• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 85

Shreya:- Kya soch rahe ho?

Raat ke vakt chhat me Atul ko akele gumsum dekh Shreya boli.

Atul kuch bolta usse pehle hi...

Shreya:- Ye kya cigarette?

Atul ne apne paas 2 cigarette rakha tha.

Shreya:- Doctor ho kar cigarette...Galat baat hai na.

Pyar se dekhti hui Shreya boli.

Jawaab me kuch der Atul Shreya ko dekhta raha fir bola.

Atul:- Ye doctor bhi to aakhir ek insaan hi hai...Uska bhi dil hai...Usko bhi dard hota hai.

Shreya:- Lekin cigarette se dard kam to nahi ho jaayega...

Atul:- Pata hai...Lekin kuch der ke liye dard ko bhula deta hai.

Daru ko haath lagaye bahut saal ho gaye hai...Shayad 5 saal...Tab se issi cigarette ka hi saath hai...Wo bhi kabhi kabhi hi peeta hu...Jab dard bardast ke baahar ho jaata hai...Seh nahi paata hu tab.

Shreya:- To kya aaj bahut dard ho raha hai?

Atul:- Hadd se jyada...

Atul ne bas itna hi kaha tha ki Shreya Atul ki dono cigarettes chhat se niche fenk deti hai.

Atull hairaani se cigarettes ko girte dekhta reh jaata hai...Atul ka chehra dekh Shreya hasne lagti hai.

Atul bhi kuch der baad saath hi hasne lagta hai.

Atul:- Cigarette ko to dur kar diya...Lekin dil ka dard...Isse kaise dur karogi?

Shreya:- Agar kar diya to?

Atul:- Nahi kar paaogi.

Shreya:- Kar dungi.

Atul:- Challenge.

Shreya:- Accepted.

Shreya ne challenge to accept kar liya...Lekin usse pata nahi tha ki karna kya hai.

Shreya:- Accha ye sab chhodo...Ye bataao agar Nisha di hoti to wo bhi aise hi cigarette fenk deti naa.

Atul:- Paagal dikhta hu kya mai tumhe...Nisha ke saamne cigarette...Itna himmat mujh me...Kabhi nahi.

Maar maar kar haalat kharab kar deti wo...Aur jab Nisha saath hoti to cigarette ki jarurat hi kyu padti?

Atul puraani baatein soch kar muskuraane laga.

Shreya:- Kaha tha naa...Tumhara dard bhi dur kar dungi.

Atul:- Bas yaadein hi kaa to saath hai...Jo do pal ke liye muskaan hontho par laa deti hai...Warna ye jakhm...Isse koi bhar nahi sakta.

Atul ki aawaj me abb bhi dard jhalak raha tha.

Shreya:- (In her mind) Aaj bhale hi naa sahi...Lekin bahut jald tumhara jakhm bhi bhar dungi...Vaada hai tumse.

Atul:- Mai bhi apni iss kahani ko suna kar tumhe bore kar raha hu naa? Tum bhi soch rahi hogi ki kaisa insaan hai ye jo pyar me haarne ke baad aise jee raha hai jaise puri duniya hi khatm ho gayi hai.

Shreya:- Nahi...Jab bhi tumhaari kahani sunti hu to tumhaare liye dil me izzat aur bhi badh jaati hai.

Aaj ke vakt me saccha pyar bahut hi kam dekhne aur sunne ko milta hai...Aur jo bhi saccha pyar me haarte hai unko maine barbaad hote dekha hai...Paagal hote aur suicide karte dekha hai.

Lekin bahut kam hi aise log hote hai jo pyar sacche dil se karte hai, pyar ko nibhaate hai aur saath hi mushkil se mushkil vakt me khud ko sambhal lete hai...Pyar me hi kho kar baaki ki jimmedaari ko bhulte nahi hai.

I respect you as a responsible and talented doctor, a great lover and one of the honest and best people I have ever met.

Shreya ki ye baat sun kar Atul bhi khud ko muskuraane se rok nahi paaya...Wo ek pal me hi apne saare gham bhula kar khush ho gaya...Aur apna taarif kise pasand nahi aata?


Shreya:- Abb bolo? Kya soch rahe the tabhi?

Atul:- Kuch khaas nahi...Vakt ka khel...Bahut acche se khela hai vakt ne meri jindagi ke saath.

Aaj jo insaan aaye the Nisha ke Papa...Unko jo baat 5 saal pehle samajhna chaahiye tha...Wo aaj samajh rahe hai...Jab sab kuch khatm ho gaya? Barbaad ho gaya?

Ek baar fir Atul ki aawaj me dard tha...Bhale hi 5 saal ki baat thi...Lekin Atul ke liye to jindagi bhar ka deri ho gaye the...Hamesha hamesha ke liye wo apni Nisha se bicchad gaya tha.

Shreya:- Mujhe lagta hai ki wo kuch jaruri kaam se aaye thhe?

Atul:- Ye dekhne ke liye ki mai jinda bhi hu ya nahi...Unka uss faisla ne to mere rooh ko ussi vakt maar diya tha...Baaki hai to ye sharir...Bas yahi dekhne aaye honge.

Iss baar Atul ki aawaj me dard ke saath saath gussa bhi tha.

Atul ka ye gussa dekh Shreya bho soch me pad gayi...Dimaag me utth rahe sawaal usne puch hi liya.

Shreya:- Tumbe abhi tak unhe maaf nahi kiya?

Atul:- Mere maaf karne aur naa karne se kya ho jaayega...Beeta hua vakt to waapas nahi aa jaayega.

Bas unka izzat iss liye karta hu kyu ki wo Nisha ki Papa hai aur Nisha bhi unki izzat karti thi...Isse jyada kuch nahi.

Shreya:- To kya wo sab jhuth tha? Unko accident se bachana aur tumhaari baatein?

Atul:- Sirf ek hi jhuth bola maine...Ki mai apne jindagi me aage badh chuka hu aur khush hu...Agar ye jhuth nahi bolta to kya karta?

Unki paau me gir jaata aur rote hue kehta barbaad ho gaya hu mai? Kuch self respect abhi bhi baaki hai...Kisi tarah khud ko dikhaana tha ki mai bhi aage badh chuka hu.

Aur rahi baat unko bachaane ki to usme apna koi faaidaa nukshaan nahi dekha tha...Ek doctor hone ki naate mai apne kisi bhi dushman ko bachane ki koshiah karta.

Fir bhi wo meri Nisha ki Papa hai...Unko kaise kuch hone de sakta tha.


Atul ki ye baat sun Shreya bas Atul ko hi dekh rahi thi...Usse samajhne ki koshish kar rahi thi ki Atul jo bhi kar raha hai wo sahi hai ya nahi?

Aur Nisha ki Papa ke aane ke baad aur unki aur Atul ki baat sun kar usse aisa lag raha tha ki kuch to galat ho raha hai jo hona nahi chaahiye.


Atul:- Unke aane se ek baat to accha hua...Ye baat to pata chala ki Nisha apni jindagi me khush hai jo dua mai hamesha se karte aaya hu.

Sach me Nisha ki baare me jaan kar bahut sukoon mil rahi hai.

Ye kehte hi Atul ke hontho me ek muskaan aa gaya Nisha ki khushi ke liye...Kaisa pyar tha ye Atul ka? Jo har beet te vakt ke saath aur bhi gehra hota jaa raha tha ye jaante hur bhi iss pyar ka abb koi future hi nahi hai.

Saccha pyar...Shayad yahi vajah tha jo Atul apne parwah kiye bina Nisha ki khushi ka hi dua maangta tha...Uski khushi me hi khush ho raha tha.

[Note:- Sorry for no replies since last 2 updates...Will reply from tomorrow.]
 

Loveshuda111

Member
486
1,203
138
Waah bhai awesome update
Kuchh yaade to dard deti hai and kuchh dard me bhi muskan la deta h

Lgta h is story ka love heroes shreya banegi
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
Nice update....
Aaj bhi Atul Nisha se hadh se jyada pyar karta hai....
Aaj bhi woh pyar ko nibha raha hai....
Aesa pyar sayad aaj ke jamane mein bohot kam dikhne ko milta hai, jahan apna pyar ki khushi hi sab kuch samajh lena....
:thanks: for the update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,428
189
I became speechless...bohot hi kam log kar paaaye hain mujhe.... AashiQui bhai, ishikaaa, romeo anna, aur aaj tum add ho gaye yar.....bohot hi behetrin update tha story ka sabse achha wala update...:applause: sabdon ko chhan kar bhavnaon ki gahrai me buta lagate hue aanson ki jo boonde mili unhi ko hi kalam me saaz liya....:bow:
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Mbindas

Active Member
1,937
4,121
158
Kamal ka update hai. Sahi hai atul jaise log bohot hi kam hote hai ho pyar me har jane ke bawjud apni zimmedariyo ko nahi bhulte hai or age badh jate hai.
:yourock:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

True Love

New Member
56
196
33
Updates are really very good.
Jo kisi ne notice nhi Kiya ghar me wo usne karliya,Shreya ki sixth sense ,ki kuch galat ho rha hai:applause::applause:
shayad Nisha ke papa ki bechargi , hatasha , tootti ummeed , mayoosi ko usne mehsoos Kar liya kahin na kahin,unke iss tarah ghar aane ki Asal wajah per bhi Shreya ko doubt hai ki unka aana kisi aur wajah se tha.
Ye Atul sir kaha dekh payenge ,wo to Nisha ke zikr me usme hi kho jate hai bar- bar har- bar .:check:
 
Last edited:

True Love

New Member
56
196
33
Kuch updates Nisha ki taraf see bhi aaye to uski maujadgi ka ehsaas bhi hamko hota rahega, ki uski life me filhal Kya chal raha hai.:call:
Udhar Atul andaza laga raha hai ki Nisha khush hai apni life me ,aur idhar hum readers bhi andaza hi laga rahe hai ki wo bhi Atul jaise dard me hi hongi.:check:
 
Top