• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Murder..Gehri Sajish (Friendship+Romance+Thriller)

Should I continue this story?

  • Yes

    Votes: 5 71.4%
  • No

    Votes: 2 28.6%

  • Total voters
    7

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
hello everyone
wese toh mai yeh story bahut pehle likh chuka hu, lekin kahi dosto ne mujse iss story ko post karne ke liye kaha
toh maine socha ki kyu na mai iss story ko bhi firse repost karu
meri strange world series ke support ke liye mai apne sabhi readers, sabhi dosto ko shukhiya kehna chahta hu :thanks:
aasha karta hu ki aapko yeh story bhi pasand aayegi
:thanks:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 1 (Kahani ki Shuruwat)

Date : 20 May 2015
Time : 10:30 AM


Kabhi kabar hamari zindagi me ek aisa din aata hai jo hamari puri zindagi hi badal deta hai, kuch aisa ho jaata hai jiski hum insaan kalpana bhi nahi kar sakte
Thik isi tarah aaj ke din kahi saari zindagiya tabah ho gayi thi, kisine apne sabse ache dost ko khoya tha, kisi ne apne jaan se bhi pyaare bhai ko khoya toh kisine apne pyaar ko khoya..aur naa jaane ese kitni hi maasum zindagiya aaj tabaah ho gayi thi

iss waqt DreamLand city (mera imagine kiya hua city) ki high court ke bahar kaafi saari bhid jama hui thi, log badi si taadaat me uss case ki sunvayi ka intezaar kar rahe the jisne pure desh ko hila kar rakh diya tha..media vale lagatar unn drashiyo ko apne camera me kaid kiye jaa rahe the..aise hi thodi hi der me city ka Police Commissioner bhi vaha par aa pahuchta hai aur uss shaks ka intezaar karne laga jise aaj saja sunayi jaane vaali thi

jese jese waqt aage badh raha tha vese vese logo ki bhid badhti jaa rahi thi..bhid ke badhne ki vajah se ab police vaalo ko unhe rokna muskil ho raha tha, haalat bigadte dekhkar commissioner ne apne saathiyo ko command diya "Control the crowds..aur agar na mane toh tear gas aur latthi charge ki jay"

order milte hai police ne apna kaam karna shuru kar diya, police vaale ne bhid ko shant karne ka bahut prayaash kiya lekin log maanne ko taiyaar naa the toh police ko majburan laathi charge karke unhe shant karwana pada

Police valo ne hawa me tear gas ke kayi cells fire kiya aur kuch logo par laathiya barsaryi gayi..karib 20-25 minutes ki kosis ke baad bhid shant ho chuki thi..kyunki ab waqt aa chuka tha uss shaks ke aane ka jiske case ki aaj akhri sunwai hone vali thi

High court ke samne ek high patrol police van aa pahuchi jiske piche police ki aur bhi jeep aajati hai..piche vali jeep mese police vaale nikal kar do hisso me bat jaate hai aur uss patrol van mese ASP bahar aata hai aur commissioner ko salute karta hai

Commissioner ne uske salute ka jawab apna sar hilka diya aur ASP se kaha "open the gate..and get him out"

ASP "YES SIR" aur voh do guards ko aankho ishara karta hai jo uss van ke gate ke pass khade the

Ishara milte hi voh dono guards ne van ka gate open kiya aur ek shaks ko bahar lekar aaye

vo shaks 21 saal ka naujawan ladka tha, dikhne me ekdum handsome..uss ladke ki ek alag hi personality dikh rahi thi, lekin aaj iske haath me lagi hathkadiya uss personality ko feeka kar rahi thi..kaun jaanta tha ki yeh masuum sa dikhne vala ladka ek din khoon karega, kaun jaanta tha ke iss desh ke sabse bade business empire ke eklaute vaarish ko maut ki saja di jayegi

ASP iss shaks ko pakad kar commissioner ke pass le aaya aur uske samne rok deta hai, vahi commissioner ise dekhkar pehle halki si muskurata hai aur fir thode se gusse se "I hope ki tuje fansi ki saja di jaye" aur fir ASP se "Take him"

ASP haste hue use lekar court ke andar jaane laga, lekin iss shaks ke chehre par naa toh koi afsos dikhayi de raha tha aur naa hi koi dukh, balki voh apne chehre par muskurahat liye hue court ke andar jaa raha tha

Jese jese ASP iss shaks ko lekar jaa raha tha vese vese log ke tarah tarah ke taane iss shaks ke kaano me gunj rahe the…koi keh raha tha ki ise iss duniya me rehne ka haq nahi hai..toh koi keh raha tha ki ese ghatiya insaan ko faansi se bhi jyada buri saja di jaani chahiye
Yaha tak ki uski company se aaye hue log iss shaks ke khilaaf murdabad ke naare tak laga rahe the..lekin iss ladke ko toh kuch asar hi nahi ho raha tha..voh ese hi muskurate hue courtroom ke gate tak pahuch gaya

Chehre par muskurahat jarur thi..lekin uski aankho par gaur kare toh aisa prateet ho raha tha jese uski najre kisi khaas vyakti ko khoj rahi hai, voh apne charo aur najar firata tha..lekin use voh naa mila jise voh dhund raha tha

Vahi dusri aur police vaalo ke liye crowd ko sambhalna muskil hote jaa raha tha, lekin yeh haalat me bhi police vale bade sayyam se kaam lete hue bhid ko sambhale hue the

Asp uss ladke ko court room ke samne le aata hai aur uss ladke ko voh mil jaata hai jise voh shuru se dhund raha tha..voh ladki courtroom ke samne hi police protection ke under khadi thi

ASP samaj jaata hai ki voh ladki kaun hai toh voh uske paas ruk jaata hai, aur thik usi pal uss ladki ne jor se uske gaalo par tamcha jad diya
Voh ladka kuch kehta uske pehle hi uss ladki ne ek-ek karke kahi saare thappad uss ladke ko maaarti hai

Vo ladki gusse se "sharam aati hai muje tumhe apna bhai kehte hue, akhir kyu kiya tune aisa..?? kya mila yeh sab karke" uski aankho se aansu nikal padte hai..par vo uski parwah kiye bina kahti hai "I hope ki tuje fansi hi ho..kyunki ab mai tera chehra bhi dekhna nahi chahti" aur uski aankho se aansuo ki dhara behne lagti hai

tabhi vo ladka apne haatho ko upar karta hai aur uss ladki ke aankho me aaye hue aansuo par rakh deta hai..esa karne se vo ladki aur bhi jyada gusse me aajati hai aur gusse me hi apne bhai ke haatho ko jatak deti hai

Ladka yeh dekhkar muskura deta hai aur "tuje pata haina mai kabhi bhi inn aankho me aansu nahi dekh sakta"

Ladki aur bhi jyada gusse me chillate hue "just shut up..go to hell"

Ladka fir muskura deta hai "please gudiya..apna aur sabka khayal rakhna" aur fir ASP iss ladke ko leke andar chale jaata hai

Vo ladki dhire se kahti ha "jab itni hi fikar thi toh aisa ghinona kaam kyu kiya aapne..??"

vo ladka apni behen ki baat sun leta hai par kuch kahta nahi aur vese hi muskurate hue vaha se chala jaata hai..aur vo ladki vahi par khadi khadi jor jor se rone lagti hai

Commissioner apna haath uss ladki ke chehre par rakhte hue "beti sambhalo khud ko..agar aap hi ese tut jaogi to aapke itne bade empire ko kaun sambhalega..?? iss case ki sunwai ke baad aap hi iss empire ki malkin hai, aapko ab khud ke alawa apne dosto ko bhi sambhalna hai"

Commissioner ki baat sunte hue voh ladki unke gale lag jaati hai aur fut-fut kar rone lagti hai..aur kuch der ke baad voh khud apne aansuo ko saaf karti hai aur bina kuch bole voh bhi court room me jaakar baith jaati hai

To be continued....
 
Top