Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 57
Geeta chachi ki baat maan ke badi mushkil se Mehek aur baaki sab khud ko rokte hain.... Sultaan ka aisa haal dekh ke yahan maujood sabhi ki aankhon se aansu beh rahe hain.... Sab aankhon me aansu liye Sultaan ke theek hone ki dua kar rahe hain....
Theek tabhi wahan koi aata hai jise dekh ke Sab shock ho jaate hain....?
Ye aur koi nahi balki Dadi Daddu aur Bhuvan Mama hain....
Dadi ki haalat behad buri bani hui hai.... Unki aankhon se betahasha aansu beh rahe hain... Wo rote hue bas ek hi baat baar baar dohraaye jaa rahi hai....
Dadi : kahan hai Mera Sultaan....? Kya hua hai use....? Batao mujhe....
Siya ek baar phir se wo baat batati hai jo usne baaki sab ko batayi thi.... Jise sun ke Dadi ke sath sath Daddu aur Bhuvan ki to jaise jaan hi sookh jaati hai.... Dadi to jaise pagalon ki tarha rone lagti hain....
Daddu aur Bhuvan Mama unhe sambhalne ki bahut koshish kar rahe hain magar wo hai ki kisi ke sambhale sambhal hi nahi rahi hain.... Bas rote hue ek hi baat baar baar dohraye jaa rahi hain.... Dadi ka aisa haal yahan maujood kisi se bhi dekha nahi jaa raha hai.... Bhuvan Daddu ko unhe sambhalne ko kehte hain.... Dil to Mehek ka bhi behad tadap raha hai.... Uski aankhon se hi nahi balki dil se bhi aansu beh rahe hain.... Bhuvan Mama ko dekhte hi Mehek bifhar padti hai sath hi unke seene se lipat ke rote hue kehti hai....
Mehek : Mama dekho na mere Sultaan ko kya ho gaya....? Kaisi haalat ho gayi hai uski.... Please Mama kuch bhi kar ke use bacha lo.... Agar mere Sultaan ko kuch hua to main bhi zinda nahi rehungi.... Apni jaan de dungi....
Ye keh ke Mehek Bhuvan ke seene se lipat ke paagalon ke jaise rone lagti hai....
Mehek ki baat sun ke wahan maujood sabhi ko behad hairaani si hoti hai sab se zyada Geeta Chachi ko.... filhaal wo khamosh rehti hain.... Theek Mehek ke jaisa haal wahan maujood har ek ka hai.... Sab ki aankhon se aansu beh rahe hain sab ka dil tadap raha hai.... sab ki tarha Mohini Maasi bhi ro rahi hain.... Unki aankhon se bhi betahasha aansu beh rahe hain..... Theek aisa hi haal Moni ka bhi hai wo bhi apne Baba ke seene se lipat ke rone lagti hai....
Bhuvan Mama ka dil bhi tadap jaata hai... Badi mushkil se wo Mehek aur Moni ke sath sath khud ko sambhal ke kehte hain....
Bhuvan : kuch nahi hoga humare Sultaan ko.... Wo koi mamooli banda nahi Sultaan hai... Sultaan.... Wo ek Sher hai... Babbar Sher.... Use kuch nahi ho sakta.... Hum sab aur humara Pyar uske sath hai... Dekhna jald hi uska Operation kar ke Dr bahar aake kahenge ki Sultaan theek hai....
2 ghante ke lambe intezaar ke baad Operation Theatre ka darwaza khulta hai aur Dr bahar aate hain.... Dr ko bahar aate dekh sab saans roke uske jawaab ka intezaar karne lagte hain....
Dr : Hum ne Goli nikaal di hai.... Ab wo khatre se bahar hai.... Jald hi hum use ward me shift kar denge....
Dr ki baat sun ke wahan maujood sabhi ki khushi ka thikana nahi rehta.... Bhuvan Mama aankhon me khushi ke aansu liye Dr ke aage hath jod ke kehte hain....
Bhuvan : Aap ka bahut bahut Shukriya Dr Sahab.... Aap nahi jaante Sultaan ki jaan bacha ke aap ne hum sab pe kitna bada ehsaan kiya hai....
Dr Dinesh : Hum ne koi ehsaan nahi kiya balki apna farz ada kiya hai.... Aur yahan to baat Sultaan ki thi.... Agar aaj use kuch ho jaata to hum kabhi khud ko maaf nahi kar paate....
Bhuvan : Aap kya kehna chah rahe hain main kuch samjha nahi.... Jo bhi kehna hai khul ke kahiye....?
Dr Dinesh kuch kehne hi waale hote hain ki tabhi peeche se ek Lady Dr aage aa ke kehti hai....
Dr Ganga : Sultaan humare liye kisi farishte se kam nahi hai... Aaj uski hi wajah se Main mere Pati aur meri betiyaan Zinda hai.... Agar wo na hota to main aur mera Parivar bhi zinda na hote....
Bhuvan : Ye aap kya keh rahi hain....?
Dr Ganga : Baat ek saal pehle ki hai.... Tab hum ******** Sheher me reh ke Hospital me apni Practice kar rahe the... Ek din hum ko pata chaha ki us Hospital me gareeb Patients ke jism se Organs nikaal use bechne ka dhanda hota hai... Hum ne uski poori jaankaari nikalwayi aur Saare saboot Police me dene ke baad ghar jaa hi rahe the ki tabhi gundon ne hum ko gher liya.... Kisi tarha se hum miya biwi apni dono Betiyon ko le ke wahan se bhaag nikle.... Un gundon ne humara peecha kiya aur aakhir kaar hum ko pakad hi liya.... Wo hum ko bhi maar ke humare Organs nikaalne waale the ki tabhi achanak se Sultaan ne ek Farishte ki tarha se beech me aa ke un Gundon se humari jaan bachaayi.... Aur hum ko apni Gadi me baitha ke yahan is Sheher me le aaya.... Itna hi nahi usne apne is Hospital me hum ko as a Senior Dr bhi appoint kar diya... Sath hi rehne ko ek bada sa ghar bhi diya.... Usne humari Poori madad ki.... Aaj ke zamane me jo koi apna nahi karta wo usne ek Anjaan ho ke bhi humare liye kiya.... Wo humare liye Bhagwaan se kam nahi hai.... Aur aaj jab baat humare Bhagwaan ki thi to hum kaise apne Bhagwaan ko kuch bhi hone dete.... Jis ki wajah se aaj main aur mera Parivaar zinda hai hum kaise use maut ke muh me.... Khair Uper waale ka karam hai ki Sultaan ab har khatre se bahar hai.... Kal Subah tak use hosh aa jaayega.....
Dr Ganga ki baat sun ko wahan maujood sab ko hairat ke sath sath behad khushi bhi hoti hai.... Hairat ye jaan ke ki itna bada Hospital Sultaan ka hai aur khushi is baat ki ki Sultaan unke liye hi nahi balki auron ke liye bhi kisi farishte se kam nahi hai.... Sultaan ko jab bhi koi takleef me milta hai tab wo uski madad karne me koi kami nahi chorta.....
Bhuvan : Mera Sher hai hi aisa wo kisi ko bhi takleef me nahi dekh sakta.... Chahe jaise bhi ho wo har mazloom ki poori madat karta hai....
Dr Ganga : Sahi kaha aap ne us jaisa poori duniya me nahi....
Kuch der me Sultaan ko Padma ke sath Special ward me Shift kar diya jaata hai.... Sultaan aur Padma ko theek dekh ke sab ki jaan me jaan aati hai.... Dr ke lakh samjhane pe bhi ki Sultaan ko ab kal subah hi hosh aayega... koi bhi use wahan chor ke jaane ko taiyaar hi nahi.... Mehek to Sultaan ka hath pakad ke uske paas baith jaati hai.... Sab ke lakh samjhane pe bhi wo use chorne ko taiyaar hi nahi.... Theek aisa hi haal sab ka hai.... Koi bhi ghar jaane ko taiyaar nahi....
Bhuvan : Dr Sahiba aap bekaar pareshan ho rahi hain.... Ye Sab Sultaan ke apne hain.... Chahe jo ho jaaye Jab tak Sultaan ko hosh nahi aa jaata yahan se koi nahi jaayega....
Dr Ganga : Sultaan aur unki maa ko ab kal subah hi hosh aayega to kya kal subah tak aap sab yahan is room me rukenge....
Sab ek sath : Ji haan....
Dr Ganga : Kya haan....? Matlab kuch bhi.... Ye Hospital hai ghar nahi.... Maana ki aap sab ko Sultaan ki behad fikr hai... Magar itne logon ka yahan rehna bhi to theek nahi hai.... Abhi aap sab ghar jaaiye Subah Sultaan ke uthne se pehle aa jaiyega.... aur waise bhi yahan hum hain na Sultaan ka poora khayaal rakhne ke liye....
Dr Ganga ke Samjhane pe badi mushkil se sab unki baat maante hain.... Magar Mehek hai ki Sultaan ko chor ke jaane ko taiyaar hi nahi.... Sultaan ko yun chor ke koi bhi jaana nahi chahta hai magar Dr aur Daddu ke samjhane pe Sab Mehek ke ghar chal dete hain.... Kunal bhi apni maa aur behen ke sath apne ghar chala jaata hai.... Siya bhi Mehek ke ghar chali jaati hai....
***********************************
Chaliye chal ke dekhte hain ki Sultaan ke Sweety ke ghar se jaane ke baad wahan kya hua....?
Wahan maujood koi bhi Sultaan ko jaane se rok nahi paata.... Sweety bhi aankhon me aansu liye Sultaan ko jaate hue dekhti rehti hai.... Sultaan ki haalat dekh ke khas kar ke uske jism se nikal rahe khoon ko dekh ke uska dil tadap raha hai.... Ye wo zakhm hai jo usne khud apne hathon se Sultaan ko bina uski kisi galti ke diye hain..... Usne to Sultaan ki jaan lene ki koshish ki bhale hi usne Sultaan pe anjaane me goli chalayi magar Sultaan ko goli maari to usi ne hi hai..... Agar Sultaan ko kuch ho gaya to....? Ye soch ke uske dil ke sath sath uska poora jism dar se kaamp raha hai....
Wahin Sultaan ke jaane ke baad ghar ke saare log Sweety pe bhadak jaate hain.... Roopa to gusse me aa ke uspe hath tak utha deti hai....
Roopa : Teri himmat kaise hui mere Sultaan pe goli chalane ki.... Jaan hai wo meri Suna tu ne.... Meri jaan pe goli chala ke tu ne apni maut bula li hai.... Aaj main tujhe zinda nahi chorungi... Jaan se maar dungi tujhe....
Ye keh ke Roopa gusse me aage badh ke Sweety ko maarne lagti hai.... Pehli baar aisa ho raha hai ki kisi ne Sweety pe hath uthaya hai.... Aur Sweety khamosh khadi us se maar kha rahi hai.... Dadi beech me aa ke Roopa ko rokti hai....
Roopa : Dadi aapne dekha isne kya kiya....? Isne mere Sultaan pe goli chalayi.... Iski himmat kaise hui Mere Sultaan pe jaan leva humla karne ki....? Aap hat jaaiye saamne se..... Aaj main ise jaan se maar dungi....
Dadi gusse me : Wo hi to main jaan na chahti hoon ki aakhir isne aisa kyun kiya....? Aur Sultaan ne jo bhi kuch kaha wo kya aur kyun kaha....? Sweety.... Bata mujhe aakhir Sach kya hai....?
Dadi ko gusse me dekh ke Sweety Unhe poori baat batane lagti hai.... Jaise jaise Sweety baat batati jaati hai.... Use sun ke sab ke chehre pe gussa aane lagta hai....
Sweety ke Dad : Mujhe to tujhe apni beti kehte hue bhi Sharm aa rahi hai.... Agar tujhe Lallu se Shadi nahi karni thi to bol deti.... Is sab me Sultaan ko beech me ghaseet ne ki kya zaroorat thi.... Pehle tu ne hum sab ko dhoke me rakha phir us masoom Sultaan ko dhoka diya.... Jisne apni jaan pe khel ke teri jaan bachayi.... Tu ne use dhoka diya... Dhoke se us se Shadi ki phir apni us dhoke waali Shadi ko tod ke use khud se dur kar diya.... Is se bhi jab tera jee nahi bhara tab tu ne un kameeno ke sath mil ke Sultaan ke ghar me Bomb laga diya.... Taaki wo mar jaaye... Magar teri buri aur uski achhi kismat ki wo bach gaya.... Itna sab karne ke baad bhi tere dil ko chain kahan.... Tu us masoom ko maarne ke liye yahan chali aayi.... Are kya kuch nahi kiya usne humare liye.... Teri wajah se rishta toot gaya tha.... Hum sab poori duniya ke aage zaleel hone waale the.... Magar Sultaan ne aisa hone nahi diya.... Usne apne uper goli kha ke na sirf rishta karwaya balki humari izzat ko lutne se bhi bacha liye.... Mujhe aur mere poore khandaan ko logon ke aage zaleel aur ruswa hone se bachaya.... Wo insaan nahi balki Farishta hai.... uski to pooja karni chahiye.... Magar use kya mili zalalat..... Yahin isi ghar me use zaleel kiya gaya.... aur hum sab khamosh khade us nek farishte ko zaleel hote dekhte rahe.... us waqt bhi usne apni jaan pe khel ke humare ghar ki Ladkiyon ki jaan bachayi.... Uske itna sab karne ke baad bhi hum sab ne mil ke use yahan se zaleel kar ke nikaal diya.... Ye sab kya kam tha jo tu us masoom ki jaan lene yahan chali aayi.... Yahan aa ke tu ne uske seene me Ek nahi balki 2 - 2 Goli maari.... Magar teri buri kismat ki is baar bhi wo bach gaya.... Magar main ab tujhe nahi chorunga.... Tujhe aisi saza dunga ki phir tu kabhi us masoom ke sath kuch galat karne ka soch ke bhi daregi....
Ye keh ke Sweety ke Dad use maarne ke liye aage badhte hain magar Dadi unhe rok deti hai....
Dadi : Nahi ruk jaao... Koi kuch nahi karega.... Pehle ise poori baat to bata lene do....
Sdad : Ab batane ko baaki kya reh gaya hai....?
Dadi : Maine kaha na nahi matlab nahi.... Sweety bata aage kya hua....?
Sweety : kal raat mujhe Madho Mama ji ka phone aaya.... Wo apne kiye pe behad pachta rehe the.... Wo rote hue kehne lage ki unhe Sultaan se mil ke us se apne kiye ki maafi maangni hai.... Sath hi Business ki kuch baat bhi karni hai.... Unhe Sultaan ka pata chahiye.... Unki baaten sun ke maine Office me kaam karne waali Manager se Sultaan ke ghar ka pata le ke mamaji ko de diya.... Mujhe nahi pata tha ki wo Sultaan se maafi maangne ke liye nahi balki us se badla lene ke liye mujhse uska pata pooch rahe hain.... Phir kuch der pehle mama ji ka phone aaya ki koi humare ghar me ghus ke ghar waalon ko maar raha hai.... Main foran wahan se apne ghar ke liye nikal gayi..... Yahan aake maine dekha ki sach me koi Mama ji aur ghar waalon ko maar raha hai.... Ye dekh gusse se mera dimaag phatne laga.... Mujhe samajh nahi aa raha tha ki main us se apne apno ki jaan kaise bachaun.... Theek tabhi mujhe paas padi Gun nazar aayi.... use utha ke maine bina dekhe ki wo kaun hai Goli chala di.... Phir jab uspe meri nazar padi to mere pairon tale se zameen nikal gayi.... Kyun ki jispe maine goli chalayi hai wo aur koi nahi balki mera Sultaan hai.....
Sweety ki baat sun ke uske Dad aage badh ke thappad uske gaal pe raseed kar ke kehte hain....
Chataaaaaaaaaaaaakkkkkk....
Sdad behad gusse me : Jhoooooooot.... Sab Jhooth.... Jhooth bolne ki bhi had hoti hai..... Aaj tu ne saari had paar kar di.... Apni galti nahi galti nahi apna gunaah chupane ke liye aur kitna jhooth bolegi.... Mujhe sharm aa rahi hai ye kehte hue ki tu meri beti hai.... Kahan main sar utha ke chalta tha.... Us nek farishte ke sath itna galat kar ke tune aaj mera sar sab ke saamne jhuka diya.... Dusron ki baat to dur hai teri in ghinoni harkaton ki wajah se ab main khud apne aap se bhi nazren nahi mila sakta.... Ji to chah raha hai ki isi waqt teri jaan le loon.... Magar mera aisa karna us Farishte ke sath nainsaafi hogi.... Sab se zyada tu uski gunehgaar hai.... Tujhe saza dene ka sab se pehla haq uska hai.... Badi mushkil se maine khud ko teri jaan lene ke roka hua hai.... Tujhe jo karna tha tu ne kar liya ab agar tu ne galti se bhi uske sath kuch galat karne ka socha bhi to main usi pal tujhe jaan se maar dunda.... Yaad rakhna meri baat ko.... Chal ab apni ye manhoos surat le ke nikal jaa is ghar se.... Aaj se balki abhi se main tujhse apne saare rishte todta hoon.... Aaj se mar gayi tu mere liye....
Ye keh ke SDad use dhakke de ghar se bahar nikaal dete hain.... Dadi khamosh khadi ye sab hote hue dekhti rehti hai.... Wo chah ke bhi kuch nahi kar paa rahi hain.... Apne bete ke hathon apni ladli poti ko ghar se dhakke maar ke bhagate hue dekh ke roye jaa rahi hai....
Sweety apni Dadi aur Baba ki taraf dekh ke kehti hai....
Sweety : Maanti hoon ki anjaane me hi sahi apni bewakoofi ke chalte main badi se badi galtiyaan ki hain.... Magar ab main apni har galti sudharungi.... kasam hai mujhe us pyar ki jo mujhe apne Sultaan se hai.... Ab chahe mujhe kuch bhi kyun na karna pade main apne Sultaan ka pyar paa ke rahungi....
Ye keh ke wo bahar khadi apni car me baith ke wahan se chal deti hai....
*************************************
Agli Subah.....
Mehek jo raat bhar so nahi paayi thi.... Raat bhar room me tehelte hue wo baar baar khidki se bahar ki taraf dekh rahi hai.... Use badi besabri se intezaar hai Subah ke hone ka.... Subah ho aur wo jaa pahunche apni jaan Sultaan ke paas....
Poori raat usne yun hi aankhon aankhon me room me idhar udhar tehelte hue hi guzar di.... Jaise hi Suraj ki pehli kiran nikli.... Mehek ke chehre pe Pyari si dil lubhane waali muskaan tair gayi.... Mehek ko aaj tak itni khushi kabhi nahi hui jitni khushi use Suraj ki is pehli kiran ko dekh ke ho rahi hai.... Wo foran bathroom me jaa ke fresh ho ke apni jaan Sultaan se milne Hospital jaane ke liye taiyaar ho ke bahar aati hai.... Ghar me abhi tak koi nahi utha hai.... Sab so rahe hain.... Ye dekh use behad gussa aane lagta hai....
Mehek Gusse se : Wahan Sultaan hospital me hai use humari zaroorat hai.... Hum ko uske paas hona chahiye magar yahan to jaise kisi ko uski koi parwaah hi nahi hai.... Sab aise ghode bech ke so rahe hain jaise ki kuch hua hi nahi hai.... So te raho sab main to chali apne Sultaan ke paas....
Jaane se pehle Mehek Geeta maa ko ek Msg kar ke ki wo Sultaan ke paas Hospital jaa rahi hai.... Car me baith ke Hospital ki taraf chal deti hai....
Ward ka darwaza khol ke jab wo under jaati hai to dekhti hai ki Padma Maa aur Sultaan so rahe hain.... Wo Sultaan ke kareeb jaa ke baith jaati hai aur Pyar bhari nazron se use dekhne lagti hai.... Is baat se anjaan ki jaise hi ward ka Darwaza khula uski awaaz sun ke Padma maa bhi uth gayi.... Wo halki si aankhen khol ke Mehek ko dekhne lagi.... Wo Mehek ki har harkat ko bade gaur se dekh rahi hai....
Mehek kuch der tak Sultaan ke chehre ko Pyar bhari nazron se dekhti rehti hai.... Wo Sultaan ke Chehre me itna kho jaati hai ki use pata hi nahi chalta ki kaise dekhte hi dekhte wo Sultaan ke chehre ke behad kareeb pahunch gayi aur kab uske honth Sultaan ke honthon se mile use pata hi nahi chala.... Jaise hi Mehek ke honth Sultaan ke hothon se mile dono ko ek behad hi sukhad ehsaas hone laga.... Sultaan ki aankhen khul gayi.... Kisi ko apne itne kareeb paa ke wo us se alag hone hi waala tha ki tabhi uski nazar Mehek ki aankhon pe padi jise dekhte hi wo usme kho sa gaya.... Dono ek dusre ki aankhon me khoye kab ek dusre ke honthon ko apne muh me le ke choosne lage unhe pata hi nahi chala....
Padma : Besharmo.... kuch to sharm kar lo.... Mauka mila nahi ki shuru ho gaye.... Ye Hospital hai tumhara Bedroom nahi jo khuleaam yun kiss karne lage.... kisi aur ka nahi to kam se kam mera hi lihaaz kar lo....
Padma ki baat sun ke dono foran ek dusre se alag ho ke sar jhuka ke sharmane lagte hain....
Padma : Ye kya harkat thi Sultaan....? Aisa bhi koi karta hai kya....?
Sultaan : Sorry maa.... Ye jo bhi kuch hua isme Mehek ki koi galti nahi hai saari galti meri hi hai.... Main hi use kiss....
Abhi Sultaan itna hi keh paaya tha ki tabhi Padma jo kehti hai use sun ke Mehek shock ho jaati hai....
Padma : Itne saal ho gaye Sultaan magar tu nahi badla aur na hi tera Pyar badla.... Aaj poore 12 saal baad bhi tu waise ka waisa hi hai..... Na tu badla na hi tera pyar.... Pehle ki tarha aaj bhi tu waisa hi hai.... Sacha Dilwala...
Sultaan : Ab kya karun Maa jo hai wo yahi hai.... Aur aap to jaanti hi hain ki Main ek baar jise apna maan leta hoon to uska sath phir kabhi nahi chorta.... Aur wo to mere dil ki gehraiyon me hi nahi balki meri rooh me bhi basi hui hai.... Use mujhse koi alag nahi kar sakta.... Main use dil o jaan se chahta hoon... Aap ko pata hai maa jitna main use chahta hoon us se kahin zyada wo mujhe chahti hai....
Padma : Haan ye baat to mujhe aaj pata chal gayi.... Wo hi nahi balki tu bhi uski jaan hai....
Mehek hairat aur shock se dono ki baaten sun rahi hai.... Use samajh hi nahi aa raha hai ki ye dono aakhir kya aur kiski baat kar rahe hain....? Ek hi sawaal uske dimaag me baar baar ghoom raha hai ki yahan to is waqt wo aur Sultaan hi maujood hain baat to unki ho rahi thi ye achanak se Bachpan ke pyar waali baat kahan se beech me aa gayi....? Aakhir kaun hai wo jise Sultaan bachpan se pyar karta hai aur aaj bhi wo uske sath hai....?
Mehek ko yun hairaan pareshan dekh ke Padma use apne paas bula ke baithati hai aur pyar se uske sar pe hath pher ke kehti hai....
Padma : Mehek idhar aa mera paas....
Padma ki baat sun ke Mehek unke paas jaa ke baith jaati hai...
Padma : Kya hua abhi kuch der pehle tak to tu achhi bhali thi ye achanak se itni hairaan pareshan kyun ho gayi....? Aakhir baat kya hai.....?
Padma ki baat sun ke Mehek hadbada jaati hai...
Mehek : Nahi to aisi koi baat nahi hai....
Padma : Kuch to baat zaroor hai warna abhi tak to tu achhi bhali muskura rahi thi ye achanak se is tarha se pareshan kyun ho gayi....?
Mehek : Nahi to maa aisi koi baat nahi hai.....
Padma : Achha agar aisi koi baat nahi hai to kha Sultaan ki kasam aur bol ki is waqt tu kisi baat ko le ke pareshan nahi hai....
Padma ki baat sun ke Mehek khamosh ho jaati hai.... Wo kya kahe use samajh nahi aa raha hai... Agar wo haan kehti hai to uska matlab ye hoga ki use Sultaan pe yakeen nahi hai... Aur agar wo na kehti hai to jo sawaal is waqt uske dimaag me uth rahe hain use apne in sawaalon ke jawaab nahi mil paayenge.... Wo kya kare kuch use samajh nahi aa raha hai.... Wo haan bhi nahi keh paa rahi hai aur na bhi nahi kah paa rahi hai.... Wo khamosh si ho jaati hai.... Use yun khamosh dekh ke Sultaan ko achha nahi lagta is waqt Mehek ke dil aur dimaag me kya chal raha hai use Sultaan achhe se samajh raha hai.... Wo is tarha se apni jaan ko pareshaan hote hue nahi dekh paa raha hai.... Wahin Mehek ki haalat dekh ke Padma ko bada maza aa raha hai.... Magar jaise hi wo ye dekhti hai ki Mehek aisi haalat Sultaan ko bhi pareshan kar rahi hai to wo Mehek ko sab kuch batane lagti hai....
Padma : Mehek tu is baat ko le ke pareshan hai na ki is waqt hum kiski aur kya baat kar rahe hain....?
Padma ki baat sun ke Mehek bas haan me apna sar hila deti hai....
Padma : Achha theek hai jab tu itna kuch sun hi chuki hai to ye bhi jaan le ki yahan baat uski ho rahi hai jis se Sultaan bachpan se pyar karta aa raha hai....
Padma ke muh se ye baat sun ke Mehek ko aisa lagne lagta hai ki Sultaan use nahi balki kisi aur ko chahta hai aur wo bhi bachpan se.... Sab se zyada takleef use is baat ko jaan ke hoti hai ki Sultaan ka Pehla Pyar wo nahi balki koi aur hai jise wo abhi se nahi balki Bachpan se pyar karta aa raha hai.... Is baat se Mehek ka dil toot jaata hai.... Sath hi use behad takleef bhi hone lagti hai.... Mehek ki aisi haalat dekh ke to Padma ko bhi achha nahi lagta.... Mehek ke dil ke haal ko samajhne me Padma ko zara bhi waqt nahi lagta.... Kahan Mehek ko yun pareshan karte hue use bada maza aa raha tha wahin ab Mehek ke dil ka haal jaan ke use taqleef si hone lagti hai....
Padma : Mehek kisi bhi faisle pe pahunchne se pehle ek baar meri poori baat sun lena.... Phir jo tujhe sahi lage wo karna hum dono me se koi tujhe kuch nahi kahega.... Magar haan pehle meri poori baat dhyaan se sun.... Bol sunegi meri baat....
Mehek se is waqt kuch bhi kaha nahi jaa raha hai wo bas haan me apna sar hila deti hai....
Padma : Haan to sun bat tab ki hai jab Sultaan ***** saal ka tha us waqt iske baba ko aur mujhe ek Competition ki wajah se dusre sheher me jaana pad gaya tha.... Pehle to hum ne socha ki hum dono akele hi chale jaaye magar jaa na sake.... Kuch din ki baat hoti to hum chale bhi jaate magar baat to poore 6 mahine ki thi.... 5 mahina Traning aur uske baad Competition hone waale the jisme ek aur mahine ka waqt lagne waala tha.... To kul mila ke hue poore 6 mahine.... Itne mahino ke liye hum Sultaan aur uski maa ko yahan akela chor ke nahi jaa sakte the.... Baat ye thi ki Sultaan ki maa ki tabeeyat zyadatar kharaab hi rehti thi.... Unhe kabhi bhi akela nahi choda jaa sakta tha.... 6 mahine ke liye to bilkul bhi nahi.... To hum un dono ko bhi apne sath le gaye.... Wahan us Sheher ke ek School me humne Sultaan ka admission karwa diya.... Sultaan jo pehle kaafi masti kiya karta tha wo jagah aur logon ke badal jaane ki wajah se khamosh sa rehne laga.... Wo bas apne me hi laga rehta ya phir chup chaap ek jagah baitha rehta.... Lakh kehne ke baad bhi usne wahan kisi ko apna dost nahi banaya.... Pehle to Sultaan kuch baat kar bhi liya karta tha magar jaise jaise waqt beet ta gaya Sultaan bilkul khamosh sa ho gaya tha.... Kabhi kabhi to uski wo khamoshi hum sab ko chubhti.... Lakh samjhane pe bhi Sultaan ke us badle swabhaav me koi sudhaar nahi aa raha tha.... Na hi wo pehle ki tarha hasta bolta tha na hi kisi ke sath khelne jaata hai.... Uski wo dil ko lubha dene waali muskaan kahin kho si gayi thi.... Hum chah ke bhi kuch nahi kar paa rahe the.... Aakhir kaar ye soch ke humne khud ko samjha liya tha ki 6 mahine baad jab Sultaan wapas apne sheher jaayega to wahan apne purane doston se mil ke khud ba khud theek ho jaayega.... Phir ek din kuch aisa hua jise dekh ke hum ko humari aankhon pe vishwas nahi hua.... Sultaan jo har pal har lamha khamosh sa udaas sa rehta tha wo Sultaan aaj School se aane ke baad se bas masti kiye jaa raha hai.... Uske chehre ki wo pyari si muskaan aaj poore 1 mahine baad phir se uske chehre pe laut aayi thi.... Wo aaj itna khush tha itna khush ki use lafzon me bayaan kar paana mushkil tha.... Hum bhi use khush dekh ke behad khush ho gaye.... Jo Sultaan roz subah udaas man se uthta tha aadhe man se taiyaar hoke na chahte hue bhi School jaata tha wo aaj Subah savere hi khud uth ke School jaane ke liye khud taiyaar ho ke baitha tha.... itna hi nahi usne to hum ko nashta tak karne nahi diya.... Bas wo aaj jald se jald School jaana chahta tha.... Is baat ke liye usne hum sab ko paagal bana diya tha.... Bina nashta kiye hum jaldi se taiyaar ho ke use School le gaye.... Wo bhi Khushi se Uchalte koodte hue School me dakhil ho gaya.... Ye dekh hum ne raahat ki saan li sath hi use itna khush dekh ke hum bhi bahut khush ho gaye.... Phir to ye jaise roz ka ho gaya tha... Roz wo subah savere uth ke Khud School jaane ke liye tayaar hoke poore ghar ko sar pe utha leta tha taaki hum jald se jald use School pahuncha saken..... Ab to wo har pal har lamha khush rehta.... Uski wo dil lubhane waali muskaan uski wo masti jo kahin kho si gayi thi wo wapis laut aayi thi.... Use yun khush dekh ke hum ko bhi behad khushi hoti.... Ek din shaam ko jab Sultaan School se waapis aaya to uske hath me ek Trophy thi.... Humare poochne se pehle hi wo khushi se uchalte hue apni us Trophy ke baare me batane laga.... Ki use wo Trophy Drawing competition me First prize ke taur pe mili hai.... Phir usne hum ko wo Drawing bhi dikhyi jisme use First Prize mila hai.... Uski wo Drawing wakayi me behad lajawaab thi.... Us Drawing me usne School ke Garden ka hissa dikhaya tha jahan ek bench ke paas do masoom pyare se bachhe khel rahe hain.... Us Drawing me usne un dono bachhon ki masoomiyat masti aur us wajah se unke chehre pe aayi khushi ko badi hi achhi tarha se darshaya tha.... Humare poochne pe usne bataya ki us Drawing me wo jo ladka hai wo Sultaan hai aur wo jo Pyari si ladki hai wo uski best Friend hai.... Mere poochne pe ki uski wo best friend use kahan se mil gayi....? To pata hai jawaab me usne kya kaha.....? Usne kaha ki use uper waale ne uske liye hi bana ke uske paas bheja.... Taaki wo uski best Friend ban ke hamesha ke liye uske sath rahe.... Itna hi nahi uper waale ne us se ye Promise bhi kiya hai ki wo uski parchayi ban ke uska ek hissa ban ke umar bhar uske sath hi rahegi.... Mere poochne se pehle hi usne mujhse ye kaha ki aap kal mera sath mere School chalna main aapko meri Best Friend se milwaunga.... Agle din apne kahe anusaar wo zabardasti hum ko apne sath apne School le gaya aur wahan le jaa ke usne hum ko apni us Best Friend se milwaaya.... Itna hi nahi dil khol ke uski tareef bhi ki.... Jaanti ho jee bhar ke uski tareef karne ke baad Sultaan ne kya kaha.... Usne kaha ki abhi to hum chote hain jab bade ho jaayenge to main is se Shadi kar ke hamesha ke liye ise apne paas rakh lunga.... Ise kahin bhi nahi jaane dunga.... Ek pal ke liye bhi khud se alag nahi hone dunga.... Sultaan ki baat sun ke wo masoom si Pyari si ladki sharmane lagi.... Sharm ke maare uska gora Gulabi Chehra laal ho gaya.... Achha itna pyar karta hai is se.... Jawaab me Sultaan ne kaha.... Apni jaan se bhi zyada.... Achha aur agar bade hone ke baad iske maa baba ne iski Shadi tujhse nahi hone di ise tujhse dur kar diya tab kya karega.... Tab jaanti hai Mehek aage kya hua....?
Mehek khamoshi se unki baaten sun rahi hai.... Under hi under use behad jalan bhi ho rahi hai... Magar phir bhi uper se wo khud ko khamosh rakhe hue hain....
Padma ke sawaal pe usne koi jawab nahi diya bas khamoshi se unhe dekti rahi....
Padma : Meri baat sun ke us ladki ka chehra gusse se laal ho gaya use dekh ke aisa lag raha tha jaise ki maine us se uski koi sab se pyari aur keemti cheez cheen li ho.... Wo kuch der tak behad gusse se mujhe ghoorne lagi.... Us waqt uski aankhen jo gusse se laal bani hui thi use dekh ke aisa lag raha tha jaise usme se abhi angaare nikal ke mujhe jala ke raakh kar denge.... Phir achanak se jaane use kya hua uska gussa jaise hawa ho gaya sath hi uske chehre pe pyari si muskaan aa gayi.... Wo muskurati hui Sultaan ke kareeb gayi aur pakad ke ek taraf le gayi jahan uska bag pada hua tha.... Usne apne bag ko khol ke usme se Pencil cheel ne waal blade nikala aur us se Sultaan ke angoothe ko halka sa Cut kar ke kaha.....
Apne is khoon se meri maang bhar ke mujhe hamesha hamesha ke liye apni bana lo Phir koi hum ko ek dusre se juda nahi kar paayega.... Main aur Sultaan ke baba hairat se us ladki ki baaten sun rahe the sath hi uski harkat ko dekh bhi rahe the.... Is se pehle ki hum kuch kehte ya karte Sultaan ne apne angoothe se nikal rahe khoon se us ladki ki maang bhar di.... Phir wo dono kas ke ek dusre ke seene se lipat gaye.... hum abhi is sadme se ubhar hi nahi paaye the ki tabhi Sultaan ne wo kiya jiski hum ko koi umeed hi nahi thi..... Sultaan ne us ladki ke honthon ko Choom liya us ke baad use ek gehra yani deep kiss kiya.... Sultaan ka kiss paa ke wo ladki behad khush ho gayi.... phir hum ko wahan dekh ke Sharmane bhi lagi.... Abhi hum is jhatke se ubhar hi nahi paaye the ki tabhi Sultaan aur us Ladki ne hum ko us se bhi bada jhatka diya.... Ye keh ke ki ab hum ko koi alag nahi kar sakta.... Aaj se balki abhi se hum Pati patni hai.... Hum se ek lafz bhi kaha nahi jaa raha tha bas hairat se dono ko dekhe jaa rahe the.... Un dono ko kya kahen hum ko samajh hi nahi aa raha tha....? Khair hum ne us baat ko ye soch ke taal diya ki dono abhi bachhe hain bachpane me aa ke ye sab kar gaye.... Magar phir bhi unhe kuch na kuch to kehna bhi to zaroori hi tha.... Aaj un dono ne ye kiya jaane aage chal ke aur kya kya kare....? Magar is se pehle ki hum unhe kuch keh paate School ki ghanti baj gayi aur wo dono apna bag leke ek dusre ka hath pakad ke apne class ki taraf daud gaye.... Hum dono hairat se bas unhe dekhte hi reh gaye.... Bas phir kya tha us din ke baad se agle 5 mahine tak Sultaan roz khushi khushi School jaata aur khushi khushi waapis aata.... Us din se wo itna khush rehne laga jaise ki use saare jahan ki khushi mil gayi ho.... Phir Achanak se ek din jab Sultaan School se wapis ghar aaya to hum ne dekha ki aaj wo behad udaas hai.... Uske masoom se chehre pe rehne waali muskaan ek baar phir se kahin gayab ho gayi hai.... Itna hi nahi uski aankhen bhi nam hai.... Nam kya hain wo to kaafi soojhi hui bhi hain use dekh ke aisa lag raha hai jaise ki wo bahut roya hai.... Jab hum ne us se uske rone ki udaas hone ki wajah poochi tab pata chala ki wo ladki jis se wo beintehaan Mohabbat karta tha wo achanak se kahin chali gayi... Hum ne Sultaan ko samjhane ki bahut koshish ki magar wo kuch bhi sun ne ko taiyaar hi nahi tha.... Bas ek kone me baith ke us ladki ki photo ko bade gaur se dekhta rehta.... Sath hi apni aankhon se aansu bhi bahata rehta... Us ladki se juda hone ka dukh use under hi under tadpa raha tha....wo under hi under ghut raha tha.... Hum se uski ye haalat dekhi nahi jaa rahi thi.... Hum ne School me jaa ke pata kiya to us ladki ke baare me zyada kuch pata nahi chala bas itna pata chal paaya ki wo apne parivaar ke sath School ko hi nahi balki is Sheher ko bhi chor ke chali gayi hai kahan ye to unhe bhi nahi pata.... Har guzarte pal ke sath us ladki se juda hone ki takleef Sultaan ko behad takleef pahuchane lagi.... Uska dard uski tadap har guzarte pal ke sath badhta hi jaa raha tha.... Kuch din me Competition khatam hua aur hum bhi us Sheher ko chor ke wapis apne sheher laut aaye.... yahan aane ke kuch din tak Sultaan waise hi khamosh raha phir usne kisi tarha us ladki ki yaadon ke sath sath apne us dard ko apne dil me daba liya.... Phir se apne purane doston se milne ke baad uski udaasi to kuch had tak kam ho gayi magar uske under ka dard kam na ho saka har guzarte pal ke sath wo badhta hi gaya.... bas fark sirf itna tha ki ab wo apne dil me uth rahe beintehaan dard ko sab se chupana seekh gaya tha.... Bahar se wo hamesha hi hasta muskurata rehta magar uske Seene me kitna Dard chupa hai ye wo hi jaanta tha....
Sultaan ki beeti kahani sun ke Mehek ko jahan pehle takleef ho rahi thi wahin uske dil ke dard ko jaan ke uski aankhon se bhi aansu beh rahe the.... Kaafi der baad us ke muh se bas ek sawaal nikla....
Mehek : To kya us din ke baad Sultaan phir kabhi us Ladki se mila ya nahi....?
Mehek ki baat sun ke Padma ne pehle to ek thandi aah bhari phir Mehek ke sawaal ke badle jawaab dene ke bajaye ulta us se hi sawaal pooch liya....
Padma : Tumhe kya lagta hai kya hua hoga....? Kya Sultaan dobara phir kabhi us ladki se mil paaya hoga....?
Mehek : Mujhe kaise pata hoga....?
Padma : Haan ye bhi sahi hai ki tumhe kaise pata hoga..... Chalo is Sawaal ko thoda ghuma ke poochte hain.... Tumhare hisaab se kya hona chahiye....? Batao mujhe.... Kya Sultaan ko us Ladki se dobara milna chahiye....? Ya nahi....? Soch samajh ke jawaab dena....
Padma ki baat sun ke Mehek kaafi Sochti hai phir jawaab deti hai....
Mehek : Agar main apni taraf se sochun to wo khudgarzi hogi.... Kyun ki koi ladki ye nahi chahegi ki jis se wo pyar karti hai wo kisi aur ko bhi chahe.... Magar ye bhi Sach hai ki Pyar kabhi kam nahi hota na hi use baandh ke rakha jaa sakta hai.... (Mehek badi mushkil se apne dil ko mazboot kar ke kehti hai...) Mere hisaab se un dono ko mil jaana chahiye....
Mehek ki baat sun ke Padma jo kehti hai use sun ke Mehek ko ek jhatka sa lagta hai....
Padma : Hua bhi kuch aisa hi.... Agle 10 saal baad Sultaan ek ladki se mila jisne use kiss karke Sultaan ko se us pyar ka ehsaas karwaya jo Pyar Sultaan ne bachpan me kiya tha..... Poore 10 saal baad ek baar phir se Sultaan ke hathon se anjaane me hi sahi usi ladki ki maang bhari gayi.... Usi pal Sultaan ko is baat ka ehsaas ho gaya ki ho na ho ye ladki wo hi hai jiski maang Sultaan ne bachpan me bhari thi....
Mehek : Kyaaaaaaaaaa.....? Iska matlab Sultaan ne ek baar phir se usi ladki se shadi ki... Matlab dusri baar bhi.....
Padma : Ji haan.... Ab ise uper waale ki marzi samjho ya in dono ki kismat.... Magar haan Sultaan ke 2 nahi balki teen baar uski ladki ki maang bhari....
Mehek : Kyaaaaaaaaaa....? Kya kaha 3 baar....!!!!!
Padma : Ji haan 3 baar... Aur janti ho wo ladki kaun hai....?
Padma ke is sawaal pe Mehek na me apna sar hila deti hai... Us se kuch kaha hi nahi jaata.....
Padma : Jis Ladki ko Sultaan ne apne dil ki gehraiyon se chaha.... Wo hai to Sultaan hai.... Uske bina Sultaan ka koi wajood nahi... Wo Ladki Sultaan ke jeene ki wajah hai.... Sultaan ki tarha wo ladki bhi Sultaan ko dil ki gehraiyon se pyar karti hai.... Sirf aur Sirf Sultaan ke liye hi wo is duniya me aayi hai.... Jiski maang Sultaan ne ek nahi balki uper waale ki marzi se 3 baar bhari jaanti ho uska naam kya hai....? Sultaan ki us Diwaani ka naam hai....