- 658
- 4,713
- 124
JADUI PARIVAAR
Main Chuddakad
Main Chuddakad
I NDEX
Last edited:
I NDEX
Sorry kal jaldi so Gaya. Shyam 7 baje se pahle update likh dunga.
Awesome update bhaiUPDATE 23
" Haa , mujhe pata hai ki tumhe main pasand nahi hu is vakt lekin hamari shadi sirf un logo ko dikhane ke liye hogi jisase main Sultan banunga aur ham dono aage kya karna hai kar payenge."
Karan ki ye baat sun Abby bahot gussa ho gayi.
" Tum kya bakvas kar rahe ho? tumhe to bass laksh pura karna hai,lekin iskeliye main gaaovaloko dhoka nahi dene vaali. Tum kaam hone ke baad mujhe chhod doge lekin main unse jindagibhar jhut nahi bol sakti." Abby Kaa apne us ghor gaav ke prati behad lagav tha .Vo un sab ko dhoka nahi dene vaali thi.
Vaise bhi uski najaro me Karan ne gaav ko dhoka diya hi tha. Ye baat karan bhi jaanta tha.
" Dekho Abby , hamare pass iske alawa koi rasta nahi hai. Agar Tum kisise pyar karti ho to batado
Use ham sultan bana denge, jisase ham Ghor vasiyose madat niklavana aasan ho jayega" Karan ki baat sun Abby thodi naraj hui ,Karan ki aankho me dekhne lagi ki kahi Karan majak to nahi kar raha. Use lagata tha ki Karan shayad uske khayalo ko jaanta hai bass Samiksha ki vajah se Nakarta rahta tha lekin Karan ki baat sun Abby ke andar kuch to tut jarur gaya tha .
" Thik hai main tumhari baat manjur karti hu lekin tumhe bhi meri baat manani padegi." Abby ne baat pure nischhay se kahi.
" Batao ."
" Tumhe mujhse shadi karni hogi ,ham koi nakli shadi nahi karenge aur tumhe mujhe apni asli patni manana padega." Abby ne ye baat Karan ki aankho me aankhe daal kar boli thi.
" Nahi ,pagal ho gayi ho kya ? Kaisi baate kar rahi ho." Karan Asli shadi ka matlab jaanta tha yaani pati ka farj use nibhana padega.
"Nahi main pagal nahi hu, gaovalo ke saamne jo bhi meri shadi hogi vo sachhi vali hogi. Main unhe dhoka nahi dene vaali."
" Nahi Abby ye nahi ho sakta tumhe pata hai main Samiksha se pyar karta hu"
" Haa lekin vo abhi jinda nahi hai ye bhi mujhe pata hai." Abby ki baat sun Karan ki aankho me gussa aur dard ek sath aa gaya tha.
" Bhalehi vo jinda naa ho lekin nahi Main shadi nahi karne vaala."
______
Sulochana ji ke yaha Kamal ek kamre me khana khane ke baad leta hua tha.Kamal ke man hajaro sawal the ki vo apni shaktiyo ko istemal kyu nahi kar paata. Lekin har baar jab vo use istemal karta hai to use alag alag feel hota hai .
" Tum yaha! hamare sath chalo akele sovoge kya yaha?" sulochanaji ne darwaje se aate hue bola.
" Nahi Main so lunga yaha." Kamal ne apne hath se ek tasveer uthayi.
" Aise kaise ? Yaha to chadar bhi nahi hai, ruko main lekar aati hu."
Sulochna ne jaakar chadar aur takiye lekar aayi aur Kamal ko un tasveero ko niharte dekh boli.
" Kamal aise kya dekh rahe ho in tasveero ko?"
" Nahi, in tasveero ko aise kyu rakha hai bahar ?"Kamal thoda hichkichate hue bola.
Kamal ki baat sun Sulochana ka chehra murjha gaya " Vo to Sunny ne hu bahar rakhi thi."
" Lekin use to Tasveero ka koi shauk nahi tha"
Sulochanaji is par thodi muskurate hue boli.
" Ye photo usne nahi khichhe Balki usne yaha rakhe to aur aise hi rahne dene ko kaha tha."
" Kyu?" Kamal ko kuch samajh nahi paya.
" Kyu kya hua itni buri hai kya ye sab tasveere." Sulochanaji ke chehre par is baar muskaan aur phail gayi.
" Iska matlab... Matlab ki ye sab tasveere aap ne khinchi hai."
Sulochanaji ne sar haa me hilaya.
Kamal ne is baar pure alag utsah se tasveere dekhi Aur dekhte hue phir bola
" Ye to kamaal ki hai, us vakt ke hisab se colour camere itne achhe nahi the phir bhi" meri ki hui baat sun Sulochnaji ke chehre par alag hi tej tha.
Mene aur tarif ki jis par sulochanaji ne shukriya ada kiya.
" Vaise aap ab kyu nahi karti photography?"
Mene sari tasveero ko ek taraf rakhte hue kaha.
" Nahi ab kya hi bacha hai."
" Aise mat kahiye Sunny ne in sab tasveero ko bahar rakhne ko kaha tha matlab vo chahta tha ki aap apne chahat ko naa bhule."
Is baat par sulochanaji halke se muskurai.
" Sunny ko lagta tha, lekin main ab nahi nikal paungi . Main jab tumhari umar ki thi to jigyasa thi , apne andar ke bhav prakat karne the, jo ki ab nahi bache hai mujhme." Sulochanaji ki baat mere palle nahi padi.
" Main samajha nahi?"
" Darasal har ek insaan ke pass kuch khubiya hoti hai , bahot se log un khubiyo ko taur tariko se behtar banane ki koshish karte hai. Jo ki achhi baat hai lekin uske sath jaruri chhij hoti hai vo hai 'bhaav'. Aapki khubiya kuch kahna chahti ho bhalehi aap koi yoddha bhi ho use bhi apne man ko shaurya ras se bharpur rakhna jaruri hota hai."
Sulochanaji ki baat par maine kuch socha.
" To matlab aapka kahna hai ki aapke man me an koi bhi bhav is samay bachha hi nahi hai."
" Nahi aisa nahi bass unhe baya kar pana mujhse ab nahi hoga." Ye kahkar Sulochanaji ka chehra jo ab tak khush tha vo murjha gaya tha.
" Aisi baat nahi hai , agar aisa hota to mere jaise ko kon aapne pyar diya jise khud uska parivar nakarta hai."
Sulochanaji ne phir mere pass aakar sar par hath fairte hue kaha.
" Tum mere bete jaise ho main tumhe apna maanti hu , Sunny ke bhai ho tum is se jyada kya chahiye tumhe is parivar ka hisaa ho tumhe aur kisi ki chinta kar ne ki koi jarurat nahi."
" Nahi ye itna aasan nahi hai, Apne parivaar ko bhool jaana aaj jo bhi sochta hu un sab me mere sath hue bachpan ki ghatnaon ko dhyan me rakhkar sochta hu. Kisipar bharosa nahi kar pata."
" Kamal tum kya mahsoos karte ho, main samajh sakti hu. Meri tulna hamesha se meri chhoti bahan ke sath hoti rahti thi bachpan me. Mujhe lagta tha main meri maa ki ladli hu aur bahan pitaji ki lekin mujhe har vakt bahan se behtar Banna rahta tha ki mujhe dono bhi meri bahan se jyada pyaar kare.Jab main badi hui to main samajh gayi thi ki koi maa baap kisi bachhe se jyada to kisise kam pyar kar sakte hai. Lekin pyaar vo apne bachho se jarur karte hai."
Main samjh Gaya ki ye baat kaha Jaa rahi hai ki kaise tulna hona bachpan me aam hota hai usme bura maanane ki koi baat nahi isiliye mene sulochanaji ko rokne ki koshish ki kyuki mere saath jo hua karta tha vo main hi jaanta hu.
" Kamal meri baat puri karne do,Tum galat samjh rahe ho. hamesha se apne maa baap se pyaar ki chahat rakhna aam baat hoti hai . Lekin Meri kuch dino baad shadi hui. Main bahot khush thi. Sunny ke pita mujhse bahot pyar karte the ,jisase main khush thi.mujhe sunny aur divya jaise do khubsurat bachhe mile. Lekin uske baad sunny ke pitaji ke mere prati bartav badal gaya. main kuchh dino me ek naukraani bankar rah gayi thi.
Garmi ka mausam tha ,Sunny ke papa bahar gaav gaye the kaam se, Jo ki aksar jaya karte the. Ham sab bhi yaha bore ho gaye the isiliye main maa ke yaha chali gayi.Darwaja kholne meri bahan aayi aur uske pichhe mujhe mere pati dikhayi diye . Main us din sab samajh gayi ki kya ho raha hai. Kis tarah mujhe dhoka Mila hai.
Us din ke baad me kabhi mere maa baap se milne nhi gayi. Unhone bahot baar mujhse baat karne ki koshish ki lekin tab mujhe samajh aa gaya ki meri un ki najaro me koi kimat hai hi nahi,is tarah mere pichhe ye sab karna aur baad me main hi kaise galat hu ye batana jis vajah se main bhi tab kisi pe bharosa nahi karti thi." Puri baat kahne ke baad unki aankho se aansu tapak pade.
Mene pass me jaakar rumal dekar aansu ponch diye.
" Sorry mujhe nahi pata tha ki aap ke sath ye sab hua tha."
" Tumhe sorry kahne ki koi jarurat nahi hai. Maine isi liye kaha kyuki main tumhari paristhiti samjh sakti hu ,mene dekha hai ki kaise tumhare sath bartav hua hai.main tumhe dekhti hu to mujhe yaad aata hai ki khun ka rishta har baar pyaar nhi deta .isiliye tum mere liye Divya aur sunny ke samaan ho.Mere liye Sunny ki jagah koi nahi le sakta lekin tum mere bete ho."
Sulochana ne apne aansu ponchte hue khadi hui.
" lekin main aapka beta nahi Banna chahta." Meri baat sun ekdum laal aankho se mujhe sulochanaji dekhne lagi.
" Main aapka dost banana chahta hu. Is tarah ka dukh dard aapke sath baatana chahta hu."
______
"Shital didi aap chinta mat kijiye aa jayega ,kitne din Ghar se bahar rahega" Tejaswini apni bahan ko Aise chinta main baitha dekha boli.
Bahar aangan me vo dono ghar ki ladkiyo ke sath baithi hui thi.
" Haa maa Nirmala bua aur fufaji dhund lenge use uski chinta tum mat karo." Payal ne apni maa ko satvana dete hue kaha.
" Nahi beti Jab tak main use apne saamne nahi dekh leti mujhe chain nahi aayega."
" Didi Main Kamal ko samajh nahi paati , uski jagah koi bhi hota to apne parivaar par garv karta ki ek sadharan insaan ki tarah ho kar jisne hamse shaktishali logo ko kabhi dekha nahi hai ,vo aise parivar ko kyu chhodna chahega."
Is baat par Meena sochne lagi. Tabhi Meena ki bahan shweta jo niche baithi hui thi baaki sab sidiyo par baithi thi vo boli.
" Haa mami bade chacha ne bhi kaha hai ki vo Mathew se baat kar
Kamal ko dhund lenge."
Rupali jo shweta ki baat par confuse ho gayi.
" Kya? Meena tumne bataya nahi ki Kamal ke baare me tumhe pata chala hai."
Meena ab tak apna sar niche kiye hue thi.
"Meena kya sach me tumhe pata hai ki Kamal kaha hai" shital yaani kamal ki maa ne Meena ki taraf dekhte hue kaha.
" Haa, par vo ham sabse milna nahi chahta."
" Vo milna nahi chahta lekin ham to mil sakte hai usase" is baar shital gusse me boli.
_____
Subah hote hi , Karan se milne main bahar nikala. Main kal ki Sulochanaji ki baato ko soch raha tha.
Teleport hone hi vaala tha tabhi kuch ajib ahasas mujhe hua.
Mene idhar udhar dekha to vaha par ek aadmi khada dikha use dekhte hi samajh gaya ki ye Amrit lok se hai.
Ye samajhte hi meri dhadkane tej ho gayi .mujhe sabse pahle sulochanaji aur divya ko bachana important tha.
Isiliye main paidal chalte hue ghar se door uske pichhe jaane laga.
Achanak mujhe aur bhi Kuch logo ka aasapas hona mahsoos ho raha tha.
Main unki powers ko jaanane ki koshish kar raha tha. Lekin meri har baar ki tarah same problem tab aayi main un shaktiyo ko absorb nahi kar paa Raha tha.
Main chalte chalte kiski power kya hai dekh raha tha jyada tr isme sadharn power vaale the lekin kuch ozors the aur ek ki takat samajh paata ki tabhi vo ek Galli me pahoch gaya.
Mene jo kiya tha pagalpan tha lekin main Divya aur sulochanaji ki jaan dhoke main nahi daal sakta tha.
Ek choti si gali me , vo aadmi mujhe le aaya.
Tabhi jor se mere chehre par ek chamchamati aag ki tarah chij pass aayi. Main thoda side hua hi tha .tabhi saamne khada vo aadmi ki shirt fatne lagi aur usme se laava bahar nikal raha ho aisa dikha.
Kuch hi pal me vo aadmi se ek beil me tabdil ho gaya lekin uske per abhi bhi insaan ki tarah hi the aise lag raha tha ki vo sadharan aadmi hai.
Meri dimag me Shaktiyo ko apne andar khinchne ka dwandva chal Raha tha.
Main ab tak kis tarah se maine shaktiyan dusre ke sharir se khichi hai soch raha tha .
Vo meri aur bhag raha tha aas paas se sabne apni talwar nikali thi.
Tabhi mujhe kuch samajh aaya. Main usi ki tarah uski taraf bhaga .mere pichhe kuch log Marne aaye.
Us bail bane insan ne puri takat se mujhpar sing se vaar kiyaa.
[BOOM]
Vo bail bana aadmi diwar me dafan ho gaya.
Aasapas ke sabhi aascharya chakit ho gaye.lekin singo vaala insaan sabse jyada aascharya chakit tab hua jab usne dekha ki uska ek hath puri tarah sadharn insaan ki tarag ho gaya , aur vahi jis hath se maine mukka mara tha. Vo bilkul aag aur lava se majboot aur bada ho gaya tha.
Kuch hi kshan me vo singo vaala puri tarah saadharan to vahi main ekdum se Laal aankhovaala aur aag me lipta bail ban gaya. Jiske sharir insaan jaisa lekin 8-9 feet ka tha.
Ye hua kaise to Iska raaj mujhe pata chal gaya tha . Mene us din school me jhagada kiya to main mere bhai ki shaktiyan is liye khich paaya kyuki ham us samay ek samal bhavnao me bah rahe the jo ki gusse ki thi. Vahi main kharad se bhaga to main bhi uske sipahi ki tarah darra hua tha. Aur us jangal me powers ko khich nahi paya.
Agar ye update achhi lagi ho to apne reaction de do. Baaki update kaise lagi vo bhi bata do. Agli update jald hi aayegi 2-3 tarikh ko
Bhai abhi shyam Tak aa jayegi.likhne abhi baitha hu jaldi bhi aa sakti hai. Lekin safe ke liye 7 bol deta hu.Bro update nahi aya
Ok broBhai abhi shyam Tak aa jayegi.likhne abhi baitha hu jaldi bhi aa sakti hai. Lekin safe ke liye 7 bol deta hu.
Intzar rahegaBhai abhi shyam Tak aa jayegi.likhne abhi baitha hu jaldi bhi aa sakti hai. Lekin safe ke liye 7 bol deta hu.
Bhai jaldi update dene ki kosis karo kafi gap ho jata hSorry kal jaldi so Gaya. Shyam 7 baje se pahle update likh dunga.
Good work waiting for next
Nice update
Nice and fantastic update
Love it
Nice update....
Nice superb Lajawab update
Shandar update
Bahut hi badhiya update diya hai hemya bhai....
Nice and beautiful update....
Nice and superb update...
Nice and superb update
Superb and Fantastic Update Diyaa Hee️
Interzar Aglaa Update Kaa
![]()
Behtreen update Bhai
Amazing update![]()
Bahut hi mazedar update
Nice update...
Awesome update bro
Nice update
Awesome update bhai
Ab kyu sab kamal ke peeche pade hai ,jab wo ghar nhi jana chahta hai to ,ab to kamal ke ghar walon ko khush hona chahiye ......
Bro update nahi aya
Ok bro
Intzar rahega
Bhai jaldi update dene ki kosis karo kafi gap ho jata h
Intejar rahega besabri se update ka