Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 30
"Ek Nayi Raah 2"
Sultaan ko dekh Sweety ke dimaag me ek idea aata hai aur wo muskurane lagti hai.... Sweety ko yun muskurate dekh Saba aur Saima ke chehra pe hawaiyaan udne lagti hain.... Jahan unhe dekh Sweety haan me Apna Sar hila rahi hai wahin wo dono Sweety ke man ki baat jaan ke na me apna sar tezi se hilane lagti hain....
Aakhir chal kya raha hai is waqt Sweety ke dimaag me....?
Saba : Tere dimaag me chal kya raha hai batayegi.....?
Sweety : Tu jaan na chahti hai to sun.... Hum ko jiski talaash thi wo mujhe mil gaya hai....
Saima : Kahin tu ye to nahi kehna chah rahi ki wo Sultaan hai.....
Sweety : Tu na meri pakki waali dost hai.... Apni Dost ke dil ki baat tu jhat se samajh gayi....
Dono ek sath : Tu paagal to nahi ho gayi.... Ye kya keh rahi hai.... Pata nahi wo kaun hai....? Kahan se aaya hai....? kitna gusse waala hai... Wo kisi se nahi darta balki log us se darte hain... Dekha nahi kaise wo Inspector Sultaan ke pair pakad ke us se maafi maang raha tha.,... Usne to us MLA ke bete ko bhi nahi chora jis se poora sheher darta hai usne jam ke uske sath sath uske gundon ki bhi dhulayi ki... Use dekh ke yahan maujood har koi dar raha tha aur tu hai ki us se nakli Shadi karna chahti hai....
Sweety : Haan...
Saba : Kya haan...? Pagalpan mat kar ye sarasar khudkushi hogi....
Sweety : Kuch nahi hoga.... Tu bekaar me dar rahi hai.... Mujhe yakeen hai ki Jab main use apni Pareshani bataungi to wo meri madat zaroor karega.... Dekha nahi kaise usne us ladki ki madat ki....
Saima : Us ladki ki baat alag thi sath hi uski takleef bhi baat uski izzat ki thi.... To Sultaan ne uski madat ki.... Magar yahan tere sath wo baat nahi hai....
Sweety : Sahi kaha tu ne yahan baat alag hai... Yahan baat meri jaan ki hai... Agar us lallu se meri Shadi hui to main apni jaan de dungi....
Sweety ki baat sun ke Dono shock ho jaati hain....
Dono : Pagalpan ki baat mat kar....
Sweety : Ye Paagalpan nahi hai.... Us Lallu laal se Shadi kar ke ghut ghut ke jeene se to achha maut hai... Kam se kam main sukoon se mar to sakungi....
Dono : Itni jaldi me faisla mat kar Ek baar aur soch le....
Sweety : Maine Soch liya hai main ye kar ke hi rahungi.... Mere is faisle ko ab koi nahi badal sakta.... Ab ye tum dono ko sochna hai ki is me tum dono mera sath dogi ya nahi.....
Na chahte hue bhi dono haan me apna sar hila ke kehti hain....
Dono : Hum tere sath hain....
Dono ke muh se haan sun ke Sweety khushi se uchal padti hai....
Sweety : Mujhe pata tha tum dono meri sachhi dost ho chahe koi de ya na de tum dono mera sath zaroor dogi....
Dono udaas man se : Ab marte hue insaan ka sath hum kaise chor sakti hai.... Aur waise bhi tu to humari bachpan ki dost hai hum aise me tera sath kaise chor sakti hain.....
Sweety : Marta hua insaan matlab....!!!!!
Dono : Wo chor aur ye bata ki tu ne kya Plan kiya hai....?
Sweety : Abhi maine kuch Plan nahi kiya hai.... na hi is waqt mere dimaag me koi idea hai....
Dono : Matlab tu bina Planning ke marne waali hai....
Dono ki baat sun ke Sweety gusse me kehti....
Sweety : Tum dono ke jaisi kameeni dost jiske paas ho use dushman ki zaroorat hi kya hai.... Yahan main Sultaan ko Nakli Shadi ke liye patane ke Plan ke baare me baat kar rahi hoon aur tum dono ho ki meri maut ke baare me soch rahi ho....
Dono : Isme humari nahi balki teri galti hai.... Tu ne baat hi aisi kahi ki hum ko laga ki... Khair wo chor aur ye bata ki tu ne aage kya karne ka soch hai.....?
Sweety : Filhaal to Sultaan se chal ke baat karna hai.... Use kisi bhi tarha Nakli Shadi ke liye taiyaar karna hai.... Is se pehle ki der ho jaaye mujhe abhi Sultaan se baat karni hogi....
Ye keh ke wo palat ke us taraf dekhti hai jahan Sultaan aur wo ladki khade baat kar rahe the.... Magar ye kya is waqt wo wahan maujood nahi hai... Sweety nazar ghuma ke har taraf dekhti hai magar use Sultaan kahin nazar nahi aata....
Sweety : Dekho tum dono ki wajah se kya ho gaya....? Sultaan chala gaya.... Ab batao kahan dhoondhun main use.... Is kaali Amavas ki raat me ummeed ki ek kiran nazar aayi thi magar tum dono ki wajah se wo bhi bujh gayi....
Sweety ki baat sun ke Saima apna sar khujate hue use kehti hai....
Saima : Yaar tu galat samajh rahi hai..... Aaj Amavas ki raat nahi hai.... Aaj to...
Abhi Saima ne itna hi kaha tha ki tabhi Sweety use gusse se dekhte hue ek taraf jaane lagti hai.... Jise dekh Saima ajeeb sa chehra bana ke Saba se poochti hai....
Saima : Abe maine aisa kya keh diya jo ye mujhe gusse se dekhte hue jaa rahi hai... Aaj Amavas ki raat thode hi hai.... Ya phir hai....
Saima ki baat sun ke Saba apna sar peet ke kehti hai....
Saima : Tera na kuch nahi ho sakta....
Saima : Ab tujhe kya hua....? Tu kyun naraaz ho rahi hai....? Maine wakayi me kuch galat keh diya kya.... Jo pehle Sweety gusse me chali gayi aur ab tu bhi jaa rahi hai....
Saba : Yaar ye sab chor aur jaldi se mere peeche chal kahin Sweety gusse me aa ke kuch ulta seedha na kar baithe....
Ye soch ke dono uske peeche daur jaati hain....
Idhar Sultaan us ladki lo apne sath le ek shop me jaata hai uske mana karne pe bhi Sultaan use ek dress dila ke use change karne ko kehta hai....
Iski zaroorat nahi hai Sultaan....
Sultaan : Zaroorat hai.... Tumhari Dress phat gayi hai aur aise tum ghar nahi jaa sakti.... Koi tumhe dekhega to kya kahega....
Baat tumhari sahi hai magar phir bhi main tum se dress nahi le sakti.... Maa kehti hai kisi anjaan se koi cheez nahi le ni chahiye....
Sultaan : Sahi kehti hai tumhari maa magar ek dost se to le hi sakti ho....
Dost....!!!!
Sultaan : Haan dost.....
Kya wakayi me tum mujhe apna dost banaoge....?
Sultaan : Haan kyun nahi.... Waise tum aisa kyun pooch rahi ho.... Kya tumhe dost banana pasand nahi hai....?
Kaun nahi chahta ki uska koi dost ho.... Mere bhi dost the.... Magar ab wo mere sath nahi hain..... Us MLA ke kameene bete ke dar se unhone mujhse dosti tod di.... Jis se mujhe bahut dukh hua.... Mujhe koi apna dost nahi banana chahta hai....
Ye keh ke wo udaas ho jaati hai.... Sultaan uski taraf apna hath badha ke kehta hai...
Sultaan : Mera naam Sultaan hai... Kya tum mujhse dosti karogi....?
Sultaan ki baat sun ke wo foran uska hath thaam ke haan me apna sar hila deti hai...
Sultaan : To jab hum dono dost ban gaye hain to ab to tumhe mujhse dress le ne me koi problem nahi honi chahiye....
Nahi balki ab to main haq se apne dost se dress lungi.... Haan magar kahin aisa na ho ki mujhe dress dilane ke chakkar me tumhari pocket hi na khali ho jaaye....
Sultaan : Hahahahahahahahaha.... Uski chinta tum mat karo....
To phir Chalen....
Sultaan : Haan chalo...
Tabhi wahan Mehek Moni aur Pihu aa jaate hain....
Mehek : Sultaan hum ko wahan Shop me akela chor ke tum yahan kya kar rahe ho..... Tum to Washroom gaye the na.... Aur tumhare sath ye ladki kaun hai....
Mehek ki is baat ka jawaab Pihu deti hai...
Pihu : Soha tu yahan.... What a Pleasant surprise.... Main bata nahi sakti tujhe yahan dekh ke mujhe kitni khushi ho rahi hai.... Waise tu Sultaan ke sath.... Tum jaanti ho ise...
Soha : Wo baat aisi hai ki main yahan Shopping karne aayi thi.... Main dress select hi kar rahi thi ki tabhi ********************* aaj Sultaan ki wajah se mere izzat aur jaan bachi hai.... Sultaan ne ek farishte ki tarha waqt pe aa ke meri izzat aur jaan bachayi....
Pihu : Ye hai hi aisa sab ki madad karta hai....
Sultaan : Meri baat choro aur ye batao ki tum ise kaise jaanti ho....?
Pihu : Ye mere muh bole Mama ki beti Soha hai.... Nana ne iske Dad ko apna beta maana hai....
Mehek : To is hisaab se to ye teri tarha meri bhi Behen hui....
Ye keh ke Mehek aage badh ke Soha ko Gale laga ke kehti hai....
Mehek : Mera naam Mehek hai...
Soha : Aur main Soha....
Tabhi Sultaan jo kehta hai use sun ke sab hans padte hain....
Sultaan : Main hoon Sultaan aur ye hai Pihu.... Ab Shopping kar len pehle hi kaafi deri ho chuki hai....
Sab Shopping me lag jaate hain.... Soha ke mana karne ke baad bhi Sultaan jam ke uske liye Shopping karta hai.... Sath hi Dress ke sath sath unke liye jewellery bhi leta hai.... 3 ghante ki shopping ke baad chaaro thak ke choor ho jaate hain....
Sultaan kisi ko bill pay nahi karne deta khud Bill Pay karne ke sab ko sath le ke Mall se bahar ki taraf chal deta hai....
Mehek : Yaar bahut thak gaye hain sath hi bhook bhi bahut lagi hai.... Kyun na chal ke khana khaya jaaye....
Moni : Neki aur pooch pooch....
Pihu : Yahin paas me ek achha sa hotel hai wahan khana bhi bahut achha milta hai kyun na wahan chalen....
Sultaan : To phir chalo der kis baat ki hai....
Abhi wo log car ki taraf badhe hi the ki tabhi Soha ki baat sun ke ruk jaate hain....
Soha : Yaar tum log jaao main ghar chalti hoon.... Ghar se nikle bahut der ho gayi hai maa bhi pareshaan ho rahi hogi....
Sultaan : Ji nahi pehle chal ke khana kha.... Phir hum tujhe ghar chor denge....
Ye baat Sultaan ne itne haq se kahi thi ki Soha use inkaar nahi kar paayi....
Soha : Wow yaar kitni mast Car hai....
Mehek : Ye Sultaan ki Car hai... Uski tarha uski car bhi Lajawaab aur Shandaar hai...
Sultaan : Ji nahi ye meri nahi balki humari car hai.... Kitni baar tujhe samjhaya magar tu hai ki....
Mehek : Haan baba samajh gayi.... Ye tere akele ki nahi balki hum sab ki car hai.... Ab khush.... Ab chale khana khane mujhe badi zor ki bhook lagi hai....
Phir wo log Hotel jaa ke apni pasand ka khana khate hain aur phir chal dete hain Soha ke ghar ki taraf....
Pihu : Soha ye tu hum ko kahan le aayi....
Soha apna sar jhuka ke : Ye mera ghar hai....
Pihu : Magar tera ghar to ********* jagah pe tha na....
Soha : Haan magar ab hum wahan nahi rehte.... Pichle 6 mahine se hum yahin rehte hain....
Pihu : Aisa kyun bhala....?
Soha : Wo baat aisi hai ki jab se us kameene MLA ke bete ki gandi nazar mujh pe padi usne mujhe shadi ke liye kaha.... Mere inkaar karne pe usne mujhe aur maa ko Pareshan karna shuru kar diya.... Maa ka kaam bhi achha nahi chal raha tha.... Meri College fees aur ghar ke kharche ke liye maa ko na chahte hue bhi humara wo ghar girvi rakhna pada.... Jise us kameene ne khareed ke hum ko apne hi ghar se bahar nikaal diya.... Tab se hum yahin rehte hain....
Pihu : Tu ne ye baat Nana ko kyun nahi batayi....?
Soha : Main batana chahti thi magar maa ne mujhe ye keh ke rok diya ki Nana ko aur Pareshan karna theek nahi....
Tabhi Soha ka mobile bajne lagta hai...
Soha : Sorry maa wo thoda late ho gayi.....
S Maa : Is waqt tu kahan hai....?
Soha : Maa main aa chuki hoon Ghar ke bahar hi hoon.....
Ye keh ke Soha door bell bajati hai.... Soha ki maa Haseena Darwaza kholte hi rashan paani le ke uspe chad jaati hai.... Wo apne sawaalon ki bauchaar uspe karne lagti hai....
Tabhi Sultaan ki awaaz sun ke Haseena chonk jaati hai....
Sultaan : Ab bas bhi kijiye Unty ji bachhi ki jaan lengi kya....
Haseena : Tum kaun ho....?
Sultaan : Ji mera Naam Sultaan hai... Ye Mehek hai ye Moni hai aur....
Tabhi Pihu saamne aa ke kehti hai.....
Pihu : Aur main hoon aap ki Laadli Beti Pihu....
Pihu ko dekh Unty khush ho jaati hain.... Pihu ko gale laga ke uspe apni mamta lutane lagti hain.... Sath hi itne din se na milne pe apni naraazgi bhi zahir karne lagti hain....
Soha : Maa Pehle in sab ko under to aane do....
Sab under aa ke saamne pade Chairs pe baith jaate hain....
Mana karne ke baad bhi Soha ki maa sab ke liye chai nashta laane kitchen me chali jaati hai.... Wahin Sultaan thoda alag ho ke kisi ko call karke kuch baaten karta hai.... Phir wapas aa ke unke sath baith jaata hai....
Haseena Unty sab ke liye chai nashta bana ke le aati hai.... Nashta karne ke baad Ek baar phir se unke sawaalon ki bauchaar shuru ho jaati hai....
Soha unhe poori baat batati hai jise sun ke unke hosh udd jaate hain....
Haseena : Kya kaha....? Wo kameena teri izzat lootne tere peeche Mall tak chala gaya....
Soha : Haan magar Sultaan ne use achha sabak sikhaya....
Sultaan : Ab wo kabhi Soha ko to kya kisi aur ko pareshan karna to dur is sab ka soch ke bhi darega....
Haseena : Tumhara bahut bahut Shukriya.... Jo ehsaan tumne humpe kiya hai use main chah ke bhi nahi utaar sakti.... Aaj ki duniya me jo koi apna saga bhi nahi karta wo tumne ek anjaan ho ke kiya hai....
Haseena ki baat sun ke Sultaan foran chair se uth ke Mehek Moni aur Pihu ko chalne ko keh ke bahar ki taraf chal deta hai.... Use yun jaate dekh Soha hairaani se poochti hai....
Soha : Kya hua Sultaan.... Tum achanak se kahan jaa rahe ho.....
Sultaan : Wo kya hai ki ek anjaan ko kisi ke ghar me nahi rukna chahiye isi liye jaa raha hoon....
Soha : Kisne kaha ki tum anjaan ho....?
Sultaan : Abhi to tumhari maa ne mujhe anjaan kaha.... Agar wo mujhe apna maanti to maine jo apni dost ke liye jo kiya use ehsaan ka naam na deti.... Ehsaan gairon pe kiya jaata hai apno pe nahi.... To jab main tumhara apna nahi to mera yahan rukne ka koi matlab hi nahi....
Ye keh ke Sultaan palat ke jaa hi raha hota hai ki tabhi Haseena use rok ke kehti hai....
Haseena : Kahin nahi jaa rahe ho tum.... Is tarha to bilkul bhi nahi.... Mujhse galti hui jo maine anjaane me tumhe anjaan kaha.... Main apni baat wapas leti hoon.... Tum anjaan nahi balki apne se bhi zyada apne ho....
Sultaan : Ye bas kehne ki baat hai.... Aap bas mera dil rakhne ke liye aisa keh rahi hain....
Haseena : Nahi Sultaan aisa nahi hai main sach me dil se tumhe apna maanti hoon....
Haseena ki baat sun ke Sultaan foran apna hath unki taraf badha ke kehta hai...
Sultaan : Achha agar aisa hai to waada kijiye mujhse main jo kahunga wo aap maanegi..... Kabhi bhi kisi bhi baat ke liye mujhe inkaar nahi karengi.... Waada kijiye....
Sultaan ki baat Soha foran samajh jaati hai.... Wo apni maa ko waada karne se rokne hi waali hoti hai magar tab tak Haseena haan keh ke Sultaan ka hath thaam leti hai.... Jise dekh Soha apna sar peet ke kehti hai....
Soha : Ye kya kiya maa aap ne....? Waada karne se pehle ek baar soch to liya hota....
Haseena : Matlab....!!!!
Soha : Matlab ye ki Sultaan bahut chalaak hai is ne jaan booch ke aap se aisa waada liya taaki aap iski kisi bhi baat se chah ke bhi inkaar nahi kar paaye.... Isne aisa mere sath bhi kiya tha jab main Mall me thi....
Haseena : Haan to isme galat kya hai....? Humare paas kaun si Jaayedad hai jo Sultaan apne naam likhwa lega....
Soha : Main lene ki nahi balki dene ki baat kar rahi hoon.... Jitna main ise samajh paayi hoon ye lena nahi balki sirf dena jaanta hai.... Ab se hum chahe na chahe ye dil khol ke apna sab kuch hum pe lutayega.... Jiski Shuruwat ye mall me kar chuka hai....
Phir saamne pade Shopping bags unhe dikha ke kehti hai.....
Soha : Mere lakh mana karne pe bhi Ye sab Sultaan ne mere aur aapke liye khareeda hai.... Dress ke sath sath Jewellery bhi.... Aap ko pata hai iski keemat kitni hai... Poore 5 lakh Rs....
Soha ki baat sun ke Haseena chonk jaati hai....
Haseena : Kyaaaaaaa....? 5 Lakh.... Nahi Sultaan ye hum nahi le sakte....
Mehek : Ye to aapko lena hi hoga... Aap inkaar nahi kar sakti....
Haseena : Nahi beta tum samajh nahi rahi ho.... Main ye nahi le sakti.... Chota mota Gift hota to koi baat nahi thi magar 5 Lakh badi rakam hoti hai.... Nahi bilkul nahi....
Sultaan apna muh latka ke kehta hai : To main ye samjhun ki aap mujhe apna nahi maanti tabhi aap apne waade se mukar rahi hain....
Haseena : Ji nahi main wakayi me tumhe apna maanti hoon.... Aur na is liye keh rahi hoon kyun ki 5 Lakh bahut badi rakam hoti hai....
Sultaan : Koi bhi rakam rishte se badi nahi hoti na hi Pyar aur apnepan se badi hoti hai.... Keh dijiye maine jo kaha wo galat hai....
Haseena : Tum jo keh rahe ho wo sahi hai.... Magar.....
Sultaan : Koi agar magar nahi.... Ye sab aapko rakhna hai to hai.... Main koi inkaar nahi sunuga... Samjhi aap....
Haseena : Haan samajh gayi.... Tu bada chalaak hai mujhe baaton me phasa ke tune aisa waada le liya hai jis se main kabhi inkaar nahi kar sakti....
Sultaan : Ye to bas Shuruwaat hai.... Aage aage dekhti jaaiye main kya karta hoon....?
Haseena : Ab aur kya karne waala hai tu ab ye bhi bata de....
Abhi Haseena ne itna kaha hi tha ki tabhi Door bell bajti hai....
Soha jaa ke Darwaza kholti hai....
Haseena : Kya hua Soha kaun hai....?
Soha wapis aa ke : Ye File aur ye box koi Sultaan ke liye de gaya hai.....
Ye keh ke Soha wo file Sultaan ki taraf badha deti hai....
Sultaan : Ye mere liye nahi balki tumhari Maa ke liye hai....
Haseena : Kya hai is file aur box me....?
Sultaan : khud dekh lijiye....
Haseena jaise hi file khol ke padti hai unhe ek jhatka sa lagta hai.... Unke hath se file chhut ke neeche gir jaati hai.... Aur wo hairat se Sultaan ki taraf dekhne lagti hain....
Soha : Kya hua maa....? Aisa kya hai is file me jo aap ise padhne ke baad itna shock ho gayi....?
Haseena se kuch kaha hi nahi jaa raha hai.... Ye dekh Mehek file utha ke use padhne lagti hai...
Mehek : Ye SK Group of Companies ka Appointment Letter hai jo Haseena Unty ke naam hai.... iske hisaab se Haseena Unty aaj se balki abhi se SK Group ke liye as a Vakeel kaam kar rahi hain..... Jiske liye inki Salary 2 Lakh Rs Mahina hogi sath hi rehne ke liye ek Bunglow aur aane jaane ke liye ek Car.... Sath me 2 mahine ki Salary ka Advance check bhi hai....
Mehek ki baat sun ke Sab behad khush ho jaate hain.... Soha ke sath sath Pihu bhi khushi se uchal padti hai....
Haseena Sultaan ki taraf dekh ke bas itna kehti hai....
Haseena : kyun....?
Sultaan : kyun ki Aap ek achhi Vakeel hain aur Sk Group ko aap jaise achhe Vakeel ki sakht zaroorat hai....?
Haseena : Sahi kehte hain log jab saare darwaaze band ho jaate hain to uper waala apne Nek Farishte ko aapki madad ke liye bhej deta hai....
Soha : Aur humare us Nek dil Farishte ka naam hai Sultaan....
Soha abhi aur kuch kehne hi waali hoti hai ki tabhi Sultaan use rok ke kehta hai....
Sultaan : Main farishta nahi balki insaan hi hoon.... Jise uske apno ki fikr rehti hai.... Apne agar takleef me ho to unki madat karna mera farz hai jo maine ada kiya.... Isme koi badi baat nahi....
Sultaan ki baat sun ke Haseena use apne seene se laga leti hai.... Aur pyar se uske sar ko sehla ke poochti hai....
Haseena : Ye sab karne ki kya zaroorat thi....?
Sultaan : Ye karne ki zaroorat thi tabhi maine ye kiya.... Chaliye chal ke apne naye ghar ko dekh lijiye jahan aaj ke baad se aap dono ko rehna hai....
Naye ghar ka naam sun ke Soha khushi se uchal padti hai.... Sab bahar aa ke Car me baith ke Naye ghar ki taraf chal dete hain....
Jaise hi car ghar ke bahar rukti hai.... Aur wo log bahar nikalte hain.... Saamne ka nazara dekh ke Soha Sultaan ki taraf aise dekhti hai jaise poochna chah rahi ho kya ye sach hai.... Sultaan haan me apna sar hila ke kehta hai....
Sultaan : Ye ghar aaj se tumhara hai sath hi wo saamne khadi car bhi....
Ye keh ke Sultaan Bunglow aur car ki chabi Soha ki taraf badha deta hai....
Soha foran taala khol ke under jaati hai.... Bunglow under se behad hi khoobsurat hai jise dekh Soha khushi se naachne lagti hai..... Phir jaane use kya soojhta hai wo palat ke Sultaan ke paas jaa ke kas ke use apne seene se laga leti hai.... phir uske chehre ko apne hathon me leke uske poore chehre ko choomne lagti hai..... Apni khushi ka izhaar karne ke baad wo ek baar phir se khushi me naachne lagti hai....
Apni beti ko khush dekh ke Haseena bhi behad khush ho jaati hain..... Baaki sab bhi is khushi me unka sath dete hain....
Tabhi Daddu ka Call aa jaata hai....
Sultaan : Haan Daddu Shopping ho gayi hai hum bas aahi rahe hain....
Daddu : Theek hai beta jaldi se aa jaa....
Sultaan : Chalo yaar Daddu ne jald se jald aane ko kaha hai....
Haseena : Ruko hum bhi chal rahe hain tumhare sath....
Sultaan : Ye to achhi baat hai....
Sab khushi se uchal padte hain aur Car ki taraf jaane lagte hain.... Tabhi Sultaan unhe rok ke kehta hai....
Sultaan : Meri aap sab se ye guzarish hai ki aaj jo bhi kuch hua wo aap kisi se nahi kahenge.... Wahan Shadi ka mahaul hai ye baaten jaan ke sab ko dukh hoga.... Khushi pe gum ke baadal cha jaayenge.... Jo ki theek nahi hoga....
Sultaan ki baat sun ke Haseena uske paas jaa ke Pyar se uska hath apne hath me le ke kehti hai...
Haseena : Tu chinta mat kar hum kisi se kuch nahi kahenge.... Humare liye ye hi bahut hai ki Soha sahi salamat hai.... Aur uski khushi ki wajah aur koi nahi balki tu hai....
Ye kehne ke baad Haseena Pyar se Sultaan ke gaal ko choom leti hai.... Jis se Sultaan chonk jaata hai...
Sultaan : Ye kis liye....?
Haseena : Tu ne jo kiya uske liye.... Ab chalen....
Sultaan haan me apna sar hila deta hai....
Sultaan ke sath uski Car me Mehek aur Moni.... Aur Baaki dono Haseena ke sath unki New car me baith ke chal dete hain....
Ghar pahunch ke Sultaan Mehek aur Moni ke sath car se utarta hai.... Unke sath Pihu ko na dekh sab ghabra jaate hain.....
Pihu ke Baba : Sultaan Pihu kahan hai....? Wo tum log ke sath gayi thi na....
Is se pehle ki Sultaan kuch kehta kisi ki awaaz sun ke sab ko gussa aa jaata hai....
Nanhe : Zaroor isne kuch kiya hoga uske sath tabhi wo yahan nahi hai.... Maine to pehle hi kaha tha is kameene pe bharosa mat karo magar....
Abhi Nanhe ne itna hi kaha tha ki tabhi ek jhannatedaar thappad uske gaal pe padta hai....
Chataaaaaaaaaaaaakkkkkk.....
Thappad padte hi Nanhe ko din me taare nazar aa jaate hain....
Sab hairat se kabhi Nanhe ko to kabhi use thappad maarne waale ko dekhne lagte hain.... Abhi wo kuch samajh bhi nahi paaye the ki tabhi 2 - 3 jhannatedaar thappad use aur raseed hote hain.... Bas itne se hi Nanhe ki haalat kharaab ho jaati hai.... uske honthon ke kinare se khoon behne lagta hai.... Gaal pe paancho ungliyon ke nishaan chap jaate hain.... Phir Is se pehle ki Nanhe ko aur maar padti Sultaan aage badh ke unhe rok leta hai....
Sultaan : Chor dijiye.... jaane dijiye....
Tabhi Bhuvan.... Ji haan ye Bhuvan hi hain.... Wo Sultaan se khud ko chuda ke aage badh ke kheench ke ek laat Nanhe ko maarte hain... Nanhe peeche ki taraf girta hai.... Uski haalat kharaab ho jaati hai....
Ye dekh Sultaan aage badh ke unhe rokta hai.....
Sultaan : Ye kya kar rahe hain aap jaane dijiye....
Bhuvan behad gusse me : Nahi Sultaan aaj main ise nahi chorunga.... Iski himmat kaise hui tujhe gaali dene ki.... Tu ne iski beti ki izzat aur jaan bachayi.... Tera ehsaan maan ne ke bajaye ye tujhe gaaliyan de raha hai... Saala ehsaan faramosh... Aaj main iski jaan le lunga....
Sultaan : Sohni ki izzat bacha ke maine uspe koi ehsaan nahi kiya balki apna farz nibhaya hai....
Bhuvan Nanhe se : Dekh gaur se dekh ise tu ne har baar ise zaleel kiya magar ye hai ki teri kameeni harkat ko nazarandaaz kar ke tujhe mujhse bacha raha hai.... Ise kehte hain Farishta.... Aur ek tu hai jise Shaitaan kehna Shaitaan ko gaali dene jaisa hoga.... Kyun ki tu kamenepan me Shaitaan se bhi 10 kadam aage hai.... Aur to aur tere Parivaar waale bhi kuch kam nahi hain.... Kaise khamosh khade tujhe is nek Farishte ko gaali deta dekh rahe hain... Kisi ne bhi na tujhe rokne ki koshish ki aur na hi tujhe kuch kaha.... (Bhuvan ki baat sun ke Sohni ke Parivaar waale Sharmindagi se apna sar jhuka lete hain) Badi sharm aa rahi hai mujhe is baat se ki na chahte hue bhi tu aur tere Parivaar waale mere rishtedaar hain.... Magar ab aur nahi aaj main ye rishta hi khatam....
Abhi Bhuvan ne itna hi kaha tha ki tabhi Sultaan ki baat sun ke wo khamosh ho jaate hain.... Sath hi hairat se Sultaan ko dekhne lagte hain....
Sultaan : Ye aap kya keh rahe hain Baba.... Itni zara si baat pe bhala koi rishta todta hai kya....? Waada kijiye mujhse aap aisa kuch nahi karenge.... Yahan main rishton ko sametne ki koshish kar raha hoon aur aap hain ki rishta todne ki baat kar rahe hain.... Main ye kabhi nahi chahunga ki meri wajah se koi bhi rishta toote.... Rishte kya hote hain unki ehmiyat kya hoti hai ye mujhse behtar koi nahi jaanta... Bas isiliye jab bhi koi milta hai us se kisi na kisi tarha ka rishta jodne ki koshish karta hoon taaki us har rishte ko jee sakun jisko jeene ke liye main bachpan se tadapta aaya hoon.... Waada kijiye aap aisa kuch nahi karenge....
Ye keh ke Sultaan apna hath aage badha deta hai.... Bhuvan uska hath thaam ke kehte hain....
Bhuvan : Chal maan li teri baat nahi todta main koi rishta magar haan tujhe bhi mujhse ye waada karna hoga ki agar galti se bhi koi tere baare me kuch galat kahega to use saza dene se tu mujhe nahi rokega.... Main sab kuch bardasht kar sakta hoon magar tere sath koi kuch galat kare ye main kabhi bardasht nahi kar sakta... Chahe wo mera koi apna hi kyun na ho....
Sultaan ko kuch na kehte dekh Bhuvan apni baat ek baar phir dohrate hain....
Bhuvan : Sultaan tu ne meri baat ka jawaab nahi diya.... Waada kar mujhse...
Sultaan haan me apna sar hila deta hai.... Phir mahaul ko halka karne ke liye kehta hai...
Sultaan : Waise gusse me aap kisi sher se kam nahi lagte....
Bhuvan : Achha agar main Sher hoon to tu kya hai....
Daddu : BabbarSher.... Jise harana kisi ke liye bhi mumkin nahi....
Tabhi Pihu jo Haseena aur Soha ke sath dusri Car me baithi thi wo baahar aa ke kehti hai...
Pihu : To kyun na Aaj Bhuvan Chachu aur Sultaan ki Panja Fight ho jaaye hum bhi to dekhen ki dono me se kaun bada Sher hai... Bhuvan Chachu ya phir Sultaan....
Pihu ki baat pe sab haami bhar dete hain...
Sultaan : Tu bhi na Pihu kuch bhi kehti hai... Kahan Baba aur kahan main ye mujhe pal bhar me hara denge....
Sultaan ki is baat ka jawaab Daddu dete hain....
Daddu : Tu mera Pota hai tujhe harana is poori duniya me kisi ke liye mumkin nahi....
Pihu : To mere Chachu bhi kaunsa kisi se kam hain unhe bhi aaj tak koi nahi hara paaya hai....
Daddu : Chal to phir ho jaaye muqaabla... Sher vs BabbarSher....
Pihu : Wo to muqaable ke baad hi pata chalega Daddu ki kaun Sher hai aur kaun BabbarSher....
Mehek : Haan magar is Muqable me koi cheeting nahi honi chahiye... Aisa na ho ki ye dono ek dusre ki khatir khud haar maan le.... Waada karo ki isme aap dono kisi tarha ki Cheeting nahi karoge....
Dono Mehek ka hath thaam ke haan kehte hain....
Bas phir kya tha foran Table aur uske aamne saamne 2 Chair lag jaate hain jis pe Sultaan aur Bhuvan baith jaate hain....
Parivaar ke zyadatar log Bhuvan ke sath hain wahin Daddu Mehek aur Moni ke sath sath kuch hi log Sultaan ke sath khade hain....
Daddu : Sultaan aaj dikha de ki Mera Pota hi Babbarsher hai....
Wahin Dusri taraf Pihu : Chachu aap bhi dikha do ki aap se badh ke koi nahi hai.... Babbarsher se bhi bade sher aap hi ho....
Pihu ki is baat pe sab hans dete hain... Phir shuru hota hai Panja Fight....
Ek taraf se Bhuvan apna poora zor laga rahe hain to Dusri taraf se Sultaan unhe rokne me laga hua hai.... Wo ye achhe se jaanta hai ki Bhuvan Mama us se kabhi jeet nahi sakte aur wo unhe haarte hue nahi dekhna chahta.... Bas isiliye wo bas unhe rok raha hai.... dono taraf se sab apne apne Fighter ko cheer kar rahe hain.... Dheere dheere Bhuvan Chachu ka hath peeche ki taraf jaane lagta hai.... jise dekh wo apni poori taaqat laga ke phir se uper kar dete hain.... Is baar Sultaan ka hath peeche jaane lagta hai jise wo foran uper kar leta hai.... Isi tarha kabhi Bhuvan ka hath peeche jaata hai to kabhi Sultaan ka.... Mehek bade Pyar se kiss ka ishara karke Sultaan ko Bhuvan Mama ka hath peeche ki taraf dabane ko kehti hai.... Sultaan Mehek ko mana nahi kar paata bas phir kya tha wo apni taaqat lagane lagta hai... Aur dekhte hi dekhte Bhuvan Mama ka hath peeche ki taraf jaate jaate poora neeche table ko touch ho jaata hai.... Jis se Sultaan ki jeet ho jaati hai... Ye dekh Daddu Mehek aur Moni khushi se uchal padte hain....
Unhe yun khushi se uchalte dekh Pihu chid ke kehti hai....
Pihu : Chachu ne cheeting ki hai... Sultaan ko jitane ke liye unhone apni poori Power ka istemaal nahi kiya... Warna ye mumkin hi nahi ki Chachu kisi se haar jaaye....
Pihu ki baat sun ke Mehek bol padti hai....
Mehek : Haarne ke baad sab aisa hi kehte hain....
Pihu : Achha agar aisa hai to ek baar phir se muqabla ho jaaye....
Daddu : Manzoor hai....
Pihu : Chachu is baar koi Cheeting nahi....
Bhuvan : Magar maine koi cheeting nahi ki...
Pihu : Wo main nahi jaanti is baar aap ko jeetna hi hoga.... Chahe jo ho jaaye aapko is baar Sultaan ko harana hi hoga.... Baat humari izzat ki hai....
Daddu : Chahe jo kar lo is baar bhi jeet Sultaan ki hi hogi.... Chaho to Bhuvan ke sath kuch aur logon ko bhi shamil kar lo Sultaan akela hi sab ko hara dega...
Sultaan : Daddu ye kuch zyada nahi ho gaya....
Daddu : Nahi mere laal Sher aur BabbarSher me kuch fark to hona hi chahiye.... 1 to 1 jeeta bhi to kya jeeta 1 to 10 jeet ke saabit kar de ki tu hi asli Babbarsher hai...
Suktaan : Ok Daddu jab aap ne keh diya to ye hi sahi.... Aa jaao sab ek sath....
Pihu : Hahahahahahaha.... Bas dekhte jaaiye Daddu Chachu aap ke laal ko hara ke kaise peela karte hain...
Mehek aage aa ke dheere se Sultaan se kehti hai...
Mehek : Sultaan is baazi ki jeet ka inaam tumhe main kiss kar ke dungi....
Sultaan : Phir to jeetna hi hoga....
Baazi shuru ho jaati hai.... Sultaan aur Bhuvan ek dusre ke hath ko peeche ki taraf girane ki koshish karne lagte hain.... Dekhte hi dekhte Bhuvan ka hath Peeche jaane lagta hai.... Ye dekh Pihu foran apne chote bhai kamal Singh ko Bhuvan ke sath kar deti hai.... Magar us se kuch khaas fark nahi pad raha hai.... Ye dekh wo apne Chacha Prakash Singh ko bhi sath jod deti hai.... Is baar Sultaan ka hath thoda peeche jaata hai magar kuch hi pal me wo phir se un teeno ke hath ko peeche ki taraf dhakelne lagta hai..... Ye dekh Pihu apne bade Mama Harish Singh aur Chote Mama Gulaab Singh ko aage kar deti hai.... Is baar 1 : 5 ho jaata hai.... Sath hi Sultaan ka hath Peeche ki taraf jaane lagta hai magar wo khud ko sambhaal leta hai.... Jise dekh Pihu ka paara high hone lagta hai.... Is baar wo apne dono Maasa Sudeep Singh aur Dalip Singh ko Dusri taraf se Sultaan ke hath ko dabane ko kehti hai.... Jise dekh Mehek Cheating keh ke shor machane lagti hai....
Mehek : Ye cheeting hai....
Pihu : Mohobbat aur jung me sab jaayaz hota hai....
Pihu ki baat pe Mehek kuch kehne hi waali hoti hai ki tabhi Daddu ki baat sun ke khamosh ho jaati hai....
Daddu : Rehne do Mehek koi baat nahi inko jo karna hai karne do Sultaan phir bhi jeet jaayega.... Sultaan Babbar Sher hai jo kabhi nahi haarta....
Phir Sultaan ki taraf dekh ke kehte hain...
Daddu : Kya kar raha hai Sultaan.... Jaldi se khatam kar itna bhi waqt koi lagata hai kya....?
Daadu ki baat sun ke Sultaan haan me apna sar hila ke pyar se muskurate hue Pihu ko apne hath ki taraf ishara kar ke kehta hai....
Sultaan : Chaho to tum bhi shamil ho jaao... Taaki baad me dil me koi malaal na rahe....
Sultaan ki baat sun ke Pihu bhi isme shamil ho jaati hai... Wo ek ki jagah apne dono hathon se poora zor laga ke Sultaan ka hath Peeche ki taraf dhakel ne lagti hai.... Pihu ka dekha dekhi uska chota bhai bhi apna dusra hath laga deta hai.... Jis se ab baazi hoti hai 1 : 10 Hands....
Sultaan apni poori taqat laga ke un 10 ke 10 hath ko peeche ki taraf dabata jaata hai aur dekhte hi dekhte unke hath peeche ki taraf table ko Touch ho jaate hain.... Ye dekh sab hairaan ho jaaye hain.... Bas phir kya tha Sultaan ke naam ka danka zor shor se bajne lagta hai.... Mehek aur Moni khushi se nachne lagte hain.... Yahan tak ki Khud Bhuvan Mama Sultaan ko Utha ke Nachne lagte hain....
Daddu : Kyun Bhuvan maanta hai na ki mera Pota Sher nahi balki Babbar Sher hai....
Daddu ki baat sun ke Bhuvan Garv se kehte hain....
Bhuvan : Main to pehle se hi maanta hoon ki Sultaan sher nahi Babbar Sher hai... Wo to Pihu ke kehne pe maine Panja Fight ki.... Chalo isi bahane mujhe Sultaan ki taaqat ka pata bhi chal gaya... Ise harana wakayi me na mumkin hai.... 1 : 10 hath se jeetna wakayi me kaabile tareef hai....
Soha aur Haseena bhi aage aake Sultaan ko Congratulate karti hain....
Dono : Congrats Sultaan you were Simply Superb.... I loved it....
Dono ko dekh ke sab behad khush ho jaate hain.... Phir Pihu ke Nana ji ke kehne pe sab Shadi ke kaam me lag jaate hain... Ghar ki sab ladkiyaan Pyar se Sultaan ko dekhne lagti hain.... Wahin mauka dekh ke Mehek inaam ke taur pe Sultaan ko pyar bhara kiss karti hai.... Jis se dono khush ho jaate hain....
Raat ka khana kha ke sab ke sath sath Sultaan bhi chain se so jaata hai.... Is baat se anjaan ki agle din uske sath kya dhamaka hone waala hai....????????