Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 22
"Dillagi 2"
Sultaan bike le ke jaise hi College me enter hota hai saamne ka nazara dekh ke wo Shock ho jaata hai.... Wo foran bike ko Break maar ke hairat se saamne ki taraf dekhne lagta hai.... Abhi wo bike ko Park kar ke utar bhi nahi paaya tha ki tabhi sab mil ke uski dhulayi karne lagte hain... Wahin paas khadi Rosy ek tak bas use dekhe jaa rahi hai.... Nikki bhi Rosy ke paas khadi gusse se Sultaan ko ghoore jaa rahi hai....
Sultaan : Abe meri baat to suno....
Kumud : Kya aur kyun sune teri baat haan... Kameene 3 din ka keh ke gaya tha aaj poore 8 din ho gaye.... Na call kiya na aane ki khabar di.... Saale tere baare me soch soch ke yahan tension ke maare humari jaan jaa rahi thi aur tu hai ki tujhe humari koi fikr hi nahi....
Kunal : Sahi kaha Di aap ne saala ek number ka kameena hai.... Khud wahan jaa ke aish kar raha tha aur yahan hum iski firk me mare jaa rahe the.... Dekh Deepa aur Di ko kaise sookh ke kaanta ho gayi hai.... Ye dono har waqt bas tere baare me hi baaten karti rehti thi....
Sultaan : Abe tujhe dekh ke to aisa bilkul bhi nahi lag raha hai.... ki tujhe kuch fark bhi pada ho.... Rahi baat Kumud aur Deepa ki to ye dono to mujhe pehle se bhi zyada moti nazar aa rahi hain....
Abhi Sultaan ne itna hi kaha tha ki tabhi dono rashan paani le ke Sultaan pe chadh jaati hain.... Badi mushkil se Sultaan unhe rokta hai....
Sultaan : Abe ye kya kar rahe ho.... Kam se kam meri izzat ka kuch to khayaal karo.... Yun sab ke saamne mil ke meri band to na bajao....
Kumud : Tujhe bas apna khayaal hai aur hum sab ka kya haan.... Tu ne ek baar bhi nahi socha ki tere is tarha humse dur jaake hum ko ignore karne pe hum pe kya beetegi.... Ek baar bhi tu ne humare baare me nahi socha.... Kya tujhe ek pal ke liye bhi humari yaad nahi aayi....?
Ye kehte kehte Kumud ki aankhen nam ho jaati hai sath hi uska gala rundh jaata hai.... Us se aage kuch kaha hi nahi jaata.... Kumud ki aankhon me aansu dekh ke Sultaan foran aage badh ke use apne seene se laga ke uske aansu poch ke kehta hai....
Sultaan : Yaad use kiya jaata hai jise aap bhool gaye ho.... Use nahi jo aap ke dil me ho.... Tum sab meri yaadon me nahi balki mere dil me rehte ho.... Rahi baat tum sab ko phone na karne ki to main maanta hoon ki wo meri galti hai.... Chahe main kitna bhi busy rahun magar waqt nikaal ke mujhe mere apno ko call karke unse baat karni chahiye thi unka haal poochna chahiye tha jo maine nahi kiya.... Is baat ke liye main tum sab se maafi maangta hoon.... Sath hi ye yakeen dilata hoon ki aage se aisa kabhi nahi hoga....
Kumud : Maafi to hum ko bhi maangni hai... Is kameene kunaal ki baaton me aake tujhe galat samjha.... Itna hi nahi balki tujhpe hath bhi uthaya is baat ke liye hum ko maaf kar de....
Kumud ki baat sun ke Sultaan gusse se palat ke Kunal ki taraf dekhta hai.... Sultaan ko gusse me dekhte hi kunal wahan se bhaagne hi waala hota hai ki tabhi Sultaan uska hath pakad leta hai.... Wo use bhaagne nahi deta....
Sultaan : kahan chali sawaari huzoor ki....
Kunal : Wo main wo.... Haan mujhe ******* teacher se milna hai unse kuch notes lene hain....
Sultaan : Unse bhi mil lena pehle Sultaan se apne kiye ka Prasad to le le...
Bas phir kya tha Sultaan achhe se Kunal ki dhulayi kar deta hai....
Kunal : Aaaahhhhh... Saale kameene tu dost hai ya dushman.... Aisa bhi koi apne dost ke sath karta hai kya....?
Sultaan : Saale ye mujhse nahi balki apne aap se pooch.... Jo tune kiya uske liye to ye maar bahut kam hai.... Tujhe to ulta taang ke maarna chahiye tha... Ye Sultaan ki dildaari hai jo tujhe itne me hi chor diya.... Saale aainda phir kabhi aisa kiya na to yaad rakhna...
Kunal : Meri tauba mere baap ki tauba.... Aaj ke baad main kuch bolunga hi nahi....
Sultaan : Chal theek hai.... Waise Kumud tum apna College chor ke yahan kaise....?
Kumud : Waapis aane ke baad tu to milne aaya nahi to socha main khud hi tujhse mil aaun... Bas main seedhe yahan chali aayi.... Tujhse milne ke baad ab jaa ke dil ko sukoon aaya.... Ab main chalti hoon.... magar haan yaad se shaam ko theek 7 baje shareef bachhe ki tarha ghar chale aana warna kal phir se mujhe tujhse isi tarha milne yahan tere College aana padega....
Sultaan : Uski zaroorat nahi padegi... Aaj jo hua wo kaafi hai... Shaam 7 baje main pakka ghar aa jaaunga....
Sultaan ki baat pe Kumud muskurate hue uske gale lag ke apne College ki taraf chal deti hai.... Uske jaane ke baad Kunal bhi Deepa ke sath apni class ki taraf chal deta hai.... Sultaan palat ke Rosy aur Nikki ki taraf badha hi tha ki tabhi wo mud ke wahan se jaane lagti hain.....
Sultaan : Itni naraaz ho ki apne Sultaan se baat tak nahi karogi....
Sultaan ki baat sun ke dono ke kadam wahin ruk jaate hain.... Dono bina peeche mude Sultaan ki baat ka jawaab deti hain....
Jab Sultaan khud hi hum se milna nahi chahta wo hum se dur rehna chahta hai to tum hi batao ki hum kya karen....?
Sultaan : Baat wo nahi hai jo tum samajh rahi ho balki baad kuch aur hi hai....
Aisi kya baat hai jiski wajah se Humara Sultaan hum se dur rehne pe majboor ho gaya use itna bhi waqt mila ki wo ek call kar ke humara haal hi pooch le.... Call karna to dur usne to apna Mobile number tak band kar rakha tha....
Sultaan : Wo hi baat main tum dono ko batana chahta hoon.... Ki aakhir mere aisa karne ki wajah kya hai....
Batao hum sun rahe hain....
Sultaan : Baat karne ke liye ye jagah sahi nahi hai.... kya hum saamne waale Park me chal ke baat kar sakte hain....
Sultaan ki baat sun ke Dono Park ki taraf chal dete hain.... Park me pahunch ke...
Kaho kya kehna chahte ho....
Sultaan : Pehle waada karo ki jo baat main tum dono ko bataunga wo tum kisi se nahi kahogi....
Aisi kya baat hai jise batane se pehle tum hum se waada chahte ho....
Sultaan : Wo baat kisi ki izzat se judi hui hai... Us baat ke bahar aate hi uski izzat taar taar ho jaayegi.... Jo main nahi chahta.... To waada karo mujhse... Apne Sultaan ke liye Itna to tum dono kar hi sakti ho....
Theek hai hum waada karte hain ki wo baat hum kisi ko nahi batayenge.... Ab batao ki wo baat kya hai... Magar haan jo bhi kehna sach hi kehna....
Sultaan : Sultaan kabhi jhoot nahi bolta....
Phir Sultaan unhe shuru se le kar Pihu ke Gaon jaane se pehle tak ki poori baat batata hai jise sun ke dono ko bada jhatka lagta hai sath hi unki aankhon se aansu behne lagte hain.... Jise dekh Sultaan ka dil tadap jaata hai use is baat ka dar lagne lagta hai ki kahin Mehek aur Khaas kar ke Mohini waali baat sun ke Dono use bewafa samajh ke us se nafrat to nahi karne lagi.... Sultaan apna Sar jhuka ke unse is baat ke liye maafi maagte hue kehta hai....
Sultaan : Mujhe pata hai wo sab kar ke maine tum dono ke sath galat kiya hai... Tum dono ke sache Pyar ko zaleel kiya hai.... Tumhare Vishwaas ko toda hai.... Jo haq tumhara tha use maine kisi aur ko de diya... Kisi aur ke sath Tumhare pyar ka batwaara kar diya.... Is baat ke liye shayad tum dono mujhe kabhi maaf na kar sako.... Maine kaam hi aisa kiya hai... Magar ye bhi utna hi sach hai ki us waqt mujhe jo theek laga wo maine kiya... Agar main waisa na karta to wo masoom (Mohini) jo duniya ke taane sun sun ke apni jaan dene chali thi uski jaan nahi bach paati.... maine us waqt to uski jaan bacha li thi magar aage shayad na bacha paata... Aage jaa ke wo phir se apni jaan dene ki koshish karti jisme shayad wo kamiyaab bhi ho jaati.... Jo mujhe kabhi bardasht na hota.... Main kaise us parivaar ki beti ko marne deta jinki zindagi se gum ko dur karke unko khushiyon me badalne ka main waada kar chuka tha.... Bas isi wajah se maine wo kiya jo mujhe theek laga.... Us din se Mohini ke sath sath Mehek bhi mere sath jud gayi.... Ab main to kya uper waala bhi un dono ko mujhse alag nahi kar sakta.... Is sab me mujhse ek galti zaroor hui ki unki madat karne ke badle main tum dono ke sath na insaafi kar baitha.... Is ki tum dono mujhe jo chahe saza do mujhe manzoor hogi.... Bas itni ilteja hai tum dono se ki mujhe dhokebaaz mat samajhna.... Sultaan apni jaan de dega magar kisi ko kabhi dhoka nahi dega.... Ho sake to meri is galti ke liye mujhe maaf kar do....
Ye keh ke Sultaan khamosh ho jaata hai... Uski nazren jhuk jaati hain.... Us se aage kuch kaha hi nahi jaata... Apni baat kehne ke baad Sultaan Rosy aur Nikki ke jawaab ka intezaar karne lagta hai....
Kaafi der tak khamosh rehne ke baad Mehek jo kehti hai use sun ke Sultaan ke pairon tale se zameen nikal jaati hai... Uska jism kaamp sa jaata hai.... Uske hosh udd jaate hain....
Nikki : Tumhe pata hai jinki tum baat kar rahe ho wo kaun hai....? Thakur Dharampaal Singh Nana hain mere.... Mohini meri Maasi aur Mehek meri Sagi Judwa behen....
Sultaan Shocked : Kyaaaaaaaaa....?
Nikki : Haan.... Aur tum ne unke sath wo sab kiya....
Sultaan : Wo.... Main wo.... wo....
Is se aage Sultaan se kuch kaha hi nahi jaata.... Use samajh nahi aa raha hai ki wo aakhir Nikki se kahe to kya kahe.... Sharm se uska sar jhuk jaata hai.... Tabhi Nikki ki baat sun ke use ek aur jhatka lagta hai....
***************************************
Idhar Daddu ke Parivaar me Sab ko Sultaan ki bahut yaad aa rahi hai.... Kisi ka bhi dil kisi kaam me nahi lag raha hai.... Unki aankhon se aansu beh rahe hain sath hi unka dil bhi ro raha hai... Sultaan jisne unki zindagi se gum ko nikaal ke use khushiyon se bhar diya.... Us nek Farishte ke sath unke Parivaar ne jo battareen salook kiya use yaad kar ke sab ki aankhon se zaaro kataar aansu beh rahe hain.... Dadi ke sath sath Mohini aur Mehek bhi gusse se paagal bani hui hain unka dil chah raha hai ki wo jaa ke Nanhe, Thakur Gajendra Singh aur Rashi ki jam ke dhulayi kare.... Maar maar ke teeno ki jaan le le.... Magar wo majboor hain.... Sultaan ki kasam ne unhe in teeno ke sath kuch bhi galat karne se roka hua hai....
Unhe is waqt sab se zyada dar is baat se lag raha hai ki kahin in teeno ki wajah se Sultaan in sab se apna Rishta na tod le.... Wo rishta jo Sultaan ka is sab ke sath juda hua hai.... Dil ka Pyar ka ehsaas ka aur Jazbaaton ka....
Unka dimaag unhe is baat pe yakeen karne pe majboor kar raha hai ki is sab ki wajah se Sultaan ab inse apne saare rishte tod lega.... wahin inka dil is baat ko maan ne ko taiyaar hi nahi... Sultaan waisa kuch karega.... Inke dil ko is baat ka poora yakeen hai ki chahe kuch bhi kyun na ho jaaye Sultaan kabhi inko khud se alag nahi karega....
Theek aisa hi haal dono Sarpanch ke ghar ke logon ka bhi hai.... Wahin Rashi ke ghar me sannata sa pasra hua hai... Maut ka sannata.... Aisa lag raha hai jaise ki inke ghar me kisi ki maut hui hai.... Kisi insaan ki na sahi magar Sultaan ke Vishwaas ki maut to hui hi hai....
Wahin Dusri taraf hai Simla waali Ladki.... Aakhir kaun thi wo....? Uske wahan hone ki wajah kya thi....? Kya wo bhi Chakravyuh ka ek hissa thi.....? Us haadse ke baad ab Wo zinda hai bhi ya nahi.... Agar wo zinda hai to is waqt wo hai kahan....?
****************************************
Nikki ne Sultaan se aisa kya kaha jise sun ke Sultaan ko jhatka sa laga....
Nikki : Mujhe yakeen nahi ho raha hai ki wo sab tumne kiya....? Main tumhe kya samajhti thi aur tum kya nikle....?
Sultaan : Nikki ye tum kya keh rahi ho....?
Nikki : Wo hi jo sach hai....
Sultaan : Jaisa tum samajh rahi ho waisa nahi hai....
Rosy : Waisa hi hai.... Aur Nikki ne kuch galat nahi kaha.... Is ne jo bhi kuch kaha wo sach hi kaha....
Sultaan : Nahi aisa nahi hai....
Rosy : Aisa hi hai.... Ya hi sach hai ki hum tumhe jitna achha samajhte the tum us se kayi zyada achhe nikle....
Sultaan : Nahi Rosy mera baat ka yakeen karo jaisa tum samajh rahi ho main waisa nahi hoon..... Please mujhe samajhne ki koshish karo....
Nikki : Wo hi to hum keh rahe hain....? Jaisa hum tumhe samajh rahe the tum waise nahi ho... Tum auro jaise nahi ho... Balki sab se achhe ho....
Tension me Sultaan unki baat samajh hi nahi paa raha hai use aisa lag raha hai jaise ki wo dono use galat keh rahi hain.... Unke baar baar kehne pe bhi jab Sultaan unki baat nahi samajh paata tab Nikki aage badh ke uske honthon ko apne muh me le ke uske choosne lagti hai.... Sath hi uski aankhon se aansu bhi behne lagte hain.... Nikki ki is harkat pe Sultaan buri tarha se chonk jaata hai.... Use samajh hi nahi aa raha hai ki Nikki jo use bhala bura keh rahi thi wo Achanak se use kiss kyun karne lagi.... Abhi wo is shock se ubhar hi nahi paaya tha ki tabhi Nikki ke hat te hi Rosy uske honthon ko choosne lagti hai.... Kuch der baad jab wo Sultaan se alag hoti hai tab Sultaan hairat se dono ko dekhe jaa raha hai.... Use dono ki is harkat ki wajah samajh nahi aa rahi hai....
Rosy : Ye tumhara inaam tha....
Sultaan : Inaam....!!!!
Nikki : Tum ne jo bhi kuch Naanu aur unke parivaar ke logon ke liye kiya.... Ye uske liye tha.... Aur jo tumne Mohini Maasi ke liye kiya uske liye to hum tumhe jo bhi Inaam de wo kam hi hoga....
Sultaan : Main kuch samjha nahi.... Abhi to tum dono keh rahi thi ki jaisa tum mujhe samajh rahi thi main waisa nahi hoon.... To phir Achanak se ye kiss....?
Hum ne wo hi kaha jo sach hai.... Hum tumhe jitna achha samajhte the tum us se kayi zyada achhe nikle.... Tum auro jaise nahi ho jo kisi ka fayeda uthane ke liye kisi bhi had tak guzar jaate hain..... Tum wo ho jo bina kisi fayede ke bina soche samjhe kisi ki bhi madat karne se nahi chookte chahe usme tumhe kitni bhi taqleef kyun na ho.... Tum unki taleef ko dur karne ke liye apni jaan ki baazi lagane se bhi nahi chookte.... Pehle tum ne Un gundon se Naanu ki jaan bachayi.... Phir Naanu ki madat kar ke unke barso purane sapne ko poora kar diya.... Uske baad apni jaan pe khel ke Mohini Maasi ki jaan bachayi.... Itna hi nahi... Duniya ke taano se Maasi ko bachane ke liye unhe Aulaad ka sukh dene ko bhi taiyaar ho gaye.... Aur to aur Tumne Maasi ko apni zindagi ka hissa bhi bana liya.... Yahan tak ki ye jaante hue ki Sachhayi jaan ne ke baad ho sakta hai ki shayad hum tumhe chor dete tum ne hum se kuch na chupaya sab kuch sach sach bata diya.... Ye sab karne waala koi aam insaan nahi ho sakta... Balki koi Farishta hi ho sakta hai....
Sultaan : Main itna bhi achha nahi hoon jitna tum dono mujhe samajh rahi ho....
Tum kya ho wo hum se behtar koi nahi jaan sakta.... Tum jaan ho humari aur humari jaan kabhi galat nahi ho sakti.... Samjhe....
Ye keh ke Dono Sultaan ke seene se lipat jaati hain....
Sultaan bhi unhe apni baahon me samet leta hai....
Sultaan : Sach kahun to Mujhe dar lag raha tha ki poori baat jaan ne ke baad kahin tum dono mujhe galat samajh ke chor na do.... Ab jaa ke mere bechain dil ko karaar aaya...
Nikki : Tumhe to karaar aa gaya magar humara kya....? Hum ko bhi karaar chahiye....
Sultaan : Matlab....!!!
Nikki : Itna bhi nahi samajhte buddhu... Main us karaar ki baat kar rahi hoon.... jaisa karaar tum ne Maasi ko diya waisa hi karaar hum dono ko bhi dena padega.... Samjhe....
Nikki ki baat sun ke jahan Sharm se Rosy ke gaal laal ho jaate hain wahin Sultaan Shock se use dekhne lagta hai....
Nikki : Aise dekhne se kaam nahi chalega.... Balki wo karna padega jo tumne maasi ke sath kiya.... Kyun Rosy maine theek kaha na....
Magar Rosy hai ki Sharm ke maare kuch keh hi nahi paa rahi hai....
Nikki : Kya hua Rosy tu chup kyun hai kuch bolti kyun nahi.... Achha main samajh gayi tujhe Sultaan ke sath wo nahi karna jo Maasi ne kiya.... Chal koi baat nahi tu mat kar magar main to zaroor karungi.... Chalo Sultaan hum chalte hain....
Rosy : Matlab kuch bhi haan... Maine waisa kab kaha.... Main to kab se Sultaan ke sath wo sab karna chahti thi.... Magar kabhi mauka hi nahi mila aur ab jab mujhe mauka mil raha hai to main kya paagal hoon jo mana karungi....
Rosy jo paas khadi sharma rahi thi use kuch na kehte dekh Nikki jo kehti hai use sun ke josh me aa ke Rosy ke muh se wo baat nikal jaati hai jiske baad wo sharm se paani paani ho ke apna chehra apne hathon me chupa leti hai....
Sultaan : Abe tum dono Paagal to nahi ho gayi.... Tumhe pata bhi hai ki tum kya karne ki baat kar rahi ho....
Is se pehle ki koi kuch kehta kisi ki awaaz sun ke Teeno chonk jaate hain....
Class attend karne ke bajaye tum teeno Park me kya kar rahe ho....?
Ye aur koi nahi Balki college ki Principal Shobha hai unke sath hi Zainab Madam bhi....
Sultaan : Ji wo hum wo....
Shobha Madam : Tum dono (Rosy aur Nikki) apni class me jaao aur tum (Sultaan) mere cabin chalo.... Mujhe tumse kuch baat karni hai.... Aap bhi sath aaiye Zainab Madam....
Shobha Madam ki baat sun ke Rosy aur Nikki foran apne class ki taraf chal deti hain wahin unke jaane ke baad Shobha Madam apni baat keh ke apne Cabin ki taraf unke peeche peeche Zainab Madam ke sath sath Sultaan bhi chal deta hai.... Poore raaste Zainab Madam baar baar Sultaan ko hi dekhe jaa rahi hain.... Is baat se Sultaan ko kuch ajeeb sa lagta hai.... Use Zainab Madam ki ye harkat samajh nahi aati.... Zainab Madam uski Professor hai.... Ab wo unse ye to pooch nahi sakta ki wo baar baar uski taraf aise kyun dekh rahi hain.... Is liye wo is baat ko ignore karte hue chup chaap Shobha Madam ke peeche peeche uske Cabin me chala jaata hai.....
Apni Chair pe baithne ke baad Shobha Madam ek file utha ke usme ke har ek Paper ko achhe se check karne ke baad use ek taraf rakh ke Sultaan se sawaal karti hai.....
Shobha Madam : Jab tumne apne Admission ke waqt non Attending karwa liya tha to phir tum College kyun aaye ....?
Sultaan : Padhayi karne....
Shobha Madam : To phir tumne Non Attending me Admission kyun liya....?
Sultaan : Wo is liye kyun ki kuch zaroori wajah se mera saal bhar regular College aana mumkin nahi.... College ke neeyam ki wajah se zyada chutti mujhe aap allow nahi karengi.... Is wajah se mujhe Non Attending me Admission lena pada....
Shobha Madam : College me gair haazri ki wajah se tumhari Padhayi ka jo nuksaan hoga uske baare me nahi socha.....
Sultaan : Wo main cover kar lunga.... Bas aap mujhe College attend karne ki ijazat de dijiye....
Shobha Madam : Nahi.... Non attending ka matlab hai tum sirf exam dene College me aa sakte ho.... Lecture attend karne nahi....
Sultaan : Madam please mujhe College attend karne ki ijazat de dijiye....
Shobha Madam : Agar tumhe College attend karna hai to tumhari Attendence poori honi chahyi.... Jo ki College shuru hone ke ek mahine baad ab to mumkin nahi....
Sultaan : Madam jo waqt beet gaaya use to main lauta nahi sakta aur na hi aage apne Poore Attendence ki aapko Guarantee de sakta hoon... Ye dono hi mumkin nahi.... Kuch zaroori kaarano ki wajah se mujhe College se aage bhi chutti leni hi padegi... Main majboor hoon....
Shobha Madam : To phir main bhi majboor hoon.... Jo tum keh rahe ho us baat ki ijazat main tumhe nahi de sakti.... Agar maine tumhe ijazat de di to baaki sab bhi Tumhari tarha hi College se chutti lene lagenge....
Sultaan : Madam Please meri baat maan lijiye.... Main aapko yakeen dilata hoon ki aisa nahi hoga.... Kyun ki sab ko pehle se hi ye pata hai ki maine Non Attending me Admission liya hai.... To mere College na aane se College ko koi objection nahi hoga.... Magar baaki sab ke liye College ka jo maximum Attendence ka rule hai wo zaroori hai... Attendence kam hone ki wajah se unhe Exam me baithne nahi diya jaa sakta hai....
Zainab Madam : Kam Attendence ki wajah se to tumhari padhayi me bhi nuksaan hoga.... Uska kya....?
Sultaan : Wo main cover kar lunga....
Is se pehle ki Zainab Madam kuch kehti Shobha Madam beech me bol padti hain....
Shobha Madam : Achha... Lagta to nahi ki tum itne kaabil ho.... lekin tum keh rahe ho to maan lete hain... Magar aise nahi.... Balki tumhe Exam de ke ye saabit karna hoga ki tum utne kaabil ho jitna tum khud ko bata rahe ho.... Aur Ek baat Exam me sirf paas hone se kaam nahi chalega.... Balki tumhe 90 se uper Marks laane hone.... Itna hi nahi pichle ek mahine me jitna bhi portion complete hua hai tumhe uske hisaab se saare Subjects ke Exam dene honge.... wo bhi sirf ek hi din me.... Exams ki taiyaari ke liye tumhe 5 din ka samaye diya jaayega....
Sultaan : Saare Exams ek hi din me.... Aur taiyaari ke liye sirf 5 din.... Madam ye aap kya keh rahi hain.... 5 din me saare Subjects ki taiyaari karna mere liye to kya kisi ke liye bhi mumkin nahi...
Shobha Madam : Kyun tum to khud ko bada kaabil bata rahe the ab achanak se kya ho gaya....?
Sultaan : Madam kaabil hone ka ye matlab to nahi hota ki main 5 din me mahine bhar ki padhayi kar loon... Sath hi Exams me 90% bhi le aaun.... Please aisa mat kijiye... Kyun ki aap jo keh rahi hai wo mere liye to kya khud aapke liye bhi mumkin nahi....
Sultaan ki baat sun ke Shobha Madam ko gussa aa jaata hai....
Shobha Madam : Tumhari himmat kaise hui mere liye aisa kehne ki....?
Sultaan : Madam main kuch galat to nahi kaha... Wo hi kaha jo sahi hai....
Shobha Madam : Sahi aur galat mujhe tumse seekhne ki zaroorat nahi.... Aur abhi tum ne mere sath jo ye badtameezi se baat ki hai uski wajah se ab Exam ki taiyaari karne ke liye tumhare paas sirf 4 din ka waqt hai... Agle 4 din baad tumhare Exams honge....
Sultaan : Madam 5 din to pehle hi kam the.... Main 4 din me kaise taiyaari karunga....
Shobha Madam : 3 Din....
Sultaan : Madam Please baat ko samajhiye....
Shobha Madam : 2 din.... Aur is sab me tumhara sath dengi Zainab madam.... Wo tumhe Exam ki taiyaari me madat karengi.... Agar galti se bhi tumhare Number kam aaye to is ki saza tumhare sath sath Zainab Madam ko bhi bhugatni padegi.... Jahan kam Marks aane pe tum poora saal na College me aaoge aur na hi ek bhi class attend karoge.... Bas Exam dene College me aa sakte ho.... Aur rahi baat Zainab Madam ki to unhe agle 1 mahine ke liye College se Suspended rehna hoga.... Jo Teacher bachhe ko padha ke achhe marks nahi dila sakti waisi Teacher ka College me hona na hone ek hi baat hai....
Shobha Madam ki baaten sun ke Zainab Madam ke sath sath Sultaan ko bhi unpe gussa aane lagta hai.... Magar wo chah ke bhi unhe kuch nahi keh sakta hai... Apna sar jhuka ke haan kehne ke alawa uske paas aur koi raasta nahi hai....
Sultaan : Mujhe manzoor hai....
Zainab Madam : Mujhe bhi manzoor hai....
Dono ke muh se haan sun ke Shobha Madam ki aankhon me khushi ki chamak aa jaati hai.... Sath hi un ka chehra gusse se laal ho jaata hai.... Unhe ye katayi manzoor nahi ki jab wo kisi se baat kar rahi ho... To koi unki baat ko kaat ke beech me bole.... Sath hi koi kisi ke sath zyaddati kare.... Yahan to Zainab Madam ne dono hi kaam kar diya tha jo Shobha Madam ko gussa dilane ke liye kaafi tha... Iso wajah se unhone dono ki achhe se band baja di...
Sultaan abhi room se bahar hi nahi nikla tha ki tabhi Shobha Madam ki baat sun ke use gussa aa jaata hai.... Badi Mushkil se wo apne gusse ko kaabu karta hai....
Shobha Madam : Yaad rakhna 2 din hai tum dono paas khud ko saabit karne ke liye.... Sirf 2 din....
Ye keh ke Shobha Madam College ka round lene chal deti hai....
Sultaan aur Zainab gusse se unhe dekhte reh jaate hain.... unke jaane ke baad Sultaan bhi bahar ki taraf chal deta hai....
Zainab Madam : Tum kahan jaa rahe ho....
Sultaan : Ghar jaa raha hoon padhayi karne....
Zainab Madam : Uske liye ghar jaane ki kya zaroorat hai... Yahan College me bhi to padhayi kar sakte ho na....
Sultaan : Usi wajah se to main yahan aaya tha magar aapki meherbaani ki wajah se wo bhi mushkil ho gaya.... Kya zaroorat thi aapko beech me padne ki....
Zainab Madam : Ek to maine tumhari madat ki aur tum ho ki ulta mujhe galat keh rahe ho....
Sultaan : Ise aap madat karna kehti hain...
Zainab Madam : Maine theek waise hi tumhari madat ki jaise tumne 6 mahine pehle meri madat ki thi....
Sultaan : Maine aapki madat ki...!!!! wo bhi 6 mahine pehle.... Matlab kuch bhi haan... Pichle 1 mahine me main aaj dusri baar aap ko dekh raha hoon..... 1 mahine pehle to maine aapko kabhi dekha bhi nahi tha aur aap hain ki 6 mahine pehle ki baat kar rahi hain....
Abhi Sultaan ne itna hi kaha tha ki tabhi Shobha Madam wahan aa jaati hai... Unhe dekh ke Zainab Madam apni Class ki taraf chal deti hai aur Sultaan apne ghar ki taraf....
Ek to Sultaan ka pehle se hi mood kharaab bana hua tha wahin Siya ko dekh ko dekh sath hi uski baat sun ke Use gussa aa jaata hai....
Siya : Itni jaldi College se waapis aa gaye.... Tum College padhne jaate ho ya tafri karne....
Sultaan : Ye mujhe tumhe batane ki zaroorat nahi.... Tum Apne kaam se kaam rakho ye hi tumhare liye achha hai.....
Siya : Jo mera kaam hai wo hi kar rahi hoon..... Jab tak mujhe tumhare baare me poori jaankaari nahi hogi.... Main tumhari security ka intezaam kaise karungi....
Sultaan : Meri choro apni fikr karo.... Khud se to ek kadam bhi chala nahi jaa raha hai aur chali hai mujhe Sultaan ko Guard karne....
Siya : Bas ek baar mujhe theek hone de phir dekhna main kaise teri band bajati hoon....
Siya ki baat sun ke Sultaan ko uspe hansi aa jaati hai.....
Sultaan : Hahahahahahahahaha....
Siya : Maine kya koi joke maara hai jo tujhe itni hansi aa rahi hai....
Sultaan : Ye Joke nahi to aur kya tha....
Siya : Ye joke nahi balki wo hakeekat hai jo kabhi poora nahi ho saka..... Aaj tak aisa koi paida nahi hua jo mujhe.... Siya ko hara sake.....
Sultaan : Jis din galti se bhi Sultaan ke haththe chadh gayi na us din... Nahi din nahi balki usi pal se ye kehna bhool jaaogi....
Sultaan ki baat pe Siya kuch kehti tabhi.... Ghar ke Main door ke bell bajne ki awaaz aati hai.... Jise sun ke Sultaan darwaza kholne bahar ki taraf chal deta hai.... Darwaza kholte hi wo saamne dekh ke shock ho jaata hai sath hi behad khush bhi....