• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Din Achanak

Guffy

Well-Known Member
2,069
2,177
159
Update 49

Dono ghar aaye to ghar par kaafi daant sunni padi dono ko. Bike tootne se jyada dant chot lagne aur lagne ke baad ghar par na batane ke liye jyada padi. Khair do din ke liye college jane ki chutti ho gayi. Ab Ravi nahin gaya to Pawan bhi nahin gaya. Lekin is baar Ravi ne use nahin jaane diya kyunki poora poora din wo bistar par pada bore hota rehta. Pawan saath rahega to baatein hoti rahengi aur samay katta rahega. Khair chot jyada nahin thi to jaldi hi theek ho gayi. Lekin bike milni band ho gayi chalane ke liye. Dono ko ab paidal ya bus se hi jaana tha aage se college.

Khair jaise taise karke do din gujar gaye lekin do din dono ne kaise ghar par bore hokar gujare ye dono hi jaante the. Teesra din to unhen katai gawara nahin tha ghar par rukne ke liye. Subah hi tayyar ho gaye college ke liye. Bike milni nahin thi to bus se jaane ke liye thoda jaldi hi nikal gaye ghar se. Wahan bus stop par jaakar unhone bus pakdi aur pahunch gaye college. College pahunch kar dono class mein gaye to wahan Jay se mulakat huyi. Usne do din na aane ka karan poocha to Pawan ne bata diya. Jay ne phir Ravi se haal chaal poocha lekin Ravi ki nigaahein to us ladke ko dhoondhne mein lagi thi jisne use help ki thi. Usne Pawan se poocha ki wo ladka class mein hai to Pawan ne mana kar diya.

Fir dono lecture khatam hone ke baad class se bahar aa gaye aur unhone us ladke ko kai jagah dhoondha lekin wo unhen kahin nahin mila. Dono jaakar canteen mein baith gaye. Jay unke saath isliye nahin aaya kyunki wo class miss nahin karna chahta tha aur in dono ne bhi use disturb karna theek nahin samjha kyunki is samay to us ladke ko dhoondhna inke liye jyada important tha.

Canteen mein sab ladke ladkiyan group mein baithe the. Koi kha-pee raha tha, koi gossip kar raha tha, kuch ladkiyan aapas mein aate jate ladkon ke upar tippani kar rahi thi to kuch ladkiyan apne saaj-sringar ko lekar jaagruk pratit ho rahi thi. Kul milakar shor gul ka sa mahaul tha. Lekin wahin ek kone mein ek ladka ek sunder si ladki ke saath baatein kar raha tha. Jise dekhte hi Pawan ne pehchaan liya ki ye wahi ladka hai. Usne Ravi ko bata diya to Ravi ne filhaal use disturb karna theek nahin samjha aur baad mein milne ke liye socha.

Dono wahan se nikal gaye aur wapas class mein aa gaye. Wahan Jay ne poocha ki kahan gaye the to unhone bata diya ki us ladke ko dhoondhne gaye the. Jay ne poocha ki wo mila kya to unhone bata diya ki haan mila is samay ek ladki ke saath hai canteen mein. Humne use disturb karna theek nahin samjha isliye wapas aa gaye. Jay ne kaha “Bhai ye college hai, yahan aise halat roz hi rahenge. Chal milte hain usse. Main bhi to dekhun ki aaj ke jamane mein aisi madad karne wala khule dil ka ladka kaun hai”

Teeno chal diye canteen ki taraf. Ittefaq se wo ladka abhi bhi wahin tha. Ravi ne use ishare se bata diya us ladke ke baare mein. Jay use dekhkar chaunk gaya.
Jay use dekhkar chaunk gaya aur bola “Nahin ye wo ladka nahin ho sakta. Tum pehchanne mein koi galti to nahin kar rahe ho”

Ravi ne uski baat sunkar kaha “Mujhe to Pawan ne bataya hai. Maine to us ladke ko dekha bhi nahin hai. Kyun Pawan tu sure hain ye wohi ladka hai”

Pawan ne Ravi ki taraf dekha aur kaha “Haan yaar ye wohi ladka hai. Maine apni aankhon se use dekha hai. Usse baatein ki hain. Meri aankhen dhokha kaise kha sakti hain. Lekin Jay tum ise kaise jaante ho aur ise dekhkar chaunke kyun”

“Yaar ye Sanju hai, Mukesh ka bhai. Wohi Mukesh jisne hamari ragging li thi first day”

Ab chaunkne ki baari Ravi aur Pawan ki thi. Unhen samajh mein aa gaya tha ki Jay chaunka kyun. Koi bhi chaunk jaata ye soch kar jahan Mukesh itna khudgarz, juniors ko kuch na samajhne wala, hamesha rob jamane wala ladka hai wahin uska bhai itne achhe nature ka bhi ho sakta hai. Lekin ye sach tha aur is sach ko ye teeno jhutla nahin sakte the.

Pawan ne phir poocha “Mana ye Sanju hai lekin tumhe kaise pata iske baare mein ki ye Mukesh ka bhai hai. Tumhe bhi to dhokha ho sakta hai na”

“Kamal karte ho yaar. Do din college se gol tum dono rahe the main nahin. Uska bhai khud class mein aaya tha ise lekar aur badi hi akad ke saath dhamki dekar gaya tha ki Sanju uska chota bhai hai aur agar kisi ne use pareshan kiya to usse achha koi nahin hoga.

Teeno soch mein pad gaye ki bhagwaan bhi kya khel khelta hai. Jahan ek bhai kisi raavan se kam nahin hai to doosra ram ki bhumika nibha raha hai. Kya kahin aisa bhi ho sakta hai. Do alag alag nature ke person ek saath ek hi chat ke neeche rehte ho aur unme koi takraav, koi uljhan, koi pareshani paida na ho.

Itne mein Sanju us ladki se free hua to usne Ravi aur Pawan ko dekh liya aur unse milne pahunch gaya. “Aur dost kaisi hai ab tabiyat. Sorry mujhe us din achanak jaana pada. Bahut jaroori kaam aa gaya tha. Main mil bhi nahin paya tumse Ravi”

“Koi baat nahin dost. Waise aapka naam kya hai” Ravi ne ek baar confirm karne ki soch li. Shayad koi aur hi nikal jaaye.

“Oh Sorry. Maine apne baare mein to bataya hi nahin. Waise bhi us din bata raha tha to Pawan sune bagair wahan se tumhare paas chala gaya tha kyunki tumhe hosh aa gaya tha. Mujhe bhi ghar se phone aa gaya tha ek jaroori kaam ke liye isliye mujhe bhi jaana pada. Waise mera naam Sanju hai.”

“Kya Mukesh tumhara bhai hai.”

“Haan wo mere bade bhai hain. Kyun aisa kyun poocha tumne”

“Nahin kuch nahin. Bas aise hi”

“Samajh gaya unhone shayad tum logon ki ragging kari hogi. Unhe is kaam mein bada maja aata hai. Lekin tum unki kisi baat ka bura mat manna. Dil ke bahut achhe hain wo”

Itne mein Jay bol pada “Lekin parson to wo class mein dhamki de rahe the uska kya”

“Are yaar uske baare mein tension mat lo. Mujhe bahut pyaar karte hain aur mere baare mein kuch jyada hi possessive hain isliye. Aisa kuch nahin hai. Hum sab dost hai yahan. Bas wo aise hi hai lekin jaisa maine aapko bataya dil ke bahut achhe hain to koi musibat mein ho to sabse pehle help ke liye wo hi hamesha aage rahte hain”

Idhar Pawan soch raha tha ki kya khaak achha hai. Us din to bechare Jay ko dauda dauda kar maar hi dala tha. Bhaga to aise raha tha jaise Olympic ki race mein dauda raha ho.

Ravi ne Pawan ko kuch sochte huye dekha aur poocha “Kya sochne laga Pawan”

“Kuch nahin aise hi. “Jay tum to keh rahe the ki dil ke achhe hain lekin ragging wale din to apne Jay ki haalat bahut buri kar di thi unhone” Aur itna kehkar Pawan ne Sanju ko sab baatein bata di ki kaise unki ragging huyi aur ragging ke baad bhi canteen ka kharcha in logon ko hi karna pada.

“Yaar ab wo senior hain. Aise hi unki ragging bhi huyi thi kabhi aur tum log bhi ragging karoge ek din aise hi naye students ki. Ismein itna bura manne wali kya baat hai”

Pawan ne kuch aur poochna theek nahin samjha. Ravi ne maamla gambhir hota dekhkar Sanju se poocha “yaar ek baat batao ye ladki kaun hai. Pawan to bata raha tha ki us din tumhare saath koi aur ladki thi aur aaj koi aur”

“Kuch nahin ek dost hai. Ladkiyon ke maamle mein main thoda lucky hoon. Aur ye kehte huye uske chehre par ek muskaan khil gayi jise dekhkar sab khilkhilakar hans diye.”

“Waise isse milne ki kahani bhi badi dilchasp hai. Kal hi isse mulakat huyi thi meri aur aaj hum achhe dost hain”

“Itni jaldi dost bhi bana liya. Mujhe to Riya se dosti karne mein bahut time lag gaya tha. Pata nahin kitne papad belne pad gaye the usse dosti karne ke liye”

“Ye Riya kaun hai bhai. Kabhi milwao yaar hamein bhi. Hum bhi to dekhen us ladki ko jisne Pawan ka dil churaya hai. Wo khusnaseeb kaun hai”

“Apni class mein hi hai. Kabhi bhi mila denge. Lekin aap is ladki ke saath ki kahani bata rahe the wo kya hai. Kab mili, kahan mili, kaise dosti huyi.”

“Are yaar itne saare sawal ek saath. Thoda sa saans lene do batata hoon.”

Aur iske baad Sanju unhen us ladki se huyi mulakat ke baare mein batane lag gaya.


To be continued....
Jabarjast update
 
  • Like
Reactions: Ravi

mysteryman

Active Member
921
1,567
139
Update 51

Aise hi sab doston mein masti, ched-chad, hansi-majak chalta raha kafi samay tak. Sanju in sab ka kaafi achha dost ban gaya tha. Aur uska bhai to tha hi college mein aane wali sab pareshaniyon se nibatne ke liye. Lekin in sab ke dauran Ravi ne ek khaas baat notice ki ek fix time pe Sanju koi na koi bahana banakar college se nikal jata tha aur lagbhag ek ghante baad wapas aata tha.

Ravi ne kai baar usse poochne ki sochi lekin har baar Sanju koi na koi bahana bana hi deta tha. Lekin ek din sab dost Riya ki birthday party mein shaamil the to us beech bhi jab Sanju jaane laga to Ravi ko thoda shak huya. Usne Sanju ka peecha karne ki sochi aur Pawan aur Jay ko abhi aaya bolkar Sanju ke peeche peeche chala gaya to dekha Sanju college se thodi door par bane huye ek park mein ek ped ke paas baitha hai aur us ped se pata nahin kya kya baatein kar raha hai. Ravi ne use disturb karna theek nahin samjha aur wapas chala gaya.

Wapas aakar wo as it is party mein shaamil ho gaya jaisa kuch hua hi nahin. Doston ne poocha ki kahan gaya tha to bol diya ki thoda bahar gaya tha taazi hawa khane. Doston ne bhi jyada nahin pooca aur sab naachne gaane mein mast ho gaye. Thodi der mein Sanju aaya to Ravi ne usse poocha ki kahan gaya tha to usne jhoot bol diya ki papa ka phone aaya tha aur ek jaroori kaam ke liye jaana pada. Ravi ne use akele mein le jaakar poochne ki sochi aur usko bahar le gaya.

Sanju aur Ravi dono bahar aakar sadak par tahalne lage. Baaton baton mein Ravi ne dubara poocha to Sanju chaunk utha. Usne kaha nahin yaar aise hi kisi kaam se gaya tha. Tu kyun baar baar pooch raha hai. Ravi ne usse poocha ki park mein kaun sa jaroori kaam bata diya tha uncle ne. Sanju ye sunkar chaunk pada. Wo samajh gaya ki Ravi ne use wahan dekh liya hai. Lekin wo khamosh raha. Uski aankhon mein name aa gayi jise dekhkar Ravi hairan reh gaya. Jis insaan ke chehre par hamesha hansi khilkhilati rehti thi aaj wahin gham ke badal chaye se lag rahe the. Jahan khusiyon ki barsaat hoti thi wahan dukh dard ki lakeer si cha gayi thi.

Sanju ne thandi saans lekar kaha ki yaar mat pooch. Main nahin bata paunga. Badi mushkil se un halaton se nikla hun main. Lekin Ravi kahan maanne wala tha. Usne bhi jaanne ki than li aur Sanju se jid karne laga. Sanju ne aakhir thak haar kar use batane ki soch li. Isme uska fayda bhi tha ki jo dard wo apne seene mein kaafi samay se chupaye huye tha jise usne apne sage bhai se bhi share nahin kiya tha, jo nashwar ki tarah use chub raha tha, jo andar hi andar use khaye ja raha tha, usi dard ko Ravi se baatne par ho sakta tha ki use kuch rahat mile.

Lekin tabhi doston ki awaaz aayi kyunki cake kaatne ka time aa gaya tha to Sanju ne kaha yaar Ravi chal chalte hain. Fir kabhi bataunga tujhe. Ravi kya bolta man markar wo bhi saath mein chal diya.
Do din aise hi nikal gaye lekin Ravi ko mauka nahin mila janne ke liye. Usne kayi baar mauka talashne ki koshish ki lekin har baar jab bhi Sanju park mein jaata to Ravi ya to kisi kaam mein busy hota ya kahin gaya huya hota tha. Ab ye aadmi ki natural tendency hai ki jis cheez ko use mana kara jaye use hi jaanne ki jigyasa sabse jyada jor maarti hai man mein.

Wohi haal Ravi ka tha. Use kisi bhi tarah ye raaz jaanna hi tha ki aisa kya hai ki Sanju pedo se baat karta hai. Kya wo pagal hai ya iske peeche koi kahani chipi huyi hai. Idhar Sanju bhi aisa mauka dekh kar hi jaata tha park mein taaki Ravi ko wahan na le ja sake aur uska raaz, raaz hi rahe. Lekin wohi baat jo main pehle bhi kai baar bol chuka hoon ki insaan jo chahe agar wo sab hone lag jaye to bhagwan na ban jaye.

Teesre din sham ko jaise hi Sanju jaane laga to us din Ravi free tha to wo Sanju ke paas pahunch gaya aur bola ki chal aaj main bhi park mein chalta hoon tere saath. Sanju ne use bahut mana kiya,tarah tarah ke bahane banaye lekin apni dhun ka pakka Ravi usne uski ek na suni. Sanju marta kya na karta chal diya park ki taraf aur as usual Ravi bhi uske saath ho liya. Sanju ne kai baar mana kiya lekin Ravi to apni jid ka pakka tha. Sanju ne thak harkar use saath le liya aur dono bike par baith kar park mein usi ped ke neeche pahunch gaye. Wahan pahunch kar Sanju ne us ped ko paani diya aur wahin us ped ke neeche baith kar usse haal-chaal poochne laga jise Ravi samajhne ki koshish kar raha tha lekin uski samajh se bahar tha. Wo baar baar kabhi Sanju ki taraf to kabhi us ped ki taraf dekh raha tha.

Ravi ko is tarah confused dekh kar Sanju hans pada aur bola “Tum mujhe shayad pagal samajh rahe hoge ki main pedon se baatein karta hoon. Log ke paas is duniya mein jinda aadmi se baat karne ka time nahin hai aur main kahan ped-podhon ke chakkar mein pada hoon.”

“Nahin aisi to koi baat nahin hai. Ped-podhon mein bhi jaan hoti hai. Wo bhi ek achhe sathi ban sakte hain insaan ke.”

“Tum theek keh rahe ho lekin tum nahin jaante dost ye ped mere liye kya hai. Ye sirf ek ped hi nahin hai mere jeewan ki sabse haseen yaadon ka gawah hai. Mera dost hai, hamdard hai”. Itna kehte kehte Sanju ki aankhen nam ho gayi aur wo jaise kinhi purani yaadon mein kho gaya. Ravi ke pukarne par usne batana shuru kiya.


To be continued....


NICE BUT CHHOTA UPDATE...

AISA KYA RAJ HAI JO SANJU NE APNE BHAI KO BHI NHI BATAYA HAM JAN NA CHAHTE HEIN LEKIN WRITER SAHAB UPDATE HI NHI DE RHE...

AKHIR KYON VO PEDON SE BATEIN KARTA HAI HAM JANNA CHAHTE HEIN LEKIN WRITER BHAI UPDATE HI NHI DE RHE...


KYON NHI VO KISI KO BATANA CHAH RHA HAM JANNA CHAHTE HEIN LEKIN WRITER BHAI UPDATE NHI DE RHE...

RAVI JAB IS BARE MAI BAAT KARTA HAI TO SANJU KI AKHEIN NAM KYON HO JATI HEIN HAM JANNA CHAHTE HEIN LEKIN WRITER BHAI UPDATE NHI DE RHE....


WAITING FOR NEXT
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
564
64
Update 52

“Main aur Sanjana dono ek dusre ko bahut pyaar karte the. Halanki use manane ke liye mujhe kafi papad belne pade, uske ghar ke kitne hi chakkar lage, ladkon se ladai jhagde bhi huye, ghar, school mein pata nahin kitni baar pitai padi lekin aakhir ek din main uska pyaar pane mein safal ho hi gaya. Hum aksar isi park mein aakar baitha karte the aur ghanton ek doosre ki aankhon mein dekhte huye, ek doosre ki baahon mein samay bitaya karte the. Humne apne haathon se ek chota sa paudha bhi yahan lagaya. Roz yahan jab bhi aate to apni pani ki bootle se pani us paudhe ko jaroor dalte. Hamara pyaar aisa tha jaise do jism ek jaan. Ek pal ko bhi doosre se bichad kar nahin reh sakte the.”

“Lekin pata nahin hamare pyaar ko kiski najar lag gayi” Aur itna kehkar Sanju ka dil bhar aaya aur uski aankhon se aansuon ki dhara behne lagi. Ravi ka dil bhi paseej gaya ki Sanju jo bahar se har dum mast rehta hai, khilkhilata rehta hai, apne seene mein kitna dard chupaye huye hai. Use dekhkar koi nahin keh sakta ki use koi gham bhi hai.

Jab Sanju shaant huya to usne aage bataya “Us din mera janamdin tha aur wo mere liye gift lene gayi thi. Us din wo bahut khus thi aur mere liye ek shirt lene gayi thi market mein. Wahan kisi gunde ne uske saath chedkani ki aur usne use kaskar sabke saamne thappad maar diya.”

“Are wah ye to usne bahut achha kiya” Ravi turant bol pada. Aise gundon ko to beech chaurahe par laakar peetna chahiye.

“Tum theek keh rahe ho lekin yahi to shayad sabse badi galti ho gayi thi usse. Khair wo gift lekar aa gayi thi aur usne mujhe bataya lekin main pagal tha jo sab theek ho gaya, usne thappad maar diya aur baat aayi gayi ho gayi, aisa sochkar shaant baith gaya. Mujhe usi samay us gunde ko sabak sikhana chahiye tha.

Agle din mere paas khabar aayi ki meri Sanjana hospital mein jindagi aur maut se jhoojh rahi hai. Mere to pairon se jaise jameen hi nikal gayi thi. Main sab kaam chodkar wahan bhaga bhaga pahuncha. Uske parents se main kai baar mil chuka tha to mujhe dekhte hi bole ki beta tum andar jao. Sanjana baar baar tumhe yaad kar rahi hai. Itna kehte kehte unki aankhen nam ho gayi jise dekhkar mujhe kisi anhoni ki aashanka hone lagi”

“Main andar gaya aur wo meri taraf dekh kar muskura di lekin uski muskurahat use hone wale dard ko chupa nahin saki. Main uske paas baith gaya to usne mujhse bola ki tum aaj park mein nahin gaye us paudhe ko pani dene. Maine kaha mein tumhare bina kabhi gaya hoon. Dono saath saath chalenge. Itna sunkar wo muskura di aur boli ab shayad mein kabhi tumhare saath na ja sakun tumhe akele hi us paudhe ko bada karna hoga jo hamare pyaar ki nishani hai. Mera aks tumhe dikhega usme. Maine kaha tum kya behki behki baatein kar rahi ho. Aur ye halat kaise ho gayi tumhari”

“Usne bataya ki jis ladke ko kal usne thappad mara tha aaj usne apne ek dost ke saath use gher liya tha. Wo dono milkar use jabardasti apni gaadi mein bithana chahte the lekin wo isme safal nahin ho paye. Jab maine chillana shuru kiya to ek ne apne haathon se mera muh daba diya. Maine bhi ek laat uski dono taangon ke beech maari to usne dard aur gusse ke mare mujhe chalte traffic ke beech dhakka de diya. Wahan ek bus chali aa rahi. Usne mujhe bachane ki bahut koshish ki lekin main bus ki chapet mein aa hi gayi aur meri ye halat ho gayi. Wo dono ladke turant wahan se bhag gaye the aur mujhe wahan se PCR ki van hospital mein le aayi thi. Shayad kisi ne police ko phone kar diya tha”

“Wo ladka kaun tha Sanjana. Ye poochte huye Sanju ka khoon khaul raha tha aur uski aankhon se lag raha tha ki agar ise pata chal gaya to ye jaroor koi anarth kar dega. Sanjana ne kaha ki use nahin pata. Usne to us ladke ko kabhi dekha hi nahin. Aur tumhe meri kasam agar tum aaj ke baad ye baat bhi apni dimaag mein lekar aaye. Bhul jao sab sirf mujhe aur hamare pyaar ko yaad rakho. Main tumse bahut pyaar karti hoon aur tumhe hamesha khus dekhna chahti hoon.

Wada karo kabhi royoge nahi mujhe yaad karke. Hamare pyaar ki nishani ke paas din ke ek samay jaroor milne jaoge. Main tumhare paas laut kar jaroor aaungi. Dekhti hoon ki tum mujhe pehchaan paate ho ya nahin. Ab kis ladki ke roop mein aa jaun ye pata nahin. Sab kaam tumhe karna hai. Hamesha yun hi hanste rehna hai aur khilkhilate rehna hai.”

“Achanak Sanjana ki awaaz bolte bolte ruk gayi aur wo tej tej saansein lene lag gayi. Khair ruk ruk kar to pehle bhi bol rahi thi lekin is samay to uski halat bolne ki bhi nahin thi. Usne mera haath apne haathon mein kaskar pakad liya jaise mujhse wada chahti ho. Main uski baat kaise taal sakta tha. Maine apni jaan se pyaar jo bahut karta tha. Waada kar diya. Shayad wo mere ikraar ke intezar mein hi ruki huyi thi. Jaise hi maine wada kiya wo hamesha ke liye mujhse door chali gayi.”

“Mere haath se uska haath neeche jameen par latak gaya jise maine dubara apne haathon mein lene ki koshish ki to dekha ki ek bracelet jis par R akshar likha huya tha uske haath mein fansa huya tha. Main samajh gaya ki ye bracelet jaroor us ladke ka hoga jisne isko dhakka diya kyunki ye ek gents bracelet tha. Main bracelet ko jeb mein dala aur uska haath apne haath mein lekar pagal sa ho gaya. Mujhe hosh to tab aaya jab uske parents ne mujhe jhakjhor kar hataya wahan se.”

“Wahan se nikalkar main bhagta huya us paudhe ke paas pahunch gaya aur uske gale se lag kar bahut der tak rota raha. Iske baad main rojana apne wade ke mutabik us paudhe ke paas jaata aur use paani deta. Mujhe apni jaan ki jhalak usme dikhayi deti thi. Main ghanton uske paas baith kar usse baat kiya karta tha jaise apni Sanjana se baat kar raha hoon.”

Ravi ki aankhon se aansu beh rahe the Sanju ki kahani sun kar aur usne poocha “Yaar iska matlab ye ped wo paudha hi hai kyunki tum isse baat kar rahe the”

Sanju ne kaha “Haan ye wohi paudha hai jo ab hamare pyaar ke badhne ke saath saath ek vishal vriksh ka roop le chuka hai. Jis tarah usse bichadne ke baad bhi mera pyaar kabhi kam nahin huya usi tarah ye ped bhi kabhi nahin murjhaya”

Ravi ne aage poocha “To us bracelet se us ladke ka kuch pata chala ki wo kaun tha aur kahan rehta hai”

Sanju ki aankhen ek pal ke liye angaare jaisi huyi lekin turant hi wo normal ho gaya aur bola “Yaar yehi to pata nahin chal paya hai ab tak. Pehle to maine socha tha ki shayad uske ghar mein se kisi ka hoga to main wahan bhi sabse poocha lekin kisi ka nahin nikla. Jahan uska accident karaya gaya tha wahan jaakar bhi maine kaafi pata kiya lekin kuch pata nahin chala.”

“Aur bas ab to sirf ye ped jo hamare pyaar ka pratik hai mera sab kuch hai. Aaj bhi use har ladki mein dekhta hoon ki kab wok is roop mein mere saamne aa jaye lekin aaj tak wo nahin aayi.

Itna kehkar Sanju jo ab tak kisi tarah se apne upar control kar raha tha aur sab kahani Ravi ko bata raha tha aage bol nahin paya aur uski aankhon se bhi ashru-dhara behne lagi. Pata nahin kitni der wo baitha rota raha. Jab shaant huya to Ravi ne aur Sanjana ke baare mein baat karni shuru ki jaise ki kaise pyaar huya, kahan kahan gaye ghumne etc. taaki Sanju ka udas dil thodi khushi prapt kar sake.

Sanju bhi ab normal ho gaya tha aur usne shuru mein milne se lekar, ladne-jhagadne, pyaar ka ikraar hone, meethi nok-jhonk hone aadi ke baare mein batana shuru kar diya. Beech mein kai waqye aise bhi the jisme dono thahaka lagakar hans bhi rahe the. Jo mahaul do min pehle ghamgin tha ab wo hansi ke fawwaron se bheega huya tha.
Isi tarah samay beetta gaya aur saare dost aise hi ek dusre ke saath hansi majak karte huye samay bitane lage. Sanju aaj bhi Sanjana se kiya huya wada nibha raha tha. Aaj bhi use Sanjana ki talash thi ki wo kab aur kis roop mein uske saamne aa jaye. Udasi se to jaise Sanju ne nata hi tod liya tha, halanki bahut mushkil tha ye uske liye lekin kya kare wada jo kiya tha apni Sanjana se ki halaat chahe jaise bhi ho wo muskurata rahega. Lekin in sab se beech use aaj bhi us bracelet ke maalik ki talash thi. Usne sab doston ko bhi wo bracelet dikha kar pooch liya tha lekin kisi ko iske baare mein kuch pata nahin tha.

End of Episode 4


To be continued....
 

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
564
64
:thanks: a lot doston for your love and support
 

aka3829

Prime
3,369
12,337
159
Bahut hi touchi update tha bhai. Dil se roya me ise padkar sanjana ki maut ne hila diya mujhe lekin bhai kya aap sanjana ko coma me nahi bhej sakte the jise dekhne wo roz hospital jata. Kam se kam ek pyar karne wale ko to mila do apni kahani me. Aur mene kuch ilteza ki thi aapse is update ko lekar wo bhi pura nahi kiya aapne.
Waiting 4 next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Mbindas

Active Member
1,957
4,154
158
Bohot hi shandar update bhai
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,069
2,177
159
Update 51

Aise hi sab doston mein masti, ched-chad, hansi-majak chalta raha kafi samay tak. Sanju in sab ka kaafi achha dost ban gaya tha. Aur uska bhai to tha hi college mein aane wali sab pareshaniyon se nibatne ke liye. Lekin in sab ke dauran Ravi ne ek khaas baat notice ki ek fix time pe Sanju koi na koi bahana banakar college se nikal jata tha aur lagbhag ek ghante baad wapas aata tha.

Ravi ne kai baar usse poochne ki sochi lekin har baar Sanju koi na koi bahana bana hi deta tha. Lekin ek din sab dost Riya ki birthday party mein shaamil the to us beech bhi jab Sanju jaane laga to Ravi ko thoda shak huya. Usne Sanju ka peecha karne ki sochi aur Pawan aur Jay ko abhi aaya bolkar Sanju ke peeche peeche chala gaya to dekha Sanju college se thodi door par bane huye ek park mein ek ped ke paas baitha hai aur us ped se pata nahin kya kya baatein kar raha hai. Ravi ne use disturb karna theek nahin samjha aur wapas chala gaya.

Wapas aakar wo as it is party mein shaamil ho gaya jaisa kuch hua hi nahin. Doston ne poocha ki kahan gaya tha to bol diya ki thoda bahar gaya tha taazi hawa khane. Doston ne bhi jyada nahin pooca aur sab naachne gaane mein mast ho gaye. Thodi der mein Sanju aaya to Ravi ne usse poocha ki kahan gaya tha to usne jhoot bol diya ki papa ka phone aaya tha aur ek jaroori kaam ke liye jaana pada. Ravi ne use akele mein le jaakar poochne ki sochi aur usko bahar le gaya.

Sanju aur Ravi dono bahar aakar sadak par tahalne lage. Baaton baton mein Ravi ne dubara poocha to Sanju chaunk utha. Usne kaha nahin yaar aise hi kisi kaam se gaya tha. Tu kyun baar baar pooch raha hai. Ravi ne usse poocha ki park mein kaun sa jaroori kaam bata diya tha uncle ne. Sanju ye sunkar chaunk pada. Wo samajh gaya ki Ravi ne use wahan dekh liya hai. Lekin wo khamosh raha. Uski aankhon mein name aa gayi jise dekhkar Ravi hairan reh gaya. Jis insaan ke chehre par hamesha hansi khilkhilati rehti thi aaj wahin gham ke badal chaye se lag rahe the. Jahan khusiyon ki barsaat hoti thi wahan dukh dard ki lakeer si cha gayi thi.

Sanju ne thandi saans lekar kaha ki yaar mat pooch. Main nahin bata paunga. Badi mushkil se un halaton se nikla hun main. Lekin Ravi kahan maanne wala tha. Usne bhi jaanne ki than li aur Sanju se jid karne laga. Sanju ne aakhir thak haar kar use batane ki soch li. Isme uska fayda bhi tha ki jo dard wo apne seene mein kaafi samay se chupaye huye tha jise usne apne sage bhai se bhi share nahin kiya tha, jo nashwar ki tarah use chub raha tha, jo andar hi andar use khaye ja raha tha, usi dard ko Ravi se baatne par ho sakta tha ki use kuch rahat mile.

Lekin tabhi doston ki awaaz aayi kyunki cake kaatne ka time aa gaya tha to Sanju ne kaha yaar Ravi chal chalte hain. Fir kabhi bataunga tujhe. Ravi kya bolta man markar wo bhi saath mein chal diya.
Do din aise hi nikal gaye lekin Ravi ko mauka nahin mila janne ke liye. Usne kayi baar mauka talashne ki koshish ki lekin har baar jab bhi Sanju park mein jaata to Ravi ya to kisi kaam mein busy hota ya kahin gaya huya hota tha. Ab ye aadmi ki natural tendency hai ki jis cheez ko use mana kara jaye use hi jaanne ki jigyasa sabse jyada jor maarti hai man mein.

Wohi haal Ravi ka tha. Use kisi bhi tarah ye raaz jaanna hi tha ki aisa kya hai ki Sanju pedo se baat karta hai. Kya wo pagal hai ya iske peeche koi kahani chipi huyi hai. Idhar Sanju bhi aisa mauka dekh kar hi jaata tha park mein taaki Ravi ko wahan na le ja sake aur uska raaz, raaz hi rahe. Lekin wohi baat jo main pehle bhi kai baar bol chuka hoon ki insaan jo chahe agar wo sab hone lag jaye to bhagwan na ban jaye.

Teesre din sham ko jaise hi Sanju jaane laga to us din Ravi free tha to wo Sanju ke paas pahunch gaya aur bola ki chal aaj main bhi park mein chalta hoon tere saath. Sanju ne use bahut mana kiya,tarah tarah ke bahane banaye lekin apni dhun ka pakka Ravi usne uski ek na suni. Sanju marta kya na karta chal diya park ki taraf aur as usual Ravi bhi uske saath ho liya. Sanju ne kai baar mana kiya lekin Ravi to apni jid ka pakka tha. Sanju ne thak harkar use saath le liya aur dono bike par baith kar park mein usi ped ke neeche pahunch gaye. Wahan pahunch kar Sanju ne us ped ko paani diya aur wahin us ped ke neeche baith kar usse haal-chaal poochne laga jise Ravi samajhne ki koshish kar raha tha lekin uski samajh se bahar tha. Wo baar baar kabhi Sanju ki taraf to kabhi us ped ki taraf dekh raha tha.

Ravi ko is tarah confused dekh kar Sanju hans pada aur bola “Tum mujhe shayad pagal samajh rahe hoge ki main pedon se baatein karta hoon. Log ke paas is duniya mein jinda aadmi se baat karne ka time nahin hai aur main kahan ped-podhon ke chakkar mein pada hoon.”

“Nahin aisi to koi baat nahin hai. Ped-podhon mein bhi jaan hoti hai. Wo bhi ek achhe sathi ban sakte hain insaan ke.”

“Tum theek keh rahe ho lekin tum nahin jaante dost ye ped mere liye kya hai. Ye sirf ek ped hi nahin hai mere jeewan ki sabse haseen yaadon ka gawah hai. Mera dost hai, hamdard hai”. Itna kehte kehte Sanju ki aankhen nam ho gayi aur wo jaise kinhi purani yaadon mein kho gaya. Ravi ke pukarne par usne batana shuru kiya.


To be continued....
Update 51

Aise hi sab doston mein masti, ched-chad, hansi-majak chalta raha kafi samay tak. Sanju in sab ka kaafi achha dost ban gaya tha. Aur uska bhai to tha hi college mein aane wali sab pareshaniyon se nibatne ke liye. Lekin in sab ke dauran Ravi ne ek khaas baat notice ki ek fix time pe Sanju koi na koi bahana banakar college se nikal jata tha aur lagbhag ek ghante baad wapas aata tha.

Ravi ne kai baar usse poochne ki sochi lekin har baar Sanju koi na koi bahana bana hi deta tha. Lekin ek din sab dost Riya ki birthday party mein shaamil the to us beech bhi jab Sanju jaane laga to Ravi ko thoda shak huya. Usne Sanju ka peecha karne ki sochi aur Pawan aur Jay ko abhi aaya bolkar Sanju ke peeche peeche chala gaya to dekha Sanju college se thodi door par bane huye ek park mein ek ped ke paas baitha hai aur us ped se pata nahin kya kya baatein kar raha hai. Ravi ne use disturb karna theek nahin samjha aur wapas chala gaya.

Wapas aakar wo as it is party mein shaamil ho gaya jaisa kuch hua hi nahin. Doston ne poocha ki kahan gaya tha to bol diya ki thoda bahar gaya tha taazi hawa khane. Doston ne bhi jyada nahin pooca aur sab naachne gaane mein mast ho gaye. Thodi der mein Sanju aaya to Ravi ne usse poocha ki kahan gaya tha to usne jhoot bol diya ki papa ka phone aaya tha aur ek jaroori kaam ke liye jaana pada. Ravi ne use akele mein le jaakar poochne ki sochi aur usko bahar le gaya.

Sanju aur Ravi dono bahar aakar sadak par tahalne lage. Baaton baton mein Ravi ne dubara poocha to Sanju chaunk utha. Usne kaha nahin yaar aise hi kisi kaam se gaya tha. Tu kyun baar baar pooch raha hai. Ravi ne usse poocha ki park mein kaun sa jaroori kaam bata diya tha uncle ne. Sanju ye sunkar chaunk pada. Wo samajh gaya ki Ravi ne use wahan dekh liya hai. Lekin wo khamosh raha. Uski aankhon mein name aa gayi jise dekhkar Ravi hairan reh gaya. Jis insaan ke chehre par hamesha hansi khilkhilati rehti thi aaj wahin gham ke badal chaye se lag rahe the. Jahan khusiyon ki barsaat hoti thi wahan dukh dard ki lakeer si cha gayi thi.

Sanju ne thandi saans lekar kaha ki yaar mat pooch. Main nahin bata paunga. Badi mushkil se un halaton se nikla hun main. Lekin Ravi kahan maanne wala tha. Usne bhi jaanne ki than li aur Sanju se jid karne laga. Sanju ne aakhir thak haar kar use batane ki soch li. Isme uska fayda bhi tha ki jo dard wo apne seene mein kaafi samay se chupaye huye tha jise usne apne sage bhai se bhi share nahin kiya tha, jo nashwar ki tarah use chub raha tha, jo andar hi andar use khaye ja raha tha, usi dard ko Ravi se baatne par ho sakta tha ki use kuch rahat mile.

Lekin tabhi doston ki awaaz aayi kyunki cake kaatne ka time aa gaya tha to Sanju ne kaha yaar Ravi chal chalte hain. Fir kabhi bataunga tujhe. Ravi kya bolta man markar wo bhi saath mein chal diya.
Do din aise hi nikal gaye lekin Ravi ko mauka nahin mila janne ke liye. Usne kayi baar mauka talashne ki koshish ki lekin har baar jab bhi Sanju park mein jaata to Ravi ya to kisi kaam mein busy hota ya kahin gaya huya hota tha. Ab ye aadmi ki natural tendency hai ki jis cheez ko use mana kara jaye use hi jaanne ki jigyasa sabse jyada jor maarti hai man mein.

Wohi haal Ravi ka tha. Use kisi bhi tarah ye raaz jaanna hi tha ki aisa kya hai ki Sanju pedo se baat karta hai. Kya wo pagal hai ya iske peeche koi kahani chipi huyi hai. Idhar Sanju bhi aisa mauka dekh kar hi jaata tha park mein taaki Ravi ko wahan na le ja sake aur uska raaz, raaz hi rahe. Lekin wohi baat jo main pehle bhi kai baar bol chuka hoon ki insaan jo chahe agar wo sab hone lag jaye to bhagwan na ban jaye.

Teesre din sham ko jaise hi Sanju jaane laga to us din Ravi free tha to wo Sanju ke paas pahunch gaya aur bola ki chal aaj main bhi park mein chalta hoon tere saath. Sanju ne use bahut mana kiya,tarah tarah ke bahane banaye lekin apni dhun ka pakka Ravi usne uski ek na suni. Sanju marta kya na karta chal diya park ki taraf aur as usual Ravi bhi uske saath ho liya. Sanju ne kai baar mana kiya lekin Ravi to apni jid ka pakka tha. Sanju ne thak harkar use saath le liya aur dono bike par baith kar park mein usi ped ke neeche pahunch gaye. Wahan pahunch kar Sanju ne us ped ko paani diya aur wahin us ped ke neeche baith kar usse haal-chaal poochne laga jise Ravi samajhne ki koshish kar raha tha lekin uski samajh se bahar tha. Wo baar baar kabhi Sanju ki taraf to kabhi us ped ki taraf dekh raha tha.

Ravi ko is tarah confused dekh kar Sanju hans pada aur bola “Tum mujhe shayad pagal samajh rahe hoge ki main pedon se baatein karta hoon. Log ke paas is duniya mein jinda aadmi se baat karne ka time nahin hai aur main kahan ped-podhon ke chakkar mein pada hoon.”

“Nahin aisi to koi baat nahin hai. Ped-podhon mein bhi jaan hoti hai. Wo bhi ek achhe sathi ban sakte hain insaan ke.”

“Tum theek keh rahe ho lekin tum nahin jaante dost ye ped mere liye kya hai. Ye sirf ek ped hi nahin hai mere jeewan ki sabse haseen yaadon ka gawah hai. Mera dost hai, hamdard hai”. Itna kehte kehte Sanju ki aankhen nam ho gayi aur wo jaise kinhi purani yaadon mein kho gaya. Ravi ke pukarne par usne batana shuru kiya.


To be continued....
Sala Ravi itna ziddi hai ki pucho mat kisi ke aage sunata hi nahi hai aur yeh sanju ki kon si nayi love story hai dekhane wali baat hogi dekhate hai waiting next
 
  • Like
Reactions: Ravi

Guffy

Well-Known Member
2,069
2,177
159
Update 52

“Main aur Sanjana dono ek dusre ko bahut pyaar karte the. Halanki use manane ke liye mujhe kafi papad belne pade, uske ghar ke kitne hi chakkar lage, ladkon se ladai jhagde bhi huye, ghar, school mein pata nahin kitni baar pitai padi lekin aakhir ek din main uska pyaar pane mein safal ho hi gaya. Hum aksar isi park mein aakar baitha karte the aur ghanton ek doosre ki aankhon mein dekhte huye, ek doosre ki baahon mein samay bitaya karte the. Humne apne haathon se ek chota sa paudha bhi yahan lagaya. Roz yahan jab bhi aate to apni pani ki bootle se pani us paudhe ko jaroor dalte. Hamara pyaar aisa tha jaise do jism ek jaan. Ek pal ko bhi doosre se bichad kar nahin reh sakte the.”

“Lekin pata nahin hamare pyaar ko kiski najar lag gayi” Aur itna kehkar Sanju ka dil bhar aaya aur uski aankhon se aansuon ki dhara behne lagi. Ravi ka dil bhi paseej gaya ki Sanju jo bahar se har dum mast rehta hai, khilkhilata rehta hai, apne seene mein kitna dard chupaye huye hai. Use dekhkar koi nahin keh sakta ki use koi gham bhi hai.

Jab Sanju shaant huya to usne aage bataya “Us din mera janamdin tha aur wo mere liye gift lene gayi thi. Us din wo bahut khus thi aur mere liye ek shirt lene gayi thi market mein. Wahan kisi gunde ne uske saath chedkani ki aur usne use kaskar sabke saamne thappad maar diya.”

“Are wah ye to usne bahut achha kiya” Ravi turant bol pada. Aise gundon ko to beech chaurahe par laakar peetna chahiye.

“Tum theek keh rahe ho lekin yahi to shayad sabse badi galti ho gayi thi usse. Khair wo gift lekar aa gayi thi aur usne mujhe bataya lekin main pagal tha jo sab theek ho gaya, usne thappad maar diya aur baat aayi gayi ho gayi, aisa sochkar shaant baith gaya. Mujhe usi samay us gunde ko sabak sikhana chahiye tha.

Agle din mere paas khabar aayi ki meri Sanjana hospital mein jindagi aur maut se jhoojh rahi hai. Mere to pairon se jaise jameen hi nikal gayi thi. Main sab kaam chodkar wahan bhaga bhaga pahuncha. Uske parents se main kai baar mil chuka tha to mujhe dekhte hi bole ki beta tum andar jao. Sanjana baar baar tumhe yaad kar rahi hai. Itna kehte kehte unki aankhen nam ho gayi jise dekhkar mujhe kisi anhoni ki aashanka hone lagi”

“Main andar gaya aur wo meri taraf dekh kar muskura di lekin uski muskurahat use hone wale dard ko chupa nahin saki. Main uske paas baith gaya to usne mujhse bola ki tum aaj park mein nahin gaye us paudhe ko pani dene. Maine kaha mein tumhare bina kabhi gaya hoon. Dono saath saath chalenge. Itna sunkar wo muskura di aur boli ab shayad mein kabhi tumhare saath na ja sakun tumhe akele hi us paudhe ko bada karna hoga jo hamare pyaar ki nishani hai. Mera aks tumhe dikhega usme. Maine kaha tum kya behki behki baatein kar rahi ho. Aur ye halat kaise ho gayi tumhari”

“Usne bataya ki jis ladke ko kal usne thappad mara tha aaj usne apne ek dost ke saath use gher liya tha. Wo dono milkar use jabardasti apni gaadi mein bithana chahte the lekin wo isme safal nahin ho paye. Jab maine chillana shuru kiya to ek ne apne haathon se mera muh daba diya. Maine bhi ek laat uski dono taangon ke beech maari to usne dard aur gusse ke mare mujhe chalte traffic ke beech dhakka de diya. Wahan ek bus chali aa rahi. Usne mujhe bachane ki bahut koshish ki lekin main bus ki chapet mein aa hi gayi aur meri ye halat ho gayi. Wo dono ladke turant wahan se bhag gaye the aur mujhe wahan se PCR ki van hospital mein le aayi thi. Shayad kisi ne police ko phone kar diya tha”

“Wo ladka kaun tha Sanjana. Ye poochte huye Sanju ka khoon khaul raha tha aur uski aankhon se lag raha tha ki agar ise pata chal gaya to ye jaroor koi anarth kar dega. Sanjana ne kaha ki use nahin pata. Usne to us ladke ko kabhi dekha hi nahin. Aur tumhe meri kasam agar tum aaj ke baad ye baat bhi apni dimaag mein lekar aaye. Bhul jao sab sirf mujhe aur hamare pyaar ko yaad rakho. Main tumse bahut pyaar karti hoon aur tumhe hamesha khus dekhna chahti hoon.

Wada karo kabhi royoge nahi mujhe yaad karke. Hamare pyaar ki nishani ke paas din ke ek samay jaroor milne jaoge. Main tumhare paas laut kar jaroor aaungi. Dekhti hoon ki tum mujhe pehchaan paate ho ya nahin. Ab kis ladki ke roop mein aa jaun ye pata nahin. Sab kaam tumhe karna hai. Hamesha yun hi hanste rehna hai aur khilkhilate rehna hai.”

“Achanak Sanjana ki awaaz bolte bolte ruk gayi aur wo tej tej saansein lene lag gayi. Khair ruk ruk kar to pehle bhi bol rahi thi lekin is samay to uski halat bolne ki bhi nahin thi. Usne mera haath apne haathon mein kaskar pakad liya jaise mujhse wada chahti ho. Main uski baat kaise taal sakta tha. Maine apni jaan se pyaar jo bahut karta tha. Waada kar diya. Shayad wo mere ikraar ke intezar mein hi ruki huyi thi. Jaise hi maine wada kiya wo hamesha ke liye mujhse door chali gayi.”

“Mere haath se uska haath neeche jameen par latak gaya jise maine dubara apne haathon mein lene ki koshish ki to dekha ki ek bracelet jis par R akshar likha huya tha uske haath mein fansa huya tha. Main samajh gaya ki ye bracelet jaroor us ladke ka hoga jisne isko dhakka diya kyunki ye ek gents bracelet tha. Main bracelet ko jeb mein dala aur uska haath apne haath mein lekar pagal sa ho gaya. Mujhe hosh to tab aaya jab uske parents ne mujhe jhakjhor kar hataya wahan se.”

“Wahan se nikalkar main bhagta huya us paudhe ke paas pahunch gaya aur uske gale se lag kar bahut der tak rota raha. Iske baad main rojana apne wade ke mutabik us paudhe ke paas jaata aur use paani deta. Mujhe apni jaan ki jhalak usme dikhayi deti thi. Main ghanton uske paas baith kar usse baat kiya karta tha jaise apni Sanjana se baat kar raha hoon.”

Ravi ki aankhon se aansu beh rahe the Sanju ki kahani sun kar aur usne poocha “Yaar iska matlab ye ped wo paudha hi hai kyunki tum isse baat kar rahe the”

Sanju ne kaha “Haan ye wohi paudha hai jo ab hamare pyaar ke badhne ke saath saath ek vishal vriksh ka roop le chuka hai. Jis tarah usse bichadne ke baad bhi mera pyaar kabhi kam nahin huya usi tarah ye ped bhi kabhi nahin murjhaya”

Ravi ne aage poocha “To us bracelet se us ladke ka kuch pata chala ki wo kaun tha aur kahan rehta hai”

Sanju ki aankhen ek pal ke liye angaare jaisi huyi lekin turant hi wo normal ho gaya aur bola “Yaar yehi to pata nahin chal paya hai ab tak. Pehle to maine socha tha ki shayad uske ghar mein se kisi ka hoga to main wahan bhi sabse poocha lekin kisi ka nahin nikla. Jahan uska accident karaya gaya tha wahan jaakar bhi maine kaafi pata kiya lekin kuch pata nahin chala.”

“Aur bas ab to sirf ye ped jo hamare pyaar ka pratik hai mera sab kuch hai. Aaj bhi use har ladki mein dekhta hoon ki kab wok is roop mein mere saamne aa jaye lekin aaj tak wo nahin aayi.

Itna kehkar Sanju jo ab tak kisi tarah se apne upar control kar raha tha aur sab kahani Ravi ko bata raha tha aage bol nahin paya aur uski aankhon se bhi ashru-dhara behne lagi. Pata nahin kitni der wo baitha rota raha. Jab shaant huya to Ravi ne aur Sanjana ke baare mein baat karni shuru ki jaise ki kaise pyaar huya, kahan kahan gaye ghumne etc. taaki Sanju ka udas dil thodi khushi prapt kar sake.

Sanju bhi ab normal ho gaya tha aur usne shuru mein milne se lekar, ladne-jhagadne, pyaar ka ikraar hone, meethi nok-jhonk hone aadi ke baare mein batana shuru kar diya. Beech mein kai waqye aise bhi the jisme dono thahaka lagakar hans bhi rahe the. Jo mahaul do min pehle ghamgin tha ab wo hansi ke fawwaron se bheega huya tha.
Isi tarah samay beetta gaya aur saare dost aise hi ek dusre ke saath hansi majak karte huye samay bitane lage. Sanju aaj bhi Sanjana se kiya huya wada nibha raha tha. Aaj bhi use Sanjana ki talash thi ki wo kab aur kis roop mein uske saamne aa jaye. Udasi se to jaise Sanju ne nata hi tod liya tha, halanki bahut mushkil tha ye uske liye lekin kya kare wada jo kiya tha apni Sanjana se ki halaat chahe jaise bhi ho wo muskurata rahega. Lekin in sab se beech use aaj bhi us bracelet ke maalik ki talash thi. Usne sab doston ko bhi wo bracelet dikha kar pooch liya tha lekin kisi ko iske baare mein kuch pata nahin tha.

End of Episode 4


To be continued....
Update 52

“Main aur Sanjana dono ek dusre ko bahut pyaar karte the. Halanki use manane ke liye mujhe kafi papad belne pade, uske ghar ke kitne hi chakkar lage, ladkon se ladai jhagde bhi huye, ghar, school mein pata nahin kitni baar pitai padi lekin aakhir ek din main uska pyaar pane mein safal ho hi gaya. Hum aksar isi park mein aakar baitha karte the aur ghanton ek doosre ki aankhon mein dekhte huye, ek doosre ki baahon mein samay bitaya karte the. Humne apne haathon se ek chota sa paudha bhi yahan lagaya. Roz yahan jab bhi aate to apni pani ki bootle se pani us paudhe ko jaroor dalte. Hamara pyaar aisa tha jaise do jism ek jaan. Ek pal ko bhi doosre se bichad kar nahin reh sakte the.”

“Lekin pata nahin hamare pyaar ko kiski najar lag gayi” Aur itna kehkar Sanju ka dil bhar aaya aur uski aankhon se aansuon ki dhara behne lagi. Ravi ka dil bhi paseej gaya ki Sanju jo bahar se har dum mast rehta hai, khilkhilata rehta hai, apne seene mein kitna dard chupaye huye hai. Use dekhkar koi nahin keh sakta ki use koi gham bhi hai.

Jab Sanju shaant huya to usne aage bataya “Us din mera janamdin tha aur wo mere liye gift lene gayi thi. Us din wo bahut khus thi aur mere liye ek shirt lene gayi thi market mein. Wahan kisi gunde ne uske saath chedkani ki aur usne use kaskar sabke saamne thappad maar diya.”

“Are wah ye to usne bahut achha kiya” Ravi turant bol pada. Aise gundon ko to beech chaurahe par laakar peetna chahiye.

“Tum theek keh rahe ho lekin yahi to shayad sabse badi galti ho gayi thi usse. Khair wo gift lekar aa gayi thi aur usne mujhe bataya lekin main pagal tha jo sab theek ho gaya, usne thappad maar diya aur baat aayi gayi ho gayi, aisa sochkar shaant baith gaya. Mujhe usi samay us gunde ko sabak sikhana chahiye tha.

Agle din mere paas khabar aayi ki meri Sanjana hospital mein jindagi aur maut se jhoojh rahi hai. Mere to pairon se jaise jameen hi nikal gayi thi. Main sab kaam chodkar wahan bhaga bhaga pahuncha. Uske parents se main kai baar mil chuka tha to mujhe dekhte hi bole ki beta tum andar jao. Sanjana baar baar tumhe yaad kar rahi hai. Itna kehte kehte unki aankhen nam ho gayi jise dekhkar mujhe kisi anhoni ki aashanka hone lagi”

“Main andar gaya aur wo meri taraf dekh kar muskura di lekin uski muskurahat use hone wale dard ko chupa nahin saki. Main uske paas baith gaya to usne mujhse bola ki tum aaj park mein nahin gaye us paudhe ko pani dene. Maine kaha mein tumhare bina kabhi gaya hoon. Dono saath saath chalenge. Itna sunkar wo muskura di aur boli ab shayad mein kabhi tumhare saath na ja sakun tumhe akele hi us paudhe ko bada karna hoga jo hamare pyaar ki nishani hai. Mera aks tumhe dikhega usme. Maine kaha tum kya behki behki baatein kar rahi ho. Aur ye halat kaise ho gayi tumhari”

“Usne bataya ki jis ladke ko kal usne thappad mara tha aaj usne apne ek dost ke saath use gher liya tha. Wo dono milkar use jabardasti apni gaadi mein bithana chahte the lekin wo isme safal nahin ho paye. Jab maine chillana shuru kiya to ek ne apne haathon se mera muh daba diya. Maine bhi ek laat uski dono taangon ke beech maari to usne dard aur gusse ke mare mujhe chalte traffic ke beech dhakka de diya. Wahan ek bus chali aa rahi. Usne mujhe bachane ki bahut koshish ki lekin main bus ki chapet mein aa hi gayi aur meri ye halat ho gayi. Wo dono ladke turant wahan se bhag gaye the aur mujhe wahan se PCR ki van hospital mein le aayi thi. Shayad kisi ne police ko phone kar diya tha”

“Wo ladka kaun tha Sanjana. Ye poochte huye Sanju ka khoon khaul raha tha aur uski aankhon se lag raha tha ki agar ise pata chal gaya to ye jaroor koi anarth kar dega. Sanjana ne kaha ki use nahin pata. Usne to us ladke ko kabhi dekha hi nahin. Aur tumhe meri kasam agar tum aaj ke baad ye baat bhi apni dimaag mein lekar aaye. Bhul jao sab sirf mujhe aur hamare pyaar ko yaad rakho. Main tumse bahut pyaar karti hoon aur tumhe hamesha khus dekhna chahti hoon.

Wada karo kabhi royoge nahi mujhe yaad karke. Hamare pyaar ki nishani ke paas din ke ek samay jaroor milne jaoge. Main tumhare paas laut kar jaroor aaungi. Dekhti hoon ki tum mujhe pehchaan paate ho ya nahin. Ab kis ladki ke roop mein aa jaun ye pata nahin. Sab kaam tumhe karna hai. Hamesha yun hi hanste rehna hai aur khilkhilate rehna hai.”

“Achanak Sanjana ki awaaz bolte bolte ruk gayi aur wo tej tej saansein lene lag gayi. Khair ruk ruk kar to pehle bhi bol rahi thi lekin is samay to uski halat bolne ki bhi nahin thi. Usne mera haath apne haathon mein kaskar pakad liya jaise mujhse wada chahti ho. Main uski baat kaise taal sakta tha. Maine apni jaan se pyaar jo bahut karta tha. Waada kar diya. Shayad wo mere ikraar ke intezar mein hi ruki huyi thi. Jaise hi maine wada kiya wo hamesha ke liye mujhse door chali gayi.”

“Mere haath se uska haath neeche jameen par latak gaya jise maine dubara apne haathon mein lene ki koshish ki to dekha ki ek bracelet jis par R akshar likha huya tha uske haath mein fansa huya tha. Main samajh gaya ki ye bracelet jaroor us ladke ka hoga jisne isko dhakka diya kyunki ye ek gents bracelet tha. Main bracelet ko jeb mein dala aur uska haath apne haath mein lekar pagal sa ho gaya. Mujhe hosh to tab aaya jab uske parents ne mujhe jhakjhor kar hataya wahan se.”

“Wahan se nikalkar main bhagta huya us paudhe ke paas pahunch gaya aur uske gale se lag kar bahut der tak rota raha. Iske baad main rojana apne wade ke mutabik us paudhe ke paas jaata aur use paani deta. Mujhe apni jaan ki jhalak usme dikhayi deti thi. Main ghanton uske paas baith kar usse baat kiya karta tha jaise apni Sanjana se baat kar raha hoon.”

Ravi ki aankhon se aansu beh rahe the Sanju ki kahani sun kar aur usne poocha “Yaar iska matlab ye ped wo paudha hi hai kyunki tum isse baat kar rahe the”

Sanju ne kaha “Haan ye wohi paudha hai jo ab hamare pyaar ke badhne ke saath saath ek vishal vriksh ka roop le chuka hai. Jis tarah usse bichadne ke baad bhi mera pyaar kabhi kam nahin huya usi tarah ye ped bhi kabhi nahin murjhaya”

Ravi ne aage poocha “To us bracelet se us ladke ka kuch pata chala ki wo kaun tha aur kahan rehta hai”

Sanju ki aankhen ek pal ke liye angaare jaisi huyi lekin turant hi wo normal ho gaya aur bola “Yaar yehi to pata nahin chal paya hai ab tak. Pehle to maine socha tha ki shayad uske ghar mein se kisi ka hoga to main wahan bhi sabse poocha lekin kisi ka nahin nikla. Jahan uska accident karaya gaya tha wahan jaakar bhi maine kaafi pata kiya lekin kuch pata nahin chala.”

“Aur bas ab to sirf ye ped jo hamare pyaar ka pratik hai mera sab kuch hai. Aaj bhi use har ladki mein dekhta hoon ki kab wok is roop mein mere saamne aa jaye lekin aaj tak wo nahin aayi.

Itna kehkar Sanju jo ab tak kisi tarah se apne upar control kar raha tha aur sab kahani Ravi ko bata raha tha aage bol nahin paya aur uski aankhon se bhi ashru-dhara behne lagi. Pata nahin kitni der wo baitha rota raha. Jab shaant huya to Ravi ne aur Sanjana ke baare mein baat karni shuru ki jaise ki kaise pyaar huya, kahan kahan gaye ghumne etc. taaki Sanju ka udas dil thodi khushi prapt kar sake.

Sanju bhi ab normal ho gaya tha aur usne shuru mein milne se lekar, ladne-jhagadne, pyaar ka ikraar hone, meethi nok-jhonk hone aadi ke baare mein batana shuru kar diya. Beech mein kai waqye aise bhi the jisme dono thahaka lagakar hans bhi rahe the. Jo mahaul do min pehle ghamgin tha ab wo hansi ke fawwaron se bheega huya tha.
Isi tarah samay beetta gaya aur saare dost aise hi ek dusre ke saath hansi majak karte huye samay bitane lage. Sanju aaj bhi Sanjana se kiya huya wada nibha raha tha. Aaj bhi use Sanjana ki talash thi ki wo kab aur kis roop mein uske saamne aa jaye. Udasi se to jaise Sanju ne nata hi tod liya tha, halanki bahut mushkil tha ye uske liye lekin kya kare wada jo kiya tha apni Sanjana se ki halaat chahe jaise bhi ho wo muskurata rahega. Lekin in sab se beech use aaj bhi us bracelet ke maalik ki talash thi. Usne sab doston ko bhi wo bracelet dikha kar pooch liya tha lekin kisi ko iske baare mein kuch pata nahin tha.

End of Episode 4


To be continued....
Kya update hai yrr padh ke maza aa gaya aur sanju aur sanjana ki love story ke toh kya kahane hai jabarjast maholl ab deekho sanju kabhi uss ladke ko dhund pata hai ya nahi dhund pata hai
Waiting next
 
  • Like
Reactions: Ravi
Top