• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 77

Atul:- Kya hua sir?

Dr. Rahul:- Nisha ki Papa ki taraf se patient party aaye hai.

Ye sunte hi Atul ki dhadkan ekdum se badh gaya.

Atul:- Nisha bhi?

Dr. Rahul:- Pata nahi...Sirf itna hi msg aaya hai...Jaa kar dekhne ke baad hi pata chalega.

Atul apni hi soch me kho gaya.

Atul:- Sir aapko abhi iss sun glass ki jarurat hai?

Table ka sun glass ki taraf ishaara karke Atul ne pucha.

Dr. Rahul:- Nahi? Lekin kyu?

Atul:- Mujhe jarurat hai aur ek mask bhi.

Rahul sir Sun glass aur surgical mask dete hai.

Atul apna chasma utaar kar wo dono lagata hai.

Atul:- Nisha pehchaan naa sake iss liye.

Dr. Rahul:- Ek baar mil to le...Itne dino baad mauka mila hai...Aise kaise jaane dega.

Atul:- Abhi aisi haalaath nahi hai sir...Khwahish to bahut hai...Dil me kayi armaan dabe hue hai lekin majbur itna hu ki sirf sapne dekh hi sakta hu...Hakikat kuch aur hi hai.

Fir Atul waha se nikalne hi wala tha ki.

Dr. Rahul:- 1 min.

Atul:- Jee sir.

Dr. Rahul:- Apna phone number bol? Iss baar gaayab hua to pata nahi kabhi mai tujhe yaad rahunga bhi ya nahi?

Atul:- Ye kaisi baat kar rahe hai sir aap? Aap to hamesha se mera inspiration thhe aur rahenge. Aap ke liye dil se izzat nikalta hai.

Fir dono phone number exchange karte hai...Aur Atul waha se nikalta hai.


Waha se nikalne ke baad Atul ka dhadkan uske kaabu me hi nahi tha...5 saal baad...Nisha ki ek jhalak...Atul taras gaya tha...Dil se ek hi dua nikal rahi thi...Kaas Nisha waha maujud hu.

Iss baar uska dua kaam kar gaya...Nisha ki Dad ki ward me Nisha bhi maujud thi.

Atul ek kone me khada Nisha ko hi dekhe jaa raha tha...Nisha ko dekhte hi aankhein achanak se chamakne lagi...Hontho par muskaan aur ekdum se dil khush ho gaya.

Nisha:- Aap bhi na Papa? Sambhal kar chalna chaahiye aapko? Ye yo bhagwaan ka shukr hai ki kuch nahi hua?

N. Dad:- Mai to sambhal kar hi chal raha tha lekin...

Nisha:- Bas bas...Jaanti hu kitna sambhal kar chal rahe the?

N. Dad:- Bahut kuch jaanti hai...Ye bhi ki mujhe jhuth bolte hue bhi pakad liya tune?

Nisha:- Fikr karti hu...Lekin aapko kya? Aapko to koi matlab hi nahi.

N. Dad:- Accha baba...Sorry.

Nisha:- Maafi tab hi milegi...Jab aap vaada karenge ki abb aise galtiya kabhi nahi karenge.

N. Dad:- Accha karta hu vaada.

Fir Nisha muskuraane lagti hai...Ye dekh Atul bhi saath hi muskuraane lagta hai...Kitna accha lag raha tha usse aaj Nisha ko hanste dekh.

Nisha ki issi hansi ke liye hi to wo bhagwaan se din raat dua karta tha...Aur ye dekh Atul ka bhagwaan se saari shikayat khatm ho gaya.


Nisha ko bhi aisa lag raha tha ki koi to hai jo usse dekhte jaa raha hai...Koi apna sa...Ek khinchaaw.

Lekin jab wo Atul ki taraf dekhti hai to waha koi nahi tha...Nisha bhi ussi chhaaya ko dhundne lagti hai...Hospital ka har ek kona...Lekin usse naakami hi haath lagti hai.

Dil ek baar fir se bhaari ho gaya tha...Aisa lag raha tha jaise Atul fir uske paas aate aate usse dur ho gaya...Aankhein ek baar fir bheeng gayi.

Fir wo apne Papa ke paas aa kar.

Nisha:- Aapko kisne admit kiya?

Kuch der sochne ke baad.

N. Dad:- Thaa ek
bhala insaan.


Waha se dur ek taxi me Atul abhi bhi muskura raha tha Nisha ko yaad karke.

Wohi chhoti chhoti baato par muskuraana, kisi tarah kisi ko bhi kiisi bhi baat ke liye mana lena, wohi pyari aur meethi si koyal si bol, wohi adaayen aur wohi khubsurati...Vakt ke saath Nisha ki khubsurti aur bhi badhta hi gaya...Aur ussi me Atul abhi tak khoya tha.

Inn sab se bhi jyada Nisha ki wo hansi...Wo khushi...Jiske liye Atul ne kayi din aur raat duaaon me gujaar diya tha.

Aaj Atul bahut hi jyada khus tha...Uska dua kaam kar gaya tha...Nisha ki ek jhalak se hi usse wo sukoon mil gaya jo wo 5 saalo se dhundne ki naakaam koshish karta aa raha tha.

Taxi Driver:- Sir change nahi hai?

Atul:- Koi baat nahi rakh lo.

Taxi Driver:- Thank you sir.

Taxi driver to khush ho kar waha se chala gaya par Atul ko uski khushi me bhi apna khushi dikh raha tha...Ek dum se ye duniya hi usse khushnuma lagne laga tha.

Ajeeb hai ye pyar...Kabhi pal bhar me hi saari khushiyan de deta hai :toohappy: to kabhi jindagi bhar ki tanhaiyan :(.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
ye atul bhi naa... ab kya bolu.. nisha, dhundne lagi yehi aasha me ki kahi koi apna to nahi waha hospital me... par janab hero to mitti ke madhab jane kya sochke mask ke sath sunglass pehen liya.. welding karne jaani hai kya... bewaakuf kahi ka :mad:
Bechari nisha..:(

ek boh nisha ke daddy... selfish.... baat ko hi gol kar gya...
Btw brilliant update champ ji.... :applause::applause:
 

Mbindas

Active Member
1,937
4,121
158
Bohot hi lajawab update hai bhai.
:yourock:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

PARADOX

ଗପ ହେଲେ ବି ସତ
6,068
3,428
189
Kya yar aaj phirse dil dehela diya..muskurate honthon pe chhupi dard ko dikha diya yar..."yun to main aansoon se koi matlab nahin rakhta hun phir bhi kabhi kabhi ish se apni pyas bujha leta hun..."
Shayad ish se battar hal atul ki dil ka hal hai hasta hai magar ek aansoon ke saath...khus to hota hai magar ek naye dard ke saath...aisi bhi kya majburi thi jo do dil jud kar bhi naa jud paaye....:cry:
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,531
34,458
219
Ye dil ke rishte bhi ajeeb hote hain.... Nisha to bina jane bhi atul ko mehsus karne lagi......
Lekin atul..... Iske dil ka haal kya hoga... Jo jaante huye bhi anjan banke nikal gaya.....
Bewkoofi hi sahi.... Lekin ye wahi kar sakta hai..... Jo pyar karta hai....

Dekhte hain kab aurkaise hoga.... Inka amna samna
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
8,531
34,458
219
Congrats ak bhai.... Is kahani ke 100 pages tak pahuchne par
..
Aise hi aage bhi apni kalam ka jadoo bikherte rahein
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Kuch to hua hai, kuch to ho geya hai atul ko...uske liye ab sab kuch alag hai, sab kuch naya hai.. do chaar din ka to pata nahi par abhi abhi atul ke liye sab kuch khushnuma hai.. bekayali me gungunane laga hai to akele me hi muskurane laga.. akhir atul ko kya ho gya hai
 
Top