Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 41
"Wapsi 2"
Bhuvan ki baat sun ke sab khushi se uchal padte hain....
Mehek : Wow.... Ye to behad khushi ki baat hai....
Moni : Is baat pe to Party honi chahiye....
Party sun ke sab khush ho jaate hain....
Wahin koi hai jiske chehre pe is waqt narazgi hai.... Sath hi uski aankhen bhi nam hai... Jaise hi Sultaan ki nazar uspe padti hai use dekh ke Sultaan ka dil tadap jaata hai aur wo us se poochne hi waala hota hai ki tabhi wo apne room ki taraf chali jaati hai....
Dadi : Party Shaam ko kar lena abhi Sultaan ko araam karne do....
Sultaan apne room ki taraf chal deta hai.... Wahan use Mohini nazar aati hai jo bed pe baithi ro rahi thi.... Sultaan uske kareeb jaa ke uske paas baith jaata hai aur uske aansu poch ke us se kuch kehne hi waala ho ta hai ki tabhi Mohini kas ke use seene se lipat ke rone lagti hai....
Sultaan use chup karane ki bahut koshish karta hai magar wo chup hi nahi ho rahi hai.... Kuch der rone ke baad wo gussa dikhate hue Sultaan se sawaal karti hai...
Mohini : Ye sab karne se pehle tum ne ek baar bhi nahi socha ki agar tumhe kuch ho jaata to hamara kya hota.... Maa to jeete ji mar jaati.... Aur main.... Tumhe ek baar bhi mera khayaal nahi aaya....?
Sultaan : Wo bhi koi gair nahi hain.... Apne hi hain ye alag baat hai ki unhone mujhe apna nahi maana.... Magar phir bhi wo apne hi hain.... Main unhe kaise marne deta....
Mohini : Sab ka khayal hai tumhe magar mera kya haan....? Aur kin apno ki baat kar rahe ho.... Wo jinke liye tumne kya kuch nahi kiya apni jaan pe khel ke unki jaan bachayi..... aur badle me unhone kya kiya.... Dusro ki baaton me aa ke tumhari beizzati ki.... Sab ke saamne tumhe zaleel kiya.... Har baar har jagah tumhare sath aisa hi hua.... Phir kyun....?
Sultaan : Is kyun ka jawab nahi hai mere paas.... Bas itna kehna chahunga ki jise bhi main apna maanta hoon use takleef me nahi dekh sakta unke liye jo bhi ban pade main karta hoon.... Chahe iske liye mujhe kuch bhi kyun na karna pade....
Mohini : Aur humara kya....? Hum sab ke liye tumhare dil me kuch nahi hai.... Kya tumne kabhi socha hai ki agar tumhe kuch ho gaya to humara kya hoga.....? Main to jeete jee....
Abhi wo itna hi keh paayi thi ki tabhi Sultaan use chup kara deta hai.... Wo uske honthon ko apne muh me le ke use pyar se choosne lagta hai.... Mohini gusse me us se alag hone ki koshish karti hai magar Sultaan use apni bahon me aur bhi mazbooti se kas leta hai.... Dheere dheere Mohini kiss me madhosh ho ke uska sath dene lagti hai.... Dono ek dusre me kho se jaate hai.... Unhe kisi ka hosh hi nahi bas shiddat se ek dusre ke honthon ko choosne me lage hue hain.... Tabhi kisi ki awaaz sun ke unhe hosh aata hai aur wo alag hote hain....
Mehek : Yaar aap dono bhi na kabhi bhi kahin bhi shuru ho jaate ho.... Ye bhi nahi dekhte ki darwaza khula hai.... Meri jagah koi aur hota to....
Mohini : Isme meri galti nahi hai..... Sultaan hi achanak se mujhe kiss karne laga....
Sultaan : Achha ji sab maine kiya jaise tumhe to kiss karna hi nahi tha na...
Mohini aankhen nachate hue kehti hai....
Mohini : Maine aisa to nahi kaha....
Mehek : Aaj kal Sultaan kiss kaafi achha karna seekh gaya hai... Waise bua aap bhi kuch kam nahi ho.... Kyun Bua maine theek kaha na...?
Mehek ki baat sun ke Mohini sharma jaati hai....
Sultaan : Jab ustaad itna Shandaar ho to shaagird to kamaal karega hi....
Mehek : Ye ustaad kaun hai....?
Abhi Mehek itna hi keh paayi thi ki tabhi hairat se uski aankhen badi ho jaati hain....
Sultaan use aage badh ke apni agosh me le leta hai aur uske honthon ko pyar se apne muh me le ke use choosne lagta hai.... Mehek pehle to kuch samajh nahi aata magar phir wo bhi kiss me Sultaan ka sath dene lagti hai.... Wo bhi badi shiddat se Sultaan ko kiss karne lagti hai.... Dono kiss me kho jaate hain.... kareeb 10 minutes tak ek dusre ko kiss karne ke baad jab unki saans ukhadne lagti hai tab kahin jaa ke wo ek dusre se alag hote hain....
Mohini muskurate hue dono ko dekhe jaa rahi hai....
Mohini : kya baat hai abhi abhi koi mujhe bada sikha raha tha ki waqt aur jagah dekhna chahiye.... Aur ab kya hua....?
Mehek Sharmate hue : kya karun Bua Sultaan hai hi itna Pyara ki ise dekh ke kuch hosh hi nahi rahta.... Dil karta hai bas iske pyar me kho ke is pe jee bhar ke apna pyar lutaun..... Aur waise bhi ye dusri baar hua hai jab Sultaan ne khud mujhe kiss kiya hai.... Warna to ab tak main hi ise kiss kiya karti thi....
Mohini : Tu ne kiya ya isne kiya ek hi baat hai....
Mehek : Baat to aap ki sahi hai Bua magar pyar karne me aur pyar paane me bahut fark hota hai.... Ab tak sirf main hi Sultaan se pyar karti thi... Magar ab Sultaan bhi mujhe utna hi chahta hai.... Iska pyar paa ke main bahut khush hoon.... Bahut... I love you Sultaan.... I love you...
Ye keh ke wo Sultaan ke seene se lipat jaati hai....
Idhar Pankaj aur Jeetu ka baaki gundon ke sath Hospital me ilaaj chal raha hai.... Ilaaj ke baad inhe yahan se Hawalaat me lejaya jaayega.... Jab Pankaj ke pita aur Jeetu ke ghar waalon ko is sab ke baare me pata chalta hai to wo sab daurte hue Hospital ki taraf jaate hain..... wahan apne bachon ka haal dekh ke unhe behad gussa aane lagta hai.... Khaas kar ke Jeetu ke pita.... Pranay Gulati....
Pranay Gulati Gusse me : Kiski itni himmat hui mere bete pe hath uthane ki....? Main use zinda nahi chorunga.... Uski jaan le lunga.... Usne mere bate pe hath uthaya hai.... PG Group ke waaris pe....
Wahan maujood logon se unhe poori baat ka pata chalta hai.... Ki kaise Sultaan ne ek call kar ke unke hath se Sk Group ka wo project cheen liya.... Phir aage kya kya hua wo sab bhi.... Sab sun ne ke baad Pranay Gulati ko behad gussa aane lagta hai.... Wo gusse me apne gundon se Sultaan ko jaan se maarne ko kehta hai....
Puneet Gulati : Ruk jaao.... Abhi koi kuch nahi karega.... Aur is tarha se to bilkul bhi nahi....
Apne bade bhai ki baat sun ke Pranay Chonk jaata hai....
Pranay : Bhai aap ye kya keh rahe hain....? Us kameene ne mere bete ko maara hai use jaane doon.... Kya uske sath kuch nahi kiya jaayega....?
Puneet : Maine aisa kab kaha ki use hum aise hi jaane denge.... Uske sath kuch nahi karenge.... Balki uska to hum wo haal karenge ki phir kabhi koi humare sath kuch galat karna to dur humare saamne sar utha ke dekhne se bhi darega.... Magar is tarha josh me nahi.... Balki poore hosh me reh ke hum ko ye kaam karna hoga....
Pranay : Ek mamooli se ladke ke liye aap itna kyun soch rahe hain.... Wo saala harami jiske na baap ka pata hai na khandaan ka.... Ek gandi naali ka keeda hai wo... Humare saamne to uski koi aukad hi nahi.... Humare liye wo ek mamooli chooti ki tarha hai jise hum jab chahe masal sakte hain....
Puneet : Tum shayad ye bhool rahe ho ki ek mamooli chooti bhi bade se bade hathi ko maar sakti hai.... Jise tum mamooli samajhne ki galti kar rahe ho mujhe nahi lagta ki wo itna bhi mamooli hai.... Zara socho jiske ek phone call se humare hath me aaya hua Sk Group ka Project itni asaani se kisi dusre ko mil gaya... Kya wo mamooli ho sakta hai.... Usme kuch to baat zaroor hai.... Uske baare me Kuch to aisa hai jo hum nahi jaante.... Pehle us baat ka pata karo.... Pata karo ki usne ek call karke humare hath me aaya Project hum se kaise cheen liya.....? Pata karo ki ye Mr. Mukesh kaun hai....? Is ladke ka us se kya rishta hai....? Kyun is ke kehne pe Mr. Mukesh ne wo Project kisi aur ko de diya....? Aakir is sab ka kya raaz hai....? Phir kahin jaa ke hum ye taye kar paayenge ki is se kaise badla lena hai.... Aise bina poori baat jaane uspe waar karna sahi nahi hoga....
Apne bade bhai ki baat Pranay ko sahi lagti hai.... Magar apne bete ka aisa haal dekh ke use gussa bhi bahut aa raha hai..... Badi mushkil se wo apne gusse ko kaabu karta hai....
Pranay : Shayad aap sahi keh rahe hain....
Puneet : Sab se pehle Jeetu aur Pankaj ki bail ka intezaam karwaao.... aur Ek top class ke Private Detective ko hire karo jo us ladke ke baare me poori jaankari nikaal sake.... Phir hum ye taye kar paayenge ki us kameene se kaise badla lena hai....?
Idhar Sultaan aur baaki sab taiyaar ho ke Party me jaane ke liye hall me jama hote hain.....
Mehek : Waise hum jaa kahan rahe hain....?
Bhuvan Mama : ******* Hotel...
Sultaan : Ji nahi Hum wahan nahi balki ****** Hotel jaa rahe hain... Wahan maine hum sab ke liye pehle hi ek Table book karwa diya hai....
Sultaan ke muh se hotel ka naam sun ke sab shock ho jaate hain....
Mehek : kya kaha ****** Hotel....!!!!
Sultaan : Haan....
Bhuvan : Magar wo to bahut bada aur mehnga hotel hai.... Wahan to sirf bade bade Rais paise waale log hi jaate hai....
Sultaan : To hum kaun sa kisi se kum hain..... Jab baat itni badi hai to Party bhi badi hi honi chahiye.... Kyun Mehek main theek kaha na...
Mehek khushi se uchalte hue : Tu kabhi kuch galat keh sakta hai kya....? Aur waise bhi pehle ki bhi do party baaki hai....
Bhuvan : Magar.....
Sultaan : koi agar magar nahi.... Main kaha Party yahan hogi to yahin hogi.... Ye mera bhi ghar hai aur aap sab mere apne hain.... Mera mere apno pe itna to haq banta hi hai.... Ya phir un logon ki tarha aap sab bhu mujhe apna nahi maante....
Ye kehte hi Sultaan ki aankhen nam ho jaati hain.... Jise dekh wahan maujood sabhi ka dil tadap jaata hai.... Dadi foran aage badh ke Sultaan ko aone seene se laga ke kehti hai....
Dadi : Aaj keh diya dobara aisa nahi kehna.... Tu mera sachha Pota hai aur ye ghar hi nahi yahan rehne waala har koi tera apna hai.... Tera hum sab pe poora haq hai....
Sultaan : Nahi aisa nahi hai... Aap bas kehne ke liye aisa keh rahi hain....
Dadi : Nahi Sultaan maine abhi jo kaha uska ek ek lafz sach hai....
Sultaan : Achha agar aisa hai to phir waada kijiye ki ab se main jo karun koi mujhe nahi rokega.... Aap sab meri har baat maanege mujhe kabhi bhi kisi cheez ke liye inkaar nahi karenge.... Waada kijiye mujhse....
Ye keh ke Sultaan Dadi ki taraf apna hath badh ke unse waada karne ko kehta hai.... Sultaan ki baat sun ke Daddu aur Bhuvan Mama ko ye samajhte der nahi lagti ki Sultaan Dadi ko apni baaton me phasa ke unse waada le raha hai... Is se pehle ki wo unhe rok paate.... Dadi Sultaan ka hath tham ke us se wada kar deti hai.... Ye dekh Daddu aur Bhuvan Mama apna sar peet lete hain.....
Bhuvan Mama : Ye kya kiya maa aap ne.... Kam se wada karne se pehle ek baar soch to leti....
Dadi : Kyun aisa kya galat kar diya maine.... Ek waada hi to kiya hai....
Bhuvan Mama : Haan ye sach hai ki ye Sirf ek waada hai.... Magar iske peeche ki badi baat aap nahi samjhi....
Dadi : Matlab....?
Bhuvan Mama : Matlab ye ki Sultaan bada chalaak hai isne jaan booch ke aap se aisa waada liya taaki aap aur hum chah ke bhi iski kisi baat se inkaar nahi kar saken.... Ye jo chahe kar sakta hai ise har cheez ki azaadi hogi....
Bhuvan ki baat sun ke sab Sultaan ki.taraf dekhne lagte hain.... Khaas kar ke Dadi....
Sultaan : Aap sab aise kya dekh rahe ho.... Dadi aap ne waada kiya hai ab aap is se mukar nahi sakti.... Ab agar kisi ne na kaha to main naraaz ho jaaunga....
Dadi : Tu na Sultaan bada chalaak hai tu ne aakhir mujhe apni baaton me phasa hi liya....
Sultaan : Dadi ye sab maine bas ek hi lalach ki wajah se kiya aur wo aap sab ka pyar aur sath.... Jiski mujhe chahat hai....
Dadi : Achha agar aisi hi baat hai to phir hum bhi laalchi hain.... Tujhe bhi hum se ye waada karna hoga ki chahe jo ho jaaye tu kabhi bhi hum se dur nahi jaayega.... Aur na hi kabhi hum se ye rishta todega... Waada kar mujhse....
Sultaan : Main waada karta hoon chahe kuch bhi kuch na ho jaaye main hamesha aap sab ke sath rahunga kabhi aap sab se alag nahi hounga....
Sultaan ki baat sun ke Dadi use apne seene se laga leti hai.... Aur wo sab chal dete hain Party karne....
Aaj 2 din baad Sultaan ka hath aur uske zakhm kaafi had tak theek ho gaye hain.... Aur wo wapis apne Sheher jaane ke liye ready hai....
Sultaan : Dadi mujhe aap se behad zaroori baat karni hai.... Main itne dino se dekh raha hoon ki aaj kal Mohini kaafi badal gayi hai.... Wo ab pehle jaisi nahi rahi.... Pehle wo khul ke jeeti thi..... Sab ke sath har khushi me shamil hoti thi.... Magar ab to unhe dekh ke aisa lagta hai jaise unhone jeena hi chor diya hai.... Har pal wo udaas rehti hain..... Na kisi se baat karti hain na hi kisi baat ya khushi me shamil hoti hain.... Party ki hi baat le lo sab ke sath wo bhi us party me shamil thi..... Magar wo wahan ho ke bhi wahan nahi thi.... Aaj bhi wo behad udaas hain.... Dekhiye gaur se unhe dekh ke aisa lagta hai jaise ki unhone jeene ki aas hi chor di hai.... Mujhe lagta hai jab se wo hadsa (Pati ki maut aur unke Saas Sasur ka kand) hua hai tab se unhone jeena hi chor diya....
Dadi : Haan baat to teri sahi hai... Mujhe bhi aisa hi lagta hai.... Maine use samjhane ki bahut koshish ki magar wo na koi baat samajh rahi hai na hi kuch sun rahi hai..... Meri baat ko wo sun ke bhi unsuna kar rahi hai.... Samajh nahi aa raha hai ki kya karun....? Aisa kya karun jis se meri beti pehle jaise jeene lage....
Sultaan : Ek raasta hai agar aap ko theek lage to.....
Dadi : Bata mujhe wo kya rasta hai.... Apni beti ki khushi ke liye mujhe sab manzoor hai.....
Sultaan : Jaise ki aaj Main Mehek aur Moni wapas jaane waale hain.... Main soch raha hoon ki kyun na aap Mohini ko bhi humare sath bhej de.... Jagah badlegi log badlenge mahaul badlega to ho sakta hai unka mood bhi badal jaaye wo aise gumsum rehne ke bajaye jee uthe.... Main to kehta hoon ki unhe koi Company join kar leni chahiye.... Wo kaafi padhi likhi hain unke araam se kahin bhi job mil jaayegi.... Kaam me busy rehengi to unka dhyaan bhi pichli baaton me na jaa ke apne kaam aur baaki sab me laga rahega.... Is se unhe pichle hadson se bahar nikalne me bhi madat milegi....
Bhuvan : Kaam to wo yahan bhi kar sakti hai.... Uske liye dur jaane ki kya zaroorat hai....
Sultaan : Yahan sab ke sath reh ke wo kaam to kar lengi magar khud ko apne ateet se alag nahi kar paayengi.... Unhe baar baar wo sab hi yaad aane lagega.... Unke liye yahi theek rahega ki kuch waqt ke liye wo yahan se dur rahe.... Taaki wo apne ateet ko bhool ke khul ke jee sake....
Kaafi der tak sochne ke baad Dadi kehti hai....
Bhuvan : Sultaan sahi keh raha hai.... Mujhe bhi aisa hi lag raha hai ki yahan se dur reh ke Mohini apne ateet ko bhool ke apne jeevan me aage badh sakti hai....
Daddu : Main bhi Sultaan ki baat se sehmat hoon...
Dadi : To phir theek hai.... Inke sath Mohini bhi jaayegi.... (Sultaan ki taraf dekh ke) waada kar mujhse ki tu Mohini ka poora khayaal rakhega.... Use koi takleef nahi hone dega.... Use pehle jaisa hasta khelta bana dega....
Sultaan : Main waada karta hoon.... Ab se Mohini ki poori zimmedari meri hogi.... Mohini hi nahi Mehek aur Moni ki bhi zimmedari meri hi hogi....
Dadi : Mohini jaldi se apna samaan pack kar le... Tu bhi inke sath jaa rahi hai....
Mohini jo dur khadi in sab ki baaten sun rahi thi wo khushi se uchal padti hai.... Wo foran khushi se uchalti hui aone room ki taraf daud jaati hai.... Jise dekh sab ko yakeen ho jaata hai ki jo faisla unhone Mohini ke liye kiya hai wo sahi hai....
Mohini jaldi se room me aake apna samaan pack karne lagti hai.... Jaise hi unke peeche Sultaan room me aata hai use dekhte hi wo uske seene se lipat ke use kiss karne lagti hai.... Kuch der tak uske honthon ko choosne ke baad wo us se alag hoti hai....
Sultaan : Dekha maine kaha tha na Dadi khud tumhe mere sath jaane ko kahegi.... Ab to khush ho na....
Mohini : Haan ab main bahut khush hoon....
Sultaan : Chalo ab jaldi se samaan pack kar lo hum already bahut late hain....
Kuch der baad wo sab taiyaar ho ke bahar aate hain.... Bhuvan ke sath Daddu aur Dadi bhi unke sath car me baithne lagte hain....
Mehek : Naanu aap bhi humare sath aa rahe hain kya....?
Dadi : Nahi hum bas tum sab ke sath paas me Mahadev ke mandir chal rahe hain... Taaki wahan pe tum sab ke liye pooja karwayi jaa sake....
Bhuvan Mama : Mahadev ka mandir.... Us mandir ke baare me maine bahut kuch suna hai wahan sache man jo dua maangi jaaye wo zaroor poori hoti hai....
Mehek : Phir to main wahan jaaungi bhi aur Dua bhi maangu gi....
Daddu : Magar tujhe to Mandir jaana pasand nahi tha na phir achanak se kaise....?
Mehek : Haan mujhe Mandir jaana Pasand nahi tha magar ab main wahan jaaungi... Main bhi to dekhun ki Dua poori hone waali jo baat aap sab keh rahe hai usme kitni sachayi hai.... Ye sab sirf baaten hi hain ya sach me aisa kuch hota bhi hai....
Dadi : Ye nahi sudharne waali ye pehle jaisi hi hai ab tak nahi baldi.... Jaane iska Bholenath ke sath kya bair hai..... Lakh samjha lo ise magar ye hain ki maanti hi nahi....
Mehek gusse me apne muh banate hue kehti hai....
Mehek : Dadi aap phir se shuru ho gayi.... Aap ko pata hai na kya hua tha.... phir bhi aap ye sab keh rahi hain....
Dadi : Achha baba nahi kehti.... Main to bas isi baat se khush hoon ki aaj saalo baad aakir tu Bholenath ke mandir jaa to rahi hai.... Mere liye itna hi kaafi hai....
Sultaan jo kaafi der se inki baaten sun raha tha wo aakhir pooch baithta hai....
Sultaan : Aisi kya baat hai jisko le ke Aap dono is tarha se behes kar rahi hain....
Is se pehle ki Dadi kuch kehti Mehek apna muh banate hue kehti hai.....
Mehek : Wo purani baat thi.... Ab us jikr karne ka koi matlab nahi....
Mehek ko gusse me dekh Sultaan use kuch kehna chahta hai magar Dadi use is waqt kuch bhi kehne se mana kar deti hai.... Sultaan bhi baad me baat karne ka soch ke khamosh ho jaata hai....
Jald hi wo log Mahadev ke mandir pahunch jaate hain.... Mandir kaafi bada aur bhavya hai uski khoobsurati dekhte hi ban rahi hai.... Use dekhte hi koi bhi usme kho sa jaaye.... Baaki sab ke sath sath Sultaan bhi uski khoobsurati me kho sa jaata hai.... Wo wahin bahar khade khade ek tak use dekhta rehta hai.... Dadi ke hilane se uski tantra toot ti hai....
Dadi : kya hua Sultaan tu achanak se yahan kyun ruk gaya....? Under chal....
Sultaan : Haan haan Chaliye.....
Ye keh ke Sultaan jaise hi mandir ke under apna kadam rakhta hai uske use ek tez Current sa lagta hai.... sath hi Mandir ke dono kono se Safed aur Gulabi rang ki tez roshni nikal ke Sultaan ki taraf badhne lagti hai.... Is waqt Wahan ka mahaul ajeeb sa bana hua hai.... Sab kuch jaise tham sa gaya.... Jo jaise tha waise hi Statue sa ban gaya hai.... Sultaan ko samajh nahi aa raha hai ki aakhir ye sab kya aur kyun ho raha hai.... Wo abhi kuch samajh hi nahi paaya tha ki tabhi wo roshni uske kareeb aa ke uske jism ke ird gird tezi se ghoomne lagti hai.... Jise dekh Sultaan ko dar sa lagne lagta hai.... wo chah raha hai ki is se dur bhaag jaaye magar wo aisa kar nahi paa raha haim.... Un dono roshni ne use chaaro taraf se gher jo rakha hai.... Achanak se wo roshni Sultaan ko peeche se dhakelte hue aage ki taraf le jaane lagti hai.... Sultaan chah ke bhi khud ko rok nahi paa raha hai.... Jab Sultaan rukne ki koshish karta hai tab wo roshni uski peeth se takraati hai jis se use tez jhatka sa lagta hai aur wo uchal ke aage ki taraf girta hai.... Wo roshni phir se uske jism se takrati hai aur ek baar phir se use dhakelte hue aage ki taraf le jaane lagti hai.... Dheere dheere us Roshni ka rang gulabi se laal hone lagta hai.... Sath hi usme se tez garmi nikalne lagti hai.... Wo ek aag ke gole me badal jaati hai aur baar baar Sultaan ki peth se takrate hue jhatke dene ke sath sath uski peeth ko bhi jalane lagti hai.... Us se khud ko bachane ke liye Sultaan tezi se aage ki badhta jaata hai.... Wo zor zor se chillate hue logon ko madat ke liye pukaar raha hai magar koi uski awaaz nahi sun paa raha hai.... Sab Statue bane khade hue hain..... Kisi ko kuch pata hi nahi ki aakhir Sultaan ke sath ho kya raha hai....?
Saamne Sultaan ko Safed rang ka Shivling nazar aata hai jiske ird gird bada sa 7 sar waala naag lipta hua hai..... Usne apne saaton sar se Shivling ke uperi hisse ko dhaka hua hai.... Us Shivling se tez thandak si nikal rahi hai... Jo Sultaan ko mehsus hone lagti hai.... Peeche se aag ki tez garmi aur saamne se Shivling se nikalti thandak.... Sultaan ko samajh nahi aa raha hai ki aakhir ye sab kya aur kyun ho raha hai.... Achanak se wo kya dekhta hai ki us Bade se naag ke beech waale sar me se ek Badi si Mani nikal ke charo taraf satrangi roshni phaila rahi hai.... Sultaan ke pheche jo aag ka gola hai wo use dhakelte hue us Shivling ki taraf le jaane lagta hai.... Na chahte hue bhi Sultaan dard se tadapte hue us Shivling ki taraf badhta hi jaa raha hai.... Dheere dheere wo uske behad kareeb pahunch jaata hai.... Shivling se jism ko jama dene waali thandak nikal ke Sultaan ke jism ke saamne ke hisse ko barf ki tarha jamane lagti hai.... Peeth ki taraf se aag ki bhayanak garmi aur saamne se aa rahi Barfeeli thandak is sab se Sultaan pareshan ho jaata hai use. Samajh hi nahi aa raha hai ki aakhir wo is sab se khud ko bachaye to bachaye kaise....? Wo abhi ye soch hi raha tha ki tabhi achanak se mausam badalne lagta hai... Aasmaan me kaale baadal chaane lagte hain.... Tez aur dhamakedar bijli kadakne lagti hai.... Jiski awaaz dil ko dehla dene waali hai....
Wahin kuch dur ek jungle ke paas ek purani kutiya me Yogi tapasya me leen baithe the.... Achanak se bijli ke kadakne ki dhamakedaar awaaz sun ke uski tantra bhang ho jaati hai.... Aur wo foran apni kutiya se bahar nikal ke chaaro taraf dekhte hain.... Bahar ka nazara dekh ke hairat se unki aankhen badi ho jaati hain.... Aasmaan me kaale baadal chaye hue hain.... Mahadev ke mandir se tez satrangi roshni nikal rahi hai.... Sath jism ko jala dene waali aag ki tez garmi aur jism ko jama dene waali barfeeli thandak ka tez ehsaas ho raha hai.... Ye dekh Achanak se unhe kuch yaad aata hai... Wo wahin ghutno ke bal zameen pe gir jaate hain... Unki aankhon se aansu behne lagte hain sath hi unke honthon pe muskaan phail jaati hai.... Wo hans bhi rahi hai aur ro bhi rahe hain.... Unhe is baat pe yakeen nahi ho raha hai.... Magar saamne ka nazara dekh ke wo us se inkaar bhi nahi kar paa rahe hain.... Wo foran apni aankhen band kar ke kuch mantra padte hain aur hawa me apna hath ghuma dete hain.... Unke hath se nikla bhasam saamne hawa me mil ke ek aakriti me badalne lagta hai.... Jab wo aakriti poori ho jaati hai tab use dekh ke Yogi ki aankhen aashcharya se aur bhi badi ho jaati hain.... Unka poora jism kampne lagta hai.... Unke muh se toote phoote lafz nikalne lagte hain....
Yogi : W... W.... Wo... Wo.... aa gaya.... Aakhir Su... Su... Sultaaaaaaaaan.... Laut aaya....
Ye keh ke wo zameen se uth ke Mahadev ke mandir ki taraf jaane lagte hain.... Wo rote hue honthon pe muskaan liye badbadate hue Mandir ki taraf badhte jaa rahe hain....
Yogi : W... W.... Wo... Wo.... aa gaya.... Aakhir Su... Su... Sultaaaaaaaaan.... Laut aaya....
Idhar Sultaan dard se tadapte hue Shivling ke behad kareeb pahunch jaata hai.... Tabhi Achanak se Shivling se lipta Naag apne vaastavik roop me aa jaata hai.... Uska vishalkaaye aur bhanak roop dekh ke Sultaan buri tarha se dar jaata hai use samajh nahi aa raha hai ki wo kare to kya kare.... Kaise khud ko is sab se bachaye....? Peeche Aag aur saamne Barf ki thandak ye kya kam tha jo ab ye Vishalkaaye Naag bhi uski jaan lene aa gaya.... Sultaan ko apni maut saamne saaf nazar aane lagti hai..... Is se pehle ki wo khud ko bachane ke liye kuch kar paata achanak se wo aag tezi se ghoomte hue uski peeth se takra ke uske jism me sama jaati hai.... Theek tabhi Shivling se bhi neeli aur safed thandi roshni nikal ke Sultaan ke seene se takraate hue uske jism me sama jaati hai.... Jis se use ek tez jhatka sa lagta hai aur wo zor se hawa me uchal jaata hai.... Sath hi uske muh se dardnaak cheekh nikal jaati hai... Magar uska jism zyada uper tak nahi jaa paata.... Uper ki taraf se wo Vishalkaaye naag Sultaan pe waar karta hai..... Naag ke tez nukile daant Sultaan ke sar me ghus jaate hain.... Sath hi Naag ke sar me lagi Mani Sultaan ke sar pe girti hai aur wo uske Sar me sama jaati hai..... Theek tabhi ek tez dhamaka hota hai.... Charo taraf aankhon ko chundhiya dene waali roshni phail jaati hai aur dil ko dehla dene waala dhamaka goonj uthta hai.... Is sab ko wo Yogi bhi bardasht nahi kar paate wo udte hue dur jaa girte hain....
Sultaan ke jism se laal safed aur Neele rang ki roshni nikal rahi hai sath hi uske Sar se Satrangi roshni nikal ke poore mandir me phail jaati hai.... Phir dheere dheere wo sab uske jism me samane lagti hai.... Sultaan us sab ko bardasht nahi kar paata..... Dard se tadapte hue wo behosh ho jaata hai..... Laal Roshni Sultaan ke jism ki peeth pe Trishul ke tattoo ka roop le leti hai.... Neeli roshni Sultaan ki Neeli aankhon ko aur bhi gehre neele rang me badal deti hai.... rahi baat us mani ki to wo Sultaan ke Sar me sama ke uske Right hath pe Ek Naag ke Tattoo ke roop me aa jaati hai.... Kuch der me wahan ka mahaul poori tarha se theek ho jaata hai.... Sath hi Sultaan ko hosh bhi aa jaata hai.... use apna jism kuch bhaari bhaari sa mehsus ho raha hai.... Wo chonk ke idhar udhar dekhne lagta hai.... Use sab normal nazar aata hai.... Ye dekh use badi hairaani si hoti hai.... Use samajh nahi aa raha hai ki abhi jo bhi kuch hua tha wo sach tha ya phir ek sapna.... Wo apna jism dekhta hai jo pehle se kayi zyada mazboot aur aakarshak nazar aa raha hai.... Uske baal kuch lambe ho gaye hain.... Sath hi use ek alag hi ehsaas ho raha hai.... Na hi use is waqt aag ki jalan ho rahi hai aur na hi use thandak mehsus ho rahi hai..... Bas ek cheez badli hai aur wo ye ki kuch der pehle saamne Shivling se ek naag lipta hua tha wo is waqt wahan maujood nahi hai.... Baaki sab pehle jaisa hi hai....
Sultaan is sab ko abhi samajh hi nahi paaya tha ki tabhi use wahin mandir ke dusri taraf kuch bheed si nazar aati hai sath hi wahan se kuch awaazen bhi use sunayi dene lagti hain.... Sultaan uth ke us taraf chal deta hai.... wahan pahunch ke wo jo dekhta hai use dekh ke use pichli baaten yaad aane lagti hai.....
Yahan is waqt Group Vivah ho raha hai.... Jise dekh Sultaan ko us waqt ki yaad aane lagti hai jab isi tarha Group Vivah me uski aur Sweety ki Shadi hui thi..... Is waqt use saamne wo hi nazara baar nazar aane lagta hai.... Baar baar use aisa lag raha hai jaise ki Pandit ji use dulhan ki maang me Sindoor laga ke gale me Mangalsutra pehnane ko keh rahe hain....
Idhar mandir me pooja karne ke baad sab wahan se bahar ki taraf chalne lagte hain...
Dadi : Ye Sultaan kahan chala gaya abhi to yahin tha....? Mehek dekh to sahi Sultaan kahan hai....
Dadi ki baat sun ke Mehek Sultaan ko dhoondhne chal deti hai.... Moni bhi uske peeche peeche chali jaati hai....
Dadi : Ye dono ladki bhi na.... Kam se kam pooja ki thaali to yahan rakh ke jaati....
Idhar Sultaan Sweety ke sath apni Shadi ke khayaalon me khoya hua hai... Use kuch hosh hi nahi hai.... Use bas kuch nazar aa raha hai to wo hai uski aur Sweety ki Shadi.... Ji is waqt ho rahi hai... Wo dono Shadi ka joda pehne hawan kund ke saamne baithe hue hain aur Pandit ji shadi ke matra padh rahe hain.... Dheere dheere Shadi sampoorn hone lagti hai....
Idhar Mehek har taraf Sultaan ko dhoondh rahi hai magar wo use kahin nazar nahi aa raha hai..... Tabhi Moni ki nazar Sultaan pe padti hai....
Moni : Wo raha Sultaan....
Moni ka ishara paa ke Mehek bhi Sultaan ki dekhti hai.... Magar use is tarha se Statue bane khade dekh use badi hairaani si hoti hai.....
Mehek : Ise kya hua....? Ye is tarha se Statue ban ke kyun khada hai....?
Moni : Kya pata....? Chal chal ke dekhte hain....
Dono foran Sultaan ke kareeb pahunch jaate hain.... Is se pehle ki wo Sultaan se kuch keh paate Sultaan wo karta jise dekh dono buri tarha se shock ho jaate hain.....??????