• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Bhai mujhe lag Raha hai kahani aage badhia hi nahi Rahi kabse ek hi jagah Riki huyi hai
Khair dekhte hain aage in tota maina ka sirf pyaar hi dekhne Ko milega ya kuch thrill v hogs
Thanks Sanskari Bhai for your support and review...Flashback me abhi story jyada badh nahi raha tha...Romantic story hai to kuch updates romance ke bhi dikhaana tha...Abb dhire dhire flashback bhi aage badh kar story present me aa jaayega...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Haan sayad atul bewaakuf hain... kyunki writer sahab khud kubul kar rahe hai ki atul bewaakuf hain.. poor atul :noo:
:nope: According to me Atul bewakoof nahi hai bechaara hai...Aur abb usko bechaara banane ki taiyaari chal raha hai :evillaugh: Saath bane rahiye. :)
 
  • Like
Reactions: Sanskari Larka

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 95

Dono ka pyar aise hi hanste khelte aage badh raha tha...Hansi majaak aur mastiyan ke saath saath dher saara pyar.

Lekin inn sabke baawjud kuch galatfehmi aur saajish bhi apna naya roop lene ke liye taiyaar tha.



TB (Tuberculosis) is a granulomatous inflammation caused by Mycobacterium...

Atul isse aage kuch bolta usse pehle hi.

Preeti:- Matlab TB bhi Cancer hai.

Preeti ne to bholepan se kaha lekin ye baat sun kar Atul ki dimaag ne jaise kaam karna hi band kar diya...Usse aisa lag raha tha jaise usne duniya ka aathwa ajuba sun liya hai.

Atul:- TB Ca Ca Cancerrrr hai!!!

Preeti:- Aapne hi to kaha tha...Cancer ke piche "Oma" suffix hota hai...Aur abhi aapne kaha Tuberculosis me bhi Granuloma hota hai.

Ye sunte hi Atul ko apna sir kisi deewar par fodne ka man kar raha tha.

Atul:- Kabhi exception ke baare me suna hai...Maine wo bhi bataya tha...Granuloma aur Hematoma exception hai...Lekin aisi baatein sunta kaun hai...Aur kisne keh diya har cancer ke piche Oma hota hai. Leukemia (Blood Cancer) bhi exception hai.


Atul ki baato me gussa kam frustration jyada tha.

Preeti:- Accha sorry...Aage se dhyan rakhungi.

Preeti ne itni maasumiyat se kaha jaise kuch hua hi nahi hai...Aur yahi baat se Atul ka gussa aur bhi badh gaya...Wo bas Preeti ko hi dekh raha tha.

Preeti:- Abb aage padhte hai.

Atul:- Kya padhogi?

Gusse me to wo cheekhna chaahta tha lekin Library me hone ki vajah se uski aawaj ghut kar reh gaya.

Preeti:- Yahi tuberculosis.

Atul:- Nursery me ho aur essay likhna chaahti ho...Pehle A, B, C, D padh lo.

Preeti:- Mai samjhi nahi.

Atul:- Yahi tumhara problem hai...Tum kuch samajhti hi nahi ho.

Granulomatous Inflammation matlab Chronic Inflammation...Aur yahi nahi aata hai to TB kya padhogi? TB is an example of Chronic Inflammation.

Kitna vakt laga kar acche se padhaya tha Necrosis and Inflammation...Lekin tumhe to kuch aata hi nahi.

Basic hi kuch aata nahi to aage kya padhogi...Hajaar baar kaha hai Inflammation aur Neoplasia (Cancer) padh liya to Pathology laghbhag sab samajh jaaogi.


Atul abb bahut pacchta raha tha...Gussa bhi itna aa raha tha jaise kabhi bhi sir fatt sakta hai...Ussi Preeti ko padhaane ke liye kitna vakt barbaad kiya tha...Nisha se bhi na jaane kitni baar ye baat chupaaya tha...Aur kitni baar daant bhi khaaya tha.

Lekin kabhi afsos nahi hua tha...Wo to soch raha tha ki kisi ko padha raha hai...Accha kaam hi to kar raha hai...Lekin usse kya pata tha jisse wo padha raha hai usse kuch samajh me aata hi nahi hai...Itne acche se time de kar padhaane ke baawjud bhi.

Lekin iss baat se Atul puri tarah se anjaan tha ki asal baat kuch aur hi hai...Sach to ye tha ki Preeti kabhi kuch samajhna hi nahi chaahti thi...Bas Atul ke saath library me vakt bitaane ka dikhawa hai.

Atul apni jagah se utth gaya.

Preeti:- Kaha jaa rahe hai aap?

Atul:- Kutte ki puchh ko kina bhi sidha karne ki koshish karo...Wo tedhi hi rehti hai.

Tumhara bas ki nahi hai padhaai...Mai apna time waste nahi kar sakta.

Atul abb waha se nikalne hi wala tha ki.

Preeti:- To fir mai kaise padhungi?

Atul:- Ye mai nahi jaanta...Bas mai tumhe padha nahi sakta...Jise Pathology ka 1st Chapter ki chhoti si baat bhi nahi aata...Wo Pathology padhegi...Hamesha kaha hai Pathology aur Anatomy ko seriously padho lekin.

Itna keh kar Atul frustration me apne sir par haath jor se maara.

Atul:- Mai ye sab kise samjha raha hu?

Fir Atul waha se kuch kahe bina gusse me nikal gaya...Preeti bas Atul ko hi dekhti rahi jab tak wo uski aankho se ojhal nahi ho gaya.


Tabhi kuch dur haath me kitaab liye Ravi jo padh kam raha tha inki jasoosi jyada kar raha tha wo Preeti ke paas aa gaya.


Preeti ko dekh kar wo samajh gaya ki Preeti hurt ho gayi hai.

Ravi:- Fikr mat karo...Sab thik ho jaayega.

Preeti:- Kaise thik ho jaayega? Pehli baar unhe itne gusse me dekha hai...Aur ye gussa bhi mere liye.

Ravi:- Tumne kabhi suna nahi? Jise hum sabse jyada pyar karte hai hum ussi par jyada gussa dikhata hai...Gussa bhi ek prakar (type) ka pyar hi hai.

Ravi ne muskuraate hue kaha...Lekin ye muskaan ke piche ka sachaai se sirf wo hi waakif tha.

Ravi ki iss baat se Preeti ka chehra khushi se khilkhila utha.

Lekin agle hi pal,

Preeti:- Lekin wo to Nisha di se pyar karte hai naa?

Ravi:- Ha pehle karta tha...Lekin abb pacchta raha hai...Abb galat logo se pyar karega to yahi hoga naa.

Dekh nahi rahi ho aaj kal kitne ladaai hone lagi hai dono ke bich...Dekhna bahut jald dono me break up ho jaayega.

Preeti kuch nahi bol rahi thi...Mauka dekhte hi Ravi fir bol pada.

Ravi:- Maine Atul ki aankho me dekha hai tumhare liye pyar!!! He loves you...Bas issi vajah se tumse chhoti chhoti baato par gussa ho jaata hai...Kyu ki wo tumhara care karta hai? Agar pyar nahi karta to gf hote hue bhi kyu tumhe padhane me itna time spend karta?

Bas dekhti jaao...Bahut jald wo tumhe propose bhi karega.

Ravi ka bas itna hi kehna tha ki Preeti ki khushi ki koi thikaana nahi raha.

Preeti:- Sacchi.

Preeti jaise khushi se hawaa me udne lagi thi.

Ravi:- Bas dekhti jaao.

Itna keh kar Ravi waha se nikal gaya...Abb usse apna plan kaamyaab hota dikh raha tha.

Ravi bas library se baahar hi nikal raha tha ki usse ek phone aata hai.

Phone Nisha ka tha.

Ravi:- Ha Nisha bolo?

Nisha:- Atul kya abhi bhi college me hai? Ghar abhi tak aaya nahi hai...Uska aur Ajay dono ka phone nahi lag raha hai?

Thoda fikar ke saath Nisha ne pucha.

Ravi:- Ha Library me hi hai...Preeti ko padha raha hai...Keh raha tha raat 9 baje wapas aayega...Kya usse phone du?

Nisha:- Koi jarurat nahi.

Itna keh kar Nisha gusse se phone cut kar deti hai.

Ye gussa...Yahi gussa to chahta tha Ravi...Safalta ki taraf ek kadam aur badhta dekh Ravi ka bhi khushi ka koi thikaana nahi tha.

Nisha:- (In her mind about Atul) Jhuth bolne ki kya jarurat thi? Keh dete mai mana thodi karti...Lekin aise jhuth bolna? Jhuth bolna kab se sikh gaye tum Atul?

Nisha sach me Atul se naraaj ho gayi thi.

Dusri taraf Atul...Wo aaj Nisha ko ek surprise dene ka soch ghar aa raha tha...Lekin usse kya pata tha uske peeth piche kya chal raha hai...Kaise wo ek galatfehmi ka shikaar ho raha hai aur bina kisi galti ke bhi galat banta jaa raha hai?
 

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
Nice update.....
Ravi hi mukhya sazish karta hai jo preeti aur Nisha ko gumrah kar raha hai.....
Lagta hai kuch toh galat hone wala hai....
:thanks: for the update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
Atul galatfamiyo ka shikar hota jaa raha raha hai... faida ravi ko ho raha hain... kiske wajah se...ish champ ji ki wajah se....:mad:
waise yeh preeti entrance exam mein kaise pass ho gayi.... :hmm: Khair....
Let's see what happens next
Brilliant update champ ji... Keep it up
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top