• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

291
701
93
Superb bro.
Mind-blowing , faboulas,,
Jitni taarif karu utni Kam hai.

But jab hame lgta h ab Nisha and hero ki bich kuch dubara hoga to aap turn kr de rho ho story ko....
Plzzzzzzzz ab aur mat tadpao milao bhi ab dono ko..
Ab ye Naya twist Nisha ke dad ne Jo najara dekha uske bad creat ho gaya
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 84

Nisha ki Papa ko saamne dekh Atul ek dum se chaunk gaya...Wo apni jagah se utth gaya aur Nisha ki Papa ko ghurne laga...Ek baar to usko vishwash hi nahi hua.

Lekin jab aas paas dekha to yakin karne par majbur ho gaya...Atul ke sabhi ghar wale chaunk kar Nisha ki Papa ko hi dekh rahe the.

A. Dad:- Aap yaha? Aaiye na...Baithiye.

Atul ki Papa khud gate tak jaa kar unko apne saath le kar aaye.

Atul ki Papa ki iss harkat sabhi ko ek baar fir se chaunkaane ke liye kaafi tha...Aaj tak dono ek dusre ko dekhna tak pasand nahi karte the lekin abhi jo hua usse dekh koi bhi vishwash nahi kar paa raha tha.

Atul bhi shaant sab kuch dekh raha tha...Shreya Atul ko dekh rahi thi aur jo raha tha usse samajhne ki koshish kar rahi thi.

Nisha ki Papa bhi Atul ki Papa ko hairaani se dekh rahe the...Aise badlaaw unko bhi vishwas nahi ho raha tha...Atul ki Papa ki aankho me paschataap saaf dikh raha tha...Aur ye dekh kar unki aankho me bhi wohi paschataap dikhne laga.

Vakt...Sabse balwaan...Sabse taaqat war...Kab kisko kya bana de? Kya karne par majbur kar de? Iska jawaab vakt ke paas hi hota hai.

Ye vakt hi tha jisne aaj sabhi ki jindagi badal kar rakh diya tha...Haalaath kya se kya ban gaya tha.

Yahi vakt tha jisne do insaan ko nafrat ki jagah paschataap ki aag me jalne par majbur kar diya tha...Har pal paschataap...Har pal dil me ek bojh.


Atul:- Uncle baithiye na.

Atul ne saamne ki sofa ki taraf ishara kiya.

Nisha ki Papa ke baithne ke baad hi Atul baitha.

Atul ki chhoti chhoti baaton ko wo gaur kar rahe the...Wohi sanskaar...Jo hospital me ek jhalak sa dikha tha...Aaj bhi wohi sanskaar...Ek baar fir khud se nafrat karne se rok nahi paaye Nisha ki Papa? "Kyu maine jaldbaazi kar di?" Bas yahi sawaal unko andar se khaye jaa raha tha.

Atul:- Di...Please chaai bana kar laaiye naa.

Atul ki iss baat sunte hi Nisha ki Papa ko ek jhatka sa laga...Jaise hi Atul ne ye mehsus kiya.

Atul:- Nahi nahi Uncle...Uss baat ka badla nahi le raha...Aap hamaare mehman hai...Aur mehmaan ka samman karna hamaara kartavya hai...Mai to wo baat bhul hi chuka tha.

Atul ki baat se unko thoda raahat mila.

Fir Atul ki najar Shreya par pada.

Atul:- Ye hai Nisha ki Papa...Bataya tha naa tumhe.

(To Nisha's Dad) Aur ye hai Shreya...Meri....

Atul iss e aage kuch bolta usse pehle...

Aarav:- Mai jaa raha hu khelne.

Fir Aarav waha se daud kar nikal gaya baahar khelne.

Atul ka dhyan Aarav par chala gaya aur wo Shreya ko introduce karana bhul hi gaya.

Nisha ki Papa jawaab sunna to chaahte the lekin puch nahi paaye...Atul ko sawaal karne ka himmat bhi nahi juta paa rahe the wo.

A. Dad:- Aap yaha? Koi mushibat to nahi hui aane me?

N. Dad:- Yaha ka address pata karne me thoda problem to hua tha...Lekin kisi tarah pata kar liya...Atul se ek baar milna chaahta tha.

Atul:- Mujhse? Koi khaas kaam?

Thoda hairaani ke saath Atul ne pucha.

(In his mind) Abb kya kaam baaki reh gaya?

N. Dad:- Uss din hospital admit karne ke liye thank you bolna chaahta tha.

Atul:- Isme Thank you ki kya baat hai Uncle...Agar aisa nahi karta to insaaniyat ki hatya ho jaata mujhse.

Aur ek doctor ho kar insaaniyat kaise bhul sakta hu?

Aap ki jagah koi aur hota to bhi mai uske liye yahi karta...Aur aap to Nisha ke Papa hai...Aap ko kaise chhod deta.

Nisha ki naam bahut hi pyar se liya Atul ne.

N. Dad:- Aaj bhi pyar karte ho Nisha se?

Nisha ki Papa Shreya ki taraf dekh kar bole.

Lekin Atul ek baar fir Nisha me aise khoya tha ki wo iss baat ko samajh hi nahi paaya.

Atul:- Karta rahunga...Aakhiri saans tak karta rahunga...Aur itna karta hu ki bayaan nahi kar sakta...Meri badkismati hai ki vakt rehte aapko yakin nahi dila paaya kitna pyar karta hu mai Nisha se...Uski khushi ke liye saari hadd paar kar sakta hu...Meri badkismati.

N. Dad:- (In his mind) Meri badkismati hai ki mai samajh nahi paaya...Samajhne ki koshish hi nahi kiya.

N. Dad:- Abb kya kar rahe ho? Bahut bade doctor ban gaye honge? Bahut taarif suna tha Nisha se...Padhne me bahut acche ho.

Atul:- MD kar liya...Aur logo ke ilaaj me kaam aa saku aise doctor ban gaya hu.

Nisha ne bhi apni study ko continue rakha na?

N. Dad:- Usne bhi MD kar liya hai.

Atul:- (In his mind) Thank god.

N. Dad:- Accha laga tumhe aage badhta dekh kar.

Nisha ki Papa ne ek najar Atul aur fir Shreya ki taraf dekh kar kaha.

Atul:- Jab saath dene wala koi apna ho to gham ko bhulne me vakt nahi lagta.

Yahi saath Shreya ki dosti se mili...Jindagi me aage badhne ki ek vajah.

Agar Shreya ka dosti aur saath naa hota to abhi iss ghar ke alawa aur kahi hota...Yaa to uparwale ke paas, yaa fir paagal khaana yaa fir koi rehabilitation centre.

Kismat se baar baar dhokha milne ke baad shayad kismat ko hi mujh par taras aa gaya...Aur Shreya meri jindagi ki ek mod par mujhe mili.

Atul khud ko majbut dikhaane ki har ek koshish kar raha tha...Ki wo aage badh gaya...Lekin uska dard uske alawa bhi sab mehsus kar rahe the...Aur sabhi uski tarah hi majbur the.

Aarav:- Papa mujhe chocolate chaahiye.

Ek jidd lekar Aarav fir ghar me waapas aaya...Pehle to wo Gaurav ke paas jaa raha tha lekin Atul ko dekh uski taraf aa gaya.

Aarav:- Mujhe chocolate khaana hai.

Atul:- Thodi der baad khaayenge.

Fir Atul ne kisi tarah usko mana liya.

Abb Nisha ki Papa ki baaki ka shak yakin me badal gaya...Sochne sajhne ke liye kuch baaki nahi tha...Aankho se dikhi aur kaan se suni baat ko unhone sach maan liya.

A. Dad:- Nisha kaisi hai?

N. Dad:- Ji wo bhi acchi hai...Khush hai.

Ye baat sunte hi Atul ki dil me ek meetha sa dard hua...Jo wo sunna chaahta tha ek baar fir sun liya.

N. Dad:- Accha to abb chalta hu...Atul se milne aaya tha...Atul ko aage badhta dekh bahut accha laga.

Nisha ki Papa se abb waha raha nahi jaa raha tha.

A. Dad:- Chaliye mai gate tak chhodh deta hu.

Fir dono saath chalte hai.

A. Dad:- Aap mujhse naaraaj to nahi hai naa.

N. Dad:- Naaraaj ho kar bhi kya hoga...Hamaara aapsi naarajgi se hi aaj ye haal hai.

Jo bhi hua aisa hona nahi chaahiye tha.

A. Dad:- Bahut galat hua...Apna ghamand aur nafrat ka shikaar apne hi bacche ho gaye.

N. Dad:- Khair abb dono khush hai apni jindagi me...Koshish karenge aage kabhi aisi galti naa ho.

N. Dad:- Accha abb izaazat dijiye.

Atul ki Papa aankho se hi izaazat dete hai...Bolne ki haalat me to wo bhi nahi the.

Uncle...Uncle.

Picche se chillate hue Atul aaya...Atul ki aawaj sun Nisha ki Papa ruk gaye.

Atul:- Aap bahut hi lucky hai...Nisha aapki beti hai...Aise bahut kam hi Pitaa hote hai jinhe aisi beti milti hai.

Aapki izzat aur samman ke liye usne apne pyar tak ko hi kurbaan kar diya...Hazaar baar manaya tha lekin ek baar bhi wo nahi maani...Kehti thi wo mujhse bhi jyada aapse pyar karti hai...Aapka izzar aur aapka pyar hi sab kuch hai uske liye...Jo aap kahenge wo wohi karegi.

Aisi thi Nisha...Ek beti ki farz nibhaane me usne kahi koi kami nahi rakha...Request hai aapse kabhi usko koi dukh hone mat dijiye...Khush aur muskuraati hui hi wo acchi lagti hai.

Itna keh kar Atul wapas chala gaya aur Nisha ki Papa bhi chale gaye.

Thodi dur aage badhne ke baad unki aankho me aansu aa gaye...Haar ki aansu...
Ek Pitaa ki haar ki aansu.
 

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
:applause: :applause:
Excellent update....
Time sab ko sachayi se samna kara hi deta hai....
Nisha ke papa aur Atul ke papa dono ko apni galti ka ehsas ho gaya hai....
Lekin ek galatfehmi phir se ho gaya hai....
Superbly written....
:thanks:
 

Damha

I LOVE KUNG FUUUUU!!
Staff member
Sectional Moderator
17,817
19,691
229
abhi neend ayi hai kal acha sa review du ga
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top