- 658
- 4,704
- 124
JADUI PARIVAAR
Main Chuddakad
Main Chuddakad
I NDEX
Last edited:
Click anywhere to continue browsing...
I NDEX
Nice or mast update
Shandar update
Gjb ki update bro....
Jitna bhi likha bhut achha h,, thoda thoda dene me bhi koi problem ni h,, aur logon k likes ko chhodo,, tumhre andar jo h bss use story k through express krne me maza loo![]()
Bahut hi badhiya update diya hai hemya bhai....
Nice and beautiful update....
Shandar update
Romanchak aur Mazedar Update️
![]()
Nice update
Nice and superb update....
Haa,, pr kyi readers daily ki jgh 3 din me ek bar ya weak me ek bar aate h na,
Mast update
Karan ne mathew ko bata diya kamal ki sachhai shayad mathew bata de kamal ki family ko uski sachhai age chalkar waise kaya pata mathew bhi dhoka de age chalkar karan ko lekin mathew kyon man gaya karan ki madad karne ke liye kya wo bhi apne amrit lok ko kharad se bachana chahta ha
Idhar bhai karan ne kamal ko rupali ki engagement me chalne ko kaha kamal ne mana kiya lekin mathew ke karan kamal ko jana hoga ab dekhte han jab kamal rupali ki engagement me jata ha to sab use dekhkar kaisa reaction dete ha or agar kamal udhar jayega to kuchh to kand hoga hi uski family ke sath shayad takrar hogi
Waiting for next update
Awesome update bro
Karan weds abby or kamal weds Abby?
Aage kya hoga
Excellent update waiting for next
Nice
Awesome update
Awesome update bhai
awesome story bro
Bahut hi lajawab update
Weating for next apdet Bhai
Hello hemya brother,,![]()
waiting for next update bro
Waiting
Nice updateUPDATE 28
Bhediyo ki dheemi saanso ki aavaj har taraf fail hui thi. Vahi usi bich ek killa jo har taraf se bhediyo ke bich tha. Vahi andar do log aapas me jhagad rahe the.
"Yaha pe Kharad ne sare gao apne kabje me kar liye, aur tum kah rah ho ki hame niyamo ka paalan karna chahiye."
"Jamal,vo daivi machhli hamari suraksha karegi jaisa Sukant ne kaha tha."
"Suraksha! aur vo shaitani machhli, Hamari aurato lutere utha ke le jaate hai, hame unse bhi nahi bachha pa rahi aur vo aaspass ke gaavo se kaise bachayegi."Jamal ki aankho me ab gussa tha.
"Jamal main tumhara gussa samjhta hu, lekin us daivi machhli ki vajah se abhi tak kharad ne hamla nahi kiya hai.aur vakt aane par hamari suraksha vahi karegi."
" Kaise? hamare logo ki bali le kar? vo hamare logo tak khaa jaa rahi hai aur tum use ishwar maan rahe ho."
" Jamal ye Sukant ke diye shabd hai jiska main palan kar raha hu, hajaro saalo se usine hamari suraksha ki hai aur aage bhi vahi rasta dikhayegi."
"Main kabhi bhi Sultan ke vicharo ke viruddha nahi hu, lekin unka matlab alag bhi ho sakta hai , vo hame samundar me bhi jaane nahi de rahi hame apni Suraksha khud karni hogi."
"Jamal main tumhari baate samajh sakta hu, lekin kharad ke aage jhukna taane pagalpanti hogi."
Jamal ko pata tha shabhay uski baat nahi manane vaala, vo niyamo ka pakka tha shayad isi vajah se Sukant ne use chhuna, naaki jamal jo ki Shabhay se bahot takatvar bhi tha.
Jamal muh latakate hue us kile se bahar nikla bahar ek taraf jangal tha vaha se samundra bhi dekha Jaa sakta kyuki kila pahado par hone ki vajah se.
Uske bahar aate hi Tambai uske pass aa gaya, uske sath kuch saathi bhi the. Jamal ko nirash dekh vo samajh Gaye ki unke man anusar kuch hua nahi.
_____
Jalti hui aag ki tarah roshni saamne najar aa rahi thi. Ye kisi ozor ka hatiyar nahi tha kyuki ye aag ka rang bata paana mushkil tha. Uska rang puri tarah gahre pital ke sath-sath gahre jamuni aur laal se sajaya gaya tha. saamne khadi chhij bhi koi mamuli hatiyar kahne ki koi gustakhi nahi karta is tarah prabhav us Astra me tha.
Lekin hatiyar pahle Kamal ne kahi to dekha tha.
"Chāyāvrtt"
Kamal ek dam se ghabra gaya naaki shabdo par balki kahne vaale insaan par ye koi nahi balki jise dekh har koi dar jayega.
Kamal ka atit yaani Pritam ekdam uske saamne khada tha.
"Chāyāvrtt tumhara hai."
Aavaj sun gaano me gudgudi hui aur main uth gaya. Meri chhati par soyi Asmita neA ek baar meri taraf dekha.
"Mujhe jaana .. "
Aage kuch bolti tabhi darvaaje par kisi ke hone ki aahat sunai di.
Mene dheere se kaha.
"Meena di hai." darasal rupali di bhi bahar khadi thi, lekin Asmita samjh gayi.
Mene kapde pahan darvaja khola. Hava me barish ki vajah se nami mahsoos ho rahi thi.
"Bolo kya kaam hai."
Meena ekdum shanti se andar aa gayi vahi Rupali di ne kamre me idhar udhar dekh pravesh kiya phir meri taraf muh kar boli.
"Main chahti hu ki tum meri engagement me aao."
"Achha tum chahti ho baakiyo ka man nahi hai."
Mene Meena di ki taraf dekha.unke chehre par ek bhi bhav nahi badla jaise vo jaanti thi ki main yahi bolne vaala hu.
"Nahi sabka man hai khasskar shital mausi ka, vo tumhe apne ghar chahti hai kab tak tum is ghar par rahoge kiraya vgere kaise doge in sabka."
"De dunga, kiraye ka aap chinta mat karo, aur invitation ke liye shukriya."
Meri baat sun Meena ne aankhe chaukte hue upar ki.
"Sach me naa."
Main naa to nahi kab sakta kyuki mujhe jaana to tha hi.
"Haa aa jaunga."
"Maasi behad khush hogi agar tum aaoge to."
____
"Kya sach main, ye to achhi baat hai is baar use main mana hi lungi."
"Haa, baat to kuch dhang se nahi ki lekin aa jayega yahi kaha." Rupali ne apni maasi shital ko bataya.
"Mujhe laga hi tha vo jarur aayega, ye Meena bhi naa mujhe kham ka bol rahi thi nahi aayega, us ka bartav dekh nahi lagta vo aayega vagere vagere." Shital kamal jab engagement me aayega to use mana legi vo ye soch rahi thi. Use kuch dino me ahsaas ho gaya tha ki vo ek maa taur par achhi maa nahi ban payi lekin use aashaa thi ki vo kamal ko vo mana legi.
Meena apni mami ki baat sun soch me pad gayi.
_____
'Tap'
'Tap'
'Tap'
'Tap'
'Tap'
'Tap'
Paani ki bund ek bade se ghar me ek shor ke sath tapak rahi thi. Uske ghar ke andar khel rahi ladkiya haste hue bhag rahi thi.
Tabhi darwaje ki aor ek ladki ki najar gayi sab ek dam se ghabra gayi, us ladki ko shant hota dekha sabki ek ek kar najar bahar gayi sabhi ek dam se ghabrate hue apne pita ko ishare se samjhane lagi.
Vo kuch samajh pata tab tak sab ladkiyo ko aangan se ghar ke andar uski maa lekar chali gayi.
Us ghar ke purush ne us aadmi ko dekha aur dadhakano ko kabu kar us ki taraf chala gaya aur pranam karte hue bola.
"Maharaj, aap ko dekh khushi hui."
"Haa khushi to mujhe aap jaiso ki seva karne me milti hai."
Us ghar ka purush apne chehre par koi bhav nahi de paaya.
"Chalo mukhiya ji, andar kamre me baith baat karte hai.bachhiyo ne bhi Apne maharaj ko pass se dekha nahi hoga. sirf naam suna hoga aaj dekh bhi legi. "
"Haa kyu nahi aaiye." Bina koi bhav diya mukhiya Kharad ko andar le aaya.
Tabhi vo baithak me chale gaye.
Baithak ke saamne vaale kamre me sabhi ghar ki auraten baithi hui thi.koi bhi Kharad se najare nahi mila na chahti thi.
Kharad muskurata hua andar ek kursi par baith gaya aur apna mukut niche rakh diya.
Aaram se Kharad baith gaya vahi Mukhiya ek dam sidhe baithe hue tha.
" Bhabhi ji ko bulao, pahli baar aapke ghar aaya hu. kuch khana vagere ho jaye."
Mukhiya ne haami bharte hue patni ko bulaya.
"Vaise aap kya lena pasand karenge."
"Kuch khaas nahi,mujhe jo bhi ghar me khane ko ho, chalega."
Mukhiya ki patni sar hilakar andar chali gayi.
Kharad phir muskurate hue bola.
"Kya hai naa mukhiya ji, ab gao ki bhalai ke liye mujhe khud aana pada."
Mukhiya is baat par bol naa paya.uski dhadkane bahut jor se badh rahi thi.
"Vaise maine suna hai ki aap mere Raja hone se nakhush the, isiliye Aapne Apne gao ke logo ko mujhe Raja manane se nakar diya."
Mukhiya ke sharir se paseena nikal raha tha.Vaise to Amritlok ke nivasi yo ko jaldi garmi nahi hoti.
"Vo.. "
Mukhiya kuch kahta tabhi khana lekar uski patni aayi. Kharad ne muskurate hue unki taraf dekha.
" Aap ko inhe samjhana chahiye, mard saare nirnay josh-josh me le lete hai. Lekin parivaar ki chinta, samaaj ki chinta aurate hi karti hai."
Ghar Kharad ki baat shant ho gaya tha bass vo barish ki tap tap aavaje aa rahi thi. Jisase tang aakar usne bahar khade ozor sipahiyo ko ishara kiya Aur ajib najaro se Mukhiya ki biwi ko dekha.
Kharad ki harkat dekh mukhiya ka gala saans hava lena bhul gaya.
" Kya mukhya ji aap Amrit lok me rahkar chhat ko thik nahi kar paaye. Jadui duniya me aisi chije shobha nahi deti. "
" Vo me thik karne hi vaala tha."
"Vahi naa aap apne kaamo ko aage dhakalne vaale insaan lagte hai, insaan ko sahi samay par sahi nirnay lena chahiye. "
"Mujhe maaf kar dijiye, mujhse galti ho gayi."
Thar-tharaate hue mukhiya ki aankho se aansu aa gaye.
"Achha phir janta ko kya jawab dunga ki Raja ki khilaf khade hone par Raja unse swaym milne aata hai, aur bina shiksha ke samasya suljha deta hai."
"Mujhe maaf kar dijiye,is nadan se galti ho gayi."
"Tumhari maafi ke badle mujhe kya milega."
Mukhiya sidhe uthakar kharad ke pairo me gir gaya.
"Maharaj me aapki jindagi bhar seva karunga, hamara pura gaav ishwar ki tarah pujega aapko, mujhe bass ek mauka dijiye."
Kharad muskurate hue khada hua.
"Thik hai maaf kiya, aur vo chhat thik ho chuki hai."
Kharad phir apne sipahiyo ke sath vaha se chala gaya.
_____
"Kya hua ? Usane kuch kaha kya? . "
Simran yaani guddi ki baat sun Shweta simran ki chhati se lag rone lagi.
"Shweta bol agar kuch ulti sidhi baat ki hogi to uski tange tod deni chahiye thi."
Kuchh der rone ke baad Shweta boli.
"Didi in sab me main hi pagal thi, jo pyar kar baithi thi usase. "
"Nahi shweta isme tumhari galti nahi rahi hogi, Vaise usne tumhe apne ghar kyu bulaya mana hi karna tha to."
Shweta simran ki baat par khudke aansu ponch kar boli.
"Vo sab jaane do, Kamal ghar kab aane vaala hai."
"Tumhe kabse Kamal ki chinta hone lagi vaise bhi uski chinta karne vaale bahut hai family me khaskar shital maasi vo to pagal ho chuki hai."
"Aisi koi baat nahi hai, main soch rahi thi, rupali didi aur sunil bhaiyya ki shadi ke pahle bachler type party kar lete sab bhai-bahan mil kar vaise bhi hamara bhai-bahano ke siva koi nahi hai."
" Ye hui naa baat us haramjaade sarthak ko bhul jaao ham sab hai naa tumhare sath."
" Vaise aapko kya lagta hai, hamare jitne bhi bhai hai, vaise to Kuch ki cousin me hi shadi hogi, baakiyo ka kya hoga phir."
" Vaise us par agar tu apni bahan ki sautan hona chahti hai to vishal se shadi kar sakti hai usme koi manai nahi, lekin sunil bhaiyya se nahi kar sakti kyu ki vo tumhare bade papa ka ladka hai."
"Aur me Kamal se kyu nahi kar sakti."
"Tu kyu karna chahegi usase shadi, aur ye achanak Bhai-bahan ke pyar se ye shadi tak kaise chali gayi."
"Guddi tu bhi naa, jaise tujhe khayal aaya hi nahi , aur Kamal se kyu nahi karna chahega koi shadi."
"Tu bhi naa,vaise bhi Kamal aur vishal me tu dusri biwi kiski hona chahega? , option hi nahi hai aur upar se vo Ashu pe cheat bhi kar raha hai Amrita ke sath Rupali didi aur Meena didi khud use kamal se chipakate hue dekha to tu hi bata konsi choice achhi hai aur mere pass to sirf sunil Bhaiya hi option hai."
Shweta simran ki baato se apne oth katate hue vicharo me chali gai uske man me kya chal raha tha ye vahi janti thi.
_______
Kamal 'Chāyāvrtt' kya hai is baare me soch raha tha, use in sab ke baare me koi uttar de sakta hai to vo thi 'Amrita'.sirf Amrita ke hi pass pritam ke kaalvadhi ke baare me pura gyaan tha.
Kamal jab Amrita ke kamre me pahuncha, vo tab kuch kavitaye padh rahi thi.vo kavitaye prithvi ki kisi bhi bhashe se mel nahi khati thi kyuki vo Amrit lok ki bhasha me likha gaya tha.
" Amrita ye kavita tumhare pass kaha se aayi."
" Kuch nahi ye mujhe Abby ne di hai,uske pass bahut si gaathaye hai un mese meri mama ke pass bhi thi kuch lekin Abby ko in sab me ruchi hai."
"To iska matlab tumhe bhi isme ruchi hai."
"Haa kah sakte ho."
"Achhi baat hai vaise mujhe bhi yah sab pasand hai maine ek hi padhi hai jo mujhe Karan ke kamre me mili."
"Kyu nahi pasand aayegi hamare jyada tar pasand ek jaisi hai.vaise kuch kaam tha."
Kamal thoda sharminda hua lekin usne
" Haa, kaam tha mujhe ek sapna aaya kal raat."
Amrita Kamal ki baat sun sidhe baith gayi.
"Kaisa sapna?"
" Mujhe sapne me pritam dikha aur ye Chāyāvrtt astra ke baare me bol raha tha ki Chāyāvrtt tumhara hai."
" Pritan matlab tum pichhle janm ke roop me the."
" Haa shayad vo astra maine Kharad ke pass dekha tha jab vo Sukaant ke jab bandi banaya tab uske sharir se vo astra nikla aur Kharad us lohe ke jaal se bahar hua"
Amrita ne Kamal ki puri baat suni aur phir boli.
"Chāyāvrtt tumne apni khud ki shaktiyo se use banaya tha lekin tum uske baad meri vajah se kamjor ho gaye to usi hathiyaar se kharad ne tumhe maar diya."
Amrita ke chehre par glani saaf taur dekhi jaa sakti thi.
"To phir is sabka matlab kya hua?"
Mere sawal par Amrita thodi vicharo ne pad gayi.
"Chāyāvrtt koi sadharan hathiyaar nahi hai, vo swaym ek raja ki nishani hai, maine jitna padha hai us hisab se ham dono ke marne ke baad Chāyāvrtt ka upyog kar Kharad ne bahot se logo ko vishwas dilaya ki vah raaja banne yogya hai, Kyuki koi raaja ka hathiyaar usase shaktishali ho ye swaym Chāyāvrtt darshata hai, isliye uspar shapit naam se bahot kaviyo ne kavitaye likhi hai ki vo ek Raja ka astitv ki tarah bhi hai."
Kamal ko ye sab sun behad bura lagna laga.
Apni pratikriya vyakt karo, 7 din me regular update de raha hu to isiliye like vagere bhi kar do. Kya ho sakta hai aur kya chahte ho vo batao.
Super updateUPDATE 28