• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
superb & interesting start bhai
dekhte hain kahani aage kya kya rang dikhati hai
:thanks: zopian bhai :dost:
par bhai, yeh story ka second part hai, toh aapse request karta hu ki aap pehle iska first part padhe
first part ki link story ke first post available hai
 
  • Like
Reactions: Rahul

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Very nice update
Kafi kuch yha uljha hua tha jo dheere dheere clear hoti ja rhi hai sam ne jo andaza lagaya hai woh sahi lga rha hai.lekin abhi abhi suspense bna hua hai ki manthan2 ki maut kaise hui or dusri baat akhir aarav,pathik or siddhi sath mein kaise hai ku ki aarav toh dusre universe se belong krta hai.teesri baat manthan1 or paridihi kaha hai.ab dekhna ye hai kis tarah se inki entry hoti hai story mein
:thanks: kirti ji :hug: Kirti.s
haa, suspence toh abhi se hai aage, saath bane rahiye :dost:
aasha karta hu ke aapke sare sawal aane vale updates me mil jayenge :dost:
 
  • Like
Reactions: Rahul and Kirti.s

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 16 (Prithvi par Ho kya Raha hai)

Pathik “aarav, yeh sach nahi hai..tu bhi jaanta hai ki Manthan Pari se bahut hi jyada pyaar karta tha..apni jaan se bhi jyada, voh Pari ko kabhi nahi maar sakta, voh sirf ek hadsa tha aur kuch nahi”

Lekin aarav kuch nahi sunta aur vanha se chala jaata hai, iske baad Pathik aur siddhi ke kehne par Sam aur Akshita unn dono ko saari baate bata dete hai ki kese Zorians ne unn par hamla kiya aur kese voh dono yanha par aa pahuche

Ab aage…

Raat ne apni pakad puri tarah se jama li thi, Sam aur Akshita apne waqt ke haalat inn logo ko bata chuke the, haalat itne jyada bure ho jayenge yeh sam ya akshita kisine bhi nahi socha tha
Isiliye hamesa kaha gaya hai, kudrat ke saath hume kabhi bhi khilwaad nahi karni chahiye, chahe kuch bhi ho, kudrat hamesa se insaano se ekdum aage rahi hai aur hamesa voh insaasno se aage hi rahegi

Sam, Akshita, Siddhi aur Pathik charo hi log chup-chap uss chand ki roshni ke niche baithe the, halaki kisi ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki akhir ab kya kiya jaaye, Siddhi uss chuppi ko todte hue kehti hai “agar hum unhe nahi rok paaye toh..?? agar Zorians se hum haar jaate hai toh sab kuch khatam ho jayega”

Siddhi ki baat ki gambharita ko samajte hue Akshita bhi Sam se ek sawaal karti hai “sam, kuch toh bol, koi toh rasta hoga jisse hum yeh ladayi jeet sakte hai”

Sam bhi kya kehta hai, voh toh yeh soch soch kar pagal hue jaa raha tha ki waqt ke saath Zorians chedchad kese kar sakte hai, esi toh kya vajah rahi hogi ki Zorians ko time-travel karna pad raha tha, “aksh, hum kuch bhi nahi kar sakta, atleast tab toh kuch bhi nahi jabtak hum yeh maalum naa chal jaaye ki aakhir voh time-portals kese bane”

Akshita “sam, agar aisa hi chalta raha toh yanha par sab kuch khatam ho jayega, aaj ke saath hamare aane vaala kal juda hua hai”
voh sam ki aur dekhte hue kehti hai “tu samaj raha haina sam, agar aaj yanha par sab log maare jaate hai, toh hum kabhi janam hi nahi lenge”

Akshita ki baato ko sochte hue sam kehta hai “godfrey ko bahar laana hoga, sirf vahi ek hai jo ab hamari madad kar sakta hai”

Akshita “sam, par kya yeh thik hoga..??”

Sam “aur koi rasta nahi hai aksh, hume har ek chiz ko firse dekhna hoga, kahi par kuch toh hai jo chut raha hai, kuch aisa hai jo hum abhi bhi nahi samaj paa rahe hai”

Akshita “kya tuje lagta hai ki Godfrey yaanha kaam karega”

Sam “pata lagan aka ek hi tarika hai” ek baar akshita ki aur dekhta hai, aur uske baad voh apni watch me kuch buttons dabakar kehta hai “Godfrey, search the time-line, kahi par bhi..I repeat kahi par bhi time-travel hone ke baare kuch bhi details milti hai toh muje fauran batao”

Uske baad uski watch me data analysing ki notification blink karne lagti hai “it’s working” aur sam uss watch ki screen ko band kar deta hai, aur uske baad voh pathik se kehta hai “tumhara dost..manthan, kaun hai voh”

Par pathik kuch kehta uske pehle aarav daudte hue vaha aata hai aur haanfte hue kehne laga “pathik, yaha se 2 km dur, kuch gadbad hai bhai”

Pathik “ohhh shit..vaha par toh food stalls hai, agar voh khatam ho gaya toh bahut badi problem ho jayegi, ab hum kya kare”

Aarav “hume kisi bhi haalat me vaanha jaana hoga, agar Zorians ya dinosaurs hue toh..?? sab kuch tabah ho jayega” aur voh dono hi base se bahar jaane lage

Unhe jaata dekh Akshita aur sam bhi unke piche chale jaate hai aur sam Pathik se kehta hai “we are coming too”

Pathik sam ki aur dekhte hue kehta hai “thanks, hume madad mil jayegi”

Voh sab malbo ki aad lete hue aage badh rahe the, sabhi ke chehre par darr saaf dikhayi de raha tha kyunki unhe vaha ke haalat ke baare me koyi jaankari nahi thi
Voh bas aaram se bina koi shor kiye dheere dheere aage badh rahe the, abhi tak unhe aisa kuch nahi dikhata..lekin dik me ek darr jarur tha ki agar voh hamla Zorians ne kiya hoga toh voh kya karenge
Kuch der chalne ke baad voh charo uss jagah pahuch jaate hai aur Vaha pahuchte hi Pathik sawaal karta hai “yeh kya..?? yanha par toh kuch bhi nahi hai, sabkuch ek dum shaant hai” voh charo aur dekhte hue kehta hai

Aarav “yeh kese ho sakta hai, maine khud suna tha, radio telecast ho raha tha ki yaanha par…” voh bolte hue ruk jaata hai

Pathik apne haatho se ishara karte hue kehta hai “aarav, par mere bhai yanha par kuch bhi nahi hai”

Aarav isspar kuch nahi bolta, lekin Akshita ek sawaal karti hai “pathik, yeh nishan…yeh kis chiz ke nishaan hai” apne daaye taraf ishara karte hue kehti hai

Pathik uss taraf dekhkar kehta hai “pata nahi, yeh nishaan maine bhi kahi jagaho par dekhe hai, lekin aajtak kabhi samaj nahi paaya”

Akshita chalte hue uss nishan ke karib jaakar kehti hai “sam yeh ajeeb haina, iss nishaan ka baar-baar hamare samne aana, tuje kuch ajeeb nahi lag raha..??”

Sam “aakhir yeh sab chal kya raha hai, meri tu kuch bhi samaj me nahi aa raha” aur fir uski najar ek chamakdaar chiz par padti hai “voh kya hai” kehte hue voh uss chiz ki aur jaane laga ki achanak se voh roshni ek dum badi gayi aur teji se inn sabhi ki aur aane lagi

Sam turant hi chillate hue kehta hai “get down” kehte hue usne akshita ko pakada aur side me kud gaya
Uss roshni ki raftaar itne tej thi ki palak japakte hi voh vaha se gaayab ho gayi, Sam khudko sambhal kar khada hua aur uss roshni ko dhundhne laga par use voh dur-dur tak kahi bhi nahi dikhayi di

Pathik chaunkte hue kehta hai “akhir voh kya chiz thi”

Sam “itni raftaar, maine aajtak kisi bhi chiz ko itne tej jaate hue kabhi nahi dekha”

Akshita bhi ab tak khud ko sambhal chuki thi “voh jo kuch bhi tha, yeh nishan usi se bann rahe hai” voh uss naye bane nishan ke pass baith the hue kehti hai

Sam yeh sunkar Akshita ke pass aata hai aur voh dono bhi vanhi par aajate hai, Sam halke gusse se kehta hai “akhir voh hai kya..?? Zorians karna kya chahte hai”

Aarav kehta hai “tum dono ko Zorians ke baare me toh sab pata hai, voh kya chiz ho sakti hai”

Sam “yakeen maan mere bhai, mai khud uss chiz ko pehli baar dekh raha hu”

Isspar koi kuch nahi bolta, voh charo hi log aaspass dekhne lagte hai, tabhi achanak se Sam ki watch awaaz karne lagi, toh sam apni watch ki screen ko activate karta hai
Watch se ek animation bahar aaya aur usme ek notification pop-up hone laga “no records found”

Sam “are you sure Godfrey..??”

Godfrey “positive sir”

Sam “kya lagta hai yaar, yeh sab kya ho raha hai, aur voh chiz..voh kya ho sakti hai”


Godfrey “sir, yeh toh mere liye bhi naya hai, uski energy kaafi alag thi, aur iss tarah ki energy source ke baare me mere system me koi data available nahi hai”


Godfrey ki baat sunkar Sam bhi soch me pad jaata hai, tabhi akshita kehti hai “ek min, kya tumne unknown energy kaha..??”

Godfrey “yes mam”


Akshita bhi kuch sochte hue kehti hai “sam, yaad hai yanha aane se pehle bennet ne bhi kisi unknown energy ke baare me bataya tha”

Sam ko bhi bennet ki voh baat yaad aajati hai jo bennet ne kahi thi, “koi unknown energy mili-seconds ke liye samne aati hai aur fir gayab ho jaati hai” sam akshita ki aur dekhte hue kehta hai

Akshita “agar yeh vahi hai toh..?? jo chiz itne tej rafter se ghum rahi hai usko trace kar paana bahut muskil hai”

Sam kuch sochte hue khada hua, thoda side me aakar turant hi kehta hai “godfrey, tumhe mera ek aur kaam karna hoga”

Godfrey “mere liya kya task hai sir”

Sam “time-portals, janha se hum dono aaye the vanha par bhi koi unknown energy detect hui thi, aur uss energy ko bennet study kar raha tha, ho sakta hai ki shayad bennet ne apna data tumhare system me update kiya ho, I want you to verify all these energy, and also try to compare with each and every data available of Zorians, inn sab ke bich me kuch toh connection hona chahiye”


Godfrey “I am on it sir”

Tabhi achank se Sam ko kisika dhakka lagta hai toh voh apne pait ke bal gir jaata hai, yeh sab itna jaldi me hua ki baaki log kuch samaj nahi paate, aur turant hi vahar ek dum se charo aur bhayankar tarah ki safed roshni fail gayi..uss roshni ki takaat itni jyaada thi sabhi log apni aankhe band kar dete hai

Kuch der pehle
Khair yeh group aapass me baat kar raha tha, iss baat se anjaan ki unse thodi hi dur par ek asadharan si ghatna ghat rahi hai
Ek khuli si jagah me achanak se bicho bich ek roshni dikhayi dene lagi, voh roshni bhi ajeeb si thi, uska kad kariban ek raai ke daane ke jitna hoga, jo dheere dheere karte hue badhne laga, voh roshni dheere dheere karte hue ek bade golakar me tabdil ho gayi aur usme koi daudte hue bahaar aagaya

Voh shaks jo uss roshni se bahar aaya tha voh aakhe sidhe apne ghutno ke bal baith gaya, aur uske baad voh apni aankhe upar karte hue kehta hai “finally..I am Home” aur fir voh roshni achanak se hi gayab ho gayi

Voh shaks jab samne ka najara dekhta hai toh uski ruh kaamp uthti hai, charo aur ekdum ghor sannata tha, roshni ke naam par bas kuch jagaho par aag jal rahi thi
Lekin yeh aag sadharan aag nahi thi..yeh aag thi barbadi ki, hamari prithvi ki barbadi
Charo taraf voh dekh raha tha ki sabkuch tabah ho chukka hai, kahi par bhi insaan ke hone ki maujudgi use nahi dikh rahi thi..yanha tak ki use ek parinda tak naa jameen par aur naa hi asmaan me dikhayi de raha tha

Voh “yeh..yeh…”


To be continued…
 

Kirti.s

Member
404
1,361
123
Awesome update
Sahi h kudrat ke aage aaj tk kiska bas chala hai.jb tk present sahi na ho future kaise sahi ho skta hai kyu ki hamari present ki situation hi hamari future decide krti hai.sam sare ghatnao ko bariki se observe kr rha hai lekin phir bhi woh kahi na kahi chuk ja rha hai.or last mein suspense mein chor diya aap ne lekin jis ki entry hui hai shayad ye wahi(manthan) hai jo in sbko is musibat se bacha skta hai
 

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Update : 15 (Do Ladkiyo ka Rahasya)

Tab tak samne se aarahi ladki ab tak inn sabhi ke pass aa chuki thi “tu muje ghur kyu raha hai..??” aur voh Pathik se sawal karti hai “pathik..yeh log kaun hai..??”

Sam apni aankhe band karte hue kehta hai “nahi..yeh ho kya raha hai mere saath, nahi..yeh nahi ho sakta, it’s impossible, no way it can be true”


Ab aage….

Uss ladki ko dekhkar sam kisi putle ki tarah khada ho jaata hai, voh ektak bina apni palke japkaye hue uss ladki ko hi dekhe jaa raha tha, use yeh tak ehsas nahi tha ki Akshita aur baaki log usse kuch puche jaa rahe the
Sam khud ko sambhal nahi paata aur voh do kadam piche chale jaata hai “how is this possible, it can’t be”

Akshita sam ko jandodkar use sambhalte hue kehti hai “sam..aakhir tuje hua kya hai..??”

Vaha maujud koi bhi shaks sam ke iss bartav ko samaj nahi paa raha tha, aur vahi voh nayi aayi hui ladki bhi sawaliya bhari najro se Sam ko ghure jaa rahi thi, voh pathik se puchti hai “pathik, kaun hai yeh log”

Sam kabhi akshita ki aur dekhta toh kabhi uss ladki ki aur, voh haklate hue hi “t..tt..tttum..tum jinda kese ho..??”

Voh ladki “what do you mean by that..??” halke gusse se sam ko jawab deti hai


Vahi akshita bhi aisa sunkar shock reh jaati hai, voh sam ke chehre ko apni aur karti hai aur uski aankho me dekhte hue kehti hai “sam, sam, tu yeh kya bol raha hai..?? tu theek toh haina..?? please kuch toh bata”

Sam akshita ki aur dekhte hue kehta hai “aksh, I don’t know, yeh impossible hai"

Akshita “kya impossible hai..??”

Sam “agar maine tuje bata bhi diya, tab bhi tu meri baat ka yakeen nahi karegi”

Akshita sawaliya bhari najro se Sam ki aur dekhti hai aur firse puchti hai “sam..baat kya hai..?? please bata muje”

Sam aksh ki aankho me dekhte hue kehta hai “m…mmuujeee..muje vo..vvooohhhh ladki dikhayi de rahi hai, vohi ladki jo mere aankho ke samne mari thi” aur voh uss aayi hui ladki ki aur ishara karta hai

Yeh sunkar sabhi log ajeeb najro se Sam ki aur dekhte hai, jabki akshita kabhi sam ki aur dekhti toh kabhi uss ladki ki aur dekhti, voh sam se sawaal karti hai “yeh kese ho sakta hai sam, yeh koi aur hai”

Sam “yeh vahi ladki hai jo meri aankho ke samne mari thi, maine kaha thana, yeh impossible hai”

Akshita “sam, yeh impossible hi hai, tune jis ladki ko dekha voh 31st century me thi, aur yeh ladki 21st century se belong karti hai”

Tabhi voh ladki kehti hai “wait wait wait wait, kya tumne abhi abhi 31st century kaha..??” fir voh pathik ki aur dekhte hue kehti hai “pathik, muje janna hai ki aakhir yanha par ho kya raha hai..?? aur yeh dono kaun log hai..??”

Sam uss ladki se sawaal karta hai “maine khud dekha tha, you have die infront of my eyes”

Toh voh ladki kehti hai “aapke kehne ka matlab kya hai..?? you mean to say I am dead..??”

Pathik uss ladki ke sawaal ka jawab deta hai “yeh dono time-travellers hai, yeh future se hamari madad karne ke liye aaye hai”

Voh ladki ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki voh kya kahe, time travel ke baare me sunkar uska dimaag chakrane lagta hai toh voh pathik se ishare me puchti hai ki yeh sab kya ho raha hai, uske baad pathik uss ladki ko sabkuch bata deta hai jo vo janta tha
Yeh sunkar voh ladki ajeeb se najro se kabhi pathik ko dekhti hai toh kabhi unn dono ko, kyunki yeh jo pathik ne abhi kaha voh use kisi sci-fic film se kam nahi lag raha tha, kyunki aisa kuch iss haal me sunna kaafi ajeeb tha

Aksh “sam are you sure ki yeh vahi ladki thi jise tumne marte dekha tha..??”

Sam ko lag raha tha ki voh uss mari hui ladki ko dekh raha hai..jabki sachayi yeh thi voh ladki mari nahi thi..balki voh zinda thi aur uske aankho ke samne khadi thi
Sam “akhir yeh sab ho kya raha hai..??”

Pathik ko achanak se kuch yaad aata hai toh voh sam se sawaal karta hai “wait a second, tumne Siddhi ko marte hue kab dekha tha..??”

Sam sawaliya bhari najro se pathik ki aur dekhta hai, toh pathik use uss ladki ki aur ishara karte hue kehta hai “I mean ki ise tumne marte hue kab dekha tha..??”

Sam iss baat ka jawab deta hai “karib 1 hafte pehle, muje yaad hai ki mai mission par tha, aur apni team se alag ho gaya tha”

Tabhi aarav use bich me rokte hue kahta hai “guys, agar yeh baate hum thode alag jaakar kare toh jyada behtar rahega, mere khayal se yeh baate inn logo ko naahi pata chale” voh baakiyo ki aur ishara karte hue kehta hai

Aarav ki baat par sabhi log haami bharte hai aur voh log baakiyo se alag hokar side me aajate hai aur uske baad Sam uss din ki ghatna suna tha jis se voh puri tarah tut chukka tha aur apni position se resign tak de diya tha

Ek Hafte Pehle

Sam apni team ke saath ek mission par tha, mission unn logo ko bachana ke tha jo Zorians ke Coronal City par kiye gaye hamle ke dauran bach gaye the
Same raat ke karib 11 baje apni team ko lekar Coronal City me ghum raha tha, akshar humne dekha hai raat ke iss waqt bhi seher ki sadako par logo ki kaafi bheed jami rehti hai..lekin aaj aisa nahi tha, Zorians ke dwara kiye gaye hamle me pura Coronal City tabah ho gaya tha..lekin kuch jagah esi thi ki jaha par nuksaan kam hua tha..matlab ki vaha par logo ke zinda hone ki ummid jatayi jaa rahi thi
High Command se order milte hi Sam apni team lekar Coronal City ke uss ilake me pahuch gaya tha..aur unke report ke anusar yaanha par bhi bhi kuch log the jo jinda toh bach gaye the lekin unke haalat jyada ache nahi the, aur kahiyo ki haalat bahut hi jyada naajuk the

Sam aur baakiyo ko kaafi muskile aa rahi thi, ek taraf raat ko ghor andhera aur sehar ke tabah hone ki vajah se gira hua malba unhe kaafi dikkate de rahe the, lekin fir bhi yeh log haar mane bina apna pura jor lagakar logo ko vanha se nikal rahe the
Sam apni team se kehta hai “okay listen team, as per our reports, yanha par logo ke jinda hone ki ummid thi, and we have found them, but I think shayad sehar ke andar bhi aur koi ho sakta hai, toh mai aur andar jaa raha hu” fir vo ruk kar kehta hai “jald se jald inn logo ko meditown transfer karwaye, aur yaad rahe, kahi par bhi..kuch bhi harkat ho, fauran yanha se bahar nikal jaana, is that clear..??”

Team “yes sir”
aur itna kehte hi sam apni team se thoda dur aagaya

Sam chalte hue apni charo aur dekh raha tha, par abhi tak use koi bhi zinda insaan nahi mila tha, voh iss ummid se aage badh raha tha ki shayad koi bacha ho, lekin use har raste par sirf nirasha hi mil rahi thi, janha se bhi voh gujar raha tha har jagaho par insano ki laashe hi giri hui thi
Sam chalte hue kaafi dur nikal aaya tha aur use bhi ab yeh lagne laga tha ki shayad ab iss sehar me aur koi nahi bacha hai “muje nahi lagta ki yaha par koi hoga, ab muje vapas jaana chahiye” aur voh vaha se jese hi piche muda uski najar samne daudte hue aa rahi uss ladki ki aur gayi

Achanak se iss ladki ko dekh voh chaunk jaata hai, kyunki jab voh vanha se aaya tab use koi nahi dikh raha tha, lekin achanak se iss ladki ko dekh voh thoda hadbada jaata hai
Sam ektak uss ladki ko hi dekhe jaa raha tha, use yeh toh pata chal gaya ki voh ladki apni jaan bachane ke liye bhaag rahi hai, aur voh kuch karta uske pehle hi vahi pass me rahi ardh tuti hui imarat ki voh deewal, achanak se uss ladki ke upar gir gayi, aur deewar ke saath uss ladki ki dard bhari chikh charo aur gunj uthi
Sam iss haadse ko dekh nahi paaya, voh vahi par apne ghunto ke pal baith gaya aur usne apni aankhe band kar li

Sam kaafi der tak vahi par baitha rahta hai jabtak Akshita vanha par nahi aa jati, voh Sam ko dhundte hue yanha par aa pahuchi thi aur use sam vaha par raste me baithe hue dekh gaya, toh voh turant daudte hue sam ke pass gayi aur usko pakadte hue kehti hai “sam..sam, are you okay..??”

Lekin sam ko toh jese hosh hi nahi tha, akshita ne use hilate hue firse pucha “sam..tuje ho kya gaya hai..?? aur tu calls ka respond kyu nahi kar raha tha..upar se tera GPS tak kaam nahi kar raha tha, aur naa hi tune pichle 1 ghante se hum mese kisi se bhi contact karne ki koshish ki”

Sam ne fir uske samne giri hui building ki aur ishara karte hue kaha “aksh..mai yahi par tha..voh ladki, voh mujse madad mangne aayi thi aur mai..mai kuch nahi kar paaya, Akshita..voh samne mari hai..meri aankho ke samne, aur mai bas sirf use dekhta hi reh gaya, mai usko bacha sakta tha Aksh..lekin, lekin mai use nahi bacha paaya” kehte hue voh rone laga


Back To present

Sam ki puri baat sunkar sabse jyada shock Siddhi aur Aarav ko laga, kyunki jo kuch bhi Sam ne abhi bataya voh kuch kuch Siddhi ke saath ghati ghatna ke saman tha, siddhi puchti hai “kya uss ladki ne mehendi colour ke kapde pehne hue the..?? aur usko kuch chot lagi thi..??”

Sam turant hi siddhi ke sawal ka jawab deta hai “haa, aur uske haath me chot bhi lagi hui thi”

Siddhi usse kehti hai “aapki baat ekdum sahi hai” voh apna haath dikhati hai jispar pattiya lagi hui thi “mere saath asi hi ek ghatna ghati thi, par voh building naa hokar ek pole tha, aur voh pole mere hi upar girne vala tha, lekin akhri waqt par aarav ne muje bacha liya tha, aur usi dauran meri chikh bhi nikal gayi thi”

Pathik ko iss waqt kuch samaj me nahi aa raha tha, voh turant bol padta hai “ek min, Siddhi yeh jo hadsa tere saath hua tha” usne siddhi ki aur ishara kiya “toh yeh sam ko kese dikhayi diya..??” fir Pathik apni hi bat ko samjate hue kehta hai “mera matlab tha ki aap dono 31st century se belong karte hai, aur humsab” voh sabki aur ishare karte hue “21st century me jee rahe hai, toh yeh kese possible ho sakta hai”

Aksh “wait wait, kuch toh gadbad hai yanha, shayad yahi vajah thi ki muje voh hada asadharan sa lag raha tha”


Sam akshita ki aur sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “kya matlab..??”

Akshita “sam, ek baat hai jo maine tuje nahi batayi, muje uss waqt hi yeh mehsus ho gaya tha ki kuch toh gadbad hai, par tujpar itna yakeen tha ki maine laaparwahi kar di”

Sam “laaparwahi..?? tu kehna kya chahti hai” ko kuch samaj me nahi aa raha tha

Akshita “sam, jab tere kehne par hamari team ne unn malbo ko hataya tab maine dekha tha..uss ladki ne pink top aur black jeans pehna hua tha, aur usski lash..voh deewar girne ki vajah se kuchal gayi thi..lekin fir bhi maine ek baat notice ki thi..uske sharir ke kuch hisse halke se jale hue lag rahe the, par uss waqt muje teri fikar ho rahi thi, so maine iss baat par jyada dhyaan nahi diya, par siddhi ki baat sunkar aur jab tune uske kapdo ke baare me bataya, now I am definitely sure ki tune jis ladki ko marte hue dekha tha, uski maut building ke girne ki vajah se nahi hui thi”

Sam “yaani voh ladki pehle se hi mari hui thi”
voh kuch sochte hue “haa, muje ache se yaad hai ki jab mai vanha se gujra toh koi bhi zinda nahi tha, bahut si laashe vaha par thi, aur jab muje kuch naa mila toh mai vapas aane ke liye muda tha..aur uss waqt maine siddhi ko bhagte hue dekha”

Akshita “iska matlab samaj raha haina tu..??”
voh sam ki aur dekhte hue kehti hai

Sam “haa aksh, voh portal Coronal City ko Mumbai se jodta hai”

Pathik “par yeh kese ho sakta hai..?? it’s impossible, kyunki siddhi ya humne kabhi time-travel nahi kiya, naa ese koi hadse hamare saath hue hai”

Sam “haa pathik tum log ne nahi kiya, lekin mai kahi baar Mumbai aa chukka hu, aur shayad uss raat bhi mere saath yahi hua tha”


Akshita “haa, infact sam ko yaha ke local transport bus ki ticket bhi mili thi, some like Dadar to Panvel” aur fir voh sam ki aur dekhte hue kehta hai “sam, mere khayal se inhe dinosaurs ke baare me bhi bata dena chahiye”

Siddhi thoda chillate hue kehti hai “dinosaurs..??”

Aksh “haa..dinosaurs”

Siddhi “yaani mai sahi tha..maine sach me dinosaurs ko dekha tha, lekin meri baat par kisine yakeen nahi kiya”

Akshita “sam, jese tum galti se kahi baar aagaye the, toh kya aisa possible nahi ho sakta ki dinosaurs bhi galti se apne waqt se hamare aur inke waqt me aa rahe hai”


Sam “bilkul ho sakta hai, aur shayad hamare Pruthvi ki yeh haalat dekhkar voh samaj nahi paate aur voh bekaabu ho jaate hai”

Siddhi asamaj bhav se darte hue puchti hai “iska kya matlab ho sakta hai”

Sam “mai nahi janta”
voh rukte hue bolta hai “filhaal toh sabse bada sawal yah hai ki iski shuruwat kaha se hui, aur yeh waqt ke saath aisa kyu ho raha hai..??”

Sab log chup chap baithe the, sam ne ek aisa sawaal kiya tha jiska jawab kisi ke bhi pass nahi tha, Siddhi “kya aapko lagta hai ki hum kabhi zorians se zinda bach paayenge”

Sam “vese toh yeh ladayi hamari thi, kyunki zorians ka humla humare waqt me hua tha, par ab lagta hai ki hume yeh zung saath milkar ladni hogi”

Siddhi “aap log toh future se aaye hai, agar aapko hi nahi pata ki yeh sab kyu aur kese ho raha hai toh” voh aage kuch nahi bol paati

Pathik “kaash ke aaj manthan zinda hota, sirf vahi ek tha jise inn sab chizo ke baare me knowledge tha, kaash ke voh zinda hota..toh aaj hume bahut madad mil jaati”

Manthan ka naam sunte hu aarav ka gussa satve asmaan par pahuch jaata hai, voh gusse me chillate hue kehta hai “voh ek kaatil ke alawa aur kuch nahi hai, agar voh zinda bhi hota toh mai khud use apne haatho se maar deta”

Sam ajeeb sa chehra banate hue kehta hai “mai kuch samja nahi”

Aarav vese hi gusse me kehta hai “he bloody killed my sister”

Pathik “aarav, yeh sach nahi hai..tu bhi jaanta hai ki Manthan Pari se bahut hi jyada pyaar karta tha..apni jaan se bhi jyada, voh Pari ko kabhi nahi maar sakta, voh sirf ek hadsa tha aur kuch nahi”


Lekin aarav kuch nahi sunta aur vanha se chala jaata hai, iske baad Pathik aur siddhi ke kehne par Sam aur Akshita unn dono ko saari baate bata dete hai ki kese Zorians ne unn par hamla kiya aur kese voh dono yanha par aa pahuche

To be continued….

.ye abhi mere smjh mak aa rha thoda thoda pehli bat ye jo manthan pathik aur siddhi hai ye us dimension ke hai jha se part 1 mai manthan aaya tha av aage dekhte hai kya hota
 
  • Love
  • Like
Reactions: Milan2010 and Rahul

Rahul

Kingkong
60,556
70,670
354
wonderfull update pyare bhai:dost:
 
  • Love
Reactions: Milan2010

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Av
Update : 16 (Prithvi par Ho kya Raha hai)

Pathik “aarav, yeh sach nahi hai..tu bhi jaanta hai ki Manthan Pari se bahut hi jyada pyaar karta tha..apni jaan se bhi jyada, voh Pari ko kabhi nahi maar sakta, voh sirf ek hadsa tha aur kuch nahi”

Lekin aarav kuch nahi sunta aur vanha se chala jaata hai, iske baad Pathik aur siddhi ke kehne par Sam aur Akshita unn dono ko saari baate bata dete hai ki kese Zorians ne unn par hamla kiya aur kese voh dono yanha par aa pahuche

Ab aage…

Raat ne apni pakad puri tarah se jama li thi, Sam aur Akshita apne waqt ke haalat inn logo ko bata chuke the, haalat itne jyada bure ho jayenge yeh sam ya akshita kisine bhi nahi socha tha
Isiliye hamesa kaha gaya hai, kudrat ke saath hume kabhi bhi khilwaad nahi karni chahiye, chahe kuch bhi ho, kudrat hamesa se insaano se ekdum aage rahi hai aur hamesa voh insaasno se aage hi rahegi

Sam, Akshita, Siddhi aur Pathik charo hi log chup-chap uss chand ki roshni ke niche baithe the, halaki kisi ko kuch bhi samaj me nahi aa raha tha ki akhir ab kya kiya jaaye, Siddhi uss chuppi ko todte hue kehti hai “agar hum unhe nahi rok paaye toh..?? agar Zorians se hum haar jaate hai toh sab kuch khatam ho jayega”

Siddhi ki baat ki gambharita ko samajte hue Akshita bhi Sam se ek sawaal karti hai “sam, kuch toh bol, koi toh rasta hoga jisse hum yeh ladayi jeet sakte hai”

Sam bhi kya kehta hai, voh toh yeh soch soch kar pagal hue jaa raha tha ki waqt ke saath Zorians chedchad kese kar sakte hai, esi toh kya vajah rahi hogi ki Zorians ko time-travel karna pad raha tha, “aksh, hum kuch bhi nahi kar sakta, atleast tab toh kuch bhi nahi jabtak hum yeh maalum naa chal jaaye ki aakhir voh time-portals kese bane”

Akshita “sam, agar aisa hi chalta raha toh yanha par sab kuch khatam ho jayega, aaj ke saath hamare aane vaala kal juda hua hai”
voh sam ki aur dekhte hue kehti hai “tu samaj raha haina sam, agar aaj yanha par sab log maare jaate hai, toh hum kabhi janam hi nahi lenge”

Akshita ki baato ko sochte hue sam kehta hai “godfrey ko bahar laana hoga, sirf vahi ek hai jo ab hamari madad kar sakta hai”

Akshita “sam, par kya yeh thik hoga..??”

Sam “aur koi rasta nahi hai aksh, hume har ek chiz ko firse dekhna hoga, kahi par kuch toh hai jo chut raha hai, kuch aisa hai jo hum abhi bhi nahi samaj paa rahe hai”

Akshita “kya tuje lagta hai ki Godfrey yaanha kaam karega”


Sam “pata lagan aka ek hi tarika hai” ek baar akshita ki aur dekhta hai, aur uske baad voh apni watch me kuch buttons dabakar kehta hai “Godfrey, search the time-line, kahi par bhi..I repeat kahi par bhi time-travel hone ke baare kuch bhi details milti hai toh muje fauran batao”

Uske baad uski watch me data analysing ki notification blink karne lagti hai “it’s working” aur sam uss watch ki screen ko band kar deta hai, aur uske baad voh pathik se kehta hai “tumhara dost..manthan, kaun hai voh”

Par pathik kuch kehta uske pehle aarav daudte hue vaha aata hai aur haanfte hue kehne laga “pathik, yaha se 2 km dur, kuch gadbad hai bhai”

Pathik “ohhh shit..vaha par toh food stalls hai, agar voh khatam ho gaya toh bahut badi problem ho jayegi, ab hum kya kare”

Aarav “hume kisi bhi haalat me vaanha jaana hoga, agar Zorians ya dinosaurs hue toh..?? sab kuch tabah ho jayega” aur voh dono hi base se bahar jaane lage

Unhe jaata dekh Akshita aur sam bhi unke piche chale jaate hai aur sam Pathik se kehta hai “we are coming too”

Pathik sam ki aur dekhte hue kehta hai “thanks, hume madad mil jayegi”

Voh sab malbo ki aad lete hue aage badh rahe the, sabhi ke chehre par darr saaf dikhayi de raha tha kyunki unhe vaha ke haalat ke baare me koyi jaankari nahi thi
Voh bas aaram se bina koi shor kiye dheere dheere aage badh rahe the, abhi tak unhe aisa kuch nahi dikhata..lekin dik me ek darr jarur tha ki agar voh hamla Zorians ne kiya hoga toh voh kya karenge
Kuch der chalne ke baad voh charo uss jagah pahuch jaate hai aur Vaha pahuchte hi Pathik sawaal karta hai “yeh kya..?? yanha par toh kuch bhi nahi hai, sabkuch ek dum shaant hai” voh charo aur dekhte hue kehta hai

Aarav “yeh kese ho sakta hai, maine khud suna tha, radio telecast ho raha tha ki yaanha par…” voh bolte hue ruk jaata hai

Pathik apne haatho se ishara karte hue kehta hai “aarav, par mere bhai yanha par kuch bhi nahi hai”

Aarav isspar kuch nahi bolta, lekin Akshita ek sawaal karti hai “pathik, yeh nishan…yeh kis chiz ke nishaan hai” apne daaye taraf ishara karte hue kehti hai

Pathik uss taraf dekhkar kehta hai “pata nahi, yeh nishaan maine bhi kahi jagaho par dekhe hai, lekin aajtak kabhi samaj nahi paaya”

Akshita chalte hue uss nishan ke karib jaakar kehti hai “sam yeh ajeeb haina, iss nishaan ka baar-baar hamare samne aana, tuje kuch ajeeb nahi lag raha..??”

Sam “aakhir yeh sab chal kya raha hai, meri tu kuch bhi samaj me nahi aa raha”
aur fir uski najar ek chamakdaar chiz par padti hai “voh kya hai” kehte hue voh uss chiz ki aur jaane laga ki achanak se voh roshni ek dum badi gayi aur teji se inn sabhi ki aur aane lagi

Sam turant hi chillate hue kehta hai “get down” kehte hue usne akshita ko pakada aur side me kud gaya
Uss roshni ki raftaar itne tej thi ki palak japakte hi voh vaha se gaayab ho gayi, Sam khudko sambhal kar khada hua aur uss roshni ko dhundhne laga par use voh dur-dur tak kahi bhi nahi dikhayi di

Pathik chaunkte hue kehta hai “akhir voh kya chiz thi”

Sam “itni raftaar, maine aajtak kisi bhi chiz ko itne tej jaate hue kabhi nahi dekha”


Akshita bhi ab tak khud ko sambhal chuki thi “voh jo kuch bhi tha, yeh nishan usi se bann rahe hai” voh uss naye bane nishan ke pass baith the hue kehti hai

Sam yeh sunkar Akshita ke pass aata hai aur voh dono bhi vanhi par aajate hai, Sam halke gusse se kehta hai “akhir voh hai kya..?? Zorians karna kya chahte hai”

Aarav kehta hai “tum dono ko Zorians ke baare me toh sab pata hai, voh kya chiz ho sakti hai”

Sam “yakeen maan mere bhai, mai khud uss chiz ko pehli baar dekh raha hu”


Isspar koi kuch nahi bolta, voh charo hi log aaspass dekhne lagte hai, tabhi achanak se Sam ki watch awaaz karne lagi, toh sam apni watch ki screen ko activate karta hai
Watch se ek animation bahar aaya aur usme ek notification pop-up hone laga “no records found”

Sam “are you sure Godfrey..??”

Godfrey “positive sir”

Sam “kya lagta hai yaar, yeh sab kya ho raha hai, aur voh chiz..voh kya ho sakti hai”

Godfrey “sir, yeh toh mere liye bhi naya hai, uski energy kaafi alag thi, aur iss tarah ki energy source ke baare me mere system me koi data available nahi hai”


Godfrey ki baat sunkar Sam bhi soch me pad jaata hai, tabhi akshita kehti hai “ek min, kya tumne unknown energy kaha..??”

Godfrey “yes mam”


Akshita bhi kuch sochte hue kehti hai “sam, yaad hai yanha aane se pehle bennet ne bhi kisi unknown energy ke baare me bataya tha”

Sam ko bhi bennet ki voh baat yaad aajati hai jo bennet ne kahi thi, “koi unknown energy mili-seconds ke liye samne aati hai aur fir gayab ho jaati hai” sam akshita ki aur dekhte hue kehta hai

Akshita “agar yeh vahi hai toh..?? jo chiz itne tej rafter se ghum rahi hai usko trace kar paana bahut muskil hai”

Sam kuch sochte hue khada hua, thoda side me aakar turant hi kehta hai “godfrey, tumhe mera ek aur kaam karna hoga”

Godfrey “mere liya kya task hai sir”

Sam “time-portals, janha se hum dono aaye the vanha par bhi koi unknown energy detect hui thi, aur uss energy ko bennet study kar raha tha, ho sakta hai ki shayad bennet ne apna data tumhare system me update kiya ho, I want you to verify all these energy, and also try to compare with each and every data available of Zorians, inn sab ke bich me kuch toh connection hona chahiye”


Godfrey “I am on it sir”

Tabhi achank se Sam ko kisika dhakka lagta hai toh voh apne pait ke bal gir jaata hai, yeh sab itna jaldi me hua ki baaki log kuch samaj nahi paate, aur turant hi vahar ek dum se charo aur bhayankar tarah ki safed roshni fail gayi..uss roshni ki takaat itni jyaada thi sabhi log apni aankhe band kar dete hai

Kuch der pehle
Khair yeh group aapass me baat kar raha tha, iss baat se anjaan ki unse thodi hi dur par ek asadharan si ghatna ghat rahi hai
Ek khuli si jagah me achanak se bicho bich ek roshni dikhayi dene lagi, voh roshni bhi ajeeb si thi, uska kad kariban ek raai ke daane ke jitna hoga, jo dheere dheere karte hue badhne laga, voh roshni dheere dheere karte hue ek bade golakar me tabdil ho gayi aur usme koi daudte hue bahaar aagaya

Voh shaks jo uss roshni se bahar aaya tha voh aakhe sidhe apne ghutno ke bal baith gaya, aur uske baad voh apni aankhe upar karte hue kehta hai “finally..I am Home” aur fir voh roshni achanak se hi gayab ho gayi

Voh shaks jab samne ka najara dekhta hai toh uski ruh kaamp uthti hai, charo aur ekdum ghor sannata tha, roshni ke naam par bas kuch jagaho par aag jal rahi thi
Lekin yeh aag sadharan aag nahi thi..yeh aag thi barbadi ki, hamari prithvi ki barbadi
Charo taraf voh dekh raha tha ki sabkuch tabah ho chukka hai, kahi par bhi insaan ke hone ki maujudgi use nahi dikh rahi thi..yanha tak ki use ek parinda tak naa jameen par aur naa hi asmaan me dikhayi de raha tha

Voh “yeh..yeh…”


To be continued…
Ye nyi entry kiski ho gya confus
 
  • Love
Reactions: Milan2010

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Awesome update
Sahi h kudrat ke aage aaj tk kiska bas chala hai.jb tk present sahi na ho future kaise sahi ho skta hai kyu ki hamari present ki situation hi hamari future decide krti hai.sam sare ghatnao ko bariki se observe kr rha hai lekin phir bhi woh kahi na kahi chuk ja rha hai.or last mein suspense mein chor diya aap ne lekin jis ki entry hui hai shayad ye wahi(manthan) hai jo in sbko is musibat se bacha skta hai
:thanks: Kirti.s ji :dost:
haan vahi toh, par pata nahi insaan yeh baat kyu bhul gaya hai
well, aapne jo guess kiya hai voh sahi ya galat yeh toh ab aane wale waqt hi bataega
saath bane rahiye :dost:
 
  • Like
Reactions: Kirti.s
Top