke bajaye me sidha kheto pe gaya aur Bhanu ko khane ke sath bula liya aur wo bhi aa gaya apne bacche ke sath he!

Bhanu : maaf karna malik wo iski nani bimar he to gharwali bhi nahi he to ise sath he laya .

Me : Hath na joda kar Bhanu yaar tu aur malik bulana band kar pehle to..

Bhanu : Aapne kaam diya he hume to aapke jitna ohda he nahi humara ke tu/tum bole , ab aap he batao malik hum kya bole ?

Me : Boss bula ya fir Sir, ye jyada sahi rahega, aur bacche ko idhar la aur khana laga de fir baith ke baat karte he.

Usne khana lagaya tabtak mene khet wale ghar ka kaam dekha, majdur jo abhi yaha rehte he unhe aaj unke apne ghar bheja tha jo ki unka bhi Parivar he, kaam sahi se hua tha bas colour lagana baki tha jo ke 1 din me ho jayega achhe se .

Me khane ko baitha uske sath,

Me : ek bike li he mene tere liye, kagaj nahi he aur na he banane he, baad me chahe to nayi le lena par abhi jo kaam muze karna he uske liye yahi sahi he.

Bhanu : Ji malik

Me : Boss bol Bhanu, boss !

Bhanu : Ji boss .

Me : ladke ko kal biwi ke paas chhod dena, hume kisi pe dur se najar rakhni he, thik he ?

Bhanu : Ji boss ho jayega.

Me : Kapde sheher1 se lenge kal he aur dhadhi wagera bhi karni he, kuchh chije sikhaunga unko bhi dhyan se sikhna, mere liye nahi apne bhale ke liye.

Bhanu : Ji boss.

Me : tumhare wapsi ke dor kat chuke he aur ab tum muz se jude ho, me jo gira to tum bhi giroge, tum gire to me, isliye jo bhi karna soch samaz ke karna .

Bhanu : Hmm, bas ek baat puchhni he .

Me : Puchh le bhai

Bhanu : aap kuchh galat to nahi kar rahe he na ?

Me : parso kisi ne muz pe humla kiya tha, usi ka pata lagana he, ab ghar jake aaram karo kal sheher jana he.



Uske jaate he mene sab saaman sameta aur bag khol ke saare gadgets nikale, Digital camera, audio transmitters jinme GPS bhi lage the, durbin (binoculars) aur 2 drones. Ye sab chije itna paisa kharch kar ke li thi sirf ek baat confirm karne ke liye ke wo bhosdiwala Vikas iss sab ke pichhe he ya nahi !

Uske sath mera panga 2 saal chala, ek time pe wo mera dost bhi bana tha par usne apni aukat dikha he di thi aur fir pela gaya. Me jo sidha sadha ladka tha jise kisi se koi lena dena nahi tha use badalne ka sabse bada kaaran Vikas he tha !

Log kehte he ke aap ki apni choices he aapko define karti he, chutiye hote he wo log ! Jab aap ko bina kisi reason ke violence ke liye force kiya jaye aur aapke samne violence ya fir maut se badtar jindagi rakhi jaaye to aap kise chunoge ?

Maine jo saha wo meri jindagi ka aisa mod tha jaha me har roj usse maut ki bhikh maangta tha, par usne maut nahi di, usne muze syringe chadha ke jinda rakha taaki wo muze aur tadpa sake ! Fir maine uske sath wo kiya jisse wo kabhi ubhar nahi sakta ! Wo sab kaam logo ki najro me galat the par log dusro ki wakalat karte he aur khud pe aayi to judge bante he !

Aur muze na kabhi logo ki parwah thi aur na ab he. Maine ek baar iss jindagi ko pichhe chhoda iss liye ke real life ye nahi he par ye kaali jindagi khud mere pichhe aayi he. Ab me ya to firse issko dafna dunga jaise pehle kiya tha ya fir khud dafan ho jaunga !

Let the GOD be judge ! I’ll do what every cornered animal will do : Fight Back !

.

.

.

To be continued…
 

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
Nice........lekin bahot late ni kar diya

Lovely update Thakur bhai

Bahut hi shaandar update diya hai Thakur bhai....
Nice and lovely update....

Dhaasu update bhai
akhir ab kuch to pata chalega ki past me Ajay ne kya-kya kand kiye hain. Agle update ka intezar rahega bhai.

ये महेश मुन्नी के अलावा सबको लायेगा फ्लैट पर।

Superb awesome fantastic mind blowing update

"लंकेश" अजय का जिगरी दोस्त से जानी दुश्मन बन गया है
पक्का अजयने किसी लड़की को पेल के छोड़ दिया है जिससे लंकेश प्यार करता होगा या फिर वोह लड़की लंकेश की बहन होंगी,,,,,
लंड से सोचने वालो के साथ अक्सर ऐसी बात हो जाती है क्यू कि लंड के चलते उन्हें बाकी कुछ दिखता नहीं फिर दोस्त हैं या रिश्तेदार उनके घर पर नजर डालते हैं,,,,,,,
और जब सब खत्म हो जाता है तो अपनी गलती दिखती नही और उस समय और बाद मे जब वोह दोस्त जानी दुश्मन बन के सामने खड़ा होता है तो सोचते रह जाते हैं कि यह तो मेरा दोस्त था यह मेरे जान के पीछे क्यों पड़ा है मेरे पीठ में खंजर क्यों मारना चाहता है असल मे पीठ में खंजर मरने वाला तो खुद वोह होता है जो लंड के चलते अपने दोस्त के घर में ही घुस गया था
१०००% लड़की का चक्कर होगा बाबू भईया जो लंकेश अजय की लंका लगाने में लगा हुआ है
😂😂😂

Waiting for the next update

Nice and superb update.....

Waiting for next update Thakur bhai

Nice update....

श्रीमान अजय कुमार के मित्र है राजन कुमार और कालेज के दिनो मे अय्याशियां की है राजन कुमार के बड़े भाई महेश कुमार के साथ । वाह , क्या कहने !
श्रीमान की एक क्वालिटी का पता था कि भाई साहब लड़ाई झगड़े करने मे माहिर थे , अब एक और अद्भुत क्वालिटी हमारे संज्ञान मे आया कि ये व्यभिचार मे भी लिप्त थे। पता नही कितने लड़कियों को अपने मर्दानगी से प्रभावित किया !
शहर मे घर किराए पर लेने का कारण क्या हो सकता है ? बिजनेस परपज के लिए या अय्याशी के लिए ?
वैसे रियल स्टेट का बिजनेस इन्हे अवश्य सुट करेगा । मनी पावर के साथ मैन पावर भी इन्हे हासिल है ।
और ये मोनिका देवी की क्या कहानी है ? कहीं जबरदस्ती पल्ले तो नही बांध दी गई महेश कुमार को ?

बहुत ही बेहतरीन अपडेट ठाकुर साहब।
आउटस्टैंडिंग अपडेट।

Nice update....

Mahesh or Ajay ki bonding mast lagi
Mahesh ki Shaadi ki pehli Raat dande se pitayi ho gayi yeh kon si rasm h bhala dhoolan apne pati ko hi Pite woh bhi pehli Raat ko
Baherhal Ajay sahab ko direction Mili h dekhte h ab yeh direction in sahab ko kidher kidher le jaati
Badhiya update bhai shaandar


Nice update 😍
Sanki Rajput
Update 25 is posted :check:
iske baad college wala past ayega :jump:
 
Top