• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Lovely update.
Aruhi aur Navina ki achi bonding hui great.
Abhi aur Shweta ko romance ka acha mauka mila thanks to Aruhi.
Next day donon ko wapas chorra Abhi ne aur school bhi.
And last mein Ruhi se baat hui Abhi ki. Pehli baar phone par baat kiye donon ne. Ruhi ne diaries padh liye the aur bahot ro rahi thi aur maafi mang rahi thi Abhi se.
Ruhi par qayamat gujra hoga unn diaries ko padh kar.... abhi ka tuta hua dil dikha hoga Ruhi ko.... ufff
Great update casi ji

apprceciate karne ke liye bahot shukriya Swathi dear :love:
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Hmmmm
Good update
Well written

Waise iss waale update par maine review diya hai ya nahi....mai bhul gaya hu....
To dubara de deta hu...dekh lijiye ga aap.....

Ha baat kare update ki to.....
Savana ko Aaruhi me apni beti dikhaai de rahi hai....kyoki jis Navina Abhi ki har ch8j har aadat se pyar or uska sammaan karti hai...
OR ab Aaruhi bhi Abhi ki life ka kaafi important hissa hai....to Navina ke liye to khaas hogi hee....upar se wo kabhi maa nahi ban sakti...aise mai ak beti mil jana....uske liye jaise sab kuch mil jaane ke jaisa hai....no words to describe....

Shweta ko navina ka itna achcha behaviour dekh kar awkward or thoda sa guilty bhi feel ho raha hai....kyoki kuch bhi ho....lekin usne ak pati ko force kiya tha apni patni ko dhoka dene ke liye....OR wo iss baat ko samajhti bhi hai....

Lekin Navina ki achchai kabhi Shweta ko ye ahsaas nahi karwane degi ko wo abhi or Shweta ke baare mai jaante hai...

Abhi ka ghar kaafi bada or aalishan hai....aakhir Abhi multi millionaire hai....

Abhi ne 2 naye ghar lene ki sochi hai....ak jisme ki wo Ruhi ko rakh sake or usko thoda aaram ki or quality life de sake....
Dusra jisme wo Shweta ko rakh sake or is se apna relationship continue kar sake....

Abhi khud ye chij maanta hai ki aaj wo jo kuch bhi hai sab sab Navina ke kaaran hee hai....
OR abhi ne itna sab kuch mil jaane ke baad bhi Navina ko hee apni priority samjha ....ye kaafi achcha tha....

Khair dekhte hai aage kya Hota hai
Anyways
Good update
Thanks....

tehe dil se dhanyawaad Vikram bhai aap ki dilkasht aur dilchasp review ke liye.
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
agar waha jana ruhi ke taraf se ho ke jata toh zyada khushi hoti.aap writer ho or is story ke kartadharta ho.story ko aage badhane ke liye aap ruhi se relate jitne bhi secret hai use revealed kr skte the or second thing shweta ko jb pta chala ki ruhi uski maa hai toh usne sari baatein toh pta chal hi gyi hogi ki kis condition mein uski birth hui toh is jagah use uske maa se sympathy honi chaiye thi na ki nafrat or jaha tk abhi ke taraf uske jhukaw ka hai jb woh choti thi(6yrs) toh us age mein bache ko jaha pyar milega waha thodi attachment ho jati hai or use pta bhi tha ki uski ruhi di or abhi pyar mein the.or kitni taklif ruhi ke jheli uski woh eye witness rahi thi.
toh ye sb situation ko dekhte hue shweta ko ye krna chaiye tha ki use uski maa ki khushiyan wapas abhi ke taur pe wapas lautani chaiye thi na ki apne liye abhi ko khojti kyu ki aaj shweta jo bhi sb ruhi ke badaulat hai

bahot bahot shukriya Kirti dear.... magar kia kahun aap se ab main....
shuru se kehte aya hoon aap regular nahin the thread par to aap ko shaayad pata nahin.... aur shaayd aap ne mere replies nahin padhe jo main ne kayi readers ko kiya ke yeh ek kahani nahin hai, yeh ek hakikat hai aur jaise guzra hai exactly weise hi likha hai main ne isse.... agar yeh ek kalpanik story hoti to main zaroor weise likhta jaise aap ne kaha jaise apne baaki ke kahaniyon mein likhta hoon...
aur ek baat hai ke yeh kahani Abhi ke taraf se kahi jaa rahi hai.... jab abhi ko kuch bhi nahin pata tha ruhi aur usske taraf beete hue life ke baare mein to kaise hum sab ko pata chalta jab tak abhi ko nahin pata chalta?
Abi 25 saal baad Ruhi se mila... iss se pehle wo Shweta se mil gaya tha 18 saa; baad, to shweta comes first in his life after 1986... so abhi got her love before going back to Ruhi.... ruhi ke ghar se dhake khaa kar nikala gaya tha abhi to kaise uss ghar ke chawkath par wapas jaata....
so jo aap ne kaha ke ruhi se hokar shweta ke taraf jaata abhi that was not possible at all
haan agar main yeh kahani likh raha hota tab zaroor ruhi ki life ko saath saath batata chalta sabko....
#hope you hot it and understood it now
thanks very much for the concern about the story Kirti dear
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Woooooowww
Very good update
Well written and described

Shweta ko dar hai.....ki Navina us se bachchi ko Chheen lengi......uska ye darr kuch had tak sahi hai...kaise..?..samjhata hu.....
Shweta ko navina se nahi uski shakhsiyat se....uski achchai se darr hai....
Shweta ko pata hai ki usne Abhi ko uski Ruhi kuch had tak lauta di....saath hee use Ruhi waali feel or touch bhi....jiske liye Abhi paagal tha....
Lekin phir bhi uske puchne par Abhi ne Navina ko hee sabse upar rakha....use priorities di....
Na ki use or na hee Ruhi ko....iska matlab kuch to hai jo Navina mai....Jo na Ruhi mai hai or na hee Shweta mai....something

OR usi something se Shweta darr rahi hai....

Baat kare Navina ki to....vo bahut achchi or loveable hai....usme had se jyada achchaiya hai.....
Lekin kabhi kabhi jyada achcha hona bhi kaafi bura hota hai....

Dono physical hue....lekin Shweta ko darr tha Navina ke aane ka....jabki use ab tak samajh jana chahiye tha....
Halanki use laga ki Navina ko pata hai lekin abhi ne phir se baato ko ghuma diya...
Waise mere hisaab se jaisa chal raha hai chalne dena chahiye....


Ruhi ne diaries padh hee liya....OR wo unhe padhte padhte rone lagi....
Kyoki wo unn diaries se wo era jee kar aayi hai....Abhi ke point of view se....

OR usne jee kar baaki readers (mujh jaiso ko chhod) rone lag gaye the....waise hee uske saath bhi hua....

Ab Ruhi ko samajh mai shaayad aa chuka hoga ki uski kya kya mistakes thi....ya yu kahe ki uss time use kya karna chahiye tha jo ki usne possible hote hue bhi nahi kiya....

Ya phir kuch chije jo use nahi karni chahiye thi wo ki.....

Ab intezar hai Ruhi ke reply ka....

Khair dekhte hai aage kya Hota hai
Anyways
Very good update
Thanks.......

thanks vevry much Vikram bhai..... love your reviews very much....

Shweta ko dar hai.....ki Navina us se bachchi ko Chheen lengi......uska ye darr kuch had tak sahi hai...kaise..?..samjhata hu.....
Shweta ko navina se nahi uski shakhsiyat se....uski achchai se darr hai....
exactly bhai bilkool sahi kaha aap ne... shweta ko Navina ki achaayi se darr hai :D

Shweta ko pata hai ki usne Abhi ko uski Ruhi kuch had tak lauta di....saath hee use Ruhi waali feel or touch bhi....jiske liye Abhi paagal tha....
Right yeh abhi ko bhi pata hai ke ussko Shweta se wo mila aur mil bhi raha hai jo ussko Ruhi se expect thi magar ussko mila nahin tha... aur ek mard ke liye kissi bahut ziada jawaan aurat mein wo paana jo ussne 25 saal pehle feel kiya tha, wohi feeling, wohi fragrance, wohi body ki touch.... ek phsychological intense effect hota hai jo sirf wohi insaan bata sakta hai jo uss se guzra ho...... iss baare mein abhi kahani ki end mein kuch apna personal feeling batayega.... ho sakta hai Abhi ke uss baat se ziada tar raeader sehmat nahin honge magar sach to sirf wohi feel karta hai nah? :D

Lekin phir bhi uske puchne par Abhi ne Navina ko hee sabse upar rakha....use priorities di....
Na ki use or na hee Ruhi ko....iska matlab kuch to hai jo Navina mai....Jo na Ruhi mai hai or na hee Shweta mai....something
Ek insaan (mard) jab kissi aurat ke saath jeeta hai, life spend karta hai, uss se pyar ho hi jata hai, ek alag sa lagao, ek emotional attachment, uss aurat ki sacrifice, dedication, usski caring, usska pyar aur usski nek dili, usski honesty, usski hamdardi aur usski understanding ke saath jeete hue ussko priority dena hi padta hai khaas kar jab wo itni achchi ho, itna pyar bhara ho usske dil mein dusron ke liye... uss insaan ko kaise priority nahin diya jaaye? yehi wo sab something hein jo aap ne kehna chaha bhai :D

Baat kare Navina ki to....vo bahut achchi or loveable hai....usme had se jyada achchaiya hai.....
Lekin kabhi kabhi jyada achcha hona bhi kaafi bura hota hai....
nahin Navina ki achaiyan kabhi nah gahtti hai nah compromie hui :D

Ab Ruhi ko samajh mai shaayad aa chuka hoga ki uski kya kya mistakes thi....ya yu kahe ki uss time use kya karna chahiye tha jo ki usne possible hote hue bhi nahi kiya....

Ya phir kuch chije jo use nahi karni chahiye thi wo ki.....

Ab intezar hai Ruhi ke reply ka....
haan ab agle kuch updates mein yehi dekhna hai bhai
thanks loads vikram bhai
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Hmmmm
Point kuch had tak sahi hai....
OR aisa jarur karna chahiye....agar ye fiction kahani hoti....

Fiction ko aap kanhi bhi mod sakte hai....har ak character ko apne hisaab se good or bad dikha sakte hai ya usko samajh dar or bewakoof...

But Ye fiction nahi hai....ak biography hai....jiski reality ke baare mai.....
Mai khud jaanta hu....

OR biography mai changes nahi hote...har character ko uske asli roop me hee or asli khubiyo or khaamiyo ke saath dikhaya jata hai....

I hope you understand this....

OR waise bhi Shweta ko bhi to kisi ka pyar nahi mila...na maa baap ka na Ruhi ka....

To Aisi situation mai use laga hoga ki agar wo Ruhi ke saath hoti to shaayad jyada khush hoti....Jo ki na ho saka....
OR wo isi baat se gussa hai...

thaks bhai Kirti se baat share karne ke liye
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
As usual bro I read the update and fell asleep last night.
Will you believe me casi bro, I DREAMT ALL THE CHARACTERS OF THIS STORY. I DREAMT SHWETA BEING SMALL KID RUHI AS WIFE OF ABHI AND ABHI AND NAVINA AS GOOD FRIENDS AT A COLLEGE. :laugh:
I think its because I had in mind to review and slept with what had to write as review, so the story remained in my sub conscience..... funny indeed. This happened to me once when I was reading the Davinci code.... i had dreamt of the characters and the story.

Well. Coming to the update. Good one. Shweta had a fear of losing her child
When she found Aruhi getting so close to Navina. Well being a mother she should hv that fear. A mother's wealth is her child or children and if she is possessive she will feel disturbed, this is what must hv happened to Shweta. But being with Abhi she must feel the security is also there or else she would hv snatched back her kid.
Shweta told Abhi later that Aruhi said she will go to spend the weekend with Navina means that now she is ok with that otherwise she would not have accepted to let her child go....
Happy to see Abhi back working in the garage like his workers....
He called Ruhi. She cried. She had completed the reading of the diaries and had lived those days Abhi suffered for her and she apologized to Abhi.
Abhi told her he will come to see her the next day..
Very good update Casi bro.
Happy for the way its all going in the story.
Just eager to know what will now crop up. Keep up the good work my dear.

thanks so very much for the appreciative review Rowdy bro
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Pyara sa update casi ji.
Acha laga k Aruhi aur Navina mein bonding ho gayi aur weekend mein Aruhi ne Navina ke sath time bitane ko socha. Navina khush ho jaegi Aruhi ko apne paas rakh ke. Aur udhar Abhi aur shweta ko time milega ek saath jiada rehne ki.
Abhi ne Ruhi se phone par baat kiye aur Ruhi rone lagi Abhibk diaries padh kar. Abhi se maafi mangi kyunke ab Ruhi ko apne ghalatiyon ka ehsaas jiada hua hoga sab padhne ke baad.
Abhi uss se ab milne jaega firse.
Tan dekhte hein kia hota hai.
Good update casi ji.

bahot bahot shukriya Komal dear appreciation ke liye
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,253
259
Update 70 Ruhi And The Diaries

Ruhi ne jab diaries padna shuru kiya to bahot khush hui. Usske dil mein kuch aise ehsaas jaage jo pichle 25 saalon mein jaise Ruhi ne dafna diye the… unn dinon ko yaad to karti thi magar sab ab ussko dhundla nazar ata tha, magar Abhi ki daries ne saare dhundlepan ko mita diye, jaise ke baarish mein ek car ke windshield par paani padhne se saaf nahin dikhaayi deta, Ruhi ke andar wo yaadein uss tarah the aur Abhi ki diaries ne ek wiper ka kaam kiya sab saaf kar diya aur sab kuch saaf dikhne laga dobara Ruhi ko…..

Padhna shuru kiya to kuch aise chizein maloom hui Ruhi ko jisska ussko tab pata bhi nahin tha wo ussko aaj pata chala…..

Jaise shuru mein Abhi ne likha tha ke ek aurat (Ruhi ki maa) ne Ruhi ka naam phukaarte hue ussko bus dekhne ko bulaya, aur kiss tarah se Abhi bechain wait karne laga tha ke kab wo Ruhi naam wali ladki kitchen ke chaukath par aaye bus ko dekhne ke liye taake Abhi uss ladki ko dekh sake….. yeh to first din ko hua tha jab Abhi wahan pehli baar gaya tha aur iss baat ke baare mein Ruhi ko bilkool bhi pata nahin tha yeh ussko aaj 25 saal baad pata chala diaries mein padhne ke baad…. Yeh part padhte hue Ruhi ko bahot acha laga ke aate hi Abhi ne ussko dekhne ke liye itna utavla ho gaya tha, Abhi ko usska naam sute hi pyar ho gaya tha, bina ussko dekhe, sirf usski awaaz sunke, kitchen ke andar se Ruhi jawaab de rahi thi aur usski awaaz Abhi ke kaanon tak jaa raha tha aur Abhi uss awaaz ki maalkin ko dekhne ke liye wait kar raha tha…. yeh padh kar Ruhi ko itna acha laga ke usska mann kiya ke wo din dobara wapas aaye aur wo ek bar firse, ussi taraf kitchen mein pakaaye aur usski maa ussko bulaaye Mehboob ka bus dekhne ke liye aur Ruhi wapas aaye stairs par dekhne ke liye taake Abhi ussko dekh sake….

Sochne ki baat hai ke Ruhi ko yeh padhte hue kaise feel ho raha hoga…. Ussko pata bhi nahin tha ke koyi ussko dekhne ke liye intezaar kar raha tha aur wo kitchen mein pakaane mein vyast thi…

Dairies to English mein likha hai Abhi ne magar yahan paathakon ke liye Hinglish mein sab hoga aur wohi hoga jo aap sab ne updates mein padhe hein pehle…… revive those days.....

Ab aap sab paathakon ko buss yun samajhna hai ke jaise Ruhi iss kahani ke update 1 se lekar update 46 tak padh rahi hai…. Khud ussne jo kuch kiya Abhi ke saath, Abhi ne jitney pal bhi guzaare uss aangan mein sab Ruhi padh rahi hai…. Kitna waqt Ruhi ne Abhi ke saath guzara, kitna Abhi tadpa, kitna Ruhi ke taraf se ikraar ya inkaar dikhaayi diya…. Yeh sab Ruhi ne padha…

Aur ab kyunke Ruhi ne kaha tha ke Abhi ko iss baar likh kar reply karegi, to yaaro….. aisa samjho ke Ruhi ne unn tamaan updates par apna review likha… kuch aisa hi samajhna hoga kyunke jo kuch iss kahani mein Update 1 se update 46 tak likha gaya hai wo sab Abhi ke unn diaries mein hein jo Ruhi ko Abhi ne diya!

Bahot saare aise events the jissko padhte hue Ruhi ko bahot achcha lag raha tha, muskura rahi thi, hanssti jaa rahi thi, jaise ke update 5 mein THE FIRST DAY OF WORK mein yeh part Ruhi ne padhne ke baad Ruhi ne yeh likha as reply to Abhi….

Reply karne ke liye Ruhi ne a writing pad kharida… ussi mein diaries ke replies likhne lagi Ruhi… to yeh part padha Ruhi ne:


{Bus stop se utar kar marammat karne wale bus tak pahunchne mein koyi 5 minat lagta tha, aur jab uss aangan mein daakhil hua abhi to usski nazar seedhe uss kitchen wale stairs par pahunche, bus par nahin. Chalte waqt bus tak reach hone ke liye abhi ki nazrein idhar udhar dekhta gaya, right mein jo ghar hai matlab jiss ghar mein wo ladki rehti hai, uss ghar ka saamne wale hisse ko ghaur se dekha abhi ne, jo pehla tap tha wahan dekha phir nazron ko uss taraf kiya jahan tap number 2 tha aur ek washing stone bhi tha uss dusre nal ke paas. Aur akhir mein uss jagah pahuncha jahan washroom tha. Aur ab wo washroom to direct uss kitchen ke opposite tha jahan kal Ruhi nazar ayi thi, uss washroom se kitchen ke andar nazar araha tha. Abhi ne ghaur se andar dekha. Koyi bhi nahin tha. Abhi ne sochna shuru kiya ke kal issi kitchen mein wo ladki paka rahi thi jiss waqt usski maa ussko awaaz de rahi thi……. Abhi ne ek vision kiya jo flashback ki tarah usske aankhon ke saamne aaye….


Ussne dekha ke ussi neeli dress mein ladki apni stove ke paas karhaayi mein kuch pakaa rahi hai aur Abhi ussko dekh rahi hai phir Abhi uss se ishaare se baat kar raha hai…..

Vision khatam hone ke baad Abhi ne socha kia aisa kabhi hoga bhi? Kia yeh mumkin hai? 4 se 6 mahinon tak yahin kaam karna hai kuch to baat aaguey badhegi zaroor….. Ek ajeeb si feeling ho raha tha abhi ko, uss kitchen ke andar dekhte hue, soch raha tha jaise usski maa pakaati hai kitchen mein weise hi ladki bhi kal paka rahi thi, ussko pakana ata hai, kia kabi kuch paka kar khilaegi Abhi ko? Wo sochne laga Abhi, usske haath ka paka hua kaisa lagega? Swadisht hoga? Abhi ussko kitchen stove ke paas dekhna chahta tha, ussko pakaate hue dekhna chahta tha, usska dil kar raha tha ke wo ladki wahan aaye aur Abhi usske paas jaakar ussko piche se jakre aur uss se pyar kare…. Aise feelings aa rahe the abhi ke dil mein kapde change karte waqt… }

Ruhi ne yeh padhne ke baad likha:

“Mujhe nahin pata tha aap pehle din se mujh mein itna interest le rahe the Abhi. Yeh sab padh kar bahot hi acha laga mujhe, wo puraane din wapas agaye. Kitna acha likhte ho aap. Aap ne meri aangan ko kitna achah describe kiya hai, mere ghar ko, kitchen ko, washing stone aur taps, sabko itne details mein likha hai? Main ne khud kabhi unn jizon ko nahin describe kiya jaise aap ne kiye hein. Aaj to wo sab baaki nahin hai Abhi magar aap ne sab likh kar unn chizon ko ab tak zinda rakha hai, its very very beautiful, you made me go back to those days Abhi….. Rahi baat aap ko mujhe kitchen mein pakaate hue dekhna aur yeh sochna ke kia kabhi aap mere haath ki pakaaye hue kha paoge, to Abhi wo wish to puri hui thi nah aap ki at least? Main ne aap ko lunch par invite kiya tha aur khud apne haath se pakaaya hua khilaya tha aap ko…. Hai nah Abhi? Dekha aap ne first day of work ko jo wish kiya tha wo puri hui thi Abhi! Aur rahi mujhe pakate waqt piche se aakar jakarne ki baat… Abhi aap ne first day ko hi yeh sab soch liya tha? Really? Kaash main wapas unn dinon mein jaa sakti to aap ko zaroor mauka deti mujhe aakar piche se kitchen mein jakarne ke liye….”

Aur dhire dhire aise hi Ruhi padhti gayi… aur yeh read kiya to Ruhi ne :

{Abhi baar baar uss ghar ke taraf dekhe jaa raha tha kaam karte hue, soch raha tha kia wo abhi tak so rahi hogi? Ussko dekhne ka bada mann tha abhi ko, magar wo bilkool nazar nahin arahi thi. Kia wo kaam par chali gayi hogi? Kia college gayi hogi? Ya university ki student hogi? Usski maa kayi baar nazar aayi. Mehboob bhi kayi baar aaye, sabse baat kiye, Mehboob ki biwi, Rahima bhi aayi, chai dene aayi sabko phir wapas chali bhi gayi magar wo ladki nahin dikhi thi Abhi ko din ke barah bajne ko tha. Bus ko nanga kar diya gaya tha, sirf bus ki chasis nazar arahe the apne 6 wheels par. }



Ruhi ne jawaab mein likha,

“Aap pehle din se hi mujhko itna dhund rahe the Abhi, I was not aware at all Abhi, pata hota to zaroor aap ke saamne aati main… kaash mujhe tab aap ka pyar ka pata chala hota Abhi…. Main hi andhi thi Abhi….”

Ruhi ne padha kaam ke dusre din ki events ko Abhi ne kuch aisa likha tha:

{ Abhi ko sharam feel ho raha tha aur kitchen ke taraf dekhna bandh kar diya apna turn wait kiya khud ko fresh karne ke liye; magar usska dil nahin maan raha tha ke wo Ruhi ko kitchen mein nah dekhe, usska mann tha ke wo ussko dekhe pakaate hue, ussko admire kare, to Abhi ne apne doston ke peeth piche chhup chhup kar Ruhi ko dekhna jaari rakha….. ussne ek baar dekha ke Ruhi ki maa ussko kuch keh rahi thi aur Ruhi zor se hanssi aur usske taraf dekha, wo khilkhila kar hanssi thi, Abhi usski uss hanssi par fida ho gaya, ussko Ruhi ko aur weise hansste hue dekhne ko mann kar raha tha…. hanssne ke baad Ruhi chulhe par ek dish mein mein ek ladki wale spoon se kuch chala rahi thi, matlab mix kar rahi thi, tarkaari paka rahi hogi Abhi ne socha.. aur weise hanssne ke baad Ruhi ke chehre par ek Muskaan baaki tha aur ussne apne niche wale honth ko daanton mein dabaate hue apni maa ke taraf dekha aur ussko kuch kaha, phir ek haath se Ruhi apne chehre se ek latt ko apne sar ke upar kiya tab weise hi ek honth ko daant mein dabaaye hue hi Abhi ke tarraf phir se dekha aur donon ke nazrein mile…. Abhi ke chehre par ek Muskaan ban gaya tha apne aap Ruhi ko admire karte hue.}



Ruhi ne reply likha:

Haan Abhi yeh din mujhe bahot achchi tarah se yaad hai. Yaad hai main kitni zor se hanssi thi kyunke main ne turant realise kiya tha ke kitne log hein aaj aangan mein aur main aise hanss rahi hoon…. Abhi aap mujhe kitchen mein pakaate hue bhi describe kiye ho!!kitna acha likha hai aap ne sab kuch Abhi, yahan tak ke main ek lakdi wale spoon use kar rahi thi yeh bhi likha hai aap ne Abhi? Aap washroom se apne doston ke piche chhup chhup kar mujhko dekh rahe the isska bhi pata nahin tha mujhko Abhi, magar haan main ne bhi aap ko dekha tha ekaat baar udhar yeh sach hai…. Aap ne mere chehre ko, mere sar ke baal ko, mere honthon ko, mere muskurahat ko sab ko itni achi tarike se kaise describe kiya hai Abhi? Aap ne mujhko tabhi kyun nahin diya tha yeh sab padhne ke liye Abhi? Agar main yeh sab uss waqt padhti to aap par fida main ho jaati Abhi… Itna admire karte the aap mujhe Abhi, I regret so much that I was really blind not to see all that at that time Abhi."


Ruhi ne aaguey read kiya:

{Aur jiss waqt Abhi apne baalon mein kanghi kar raha tha khud ko aine mein dekhte hue ussne dekha ke Ruhi ki nazrein uss par the. Ruhi Abhi ko baal banaate hue dekh rahi thi thoda muskuraate hue. Aur donon ke beech ziada faasla bhi nahin tha, aamne saamne the donon, yeh pehli bar tha ke Abhi Ruhi ko itne karib se dekh raha tha. Bahot hi acha feel hua Abhi ko. Usska dil machalne laga, bahot khush tha wo. Ussne ekaat baar Ruhi ko dekha weise hi muskuraate hue, aur iss baar Ruhi hanss padi Abhi ko dekhte hue, pata nahin kyun ussko hanssee aayi. Abhi ne dobara aine mein dekha Ruhi ko hansste hue dekh kar ke kahin usske chehre mein kuch aur to nahin laga hua hai, sab saaf tha to kyun hanssi wo Abhi ne socha!}

Ruhi ne reply likha:

“haan Abhi yeh mujhe bilkool yaad hai. It was the first time I looked well at you. Wo aap ka dusre din tha work ka yes I remember. Haan main hanssi thi pata hai kyun hanssi thi main, main kaafi der se aap ko baal banaate hue dekh rahi thi aur soch rahi thi ke ladke bhi aine ke saamne itna time lete hein, aap apne look ka care karte the, apne aap ko aine mein dekhe jaa rahe the aur baal banaate jaa rahe the, aur yahan ab main samjhi ke wo sab aap mere liye kar rahe the, mujhko impress karne ke liye ya mere saamne acha dikhne ke liye aap itna tayyaar ho rahe the, awwww Abhi….. love you so much, I miss those days so so much Abhi…. Wo pehli baar tha ke main bhi aap ko utna karib se dekha tha aur sach bataun aap mujhe bahot achche lage the uss din, aur usssi din ke baad main ne bhi aap ko dekhna shuru kiya tha kyunke meri samajh mein agaya tha ke aap mere taraf kitna dekh rahe ho….”

{Ek blue Jean aur ek white Tshirt mein dressed tha Abhi aur ab ek handsome young man dikh raha tha. ussne khud ko kayi baar aine mein dekha, chehre par haath ferra kayi baar aur Ruhi ki nazrein uss par tikke rahe muskuraate hue. Ruhi ab Saeed ko nahin sirf Abhi ko dekh rahi thi; aur jab Abhi tayaar hua wahan se nikalne ke liye to Mehboob nikla ghar se aur Saeed ke paas khade hokar baat karne laga…. Tab tak Abhi chalte hue Saeed tak reach hua apne bag ko kaandhe par taange hue, aur ek nazar Ruhi par kiye hue. Ruhi ki nazar Abhi par hi thi jab wo ruka}

Ruhi ne reply likha:

“Abhi sach hai jab tak aap chal kar wahan se nahin gaye meri nazar aap par hi tikke rahe the, you are right… aur hey Abhi aap ne apne aap ko bhi describe kiya hai…. Aap ko aksar uss Blue Jean aur white Shirt mein visualie karti hoon Abhi aaj bhi….”

Jab Ruhi ne yeh read kiya:

{“I wish I would be living in that village of hers. Thus, I could go there any time and look at her. What could she be doing at this time? Had she already had dinner? Must she be watching TV with her family? How nice it would have been if I suddenly reach there at this time and she gets surprised to see me! Would her mother ask me to get inside and watch TV with them? Would I get a seat close to Ruhi and we both hold each other’s hands and watch TV?”


Ek sapna likh raha tha Abhi, ussko iss sapne ko sach karna tha.}



Ruhi ne likha:

“Ek Sapna hi likh rahe the aap Abhi, wo sapna hi ban kar reh gaya, agar main ne saath diya hota to aap ka wo sapna zaroor pura hota Abhi. I am very sorry abhi for not making your dream come true. Abhi I would have loved to receive you at my place and you sit by my side and we would be watching TV together like you have written…”

Aaguey read kiya ruhi ne:

{ Aur aaj subha 6.30 ko abhi reach ho gaya uss muhalle mein. Shop se cigarrte kharida aur kasht maarte hue uss aangan mein dakhil hua, aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhte hue aaguey badhta gaya ke achanak ussko garden mein koyi dikha…. Garden right hand side mein hai, plan mein dekh lena update 4 par…. Abhi ne bilkool bhi nahin socha tha ke itne savere wo Ruhi ka saamna karega….. Ruhi night gown mein thi aur garden se gulaab ke phool pick kar rahi thi… usski haath mein ek kainchi thi jiss se wo phool kaat rahi thi, usski left hand mein koyi 4 ya 5 gulaab already the aur wo aur kaat rahi thi, usski nightgown pale blue color ki thi, lambi thi usski pura jism dhaka hua tha niche tak, yahan tak ke usski chappal par uss dress ki last end chhuh rahe the…..}

Ruhi ne likha:

“Abhi main iss din ko aksar sochti hoon. Yeh mujhko bahot achi tarah se yaad hai jaise yeh kal hi hua tha. AAp ne uss din mujhko pehli baar good morning kaha tha aur main ne reply nahin kiya tha aura ap ne isska shikayat bhi kiya tha mujhse…. Bilkool yaad hai sab mujhe…. Abhi baat yeh thi ke yahan ham sheher mein nahin hein nah yahan kissi ko bhi wo aadat thi hi nahin ke koyi kissi ko good morning kare ya koyi usska reply de, aap to sheher ke paas se ho to aap ko good morning, good evening ya afternoon karne ki aadat thi, yahan par koyi nahin karta hai issi liye meri samajh mein nahin aya tha ke aap ko kia jawaab doon issi liye main ne uss din aap ko koyi jawaab nahin diya tha aur sharminda bhi feel kiya tha main ne…. aap ne mere nightdress ko bhi describe kiya hai Abhi…. Mujhe khud yaad nahin wo kaun si wala nightdress thi….”

{“Sala ek good morning ka reply karne mein kia jata hai? Mera din ban jata aaj agar ussne mujhe good morning keh diya hota to, din mazedaar guzarta aaj mera… magar ab to mood hi kharab ho gaya savere savere yaar, main kyun aaj itni savere agaya yahan…. Kaash wo ab kitchen mein ajaaye to main dobara ussko good morning karunga aur kahunga ke good morning ka jawaab dete hein khamosh nahin rehte….!”}

Yeh padh ke ruhi ne likha, I AM SORRY ABHI.

Aur aaguey read kiya ruhi ne:

{ Phir turant Ruhi apne ghar ke saamne wale hise par aayi tap one ke paas wahan jharu lagaane aayi, kal bhi wohi kiya tha, ek chota sa baramde par jharu lagaa rahi thi aur Abhi ke bus do kadam ki doorie par thi, jhuk kar jharu lagaa rahi thi aur Abhi ki nazrein uss se hatt hi nahin rahe the…. Ruhi ko pata tha ke Abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”}

Ruhi ne jawaab likha:

“Abhi aaj bata doon aap ko ke main khaas kar aap ke liye hi wahan ziada aya karti thi, aap mujhe ache lagne lage the, aap se baat karne ka mera bhi mann kar raha tha, haan mujhe pata chal gaya tha ke aap sirf mujhko dekhte rehte ho, aur mujhko dhundte ho har baar, aur aap shaayd hichkichate the mujhse baat karne mein to main ne uss din khud socha ke aap se kuch kahun to dekha aap cigarette pee rahe the, to ussi ke bare mein kaha tha aap se…. Thanks for describing me brooming my terrace Abhi, loved it.”

Dosto yeh update lamba chalega.. may be

Or updates mein sab end hoga, tab Abhi aega milne Ruhi se….

To be continued….. (3303 words)
 
Last edited:

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 70 Ruhi And The Diaries

Ruhi ne jab diaries padna shuru kiya to bahot khush hui. Usske dil mein kuch aise ehsaas jaage jo pichle 25 saalon mein jaise Ruhi ne dafna diye the… unn dinon ko yaad to karti thi magar sab ab ussko dhundla nazar ata tha, magar abi ki daries ne saare dhundlepan ko ko mita diye, jaise ke baarish mein ek car ke windshield par paani padhne se saaf nahin dikhaayi deta, Ruhi ke andar wo yaadein uss tarah the aur Abhi ki diaries ne ek wiper ka kaam kiya sab saaf kar diya aur sab kuch saaf dikhne laga dobara Ruhi ko…..

Padhna shuru kiya to kuch aise chizein maloom hui ruhi ko jisska ussko tab pata bhi nahin tha wo ussko aaj pata chala…..

Jaise shuru mein Abhi ne likha tha ke ek aurat (Ruhi ki maa) ne Ruhi ka naam phukaarte hue ussko bus dekhne ko bulaya, aur kiss tarah se Abhi bechain wait karne laga tha ke kab wo Ruhi naam wali ladki kitchen se chaukath par aaye bus ko dekhne ke liye taake Abhi uss ladki ko dekh sake….. yeh to first din ko hua tha jab Abhi wahan pehli baar gaya tha aur iss baat ke baare mein Ruhi ko bilkool bhi pata nahin tha yeh ussko aaj 25 saal baad pata chala diaries mein padhne ke baad…. Yeh part padhte hue Ruhi ko bahot acha laga kea ate hi Abhi ne ussko dekhne ke liye itna utavla ho gaya tha, abhi ko usska naam sute hi pyar ho gaya tha, bina ussko dekhe, sirf usski awaaz sunke, kitchen ke andar se Ruhi jawaab de rahi thi aur usski awaaz Abhi ke kaanon tak jaa raha tha aur abhi uss awaaz ki maalkin ko dekhne ke liye wait kar raha tha…. yeh padh kar ruhi ko itna acha laga ke usska mann kiya ke wo din dobara wapas aaye aur wo ek bar firse, ussi taraf kitchen mein pakaaye aur usski maa ussko bulaaye Mehboob ka bus dekhne ke liye aur ruhi wapas aaye stairs par dekhne ke liye tyaake abhi ussko dekh sake….

Sochne ki baat hai ke Ruhi ko yeh padhte hue kaise feel ho raha hoga…. Ussko pata bi nahin tha ke koyi ussko dekhne ke liye intezaar kar raha tha aur wo kitchen mein pakaane mein vyast thi…

Dairies to English mein likha haiabhi ne magar yahan paathokon ke liye Hinglish mein sab hoga aur wohi hoga aap sab ne updates mein padhe hein pehle…… revive those days

Ab aap sab paathakon ko buss yun samajhna hai ke jaise Ruhi iss kahani ke update 1 se lekar update 46 tak padh rahi hai…. Khud ussne jo kuch kiya Abhi ke saath, abhi ke jitney pal bhi guzaare uss aangan mein sab Ruhi padh rahi hai…. Kitna waqt Ruhi ne Abhi ke saath guzara, kitna abhi tadpa, kitna Ruhi ke taraf se ikraar ya inkaar dikhaayi diya…. Yeh sab Ruhi ne padha…

Aur ab kyunke Ruhi ne kaha tha ke Abhi ko iss baar likh kar reply karegi, to yaaro….. aisa samjho ke Ruhi ne unn tamaan updates par apna review likha… kuch aisa hi samajhna hoga kyunke jo kuch iss kahani mein Update 1 se update 46 tak likha gaya hai wo sab Abhi ke unn diaries mein hein jo Ruhi ko Abhi ne diya!

Bahot saare aise events the jissko padhte hue Ruhi ko bahot achcha lag raha tha, muskura rahi thi, hanssti jaa rahi thi, jaise ke update 5 mein THE FIRST DAY OF WORK mein yeh part Ruhi ne padhne ke baad Ruhi ne yeh likha as reply to Abhi….

Reply karne ke liye Ruhi ne a writing pad kharida… ussi mein diaries ke replies likhne lagi Ruhi… to yeh part padha Ruhi ne:


{Bus stop se utar kar marammat karne wale bus tak pahunchne mein koyi 5 minat lagta tha, aur jab uss aangan mein daakhil hua abhi to usski nazar seedhe uss kitchen wale stairs par pahunche, bus par nahin. Chalte waqt bus tak reach hone ke liye abhi ki nazrein idhar udhar dekhta gaya, right mein jo ghar hai matlab jiss ghar mein wo ladki rehti hai, uss ghar ka saamne wale hisse ko ghaur se dekha abhi ne, jo pehla tap tha wahan dekha phir nazron ko uss taraf kiya jahan tap number 2 tha aur ek washing stone bhi tha uss dusre nal ke paas. Aur akhir mein uss jagah pahuncha jahan washroom tha. Aur ab wo washroom to direct uss kitchen ke opposite tha jahan kal Ruhi nazar ayi thi, uss washroom se kitchen ke andar nazar araha tha. Abhi ne ghaur se andar dekha. Koyi bhi nahin tha. Abhi ne sochna shuru kiya ke kal issi kitchen mein wo ladki paka rahi thi jiss waqt usski maa ussko awaaz de rahi thi……. Abhi ne ek vision kiya jo flashback ki tarah usske aankhon ke saamne aaye….



Ussne dekha ke ussi neeli dress mein ladki apni stove ke paas karhaayi mein kuch pakaa rahi hai aur Abhi ussko dekh rahi hai phir Abhi uss se ishaare se baat kar raha hai…..



Vision khatam hone ke baad Abhi ne socha kia aisa kabhi hoga bhi? Kia yeh mumkin hai? 4 se 6 mahinon tak yahin kaam karna hai kuch to baat aaguey badhegi zaroor….. Ek ajeeb si feeling ho raha tha abhi ko, uss kitchen ke andar dekhte hue, soch raha tha jaise usski maa pakaati hai kitchen mein weise hi ladki bhi kal paka rahi thi, ussko pakana ata hai, kia kabi kuch paka kar khilaegi Abhi ko? Wo sochne laga Abhi, usske haath ka paka hua kaisa lagega? Swadisht hoga? Abhi ussko kitchen stove ke paas dekhna chahta tha, ussko pakaate hue dekhna chahta tha, usska dil kar raha tha ke wo ladki wahan aaye aur Abhi usske paas jaakar ussko piche se jakre aur uss se pyar kare…. Aise feelings aa rahe the abhi ke dil mein kapde change karte waqt… }

Ruhi ne yeh padhne ke baad likha:

“Mujhe nahin pata tha aap pehle din se mujh mein itna interest le rahe the Abhi. Yeh sab padh kar bahot hi acha laga mujhe, wo puraane din wapas agaye. Kitna acha likhte ho aap. Aap ne meri aangan ko kitna achah describe kiya hai, mere ghar ko, kitchen ko, washing stone aur taps, sabko itne details mein likha hai? Main ne khud kabhi unn jizon ko nahin describe kiya jaise aap ne kiye hein. Aaj to wo sab baaki nahin hai Abhi magar aap ne sab likh kar unn chizon ko ab tak zinda rakha hai, its very very beautiful, you made me go back to those days Abhi….. Rahi baat aap ko mujhe kitchen mein pakaate hue dekhna aur yeh sochna ke kia kabhi aap mere haath ki pakaaye hue kha paoge, to Abhi wo wish to puri hui thi nah aap ki at least? Main ne aap ko lunch par invite kiya tha aur khud apne haath se pakaaya hua khilaya tha aap ko…. Hai nah abhi? Dekha aap ne first day of work ko jo wish kiya tha wo puri hui thi Abhi! Aur rahi mujhe pakate waqt piche se aakar jakarne ki baat… Abhi aap ne first day ko hi yeh sab soch liya tha? Really? Kaash main wapas unn dinon jaa sakti to aap ko zaroor mauka deti mujhe aakar piche se kitchen mein jakarne ke liye….”

Aur dhire dhire aise hi Ruhi padhti gayi… aur yeh read kiya to Ruhi ne :

{Abhi baar baar uss ghar ke taraf dekhe jaa raha tha kaam karte hue, soch raha tha kia wo abhi tak so rahi hogi? Ussko dekhne ka bada mann tha abhi ko, magar wo bilkool nazar nahin arahi thi. Kia wo kaam par chali gayi hogi? Kia college gayi hogi? Ya university ki student hogi? Usski maa kayi baar nazar aayi. Mehboob bhi kayi baar aaye, sabse baat kiye, Mehboob ki biwi, Rahima bhi aayi, chai dene aayi sabko phir wapas chali bhi gayi magar wo ladki nahin dikhi thi Abhi ko din ke barah bajne ko tha. Bus ko nanga kar diya gaya tha, sirf bus ki chasis nazar arahe the apne 6 wheels par. }



Ruhi ne jawaab mein likha,

“Aap pehle din se hi mujhko itna dhund rahe the Abhi, I was not aware at all Abhi, pata hota to zaroor aap ke saamne aati main… kaash mujhe tab aap ka pyar ka pata chala hota Abhi…. Main hi andhi thi Abhi….”

Ruhi ne padha kaam ke dusre din ki events ko abhi ne kuch aisa likha tha:

{ Abhi ko sharam feel ho raha tha aur kitchen ke taraf dekhna bandh kar diya apna turn wait kiya khud ko fresh karne ke liye; magar usska dil nahin maan raha tha ke wo Ruhi ko kitchen mein nah dekhe, usska mann tha ke wo ussko dekhe pakaate hue, ussko admire kare, to Abhi ne apne doston ke peeth piche chhup chhup kar Ruhi ko dekhna jaari rakha….. ussne ek baar dekha ke Ruhi ki maa ussko kuch keh rahi thi aur Ruhi zor se hanssi aur usske taraf dekha, wo khilkhila kar hanssi thi, Abhi usski uss hanssi par fida ho gaya, ussko Ruhi ko aur weise hansste hue dekhne ko mann kar raha tha…. hanssne ke baad Ruhi chulhe par ek dish mein mein ek ladki wale spoon se kuch chala rahi thi, matlab mix kar rahi thi, tarkaari paka rahi hogi Abhi ne socha.. aur weise hanssne ke baad Ruhi ke chehre par ek Muskaan baaki tha aur ussne apne niche wale honth ko daanton mein dabaate hue apni maa ke taraf dekha aur ussko kuch kaha, phir ek haath se Ruhi apne chehre se ek latt ko apne sar ke upar kiya tab weise hi ek honth ko daant mein dabaaye hue hi Abhi ke tarraf phir se dekha aur donon ke nazrein mile…. Abhi ke chehre par ek Muskaan ban gaya tha apne aap Ruhi ko admire karte hue.}



Ruhi ne reply likha:

Haan Abhi yeh din muje bahot achchi tarah se yaad hai. Yaad hai main kitni zor e hanssi thi kyunke main ne turant realise kiya tha ke kitne log hein aaj aangan mein aur main aise hanss rahi hoon…. Abh aap mujhe kitchen mein pakaate hue bhi describe kiye ho!!kitna acha likha hai aap ne sab kuc abhi, yahan tak ke main ek lakdi wale spoon use kar rahi thi yeh bhi likha hai aap ne Abhi? Aap washroom se apne doston ke piche chhup chhup kar uhko dekh rahe the isska bi pata nahin tha mujhko Abhi, maggar haan main ne bhi aap ko dekha tha ekaat baar udhar yeh sach hai…. Aap ne mere chehre ko, meresar ke baal ko, mere honthon ko, mere muskurahat ko sab ko itni achi tarike se kaise describe kiya hai abhi? Aap ne mujhko tabhi kyun nahin diya tha yeh sab padhne ke liye Abhi? Agar main yeh sab uss waqt padhti to aap par fida main ho jaati Abhi… Itna admire karte the aap mujhe Abhi, I regret so much that I was really blind not to see all that at that time Abhi.


Ruhi ne aaguey read kiya:

{Aur jiss waqt Abhi apne baalon mein kanghi kar raha tha khud ko aine mein dekhte hue ussne dekha ke Ruhi ki nazrein uss par the. Ruhi Abhi ko baal banaate hue dekh rahi thi thoda muskuraate hue. Aur donon ke beech ziada faasla bhi nahin tha, aamne saamne the donon, yeh pehli bar tha ke Abhi Ruhi ko itne karib se dekh raha tha. Bahot hi acha feel hua Abhi ko. Usska dil machalne laga, bahot khush tha wo. Ussne ekaat baar Ruhi ko dekha weise hi muskuraate hue, aur iss baar Ruhi hanss padi Abhi ko dekhte hue, pata nahin kyun ussko hanssee aayi. Abhi ne dobara aine mein dekha Ruhi ko hansste hue dekh kar ke kahin usske chehre mein kuch aur to nahin laga hua hai, sab saaf tha to kyun hanssi wo Abhi ne socha!}

Ruhi ne reply likha:

“haan Abhi yeh mujhe bilkool yaad hai. It was the first time I looked well at you. Wo aap ka dusre din tha work ka yes I remember. Haan main hanssi thi pata hai kyun hanssi thi main, main kaafi der se aap ko baal banaate hue dekh rahi thi aur soch rahi thi ke ladke bhi ain eke saamne itna time lete hein, aap apne look ka care karte the, apne aap ko aine mein dekhe jaa rahe the aur baal banaate jaa rahe the, aur yahan ab main samjhi ke wo sab aap mere liye kar rahe the, mujhko impress karne ke liye ya mere saamne acha dikhne ke liye aap itna tayyaar ho rahe the, awwww Abhi….. love you so much, I miss those days so so much Abhi…. Wo peli baar tha ke main bhi aap ko utna karib se dekha tha aur sach bataun aap mujhe bahot achche lage the uss din, aur usi din ke baad main ne bhi aap ko dekhna shuru kiya tha kyunke meri samajh mein agaya tha ke aap mere taraf kitna dekh rahe ho….”

{Ek blue Jean aur ek white Tshirt mein dressed tha Abhi aur ab ek handsome young man dikh raha tha. ussne khud ko kayi baar aine mein dekha, chehre par haath ferra kayi baar aur Ruhi ki nazrein uss par tikke rahe muskuraate hue. Ruhi ab Saeed ko nahin sirf Abhi ko dekh rahi thi; aur jab Abhi tayaar hua wahan se nikalne ke liye to Mehboob nikla ghar se aur Saeed ke paas khade hokar baat karne laga…. Tab tak Abhi chalte hue Saeed tak reach hua apne bag ko kaandhe par taange hue, aur ek nazar Ruhi par kiye hue. Ruhi ki nazar Abhi par hi thi jab wo ruka}

Ruhi ne reply likha:

“Abhi sach hai jab taka ap chal kar wahan se nahin gaye meri nazar aap par hi tikke rahe the, you are right… ayr hey abhi aap ne apne aap ko bhi describe kiya hai…. Aap ko aksar uss Blue Jean aur white Shirt mein visualie karti hoon Abhi aaj bhi….”

Jab Ruhi ne yeh read kiya:

{“I wish I would be living in that village of hers. Thus, I could go there any time and look at her. What could she be doing at this time? Had she already had dinner? Must she be watching TV with her family? How nice it would have been if I suddenly reach there at this time and she gets surprised to see me! Would her mother ask me to get inside and watch TV with them? Would I get a seat close to Ruhi and we both hold each other’s hands and watch TV?”


Ek sapna likh raha tha Abhi, ussko iss sapne ko sach karna tha.}



Ruhi ne likha:

“Ek Sapna hi likh rahe the aap abhi, wo sapna hi ban kar reh gaya, agar main ne saath diya hota to aap ka wo sapna zaroor pura hota abhi. I am very sorry abhi for not making your dream come true. Abhi I would have loved to receive you at my place and you sit by my side and we would be watching TV together like you have written…”

Aaguey read kiya rui ne:

{ Aur aaj subha 6.30 ko abhi reach ho gaya uss muhalle mein. Shop se cigarrte kharida aur kasht maarte hue uss aangan mein dakhil hua, aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhte hue aaguey badhta gaya ke achanak ussko garden mein koyi dikha…. Garden right hand side mein hai, plan mein dekh lena update 4 par…. Abhi ne bilkool bhi nahin socha tha ke itne savere wo Ruhi ka saamna karega….. Ruhi night gown mein thi aur garden se gulaab ke phool pick kar rahi thi… usski haath mein ek kainchi thi jiss se wo phool kaat rahi thi, usski left hand mein koyi 4 ya 5 gulaab already the aur wo aur kaat rahi thi, usski nightgown pale blue color ki thi, lambi thi usski pura jism dhaka hua tha niche tak, yahan tak ke usski chappal par uss dress ki last end chhuh rahe the…..}

Ruhi ne likha:

“Abhi main iss din ko aksar sochti hoon. Yeh mujhko bahot achi tarah se yaad hai jaise yeh kal hi hua tha. AAp ne uss din mujhko pehli baar good morning kaha tha aur main ne reply nahin kiya tha aura ap ne isska shikayat bhi kiya tha mujhse…. Bilkool yaad hai sab mujhe…. Abhi baat yeh thi ke yahan ham sheher mein nahin hein nah yahan kissi ko bhi wo aadat thi hi nahin ke koyi kissi ko good morning kare ya koyi usska reply de, aap to sheher ke paas se ho to aap ko good morning, good evening ya afternoon karne ki aadat thi, yahan par koyi nahin karta hai issi liye meri samajh mein nahin aya tha kea ap ko kia jawaab doon issi liye main ne uss din aap ko koyi jawaab nahin diya tha aur sharminda bhi feel kiya tha main ne…. aap ne mere nightdress ko bhi describe kiya hai abhi…. Mujhe khud yad nahin wo kaun si wala nightdress thi….”



{“Sala ek good morning ka reply karne mein kia jata hai? Mera din ban jata aaj agar ussne mujhe good morning keh diya hota to, din mazedaar guzarta aaj mera… magar ab to mood hi kharab ho gaya savere savere yaar, main kyun aaj itni savere agaya yahan…. Kaash wo ab kitchen mein ajaaye to main dobara ussko good morning karunga aur kahunga ke good morning ka jawaab dete hein khamosh nahin rehte….!”}

Yeh padh ke ruh ne likha, I AM SORRY ABHI.

Aur aaguey read kiya ruhi ne:

{ Phir turant Ruhi apne ghar ke saamne wale hise par aayi tap one ke paas wahan jharu lagaane aayi, kal bhi wohi kiya tha, ek chota sa baramde par jharu lagaa rahi thi aur Abhi ke bus do kadam ki doorie par thi, jhuk kar jharu lagaa rahi thi aur Abhi ki nazrein uss se hatt hi nahin rahe the…. Ruhi ko pata tha ke Abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,


“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”}


Ruhi ne jawaab likha:

“Abhi aaj bata doon aap ko ke main khaas kar aap ke liye hi wahan ziada aya karti thi, aap mujhe ache lagne lage the, aap se baat karne ka mera bi mann kar raha tha, haan mujhe pata chal gaya tha kea ap sirf mujhko dekhte rehte ho, aur mujhko dhundte ho har baar, aura ap shaayd hichkichate the mujhse baat karne mein to main ne uss din khud socha kea ap se kuch kahun to dekha aap cigarette pee rahe the, to ussi ke bare mein kaha tha aap se…. Thanks for describing me brooming my terrace Abhi, loved it.”

Dosto yeh update lamba chalega.. may be

Or updates mein sab end hoga, tab Abhi aega milne Ruhi se….

To be continued….. (3303 words)
:reading1:
 
Top