Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 73 "Adventure 1"
"Tumhari himmat kaise hui yahan aane ki....?"
Awaaz sun ke Sultaan idhar udar dekhta hai.... Magar use koi nazar nahi aata....
Sultaan : Ye kiski awaaz hai....? Aur tum dono itna dar kyun rahe ho....?
Shera darte darte kehta hai....
Shera : Y.... Y..... Ye awaaz Naagrani Ayushi ki hai....?
Sultaan : Naagrani Ayushi.... Ab ye kaun hai....?
Shera : Naagrani Ayushi Naaglok ki Rajkumari hai.... Is duniya ki sab ke takatwar Ichchadhari Nagin..... Is poori duniya me us se zyada takatwar aur koi nahi.... Usme beintehaan Powers hain.... Aage ka ilaaka Naaglok ka hai.... Wahan jaana matlab maut ko daawat dena.... Jo koi bhi us taraf gaya wo kabhi wahan se wapis laut ke nahi aaya.... Ye bhi pata nahi ki wo sab zinda bhi hai ya nahi.... kisi ko bhi wahan jaane ki ijazat nahi hai....
Sultaan : Magar mera wahan jaana behad zaroori hai.... Jo Jadibootiyan mujhe chahiye unme se kuch mujhe wahin milengi....
Shera : Magar Naagrani Ayushi ka kya.....? Pehli baat to ye ki wo tumhe Naaglok me jaane ki ijazat nahi dengi.... Aur agar galti se bhi tum under chale gaye to phir unka keher tum pe tootega....
Sultaan : Mere apno ke liye mujhe sab kuch manzoor hai.... Aur yahan to baat Mamta maa ki hai.... Jinhe theek karne ke liye main kisi bhi had tak jaa sakta hoon.... Isliye chahe mujhe kuch bhi kyun na karna pade.... Main peeche nahi hatunga....
Ye keh ke Sultaan aage badh jaata hai.... Wo apna kadam aage badha ke Naaglok ki seema me dakhil ho jaata hai.... Jaise hi Sultaan apna kadam Naaglok ke under rakhta hai wahan ka mausam ek dum suhana ho jaata hai.... Jahan pichle 5 saal se Naaglok me ghana andhera chhaya hua tha wahin Sultaan ke kadam rakhte hi poora Naaglok neeli aur Gulabi roshni me chamak uthta hai.... Poora Naaglok jo saalon se gum me dooba hua tha wahan ka mahaul Achanak se behad hi khushgawar ho gaya hai.... Wahan ka mahaul dekh ke sab hairat aur khushi ke maare uchal rahe hain....
Naagrani Ayushi bhi ye sab dekh ke hairaan hai.... Use kuch samajh hi nahi aa raha hai ki ye achanak se kya aur kyun ho gaya....? Theek aisa hi haal Ayushi ki maa Kalyani aur behen Manushi ka bhi hai.... Kisi ko kuch bhi samajha nahi aa raha hai ki aakhir ye sab Achanak se kya aur kaise hua....? Is baat ka pata karne teeno mil ke Naaglok ke Maha Guru Kapali ke paas jaate hain....
Wo jaise hi kapali ke kaksh me daakhil hote hain.... Maha Guru Kapali ko muskurate dekh unhe behad hairaani hoti hai....
Kalyani behad gusse me : Yahan teen din baad Qayamat aane waali hai.... Agar jald hi kuch na kiya gaya to 3 din baad meri beti Ayushi ka poora jism Pathar ka ban jaayega sath hi uski jaan bhi chali jaayegi.... is sab ka ilaaj dhoondhne ke bajaye aap hain ki muskura rahe hain....
Kapali : Baat hi khushi ki hai.... Jab aap sunengi to meri tarha aap bhi behad khush ho jaayengi....
Kapali ki baat sun ke Teeno maa beti ek dusre ki taraf dekhne lagti hai.... Unhe Kapali ki koi bhi baat samajh nahi aa rahi hai....
Kalyani : Aakhir aap kehna kya chah rahe hain....? Saaf saaf kahiye....
Kapali khush hote hue : Wo aagaya.... Wo aagaya.....
Kalyani : Kaun aa gaya....?
Kapali : Sultaan aa gaya... Saalon ke intezaar ke baad aakhir Sultaan laut aaya....
Teeno : Kaun hai ye Sultaan....? Aap kiski baat kar rahe hain....? Aur uske aane na aane se hume kya....? Humari pareshani to abhi bhi wahin ke wahin hai balki wo to har guzarte pal ke sath badhti hi jaa rahi hai....
Kapali : Sultaan hi wo hai jo Ayushi ki jaan bacha sakta hai.... Wo dekho wo raha Sultaan....
Kapali ka ishara paa ke sab Sultaan ki taraf dekhte hain....
Manushi : Ye to mamooli insaan hai.... Isme to itni bhi taaqat nahi ki hamare saamne 1 pal ke liye bhi tik paaye ye bhala humari kya madat kar sakta hai....?
Kalyani : Sahi kaha Manushi ne... yahan ki sab se kamzor aur nirbal mamooli si Naagin ki ek zehreeli phunkar bhi ise jaan se maar de.... Ye bhala humari kya madat karega....
Kapali : Maaf karna Naagmata.... Magar jise aap mamooli insaan samajh rahi hain.... Wo mamooli insaan nahi balki Sultaan hai.... Prince of Universe.... Jise maarne to bahut dur ki baat hai koi use chu bhi nahi sakta.... Poora Universe jiske ishare pe harkat me aata hai koi bhala uska kya bigaad sakta hai.... Wo nahi balki hum sab unke aage ek mamooli si chenti ke barabar bhi nahi hain....
Kalyani : Jo aap keh rahe hain uspe yakeen karna mumkin to nahi hai.... Magar aap keh rahe hain to isme kuch baat to zaroor hogi....
Kalyani kuch der sochne ke baad jo kehti hai use sun ke Sab unki baat se sehmat ho jaate hain....
Kalyani : Jaisa aap is mamooli se insaan ke baare me bata rahe hain.... Ise dekh ke to aisa lag nahi raha hai.... Magar phir bhi aap ne kaha hai to kuch baat to isme zaroor hogi.... Kyun na iska imtehaan le liya jaaye..... Dekhen to sahi ki aapke Prince of Universe me kitna dum hai....?
Kalyani ki baat sun ke Maha Guru Kapali muskura dete hain....
Kalyani ke ishare pe unke kuch khaas aur takatwar Sainik Sultaan ko aazmaane uski taraf chal dete hain....
Wo Sultaan ko rok ke us se poochte hain....
Sainik 1 : Ek mamooli insaan ho ke Naaglok me aane ki teri himmat kaise hui.... Jald se jald wapas laut jaa is se pehle ki hum tujhe jaan se maar den....
Sultaan : Main yahan kisi khaas wajah se aaya hoon.... Yahan ******** jagah jo Jadibootiyan hain use lene aaya hoon.... Mamta maa ke ilaaj ke liye mujhe uski zaroorat hai....
Sainik 2 : Wahan jaana to bahut dur ki baat hai agar tu ne ek kadam bhi aage badhaya to apni jaan se jaayega.... Zinda rehna chahta hai to jald se jald yahan se laut jaa....
Sultaan : Main yahan kisi ko koi nuksaan pahunchane nahi aaya hoon.... Mujhe jo Jadibootiyan chahiye use le ke main yahan se chala jaaunga.....
Sainik 2 : Abe ek baar me tujhe baat samajh me nahi aati kya.....? Rahi baat hum ko nuksaan pahunchane ki to ek mamooli insaan hum ko kya nuksan pahuncha sakta hai.... Ulta hum jab chahe tujhe ek mamooli keede ki tarha masal sakte hain....
Sainik 1 : Ise maarne ke liye to bas meri ek zehreeli phunkaar hi kaafi hai.... Aur ye jal ke raakh ho jaayega....
Sultaan unki baaton ignore kar ke aage bad jaata hai.... Ye dekh wahan maujood sabhi sainikon ko uspe behad gussa aa jaata hai.... Sainik 1 apni zehreeri phukaar Sultaan pe chorta hai.... Wo phunkaar itni zehreeli hai ki saamne aayi har ek cheez ko jala ke raakh kar de.... Magar yahan to baat hi alag hai.... Saamne ka nazara dekh ke sab ke hosh ude hue hain....
Sultaan pe us zehreeli phunkaar ka koi asar nahi hua hai.... Wo aage badha jaa raha hai....
Ye dekh Sainik 2 aage badh ke Sultaan pe apni talwaar se waar karta hai.... Sultaan foran ek taraf ho ke us waar se khud ke bacha leta hai.... Ye dekh Sainik 2 gusse me aa jaata hai.... Wo ek baar phir se Sultaan pe apni zeher lagi talwaar se waar karta hai.... Sultaan is baar khud ko bachate hue uska hath bech me hi pakad leta hai.... Aur ek tez jhatka uske hath ko deta hai.... Ek tez awaaz ke sath us Sainik ke hath ki haddi kandhe se ukhad jaati hai.... Aur wo dard se cheekh uthta hai....
Sultaan ek baar phir se sab ko agaah karta hai....
Sultaan : Main phir keh raha hoon.... Main yahan kisi ko koi nuksaan pahunchane nahi aaya hoon.... Mamta maa ko theek karne ke liye mujhe jo Jadibootiyan chahiye.... Wo le ke main yahan se chala jaaunga.... Aap sab se meri ye guzarish hai ki mujhe un Jadibootiyon ko le jaane dijiye....
Sainik 1 : Jo harkat tu ne ki hai uske baad to ab tera yahan se zinda jaana hi mumkin nahi.... Jadibootiyan le jaana to bahut dur ki baat hai....
Phir Sainik 1 ke Ishare pe 100 behad shaktishali Naag Sultaan pe hamla karne ke liye aage aate hain.... Jo ki Sultaan se kad kaathi me dugne lambe aur chaude hain.... Unhe dekh ke Sultaan apna sar peet ke kehta hai....
Sultaan : Yaar tum sab kyun apni jaan ke dushman bane hue ho.... Maar khaye bina tumko meri baat samajh nahi aati kya....?
Sultaan ne abhi itna hi kaha tha ki tabhi wo sab hathiyaar le ke ek sath Sultaan pe waar karne lagte hain.... Sultaan unke waar se khud ko bachate hue un pe aise waar kar raha hai jaise ki wo ichhadhaari naag na ho ke mamooli gunde ho.... Sultaan ka ek mukka padte hi unki haddiyan toot rahi hai.... Ab tak wo sab Sultaan pe hathiyaar se waar kar rahe the lekin ab wo sab Sultaan ko maarne ke liye apni Powers ka istemaal karne lagte hain....
Saamne jo ho raha use dekh ke yahan maujood kisi ko bhi apni aankhon pe yakeen nahi aa raha hai.... kyun ki Jo wo dekh rahe hain wo mumkin hi nahi.... Jis Powers ka istemaal wo Sultaan pe waar karne ke liye kar rahe hain.... Un Powers se Sultaan ko koi nuksaan nahi ho raha hai.... Ulta unke jism se Saari Powers nikal ke Sultaan ke jism me sama rahi hai.... Saamne ka nazara dekh ke aisa lag raha hai jaise ki Sultaan wahan maujood sabhi ki powers ko apne under kheench raha hai.... Dekhte hi dekhte kuch hi der me sab ke under ki saari Powers Sultaan apne under sokh leta hai.... Sath hi Sultaan ki maar kha ke sab dard se tadapte hue zameen pe pade nazar aane lagte hain....
Jahan apne sab se khatarnaak Naag Sena ka aisa haal dekh ke Naagrani Ayushi uski Maa aur behen ko behad gussa aane lagta hai.... Wahin Maha Guru Kapali ke chehre ki muskaan aur gehri ho jaati hai....
Naagrani Ayushi uski Maa Kalyani aur behen Manushi ek sath mil ke gusse me Sultaan pe apni Powers se waar karti hain.... Wo Powers seedhe Sultaan ke seene se takra ke use nuksaan pahunchane ke bajaye uske under samane lagti hai.... Ye dekh kapali foran aage badh ke unhe rok dete hain....
Agar wo aisa na karte to in teeno ki saari powers ke sath sath inki jismani Shakti bhi Sultaan ke jism me sama jaati....
Teeno kamzor lachaar ki tarha zameen pe gir ke haafne lagti hain.... sath hi hairat se ek tak Sultaan ko dekhe jaa rahi hain.... Abhi jo bhi kuch hua uspe yakeen karna unke liye mumkin hi nahi hai.... Unki jis powers ke aage duniya ka koi jeev ek pal ke liye bhi tik nahi sakta.... Use lagte hi uska poora jism jal ke rakh me badal jaaye.... Un Powers se Sultaan ko nuksaan pahunchna to dur ulta Sultaan ne lagbhag unki us ke sath sath baaki ki bhi aadhi se zyada Powers ko apne under Kheench liya.....
Is waqt Sultaan ka dimaag gusse se phat raha hai.... Wo gusse me aake cheekhne ke bajaye dahaad uthta hai.... Uski dahaad sun ke wahan maujood sabhi ke sath sath poora Naaglok bhi dar se kaamp jaata hai....
Maha Guru Kapali foran aage badh ke Sultaan ke aage jhuk ke us se maafi maangne lagte hain....
Kapali : Maafi Sultaan..... Maafi....
Sultaan gusse me ek zordaar punch unhe maarne hi waala hota hai ki tabhi uski nazar Naagrani Ayushi pe padti hai.... Ayushi ko dekhte hi Sultaan ka hath beech me hi ruk jaata hai.... Naagrani Ayushi ka beintehaan khoobsurat aur masoom chehra dekh ke Sultaan ka gussa jaise hawa ho jaata hai.... Wo bas ek tak use dekhta hi reh jaata hai....
Sultaan ko apni taraf is tarha goorte dekh Naagrani Ayushi ko ajeeb sa lagta hai... Uske Jism me sirhan si daur jaati hai.... Ek alag hi ehsaas use hone lagta hai.... Wo Sultaan ki taraf khichi chali jaati hai....
Is se pehle ki Sultaan kuch kehta ya karta kalyani aage badh ke Sultaan se jo kehti hai use sun ke jahan Sultaan ki aankhen nam ho jaati hain wahin uske honthon pe pyari si muskaan ubhar aati hai....
Kalyani : Tumhe ye Jadibootiyan chahiye to iske badle me tumhe humare liye ek kaam karna hoga.... Wo saamne laave ke samundar ke beecho beech jo wo Sunehra paudha hai use humare liye laana hoga....
Sultaan ek nazar us laave ke Samundar ki taraf dekhta hai phir palat ke kalyani ko dekhta hai.... Wo abhi kuch kehne hi waala hota hai ki tabhi Kalyani jo kehti hai use sun ke Sultaan kuch pal ke liye khamosh ho jaata hai....
Kalyani : Agar tumhe ye Jadibootiyan chahiye to tum chaho na chaho tumhe humare liye wo Sunehra paudha laana hi hoga.... Jis tarha se tumhari maa ka ilaaj in Jadibootiyon se ho sakta hai theek usi tarha se meri Beti Ayushi ke ilaaj ke liye mujhe wo Sunehra paudha chahiye.... Agar tumne inkaar kiya to main in Jadibootiyon ko nasht kar dungi.... Ab ye tum pe hai ki tum kya chahte ho....?
Kuch pal khamosh rehne ke baad Sultaan Ayushi ki taraf dekh ke kehta hai....
Sultaan : Main jaaunga.... Apni jaan ki jaan bachane ke liye main kuch bhi kar sakta hoon.... Ye to phir bhi bas ek laave ka Samundra hai....
Ye keh ke Sultaan muskurate hue aage badh jaata hai.... Jaise jaise wo us laave ke Samundar ke kareeb jaane lagta hai use tez garmi ka ehsaas hota hai.... Uske jism ke roye jalne lagte hain.... Use tez dard ka ehsaas hone lagta hai.... Uske pairon me pehne joote jalne lagte hain.... Uske kapdon ke sath sath uske poore jism me aag lag jaati hai.... Sultaan ka poora jism laave se nikli aag me jal raha hai use.... Sultaan apne jism me ho rahe beintehaan dard ko bardasht kar ke aage badhta jaa raha hai.... Dheere dheere aage badhte badhte wo laave me gusne lagta hai.... Uske kapdon ke sath sath uske jism ki chamdi aur phir uske jism ka maans laave me jal jal ke girne lagta hai.... Sultaan ke muh se dard bhari cheekh nikal jaati hai jise sun ke wahan maujood sabhi ka dil dehel jaata hai... Sab ki aankhon se beintehaan aansu behne lagte hain.... Yahan tak ki Sultaan ka dard aur uski tadap mehsus kar ke Aasmaan ka kaleja bhi phat padta hai.... Tez bijli kadakne lagti hai sath hi bhayanak baarish shuru ho jaati hai.... Sultaan ka haal dekh ke Ayushi paagalon ke jaise rone lagti hai.... Uski aankhon se aansu ki jagah khoon behne lagta hai....
Dekhte hi dekhte Sultaan ka poora jism laave me sama jaata hai.... Uska namo nishaan tak nazar nahi aa raha hai.... Bas kuch nazar aa raha hai to wo hai Laava Sirf aur Sirf Laava....
Sultaan ka aisa haal dekh ke sab ki aankhon se aansu beh rahe hain.... Ayushi to jaise paagal si ho gayi hai.... Uska dil buri tarha se tadap raha hai.... Aankhon se beh rahe aansu rukne ka naam hi nahi le rahe hain....
Ayushi : kyun maa kyun....? Ye jaan ne ke baad bhi ki us maut ke samundar se koi zinda wapis laut ke nahi aa sakta.... aap ne Sultaan ko maut ke muh jaane diya.... Aap itni khudgarz kab se ho gayi ki apni beti ki jaan bachane ke liye aap ne jaan booch ke us masoom ko maut ke muh me dhakel diya....
Ayushi aur na jaane kya kya kahe jaa rahi hai.... Uska dil jo itna tadap raha hai.... Use itni tadap kyun ho rahi hai is baat ka jawaab to khud uske paas bhi nahi hai.... Jab us se ye tadap bardasht nahi hoti tab wo uth ke us maut ke Samundar ki taraf badh jaati hai....
Apni jaan se pyari beti ko yun maut ki taraf jaate dekh Kalyani ka dil dehel jaata hai.... Wo aage badh ke use rokti hai....
Kalyani : Ye tu kya karne jaa rahi hai meri bachhi....
Ayushi : Maa chor do mujhe jaane do.... Main apne Sultaan ke paas jaa rahi hoon..... Jab mera Sultaan hi nahi raha to main jee ke kya karungi....
Kalyani : Tujhe jis maut se bachane ke liye maine jaane kya kuch nahi kiya.... Yahan tak ki us masoom ko bhi zinda maut ke muh me dhakel diya.... Tujhe us maut ke koonwe me kaise jaane doon.... Mera bas chale to apni jaan de ke bhi teri jaan bacha loon.... Magar ye mumkin nahi tujhe bas ek hi cheez bacha sakti hai aur wo hai....
Abhi kalyani itna hi keh paayi thi ki tabhi kisi ki awaaz sun ke wo buri tarha se shock ho jaati hai.... Wo hi nahi balki us awaaz ko sun ke yahan maujood sabhi Shock ho jaate hain....
Sab palat ke uski taraf dekhte hai jis taraf se awaaz aayi thi....
Sultaan : Wo ye hai Sunehra Paudha....
Sultaan ko sahi salamat dekh ke Ayushi ki khushi ka thikana nahi rehta uska dil khushi se jhoom uthta hai.... Wo khushi me aage badh ke Sultaan ke jism se lipatne waali hoti hai ki tabhi Sultaan foran peeche hat jaata hai....
Uske poore jism se is waqt beintehaan dhoonwa nikal raha hai.... Uska jism itna garm hai ki agar use is waqt koi chu le to wo jal ke raakh ho jaaye.... Pehle Sultaan ke jism pe Sky Blue T-shirt aur Jeans tha jo Laave me jal ke khatam ho chuka hai.... Wahin is waqt uske jism pe ek behad hi aalishan Safed Shaahi Libaas lipta hua hai.... Is waqt Sultaan behad hi khoobsurat Smart aur Dashing nazar aa raha hai.... Uske baal thode lambe ho gaye hain... Uska Chehra behad hi aakarshak lag raha hai.... Yahan maujood Saabhi Naagin khud ko Sultaan ki diwaani hone se rok nahi paa rahi hai.... Sab pyar bhari nazron se Sultaan ko dekhe jaa rahi hain....
Sab hairat se kabhi Sultaan ko dekh rahe hain to kabhi Us Laave ke samundar ko.... Unhe yakeen hi nahi ho raha hai ki unke saamne is waqt jo khada hai wo aur koi nahi balki Sultaan hai.... Kyun ki us laave ke Samundar se koi bhi zinda bahar nahi aa sakta.... Ye namumkin si baat hai....
Maha Guru Kapali : Aap sab sahi soch rahe hain.... Is laave ke Samundar me jaake kisi ka zinda laut ke aana mumkin nahi hai.... Magar Sultaan ke liye ye to kya koi bhi kaam namumkin nahi kyun ki ye aur koi nahi balki Prince of Universe hain.... Jise na to paani duba sakta hai... Na aag jala sakti hai... Na hi hawa inko koi nuksaan pahuncha sakti hai aur na dharti.... Itna hi nahi panch tatva ke sath aur bhi bahut kuch hai jo inke aadheen hain.... Sultaan ko harana is poori duniya me kisi ke liye mumkin nahi inhe jaan se maarna to namumkin si baat hai.... Sultaan ko agar koi maar sakta hai to wo khud Sultaan hai....
Sultaan : Agar meri tareef poori ho gayi ho to kya aage ka kaam kar liya jaaye....?
Manushi : Wo Sunehra Paudha hum ko de dijiya.... Aage ka kaam hum khud kar lenge....
Sultaan : Abhi to sirf ye Sunehra paudha mila hai.... Ayushi ka ilaaj nahi hua....
Manushi : Wo hi to main keh rahi hoon ki aap wo paudha hum ko de dijiye taaki hum jald se jald Ayushi ka ilaaj kar saken....
Sultaan : Ye Sunehra paudha maine aap ko de bhi diya tab bhi aap apni behen ka ilaaj nahi kar paayengi.... Kyun ki Ayushi ka ilaaj sirf aur Sirf wo hi kar sakta hai.... Jisne is Sunehre Paudhe ko haasil kiya ho....
Manushi : Ji nahi aisa kuch nahi hai.... Ayushi ka ilaaj koi bhi kar sakta hai....
Kapali : Sultaan sahi keh raha hai.... Ayushi ka ilaaj wo hi kar sakta hai jisne is paudhe ko haasil kiya hai.... Wo hi is Sunehre paudhe ke zariye Ayushi ke Jism se us ghaatak Tilism aur Kaale jaadu ko nikaal sakta hai.... Wo aur koi nahi balki Sultaan hai.... Sultaan ko Ayushi ka ilaaj jald se jald karna hoga uske liye iske paas bas do din ka waqt hai.... 2 din ke under agar Sultaan ne is Sunehre Paudhe ke zariye Ayushi ke jism me se us ghaatak Tilism aur Kaale jaadu ko na nikala to phir Ayushi ki jaan bachana namumkin ho jaayega.... Bas 2 din ka waqt hai hamare paas... Bas 2 Din....