Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 27
"Raaaaaaaaaz.... Nafrat ya phir Diwaangi"
Moni ki baaten sun ke Wahan maujood sabhi ko is baat ka ehsaas hone lagta hai ki wo jo bhi keh rahi hai wo baat kuch had tak theek hi hai.... Sab ne waisa hi to kiya... Jis waqt Sultaan ko in ki sab se zyada zaroorat thi uska sath dene ke bajaye sab use dard me tadapne ke liye Hospital me chor aaye.... Sab ki aankhon se aansu behne lagte hain.... Magar ab aansuon ko bahane se kya fayeda.... Sab ki aankhon se behte aansuon ko dekh ke Moni ki Maa Moni ko daantne lagti hai....
Dadi : Mat daant use Bhaavna.... Usne kuch galat nahi kaha..... Uska kaha hua ek ek lafz sach hai.... Jab Sultaan ko hamari sab se zyada zaroorat thi tab hum use akela chor aaye.... Bhale hi ye sab hum ne uski zid uski kasam ki wajah se kiya magar jo bhi ho kiya to hum ne hi aur wo bhi galat....
Mehek rote hue : Jo galti hum se hui hai use hum abhi Sudhaar sakte hain.... Main Car nikaalti hoon hum abhi wapis hospital chalte hain.....
Ye keh ke Mehek bahar ki taraf jaane ke liye mudi hi thi ki tabhi Dadi use rok ke kehti hai.....
Dadi : Nahi Mehek abhi nahi.... Jo galti hum kar chuke hain use is waqt wapis jaane se nahi sudhara jaa sakta hai balki ab hum ko ye koshish karni hai ki aage chal ke hum se ye galti galti se bhi dobara na ho.... Waise bhi is waqt Sultaan dawa kha ke so raha hoga.... Is waqt wahan jaa ke use pareshan karna sahi nahi hoga.... Hum subah jaayenge apne Sultaan se milne....
Dadi ki baat sun ke sab aankhon me aansu liye na chahte hue bhi apne room ki taraf chal dete hain.....
Idhar Hospital me Sultaan dawa kha ke so raha hai.... Is sab se bekhabar ki ek baar phir se uske sath wo hi hone waala hai jo pehle bhi kayi baar ho chuka hai.... Kuch aisa jis pe yakeen karna mumkin nahi....
Achanak se koi Sultaan ke ward me aata hai.....
........ : Sahab ji.... Aap yahan....!!!! Aap ko yahan nahi aana chahiye tha.... Agar kisi ne aapko yahan dekh liya to....?
Sahab ji : Sultaan ko is haalat me akela yahan chorna mere dil ko gawara na hua.... Na chahte hue bhi apne dil ke hatho majboor ho ke mujhe yahan aana hi pada.... Taaki uske dard ka ilaaj kar ke use jald se jald theek kar sakun....
........ : Sahab ji Aap ki baat mujhe aaj tak samajh nahi aayi.... Dard bhi aap hi do aur uska ilaaj bhi aap hi karo.... Ye kya baat hui....?
Sahab ji : Insaan baar baar dard use hi deta hai jis se wo Nafrat karta hai.... Jab us dard ko mehsus karke aapka dil tadapne lage.... Uske dard ko dur karne ke liye aap har had paar kar jaao.... Chahe uske liye khud aapko kitna hi dard kyun na sehna pade.... Jab tak wo dard aap dur na kar do aapke dil ko sukoon na aaye... Use kehte hain Diwaangi....
..……. : Magar jahan Nafrat hoti hai wahan Diwaangi kaise....? Aur agar Diwaangi hai to Nafrat kaise....?
Sahab ji : Nafrat aur Pyar dono hi jab had se guzar jaaye to use Diwaangi kehte hain....
....... : Sultaan ke liye aapke dil me jo hai wo Nafrat hai ya phir Diwaangi....
Sahab ji : Is sawaal ka jawaab to khud mujhe chahiye.... ki aakhir Sultaan ke liye mere dil me hai kya...? "Nafrat ya phir Diwaangi"
....... : Agar aapko Sultaan se itni hi Nafrat hai.... To aap ise jaan se kyun nahi maar.....
Abhi usne itna hi kaha tha ki tabhi Sahab ji ka dimaag gusse se phatne lagta hai...
Sahab ji Behad gusse me : Khabardaar jo dobara aisi baat apni zubaan se nikaali to....
Phir badi mushkil se apne gusse ko shant karke...
Sahab ji : Tumhari jagah agar ye baat kisi aur ne kahi hoti to baat poori hone se pehle hi uski jaan uske jism se nikal chuki hoti.... Dobara iske baare me kuch bhi kehne se pehle 1000 baar soch lena....
Phir Sultaan ki taraf pyar se dekhte hue Sahab ji ki aankhon se aansu ki ek boond Sultaan ke chehre pe girti hai.... Jise mehsus karte hi Gehri neend me bhi Sultaan ka dil tadap jaata hai uske chehre pe bechaini Aur dard saaf nazar aane lagta hai..... Sultaan ko bechain hote dekh Sahab ji ka dil bhi tadap jaata hai.... Aur phir jaise hi Sahab ji ka hath Sultaan ke dard ko kam karne ke liye use seene pe dil ke paas touch hota hai.... Sultaan ke bechain dil ko karaar aa jaata hai sath hi uske honthon pe Pyari si muskaan aa jaati hai.....
Phir Sahab ji ki hatheli Sultaan ke jism pe jahan jahan goli lagi thi sath hi jahan jahan Ghaav the wahan ghoomne lagte hain aur dekhte hi dekhte wo ghaav bharne lagte hain... Yahan tak ki Goliyon ke nishaan tak mit jaate hain.... Is waqt Sultaan ke jism ko dekh ke koi ye nahi keh sakta ki uske jism pe ek kharoch bhi aayi thi..... Goli lagna to bahut dur ki baat hai....
Sahab ji : .......... zyada chonkne ki zaroorat nahi hai.... Maine bas iske ghav ko bharne me thodi si madat ki hai.... Taaki 2 din ke bajaye ye abhi theek ho jaaye....
Goli ka ghaav 2 din me bhar jaaye ye mumkin nahi use bharne me kam se kam 7 din to lagte hi hain....
Sahab ji : Haan tum ne theek kaha magar Sultaan ke sath aisa nahi hai.... aam insaan ke banisbat Sultaan ke jism me Healing Power 100 guna zaya tezi se kaam karti hai uski sab se badi wajah hai ........ Jungle ki wo jadibootiyaan jo Sultaan bachpan se khata aa raha hai.... Uski Powers ki wajah se Sultaan ke jism me Healing Power behad tezi se kaam karti hai.... Aisi aur bhi bahut si Powers Sultaan ke jism me hai....
......... : Kya ........... Jungle ki jadibootiyon me wakayi itni Powers hain ki wo ek aam insaan ko itna Powerful bana sakti hai....
Sahab ji : Sultaan ke jism me jo Powers hain wo sirf un jadibootiyon ki wajah se nahi hai.... Balki uski ek wajah aur bhi hai.... Jise batane ka abhi waqt nahi aaya hai.... Jab wo waqt aayega tab Sultaan ke sath sath tumhe bhi pata chal jaayega.... Filhaal waqt hai mere jaane ka..... Sultaan ka khaas khayaal rakhna..... Use zara si bhi takleef nahi honi chahiye..... Aur sath hi mujhe pal pal ki khabar dete rehna....
Agli Subah sab taiyaar ho ke Hospital ki taraf chal dete hain..... Is baat se anjaan ki Hospital me unhe ek bada jhatka lagne waala hai....
Hospital pahunch ke wo jaise hi Sultaan ke ward me jaate hain.... Saamne bed pe Sultaan ko na paa ke Unhe ek jhatka sa lagta hai....
Daddu : Ye Sultaan kahan chala gaya....?
Bhuvan : Wo kahan jaa sakta hai.... bimaar hai to shayad Dr use koi test karwane le gaye honge... Main pata karta hoon....
Ye keh ke Bhuvan bahar nikle hi the ki unhe saamne se Dr aate hue nazar aate hain..... Wo aage badh Dr se Sultaan ke baare me poochte hai....
Dr ka jawaab sun ke wo behad gusse me aa jaate hain phir jab dusre Dr aur nurse bhi wo hi kehte hain jo Dr ne kaha tha tab jaa ke Bhuvan unki baat maan lete hain.... Magar yakeen unhe ab bhi nahi ho raha hai kyun ki Dr aur Nurse jo keh rahe hain us pe yakeen karna mumkin nahi.... Wo hi baat wo ward me aa ke sab ko batate hain.... Jise sun ke sab ko hairat ke sath gussa bhi aata hai....
Dadi : Bhuvan tu kahin paagal to nahi ho gaya.... Ye kya keh raha hai....?
Bhuvan : Wo hi jo sach hai... Wo chala gaya maa.... Sultaan chala gaya....
Dadi : Chala gaya.... kahan chala gaya.... Use goli lagi thi wo bimaar tha uske zakhm abhi bhare bhi nahi the.... Use yahan bed pe hona Chahiye tha.... Taaki uska ilaaj ho sake aur tu hai ki keh raha hai wo Chala gaya.... Jaa ke Dr se pooch ki Sultaan kahan hai....
Bhuvan : Maine pata kiya hai maa wo wakayi me theek ho ke yahan se chala gaya....
Mehek : Dr jhoot bol rahe hain.... Ek hi raat me wo kaise theek ho sakta....
Bhuvan : Dr ke paas uske theek hone ke saboot hain aur to aur Discharge aur Billing Papers pe Sultaan ke Signature bhi hain....
Mehek : Magar ye kaise mumkin hai....
Bhuvan : Wo to mujhe bhi samajh me nahi aa raha hai....
Mohini jo kaafi der se inki baaten sun rahi thi wo foran Sultaan ke Mobile pe call laga deti hai.... Magar call lag nahi raha hai.... Wo baar baar call kar rahi hai.... Aur baar baar Sultaan ka Phone Switch off bata raha hai.... is baat se wo behad pareshaan ho jaati hai... Use Sultaan ki fikr hone lagti hai sath hi uski aankhon se aansu bhi behne lagte hain....
Mehek rote hue kehti hai : Saari galti humari hi hai.... Hum ko Sultaan ko yahan akela chorna hi nahi chahiye tha.... Jaane is waqt wo kahan aur kis haal me hoga....
Tabhi Vijay Uncle jo kehte hain use sun ke baaki sab ke sath sath Dadi ko bhi behad gussa aa jaata hai.... Dadi gusse se cheekh uthti hai....
Vijay : Sultaan yahan nahi hai.... uska phone bhi band aa raha hai... kahin use kuch ho to nahi gaya.....
Dadi : Kuch nahi hua hai Mere Sultaan ko.... Suna tumne... Kuch nahi ho sakta use....
Phir Daddu aur Bhuvan ki taraf dekh ke kehti hain....
Dadi : Yahan khade hi rahenge ya chal ke Sultaan ko dhundhenge bhi.... Jaane mera bachha is waqt kahan aur kis haal me hoga... Yaad rakhiye agar mere bachhe ko kuch bhi hua to main apni jaan de dungi....
Ye kehte kehte Dadi ki aankhon se aansu behne lagte hain.... Daddu foran unke kareeb jaa ke unhe samjhate hue kehte hain.....
Daddu : Ye kya kaveeri sambhaalo khud ko ye waqt is tarha tootne ka nahi hai.... Rahi baat Sultaan ki to wo itna kamzor nahi ki use kuch bhi ho jaaye... Wo ek Sher hai Sher.... Aur Sher ko kuch nahi ho sakta.... Chalo hum chal ke use dhoondhte hai... Mujhe yakeen hai ki wo jald hi hum ko mil jaayega....
Dadi : Wo mil jaayega na....
Daddu : Haan kaveri.... Wo zaroor mil jayega....
Sab foran car me baith ke Sultaan ko dhoondhne chal dete hain.... Wo use har jagah dhoondhte hain magar Sultaan unhe kahin nahi milta.... Kareeb 3 ghante se wo use har jagah dhoondh rahe hain.... Magar unke hath sirf nakaami hi lagti hai... Sultaan ka kahin pata nahi chal raha hai... Jaise jaise waqt beet raha hai.... Sab ke dilon me bechaini badhti hi jaa rahi hai.... Aankhon se aansu rukne ka naam hi nahi le rahe hain....
Vijay : Kahin aisa to nahi ki Sultaan apne ghar chala gaya ho....?
Mehek : Shayad aap theek keh rahe hain Papa.... Magar uske ghar ka pata hum ko nahi maloom hai.....
Vijay : Shayad Rosy ko uske ghar ka pata maloom ho.... Wo uski Dost aur Classmate bhi hai....
Dadi : To phir soch kya rahe ho jaldi se Rosy ko call kar ke us se Sultaan ke ghar ka pata poocho....
Vijay In Uncle foran Rosy ko call laga dete hain magar uske Phone bhi band aa raha hai....
Dadi : Kya hua....?
Vijay : Rosy ka Mobile band aa raha hai... Shayad is waqt wo Class me hogi jis wajah se usne apna Mobile band kar rakha hai... 3 ghante baad jab chutti hogi tab uska Mobile chalu hoga....
Wahan kisi ko bhi kuch samajh nahi aa raha hai ki aakhir Sultaan ko dhoondhe to dhoondhe kahan....
Vijay : Yahan sadak pe 3 ghante intezaar karne se achha hai ki hum apne ghar chalte hain.... 3 ghante baad Rosy ko call kar Sultaan ka Address le ke uske ghar chalenge....
Daddu ko Vijay Uncle ki baat sahi lagti hai.... Wo Bhuvan ko ghar chalne ko kehte hain.... Dukhi man se aankhon me aansu liye wo ghar ki taraf chal dete hain....
kisi ka bhi ghar me jaane ka dil nahi hai.... Unhe bas is baat ki fikr sata rahi hai ki Sultaan is waqt kahan aur kis haal me hoga.... na chahte hue bhi sab bujhe man se ghar me daakhil hone hi waale hote hain.... Tabhi ek car aa ke rukti hai.... Usme se jo Shaks bahar nikalta hai use dekh ke Mehek zor se cheekh uthti hai....
Sultaaaaaaaaaaaaan....
Wo daurte hue jaa ke kas ke Sultaan ke seene se lipat jaati hai.... Sath hi rote hue Sultaan ke poore chehre ko choomti bhi jaa rahi hai.... Use is baat ka hosh hi nahi aur na hi fikr hai ki is waqt wo yahan akeli nahi hai balki uske poore parivaar waale yahan maujood hain.... Use to bas apne Sultaan se matlab hai.... Sultaan use khud se alag karne ki bahut koshish karta hai magar Mehek use chorne ko taiyaar hi nahi....
Badi mushkil se Dadi use Sultaan se alag karti hai..... Mehek ke alag hote hi Mohini kas ke Sultaan ke seene se lipat jaati hai....
Dadi : Ye kya kam thi jo tu bhi shuru ho gayi.... Chor use Mohini.... Use chot lagi hai wo zakhmi hai... Use dard ho raha hoga....
Dadi ke muh se dard waali baat sun ke Mohini foran Sultaan se alag ho ke us se uska haal poochne lagti hai...
Sultaan : Yaar main theek hoon.... Aap sab bekaar me pareshaan ho rahe hain....
Sab ek sath : Tujhe Goli lagi thi koi mamooli chot nahi aayi thi.... Jo tu aisi baat keh raha hai.... Tujhe Hospital me hona chahiye tha... Magar tu Discharge karwa ke yahan chala aaya.... Bata mujhe tu ne aisa kyun kiya....? Aur pichle 3 ghante se tu tha kahan....?
Aur na jaane kya kya sawaal sab us se karne lagte hain....
Is se pehle ki Sultaan kuch kehta Moni beech me bolti hai....
Moni : Are Sultaan ko ghar me to aane do....
Moni ki baat sun ke Sab Sultaan ko sath le ke ghar me aa jaate hain aur ek baar phir se shuru ho jaati hai unke sawaalon ki barsaat.... Sultaan khamosh khade bas unhe dekhta rehta hai.... Use kuch na kehte dekh....
Dadi : Chup kyun hai kuch bolta kyun nahi...?
Sultaan : Aap sab mujhe kuch bolne ka mauka do tab na main kuch bolunga....
Phir Sultaan unhe wo baat batata hai jo use pata hai.... Pata kya hai.... Use to khud us baat ki hairaani hai ki Achanak se wo itni jaldi kaise theek ho gaya uske ghaav kaise bhar gaye.... Yahan tak ki uske jism se Goli ke nishaan tak gayab ho gaye....
Is baat pe kisi ko yakeen nahi aa raha tha... Jise saabit karne ke liye Sultaan apni T Shirt utaar ke sab ko dikhate hue kehta hai....
Sultaan : Ye dekhiye mere jism pe na koi ghaav hai aur na hi us ghaav ke koi nishaan....
Sultaan ke Mascular jism ko dekh ke ek pal ke liye sab hairaan ho jaate hain..... Jo ki is waqt pehle se kayi zyada Mazboot aur aakarshak nazar aa raha hai.... Us se kayi zyada hairaani to Sab ko Sultaan ke jism ko dekh ke ho rahi hai jis pe is waqt na hi koi ghaav hai aur nahi hi ghaav ke koi nishaan
Daddu : Ye kaise mumkin hai....?
Sultaan : Pata nahi.... Ye to meri samajh me bhi nahi aa raha hai ki aakhir ye sab hua kaise....?
Dadi : Jo bhi hai achha hi hai.... Mera Pota theek ho gaya mujhe aur kya chahiye....
Tabhi Bhaavna Mami aage badh ke Sultaan ko apne seene se laga ke kehti hai....
Bhaavna : Tera bahut bahut Shukriya Sultaan.... Tu nahi jaanta ki Mere Parivar aur mere Pati ko jaan bacha ke tu ne mujhpe kitna bada Ehsaan kiya hai....
Bhaavna Mami ke ye kehte hi Sultaan palat ke ghar ke baahar ki taraf jaane lagta hai.... Use yun bahar jaate dekh sab ko badi hairaani si hoti hai....
Dadi use rok ke kehti hain.....
Dadi : Kya hua Sultaan tu Achanak se kaha jaa raha hai....?
Sultaan : Apne ghar jaa raha hoon jahan mera apna parivaar hai....
Dadi : Ye tu kya keh raha hai.....? Tera apna Parivaar....!!! Kya ye ghar tera nahi hai....? Kya hum tere apne nahi....? Kya hum tera Parivaar nahi....? Tu ne aisa socha bhi kaise....?
Sultaan : Main to is ghar ko apna maanta hoon aap sab ko apne Parivaar ka hissa maanta hoon aap sab pe apna sab kuch lutane ko har pal taiyaar rehta hoon.... magar shayad koi kami reh gayi hai jis wajah se aap sab mujhe apna nahi maante.... Mujhe paraya samajhte hain....
Dadi : kisne kaha ki tu paraya hai....? Tu to apno se bhi zyada apna hai....
Sultaan : Ye sab kehne ki baaten hain.... Agar main aap sab ka apna hota to aap sab mere sath aisa na karte.... Mere sath parayon jaisa salook na karte.... Maine jo bhi kiya apna farz samajh ke kiya.... Apno ki jaan bachana mera farz hai.... Jise aap sab ne ehsaan bata kar mujhe ek pal me paraya kar diya....
Sultaan ki baat sun ke Bhaavna ko ye ehsaas hota hai ki jaane anjaane me unke muh se jo baat nikli use sun ke Sultaan ke dil ko badi thees pahunchi hai... Uska dil dukha hai..... Wo foran aage badh ke Sultaan se apni galti ki maafi maangne lagti hain.... Magar Sultaan unhe aisa karne nahi deta.... Is se pehle ki wo Sultaan ke aage apne hath jodti.... Sultaan foran unhe aisa karne se rok deta hai....
Sultaan : Ye kya kar rahi hain aap....? Aap badi hain.... Bade maafi nahi maanga karte.... Balki Pyar aur Aashirwaad diya karte hain.... Mujhe bhi aap se wo hi chahiye....
Bhaavna aage badh ke Sultaan ko apne seene se laga ke bade Pyar se kehti hain....
Bhaavna : Bade kismat waale hain wo Maa Baap jinhone tujhe janam diya.... Tu itna achha kyun hai mere bachhe....
Sultaan : Aap sab khud itne achhe hain ki aap ko sab achhe lagte hain....
Sultaan ki baat sun ke Dadi aage badh ke uske Sar pe pyar se hath pher ke use pyar bhari jhidki dete hue kehti hain....
Dadi : Aaj ke baad phir kabhi tu ne khud ko paraya kaha na to yaad rakhna main teri taangen tod dungi.... Samjha....
Sultaan : Samajh gaya Dadi.... Ab kabhi aisa nahi kahunga.... Magar aap sab bhi aache se ye baat jaan lijiye.... Aap sab mere apne hain aur aaj ke baad Main jo bhi karun aap sab use ehsaan nahi kehenge....
Sultaan ki baat sun ke sab haan me apna sar hila dete hain....
Sultaan : Ab aap sab mujhe apna man chuke hain to kya main....
Ye keh ke Sultaan chup ho jaata hai....
Dadi : Kya hua Sultaan tu bolte bolte Achanak se ruk kyun gaya....?
Sultaan : Wo Dadi wo... Main.... Wo....
Dadi : Sultaan... Baat kya hai khul ke bol...
Sultaan ek gehri saans le ke apni baat ek hi saans me poori kar deta hai....
Sultaan : Wo Dadi baat aisi hai ki mujhe aap sab se kuch chahiye....
Dadi : Haan to bata na kya chahiye tujhe....?
Sultaan : Dadi wo baat aisi hai ki wo na wo... Kaise kahun samajh nahi aa raha hai.... Wo main wo.... Wo....
Dadi : Sultaan aisi kya baat hai jise kehne me tu itna ghabra raha hai....?
Sultaan : Wo Dadi baat hi aisi hai ki samajh nahi aa raha hai ki kaise kahun....
Dadi : Sultaan tujhe jo chahiye khul ke bol.... Tujhe jo chahiye hum sab tujhe wo dene ko taiyaar hain....
Sultaan apna hath aage badha ke kehta hai.....
Sultaan : Nahi aise nahi waada kijiye ki jo main aap sab se maanguga wo aap mujhe denge....
Sultaan ki baat sun ke Sab ek sath haan kehte hain....
Dadi : Le ab to sab ne waada kar diya... Ab bol tujhe kya chahiye.....?
Sultaan : Dadi wo kya hai na ki ek Sapna hai jise main poora karna chahta hoon.... Ye bachpan se dekha hua masoom dil ka wo sapna hai jo poora hone ke liye tadap raha hai.... Kya aap sab us sapne ko poora karne me mera sath denge....
Sab ek sath : Hum ne waada kiya hai.... Hum tera har sapna poora karenge.... Bata kya hai wo Sapna...? Kya hai teri Chahat...?
Sultaan : Agar aisa hai to phir in Papers pe Sign kar ke us sapne ko poora kar dijiye....
Ye keh ke Sultaan un Papers ko Bhuvan ki taraf badha deta hai.... Paper ko dekh ke Bhuvan hairaani se Sultaan ki taraf dekhne lagte hain....
Sultaan : Main waada karta hoon uski poori zimmedaari meri hogi....
Bhuvan : kya wakayi me tu is ki baat kar raha tha....
Sultaan : Ji haan....
Bhuvan : Magar kyun....?
Sultaan : Kyun ki main dil se chahta hoon ki ye sapna poora ho..... Is ko poora karne ke liye main kuch bhi karne ko taiyaar hoon.... Bas mujhe aap ki ijazat chahiye.... Aap ke Sign chahiye in Papers pe....
Dadi : Kya hua Bhuvan aisa kya likha hai in Papers me jo tu inpe Sign karne ke liye itna soch raha hai....
Bhuvan : Maa aap ko nahi pata in Papers pe kya liya hai....? Inme aisi baat likhi hai ki....
Dadi : Agar humari Poori jaayedaad bhi likhi hai to bhi tu Sign kar.... Sultaan ka sapna poora karne ke liye main sab kuch iske naam kar sakti hoon....
Bhuvan : Bas wo hi to nahi likha isme....Ye kisi Jaayedaad ke Papers nahi hain.... Balki ye College ke Addmission ka Form hai..... Jispe Sultaan ko mere Sign chahiye....
Vijay Uncle : College ke Admission ka Form.... Baat kuch samjh nahi aayi.... Sultaan to pehle se hi College me Padh raha hai to phir ye Admission form....
Bhuvan : Ye Admission Form Sultaan ke liye nahi hai....
Dadi : To phir....
Bhuvan : Ye Medical College ka Admission form hai... Aur is pe jiska naam likha hai use sun ke aap sab ko utni hi hairaani hogi jitni mujhe us naam ko padh ke hui hai.... Wo naam hai Moni Thakur....
Bhuvan ki baat sun ke Sab ko badi hairaani hoti hai khaas kar ke Moni ko.... Wo harat se kabhi Sultaan ko dekhti hai to kabhi apne Baba Bhuvan ko....
Vijay Uncle : Magar Sultaan to apne sapne ki baat kar raha tha to yahan Moni kahan se beech me aa gayi.... Aur ye Medical College ka Admission form.... Baat kuch samajh nahi aayi....
Sultaan : Ye mera Parivaar hai... To is naate mere Parivaar ke logon ka sapna bhi to mera hi hua na.... Jise main poora karna chahta hoon.... Aur use poora karne me mujhe aap sab ka sath chahiye.... Rahi baat Moni ke Sheher me jaa ke Padhayi karne ki aur uski hifazat ki to uski poori zimmedaari main le ta hoon.... Mere rehte use ek kharoch bhi nahi aayegi....
Bhuvan : Ek baap hone ke naate jo mujhe karna chahiye wo tu kar raha hai.... Sahi kaha tha baba aap ne.... Hum ne zaroor koi Punya ka kaam kiya hai jo uper waale ne Sultaan ko inaam ke roop me hum ko diya hai....
Phir Moni ki taraf dekh ke us se poochte hain.....
Bhuvan : Meri bachhi kya ye sach hai.... Kya tu wakayi me Doctor banna chahti hai.....
Moni haan me apna Sar hila deti hai.... Jise dekh Bhuvan foran un Papers pe Sign kar dete hain..... Jise dekh ke Moni ki khushi ka thikana nahi rehta wo aankhon me khushi ke aansu liye apne Baba ke seene se lipat jaati hai.... Aur rote hue thanks kehti hai....
Bhuvan : Thanks mujhe nahi Sultaan ko bol ye sab usi ki wajah se hua hai....
Apne baba ki baat sun ke Moni aage badh ke kas ke Sultaan ke seene se lipat jaati hai.... Sath hi khushi me uske Poore chehre ko choomne lagti hai.... Uski is harkat pe Sultaan hadbada jaata hai... Wo use khud se alag karne ki koshish karta hai magar Moni hai ki use chorne ko taiyaar hi nahi.... Josh josh me Moni Sultaan ke poore chehre ko choomte choomte anjaane me Sultaan ke Honthon ko bhi choom leti hai.... Phir jab use is baat ka ehsaas hota hai to wo foran us se alag ho ke sharmaane lagti hai....
Bas phir kya tha sab Sultaan ki tareef ke pul baandhne lagte hain.... Koi uski tareef kare ye Sultaan ko jaane kyun pasand nahi.... Wo foran baat ko ghumate hue kehta hai....
Sultaan : Dadi badi zor ki bhook lagi hai....
Dadi : Mere pota subah se bhooka hai use khana khilane ke bajaye sab baaton se uska pet bhar rahe hain.... Ruk main abhi tere liye apne hathon se khana bana ke laati hoon.... Tab tak tu jaa ke fresh ho jaa....
Sultaan haan me apna sir hila ke fresh hone Mehek ke room ki taraf chal deta hai....
Sultaan ko Mehek ke room me jaate dekh Bhuvan Mama ke sath sath Vijay uncle ko badi hairaani si hoti hai....
Daddu : Tum dono Sultaan ko galat to nahi samajh rahe ho na...
Daddu ki baat sun ke dono ek sath kehte hain....
Jo Sultaan ne humare liye kiya hai uske baad use galat samajhne ka sawaal hi nahi uthta.... Jo insaan kisi gair ki jaan bachane ke liye apni jaan tak ki parwaah na kare wo kabhi galat nahi ho sakta.... Na wo khud kabhi galat kar sakta hai aur na hi kuch galat hone de sakta hai.... Wo insaan nahi balki farishta hai....
Daddu : Sahi kaha tum dono ne wo wakayi me farishta hai... Zaroor hum ne koi punya ka kaam kiya hoga tabhi uperwaale ne use inaam ke taur pe hum ko diya hai....
Daddu ki baat sun ke Vijay uncle ke sath sath Bhuvan Mama bhi kuch sochne lagte hain..... Unhe yun sochte dekh Daddu ko hairaani si hoti hai....
Daddu : Kya hua tum dono kya sochne lage......?
Jawaab me dono ek sath ek hi waqt pe jo kehte hain use sun ke wahan maujood sab hairaan hone ke sath sath behad khush bhi ho jaate hain....
Bhuvan Mama : Main soch raha tha ki kyun na hum Moni ki Shadi Sultaan se kar de..... Sultaan se behtar jeevan sathi Moni ko nahi mil sakta....
Vijay Uncle : Main soch raha tha ki kyun na hum Mehek ki Shadi Sultaan se kar de..... Sultaan se behtar jeevan sathi Mehek ko nahi mil sakta....
Dono ki baat sun ke Dadi hanste hue bade garv se kehti hai....
Dadi : Hahahahahahahahahaha.... Mera Sultaan hai hi aisa ki Betiyaan to betiyaan ab to unke baap bhi Sultaan ke diwaane ban gaye hain.... Jahan inki betiyaan Sultaan ko apna banane ke liye tadap rahi hain wahin unke baap ka dil bhi Sultaan ko apna damaad banane ke liye bechain ho raha hai....
Apne Baba ke sath sath Dadi ki baat sun ke jahan Moni aur Mehek ka dil khushi ke maare jhoom uthta hai wahin Sharm ke maare dono ke Gulabi gaal laal ho jaate hain....
Sultaan Mehek ke room ke Washroom me Fresh ho ke bahar nikla hi tha ki tabhi Mohini jo kaafi der se room me Sultaan ka intezaar kar rahi thi wo kas ke Sultaan ke seene se lipat jaati hai.... Sultaan bhi pyar se unhe apni baahon me bhar leta hai.... Kuch der Sultaan ke seene se lipte rehne ke baad wo us se alag ho ke ek tak Sultaan ki aankhon me dekhne lagti hai.... Unki aankhon we aansu behne lagte hain jise dekh Sultaan pareshan ho jaata hai...
Sultaan : Kya hua Mohini aap Achanak se rone kyun lagi....?
Sultaan ke sawaal ke jawab me Mohini aage badh ke us ke honthon ko apne muh me le ke choosne lagti hai.... Is Achanak se hui harkat se Sultaan chonk jaata hai... Wo Mohini ko khud se alag karna chahta hai magar kar nahi paata.... Mohini use aur kas ke jakad leti hai khaas kar ke uske Honthon ko.... Wo use chorne ko taiyaar hi nahi... Bas paagalon ke jaise rote hue Sultaan ke honthon ko choos rahi hai.... Uski aankhon se betahasha aansu beh rahe hain.... Jaise jaise kiss gehraati jaati hai Mohini ke bechain dil ko karaar aane lagta hai dheere dheere unka rona band ho jaata hai.... Wo ek dum Wild tareeke se Sultaan ke honthon ko aise choos rahi hain jaise ki unhe kha hi jaayegi.... Jab unki saanse ukhadne lagti hain tab jaa ke na chahte hue bhi unhe Sultaan se alag hona padta hai.... Magar ye kya Mohini Maasi ke alag hote hi Mehek Sultaan ke honthon pe toot padti hai.... Wo Mohini se bhi kayi zyada josh me Sultaan ke honthon ko choos rahi hai.... Sultaan bhi utne hi josh ke sath kiss me Mehek ka sath dene lagta hai.....
Tabhi kisi ki awaaz sun ke teeno Chonk jaate hain....