• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 97

Causative Agent of Typhoid fever is Salmonella typhi. Causative Agent of Typhoid fever is Salmonella typhi....10 times.

Ye kya ho raha hai? Kyu concentrate nahi kar paa raha hu.?

Atul frustration me khud se hi baatein kar raha tha.

Mai to aise padh raha hu jaise ki "Color of leaf is green." Ye to sabko pata hai fir bhi ratta maar raha hu...Aise hi to hai Typhoid...11, 12 se hi padhta aa raha hu. Causative Agent of Typhoid fever is Salmonella typhi.

Aur itni chhoti si baat bhi dimaag me nahi ghus raha hai.

Atul ka frustration badhta hi jaa raha tha.

Fir Atul book utha kar fenkne hi wala tha ki last moment me wo ruk gaya...Fir book ki raraf respectfully aur guilty najar se dekh kar book ko acche se table par rakh deta hai.

Atul:- (In his mind) Ye sab kya kar raha hu mai?

Fir Atul apne bed par jaa kar sone ki koshish karta hai.

Neend aankho se kosho dur tha...Aadha ghanta ho gaya...Bechaini badhta jaa raha tha lekin neend ki naamo nishaan tak nahi tha.

Aise hi wo mobile le kar Fb on karta hai...Nisha online thi.

Ye dekh kar Atul ke dil me kabhi dard ke bhaaw to kabhi gussa aa raha tha.

Message type kiya..."Hi"

Lekin send karne se pehle hi cancel kar diya.

Atul:- Mujh me bhi attitude hai.

Fir Atul mobile off kar deta hai.


1 month ho gaya tha...Ravi apne plan me dhire dhire safal hota jaa raha tha...Plan bhi aisa kar raha tha jisse Atul aur Nisha puri tarah se anjaan the...Agar kuch dikhta tha aur samajh me aata tha to sirf ek dusre ki galtiyan.

Vishwash dil ke kisi kona me to jarur tha lekin aankho se dekhi aur kaano se suni hui baato ko kaise jhuthla sakte thhe.

Kuch aisi hi baatein...Dono ko har roj ek dusre se alag kar raha tha.

Pyar...Ek yahi pyar hi to tha...Itna sab hone ke baawjud bhi kam nahi hua tha...Abb tha to kuch galatfehmi aur shikaayat...Shikaayat ek dusre ki galtiyan ki...Ummeed aur intejaar...Ek dusre ki maafi maangne ki.

Lekin attitude problem...Dono me hi tha...Galti uska hai wo hi jhukega...Usko hi maafi maangna padega...Kuch yahi soch tha dono ka...Aur isse badhaane me Ravi ka haath.



Next Day

Atul class me pahunchte hi dekha ki Nisha pehle hi aa gayi hai...Wo first row me hi baithi thi...Uske paas ki seat khali tha.

Lekin Atul Nisha ko gusse se ek najar dekh last me chala gaya...Atul ki iss harkat se Nisha ka gussa aur bhi badh gaya.


During lecture


Dr. Rahul:- Through Gross Specimen how will you differentiate Large Intestine and Small Intestine?

Atul:- Abhi padha nahi hai sir...Vakt sahi nahi chal raha hai...Jald hi padhunga.

Atul ka bas itna hi kehna tha ki.

Abhisekh:- Itna simple question ka bhi answer pata nahi.

Ek to pehle hi mood off aur upar se Abhisekh ka ye baat.

Atul:- Mujhse panga lene se pehle apna aukaat dekh...Pass hone ki aukaat nahi aur chal raha hai gyaan baantne.

Pehli baar Atul ne paas aur fail jaisi kadhwi baatein kisi ke liye kaha tha...Gussa bhi itna tha ki kuch bi soch samajh nahi paa raha tha.

Abhisekh:- Tu....

Atul:- Ek aur baar kuch bol ke dikha...Aur baahar mil...Fir tujhe dikhaata hu.

Atul ka gussa hi bata raha tha ki wo iss vakt kuch bhi kar sakta hai.


Dr. Rahul:- Ummeed hai tumhara ye bura vakt jald hi khatm ho jaaye...Aur gusse par thoda control rakho.

Abhisekh...Class khatm hone ke baad mujh se office me milna...Dusro se pucha question me jyada hi maje le rahe ho...Aaj tumhara knowledge test karta hu.

Abhisekh:- Lekin sir.

Dr. Rahul:- Meet me on my office...We will talk there further.



On Lunch Break

Nisha:- Mujhe tum se baat karni hai.

Atul:- Lekin mujhe nahi karna kisi se koi baatein.

Nisha:- Jaruri baat hai.

Atul:- Lekin mujhe koi interest nahi hai.

Nisha:- Itna jiddi kab se ho gaye.

Atul:- My life...My choice...My decision.

Itna keh kar Atul waha se nikal gaya.


In Canteen


Ajay:- Mujhe tujhse baat karna hai?

Atul:- Mood nahi hai.

Ajay Atul ko kisi tarah mana hi leta hai.

Ajay:- Aaj kal tujhe hua kya hai?

Atul:- Mujhe kya hoga...Hua to baaki logo ko hai...Sab apna hi decision bana rahe hai...Aur jo man me aaye wohi bol kar chale jaate hai.

Ajay:- Ishaara kis taraf hai?

Atul:- (Gusse se) Nisha.

Ajay:- Accha to Love matter hai.

Ajay be hanste hue pucha.

Atul:- Hans mat.

Ajay bhi Atul ka gusse se bach nahi paaya...Wo samajh gaya ki kuch to galat hua hai...Bahut galat...Warna Atul aise hi kabhi gussa nahi hota.

Ajay:- Hua kya hai? Suru se bol.


Atul:- Yaar ye pyar me ladka hi kyu galat hote hai? Ladki chaahe kuch bhi kare unki ki galti nahi...Ladke to janm se hi bewafa aur dhokhebaaz jaise tag ke saath paidaa hote hai.

Kuch bhi ho ladka hi galat hote hai...Wohi pyar me dhokha dete hai...Cheat karte hai...Relationship me hote hue bhi dusri ladkiyon ke baare me sochte hai...Jab hamaara man bhar jaata hai to unhe chhod kar dusro ke saath set ho jaate hai...Ham aashiq kam playboy jyada hote hai...Pyar wyar kuch hota nahi bas time pass ke liye ladki patate hai.

Aur ladkiyan...Kitni mahaan hoti hai naa? Unka pyar...Unki wafayein...Kitna mahaan hota hai naa...Badnaam to hamesha ladkon ka pyar hi hota hai.

Unka pyar pyar aur hamara pyar hawas?


Atul ne apni dil ki saari bojh Ajay ko bol diya.

Ajay ko yakin nahi ho raha tha ki baat itna aage badh gaya hai.

Ajay:- Saaf saaf bol...Hua kya hai?

Atul:- Kuch aisa hi feel hua yaar...Nisha ki baat sun kar.

Ajay kuch nahi bola...Wo kuch soch raha tha.

Atul:- Yaar...Soch raha hu aise pyar jaise chakkar se alag ho jaau...Abb aur nahi seh paa raha hu ye sab.

Har pal dil tootta hua mehsus kar raha hu...Nahi seh paa raha hu yaar ye sab.

Kitne acche din thhe yaar wo...Jab single hua karta tha...Sirf ek hi tension aur mission tha...Kaise jyada se jyada padh saku.

Lekin abb...Jindagi kya se ho gaya!!!


Jo bhi Atul ke dil me the wo sab bolte jaa raha tha...Dusri taraf Ajay gehri soch me duba tha...Atul aur Nisha ke baare me.
 

Mbindas

Active Member
1,957
4,154
158
Bohot bura hua atul or nisha ke sath.
Update bohot hi frustration se bhara hua hai.:roflol:
:yourock:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Bhai situation vakt ke sath badal rahi hai....
Pyar ko bhi imtehan se gujarna padta hai....
Dekhte hai result kya aata hai?
Thanks Killar bhai for your support and review...Dekhte hai iss imtehan se dono kaise gujarte hai...Saath bane rahiye bhai.
 
291
705
93
Bhai sorry to say this but abb story aisi mod me hai jaha se romantic updates kam hi aayega...Abb jald hi Atul aur Nisha ki judaai ka scene aayega aur fir Atul ka life ka new chapter...Usme bhi pain hi milenge...Judaai se pehle thoda bahut romantic scenes bhi aayega lekin shayad wo aapko impress naa kar paaye.

Story ka plot hi aisa hai...Kuch happy moments to kuch Sad moments...Happy moments laghbhag khatam ho hi gaye hai abb baki hai to sad moments.

Aapka ek complaint yaa fir wish...Flashback jaldi khatm karna...Abb flashback jyada nahi hai.

Aur rahi baat 50-50 (Pyar+Dard)...Ye shayad mujhse nahi ho paayega.

I respect your comment and wishes...But bhai story ka plot jaisa hai usse romantic updates (happy type) wo utna possible nahi hai...Sirf itna hi umeed hai ki ending aapko satisfy kar sake.
Chliye aapne kaha ki ending satisfied krega,,itna hi kaafi h
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top