• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Chauraha

Status
Not open for further replies.

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,641
173
Chauraha

Chand Shabd


Aksar hum sabhi behtar jiwan ki talaash me palayan karte hai ek nirjan sthaan se sambhavnao aur smridhi se bhare us jungle ki aur jis taraf swayam-sukh aur laalsa se bhare ekmatra banjare hum he nahi hote. Har insaan yahi aas aur soch rakhta hai ki uska jiwan kabhi toh saral aur smridh bane. Kaash ki prakriti ka ye anootha jeev baaki sabhi prajaatiyon ke samkaksh soch rakhta aur suryodaya-suryaast jiwan me yakeen rakhta. Shayad kahi na kahi galti kudrat ki bhi hogi jisne insaan me ek atirikt tatva mila diya isko banate hue. Itchhaayen.. Insaan janam lete he duniya se ru-ba-ru hota hai toh uske saral nirmal chitt me sabse pehli milawat panapti hai toh wo hoti hai itchhaayen. Aakhir kya hai ye itchhaayen jisne prakriti ke saamne ghutno par rengne wale vann-maanush ko aaj usi prakriti ko chunoti dene wala kaal bana diya?

Iske baare me ek pankti me toh kya he kaha ja sakta hai kyonki na itchha ki saral paribhasha hai aur na he iska koyi antim chhor. Par kuch aur bhi tha jo manushya janam ke samay toh na jaan saka lekin tha 'wo' uske he bhitar, bahot gehraai me jis se navjaat abodh toh waakif bhi nahi tha par usko bhaan hua jaise jaise wo navjaat se tarun aur fir kishor bana. Umar ke badhne ke sath wo gehraai me daba ankur bhi badh kar kishor vriksh bana jo insaan ko uski paridhi me qaid karne ke liye prakriti ka he dusra tatva tha... Darr. Itchhayen badhti hai toh ye dusra swaroop bhi uske samaan badhta hai aur santulan ka toh yahi niyam hai ki taraaju ke palade samaan rahe. Anantkaal se ye dono insaan ke mann mastishk me shaamil rahe hai aur aaj bhi ye wahi vyaapt hai.

Aaj wahi badlaav bhara vann-maanush insaani roop dhaaran kiye, mann me anginat itchhaon aur darr ke sath prakritik jungle se nikal kar sirf apni ek alag duniya banane ja raha hai. Sansadhano ke naam par uske paas 2 kadam, ek vastra aur bas disha hai us us kendra ki jaha ummeedo ki uski alag duniya basegi. Waise raah sirf us ekmatra insaan ki toh nahi hai jaise 4 dishaayen hoti hai waise 4 alag insaan aur unki 4 raahen jo ek samaan kendra par jab ek dusri se judti hai toh wo kendra kehlata hai 'Chauraha'. Manushya ko smridhi ke raah par khinchne wala, jisme itchhaon ki purti shamil hai ya sirf ek chhalava par yakinan waha Darr toh shaamil hai. Chaar taraf se ek kendra par jama hone wale aadhunik vann-maanusho ke beech pratispardha ka darr, itchhaon ke takraav ka darr lekin inse badhkar hai wo ujle safar se yaha tak pahuchne par andhkaar ka darr. Wo darr jis se aksar chaurahe anginat jiwan ka kaal bante rahe aur aaj bhi bann rahe hai. Andhkaar bhara wo chuaraha kiski upaj hai? Insaan ya Prakriti? Jawaab ki taalash bhi toh ek itchha he hai aur itchha ke sath milne wala jokhim nishulk. Toh kyun na ek baar safar kar he liya jaayen apne ekaki sthaan se us smridh aadhunik jungle ka jaha vriksho se adhik maidaan aur imaarte hai. Jaha prajaati ke naam par sirf manushya aur uske bandhak wo jeev jinhe usne apni jarurat ka naam de kar paaltu bana liya. Dekhte hai din me chehal-pehal se bhara wo chauraha kyun andhkaar me kaal bann jata hai. Bas karna itna hai agar koyi sath chalne ko tayaar ho.. Kursi ki petiyaan bandh lijiye, chauraahe ki taraf jaane wali udaan jald he shuru hone wali hai. Gantavya- Graam: Paatan, Varsh-1910. 52 gharo wala ek aisa gaanv 13-13 ke hisaab se 4 hisso me banta hai aur unke hisse karta hai 'Chauraha'
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,641
173
Pyaar 100 Bar ko itna atyadhik prem dene ke liye aap sabhi ka dil se shukriya. Wo sirf ek kahani nahi hai kyonki aap sabhi ne usko apne prem se seench kar ek maha-gatha bana diya. Haan ye ek alag pryaas hai jisko likhne ke baare me mujhe sochna nahi pada, kuch jyada he padhna pada ;)

Chauraha mera ek shodh hai aur isko prastut karne ki ek thos wajah bhi hai jo aapke saamne parat dar parat khulti rahegi, hafte me ek din Ravivaar ko. Jaisa ki Pyaar 100 bar hafte me 3 din aage badhti hai, ye saptaahik lekhan hai. Chauraha aaj ya bhavishya ka lekhan nahi hai dosto. Ye us daur ki drishyavali hai jab aadhunikta ka arth pakke ghar kehlaate the aur gaanv se shehar kayi kos jaha tak pahuchne ke liye na adhik sansadhan the na utni sabki hasiyat. Pehli lekhani jaha pyaar par adhaarit thi iski neev 'Darr' hai. Aapka, mera aur sabka wo ankaha pehlu jiske baare me charcha karna he ajeeb hai. Par charcha toh hogi kyonki aaj shuruaat jo kar di hai. Milte hai tayaari ke sath jald he is naye safar par.
Aapka
Enigma
 

Enigma

Well-Known Member
4,125
57,641
173

INDEX


Family Introduction
update 11
update 12
update 13
update 14
update 15
update 16
update 17
update 18
update 19
update 20
update 21
update 22
update 23
update 24
update 25
update 26
update 27
update 28
update 29
update 30
update 31
update 32
update 33
update 34
update 35
Update 36
Update 37
Update 38
Update 39
Update 40
update 41
update 42
update 43
update 44
update 45
update 46
update 47
update 48
update 49
update 50
update 51
update 52
update 53
update 54
update 55
update 56
update 57
update 58
update 59
update 60
update 61
update 62
update 63
update 64
update 65
update 66
update 67
update 68
update 69
update 70
Update 71
update 72
update 73
update 74
update 75
update 76
update 77
update 78
update 79
update 80
update 81
update 82
update 83
update 84
update 85
update 86
update 87
update 88
update 89
update 90
update 91
update 92
update 93
update 94
update 95
update 96
update 97
update 98
update 99
update 100
Update 101
update 102
update 103
update 104
update 105
update 106
update 107
update 108
update 109
update 110
update 111
update 112
update 113
update 114
update 115
update 116
update 117
update 118
update 119
update 120
update 121
update 122
update 123
update 124
update 125
update 126
update 127
update 128
update 129
update 130
update 131
update 132
update 133
update 134
update 135
Update 136
Update 137
Update 138
Update 139
Update 140
update 141
update 142
update 143
update 144
update 145
update 146
update 147
update 148
update 149
update 150
update 151
update 152
update 153
update 154
update 155
update 156
update 157
update 158
update 159
update 160
update 161
update 162
update 163
update 164
update 165
update 166
update 167
update 168
update 169
update 170
Update 171
update 172
update 173
update 174
update 175
update 176
update 177
update 178
update 179
update 180
update 181
update 182
update 183
update 184
update 185
update 186
update 187
update 188
update 189
update 190
update 191
update 192
update 193
update 194
update 195
update 196
update 197
update 198
update 199
update 200
 
Last edited:

Desi Man

Well-Known Member
2,195
3,038
158
नए सूत्र की बधाई हो दोस्त
 
Status
Not open for further replies.
Top