Story:- Dead but Alive!
Writer:- Mak
----------------
Review:-
Kahani ka plot kafi achha aur interesting tha. Waise to maamla suicide ka tha but kahi na kahi yahi lagta hai ki ye pre planned murder hi tha. Well is story ko padhne ke baad mujhe ek short movie ki yaad aa gayi. Usme bhi aisa hi kuch matter tha. I hope aapne bhi wo short movie dekhi ho...
Aniket Sharma was a novelist writer. Har tarah ki stories likhne wala aniket kabhi ye samajh hi nahi paya ki uske samne jo vichitra ghatnaye ghati thi uske piche koi samaanya vajah nahi ho sakti thi. Aisi situation se sawdhan hone ki bajay wo khud hi usme doobta chala gaya. Uske baad jo hua usme yakeenan uski hi galti thi. Priya to maansik rogi thi is liye use blame nahi kiya ja sakta. Kah sakte hain ki yaha par aniket ka character ya fir uski samajh bachkaani hi thi...Novelist writer jaisi to nahi thi.
Doctor mayank I think pahle se hi apni mansik rogi wife se chhutkara pana chahta tha. Jab usne feel kiya ki aniket sharma uske liye bali ka bakra banne layak hai to usne sara scene create kar diya. I'm sure aniket ki wife sudha ka bhi mayank ko pura support tha. Ek hi hospital me kaam karte the dono to kareeb aa gaye honge, jaisa ki end me clear bhi ho gaya. Yaha sudha ke character par bhi question mark lag jata hai
No doubt, story was simply superb. Diary me aniket ki aap beeti ko bahut hi badhiya tarike se dikhaya gaya. Jaise jaise story end ki taraf badh rahi thi zahen me ye baat bhi aati ja rahi thi ki end me aniket aur priya ka popat hoga aur fir sudha mayank ek nazar aayenge, waisa hi hua. But I want to say one thing, mujhe police ka investigation karne ka tarika zara bhi pasand nahi aaya. Dekha jaye to usne case me naam ki hi investigation ki, balki ye kahe ki aupcharikta hi nibhaayi. Aniket ki diary se unhe suicide ka maamla pata chal gaya uske baad thodi puchtaachh ke baad unhone case close kar diya, that's it. High profile case ka aisa end??? Agar sach me investigation ki jati to mumkin tha ki sudha aur mayank end me aise na nazar aate...
End me sudha aur mayank ek ho gaye. Unhone novel bhi likha jisme sare characters ke name asli hi the. Jo sawaal hame karne chahiye the wo aapne khud hi mayank dwara de diye...kis liye bro? Hame puchne dete...
Mujhe review dena nahi aata dhang se, bas yahi kahunga ki Story bahut zabardast thi aur aapne har cheez ka dhyaan rakh kar khubsurti se likha bhi but jaisa ki maine kaha police ka investigation ka tarika bahut hi bachakana type laga....
Best of luck...
