Nafrat ya phir Diwaangi.... (Incest Love Story)
Update 19
"Chakravyuh 2"
Dadi : Kya kaha Sultaan ko goli lagi....?
Rashi : Haan.... wo bhi meri wajah se.... Na hi wo mujhe bachane ke liye wahan aata aur na use Goliyaan lagti.... Sultaan ki haalat har guzarte pal ke sath bad se battar hoti jaa rahi thi.... wo maut ke muh me jaa raha tha.... Ye dekh mere dil se awaaz aayi.... Rashi ye tu kya kar rahi hai.... Tu kamzor nahi pad sakti.... Sultaan ko teri zaroorat hai.... Uski jaan khatre me hai.... Agar jald hi tu ne kuch na kiya to tere Sultaan ki jaan chali jaayegi....
Nahi main haar nahi maanugi kisi bhi tarha apne Sultaan ko bachaungi... Ye soch ke main madat lene bahar ki taraf bhagi.... Abhi main room se bahar nikli hi thi ki tabhi wo dono Gunde jo us kameene Chote Sarkaar ko utha ke le jaa rahe the unki nazar mujhpe padi.... Us me se ek ne paas padi rod utha ke use mere Sar pe kas de maara..... jis se main cheekte hue zameen pe gir ke behosh ho gayi.... Phir aage kya hua mujhe nahi pata.... Aaj lagbhag ek saal baad Sultaan ko dekh ke mujhe hosh aaya.... Sultaan ke sath jo bhi kuch hua uski zimmedaar main hoon.... Pehle maine khud uske sath galat kiya use taleef pahunchayi beintehaan dard diya... Yahan tak ki uska khoon bhi bahaya.... phir meri hi wajah se Sultaan ko ek nahi balki 4 - 4 Goliyaan bhi lagi.... Uske jism se betahasha khoon behne laga sath hi wo maut ke muh me chala gaya.... Sab meri wajah se....
Ye keh ke Rashi rone lagti hai.... Uski aankhon se aansu behne lagte hain....
Flashback Ends....
Rashi ki baat sun ke sath hi use rote dekh sab ki aankhen nam ho jaati hain.... Sultaan aage badh ke Rashi ki aankhon se behte aansuon ko poch ke use kas ke apne seene se laga ke kehta hai....
Sultaan : Rashi tum apna waada tod rahi ho.... Tum ne waada kiya tha mujhse ki kabhi bhi apni in aankhon me aansu nahi aane dogi....
Rashi : Main bahut buri hoon na Sultaan.... Meri wajah se tumhe kya kuch nahi sehna pada kitna dard saha tumne sab meri wajah se.... Aur dekho aaj maine sab ko beeti baaten bata ke sath hi apni aankhon se aansu baha ke apne Sultaan se kiya hua dono waada bhi tod diya....
Sultaan : Tum buri nahi ho.... Tum ne kuch nahi kiya aur na hi tumhari wajah se kuch bhi hua.... Wo sab to ek galti thi jo sab se ho jaati hai... Tumse bhi ho gayi.... Use bhool jaao.... Rahi baat mujhe Goli lagne ki to mujhe goli tumne nahi balki un kameeno ne maari thi....
Rashi : Wo log tumhe nahi mujhe goli maarna chahte the jise tumne meri jaan bachane ke liye apne uper le liya....
Sultaan : Apni Masoom Dost ko goli lagte main kaise dekh sakta tha.... Us waqt mujhe jo theek laga maine wo hi kiya...
Rashi : Agar tumhe kuch ho jaata to....
Sultaan : Tumhe pata hai tum rote hue na ek dum bandariya lagti ho.....
Rashi : Ye mere sawaal ka jawaab nahi hai.... Us waqt agar tumhe kuch ho jaata to.....
Sultaan : Mujhe kaise kuch ho jaata meri Masoom Dost jo mere sath thi... uske rehte mujhe kuch nahi ho sakta tha.... Waise yaar tumne bataya nahi pichle ek saal se tum kaha thi.... Lagbhag 3 mahine tak Coma me rehne ke baad jab mujhe hosh aaya tab Maine tumhe bahut dhoondha magar tum nahi mili.... Tumhare School se tumhare ghar ka pata laga ke tumse milne main tumhare ghar bhi gaya tha... Magar wahan jaa ke mujhe pata laga ki tum apne maa baba ke sath kahin bahar gayi ho.... Kab wapas aaogi ye nahi pata.... Uske baad bhi main agle ek mahine me 3 se 4 baar phir tumhare ghar gaya magar tum nahi mili.... Mujhe laga ki shayad kisi zaroori kaam se tum apne maa baba ke sath kahin bahar gayi ho.... To maine wahan apna Mobile Number choda is ummeed se ki jab tum wapis aaogi tab mujhe call karogi.... Main intezaar me raha magar tumhara Call nahi aaya..... Kya tumhe meri ek baar bhi yaad nahi aayi.... Jise tum apna dost kehti thi use itni jaldi bhool gayi..... Ye baat kayi baar mere dimaag me aayi magar mere dil ne mujhe kabhi bhi apne Dimaag ki baaton pe yakeen nahi karne diya.... Mera dil mujhse aksar yahi kehta raha ki Rashi kabhi galat nahi ho sakti na hi kabhi tujhe bhool sakti hai.... Uske tujhe call na karne ki zaroor koi bahut badi wajah hogi.... Dekhna ek din wo tujhe zaroor call karegi.... Magar poora 1 saal beet jaane pe bhi kabhi tumhara call nahi aaya..... Jaan sakta hoon kyun...?
Sultaan ke is sawaal ka jawaab Rashi ki jagah Thakur Sahab ne diya.....
Thakur Sahab : Wo is liye kyun ki Rashi is haalat me nahi thi ki wo tumhe call kar sake.... Wo to hosh me hi nahi thi... Pichle ek saal se wo lagbhag Coma jaisi haalat me thi.... Maine use bahut se Dr ko dikhaya sab ka ye hi kehna tha ki Sar pe lagi maar ke sath sath Rashi ko kisi baat ka itna gehra sadma laga hai ki uska dimaag ek jahah pe ruk sa gaya hai.... Uski Soch tham si gayi hai..... Maine pata karne ki bahut koshish ki magar kuch pata nahi chal saka.... Ki aakhir meri Masoom beti ke sath kya hua hai.... Uske sar pe wo chot kaise lagi sath hi wo kya baat hai jiska use itna gehra sadma laga hai ki uski ye haalat ho gayi hai.... Wo to ab jaa ke pata laga ki meri beti ki is haalat ki wajah kya thi....
Sultaan : Maine bhi pata lagane ki bahut koshish ki magar mujhe bhi kuch pata nahi chala ki wo log kaun the.... Sath hi wo dusri ladki kaun thi.... Uska Rashi ke sath kya lena dena tha.... Sath hi aisi kya wajah thi ki wo log Rashi aur us ladki ke sath itni ghinoni harkat karna chahte the.... Yahan tak ki un kameeno ne Rashi ke sath sath us ladki ki bhi jaan lene ki koshish ki.... Sath hi ye baat to aur hairaan karne waali hai ki wo log Rashi ke sath sath mujhe bhi jaante the.... Mujhe bhi maarna chahte the.... Rashi se to main Shimla me hi mila tha.... Us se pehle tak to main use jaanta tak nahi tha.... Matlab wo jo koi bhi tha wo Shimla ka hi tha.... Shayad wo humare sath us Competition me maujood tha.... Jise hum dono se naraazgi thi.... Magar kaun ye nahi pata....
Sultaan ki baat sun ke Mehek beech me bol padti hai....
Mehek : Kahin wo Vimal to nahi tha....
Sultaan : Ye baat mere dimaag me bhi aayi thi jiska maine pata lagaya.... To pata chala ki Trophy Distribution ke waqt hi Vimal ke ghar se call aaya ki uski maa ki tabiyat bahut Serious ho gayi hai.... jise sun ke wo foran apne ghar nikal gaya magar raste me bus ke Accident ho jaane ki wajah se uski maut ho gayi....
Sultaan ki baat sun ke Thakur Sahab jo kehte hain use sun ke Dadi behad gusse me aake cheekh uthti hai....
Thakur Sahab : Agar wo Vimal nahi tha to phir wo kaun tha....? Aur wo kaun tha jisne tumhara naam le ke Kavita ke sath Rape karne ki koshish ki thi....? Aur un logon ne Sirf Rashi aur Us ladki ko hi kyun jaan se maarne ki koshish ki Sultaan ko kyun nahi....? Jab ki Sultaan ne Chote Sarkaar ki haalat maut se battar kar di thi.... To is naate to unhe Sultaan pe Goli chalini Chahiye thi na ki Rashi ya us ladki pe.... Kahin ye sab Sultaan....
Abhi Thakur Gajendra ne itna hi kaha tha ki tabhi Dadi gusse se cheekh uthti hai....
Dadi behad gusse me : Gajeeeeendraaa.... Aakhir tu kehna kya chahta hai....? Ye sab Sultaan ne kiya.... Teri himmat kaise hui Sultaan pe itna ghinona ilzaam lagane ki.... Tu bhi us Kameene Nanhe ke jaisa hi nikla jisne teri Beti ki izzat aur jaan bachane ke liye apni jaan ki parwaah na karte hue apne seene pe goli khayi tu usi pe itna ghinona ilzaam laga raha hai....
Thakur Gajendra : Chachi aap mujhe galat samajh rahi hain.... Main Sultaan pe ilzaam nahi laga raha hoon.... Balki wo keh raha hoon ki....
Dadi : Kya keh raha hai... Yahi na ki jo bhi kuch teri beti ke sath hua wo Sultaan ne kiya.... Sharm aati hai mujhe ye kehte hue ki tu mera bhatija hai.... Sath hi mujhe is baat pe yakeen nahi ho raha hai ki teri Soch itni ghatiya hai.... Magar teri is kameeni beti ke muh se uski kartoot sun ne ke baad mujhe is baat pe ab poora yakeen ho gaya ki ye bilkul tujhpe hi gayi hai Ehsaan faramosh....
Sultaan : Dadi ye aap kya keh rahi hain....?
Dadi : Wo hi keh rahi hoon jo sach hai.... Aur mujhe to ye bhi lagta hai ki us waqt jo bhi kuch hua wo zaroor is (Rashi) ne hi kiya hoga.... Tujhse badla lene ke liye wo sab isi ka Plan hoga.... Warna tu khud Soch agar un logon ko iska Rape hi karna hota to wo chup chaap karte.... Na ki Tujhe bata ke.... Wo itne bhi bewakoof to nahi ho sakte ki sab ko ye batate phire ki aao dekho hum falan jagah is ladki ka Rape karne waale hain.... Aa ke hum ko maar ke ise hum se bachao.... Tujhe iske Rape ke baare me bata ke tujhe wahan bula ke jaan se maarne ka isi ka Plan tha na ki kisi aur ka....
Dadi ki baat sun ke Thakur Gajendra Singh ko gussa aa jaata hai....
Thakur Gajendra : Chachi aap meri masoom bachhi pe jhoota ilzaam laga rahi hain.... Rashi aisa kabhi nahi kar sakti....
Dadi : Agar teri beti aisa nahi kar sakti to tune ye kaise soch liya ki Sultaan aisa kar sakta hai.....
Thakur Gajendra : Meri beti ko main bachpan se jaanta hoon..... Wo aisa kabhi nahi kar sakti....
Dadi : To tu ye kehna chahta hai ki ye sab Sultaan ne kiya hai....
Thakur Gajendra : Maine aisa nahi kaha balki ye kaha ki Rashi aisa nahi kar sakti.... ( Sultaan ki taraf dekh ke) Ho sakta hai ki Rashi se badla lene ke liye ye kaam kisi aur ne kiya ho....
Dadi : Gajendra tu jo kehna chahta hai saaf saaf keh... Yun baat ko ghuma mat....
Thakur Gajendra nazren churate hue : Aap meri baaton ka galat matlab le rahi hain Chachi....
Daddu aur sath hi Pihu ke Baba jo ab tak khamosh khade the wo beech me bol padte hain....
Daddu : Gajendra.... Mujhe yakeen nahi aa raha hai ki tu aisa keh raha hai.... Tu Sultaan pe shak kar raha hai... Shak kya tu uspe ilzaam laga raha hai... Bhool mat ki Sultaan hi wo hai jisne apni jaan pe khel ke us din tere beti ki izzat aur jaan bachayi aur aaj bhi wo hi teri beti ko maut ke muh zinda wapis laaya.... Sultaan ka ehsaan maan ne ke bajaye tu ulta usi pe ilzaam laga raha hai....
Thakur Gajendra : Main kisi pe ilzaam nahi laga raha hoon balki poori baat sun ne ke baad mere dimaag me jo baat aayi wo maine kaha....
Is se pehle ki Thakur Gajendra Singh ki baat sun ke Daddu Pihu ke Baba ya Dadi kuch kehte....
Mohini : Seedhe seedhe kyun nahi kehte ki apni is laadli beti ki kaali kartoot jo sab ke saamne aa gayi hai use sab ke saamne sharminda hone se bachane ke liye aap Sultaan pe itna ghinona ilzaam laga rahe hain.... Taaki yahan maujood sabhi aapki is kameeni beti ko masoom samjhe aur Sultaan ko gunehgaar....
Mehek : Sahi kaha Maasi aapne.... Apni is kameeni beti ko sab ki nazron me girne se bachane ke liye Chacha Sultaan pe itna ghinano ilzaam lagayenge... Is baat ki mujhe ummeed nahi thi.... Yakeen nahi hota ki Chacha aisa bhi kar sakte hain....
Mehek ki baat sun ke Rashi gusse se kehti hai....
Rashi gusse se : Mehek teri himmat kaise hui mere Baba pe itna ghinona ilzaam lagane ki.... Ye Baba hain mere....
Mehek : Achha agar ye tere Baba hain (Sultaan ki taraf ishara kar ke) to wo kaun hai.... Kya Sultaan tera kuch nahi....? Dost kaha tha na tu ne Sultaan ko.... Achhi dosti nibha rahi hai.... Tu to Sultaan se pyar karne ka daawa kar rahi thi na.... To ab kya hua....? kahan gaya tera wo Pyar....? Haan bata mujhe jawaab de..... Jahan tere baba tere saamne tere Dost pe tere Pyar pe itna ghinona ilzaam laga rahe hain wahan unhe aisa karne se rokne ke bajaye tu unka sath de rahi hai.... Ye is baat ko saabit karta hai ki tere baba ne jo bhi galat baat Sultaan ke liye kaha unhone jo bhi ilzaam Sultaan pe lagaya us se tu bhi sehmat hai.... Tu bhi ye maanti hai ki wo sab jo bhi hua wo Sultaan ne tujhse badla lene ke liye kiya.... Pehle Sohni ke baba ne Sultaan pe ilzaam lagaya phir tere Baba ne aur ab tu bhi.... (Phir sab ki taraf dekhte hue) Are kaise insaan ho aap sab.... Jis insaan ne apni jaan pe khel ke aapke ghar ki betiyon ki izzat aur jaan bachayi uspe itna ghinona ilzaam lagane se pehle aap sab ne ek baar bhi nahi socha ki aap sab kya kar rahe hain.... Is masoom faishte pe ilzaam lagane se pehle Aapke zameer ne aapko ek baar bhi nahi dhikkara.... Aab sab ki baaton ko sun ke sath hi aap sab ki harkaton ko dekh ke mujhe Sharm aati hai ye kehte hue ki aap sab mere Rishtedaar hain....
Mehek ki baat sun ke Thakur Gajendra Singh ko gussa aa jaata hai... Aur gusse me wo jaane kya kya bol jaate hain....
Thakur Gajendra : Hum ne kuch galat nahi kaha.... Balki wo hi kaha jo sach hai.... Rashi ke sath wo sab is kameene ne hi kiya tha.... Wo to shukar mana ki iski zaleel harkaton ke saboot nahi hain mere paas warna main kab ka iski jaan le chuka hota.... Le jaa is kameene ko meri nazron ke saamne se is se pehle ki main iski jaan le loon....
Thakur Gajendra Singh ki baat sun ke jahan sab hairat aur gusse se unhe dekhne lagte hain wahin Dadi gusse se lagbhag cheekh uthti hai....
Dadi : Gajeeeeendraaa.... Teri himmat kaise hui Mere Sultaan ko jaan se maarne ki baat kehne ki.... (Phir saamne pada chaku utha ke Thakur Gajendra Singh ko maarne ke liye unke uper jhapat ti hai) Is se pehle ki tu mere Pote Sultaan ko hath lagaye main teri Jaan le lungi....
Badi mushkil se Dadu aur Sultaan aage badh ke Dadi ko rokte hain....
Thakur Gajendra : Chachi aap galat insaan ka sath de rahi hain.... Ye Farishta nahi balki Shaitaan hai.... Meri maaniye to is kameene ka sath chor dijiye.... Is kameene ka kya bharosa jab isne us ke sath itna ghinona kaam karne se pehle ek pal ke liye nahi socha jise ye apni Dost kehta tha to ye aap ke ghar ki bahu betiyon ko kaise chor dega.... Aaj nahi to kal ye pehle unki izzat lootega phir apne ghinone gunaah ke saboot mitane ke liye unhe jaan se maar dega.... Mujhe to lagta hai sirf ye hi aisa nahi hai balki iske maa baap bhi is jaise hi kameene honge....
Thakur Gajendra Singh ne itna kaha hi tha ki tabhi Sultaan jo jaane kab ke unke lagaye gaye ilzaam sunke ke bhi chup chaap use unsuna kar raha tha wo apne Maa Baba pe lageye gaye ilzaam bardasht nahi kar paata.... Wo aage badh ke Thakur Gajendra Singh ka girebaan pakad ke behad gusse me dahadte hue kehta hai....
Sultaan : Bas Thakur Sahab bas.... Aage ek bhi galat lafz mere Maa Baba ke khilaaf apni zubaan se mat nikaalna.... Aap ne mujhe galat kaha maine suna... Aapne mujhpe itna ghinona ilzaam lagaya maine wo bhi bardasht kar liya... Magar mere Maa Baba ke baare me ek bhi galat lafz main nahi sun sakta.... Wo mere liye sab se badh ke hain.... Uske baare me main ek bhi galat lafz nahi sununga.... (Phir badi mushkil se apne gusse ko shant karke kehta hai....) Wo to aap Rashi ke baba aur Mere Daddu ke bhateeje hain is liye mere Maa Baba ke baare me itni zaleel baat karne ke baad bhi aap ab tak zinda khade hain... Agar aap ki jagah ye baat kisi aur ne kahi hoti to ab tak Sultaan uska seena cheer ke uski jaan nikaal chuka hota....
Sultaan ki baat sun ke sath hi uski harkat dekh ke Rashi Sultaan ko apne baba se dur hata ke use ek tamacha maar ke kehti hai....
Chataaaaaaaaaak.....
Rashi : Teri himmat kaise hui mere Baba ka girebaan pakad ke unhe jaan se maarne ki dhamki dene ki.... Ye baba hain mere koi raah chalta insaan nahi jiske sath tu aisa salook kar raha hai.... Mere Baba mere liye sab kuch hain.... Suna tu ne ye mere liye sab se badh ke hain.... Inke aage teri koi aukaad nahi.... Jaa chala jaa yahan se is se pehle ki main tere sath kuch galat kar baithun.... Nikal jaa yahan se aur aaj ke baad apni ye manhoos shakal mujhe kabhi mat dikhana....
Pihu jo kaafi der se sab dekh rahi thi sath hi apne gusse ko dabaye khadi thi uska gussa phat padta hai.... Wo behad gusse me aage badh ke Rashi ko ek zannatedaar thappad maar ke kehti hai....
Chataaaaaaaaaak....
Pihu : kameeni teri himmat kaise hui mere Dost Sultaan pe hath uthane ki use manhoos kehne ki....?
Rashi : Jo paida hote hi apne Maa Baba ko kha gaya use Manhoos hi kaha jaata hai.... Ye wo manhoos hai jo jahan bhi jaata hai apni manhoosiyat phaila deta hai... Iski manhoosiyat aur sath hi iski ghinoni harkat ki wajah se hi maine apni zindagi ka ek saal ek zinda lash ban ke guzara.... Main to kehti hoon tu bhi is manhoos se dur reh kahin ye tere sath sath tere Poore parivaar ko hi na kha jaaye....
Abhi Rashi ne itna hi kaha tha ki Mehek ke sath sath Mohini Maasi bhi aage badh ke behad gusse me 2 4 thappad Rashi ke gaal pe raseed kar deti hai....
Mohini : Manhoos ye nahi balki tu hai... Yahan majood har wo shaks hai jo is farishte ko zaleel kar raha hai sath hi wo bhi jo ise zaleel hote hue dekh raha hai.... Aur kameeni tu kya Sultaan ko is ghar se nikaalegi... Hum khud yahan ek pal ke liye bhi nahi rukenge.... Chalo Sultaan....
Ye keh ke Mohini aur Mehek Sultaan ka hath pakad ke use wahan se bahar le jaane lagte hain.... Unke sath sath Daddu Dadi unka Parivaar aur sath hi Pihu aur uske Baba bhi bahar ki taraf chal dete hain....
Ghar waale chah ke bhi Unhe rok nahi paate.... Wo sab khamosh khade lachaar nazron se Sultaan ke sath sath baaki sab ko bhi bahar jaate hue dekhte reh jaate hain....
Ab tak jo bhi kuch hua use Kuch log bade maze le ke dekh rahe the.... Ye wo hain jinhe is Chakravyuh ka rachaita bhi kaha jaa sakta hai.... Is Chakravyuh me Sultaan buri tarha se phas chuka hai.... Sultaan ke jaate hi wo khush ho ke Shaitaani hansi haste hue apni jeet ka jashn manane lagte hain.... Wahin Kumar Singh ki is Aalishan kothi me ek sannata sa cha jaata hai.... Yahan ka manzar dekh ke lag raha hai jaise ki yahan kisi ki maut hui hai... Jo ki ek tarha se sahi bhi hai.... Yahan kuch der pehle Sultaan ke Vishwaas ki maut hui hai.... Us ke Yakeen ko toda gaya hai.... Itna hi nahi use sab ke saamne buri tarha se zaleel kar ke nikaala gaya hai.... Uske sath aisa salook kiya gaya hai jaisa koi apne dushman ke sath bhi na kare.... Sab khamosh khade ek dusre ko dekh rahe hain... Kisi ko kuch kehte nahi ban raha hai.... Wo kehte bhi to aakhir kya kehte.... Jab kehne ka waqt tha to kisi ne kuch nahi kaha na Thakur Sahab ko roka aur na Rashi ko.... Sab khamosh khade Thakur Sahab ke sath sath Rashi ko bhi Sultaan ko zaleel karte hue dekhte rahe....
Kareeb ek ghante ke baad Rashi ki Maa Rukmani Singh daurte hue kothi me dakhil hoti hai aur seedhe apni beti ke gale lag ke rote hue us se kehti hai....
Rukmani : Tu theek ho gayi meri bachhi.... Main tujhe bata nahi sakti tujhe theek dekh ke mujhe kitni khushi ho rahi hai.... Uper waale ka lakh lakh Shukr hai ki aakhir usne meri Bachhi ko theek kar diya....
Thakur Gajendra Singh hairat se apni Patni ko dekhte hue kehte hain.....
Thakur Gajendra Singh : Shukr hai uper waale ka Rukmani tum sahi salamat ho.... Mujhe to dar lag raha tha ki kahin wo gunde tumhare sath kuch galat na kar de.....
Rukmani : Dar to main bhi bahut gayi thi jab un Gundon ne zabardasti ghar me ghus ke mere sar pe Bandook taan di thi.... Us waqt mujhe aisa mehsus hua ki ab main zinda nahi bachungi.... Magar uper waale ne mujhe bachane ke liye apne masoom Farishte ko bhej diya.... Un gundon ne mujhpe goli bhi chalayi magar us Farishte ne mujhe bacha liya.... Jo goli mujhe lagne waali thi wo use lagi.... Goli uske kandhe ke uperi hisse ko cheerte hue nikal gayi.....
Rashi : Maa tumhe kuch hua to nahi na....
Rukmani : Nahi meri bachhi.... Main theek hoon mujhe kuch nahi hua... Ya ye kehna zyada behtar hoga ki us Farishte ne mujhe kuch hone nahi diya.....
Thakur Gajendra : Kaun tha wo jisne apni jaan pe khel ke tumhari jaan bachayi....?
Is se pehle ki Rukmani Thakur Sahab ke sawaal ka jawaab deti peeche khada Magan jo naam leta hai use sun ke wahan maujood sabhi Shock ho jaate hain.... Wahin Sohni aur Rukhsaar ke sath sath Kayra ko bhi behad gussa aa jaata hai.....
Magan : Wo aur koi nahi balki mere Maalik Sultaan the.... Unhone apni jaan pe khel ke Badi Maalkin ki jaan bachayi....
Rukmani : Haan sahi kaha Magan ne.... Mere poochne pe us Farishte ne yahi naam bataya tha apna.... Sultaan....
Kayra : Agar tumhari jaan bachane waala koi Farishta tha to wo Sultaan to hargiz nahi ho sakta.... Kyun ki Tumhare Pati aur beti ke hisaab se to Sultaan insaan nahi balki Shaitaan hai.... Wo farishta nahi balki hawas ka pujari hai... Jo ladkiyon ki izzat lootne ke baad unhe jaan se maar deta hai....
Rukhsaar Rukmani se : Aapki laadli beti ka to ye tak kehna hai ki Sultaan manhoos hai jo paida hote hi apne Maa Baba ko kha gaya.... Ladkiyon ka Rape karke unhe jaan se maarne waala Shaitaan urf Manhoos Sultaan Farishta kaise ho sakta hai....
Kayra aur Rukhsaar ki baat sun ke Rashi behad gusse me cheekhte hue kehti hai....
Rashi : Rukhsaaaaaar.... Teri himmat kaise hui Sultaan pe itna ghinona ilzaam lagane ki....
Rukhsaar : Chillane se jhooth sach me nahi badal jaayega.... Rahi Sultaan pe ilzaam lagane ki baat to us masoom pe ye ghinone ilzaam maine nahi balki tu aur tere Baba ne lagaye hain.... Jise tu ne manhoos keh ke thappad maarne ke baad ye kaha ki paida hote hi wo apne Maa Baba ko kha gaya usi ne Tere sath sath teri maa ki jaan bhi bachayi.... Are jis insaan ki pooja karni chahiye tu ne use Rapist aur Manhoos keh ke Gaali di.... Sab kuch kiya tu ne aur ilzaam lagaya us masoom pe... Mujhe to tujhe apni Behen kehte hue bhi sharm aa rahi hai.... Magar lagta hai ki tujhme to zara si bhi Sharm baaki nahi reh gayi hai... Tabhi tu ne us masoom ke sath itna sab kiya.... Aur use dekh itna sab hone ke baad bhi usne apni jaan pe khel ke teri Maa ki jaan bachayi....
Rukmani : Rashi ye sab kya hai....? Kya waakayi me tu ne Sultaan ke sath wo kiya jo Rukhsaar keh rahi hai....?
Apni maa ki baat sun ke Rashi ka sar Sharm se jhuk jaata hai....
Rukmani : Rashi tu chup kyun hai.... Bata mujhe aakhir baat kya hai....?
Rukhsaar : Main batati hoon....
Shuru se le ke ab tak jo bhi kuch hua wo Rukhsaar Rukmani ko batane lagti hai.... Jise sun ke Rukmani ko Rashi pe gussa aane lagta hai.... Wo aage badh ke Rashi ke gaal pe 2 - 4 jhannatedaar thappad raseed kar deti hain....
Chataaaaaaaaaak....
Apni laadli beti ko thappad padte dekh Thakur Sahab se bardasht nahi hota.... Wo aage badh ke apni patni ko rok ke kehte hai....
Thakur Gajendra Singh : Rukmani ye tum kya kar rahi ho....? Rashi ko thappad maar rahi ho.... Ye beti hai tumhari.....
Rukmani : Isi baat ki to dukh hai ki ye meri beti hai.... Isne jo us Farishte ke sath kiya hai use jaan ne ke baad mujhe ab ise beti kehte hue bhi sharm si aati hai.... Kash ye meri kokh se paida hi na hui hoti.... To mujhe iski wajah aaj ye din to na dekhna padta..... Jisne apni jaan pe khel ke iski izzat aur jaan bachayi isne usi pe apni izzat lootne ka ilzaam lagaya.... Yahan tak ki us masoom ko Manhoos tak keh diya.... Sath hi ye bhi kaha ki Paida hote hi wo apne maa baba ko kha gaya.... Itna ghinona ilzaam us Farishte pe lagane se pehle iski zubaan kyun nahi cut gayi.... Us ke dil pe kya beeti hogi ye sab sun ke khaas kar ke us se jise wo apna dost maanta hai....
Rukhsaar : Dost maanta hai nahi Chachi balki Dost maanta tha.... Mujhe nahi lagta... are Lagna kya hai mujhe poora yakeen hai ki isne jo Sultaan ke sath kiya hai uske baad ise dost maan na to choriye wo to ab iski Shakl tak nahi dekhega.... Ab tak to wo Rashi se nafrat tak karne laga hoga...
Rukhsaar ki baat sun ke Rashi ka dil tadap jaata hai.... Wo rote hue kehti hai....
Rashi : Nahi aisa nahi ho sakta Mera Sultaan mujhse nafrat nahi kar sakta....
Rukhsaar : Jab tu uske sath itna galat kar sakti hai to wo kyun tujhse nafrat nahi kar sakta....
Rashi : Maine wo sab majboori me aa ke kiya....
Rashi ki baat sun ke Is baar Sohni gusse se us se kehti hai....
Sohni : Jhooth bolti hai tu jhooth.... Majboori me koi kisi pe itna ghinona ilzaam nahi lagata....
Rashi rote hue : Main sach keh rahi hoon wo sab maine majboori me aa ke kiya.... Agar main waisa nahi karti to Maa ke sath sath Sultaan ki bhi jaan chali jaati....
Rukhsaar : Lo suno Rashi madam ko.... Khud ko sharmindagi se bachane ke liye Madam ek aur jhooth bol rahi hai..... Yaar ek baat to bata jhoot bolte bolte tu thakti nahi kya....
Thakur Sahab : Ye jhooth nahi balki Sach hai.... Sultaan ne jin gundon se Rukmani ki jaan bachayi thi unhi ke kuch sathiyon ne Sultaan ko bhi apni Bandook ke nishane pe rakha hua tha....Unhi ke kehne pe na chahte hue bhi maine aur Rashi ne Us Nek Farishte pe itna ghinona ilzaam lagane ke baad use zaleel kar ke yahan se jaane pe majboor kar diya.... Agar hum aisa na karte to wo gunde pehle Sultaan ko jaan se maarte phir Rukmani ko..... Jis Farishte ne apni jaan pe khel ke meri beti ki izzat aur jaan bachayi use main kaise marne deta....
Thakur Sahab ki baat sun ke Kayra gusse se kehti hain....
Kayra : Jhooth hai ye sab....
Thakur Gajendra Singh : Ye jhooth nahi sach hai.... Yakeen na ho to ye dekh lo....
Ye keh ke wo apne Mobile me wo Video Clip Play karke sab ko dikhate hain.... jis me ye saaf saaf nazar aa raha hai ki kuch gundon ne wakayi me khidki ke dusri taraf se Sultaan ko apni Bandook ka nishana banaya hua hai.... Sath hi Rukmani ka Video bhi jisme Wo kursi pe bandhi hui hai aur use Sar pe bandook tani hui hai.....
Kayra : Agar aisi baat thi to tum dono ne use wo baat kyun nahi batayi....? Kam se kam use nahi to hum me se kisi ek ko ek ishara to karte....?
Thakur Gajendra : Us waqt ke halaat aise na the ki hum yahan maujood kisi ko bhi kuch ishara kar paate.... Hum ko is baat ka dar tha ki humare ek galat kadam se Sultaan ki jaan jaa sakti hai.... Bas isi wajah se hum chah ke bhi kisi ko kuch na keh paaye.... Jaisa un gundon ne kaha tha hum ne waisa hi kiya.....
Rukhsaar : Aap dono ne ye nahi socha ki Sultaan ke sath waisa salook karne se ab wo aap dono se nafrat karne lagega....
Rashi : Apne Sultaan ko main achhe se jaanti hoon.... Uska dil bahut saaf aur sath hi bahut bada bhi... Jab use sach ka pata chalega tab wo yakeenan mujhe maaf kar dega....
Rashi ki baat sun ke Magan jo kehta hai use sun ke Rashi ke dil me tez dard sa uthta hai sath hi uski aankhon se tezi se aansu behne lagte hain....
Magan : Maalik (Sultaan) ko sab sach pata chal chuka hai....
Rashi : Kya kaha Sultaan ko sab pata chal gaya hai....
Magan : Haan.... Choti maalkin....
Rashi khush hote hue : Suna baba aapne Sultaan ko sab sach pata chal chuka hai.... Iska matlab use ye bhi pata chal chuka hai ki hum ne jo bhi kuch uske sath kiya wo majboori me aa ke kiya taaki hum uski jaan bacha sake..... Sach jaan ne ke baad Sultaan apni naraazgi bhool ke hum ko zaroor maaf kar dega....
Magan : Maaf karna Choti Maalkin magar main aapki baat se sehmat nahi hoon.... Mujhe nahi lagta ki Maalik (Sultaan) aap ko ya Bade Maalik ( Thakur Gajendra Singh) ko maaf karenge....
Rashi : Kyun nahi maaf karega Mera Sultaan mujhe....? Batao Magan kyun...?
Magan : Wo is liye kyun ki.....