Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 58
Padma : Jis Ladki ko Sultaan ne apne dil ki gehraiyon se chaha.... Wo hai to Sultaan hai.... Uske bina Sultaan ka koi wajood hi nahi... Wo Ladki Sultaan ke jeene ki wajah hai.... Sultaan ki tarha wo ladki bhi Sultaan ko dil ki gehraiyon se pyar karti hai.... Sirf aur Sirf Sultaan ke liye hi wo is duniya me aayi hai.... Jiski maang Sultaan ne ek nahi balki uper waale ki marzi se 3 baar bhari.... jaanti ho uska naam kya hai....? Sultaan ki us Diwaani ka naam hai....
Is se pehle ki Padma aage kuch kehti Ward ka darwaza khulta hai.... Geeta maa ke sath Sab under aate hain.... Sab ko dekh ke jahan Sultaan ko behad khushi ho rahi hai wahin Mehek ka Chehra gusse se laal bana hua hai....
Mehek chidte hue : In sab ko bhi abhi aana tha....? Jab aana chahiye tha tab to maze se so rahe the.... Aur dekho maze se apni neend poori karke ab aa rahe hain.... Thodi aur der se aate to inka kya bigad jaata... Magar nahi in sab ko to abhi aana tha.... Ek to pehle hi Sultaan ke Bachpan ka pyar aur uski 3 baar usi se Shadi waali baat ko le ke mera dimaag pehle se hi kharaab bana hua hai Uper se ye sab aa gaye.... Padma maa us ladki ka batane hi waali thi ki ye sab beech me aa gaye.... Wo ladki kya kam thi jo ye sab bhi....
Mehek ki baaten sun ke khaas kar ke use yun chidte dekh Padma ko bada maza aa raha hai.... Kuch der tak Mehek yun hi apne aap me badbadati rehti hai... Phir jab uska gussa kuch kam hota hai tab.....
Mehek : Khair jo bhi ho ye sab koi gair nahi mere apne hi hain.... Inse kya naraazgi.... Naraazgi to us ladki se bhi nahi hai.... Isme us masoom ki kya galti.... Sultaan hai hi itna Smart Dashing aur Handsome ki use dekhte hi koi bhi ladki us se pyar karne lagegi.... Aur ye to wo hai jise Sultaan ne khud chuna..... Us se pyar kiya.... Sacha Pyar.... Pyar to Sultaan mujhse bhi karta hai.... Magar us se Sultaan tab se pyar karta aa raha hai jab use Pyar ka matlab bhi pata nahi tha.... Aur to aur un dono ki Shadi uper waale ki marzi se hui.... Shadi to meri bhi Sultaan se Uper waale ki marzi si hi hui thi wo bhi unke sab se bade Mandir me unke saamne..... Ye ghar waale bhi na inko bhi abhi aana tha.... Padma maa us ladki ka naam batane hi waali thi ki tabhi achanak se sab aa dhamke.... Thoda late aate to kam se kam mujhe ud ladki ka naam to pata chal jaata.... Chalo abhi nahi to baad me hi sahi magar kaise bhi kar ke main us ladki ka pata laga ke rahungi.... Main bhi to dekhun aakhir wo hai kaun jise Sultaan bachpan se Pyar karta aa raha hai.... Aur to aur Padma maa bhi uski tareef karte nahi thak rahi thi....
Mehek ka aisa haal dekh ke Padma ke sath sath Sultaan ko bhi bura lag raha hai sath hi maza bhi behad aa raha hai.... Padma ke sath sath Sultaan ke honthon pe ek pyari si muskaan phail jaati hai....
Sab Sultaan ko chaaro taraf se gher ke khade ho jaate hain.... Dadi aage badh ke Sultaan ke paas jaati hai aur rote hue uska haal chaal poochne lagti hai....
Dadi : kaisa hai Sultaan tu....? Theek to hai na....? Zyada dard to nahi ho raha hai na....?
Aur na jaane kitne hi sawaal wo rote hue Sultaan se karne lagti hain..... Unhe yun rote dekh Sultaan ko achha nahi lagta....
Sultaan : Dadi main theek hoon....
Dadi : Tujhe Goli lagi thi.... Kitna khoon nikla tha.... Tera Operation hua hai.... Tujhe kitna dard hua hoga.... aur tu keh raha hai ki tu theek hai....
Sultaan : Sahi kaha aap ne dard to mujhe ho raha hai.... Mere jism pe lage ghav se nahi balki aapki aur yahan maujood sabhi ki aankhon se behte aansuon ko dekh ke mere dil me behad dard ho raha hai.... Ab ye aap sab ke uper hai ki aap kya chahte hain.... Apni aankhon se aansu baha ke mujhe dard dena ya phir apni pyari si muskaan dikha ke mujhe khushi dena....
Sultaan ki baat sun ke Sab foran apni aankhon se behte aansu poch ke muskurate hue kehte hain.....
Sab : Tujhe takleef dene ke baare me to hum sapne me bhi nahi soch sakte..... Wo to teri aisi haalat dekh ke humari aankhon me aansu aa gaye.... Agar humare aansu tujhe takleef pahuncha rahe hain to le hum waada karte hain.... Aaj ke baad kabhi bhi apni aankhon me aansu nahi aane denge....
Ye keh ke sab foran apni aankhon se behte aansu ko poch ke muskurane lagte hain.... Jise dekh Sultaan ke chehre pe bhi Pyari muskaan aa jaati hai....
Dadi : Le maan li teri baat.... Ab khush....
Sultaan : Bahut khush.... Aap ko pata hai.... Aap sab ka rota hua chehra dekh ke mujhe bilkul bhi achha nahi lag raha hai.... Sab ke rote hue chehre behad ajeeb lag rahe the.... Aisa lag hi nahi raha tha ki sab wo hain jinhe main jaanta hoon.... Aisa lag raha tha jaise ki mere saamne jungle se aaye kuch jungli apni roni surat dikha ke mujh masoom ko dara rahe hain....
Sultaan ki baat sun ke sab chid jaate hain....
Sab : kya kaha tu ne hum ko Jungli....? Kya hum tujhe Jungli nazar aate hain....
Sultaan : Maine kab aisa kaha....? Maine to ye kaha ki Jab aap sab rote ho to bilkul bhi achhe nahi lagte..... Haan magar abhi abhi jo aap sab ke honthon pe wo Pyari si muskaan ubhri thi uska koi jawaab nahi use dekh ke to mujhe aisa lag raha tha ki main jeete jee Jannat me pahunch gaya hoon.... Haan bhai sahi bhi hai.... Jab saamne it haseen Pariyaan ho to bhala main kaise na samjhun ki main Jannat me hoon.... Jannat ki Pariyaan Jannat me nahi hongi to aur kahan hongi....
Sultaan ke muh se apne liye Jannat ki Pari waali baat sun ke sab behad khush ho jaati hain.... Wahin uske muh se Dadi ke liye Sexy sun ke sab ke hosh udd jaate hain.... Khaas kar ke Girlfriend waali baat se to wo sab sadme me chali gayi thi.... Sultaan ne baat hi aisi ki thi.... Dar ke maare sab ki haalat kharaab ho rahi thi.... Dadi se zyada gusse waala poore khandaan me koi nahi.... Unhe ye katayi pasand nahi ki koi unse mazaak kare.... Kisi me bhi itni himmat nahi ki Dadi se mazaak kar sake.... Daddu bhi unse mazaak karne se darte hain.... Magar yahan to Sultaan ne unhe apni Girlfriend keh diya itna hi nahi unhe Sexy bhi kaha.... Sab ko is baat ka dar hai ki Sultaan ki is baat pe Dadi kaise react karengi.... Sab ko aisa hi lag raha hai ki Dadi gusse me Sultaan ko thappad na maar de.... Ek pal ke liye maan bhi liya jaaye ki Waqt aur mauke ki nazakat ko samajh ke Dadi bhale hi Sultaan ko thappad na maare magar wo Sultaan ko aise to hargiz jaane nahi dengi... Wo use jam ke daant pilaye chorengi nahi.... Jiske ko dil me aaye wo wo Soch raha hai.... Wahin Geeta ye soch ke ki is se pehle Dadi Sultaan se kuch kahe wo beech me aa ke unhe Sultaan ko kuch bhi galat kehne se rokengi....
Ye soch ke wo beech me aa ke Dadi se kehti hai.....
Geeta : M.... M.... Maa.... Ji... Su...ltaan ne abhi jo bhi kaha uske liye main aapse maafi maangti hoon.... Wo masoom hai nadaan hai..... Usko wo nahi kehna chahiye tha.... Uske badle main aapse maafi maangti hoon.... Please us se naraaz mat hoiye.... use maaf kar dijiye....
Geeta maa ki baat sun ke Dadi jo kehti hai use sun ke sab ko us se bhi bada jhatka lagta hai..... Sab hairat se kabhi Dadi ko dekhte to kabhi Sultaan ko....
Dadi : Main bhala Sultaan se kyun naraaz hone lagi.... Ye koi gair nahi balki mera Pota hai.... Sath hi mera Sexy Boyfriend bhi.... (Ye keh ke wo Sultaan ko aankh maar ke kehti hai....) Kyun Sultaan maine theek kaha na....?
Sultaan : Meri Sexy Girlfriend ne bilkul theek kaha....
Ye keh ke wo bhi Dadi ko aankh maar deta hai....
Sab hairat se dono ki baaten sun bhi rahe hain sath hi unki harkat dekh bhi rahe hain.... Saamne jo ho raha hai us pe yakeen karna kisi ke liye mumkin nahi hai.... Tabhi Daddu beech me bol padte hain....
Daddu : Yaar Sultaan aisa zulm na kar.... Meri ek hi biwi hai... Agar tu ne ise apni Girlfriend bana liye to main is umar me kahan dusri Biwi dhundunga....
Daddu ki baat sun ke Dadi gusse se unhe dekh ke kehti hai.....
Dadi : Aap phir se hum dono ke beech bole.... Aur is umar me aap ko bada shauk aa raha hai dusri biwi dhoondhne ka....
Dadi ko gusse me dekh ke Daddu ki hawa nikal jaati hai.... Wo jhat se bheegi billi ban jaate hain....
Daddu : Nahi nahi.... Maine kahan kuch kaha main to bas aise hi....
Ye keh ke wo foran Bhuvan Mama ke peeche dubak jaate hain....
Sultaan : Aap bhi na Girlfriend.... Bekaar me hi Daddu ko dara rahi hain....
Dadi gusse se : Dara nahi rahi balki samjha rahi hoon wo bhi aakhri baar.... Tu koi gair nahi Pota hai mera.... Jaan hai tu meri.... Tujhse badh ke mere liye koi nahi.... koi tujh ko le ke kuch bhi galat kahe mujhe bilkul bhi pasand nahi.... Chahe wo tere Daddu ho Bhuvan ho ya phir Mehek hi kyun na ho....?
Dadi ko gusse me dekh ke wahan maujood sabhi behad dar jaate hain.... Yahan tak ki Bhuvan Mama bhi....
Sultaan aage badh ke Dadi ko apne seene se laga ke pyar se unke sar pe apna hath phira ke unka gussa shant kar ke kehta hai....
Sultaan : Kya Girlfriend aap to naraaz ho gayi.... Daddu to bas mazak kar rahe the.... Chodiye na unki baat ka kya bura lagana aur waise bhi wo mere pyare Daddu hain.... Chaliye choriye ye sab aur ye bataiye ki aap sab kya khayenge.... Taaki uska intezaam kiya jaa sake....
Dadi : Tujhse kisne kaha ki hum bina nashta kiye aaye hain....?
Sultaan : Meri Pyari Girlfriend.... Sultaan to gairon ke bhi dil ki baat jaan leta hai... Aur yahan to baat uske apno ki hai.... Mujhe poora yakeen hai ki aap sab so ke unth ne ke baad fresh ho ke bina nashta kiye seedhe yahan chale aaye hain... Yahan tak ki aap me se kisi ne chai tak nahi pee... Chai peena to dur koi bhi Kitchen me nahi gaya.... Sab ko bas yahan aane ki jaldi thi.... (Phir Mehek ka hath pakad ke use apne kareeb kar ke kehta hai...) Sab se zyada jaldi to meri Mehek ko thi.... Aap ko pata hai yahan aane me kahin der na ho jaaye is wajah se ye pagli raat bhar nahi soyi.... Poori raat isne room me jaagte hue guzari hai.... Aur Subah hote hi fresh ho ke seedhi yahan chali aayi....
Sultaan ki baat sun ke sab kabhi hairat se Sultaan ko dekhte to kabhi Mehek ko.... Mehek bhi hairat se Sultaan ko dekhe jaa rahi hai....
Mehek : Ye tum kaise keh sakte ho ki maine saari raat jaag ke guzari hai....?
Sultaan : Maine kaha na jab baat mere apno ki ho to bina kahe hi mujhe sab pata chal jaata hai.... (Phir sab ki taraf dekh ke kehta hai) tumhari tarha baaki sab ne bhi poori raat aankhon hi aankhon me guzari hai.... Wo alag baat hai ki.... Kyun maine theek kaha na....
Sultaan ki baat sun ke sab haan me apna sar hila dete hain....
Sab ek sath : Jab humara Sultaan Hospital me bimaar ho to bhala hum ko neend kaise aa sakti hai....?
Sultaan Padma ki taraf dekh ke : Dekha maa maine sahi kaha tha na.... Is duniya me main akela nahi hoon.... Mera bhi apna ek bhara poora parivaar hai.... Mere bhi apne hain jinko har pal har lamha meri hi fikr rehti hai....
Sultaan ki baat sun ke sab pyar se Padma ki taraf dekhte hain.... Sath hi unke paas jaa ke unka bhi haal chaal poochte hain....
Theek tabhi wahan Dr Ganga aa jaati hai....
Sab ko wahan dekh ke Dr Ganga Sultaan se kehti hai....
Dr Ganga : kya baat hai sab subah subah yahan.... Bade kismat waale ho Sultaan jo tumhe pyar karne waala aisa bhara poora parivaar mila....
Sultaan : Bilkul sahi kaha aap ne Dr Madam.... Wakayi me main behad kismat waala hoon.... Jo mujhe itna pyar karne waala parivaar mila.... Kuch din pehle tak mere paas Parivaar ke naam pe Sirf Mere Baba.... Padma maa aur mere dost kunal ka hi parivaar tha.... Magar ab dekhiye uper waale ne mujhe Ek bhara poora parivaar de diya.... Ab mere paas bhi mera apna bhara poora parivaar hai.... Jo mujhe dil o jaan se chahta hai....
Dr Ganga : To kya ye tere apne rishtedaar nahi hain....?
Sultaan : Kya khoon ka rishta hi sab kuch hota hai.... Pyar aur apnepan ka nahi....
Dr Ganga : Nahi maine aisa to nahi kaha.... Na hi mere kehne ka wo matlab tha....
Sultaan : Mujhe is baat se koi fark nahi padta ki inse mera khoon ka rishta hai ki nahi.... Balki mera ye maan na hai ki in sab se mera dil ka rishta hai jazbaaton ka rishta hai jo mere liye khoon ke rishte se bhi bada hai.... Ye sab mere liye kya maayne rakhte hain ye main aur mera dil hi jaanta hai.... Inme se kisi ko ek kharoch bhi aa jaaye to main poori duniya ko tabaah o barbaad kar sakta hoon.... Ye sab mere dil me hi nahi meri ruh me bas chuke hain.... Ye mere liye mere apno se bhi badh ke hain.... Inke liye main kisi ki jaan le bhi sakta hoon aur hanste hanste apni jaan....
Abhi Sultaan bas itna hi keh paaya tha ki tabhi Mohini Maasi jo kaafi der se uski baaten sun rahi thi wo jhat se Sultaan ke muh pe apna hath rakh ke kehti hai....
Mohini : Aaj keh diya dobara galti se ye ye baat apni zubaan pe nahi aa ne dena....
Ye kehte kehte Mohini ke sath sath wahan maujood sabhi ki aankhen nam ho jaati hai.... Mahaul ko gumgeen hote dekh Padma maa beech me bol padti hain....
Padma : Tu bhi na Sultaan khud to Emotional hai hi tu ne sab ko bhi Emotional kar diya.... Humse milne ke chakkar me sab subah se bhooke hain unhe nashta karwane ke bajaye tu sab ko Emotional karne laga....
Bhuvan : Are nahi nahi hum sab theek hain.... Rahi baat nashte ki to wo hum baad me kar lenge....
Sultaan : Aise kaise baad me kar lenge.... Der tak bhooke rehne ke chakkar me kahin Meri Pariyon ka figure kharaab ho gaya to.... Dekhiye pehle se hi ye sab kitni dubli patli hain.... 90 se 100 kg ke beech to inka wazan hoga hi.... Phir bhi sab nashta na karne ki wajah se kitni dubli nazar aa rahi hain.... Inhe jald se jald nashta karne ki zaroorat hai.... Taaki inge wazan me.kami na aaye aur aap hai ki nashte ki jagah baaton se hi inka pet bharne me lage hue hain....
Sapna : dekha aap ne ek Sultaan hi hai jise humari itni fikr hai....
Naina aur Nikki : Sahi kaha Sapna ne Sultaan ko humari har baat ka khayaal rehta hai ki hum ko kab kis waqt kis cheez ki zaroorat hai... Dekho is haal me bhi use khud se zyada humari fikr hai....
Sapna Naina aur Nikki ki baat sun ke Geeta Chachi aur Padma maa ko hansi aa jaati hai.... Wahin Sultaan apna sar peet leta hai....
Sultaan : Aap dono bhi na is waqt hasna zaroori tha kya....? Baad me nahi hans sakti thi....
Pehle to sab ko Geeta aur Padma ke hasne aur Sultaan ne abhi jo bhi kuch kaha uska matlab nahi samajh aata hai.... Magar jaise hi unhe poori baat samajh aati hai.... Wo Gusse se Sultaan ke uper rashan pani le ke chadh jaati hain... Badi Mushkil se Daddi Dadu aur Bhuvan Mama sab ko Sultaan se dur karte hain.....
Sab ek sath : Aaj to teri halat ki wajah se hum tujhe chhor rahe hain.... Bas ek baar tu theek ho jaa phir batate hain tujhe.... Tu ne hum ko moti kaha na... Tere theek hone ke baad hum sab mil ke kaise tujhe thoos thoos ke khila khila ke mota banate hain....
Sab ki baaten sun ke Sultaan muskurate hue unke aage apna sar jhuka ke bade hi adab se kehta hai....
Sultaan : Jo dil chahe kar lena tum sab ko har baat ki ijazat hai....
Sab ek Sath : Aise nahi waada kar....
Is se pehle ki Padma ya koi use Sultaan ko rok paata Sultaan haan me apna sar hila ke kehta hai....
Sultaan : Waada hai mere tum sab se jo chahe kar lena Sultaan tum me see kisi ko nahi rokega.... Tumhe har cheez har baat ki ijazat hai....
Sultaan ki baat sun ke Padma maa ke sath sath Geeta Chachi bhi apna Sar peet ke kehti hain....
Dono : Ye tu ne kya kiya Sultaan.... Bina soche samjhe waada kar diya.... in sab ne tujhe baaton me phasa ke aisa waada liya taaki ye jo chahe tere sath kar sake.... Inhe har baat ki ijazat hogi....
Sultaan : Aapko kya lagta hai Maa ki Sultaan itna nadaan hai.... Maine anjaane me nahi balki jaan ke in sab se aisa waada kiya.... Jaanti hain kyun....? Kyun ki ye koi gair nahi balki mere apne hain.... Inko mere sath kuch bhi karne ki poori chhut hai.... Uske liye inko kisi waade ki zaroorat nahi.... Ye jo chahe karen inhe har baat ki ijazat hai....
Sultaan ki baat sun ke sab khushi se uchal padte hain....
Dr Ganga : Aap sab kuch der ke liye bahar jaaite taaki main Sultaan aur Padma ji ka Check up kar sakun....
Sultaan Bhuvan se : Baba.... Jab tak Dr Madam mera aur maa ka Check up karti hai.... Aap in sab ko sath le jaa ke achhe se inki pasand ka nashta karwa dijiye....
Sultaan ki baat sun ke Bhuvan sab ko bahar nashta karwane le jaate hain.... Wahin Dr Geeta Sultaan aur Padma maa ka check up karne lagti hai....
Sultaan : Dr Madam ab maa ki tabeeyat kaisi hai....?
Dr Ganga : Inhe koi andruhni chot nahi aayi thi jis wajah se Ye ab pehle se kaafi behtar hain.... Rahi baat in ki chot ki to 2 se 3 din me ye bilkul theek ho jaayengi.... Aaj sham tak hum inhe Discharge kar denge.... Haan magar 2 din baad inhe yahan laa ke inka Check up karwa lena....
Sultaan : Shukr hai uper waale ka sath hi Dr Madam aapka bhi ki Maa ab theek hain.... Maa ki waisi haalat dekh ke main behad dar gaya tha.... Agar maa ko kuch ho jaata to main poori duniya me aag laga deta.....
Sultaan ko gusse me aate dekh ek pal ke liye to Dr Ganga ke sath sath Padma bhi behad dar jaati hai.... Unhe ye pata hai ki Sultaan ko gussa aana matlab Qayamat ka aana.....
Padma : Shant ho jaa Sultaan.... Dekh mujhe kuch nahi hua.... Main ab theek hoon.... Waise bhi jab tak mera Sultaan mere sath hai mujhe bhala kuch ho sakta hai kya....?
Padma ki baat sun ke Sultaan khud ko shant karta hai.... Phir Dr Ganga aur Padma ki taraf dekh ke kehta....
Sultaan : Sorry maa.... Mujhe gussa aa gaya tha.... Kya karun jab bhi baat mere apne ki hoti mujhse raha hi nahi jaata.... Aur jab koi mere apne ko chot pahunchata hai tab dil karta hai ki main use jaan se maar doon.... Uper waale ka Shukr hai ki aap theek hain.... (Phir Dr Ganga ki taraf dekh ke) Sorry Dr Madam....
Sultaan ko shant dekh ke Dr Ganga rahat ki saans leti hai.... Phir uske kareeb jaa ke us ka check up karte hue us se ek sawaal poochti hai....
Dr Ganga : Tumhe itne gusse me dekh ke main to ghabra hi gayi thi.... Hamesha tumhe itna hi gussa aata hai kya....?
Sultaan : Ji nahi Dr Madam.... Hamesha nahi.... Magar haan jab koi mere apno ke sath kuch galat karne ki koshish karta hai tab gusse se mera dimaag phatne lagta hai.... Dil karta hai ki usi waqt uske jism se uski jaan nikaal loon....
Dr Ganga : Ye tum mujhe baar baar Dr Madam keh ke kyun bulate ho....?
Sultaan : Aap Dr hain to aap ko Dr na kahun to aur kya kahun....? Aap hi bataiye....
Dr Ganga : Haan wo to theek hai magar Ye Dr Madam kya hai....? Dr Ganga bhi to keh sakte ho.... Ya phir sirf Ganga keh ke bhi to bula sakte ho....
Ye keh ke Dr Ganga Pyar se Sultaan ko dekhne lagti hai....
Dr Ganga ki baat sun ke Jahan Padma ke honthon pe Shararti muskaan phail jaati hai.... wahin Sultaan hairat se kabhi Dr Ganga ko dekhta hai to kabhi Padma ko....
Padma Sultaan ko aankh maar ke kehti hai....
Padma : Lo Sultaan.... Teri diwaaniyon ki list me ek naam aur Shamil ho gaya.... Aur wo naam hai Dr Ganga.... Nahi nahi.... Dr Ganga nahi.... Sirf Ganga.... Sultaan ki Ganga....
Padma ki baat sun ke jahan Ganga Sharmane lagti hai.... Wahin Sultaan shock se dono ko dekhne lagta hai.... Is se pehle ki wo kuch kehta Darwaza khulta hai aur ek baar phir se sab Ward me aa jaate hain....
Dadi : Dr Sahiba ab Padma aur mera Pota kaisa hai....?
Dr Ganga jo ab tak Padma ki baaton me khoyi bas ek tak Sultaan ko hi dekhe jaa rahi hai.... Use jo jaise kuch sunayi hi nahi diya.... is waqt wo Sultaan me itna kho gayi hai ki kuch sun na to dur usne kuch dekha tak nahi.... use to ye bhi ehsaas nahi ki yahan is waqt sab ward me laut aaye hain....
Dr Ganga ko kuch na kehte dekh Dadi ek baar phir se us se wo hi sawaal karti hai.... Magar is baar wo use hila ke us se Sultaan aur Padma ke baare me poochti hai.... Dadi ke hilane se Ganga ko hosh aa ta hai....
Ganga : Ji.... Haa.a.aa....n wo Sultaa....annn aur Padma ji dono ki hi haalat ab pehle se behtar hai.... Aaj Shaam tak hum dono ko discharge kar denge.... Bas aap sab ko inka achhe se khayaal rakhna hoga....
Dr Ganga ki baat sun ke wahan maujood sabhi behad khush ho jaate hai.... Khush ho bhi kyun na Sultaan unki jaan jo hai....
Bhuvan : Ab jab Dr ne ye keh diya hai ki Sultaan aur Padma ji shaam tak ghar jaa sakte hain.... To is se achhi baat to ho hi nahi sakti....
Mehek : Haan wo to hai....
Dr Ganga : Haan magar Sultaan ka ghar to bomb ke dhamake me udd gaya hai....
Mehek : Achha hi hua ki wo ghar udd gaya....
Mehek ki baat sun ke sab shock ho jaate hain....