• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
.ye abhi mere smjh mak aa rha thoda thoda pehli bat ye jo manthan pathik aur siddhi hai ye us dimension ke hai jha se part 1 mai manthan aaya tha av aage dekhte hai kya hota
:thanks: Mayaviguru bhai :dost:
bhai, aapli hi raah dekh raha tha ki kab aap updates padhkar aapni raaay doge
sath bane rahiye bhai :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 17 (Bhavishya Sach tha)

“thanks jaan” paridhi apne aakhri waqt me chehre par ek pyaari si muskaan liye Manthan ki aankho me dekh rahi thi

Manthan ke liye yeh ek aisa pal tha jiski voh kalpana tak nahi karna chahta tha, lekin Pari yeh baat ache se jaanti thi ki usne jo bhi apne manthan se maanga hai use voh dena hi hoga, varna sabkuch khatam ho jayega
Paridhi “please manthu..pagal mat ban” voh apne haatho ko manthan ke chehre par rakhkar uski aankho me dekhte hue kehti hai “manthan, mai tujse hamesa pyaar karungi..but please, iske alawa hamare pass aur koi option nahi hai..tuje meri kasam hai..tuje hamare pyaar ka vasta, tuje yeh karna hi hoga, inn sab ke liye, hamare liye”

Kahi naa kahi Manthan bhi yeh baat jaanta hai ki Dexter ko rokne ka iske alawa aur koi rasta nahi hai, par fir bhi voh apne pyaar ki kurbaani apne haatho se kese de sakta tha
Usne badi muskilo se apni jaan ko dekha tha, aur pal bhar me hi voh usse hamesa hamesa ke liye dur chali jayegi..yeh sochkar hi uski ruh kaamp uthti hai, uske dilo ka dard aansuo ke roop me aankho se bahar aaraha tha, voh lagatar apne sar ko naa me hilate hue Paridhi ko manaa kiye jaa raha tha “please pari, please mujse yeh nahi hoga, please” isse jyada manthan aur kuch nahi keh paata, voh ekdum se paridhi ko apni baanho me bhar leta hai

Manthan ne paridhi ko jitna ho sake utne kaske apne baanho me bhar liya tha, Paridhi ko iska ehsaas ho jaata hai ki manthan usse kitna jyada pyaar karta hai, manthan ke pyaar ki vajah se uski aankhe bhi halki si nam ho jaati hai, par voh jaanti thi ki agar usne iss waqt khud ko nahi roka toh shayad aane vali tabaahi ko koi nahi rok paayega, voh apna dard peete hue manthan ko khud se alag karti hai, aur manthan ke aansuo ko rukne ka naam nahi le rahe the unhe saaf karte hue “manthan, please mana mat karna..maine apna aakhri teri inn baanho me gujarne hai, par mai yeh bhi nahi chahti ki tu muje iss tarah se vida kare, please manthan, chup hoja”

Manthan iss baar kuch nahi kehta, voh firse Paridhi ko apne gale laga deta hai, aur Paridhi bhi manthan ke baanho me aajati hai, voh manthan se bina alag hue Pari ki aur dekhte hue kehti hai “please, pari..promise me”

Pari ki aankhe bhi halki si naam ho gayi thi, voh thodi ruansi awaaz me kehti hai “I promise you”

Paridhi ko ehsaas ho chukka tha ki ab dexter uske karib hai “it’s time manthan..and remember I will always love you”

Manthan “I love you too”
aur tabhi manthan ki najar dexter par padi..jo bahut hi teji se uski aur aa raha tha

Paridhi “do it manthan, you have to kill me..for me..for all us” iske aage manthan kuch nahi bola, apne dil par chura ghopte hue usne pari ki gardon ko modkar tod diya


“kyu pari, kyu kiya tune mere saath aisa..?? mai kese jee paunga tere bina” manthan ke samne aaj bhi vahi pal uske samne aa rahe the jo usne Pari ke saath aakhri baar bitaye the, aur uss pal ke yaad aate hi manthan ki aankho se aansu apne aap behne lagte hai

Voh apne haatho ki aur dekhte hue kehta hai “inn hi haatho me tune apna dum toda tha, aur mai..mai tuje bacha ne ke liye kuch bhi naa kar saka” lagatar uski aankho se aansu beh rahe the jise voh hatane ka prayas tak nahi karta “nahi pari, jo promise tune paridhi se kiya hai, voh mai nahi kar sakta, mujse yeh nahi ho payega, mai chala jaunga yaanha se, haa chala jaunga mai” kehte hue voh jor jor se rona lagta hai

“uss hadse ko aaj ek hafta beet chukka hai, uss din se manthan ne khud ko uss kamre me band kar rakha hai, ek second ke liye bhi voh apne kamre se bahar nahi aaya” manthan ne Siddhi aur Pathik ko mayank ke baare me bataya

Pathik “tune usse baat karne ki koshish ki..??”

Manthan “ha bhai, maine bahut baar koshish ki lekin usne ek bhi darwaja nahi khola, bas hamesa yahi kehta ki please isse muje akele rehna hai”

Pathik “par bhai, yeh waqt use akele rakhne kaa nahi hai”

Manthan “haa, mai janta hu bhai, par voh kisi ki baat tak nahi sunna chahta, yanha tak ki voh mom dad ne bhi usse baat karne ki koshish kit hi, lekin usne unhe bhi yahi kaha ki use kuch din ke liye akela chod de” apni chinta vyakt karte hue manthan sabhi se kehta hai

Siddhi “manthan, pari se baat hui..??”

Manthan naa mein apna sar hilate hue siddha ka jawab deta hai, toh Pathik bola “uss bichari ko toh kuch bhi samaj me nahi aa raha, voh khud pagal hue jaa rahi hai ki voh kese mayank ko sambhale”

Manthan “haa, main janta hu, par voh hai kanha”

Siddhi “pata nahi, voh shayad Kruti ke saath bahar gayi hai, maine hi usse kaha tha ki Pari ko bahar le jaaye, voh kaafi pareshan hai”
thoda rukkar kehti hai “voh baar baar bas yahi kahe jaa rahi thi ki voh nahi jaanti ki usne jo vaada paridhi se kiya tha voh kese nibhayegi”

Pathik “usne ek hafte se thik se khaana tak nahi khaya, voh mayank se bahut pyaar karti hai”

Manthan “haa bhai, kyunki kahi na kahi unn dono ki life ek dusre se judi hui hai, maana ki hamari pari alag hai, lekin jo ehsaas inn dono ke pyaar ka hai voh Pari bhi mehsus sakti hai”

Siddhi “haa, shayad yahi vajah hai ki manthan ke iss dard ko voh ache se samaj paa rahi hai”
fir voh manthan ki aur dekhte hue kehti hai “yeh pyaar bhi kitna khubsurat haina, Pari kabhi mayank se nahi mili, lekin fir bhi voh use itna jyada pyaar karti hai” uske baad vanha koi kuch nahi bolta, kamre me ekdum se sannata cha jaata hai

Uss sannate ko chirte hue Pathik bola “common guys, aisa kab tak chalega, hume mayank se baat karni hi hogi, iss tarah se toh voh apne saath saath Pari ko bhi takleef de raha hai”

Manthan “shayad tu sahi keh raha hai, chal” uske baad yeh tino mayank ke kamre ki aur chale jaate hai, par vanha pahuchte hi andar ka najara dekhkar voh sab chaunk jaate hai

Siddhi “yeh..yeh kya kar raha hai tu..??”

Mayank unn sab ki aur dekhte hue kehta hai “vahi, jo shayad muje ussi din kar dena chahiye tha”

Manthan sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “kya matlab hai tera”

Mayank “mai vapas jaa raha hu, ab mai yanha nahi ruk sakta”

Siddhi “tu pagal toh nahi ho gaya na..?? tu hosh me nahi hai hai..tu kya bol raha hai”

Mayank “nahi siddhi, mai pure hosh me hu, mai yanha ab nahi ruk sakta, muje apne ghar vapas jaana hi hoga”

Manthan bhi thoda gusse se kehta hai “toh kya yeh tera ghar nahi hai..?? kya hum sab tere dost nahi hai..?? kya mom aur dad, kya voh tuje pyaar nahi karte..?? aur pari…kya pari ka pyaar jutha hai”

Mayank “mai yeh nahi keh raha hu, infact muje jitna pyaar tere mom-dad se mila hai utna muje shayad hi mere mom dad se milta, aur tum sab mere utne hi ache dost ho jitne meri earth par mere dost hai” fir voh thoda sa runasa si awaaz me kehta hai “aur pari..pari ka pyaar kabhi jutha nahi ho sakta, fir voh mai chahe kisi bhi earth par kyu naa chala jaau, voh muje hamesa apne dil se pyaar karegi”

Siddhi use samjate hue kehti hai “fir kya problem hai manthan..?? kyu tu vapas jaana chahta hai janha ab tera koi nahi bacha..?? kya tune ek baar bhi yeh socha hai ki tere jaane ke baad Pari ka kya hoga..??”

Mayank “mai pari ke baare me sochkar hi vapas jaa raha hu”


Siddhi asamaj ke bhav se uski aur dekhti hai “kya matlab hai tera”’

Mayank “vahi jo tu samaj rahi hai”

Siddhi “manthan, yeh tu bhi janta hai ki voh sirf ek hadsa tha, jo tere saath hua hai”

Mayank “haa, par har hadse ki kimmat hamesa hi Pari ko chukani padti hai” itna kehti hi mayank ki aankho se aansu nikal aaye

Manthan “kya matlab..??” voh siddhi ki aur dekhte hue kehta hai “yeh tum dono kya bol rahe ho..?? muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Siddhi manthan ki aur dekhte hue kehti hai “yaar, yeh uss hadse ke liye bol raha hai jisse isne dexter ko roka tha”

Mayank “sirf uske liye nahi siddhi”

Siddhi “fir..??”

Mayank “har ek hadsa jo Pari ke saath hua hai, har ek dard jo Pari ki zindagi me aaya hai, unn sabka zimmedar kahi na kahi mai hu”

Pathik “yeh tu kese bol sakta hai”

Manthan “toh tuje yeh lagta hai ki Pari ke mom dad ke saath jo hua voh teri vajah se hua..?? voh dexter ne kiya tha manthan”

Mayank “haa, kiya toh dexter ne hi tha, par dexter yaanha aaya kese..?? mere hi vajah se “ voh apni aankhe band karte hue kehta hai “agar mai jidd karke uss din pari ko apne saath CDC lab naa le gaya hota toh voh hadsa kabhi naa hota, aur naa hi dexter kabhi yaanha aata aur naa hi voh pari ke life ke saath aisa karta, aur naa hi muje apni pari ko maarna padta”

Siddhi “yeh sach nahi manthan, yeh tu bhi jaanta hai ki jo kuch bhi hamari pari ke saath hua hai voh teri vajah se nahi hua, aur yeh tu kese keh sakta hai ki agar pari tere saath naa aayi hoti toh voh hadsa nahi hota..?? manthan pagal mat ban, Pari tujse bahut pyaar karti hai, voh tere bina nahi reh paayegi”

Mayank “nahi siddhi, use rehna hoga, kyunki agar mai uske saath raha toh voh zinda nahi reh paayegi, aur please, tum sab ko milkar use sambhalna hoga”

Manthan “yeh nahi ho paayega, pari tut jayegi, Pari jo abhi itni khush reh rahi hai voh tere hi vajah se hai, agar tu chala gaya toh voh bikhar jaayegi”

Mayank “aur agar voh mere saath rahi toh uska bhi vahi haal hoga jo meri pari ke saath hua hai” aur voh unn sabhi ke samne rone lagta hai

Shayad sab samaj jaate hai ki Mayank kyu yanha se vapas jaana chahta hai, voh log aage kuch nahi bol paate, kyunki voh sabhi jaan gaye the ki mayank ab rukne vala nahi hai

Manthan “mayank, tu sach me nahi rukna chahta”

Mayank “nahi manthan, mere safar yahi tak tha, ab waqt aagaya hai ki mai apne ghar vapas jaau”

Siddhi “aur pari..uska kya hoga..??”

Mayank “tu use sambhal legi..mai janta hu”

Siddhi ek baar aakhri koshish karti hai “paridhi ne kaha tha ki worm hole sab kuch apne andar khich raha tha, toh tuje lagta hai ki teri earth abhi bhi hogi..??”

Mayank “pata nahi, shayad naa bhi ho..lekin muje vaha jaakar dekhna hi hoga”

Siddhi “thik hai, agar tu jaana hi chahta hai toh hum tuje nahi
rokenge, lekin tu mujse ek promise kar”

Mayank sawaliya bhari najro se dekhte hue “kesi promise..??”

Siddhi “agar teri earth vaha nahi hui toh tu sidhe yaaha vapas aayega..tab hi hum tuje yaaha se jaane denge”

Mayank “thik hai, I promise you, and I am sorry..tuje maine bahut hi galat samja, aur shayad mere vaali siddhi bhi itni buri
nahi hogi jitna maine uske baare me socha hai”


Today

Jo roshni ka gola yanha par dikhayi diya tha voh ek worm hole tha, jisse Manthan Earth-1 se apne ghar aata hai, Worm hole se bahar aate hi voh sidhe apne ghutno ke bal baith gaya, aur uske baad voh apni aankhe upar karte hue kehta hai “finally..I am Home” aur uske baahar aate hi voh worm hole band ho jaata hai

Par shayad Manthan yeh nahi jaanta tha ki voh apne ghar toh vapas aagaya hai, par uska ghar..uska planet tabahi ke kagar par khada hai, usne jese hi apni najar samne ki aur daudayi toh voh najara dekhte hi uski ruh kaamp uthi, charo aur ekdum ghor sannata tha, raat ko jo sehar hamesa Dhadakta tha voh ekdum shaant pada hai aur janha roshni puri raat rehti thi uske bajay aaj roshni ke naam par kuch nahi tha

Voh turant hi bhagte hue apne charo aur dekhne laga, par use apne ghar ki tabahi ke alawa kuch bhi nahi dikhayi de raha tha, naa shor-sharaba, naa roshni aur naa hi koi zinda insaan, kuch tha toh sehar ke andar bikhra hua buildings ka malba, aur unn malbo me kahi kahi par thodi si aag jal rahi thi Lekin yeh aag sadharan aag nahi thi..yeh aag thi barbadi ki, hamari prithvi ki barbadi

Voh iss ummid me bhage jaa raha tha ki use kuch toh milega, lekin use tabahi ke alawa aur kuch bhi nahi mila, aur naa hi use kahi par bhi insaan ke hone ki maujudgi mehsus hui..yanha tak ki use insaano ke alawa bhi ek parinda tak naa jameen me aur naa hi asmaan me dikhayi de raha tha

Manthan “yeh..yeh ho kya raha hai yanha par..?? Earth ki yeh haalat kese hui..?? kya yeh meri hi prithvi hai..??” voh apne charo aur dekhte hue kehta hai

“par yeh kese ho sakta hai..??” use voh yaad aata hai jab uski bhidat dexter se hui thi “toh kya jo maine dekha tha voh sach tha..?? nahi nahi nahi nahi, yeh kese ho sakta hai, voh toh maine” uska chehra par darr ke maare pasina aa gaya tha “dammit, iska matlab jo maine uss waqt dekha tha, voh..voh bhavishya sach tha, uss din maine Earth-1 ki tabahi nahi balki maine earth-2 ki tabahi ko dekha tha, maine apne hi planet ki tabahi ko dekha tha”

Voh jese jese chalte hue aage badh raha tha, uske dimaag me bhi uss manjar ki har ek tasweer ubhar ke uske aankho ke samne aa rahi thi, jo manjar usne dexter ke andar dekha tha voh ek-ek pal aaj uski aankho ke samne mandla raha tha, use kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh iss waqt kese react kare

Tabhi use achanak se voh chiz dikh jaati hai, jise dekhkar uska pura sharir hil jaata hai, use itne jyada gussa aata hai ki voh chillakar kehta hai “naaaaaaaaaaaahhhhhhhhhhhhhhhiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii”


To be continued….
 

Kirti.s

Member
404
1,361
123
Brilliant update milu
Akhir jo socha tha wahi hua ye mayank hi nikla.earth1 ko toh bacha liya usne lekin earth2 ki condition toh us se bhi zyada buri hai all most tabaah ho chuki hai lekin mayank kaise in sbse deal krega woh dekhne layak hogi. mayank ke entry se story mein chaar chaand lagne wle hai
 
  • Love
Reactions: Milan2010
182
245
43
Note : Yeh kahani padhne se pehle iss story ka pehla part padhna jaruri hai, varna iss kahani me hone vali ghatna samaj me nahi aayegi
first part ka link iss story ke first post par uplabdh hai


Update : 1 (Beginning of the End)



“WAQT”…yeh ek aisa shabd hai jisse hum sabhi ki zindagiya aapas me judi hui hai, aur iss waqt ke kayi saare naam hai...jaise ki waqt, time, samay adi-adi, lekin kya hum time ko aajtak kabhi samaj paaye hai..?? mere khayal se toh hum waqt ke baare me bas itna hi jante hai jitna hamari kalayi me rahi ghadi..ya fir deewar par lagi hui ghadi me dikhta hai

Par kya sach me waqt ka matlab sirf ek ghadi hota hai..?? shayad haa, aajkal hum ghadi ke suiyo par hi toh chalte hai..yaa yu kahu ke ghadi ki sui ke hisab se hum daudte hai

Lekin shayad daudna hi sabkuch nahi hota..isiliye yahi shabd hamari zindagi ka ek jaruri aur mahatvapurn hissa bana hua hai, aur hamari jindagi me jitna jaruri yeh samay hai..usse kayu gunah jyada hamare ek bada sawaal bhi hai…aakhir me WAQT inta jyada important kyu hai..??

Waqt ya Time..yeh aise shabd hai jo hum din me anginat baar sunte hai, lekin waqt ka sahi matlab aajtak koi bhi nahi samaj paaya..lekin yeh sab jante hai ki hamari duniya issi waqt par tiki hui hai, agar yeh waqt naa hota toh..shayad aaj hum bhi naa hote, kyunki hum insaan yaa fir yeh kahu ki iss pure brahmand me jitni bhi cheeze hai voh sab kahi na kahi isi waqt se judi hui hai

Waqt aisi chiz hai jise hum dekh nahi sakte, na toh hum use chu sakte aur naa hi use paa sakte hai..lekin fir bhi waqt hamari life me itna jyada important kyu hai..?? kya kabhi yeh socha hai ki agar yeh waqt hamari muthi me aajaye toh hum kya kuch nahi kar sakte..??

Yeh sach hai ki waqt se jyada taqatwar shayad hi koi aur chiz ho..par fir bhi hum jese mamuli se insaan bramhand ki sabse taqatwar aur ekloti chiz..yaani waqt ke saath ched-chad karna chahte hai, hum chahte hai ki kudrat ki voh Shakti hamare vash me aajaaye jispar yeh pura universe tika hua hai

lekin yeh kehna galat nahi hoga ki waqt par kaabu paana toh bahut hi badi baat ho gayi, kyunki hum waqt ko mehsus tak nahi kar sakte..bas yeh ehsas jarur rehta hai ki har pal waqt badhte hi jaata hai..aur waqt ko rokna hamare bas ke baahar hai, waqt naa toh rukna janta hai..aur naa hi mudna janta hai, voh toh bas aage badhna janta hai..aur waqt ko rokne ke liye mai yaa aap kuch nahi kar sakte

Jab bhi hamare kaano me waqt ya time shabd sunayi deta hai toh sabse pehle hamari najar sidhe ghadi(watch) par jaati hai, sadiya beet chuki hai..lekin hum naa toh waqt ko kabhi jaan paaye the aur shayad hi hum kabhi waqt ko jaan paayenge

Agar hum ghadi ki aur dekhe toh yeh ehsas hota hai ki waqt aage badh raha hai, jese ki seconds, minutes, hours..aur 24 hour yaani 1 din..1 hafta, 1 mahina, 1 saal aur aage badhte hi rehta hai..laakho crore saal beet chuke hai..lekin aaj bhi waqt shabd sunkar hamare jehen sirf ghadi ki parchayi samne aati hai

hum yeh jaante hue bhi anjaan ban rahe hai ki waqt me ek esi taqat hai jo dikhayi toh nahi deti..lekin hamesa apna rang dikhati hai, ek waqt hi hai jo hamare jakhmo ko bharta hai..ek waqt hi hai jo hamari kadvi yaado ko bhulakar achchi aur meethi yaade banata hai..aur sirf itna hi nahi..badhte waqt ke saath hum bahut kuch sikhte bhi hai, par ek yeh baat bhi sach hai ki kahi baar waqt hume ese jakham de jaata hai jo hum zindagi bhar nahi bhul paate

Iss pure brahmand me humari ek choti si duniya hai, aur isi duniya ka ek behad hi chota sa shabd hai “WAQT”, par yeh shabd jitna chota hai, uske piche ka raaz utna hi jyada gehra hai

waqt ke gujarne par kahi nayi chize aati hai, kahi chize piche chut jaati hai, aur kaafi kuch badal bhi jaata hai..par ek chiz hai jo kabhi nahi badalti..haa sahi samje..chahe kuch bhi ho jaaye waqt kisi ke liye nahi rukta..aur naahi kabhi piche mudkar dekhta hai..Shayad isiliye kaha jaata hai ki ek baar jo beet gaya voh beet gaya, kyunki waqt dubara mudkar kabhi vaapas nahi aata

itna sab jaante hue bhi hamare dimag me kuch sawal akshar ghumte rehte hai..jaise ki agar kisine waqt ke saath chechad ki toh uska anjaam kya hoga..?? Kabhi socha hai ki waqt hamesa aage hi kyu badhta hai..?? kyu hum apni yaadon ko waqt ke saath bhul jaate hai, kyu waqt ko hum kabhi samaj hi nahi paate..?? aakhir esi toh kya chiz hai jo waqt ko itna taqatwar banati hai..??

Waqt ek aisa paid hai jo sirf badhna janta hai..voh ek esi nadi hai jo hamesa aage ki taraf bahti rehti hai, par sach toh yeh hai ki aaj tak insaan waqt ko nahi pechaan paaya..waqt ki asli tasweer kya hai voh soch bhi naa saka, ek baat yeh bhi jante hai ki agar kabhi waqt ruk gaya toh uske saath hamara astitva bhi khatam ho jayega

Chahe kitni hi saal kyu naa beet jaaye, par ek chiz hai jo kabhi nahi badalti..aakhir me yeh WAQT hai kya..?? Yug badal jaate hai..par waqt apni taqaat hamesa dikhata hai..hamesa apne itihaas ko dohra kar yeh dikhata hai ki hum waqt ki taqat ke aage laachar aur bebaas hai


Location : MediTown
Time : year 3146, Third Blitz Period


uss hadse ko bitte hue aaj karib 1100 saal ho chuke hai, uss hadse ne hum sab ki zindagiyo ko badal kar rakh diya tha..ek aisa waqt aaya tha jab hamari yeh pruthvi maut ke kagar par khadi thi, yaa yu kahu ki hamari pruthvi tabah ho chuki thi aur aaj fir ek baar vohi waqt wapas laut kar aaya hai, vohi barbadi hamare ghar par mandla rahi hai jo 1100 saal pehle hui thi..par sabse bada sawal toh yeh hai ki kya iss baar vakahi me yeh hamara ANT hai..?? kya hum iss ladayi ko kabhi jeet payenge..??

aaj bhi muje unn dardnak cheekho ki awaaz mere kaano me sunayi deti hai, voh bhayank raat muje aaj bhi apni aankho ke samne dikhayi deti hai, aur uss tabahi ko dekhte hi mere mann me bas ek hi baat aati hai, KYA YEH HAMARA ANT HAI..!!!

Ek 25 saal ka ladka apne bed par laite hue soch raha tha..aur jo tasweere uske dimag me ghum rahi thi voh sidhe room ki chhat par project ho rahi thi..voh tasweere thi unn hadso ki jo 1100 saal pehle ghati thi..har tasweer pruthvi ki barbadi ko darsha rahi thi, jaha najar dale vaha sirf rakh aur malba pada hua tha..najara dekh kar saaf lag raha tha ki kuch bahut hi bura hua hai..logo ke marne aur karhane ki cheekhe charo aur se gunj rahi thi..vahi agar asmaan me najar dale toh vaha bhi fighter planes ki awaaz aur unke bich me ho rahe jung ka shor gunj raha tha

Sirf asmaan hi nahi..niche zameen par kuch log haath me laser gun liye behrahmi se maasum logo ko maar rahe the, aaspass ki buildings ko grenades se uda rahe the..toh kahi par pehle se hi tabah ho chuki buildings ka tuta aur jala hua malba pada tha, dekhte hi dekhte sab kuch jalkar rakh ho chuka tha..jaanha najar pahuche vaha sirf khoon aur laashe dikhayi de rahi thi

Yeh hadsa jo unn tasweer me dikh raha hai voh sirf ek soch nahi hai..balki voh ek sachayi thi, ek esi sachayi jisne iss puri duniya ko hila kar rakh diya tha..lekin iss sachayi se uska dhyaan baar-baar uss hadse par jaa raha tha jo uske saath ghata tha..reh-rehkar voh hi tasweer uske aankho ke samne aa jati thi

Voh ladka apni hi soch me ghum tha ki tabhi uske kaano me ek jaani pehchani awaaz sunayi di, awaaz sunte hi usne gehri saans lete hue apni palko ko ek baar japkaya, aur uthkar apne bed par baith gaya

Apni najar ko room ke darwaja ki tarah karte hue apni ek ungli se ishara kiya toh uske room ka darwaza achanak se gayab ho gaya

Darwaje ke thik uss par ek aurat khadi thi..jiski umar karib 50 saal ke aaspass hogi, voh kehti hai "son..kitne din beta, ab toh bahar aaja, tuje vapas aaye hue aaj ek hafta beet chuka hai"

Voh ladka "mom, aap please muje akela chod dijiye, muje abhi kisi se nahi milna"
aur usne bina kuch sune firse ungle se ishara kiya aur voh darwaja automatically vaha par aagaya aur bahar khadi aurat vahi ke vahi khadi rahi

Voh aurat gehri saans lete hue apne man-me kehti hai “pata nahi aisa toh kya hua tha, jabse aaya hai voh bas ese hi hai”

Voh ladka firse apne bed pr lait gaya aur apni aankhe band kar li, tabhi use mehsus hua ki voh uss kamre me akela nahi hai, voh vese hi bed par lete hue bola "please akshita, leave me alone"

Akshita "tu abhi tak uss baat ko lekar baitha hai..??"


Voh ladka apni aankhe kholte hue khada hua, aur uss ladki ke hologram ki aur dekhne laga jo uske bed se kuch hi duri par tha "kese bhul jau..?? Uss ladki ko mai bacha sakta tha, voh meri aankho ke samne mari thi aksh, mai itna khud garz kese ho sakta hu..usko bacha ne ke liye mai kuch naa kar paaya..yanha tak maine koshish tak naa ki"

Akshita "listen sam..jo hua use bhul jaa..kyunki uss hadse me tere koi galti nahi thi...we will talk about this later..but right now they need us and we need to help them"


Sam chalte hue uss ladki ke hologram ke pass aaya, aur uss ladki ki aankho me dekhne laga, "I can’t..mai vaha vapis nahi jaana chahta..please aksh" aur usne apna chehra juka diya

Akshita ne apne haath ko sam ke chehre par rakha, aur sam ka face apni aur kiya "sam, jo hua usme teri koi galti nahi thi..aur tuje khud ko hurt karne ka koi haq nahi banta, mai janti hu tuje iss waqt kesa mehsus ho raha hai, par yaad rakh hum jiss daur se gujar rahe hai, use hum khatam kar sakte hai..saath milkar hum apni earth ko bacha sakte hai"

Sam "nahi aksh, mai kuch nahi kar sakta..tu jaanti hai ki mai vaha vapas kyu nahi jaana chahta"


Akshita iske aage kuch nahi boli, usne sam ko apne seene se laga diya "thik hai sam, as u wish..but please let me help you, mai tuje iss tarah nahi dekh sakti, i want to meet you"

Sam kuch der ese hi raha "okay, come to my place"

Aur fir akshita ka hologram band ho gaya, hamare time me mobile phone se long distance se baat hoti thi, par future me mobile phone ki jagah ek choti si device ne le li thi, uss device ki vajah se insaan khud ki ek solid image ko transfer karke face to face baat kar sakta tha


To be continued….

Update 1

Kuch samjha nhi 1100 saal pahle kya hua tha aur ye kaunse number ki earth h.. I mean to say ab tune pichli baar multiverse concept to use kr liya h to isme b 4,5 ya anginat earth ka jhol to hoga hi... Aur ye baat bhari lagi wo ladka sam jo kuch b soch rha tha uska projection uppar chhat pe dikh rha tha.. mind blowing technology ? india me kab ayegi ? ?aur item aksh kaun h bhai.. paridhi se jada cute h kya? ???? Aur ye 1100 saal age story jane tak writer sahab aap jinda the kya ? ?? Holographic image wala concept to kai movie me dekha b hai.. to ye itna bhari nhi laga ? ab chalo next aur aaj ka last update padhunga uske baad kal...
 
182
245
43
Update : 2 (Khauf ki Raat)

Location : around 350 km from MediTown
Time : 10:00 PM


Dessert ya MediTown ka yeh Registan seher se karib 50 km dur tha….vese toh registan me ghumne ka maja alag rehta hai..khaskar jab hum picnic par jaay..lekin, meditown ke iss registan se koi nahi gujarta tha..gujarna toh dur..log iss jagah ka naam tak naa lete the, kyunki yeh registan kam banjaar zameen jyada lag rahi thi

Yeh registan ek esi banzar jameen hai jaha se ek parinda tak gujarna nahi chahta..aur toh aur yeh registan karib 700 km tak faila hua tha
Thand ke mausam me yeh registan aur bhi jyada darawana ho jaata hai…aaj ka din bhi kuch kuch aisa hi tha..thandi ka mausam hone ki vajah se pure registan me kohra jama hua tha..kohre ki chaddar itni jyada gahni thi ki asmaan me rahe chand ki roshni bhi zameen tak nahi pahuch paa rahi thi

Aur ese thandi ke mausam me raat ka waqt aur ghana sumsaam registan ka naam sunte hi kisi ke bhi rongte khade hi jaaye…aur jab ese registan me saayeeinnn saaayeeeeiiinnnnnn karti hui hawa bahut zoro se chal rahi ho toh kisi bhi aam insaan ki ruunh kaampne me der nahi lagti..aur sirf itna hi nahi, hawa ki ghati bhi dheere dheere apna asar dikhate hue badh rahi thi…jiske saath pura registan aur bhi jyada darawana lagne laga tha

Par kehte haina ki insaan ki kismat kuch nahi dekhti, agar aapki kismat me marna likha hai toh aap use kisi bhi haal me taal nahi sakte..thik isi tamah kuch logo ki kismat bhi esi hi thi, voh seher se dur..issi registan me aakar rehte the

MediTown se karib 350 km..issi vishaal registan me kuch hulchal si machi hui thi…kahi log uss ilake me idhar se udhar chakkar laga rahe the..aur fir turant hi voh log vaha se niche jammeen ke andar pahuch gaye
Khair zameen ke niche ke haalat bhi kuch jyada ache nahi the…vaha maujud logo ke chehre ko dekhkar saaf andaaza lagaya jaa sakta tha ki koi bahut hi badi baat ho gayi hai jinki unn sab ko ummid nahi thi..kuch aisa hua hai jiski kisine kalpana tak naa ki ho

Zameen ke niche yeh ek khufiya agency thi…aur uss agency me bana hua ek kamra jaha ek shaks kaam kar raha tha, dhyaan se dekhne par pata chalta tha ki uske charo aur kahi saari transparent images khuli hui thi..aur voh shaks unn tasweero ek ek karke bade hi dhyaan se dekh raha tha
Voh shaks unn tashweero me ho rahi gatividhiyo ko samajne ki koshish kar raha tha, lekin jab uske chehre ki aur dekhe toh saaf dikh raha tha ki jo voh dhund raha hai use voh mila nahi tha…aur yahi vajah rahi ki voh baar baar unn tasweero ko alag alag angle se dekhe jaa raha tha

Tabhi uss kamre me ek kadak aur khaufnaak awaaz gunj uthi “any contact..??”

Yeh awaaz sunkar jo shaks kaam kar raha tha voh gehri saan lete hue kehta hai “no sir, mai kaafi der se koshish kar raha hu, but no contact yet” Voh apne haatho ko jor se table par pachadta hai

Voh dusra aaya hua shaks vaise hi darawani awaaz me kehta hai “kuch pata chala..?? any news..??”

Uss pehle vale shaks ki halat itni jyada kharab thi ki voh kya kahe kuch bhi samaj me nahi aa raha tha, apne chehre par aaye hue pasino ko pochte hue voh kehta hai “negative sir..i am trying my best..but nothing"

Dusra shaks thoda narmi se kehta hai “bennet, I know yeh task bahut hi tough hai..but you have to do this, you need to find out ki vaha par aakhir me kya hua tha”

Bennet “I know sir, isiliye maine apni puri taqat laga di hai..bas ek chota sa bhi clue mil jaaye toh hume pata chal sakta hai ki aakhir me vaha par hua kya tha”



Location : MediTown, Sam’s House

Sam ki halat dekhkar uski mom kaafi pareshan thi, unhe samaj nahi aa raha tha ki voh uss baat ka kese pata kare jisse sam itna jyada pareshan hai, kyunki voh yeh achche se janti thi ki agar sam ko koi baat pareshan kar rahi hai toh voh jaldi kisiko nahi batata, lekin iss baar haalat alag the..sam ko ghar laute hue ek hafte se jyada ho chuka hai..par iss ek hafte me sam ek bhi baar apne mom dad se baat nahi karo thi..itna hi nahi..sam apne kamre se bahar tak naa nikala tha..aur yahi baat thi jo sam ki mom ko sabse jyada pareshan kar rahi thi

Sam se iss baare me baat karne ke baare uski mom soch hi rahi thi ki usi waqt akshita sam ke ghar aajati hai..aur akshita ko dekhkar sam ki mom bahut hi jyada khus ho jaati hai..kyunki sam ke sabse jyada close akshita hi thi..aur voh yeh bbaat jaanti thi ki chahe kuch bhi ho jaaye..par akshita se milna taal nahi sakta

Akshita ki age bhi karib sam ke jitni hi thi, aksh aur sam ko dost bane abhi 1 saal hi hua tha, aur iss 1 saal me inn dono ki dosti itni jyada gehri ho gayi thi ki voh ek dusre ki baato ko bina kuch kahe hi samaj jaate the..agar koi bhi inn dono ko pehli baar dekhe toh yahi samjega ki yeh dono ek dusre ko bachpan se jaante hai

Lekin yeh sach nahi tha…bas voh dono itne kam samay me ekdusre ke bahut karob aagaye the..aur yeh baat kisi se chup nahi thi…isi vajah akshita ko dekhkar sam ki mom khush ho gayi thi..unhe laga ki shayad sam akshita se baat kare

Sam ki yeh halat ke baare me Akshita pehle se janti thi, aur voh sam ko iss halat me akela toh bilkul bhi nahi chodna chahti thi..lekin iss waqt haalat kuch ese thi ki akshita ko naa chahte hue bhi sam se dur jaana pada tha..aur jese hi akshita me apna kaam pura kiya voh sidhe sam ke pass chali aayi

Akshita ko dekhkar sam ki mom ne bola “thanks akshita, thank you so much beta for coming, mai jaanti hu ki sam ki iss haalat ke baare me tuje pata hai, bas mai sam ko iss halat me nahi dekh sakti..muje samaj nahi aa raha tha ki mai kya karu..?? Sam ko aaye hue 1 hafta ho chuka hai…aur iss 1 hafte me usne apne aap ko apne kamre me band kar rakha hai..naa toh voh kisi se kuch bolta hai..aur naahi voh apne kamre se bahar aata hai, acha hua tu aagayi, shayad voh tujse kuch baat kare..??”

Akshita “aunty..aap fikar naa kare, mai sam se baat karne hi aayi hu..mai janti hu ki use kese manana hai”
Aur voh sam ke kamre ki aur jaane lagi ki sam ki mom ne usse ek sawal kiya

Sam’s Mom “akshita..kya tu muje bata sakti hai ki aakhir sam aisa behave kyu kar raha hai..?? Aisa toh kya hua hai uske saath jo usne khud ko apne kamre me band kar diya hai..??”

Akshita juth bolte hue “nahi aunty, muje nahi pata ki sam aisa behave kyu kar raha hai..kahi dino se muje bhi sam ka behaviour thoda ajeeb laga…isiliye mai apna kaam khatam karke sidhe yaaha aagayi, aur aapki baato se lag raha hai ki mai sahi thi…muje pura yakeen hai ki sam mujse kuch toh chupa raha hai”

Sam’s mom “go..but please help him, aur pata kar ki sam aakhir hum sab se kya chupa raha hai..??”


Akshita haa mein apna sar hilati hai aur sam ke room me chali gayi, sam ke room me jaane ka password voh janti thi..isliye voh siddhe uske kamre me aa gayi aur kamre me jaate hi uski najar sam par gayi jo abhi bhi usi yaad me khoya hua tha

“muje pura yakeen tha ki tu abhi bhi usi hadse ko yaad kar raha hoga” usne sam ki projection image ko dekha jisme ek ladki uske aankho ke samne mari thi

Akshita ki awaaz sunkar Sam ne apni najar uski aur ghumayi “dekh..agar tu iss baare baat karne aayi hai toh muje tujse koi baat nahi karni..you can go back”

Akshita “haa baba, mai janti hu ki tuje uss hadse ke baare me koi baat nahi karni, par kya teri dost hone ke naate mai tujse milne bhi nahi aa sakti..??”

Sam “hmm..dekh yaar yeh faltu ki baate naa kar, tu jaanti hai ki tu meri sabse achi dost hai..aur isiliye toh maine tuje yaaha bulaya hai”


Akshita kuch sochkar “ek min, tune muje bulaya hai..?? matlab..??” voh sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhti hai

Sam “aksh, muje galat nahi samajna par tera yeh dost bahut hi kayar aur darpok hai..aur isiliye maine yeh decide kiya hai, I will QUIT”

Akshita “QUIT..?? matlab..?? mai kuch samji nahi”

Sam “mai yeh team chod raha hu, I am going to resign”


Akshita chaunkte hue “whaaatt..?? aaa..rrrr…eeeeee you mmm…aaa…adddddddd..?? yeh tu kya keh raha hai, you are our leader man”

Sam “I am not aksh, mai leader rehne ke kaabil nahi hu, ab tuje yeh ladayi mere begair ladni hai, and I know that..you can do it..you can lead the team in better way..the way I couldn’t”

Akshita “listen sam, ab dekh bahut bakwaas kar li tune, sidhe se chal mere saath”
Aur usne sam ka haath pakad liya

Lekin sam ne uska haath pyaar se hataya aur thoda dur jaate hue “ek aur baat, ho sake toh mujse dur rehna, shayad mai teri dosti ke layak bhi nahi raha” aur voh khidki se bahar asmaan me dekhne laga

Sam ki yeh baat sunte hi akshita ko ek bada sa jatka laga…uski aankhe nam hone lagi…sach toh yeh tha ki akshita ko sam ki yeh baat kisi kaante ki tarah chubi thi…voh kuch bhi bardasht kar sakti thi..lekin sam se duri usse hargiz bardast nahi thi “tune aisa soch bhi kese liya ki..” voh aage nahi bol paayi, ruansi aawaaz me kehti hai “sam..mai nahi janti ki tu aisa kyu kar raha hai, par mai tuje yeh nahi karne dungi, mai tuje apne se dur nahi jaane dungi, agar tuje mujse dur hi jaana tha toh fir kyu itna kareeb aaya, kyu voh ehsaas jagaya jo mai bachpan me hi kho chuki thi, kyu itna pyaar kiya mujse..kyu sam kyu..??”

Sam ki aankhe bhi halki nam ho chuki thi, voh mudkar akshita ke pass aaya aur uski aankho se aansuo ko pochte hue kehta hai “aksh, mai dar gaya hu..mai iss ladayi me ab tera saath nahi de sakta..muje yeh dar hai ki agar uss ladki ki jagah tu hoti toh kya hota..?? nahi aksh..mai tuje kuch nahi hone de sakta..aur mai itna kaabil nahi hu ki mai tuje bacha saku..so please Aksh, if possible, please mujse dur rehna”

Akshita “sam, agar yahi baat hai aur tu uss ladki ki maut ki vajah se yeh sab kar raha hai toh”
voh thoda rukkar kahti hai “thik hai, mai bhi yeh team chod rahi hu, muje uss team ka hissa nahi rehna jisme tu nahi hai”

Sam “Akshita please..try to understand, mai ab vaha vapis nahi jaa sakta...aur team ko teri jarurat hai..and I have already appointed you as a TEAM LEADER”

Akshita “sam, vahi toh mai bhi tujse keh rahi hu, team ko teri jarurat hai..team ko ek aise leader ki jarurat hai jo on the spot tough calls le sake..aur yeh kaam tujse better hamari team me aur koi nahi kar sakta..mai bhi nahi”

Sam “enough is enough, mai already resign de chuka hu, aur tuje yahi behas karni hai toh you may go now”
apne haath se gate ki aur ishara kiya aur fir voh akshita se thoda dur chala gaya

Yeh baat jitni jyada Akshita ko chubi thi..usse kahi jyada takleef Sam ko hui thi..sirf vohi janta tha ki uspar yeh baate kehte waqt kya gujari thi, lekin yeh sirf uski galat femi thi..kyunki Sam ki halat ko akshita uske khud se bhi jyada ache se jaanti thi, aur isiliye usne akhri baar Sam ko manane ki koshish karte hue kaha “sam, tu bahut badi galti kar raha hai, hum already bahut si team kho chuke hai, aur iss waqt tera resign karna..it’s not good sam”

Sam ne vahi dur se jawaab dete hue kaha “agar mai resign nahi karta hu toh casualties aur badhegi”

Akshita “sam..koi bhi ladayi bina casualties ke nahi jeeti jaa sakti”

Sam “haa, mai janta hu, lekin mai itna kaabil nahi hu ki mai kisi team ko lead kar saku..aur uss hadse ke baad toh bilkul bhi nahi”

Akshita “sam, maine tuje bahut baar kaha, ek aur baar keh rahi hu, uss ladki ki maut teri vajah se nahi hui”


Sam akshita ki aur mudkar uski aankho me dekhte hue kehta hai “haa, mai janta hu ki uss ladki ki maut meri vajah se nahi hui hai, lekin mai use bacha sakta tha, lekin mai khudgarj ho gaya tha, aur jo sirf apne baare me soche uska iss tarah ki ladayi me rehna thik nahi hai”

Akshita “sam, har chiz hamare haath me nahi hoti, kuch faisle hume aise bhi lene padte hai..jo hum kabhi nahi chahte, aur voh sirf ek chota sa hadsa tha, aur kuch nahi”

Sam “agar uss ladki ki jagah tu hoti toh..?? kya tu tab bhi yahi kehti..??”


Sam ke iss sawal ka jawab akshita ne bahut hi pyaar se uski aankho me dekhte hue diya “haa sam, mai tab bhi yahi kahti, kyunki muje tere par pura bharosa hai”

Location : Somewhere

“Delta to Alpha..Delta to Alpha”

“alpha to delta, over”


Hanfte hue “sir, muje samaj nahi aa raha yeh kya ho raha hai” aur uski ek dardnak cheekh vaha par gunj uthi

“alpha to delta..alpha to delta, vaha ki condition batao, common delta”

Tabhi uske pass me rahe ek shaks ne kaha “sir, connection is lost”

Voh jor se gurraya “damm it, I want to know, vaha par chal kya raha hai”

“sir, I think delta team is down, hamara connection kaafi der pehle hi tut gaya tha, aur mai tabse connection banane ki koshish kar raha hu..and yeh bas ek broadcast tha..aur shayad yeh aakhri tha”

“what do you mean ki yeh akhri baar tha”


To be continued..
Update 2

Thriller bol k suspense chalate ho.. ?? ghanta nhi smjha ye update... ?? Aur ye Sam jab se aya h tab se khud ko ek hafte se quarantine q kar rakha hai.. isko b "Corona" ho gya h kya? ??? Ye Delta, Alpha aur kelpa ?? team kaha ki h aur kaunsi h... Kisne pel diya inko ? ?? Charlie team baki hogi pelwane ke liye ??? mere ko to lagta h ye Sam aur Aksh ka age kuch chamdigiri wala lafda hoga.. ?
 
  • Love
Reactions: Milan2010
182
245
43
Update : 3 (Yeh Kese Ho Sakta hai)

“what do you mean ki yeh akhri baar tha”

Ab aage..


Bennet iss sawal ka jawab hatash hokar deta hai “iska matlab yeh ki, we lost them..hamari puri army khatam ho chuki hai”

Bennet ki baat sunkar uss kadak awaaz vale admi ke pair dagmaga se gaye, voh haklate hue dubara puchta hai “aa…rrr..eee yyy.yyy..oooo..uuuuu ss….sssss…..uuuuu.uu..rrre…eeeee”

Bennet ne vaise hi kaha “yes commander”

Voh dusra shaks aur koi nahi balki Earth ki Special force ka Head tha, voh kehta hai “yeh kese possible hai..?? they are the best of all”

Bennet “I don’t know sir, I really don’t, muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”

Head “bennet, I want to know yeh sab kese hua”

Bennet “I am already working on it sir”
aur voh transparent screen par kuch karne laga aur kuch der baad kehta hai “sir, sam ko vapas laana hoga”

Head “uska resignation muje ek hafte pehle hi mil chuka hai”

Bennet “par aapne uska resignation approve nahi kiya, kyunki aap jante the ki hume uski jarurat padegi, aur Akshita usko lene gayi hai”


Head gehri saans lete hue kehta hai “I hope ki voh Sam ko lekar hi aaye”

Back to Sam’s House
Sam “agar uss ladki ki jagah tu hoti toh..?? kya tu tab bhi yahi kehti..??”


Sam ke iss sawal ka jawab akshita ne bahut hi pyaar se uski aankho me dekhte hue diya “haa sam, mai tab bhi yahi kahti, kyunki muje tere par pura bharosa hai” thoda rukkar “sam, mai nahi janti ki tu uss waqt kya karta…par mai bas itna janti hu ki jabtak tu mere saath hai muje kuch nahi ho sakta, I trust you”

Sam apna chehra jukate hue kehta hai “lekin I don’t, mai khud se hi haar chuka hu aksh, isiliye mai tujse Keh raha hu, please akshita..please mujse dur chali jaa..itni dur ki mera saaya tak tere karib naa aasake” darasal sach toh yeh tha ki voh ab akshita ki aankho me nahi dekh sakta tha

Aur akshita ki halat bhi kuch thik nahi thi..balki uski halat sam se bhi jyada kharab thi..sam ki iss tarah ki baate use dara rahi thi..uska dil tha ki joro se ro raha tha..par fir bhi usne muskil se khud ko sambhal rakha tha…kyunki voh janti thi ki iss waqt use apne sam ko sambhalna hai, sam ka iss tarah se najre churane uske dil me kaante ki tarah chub raha tha…shayad voh aur kuch bardasht kar leti..lekin sam ka usse yu nahre churana voh seh nahi paa rahi thi…akshita kaa gaala bhari ho chuka tha aur voh ruansi awaaz me kehti hai “sam..mai nahi janti ki tu aisa kyu kar raha hai..muje yeh bilkul bhi samaj me nahi aa raha ki uss hadse se mera tujse dur jaane me kya relation hai..par mai tujse kuch kehna chahti hu" voh rukkar kehti hai “agar tuje yahi karna tha toh kyu mere itne kareeb aaya..?? kyu muje voh ehsaas dilaya jo mai bhul chuki thi, shayad tu nahi janta ki tera saath mere liye kitna mayne rakhta hai, mai nahi janti kabse..par mai tujse pyaar karne lagi hu..yes sam I LOVE YOU, tujse dur rehna ka mai soch bhi nahi sakti” par akshita khud ko rok nahi paayi..jo dard uska dil bayaan kar raha tha voh uski aankho se behne lage the aur apna sar jukaaye rone lagi

Akshita ke liye sam ke dil me bhi vohi pyaar hai, par voh kabhi apne pyaar ka izhaar nahi kar paaya tha, lekin aaj jab uske kaano me akshita ke yeh lafz sunai diye.toh voh khud ko rok nahi paaya
Haroj jiss chehre par muskaan rehti thi uss chehre par aaj aansu beh rahe the..jo sam se bardast nahi hui..akshita ki ruansi awaaz ne sam ko akshita ki aur dekhne ke liye majbur kar diya
Sam toh akshita se uss din se pyaar karne laga tha jis din akshita ne usko haraya tha..aur vahi voh akshita ke dil ka haal nahi janta tha…use dar tha ki agar usne apne pyaar ka izhaar kiya toh shayad voh akshita ki dosti tak kho dega..sirf yeh vajah thi ki usne akshita se kuch nahi oaha tha
Sam chalte hue akshita ke karib aaya…aaj pehli baar tha jab voh akshita ke itni karib jaane par dar raha tha..uske dil joro se dhadak raha tha…usne apne haatho ko pyaar se akshita ke chehre par rakha aur akshita ka chehre apni aur kiya..ab akshita ki najar sam ki aur thi..aur dono hi ek dusre ki aankho me ektak dekhe jaa rahe the..lekin naa toh sam kuch bol raha tha aur naahi akshita ne ek lafz kaha..bas voh dono hi ek dusre ki aankho me deekhte hue aankho se baate kar rahe the

Jab sam ne akshita ke gaal par aansu ko dekha toh usne pyaar se apne haatho see uss unn aansu ko hataya..aur naa mein apna sar hilate hue kehne laga “nahi aksh…muje teri aankho me yeh aansu nahi dekhne…mai bilkul bhi teri inn aankho me aansu nahi dekh sakta" fir voh thoda rukkar kehta hai “aksh…mai nahi janta tha ki tu mujse pyaar karne lagi hai…par sach toh yeh ki mai tujse bahut pyaar karta hu…aaj se nahi..uss din se jab maine tuje pehli baar dekha tha…I love you Akshita..i love you so much aksh"

Akshita yeh sunte hi voh sam ke gale lag jaati hai..aur sam bhi akshita ko joro se apne gale laga deta hai…aaj dono ne hi apne pyaar ka izhaar kar diya tha…akshita vaise hi sam ke gale lage hue kehti hai “pagal..jab itna pyaar karta hai toh kyu khud ko mujse alag kar raha hai..kyu muje khud se dur karne me laga hua hai…hmmm..??”

Akshita ke puche hue sawal ka jawab sam ke pass nahi tha..yaa tha, par voh kya kahe use samaj me nahi aa raha tha, voh kese bataya ki uske dil ka haal kya hai, sam ke ese chup rehne par akshita fir se puchti hai “bolna…tu chup kyu hai"

Akshita ko khud se alag karte hue kehta hai “kya kahu aksh..kese kahu mai..??”

Akshita sawaliya bhari najro se sam ki aur dekhti hai toh sam kehta hai “mai voh sam nahi hu jise tu janti hai..mai tujse bahut jyada pyaar karta hu aksh..shayad yeh baat tu nahi jaanti..aur mai yeh kabhi nahi chahunga ki mai khud ko tujse alag karu..par mai majbur hai aksh, agar mai tere saath raha toh sirf tuje takleef pahuchegi..tuje hurt karunga…aur yeh mai nahi chahta, mai jaan gaya hu aksh ki yeh ladayi mere baski nahi hai…hum unhe nahi hara sakte..we can’t win…. agar mai tere saath raha..aur tuje kuch ho gaya toh mai khud ko kabhi maaf nahi kar paunga”

Akshita turant hi sam ke gale lag jaati hai “sam, yeh toh mai nahi jaanti ki hum unhe hara sakte hai yaa nahi..par ek baat mai bahut hi ache se jaanti hu..maine jisse pyaar kiya hai, jo mera sabse achcha dost hai use mai jaanti hu aur voh itni jaldi haar nahi maan sakta”

Akshita ki aankho me dekhte hue sam kehta hai “tuje itna bharosa hai mujpar..??”

Akshita bhi sam ki aankho me dekhte hue jawab deti hai “khud se bhi jyada, yaad hai jab team selection ke waqt sab mere against the..tab tune hi muje select kiya tha..uss waqt mai tuje jaanti bhi nahi thi..aur uske baad hamari team ne kabhi piche mudkar nahi dekha…hamari team sabse jyada kamiyab rahi..humne apne sare missions pure kiye, kyu..?? kyunki hamari team ke pass ek bahut hi acha leader hai”

Sam “yeh sahi nahi hai aksh…hamari team isliye hamesa kamiyab rahi hai kyunki tu har waqt mere saath thi..isliye mai apne sare missions ko pura kar paaya hu, par tune bhi dekha tha..tu khud bhi mere saath thi..tu jaanti hai ki uss raat ko kya hua tha, uss hadse se mai bahut hi jyada dar gaya hu…isliye nahi ki mai fight nahi kar sakta…mera darr unn logo se nahi hai…mai aajtak kabhi kisise nahi dara…life me first time muje dar lag raha hai, aur darr bhi kaisa, tuje khona ka darr..mai nahi chahta hai ki meri koi bhi galti ki vajah se tuje kuch ho”

Akshita “sam, hum ek esi jung lad rahe hai jaha har mod par kamiyabi nahi milti, yeh ek aisi fight hai jisme har mood par jeet nahi hoti…yaad hain tune hi kaha tha ki iss jung ko jeetne ke liye hume bahut si kurbaniya deni hogi”

Sam “haann…mai janta hu, yaad hai muje, par aksh..mai tuje khona nahi chahta”

Akshita “jab tak tu mere saath hai muje kuch nahi hone vala, aur naa hi mai tuje kuch hone dungi, voh bas ek haadsa tha sam..aur mai janti hu ki agar aisa kuch fir kabhi hua…toh tu muje kuch nahi hone dega, now please sam..let’s go, we need to get back to the bureau, hamari condition bahut hi kharab hai”


Tabhi ek message aaya, jo room me sunayi dene laga “sam, I know you want to quit, but iss waqt muje tumhari jarurat hai, yu samaj le ki yeh ek akhri mission hai”

Sam ne akshita ko hug karte hue kaha “we are coming sir”

Sam ki aankho me ek alag si chamak aagayi thi, usne akshita ke hotho par ek pyaara sa kiss kiya, akshita iske liye taiyaar nahi thi toh voh pyaar se sam ko marti hai aur fir voh sam ko hug karti hai


Thodi hi der me sam aur akshita dono hi kamre ke baahar aate hai, sam ke chehre par firse muskurahat dekhte hi sam ki mom samaj jaati hai ki ah sab thik hai

Sam ko dekhti hi uski mom aksh se kehti hai “thanks aksh, mai janti thi ki tu hi iss nalayak ko thik kar sakti hai”

Sam “haa mom, yeh toh aapne sahi kaha, aur ab muje toh ise puri zindagi jhelna hai”


Sam ki iss baat ko sunte hi akshita aur sam ki mom dono hi use ghurne lagi, akshita sam ko gusse me dekh rahi thi aur vahi sam ki mom sawaliya bhari najro se dekhte hue kehti hai “kya matlab..??”

Sam “we love each other”


Sam ki mom yeh sunkar khush ho jati hai aur voh akshita ko gale lagate hue “I am happy for both of you, toh yeh baat thi..isliye yeh Bandar kamre me band tha, tum dono ke bich jagda hua tha..??” aur voh akshita se puchti hai “aur tune toh kaha tha ki tuje sam ke ese behaviour ke baare me nahi pata hmmmm"

Akshita ki haal aisa tha ki kaanto toh khun nahi…voh sharam ke maare paani paani ho rahi thi..voh bina kuch bole bas niche dekh rahi thi, toh sam yeh dekhkar haste hue apni mok se kehta hai “nahi mom, jo aap soch rahi hai vaisa kuch bhi nahi hai, voh sab mai aapko vapas aakar bataunga...but right now, I need to get back to the bureau”

Sam aur akshita ne ab bina deri kiye sidhe bureu jaane ke liye nikal gaye..voh dono sam ki garage gaye aur vaha se sam ne apni jet bike li aur akshita uske piche baith gayi
Bike par baith te hi sam ne bike par 2 buttons press karke commands diye..jise accept karte hi bike hawa me lehrane lagi aur garrage ka gate open hote hi balcony se sam aur akshita vaha se nikal gaye

Sam ka ghar 150th floor par tha..aur raat ka waqt plus emergency hone ki vajah se uski bike kaafi teji se nikali thi..aur vahi raste me sam aur akshita kuch baate karte hai
Akshita ne sam ko piche se hug karte hue kaha “sam, tune muje pehle kyu nahi bataya..??”

Sam “kya nahi bataya..??”

Akshita “that you love me”

Sam “yaar, mai khud confuse tha, vaise toh mai jaanta tha ki mai tuje like karta yaalekin mai yeh tayy nahi kar paa raha tha ki mai tujse love karne laga hu, par jab uss ladki ko dekha tab ehsas hua ki hum dono ke bich sirf friendship nahi hai”

Akshita “bada aaya muje nahi pata vala, huh, aur fir yeh sab kya nautanki thi teri, bata toh muje"

Sam “kesi nautanki..??”

Akshita “vahi jo tu kar raha tha, mujse dur hoja bla bla bla"

Sam “aksh..mere dil me yahi dar tha ki agar meri vajah se tuje kuch ho gaya toh mera kya hoga..?? Bas isi dar ki vajah se maine khud ko tujse dur karna chaha..lekin jab tune muje aaj bataya ki tu bhi mujse pyaar karti hai…jo mai tere liye feel karta hu..vohi feeling tere dil me mere liye hai…toh fir mai tuje iss fight me akele kese jaane du..?? ab chahe kuch bhi ho jaye..mai hamesa tere saath rahunga..yeh mera promise hai, kyunki tu meri sabse badi taqat hai”


Akshita ne pyaar se uske kamar me mukka maara “pagal kahi ka, mai toh hamesa tere saath hu, tuje na ek di hona tab pata chale huh”

Sam “acha..kya dena hai hmm..?? Kissi ya fir huggy”

Akshita “kuch bhi nahi..besharam…chup chap aage dhyaan de"


Ese hi yeh dono baat karte hue bureu pahuch gaye, lekin bureau ke halaat dekhkar lag raha tha ki halat bahut hi jyada kharab hai, kyunki vaha par kaam kar rahe sabhi agents bahut hi jyada pareshan the
Unn agents ko dekhkar Sam sawaal karta hai “aksh, yeh sab kya hai..?? inn logo ke chehro se toh lag raha hai ki hamari condition bahut hi jyada kharab hai”

Aksh “I think, tuje yeh baat commander se hi sunni chahiye”


Sam bina deri kiye hue sidhe Head aur Bennet ke pass pahuch gaya aur Head se pucha “sir..baat kya hai..??”

Commander “sam, we lost everyone, ab sirf tum dono hi bache ho”


Sam aur akshita ek saath chillate hai “what..?? how..??”

Bennet “sam, pichle week ke compare me casualties bahut hi jyada high rahi hai..upar se yeh haadse itne jyada ajeeb hai ki muje kuch bhi samaj me nahi aa raha”


Sam ekdum se serious hote hue puchta hai “bennet, baat kya hai..??”

Bennet “tere yaaha se jaane ke baad..yaani ke iss ek hafte me Zorians ne hamari 60% team ko already khatam kar diya tha..aur baaki ki 40% team achanak se gayab ho chuki hai”


Bennet ki baat sunkar sam ko jatka laga, jatka isliye ki usne ek agent ke muh se aise baat suni thi jo ki impossible hai “gayab..?? kese..??”

Bennet “pata nahi, lekin jaha par Delta aur Bravo team thi, uss jagah se muje kuch ajib se energy signatures mile hai..aur jab tak mai uss energy ko trace karke study kar pau usse pehle toh voh energy hi gayab ho jaati hai, aur toh aur jabse maine uss energy ko dekha hai tabse hi hum apni dono hi team se contact nahi kar paa rahe hai”

Sam “nahi ho paa raha, matlab..?? aur baaki ki teams ka kya hua..?? Tune abhi yeh kaha ki hamari sari army khatam ho chuki hai..iska kya matlab hai..?? Aur tu itne yaakeen se kese keh sakta hai ki hamari puri army hi nahi rahi”

Bennet “ha sam, tune sahi suna..Zorians se ho rahi ladai ki sari report hume Delta aur Bravo team se milti thi, but ek week se unse koi contact nahi kar paa raha hu”

Sam “bennet contact naa kar paana aur army khatan hona, yeh toh koi reason nahi hua..maybe shayad connection problem ho”

Bennet “maine bhi pehle yahi socha tha, lekin jab kisi se contact nahi hua toh maine traffic cams ki madad li, aur muje yeh mila..”
Aur usne ek traffic cam ki footage chala di

Room ke bicho bich ek badi si transparent screen me voh clip dikahyi dene lagi, uss clip kp dekhkar Sam aur Akshita ke chehre par bahut sare bhaav ek saath aaye

Sam apne baalo ko khujate hue bennet se sawal karta hai, jese ki bennet ne uske saath koi majak kiya ho “bennet, yeh majak ka time nahi hai”

Bennet “mai majak nahi kar raha, bravo aur delta team ko inhone hi khatam kiya hai”


Yeh sunkar sam aur akshita ek dusre ke chehre dene lage, aur fir dono ne apni najar firse uss transparent screen ki aur ghumayi aur dono hi ek saath chaunkte hue bole “DINOSAURS”

To be continued…
Update 3

Hahahaha mera last guess sahi nikala aur Sam aur Aksh ka chamdi wala lafda..?

Abhi tak kuch clear nhi h.. ye sab kaha aur kis earth pe ho rha h... Aur Delta aur Bravo team ko dinosaurs ne pel diya.. lagta h ye kahi aur earth se aye honge trans dimensional travelling kr ke ,ya laaya gaya hoga yaha zorians k dwara... Dekhte h aage kya hota hai.. lekin Bada sawal Ye Zorians kaun h? Inki ma ko RAGA pele ????
 
Last edited:
  • Love
Reactions: Milan2010
Top