• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Suparseupar

Banned
318
3,366
123
Update 12 Shweta

Uss din, din bhar acha mauka nahin mila Abhi ko wapas thik se Ruhi ke paas jaane ya baat karne ki. Iss liye ke Mehboob din bhar working team ke saath tha. wo kabhi Saeed ke saath khada rehta, to kabhi Abhi ke saath. Donon ko kaam karte hue dekhta aur jaise supervise kar raha tha.

Lagbhag 10 baje Abhi ne ek khubsurat chhoti si ladki ko dekha aangan mein Ruhi ke kitchen ke paas. Uss ladki ki surat Ruhi se kafi had tak milti julti thi. Abhi heyraan hua ke ab wo kaun hai, uss bachi ko Ruhi ke kitchen ke andar jaate dekha phir baahar aate phir Mehboob ke ghar jaate dekha phir aangan mein khelte.

Uss ladki ki shakal bahot milti thi Ruhi se, bilkool usski choti behen lagti thi. Abhi ne socha agar chhoti behen hoti to ruhi ussko zaroor batata nah? Ho bhi sakta hai ke uski behen hi ho magar Ruhi ne jaan bujh kar nahin bataya, kal Sunday tha to kahin gayi hogi nani ke yahan ya apni badi behen ke yahan ghumne iss liye nahin dikhi thi pichle hafte ko. Abhi aisa soch raha tha ke kuch der baad Ruhi ko bhi uss ladki ke saath khelte hue dekha aangan mein kitchen ke paas.

Phir kuch der baad Abhi ne Ruhi ko bicycle chadhte hue dekha. Abhi ko pata bhi nahin tha ke Ruhi bicycle bhi chadhti aur acha chalaati hai. Pehli baar wo dekh raha tha Ruhi ko bicycle par. EK khubsurat lady bicycle thi jo zaroor Ruhi ki hi thi.

Aur baad mein Ruhi uss chhoti ladki ko apne bicycle par bitha kar main road tak legayi phir ekaat baar aayi aur gayi uss bachi ko apne bicycle par. Aate jaate hue kayi baar Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke taraf dekha magar thoda nazrein churaate hue.

Aur kaafi der baad Abhi ne uss chhoti ladki ko ‘didi’ bulaate hue suna Ruhi ko. To Abhi ko yakeen hua ke wo usski chhoti behen hi hai. To Abhi sochne laga ke subha jab Ruhi apni family members ke baare mein bata rahi thi to kyun nahin bola ke usski ek chhoti behen bi hai…. Yeh chhoti ladki jab Ruhi ki umar ki hogi to Ruhi se bhi ziada kubsurat dikhegi pakka yakeen tha Abhi ko, wohi naak naksha, wohi baal, balke thoda sa ziada lamba hi tha iss bachchi ki baal, chehra jaise parlour se make up karke aayi ho, ek daag ya chedh nahin chehre par, bilkool chikna, gori, meethi aur khubsurat awaaz.

Abhi ghanton bhar uss ladki ko dekhta raha kaam karte hue. Aur sochta raha ke aakhir wo hai kaun?!

Aur lunch time se pehle wo ladki Abhi ke piche khadi hokar chhup rahi thi Ruhi se, taake Ruhi ussko dhunde. To Abhi ne mudhkar ussko dekha aur dhire se pucha

“Tumhara naam kia hai baby?”

“Shweta” bachi ne jawaab diya, aur wohi cute si muskurahat thi usski bhi.

Abhi ne pucha,

“Tum kidhar rehti ho?!”

Ladki ne dhire se phussphusaate hue kaha,

“aap yunhi khade raho nah, varna Ruhi mujhko dekh legi”

Abhi muskuraya, aur Ruhi ke taraf dekha jo stairs par khadi Shweta ko dekh rahi thi Abhi se baat karte hue. Ruhi Abhi se muskuraayi aur thodi si awaaz oonchi karke kaha,

“Shwetu mujhe pata hai tum kidhar chhupi ho main ne tumko dekh liya woohoo!”

Shweta ne Abhi ke pant ko zor se pakar ke kaha,

“main kidhar hoon batao!”

Ruhi ne kaha,

“Tum Abhi ke piche chhupi ho!”

Ruhi ne jab wo kaha to Abhi ko bahot achcha laga. Abhi ka naam Ruhi ne eise liya jaise wo ghar ka ek sadasya tha, jaise Abhi yahin ka ek member tha, jaise mamooli baat thi Abhi ka naam lena, aur jaise Abhi yahin ka rehne wala hai aur sab ussko jaanta hai. Aur Ruhi ne Abhi ka naam jab liya to sab ne suna, Mehboob ne bhi, Saeed, Tony, Vinay ne bhi yahan tak ke Rahima aur Ruhi ki maa ne bhi suna.

Tab Shweta ne dhire se Abhi se pucha,

“Aap Abhi ho?”

Abhi ne ussko pyar se jawaab diya,

“haan baby main hi Abhi hoon isska matlab hai ke Ruhi ne aap ko dekh liya hai.”

Shweta: “Aap Ruhi didi ko jaante ho?”

Abhi: “haan sweetheart jaanta hoon achci tarah se jaanta hoon ussko magar Ruhi aap ka kia lagta hai?!”

Shweta: “wo meri badi didi hai!”

Abhi ne socha ke Ruhi ne uss se kyun chhupaya ke usski ek chhoti behen hai. Phir Ruhi ki awaaz aayi,

“Shweta, ab aajao ya main aaun tumko wahan se lene ko?!”

Shweta aur bhi zor se Abhi ke pant ko pakra usske piche hote hue. To ab Abhi chahta tha ke Ruhi wahan aakar Shweta ko lejaaye iss liye Abhi ne dhire se Shweta se kaha,

“Baby aap yahin chhupi raho, aur kaho Ruhi se ke wo aakar aap ko lejaaye!”

Tab tak Mehboob ne kaha,

“Are Shweta tum jao nah idhar se log kaam kar rahe hein tumko choat voat lag sakti hai, idhar mat khelo nah baby!”

Abhi ko ghussa aya Mehboob ki baat ko sunte hue aur Mehboob se kaha,

“Are rehne do nah Mehboob bhai, bachchi hai khelne do koyi khatra nahin hai idhar main dekh raha hoon nah!”

Aur jab Ruhi ne Mehboob ko weisa kehte suna to aane lagi Shweta ko lene ke liye. Tab Ruhi ko aate dekh kar Shweta zoron se hanssne aur chillane lagi,

“nahin, naah, main nahin aungi naah!!”

Ruhi ab Abhi ke itna close tha, ke Abhi ko ussko apne baahon mein bharne ka mann kiya. Abhi ne Mehboob ke taraf dekha to wo ussi ko dekh raha tha, aur jab Mehboob ne dekha ke Abhi ussko dekh raha hai to ussne apne chehre ko ek taraf kiya aur Saeed ko dekhne laga aur uss se baat karne laga tab tak Ruhi Shweta ki haath pakar kar khinch rahi thi aur Shweta chilla rahi thi jaane se inkaar karte hue, Abhi ne phir ek baar aur Mehboob ko dekha, aur dekha ke wo saeed se baat kar rahe hein to Abhi ne Ruhi ka haath pakra, yeh pehli baar hua tha…. pehli baar Abhi ne Ruhi ko chhua tha, Ruhi ne mana nahin kiya balke turant ussne bhi Mehboob ke taraf dekha aur ussne bhi dekha ke Mehboob saeed se baat kar rahe hein to apne haath ko Abhi ke haath mein rehne diya ek pal ke liye….

Wo sab kuch Tony ke saamne ho raha tha to Abhi ne Tony se kaha,

“yaar zara iss taraf ho jao nah taake Mehboob ko iss taraf dikhayi nahin de….”

Tony samajh gaya aur wo beech mein agaya taake Mehboob ko nahin dikhe ke Abhi ne Ruhi ka haath thaama hua tha.

Phir Ruhi ki ek haath ne Shweta ko thaama tha aur usski dusri haath ko Abhi ne thaama tha aur Abhi ne dhire se Ruhi se kaha,

“ek baat kahun!”

Ruhi ne bhi dhire se kaha,

“jaldi kaho, main jaa rahi hoon, haath to chorro nah!”

Abhi ne bade pyar se kaha,

“Tumko baahon mein bharne ko mann kar raha hai!”

Yeh sunte hi Ruhi ne zor se apne haath ko jhatakte hue Abhi ke haath se chhuraaya aur muskuraate hue “shut up” kehte hue zor se hanssi aur Shweta ko lekar jaane lagi…. Jaate hue kayi baar hansste hue mudhkar Abhi ke taraf dekha Ruhi ne.

Uss pal ko Abhi ne itna passand kiya ke ussko laga Ruhi ab usski ho gayi!

Abhi ko Khushi iss baat ki thi ke Ruhi ghussa nahin hui, naraaz nahin hui, balke hansste hue jawaab diya aur hansste muskuraate hue ussko mudhkar baar baar dekhti gayi.

Aur jiss dauraan Ruhi weise muskuraate aur hansste hue Abhi ko dekhti jaa rahi thi to Tony ne bhi dekha aur Mehboob, Saeed aur Vinay ne bhi. Yeh Abhi aur Ruhi ne nahin dekha. Kehte hein nah jo pyar mein hota hai ussko aas paas kuch nahin dikhta sirf usska pyar dikhta hai…. Magar muhabat ke dushman sab kuch dekhte hein.

Ek baat aur hui thi, wo yeh ke jiss waqt Abhi ne Ruhi ka haath pakra tha Shweta ne bhi dekha, aur jitni der uss haath ko Abhi ne thaama tha utni der Shweta ne sab dekha tha, aur baar baar Ruhi aur Abhi ke chehre mein bhi dekh rahi thi bachchi, aur bachchi sahi magar samajh gayi ussi waqt ke Ruhi aur Abhi ek dusre ko jaante pehchaante hein pehle se. Aur iss liye Shweta ke liye Abhi ab ek apna jaisa ho gaya tha to wo baar baar Abhi ke paas aati aur baat karti thi uss din ke baad.

Kuch der baad Tony ne Abhi se kaha,

“yaar Mehboob aur Saeed tum donon ko dekh rahe the, khaas kar jab Ruhi tumse muskura rahi thi, Saeed aur Mehboob ke chehre dekhne laayak the uss waqt.”

Yeh sunkar Abhi ko shock laga aur pucha,

“kia unn logon ne mujhe Ruhi ka haath thaame hue dekha tha?!”

Tony: “nahin tab nahin, jab wo jaa rahi thi aur wo kiss tarah se tumse hanssti hui aur muskuraati hui jaa rahi thi wo dekh rahe the donon aur bilkool khush nahin the yaar! Uss ladki ko sunna padega dekh lena Mehboob zaroor Ruhi ki maa ko kuch to bolega!”

Abhi pareshan hua aur Tony se kaha aaj subha ko hi Ruhi ne uss se akele mein baat karne se mana kiya Mehboob ke saamne! To Tony ne kaha,

“Tab to gadbad hai bhai, bechari ko daant zaroor khana padega aaj!”

Abhi ne socha sala itna hassen lamha tha usske liye, Ruhi bhi shaayad itni khush thi uss waqt ke ussne khud khayal nahin kiya hoga ke Mehboob wahin hai aur Abhi se muskuraate hue wapas gayi ab ussko daant padegi Abhi ke khatir.

Thik 5 minat baad Mehboob apne ghar gaya…. Abhi ko laga wo ab kisi tarah Ruhi ki maa ko contact karega aur Ruhi ko daant padegi; phir Ruhi khafaa ho jaegi aur bilkool baat nahin karegi Abhi se ussko dekhne bhi nahin aegi….. Abhi ne socha shukar hai ke Mehboob ne Abhi ko Ruhi ka haath thaame hue nahin dekha…

Abhi ne ab socha ke wo khud Mehboob se baat karega, ussko bataega ke wo Ruhi ko chahta hai, ussko Ruhi se baat karne de, ussko usske paas jaane se roke nahin….. Abhi soch raha tha kia yeh sahi hoga Mehboob se kehna? Phir socha nahin abhi sahi waqt nahin aya hai wo sab kehne ke liye, pehle Ruhi to pyar ka ikraar kare tabhi Abhi aage badh sakta hai….

Magar Abhi yeh bhi to soch raha tha ke Ruhi to uss se pyar karti hai tabhi uss se chhup chhup kar baat karti hai, ghar ke piche chhup kar milti hai, ishaaron se baat karti hai, ussko khush karne ke liye shaam ko usske saamne rehti hai, yeh sab kyun karti hai kyunke wo bhi Abhi se pyar karti hai nah?

Phir bhi Abhi ne khud se kaha ab time agaya hai ke wo apne pyar ka izhaar kare Ruhi se, wo uss se ab kahe ke wo uss se pyar karta hai aur serious hai, aur wo wapas Ruhi ka pyar paane ki tamanna karta hai….

Phir Abhi ne khud se kaha ke kia yeh sab jaldi nahin ho raha hai? Kia aur thoda wait karna chahiye? Abhi ne socha kariban 5 se 6 mahine tak wahan kaam karne wala hai, abhi ek hafta guzra tha to bahot time hai aage badhne ke liye….. kum se kum 3 mahinon tak dekhna chahiye ke Ruhi ki rawayya kia hota hai, kia wo pyar ziada dikhaati hai ya mukar jaati hai, kia wo aur kareeb aati hai ya doorie rakhti hai, tab Abhi decide karega ke wo uss se pyar ka izhaar kare ya nahin…..

Abhi ek kashmakash mein tha, usska dil o dimaagh kaam nahin kar raha tha. Dil se sochta to ussko buss Ruhi chahiye tha , ussko Ruhi ko apnana tha kissi bhi kimat par, wo Ruhi ko khona to bilkool nahin chahta tha. Abhi chahta tha ke Ruhi hamesha ke liye usska ho jaaye. Wo Ruhi ko apni patni ke roop mein dekhta tha, chahta tha ke ek din Ruhi ko apni biwi ki tarah issi aangan mein apne ghar se ek damaad ki tarah aangan mein aaye….. usska sapna bada tha.

Abhi Ruhi ko apni bachon ki maa ke roop mein dekhta tha apne tassavur mein. Wo issi aangan mein ek din Ruhi ke saath apne bachon ko khelta hua dekhta tha.

Lunch time hua, Abhi washroom gaya, Ruhi nahin dikhi, ghar ke andar thi. Abhi ne socha ke ab lunch time mein Ruhi ke khidki ke paas jaa kar uss se baat karega aur jaanne ki koshish karega ke kia Mehboob ne usski maa se kuch kaha to nahin.

Magar jab Ruhi se baat karne gaya to Ruhi ne normal baat kiye balke Shweta bhi usske saath thi ussi kamre mein jab Abhi Ruhi se baat kar raha tha. Shweta bhi Abhi se baat kar raha tha,

Abhi ne Ruhi se kaha,

“tum jhoot bhi bolti ho?!”

Ruhi: “nahin to main ne kab jhoot bola?”

Abhi; “Ek itni pyari si chhoti behen hai kyun nahin bataya tha mujhe? Sirf ek badi behen hai kaha tha subha ko?!”

Ruhi zor se hansste hue boli,

“oh yeh Shweta, haan meri behen hai, cousin sister hai, mere chacha ki beti hai, wahin rehti hai jiss sheher mein silaayi ke liye jaati hoon!”

Abhi chahunk gaya aur kaha,

“are main ne socha tumhari sagi behen hai, kitni milti julti hai tumse? Bilkool tumhari tarah dikhti hai, so beautiful!”

Ruhi: “jhoot! Aap jhoot bol rahe ho, wo meri tarah nahin dikhti!”

Abhi: “Are haan she looks very very much like you, when she grows up, she will look exactly like you believe me!”

Ruhi: “No I don’t believe you, you are saying this only to have a pretext of talking to me isn’t it?!”

Abhi: “Why should I do so Ruhi? Do I need a pretext to talk to you?!”

Tab tak donon ko sunte hue Shweta ne pucha,

“Aap donon kiss language mein baat kar rahe ho? English hai nah?!”

Abhi ne Apne haath khidki ke andar karke Shweta ki gaal ko chute hue kaha,

“yes sweetheart, we are talking in English!”

Ruhi turant boli:

“lo! Issko bhi sweetheart keh diya aap bhi nah!”

Abhi ne tab hansste hue kaha,

“Are bache to sweetheart hote hi hein aur yeh kitni cute hai, hai nah?!”

Ruhi: “hmm aap abhi issko jaante nahin ho pakka shaitan hai yeh!”

Abhi ne tab Ruhi ko bataya ke jiss waqt wo Shweta ko lekar jaa rahi thi ussko dekhte hue Mehboob ussko dekh raha tha, kahin wo usski maa se report to nahin karega aur ussko daant to nahin padegi?!

Ruhi ne kaha ke

“bilkool nahin kyunke uss waqt main sab logon ke saamne thi, hum donon akele nahin the jaise iss waqt hai, to no problem.”

Abhi ko chain aya usski baat sunkar aur Ruhi ko yaad dilaya ke shaam ko saamne rahe usske jaate waqt. Ruhi ne haan kaha, aur ye bhi kaha ke ab wo sone jaa rahi hai to 3 baje tak ussko nahin dhundne ko.

Abhi ko bahot acha laga jab ruhi wo baat kahi to.

Kaam karte waqt Abhi sochta raha ke Ruhi kitni care karne lagi hai usska, ke khud bata diya ke ussko nahin dhudein kyunke wo 3 baje tak nazar nahin aegi.aur abhi ne khayal kiya ke 3 baje tak ussne araam se kaam kiya, sukoon se kaam kiya bina usske ghar ke taraf dekhe kyunke ussko pehle se pata tha ke wo so rahi hai. Varna wo baar baar ussko dhundta, usske ghar kek taraf dekhta, ussko dekhne ke liye utaavla rehta…..

Phir shaam ko Ruhi nazar aayi kitchen ke chawkath par baar baar bus ke taraf Abhi ko dekhte hue, khilti hui dikh rahi thi, khush dikh rahi thi, Abhi se muskura rahi thi, aankhon se ishara kar rahi thi, munh banaate hue kabhi kuch kah rahi thi to kabhi haath se ishara karte hue kuch keh rahi thi….. kaam end karne tak Ruhi Abhi se ishaaron mein baat karti rahi…. Ziada tar baatein Abhi samjha hi nahin magar sar hilla kar haan mein har baar jawaab deta raha kaam karte hue…..

Aur Abhi bahot Khushi se uss aangan ko chorra kaam end karne ke baad, Mahesh agaya tha, uss se kuch baatein bhi hui Abhi ki, aur Mahesh, aur usske dada se shake hand karte hue Abhi ne Ruhi ko wave kiya, aur aaj Ruhi ne thoda sa wave bhi kiya Abhi ko muskuraate hue, aur Shweta ko bheja Ruhi ne Abhi ko ek puppy dene ke liye.

Shweta daudti hui kitchen se aayi Abhi ke paas aur kaha,

“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Matlab Shweta ne pol khol diya to Ruhi apne chehre ko haathon mein chhupaate hue hanssne lagi…..

Bus mein ghar lautte waqt Abhi ne socha ke kyun Ruhi ne Abhi ko puppy dene ko bheja? Kia wo khud ek puppy to nahin chahti thi Abhi se usse wave karte samaaye? Ya Shweta ke roop mein Ruhi ne khud kiss kiya Abhi ke gaal par? Aur eisa sochte hue Abhi apne sapnon ki dunya mein kho gaya Ruhi ko dimaagh mein basaaye….

To be continued…. (3001 words)

Alle alle alle chhoti si, pyali si chweta bhi agayi ishtory mein. Kitni pyari, kitbi cute hai muuuaaaah.
Issko puppy dena banta hai nah bhai :D
Aur are wo Abhi ko pappy dene aayi aur eylaan kar diya k Ruhi ne usse bheja Abhi ko kissy dene k liye. Shaayad Ruhi ne hi nahin socha tha ke Shweta kuch waisa keh degi :laugh: wo wala scene fantastic tha. Soch raha hoon uss waqt Ruhi ka chehra kitna laal hua hoga jab Shweta ne itni zor se kaha k aap jhuko mujhe aap ko kissy dena hai Ruhi ne kaha.... hahahaha yeh scene bada majedar laga mujhe bhai
Baski update fantastic hai.
Jiss waqt Abhi ne Ruhi se kaha k wo ussko baahon bharna chahta hai wo bhi kamaal ka scene tha bhai.
Iss update mein aap kaafi had tak aage nikal gaye donon k closeness ko lekar. Aaj pehli baar Abhi ne Ruhi ka haath bhi pakra aur Ruhi ne virodh nahin kiya wo bhi sabke saamne. Tony ke saamne aur Mehboob k presence mein. Wah kia baat hai. Iss se pata to chal gaya k Ruhi k dil mein bhi Abhi k liye pyar to hai magar fir bhi kuch hai jo Ruhi ko rokta hai. Wo kia hai, umeed hai ane wale updates mein pata chalega.
Thanks for lovely romantic update Sir.
:yourock:
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 3 A new turn in Abhi’s Life

Ek jaana maana bus owner tha Mehboob Jaan naam ka. Usske 4 buses running already the roads par. Magar usski nazar ek puraane sade hue bus par padi kahin ek jangal mein jo kissi bus owner ne dump kar diya tha. Uss par ghaans phuss, pawde bhi ug uthe the. Mehboob Jaan ne uss bus ka moaena kiya to paaya ke usski chassi bilkool mazbut aut achchah hai, magar engine tha hi nahin bus mein sirf chasis samet sada hua coach tha uss par. Mehboob jaan ne socha ke 50,000 mein ek second hand engine to mil hi jaega, chasis sahi hai to sirf coach building karna padega aur bus wapas road par chalaya jaa sakta hai. Chasis ka number note kiya ussne aur legal matter ke liye road traffic branch walon ke contact se pata kar liya ke sab legally banaya jaa sakta hai agar wo bus ko wapas road par lana chaahe to.

To ussko ab Saeed se milna baaki tha jo ussne kiya. Saeed ko lekar wo bus dikhaane legaya. Uss bus mein kaam wohi karna tha jo bilkool ek naye bus mein kiya jaata hai shuru se ant tak. Matlab chasis se shuru karna hoga aur end tak coach building karni hogi. Eise kaam ke liye garage mein 20 laakh rupay lag jata hai. Aur agar naye bus par coach building karna hota hai tab 40 se 50 laakh lagta hai. Yeh sab Mehboob ko bhi pata tha aur Saeed ko bhi. Mehboob ne Saeed se pucha ke kitne ki material takreeban kharidne padenge? Aur bus ko pura banaane mein kitna time lagega?

Saeed ke dimaagh mein kayi batein chal rahe thee uss waqt. Wo soch raha tha garage ke hisaab se kitna paisa lagta mehbob ko aur ab saeed garage wala kaam pura karne wala tha to kitna paisa lena chahiye ussko Mehboob se ek pura bus ki coach banaane ke liye. Saeed ne socha ke Abhi se milkar decision lena padega ussko, to ussne Mehboob se kaha,

“Mujhe apne workers se baat karna hoga pehle, yeh unn ke haath mein hein ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai aur materials ke liye ek quotation banwa kar dunga aap ko, bahot saare sheets of alluminium kharidne honge, bahot metals kharidne honge pura frame ke liye aur bus ke tamaam seats ke liye alag se metals lene honge aur saare seats bhi banana hein, tamaam shishe bus ke kharidne hein….sab kuch from zero start karna hai….. upar se saare rivets, floorings, ceilings ke pannels, sides ke frames, sab kuch shuru se start karna hai bilkool jaise ek naya bus banta hai weise karna hai….”

Mehboob ne kaha ke wo sab karne ko tayyaar hai ussko wo bus wapas road par chahiye hi chahiye!

*******************************************************

Saeed jaakar Abhi se mila aur ussko lekar uss jangal mein bus dikhaane legaya aur donon milkar discuss karne lage ke kitna cost hoga saare meterials ka aur kitna paisa lena padega Mehboob se bus ko road par laane ke liye aur kitne dinon mein kaamm pura ho sakta hai.

Saeed aur Abhi phir usske ghar par mile aur kagaz kalam lekar baithe donon sab kuch likhne ke liye.

Saare materials ko soch soch kar likha gaya ek ek karke, sab yaad karte hue ke bus ki coach banaane ke liye kia kia istemaal hota hai, ek kil se lekar alliminium sheets tak sab kuch likha gaya aur daam ek kone mein note kiya gaya.

Ek pura quotation tayaar kiya abhi ne. kyunke wo padha likha tha to iss liye Saeed ne Abhi par count kiya wo sab tayyaar karne ke liye. Sab kuch kalam aur kaagaz par kiya gaya computer to tha nahin tab.

Usske baad ab donon ne discuss kiye ke kitna paisa lena hoga Mehboob se uss kaam ke liye. Saeed aur Abhi ne milkar discuss kiya ke company ki garage mein to uss kaam ke liye kum se kum do ya teen laakh liye jaate aur 3 mahinon mein kaam pura kiya jaata…. To baat yeh hui ke garage mein aur bhi kayi mulaazim kaam karte tab 3 mahinon mein kaam pura hota, yahan to 4 mulazim hein to ziada din to lagenge hi…… 6 mahine socha donon ne… phir socha ke Mehboob ko 6 mahine bahot ziada lagenge, to 4 se 5 mahine kehne ko socha donon ne. Tab baat aayi paise ki, labour ki, matlan mazdoori ki….. Saeed ne kaha ke 75,000 mangega. Aur kaha ke wo 50,000 lega aur Abhi ko 25,000 dega.

Abhi ne kaha,

“75,000? Aap paagal ho kia saeed ji? 3 laakh ka kaam aap 75 hazaar rupay mein karoge? Aur do workers ke bhi payment karne honge to keise mujhko 25 aur aap 50 loge unn mein se? Main kehta hoon do laakh mangna hai Mehboob ji se iss kaam ke liye.”

Abhi door ka sochta tha. Saeed ji ke liye 75 hazaar bahot bada rakam tha iss liye ussko ziada maangna ajeeb lag raha tha, magar Abhi ko pata tha ke Mehboob ji agar garage ko 3 laakh ki payment kar sakte hein to 2 laakh to de paega iss kaam ke liye. To Saeed ji ne kaha,

“Dekho Abhi, mujh mein himmat nahin hai Mehboob ji se itna bada rakam maangne ki, ek kaam karte hein, tum mere saath chalo, main tumko apne assistant kehkar milwaunga uss se aur tum price discuss karna unnke saath dekhte hein kia hota hai.”

Abhi maan gaya. Aur donon mile Mehboob ji ke ghar par. Abhi ne quotation de diya Mehboob ji ko. Derr laakh ki materials kharidne the Mehboob ji ko. Tab ussne Saeed ji se pucha ke kitna lenge iss kaam ke liye aur kitne dinon mein kaam pura hoga. To Saeed ne Mehboob se kaha,

“Ussi se puchiye nah janaab, yeh Abhi hai nah wohi sab accounting karta hai. Wo sahi figures dega aap ko.”

Mehboob ke yahan aane se pehle to baat 2 laakh ki hui thi magar yahan Abhi ne Mehboob se 3 laakh ki farmaayish kiye! Saeed ji ko jhatka laga 3 laakh sunkar! Magar Mehboob ji ne abhi se pucha,

“3 laakh kuch ziada nahin hai barkhurdaar? Garage mein bhi to utna hi lagta nah?”

Abhi ne kaha,

“Kia aap ke yahan garage hai janaab? Ya aap ke yahan hum khule hawa mein kaam karenge, dhoop mein tapte hue saare kaam karne honge, inn sab ko khayal mein rakhte hue hi nah humne sab kuch socha hai? Aur phir do aur mulaazim honge hamaare saath, unnke bhi to payments karne honge, travellings ka bhi socha hai humne saare mulazim ke travelling ka khayal bhi to karna padta hai nah?”

Mehboob ji ne muskuraate hue wapas Saeed ji ko dekha aur kaha,

“Are saeed bhai aap to apne finance manager ko lekar saath aaye ho ya yeh aap ka HR hai?!” aur wo hanss pade.

Mehboob ji ne 3 laakh ko Manzoor kiya jiss se Saeed ji ko zabardast jhatka laga, ussne to sapne mein bhi nahin socha tha ke life mein kabhi kissi se 3 laakh maangega kaam karne ke liye.

Saeed chup chaap baitha raha aur Abhi ko sab deal pura karne diya.

Mehboob ji ne pucha ke kitne dinon mein kaam pura hoga. Abhi ne kaha 5 se 6 mahine to lag jaega, aur Mehboob ji ko mechanics wale kaam alag se karwane honge engine ko lekar aur paintings bhi alag se wo karwaega apne taraf se. Mehboob ji raazi hue aur pucha ke payment kaise karega sab ek saath kaam pura hone ke baad ya advance payment chahiye?

Bina Saeed ko dekhe ya puche Abhi ne kaha,

“Agar aap 1 laakh de dete hamein kaam shuru hone se pehle to hamaare liye asaan hota baaki ke mulazimon ki payment karne ke liye kyunke unn logon ko weekly payment karte hein hum.”

Saeed ji ko ek aur jhatka laga abhi ki baat ko sunkar. Ussne to life mein kabhi 1 lakh rupay nah liya tha nah dekha tha. Aur 22 saal ki umar ka Abhi 1 lakh rupay maang raha tha ek bus owner se, wo bhi advance aur 2 lakh kaam pura hone ke baad milne wala tha….. Saeed soch raha tha ke sala ussne to 75 hazaar pura kaam ke liye maangne wala tha! aur yahan abhi advance 1 lakh mang raha hai aur Mehboob dene ko tayyaar tha!

Mehboob ji ne ek cheque kata 1 laakh rupay ki aur Abhi ko thama diya Saeed ko dekhte hue. Phir pucha ke kaam shuru kab hoga. To Abhi ne kaha kaam kal se hi shuru hoga, bus ko tow kiya jaega unnke aangan mein aaj hi.

Wahan se nikle to Saeed ne abhi se kaha,

“kamaal karte ho tum abhi? Sala 2 laakh ki baat hui thi aur tumne 3 laakh mang liya?”

Abhi ne zor se hansste hue kaha,

“Yeh ek laakh mera apna kamaayi hai saeed ji. Iss mein se main aap ko kuch nahin dene wala” aur zoron se hanssta gaya. Saeed ji khamosh rahe.

Kuch der baad Abhi ne pucha,

“yeh cheque aap apne account mein debit karoge ya main apne account mein daal dun?”

Saeed ne kaha,

“are beta mera to aaj tak koyi bank account hai hi nahin! To tumhi dalo apne account mein nah!”

Uss din life mein pehli baar Abhi ki bank account mein 1 lakh rupay deposit kiya gaya! Jiss bande ko 10 rupay ke liye tarasna padta tha, ek cigarette pine ke liye doston se maangna padta tha aaj 1 lakh rupay deposit kiya gaya usske account mein ussko khud yakeen nahin ho raha tha!

Shaam ko bus tow kiya gaya aur Mehboob ji ke aangan mein ek bade se peyr ke niche rakha gaya. Saeed aur Abhi wahin maujood the. Bus ko dekh kar log hanss rahe the. Pados ke log aakar bus ko dekhne lage jiss par ghanns phuss uge hue the, itna mayla tha, ganda tha, gande hare rang ke paani kayi jaga jama hua tha bus mein, jo ek do sheeshe bache hue the sab dark green gande iss kadar dikh rahe the ke ghin araha tha… kuch log Mehboob ji ko paagal keh rahe the ke ek sade hue bus ko jangal se uthakar apne aanagn mein laa rakha tha….

Abhi sun raha tha sabhi ke comments ko aur apne dil mein kaha,

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”

To be continued………..
Amazing update casi bhai,
behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
Abhi to sach mein bahot door ki sonch raha hai,
bhai muje ek doubt hai ki aap jis jamane ki kahani likh rahein hain uss hisaab se aapne bus ki price kuchh jyada nhi bataya hai,
 

Casinar

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
Divine
18,429
125,334
259
Amazing update casi bhai,
behad hi shandaar aur lajawab update hai bhai,
Abhi to sach mein bahot door ki sonch raha hai,
bhai muje ek doubt hai ki aap jis jamane ki kahani likh rahein hain uss hisaab se aapne bus ki price kuchh jyada nhi bataya hai,

Thanks Aman bhai.
Kahani 1986 mein chal rahi hai bhai. Nahin bhai mujhe daam pata hai. 86 mein ek naye bus ki coach building bade garage mein 5 lakh mein bus ki body building matlab coach building hote the aur puraane bus ko renew karne ko do dhai lakh to lagta hi tha magar iss mein Abhi ne brain chala kar 3 lakh mein daam set kiya aur kaamyaab hua tha.
 
Last edited:

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 4 Ruhi Comes in Abhi’s Life Once More

“saalo, teen mahine baad tumhi log taarif karne aoge iss bus ki….”

Aur yahan par shuru hoti hai Abhi ki Romantic kahani… Abhi ne achanak kissi mahila ki awaaz ko kuch yun phukaarte hue suna;

“Ari oh Ruhi kia kar rahi hai aa dekh tere Mehboob chacha ne kia laya hai aangan mein!”

Ab aaguey….

Jab Abhi ne kissi ko Ruhi naam phukaarte suna to usska dil zoron se dhadka, usska chehra thoda sa laal hua aur usski nazar bus se hatkar uss awr dekhne laga jahan se ussne uss awaaz ko Ruhi naam phukaarte hue suna…. Ussko aisa feel hua ke ussko saans lene mein takliff hone laga tha uss pal ko, mushkil se ek lamba saans liya aur aankhon ko wahin jamaaye rakha iss intezaar mein ke koyi Ruhi naam wali udhar aaye….. tab ek oonche stair par khadi ek aurat ko dekha Abhi ne; aur andaza lagaya ke ussi aurat ne Ruhi ke naam ko phukara, aur sochne laga kia yeh uss Ruhi naam wali ladki ki maa hogi kia? Apni beti ko bus dekhne ke liye bula rahi hogi? To kia bus owner Mehboob uss Ruhi ka chacha hai? Matlab yahan Ruhi ek muslim girl hai, magar Abhi wala Ruhi to hindu thi…. Phir bhi dharm aur jaat ko bhool kar iss pal ko Abhi ne yeh dekhna chaha ke yeh Ruhi kaisi hogi? Khubsurat hogi aur apni Ruhi ki tarah adaon ki maalkin hogi? Chanchal hogi? Modern hogi, ya gharelu hogi? English bolna ata hoga? Padhi likhi hogi? Usski umar kia hogi? Kahin koyi bachi to nahin hogi? Aur agar shaadi shuda already hogi to? Usski baal keise honge, apni Ruhi jaisi hogi? Aur sabse pyare 2 chiz jo Abhi apni Ruhi mein ziada passand karta tha wo the usski muskurahat, aur usski meethi awaaz, to kia iss Ruhi ki bhi weisi muskurahat aur awaaz hogi kia?

Abhi ka dhyaan ab bus par bilkool nahin tha. Wo to wahan nazrein gadaaye khada tha jahan se yeh nayi Ruhi aane wali thi. Saeed ji ne Abhi se pucha,

“kia khayal hai, kaam kitne dinon tak chalega?!”

Abhi ne Saeed ji ko suna hi nahin, usska dhyaan to kahin aur hi tha uss waqt. Saeed ji ne tab Abhi ke chehre mein dekha, phir usski nazron ko follow karte hue saeed ji ne bhi wahan dekha jahan abhi ke nazrein thehre hue the aur ek aurat ko dekha khada hokar unn donon ke taraf bus ko dekhte hue. Faasla koyi 3 metres ke the jiss jagah bus tha aur jahan wo aurat khadi thi.

Saeed ji ne Abhi ki kehuni ko apne kehuni se takraate hue kaha,

“kyun miyan auraton ko taadne lage aate hi?”

Tab Abhi ka dhyaan wapas wahan aaya aur chahunkte hue kaha,

“nahin bhai main buss aise hi….. kuch soch raha tha….”

Aur tabhi uss aurat ne phir kaha,

“Ari Ruhi aah nah dekh to!”

Aur andar se awaaz aayi jissko Abhi ne bade dhyaan se suna,

“ofo maa, tum bhi nah, yeh chulhe par tarkaari kaun dekhega agar main tumhaare paas aa khadi hui to? Sab jal jaega yahan, dekh nahin rahi main paka rahi hoon!”

Abhi ke dil ka dhadakna jaise ruk sa gaya uss awaaz ko sunkar, jitni meethaas aur komalta uss awaaz mein suna Abhi ne, aur jiss adaa se uss ladki ki awaaz suna Abhi ne, wo machal gaya ab usski ek jhalak dekhne ke liye. Magar usske samajh mein nahin araha tha ke kaise ussko dekhein…. Abhi dil hi dil mein praathna karne laga ke wo ladki at least ek baar apni maa ki baat maan le aur ek baar bus ko dekhne aajaaye….

Tab tak Saeed ji ne phir Abhi se pucha ke kitne dinon mein kaam pura ho sakta hai. Abhi ko dar tha ke kahin idhar udhar dekhte waqt wo ladki aakar wapas bhi nah chali jaaye to usski nazrein wahi jami rahe aur Saeed ko jawaab diya jaise hawa mein baat kar raha tha, “PATA NAHIN BAI!”

Ab to Abhi yeh chahne laga ke yahan ka kaam kabhi khatam hi nah ho, kyunke usska yahan kaam karne ka ek aur maksad mil gaya tha….

Abhi tarapne laga ussko dekhne ke liye, kaash wo ladki ek baar apni maa ke paas aakar khadi ho jaati, eisa soch raha tha abhi, aur achaanak uss aurat ne mehboob ji se kuch kaha jo sunaayi nahin diya Abhi ko, magar abhi unn donon ko hi dekh raha tha tab tak Saeed ji buss ke dusre taraf chale gaye the moaena karne bus ki. Aur abhi ki nazar wahi tikke hue the uss stair par, aur ladki ki maa ne phir se kaha,

“Ruhi aakar dekh to sahi nah!”

Aur andar se awaaz aayi,

“uff aati hoon wait karo, karhaayi ko utaar to doon!”

Jiss stair par wo aurat khadi thi wo kitchen mein daakhil hone wali stairs the. Uss makaan ka aakhri hissa tha aur jahan bus tha uss garden ki saamne wale hisse ke bilkool nazdeek tha. bus left hand side mein tha aur wo ghar right hand side mein tha. Chalo ek plan bana deta hoon taake aap sab ko samajh mein ajaaye sab kaisa tha wahan….

Ruhis-house-plan.jpg


To yeh raha plan. Bus ek badi si darkhat ke niche tha jiss se aadha din chaon hota tha bus ke niche, baad mein kada dhoop mein kaam karna padta tha. Jahan Ruhi ki kitchen hai wahan ek jagah stair likha hua hai wahin par usski maa khadi dekh rahi thi aur Abhi jahan tap one likha hai wahan opposite bus ke paas khada uss stairs ke taraf dekh raha tha ke kab Ruhi naami ladki saamne dikhe ussko. Bus ka front side Mehboob ke ghar ke taraf tha aur back side Ruhi ke cousin ke ghar ke taraf. Bus ki right side Ruhi ke ghar ke taraf, balke tap 1 aur tap 2 jahan Ruhi kapde dhoti hai, uss taraf tha. Aur Mehboob ke ghar ke piche washroom tha jahan fresh hona jata tha, kapde change karte the workers aur toilet bhi wahin the. Mehboob aur Ruhi ke ghar ke beech ka jo space tha wahan ziada tar kaam kiya jaata tha jaise, alliminium sheets ka kaatna, measurements lena, aur bahot saare lohe ka samaan rakha gaya tha aur kuch kaam karne ka samaan add hota gaya din ba din. Matlab jab bhi Abhi uss space mein hota to Ruhi ke ghar ke ziada kareeb hota. Bus se Ruhi ka ghar ka fasla buss der metre ka tha, usski kitchen, aur stairs 2 metres ki doori par the.

****************************************************************************************

Abhi besabri se wait karta raha ke kab wo Ruhi naam wali ladki stairs par aaye taake wo ussko dekh sake, usski awaaz to sun liya tha aur bekaraar tha ussko dekhne ke liye. Usski awaaz se Abhi ko samajh mein aaya; ya yun kahen ke uss patli, narm awaaz se andaza lagaya jaa sakta tha ke uss awaaz ki maalkin kaisi dikhti hogi. Matlab Abhi ne apne dimaagh mein seikron tasvirein bana liye the usski, apne tassavur mein iss Ruhi ki tasveer ko utaar liya tha ussne ab intezaar tha ussko dekhne ko aur natija kia niklega isska wait kar raha tha Abhi.

Abhi ko laga ek bahot khubsurat, naazuk, kamsin si ladki hogi, yeh usski awaaz se pehchana ya andaza lagaya tha Abhi ne… usski bekaraari badhne lagi thi aur mann mein hulchal paida ho gaye the, bechain ho raha tha Abhi usski ek jhalak dekhne ke liye.

Abhi ka Ruhi naam se gehra Rishta tha yeh sirf Abhi ko pata tha aur kissi ko bhi nahin uss waqt. Iss Ruhi naam se usska kia naata raha hai pichle kayi saalon se, kia ehmiyat thi usskki life mein Ruhi naam ka kissi ko kia pata tha usske siwa. Aur abhi sochne laga ke kismat kia khel khel raha tha usske saath ke ussi naam ki ladki se phir milwa raha tha ussko, aisa kyun tha? Kia yeh wala Ruhi Abhi ki life mein khushian laegi? Kia Abhi ki life mein jo kami hai wo ab puri hogi? Jo khaalipan abhi ko aaj tak apne viraan dil ke andar mehsoos ho rahi thi wo ab gulzaar hone wala tha?

Abhi ne ek gehri saans lete hue uss kitchen ki stair par apne nazron ko jamaaye rakha…. Aur ussko ek nili dress nazar aayi kitchen ke darwaze ke paas, dress uss ladki ki maa ki dress ko chhuh rahe the, magar dress pehnne wali nazar nahin arahi thi, phir ladki ki ek tang dikhi abhi ko, dress usski ghutnon tak thi, hawa se dress lehra rahi thi….

Abhi dil hi dil mein sochne laga kia kar rahi hai, kyun dikh nahin rahi hai, usska chehra kidhar chhupi hui hai?! Phir abhi ne ghaur se dekha to samjha ke ladki khule hue darwaze aur deewaar ke beech se bus ke taraf dekh rahi thi; Wo jab ek darwaza full khula hota hai aur khul kar deewaar se chipak jaati hai phir uss khule hue hisse aur deewaar ke beech ke hisse se baahar dekha jaa sakta hai nah? Ruhi ussi hisse se bus ko dekh rahi thi..….

Usska gora chehra aur ek aankh dikha Abhi ko, aur Abhi ka dil bade zoron se dhadakne laga… Ruhi apni maa se dhire dhire baat kar rahi thi yeh maa ki response se samajh mein araha tha…. bus ke taraf dekhte hue donon maa beti baatein kar rahe the, Abhi pray karne laga ke kaash wo ladki stair par ek baar aajaati to Abhi usskko pura dekh paata….

Mehboob apne ghar se nikla to ladki ki maa ne Mehboob se zor se kaha,

”Yeh kia gandagi khada kar diya aap ne aangan mein? Kitna ganda aur sada hua bus hai, aap kia karoge iss sade hue gande lohe se?!”

Apni maa ki baat sunkar wo ladki khilkhila kar hanssi. Abhi ne sab suna aur usski taraf dekhta raha. Aur ladki ne kuch ahiste se kaha apni maa ko jaise daantte hue. Abhi ke samajh mein aya ke ladki ne apni maa se kaha ke bus ki marammat karne wale log sab sun rahe hein, unnko acha nahin lagega….

Aur aakhir mein buss ek pal ke liye, koyi 2 seconds ke liye ladki stair par aayi, wo bhi jaise khud ko ek tang par sambhalte hue jaise stair par ana nahin chahti thi magar ek peyr fissal gayi iss liye majbooran ana pada, phir turant wapas piche chali gayi aur ussi darwaze aur deeewar ke beech se dekhne lagi.

Jiss pal wo nikli thi stair par Abhi ne bahot kuch dekha, aur uss par kia beeta, kia feel hua, kaise sambhala ussne khud ko yeh bayaan karna mushkil hai. Abhi ki nazrein tike rahe uss ek pal ke liye unn stairs par aur ussko to laga ke ek ghante bhar dekh liya uss ladki ko. Usske baal khule hue the jo hawa se lehra rahe the, kaale ghane baal, aur baal bhi bilkool weisi jaisi Abhi ko passand tha aur jaise baal usski Ruhi ke the, uss ladki ka rang bhi bilkool usski apni Ruhi ka rang tha, bilkool gori thi, chehra maan lo chand ka ek tudka dikh gaya Abhi ko, usski dress ek midi type thi, jo usski ghuton ko dhanke hue the, par talwe se thoda upar usski gori tang dikhe Abhi ko aur usski baazuwon par bhi nigahein pade the Abhi ke… Abhi ne khud se kaha,

“Haan komal dikhi mujhe wo, kamseen bhi hai, naazuk bhi lagi….”

Aur chehra? Muskurahat? Aankhen? Inn sab ko dekhne ka mauka hi nahin mila sahi se abhi ko, kyunke tab tak wo wapas chhup gayi thi…sirf ek jhalak dikha tha buss….. Abhi ne mann mein bassa liya ussko ussi pal…..

Uss din wahan se ghar lautne ke baad Abhi ne apni diary mein likha ke muddat baad aaj ussko apni Ruhi ki jhalak dikhi kissi mein, aur taahjub ki baat yeh thi ke ladki ka naam bhi Ruhi hi tha.

To be continued…… (2100 words)
Amazing update casi bhai,
ruhi ke saundarya ka varnan aapne itna shandaar kiya hai ki main to usme kho hi gaya tha,
ab dekhte hain ki kaise inki love story aage badhti hai
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Thanks Aman bhai.
Kahani 1986 mein chal rahi hai bhai. Nahin bhai mujhe daam pata hai. 86 mein ek naye bus ki coach building bade garage mein 5 lakh mein bus ki body building matlab coach building hote the aur puraane bus ko renew karne ko do dhai lakh to lagta hi tha magar iss mein Abhi ne brain chala kar 3 lakh mein daam set kiya aur kaamyaab hua tha.
Thanks casi bhai, mere doubts ko clear kar diya aapne
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 5 The First Day of Work

Raat ko Abhi thik se so nahin paaya. Sirf uss ladki ko sochta raha, sapne mein ussko dekha bhi jab bhi zara si aankh lagi to. Ussko jaldi tha wahan wapas jaane ki aur wahan kaam shuru karne ki. Sochta raha kaam karega ya din bhar uss ladki ko dekhta rahega. Kia ladki ghar par rahegi har roz? Kia wo college jaati hogi? Ya kahin koyi kaam karti hogi? Yeh sab soch raha tha Abhi aur khud ko tassalli dete hue kaha ke agar kahin bhi jaati hogi subha aur shaam ko ek dusre ko dekh to payenge…. Abhi sochne laga ki wo uss se baat kar paega? Kaise baat shuru karega? Kia kahega uss se? Aur agar ladki ne baat nahin kiya to? Agar ussne Abhi ko jawaab nahin diya to? Thoda sharmilee type lagi thi uss waqt, to kia Abhi ke saamne aaegi bhi? Yeh sab sochta raha Abhi raat bhar. Apni diary mein bahot kuch likha. Diary one day page tha ussne 5 pages likh diya, matlab agle 4 din ke pages bhi bhar diye aaj ki events ko likh kar, to socha ek naya thick cover ka copy book kharidna hoga sirf inn dinon ko likhne ke liye, jab tak wo wahan kaam karega, uss copy book mein sirf wahan ke events ko likhega.

Subha mamool se bahot pehle uth gaya Abhi aur tayyaar hokar nikla kaam par jaane ke liye. Bus se safar karna tha, ghar se 40 kms ki doorie par thi wo jagah jahan Mehboob ka ghar tha. kaam karne ke liye puarane kapde ek bag mein liya hua tha, aur ek dusre bag mein kaam karne wale kuch auzaar the, aur of course khana bhi tha ek bag mein.

Subha 6.30 ko uss jagah ko reach hua abhi, Saeed bhai aur baaki ke 2 workers bhi aaye thik usske piche.

Bus stop se utar kar marammat karne wale bus tak pahunchne mein koyi 5 minat lagta tha, aur jab uss aangan mein daakhil hua abhi to usski nazar seedhe uss kitchen wale stairs par pahunche, bus par nahin. Chalte waqt bus tak reach hone ke liye abhi ki nazrein idhar udhar dekhta gaya, right mein jo ghar hai matlab jiss ghar mein wo ladki rehti hai, uss ghar ka saamne wale hisse ko ghaur se dekha abhi ne, jo pehla tap tha wahan dekha phir nazron ko uss taraf kiya jahan tap number 2 tha aur ek washing stone bhi tha uss dusre nal ke paas. Aur akhir mein uss jagah pahuncha jahan washroom tha. Aur ab wo washroom to direct uss kitchen ke opposite tha jahan kal Ruhi nazar ayi thi, uss washroom se kitchen ke andar nazar araha tha. Abhi ne ghaur se andar dekha. Koyi bhi nahin tha. Abhi ne sochna shuru kiya ke kal issi kitchen mein wo ladki paka rahi thi jiss waqt usski maa ussko awaaz de rahi thi……. Abhi ne ek vision kiya jo flashback ki tarah usske aankhon ke saamne aaye….

Ussne dekha ke ussi neeli dress mein ladki apni stove ke paas karhaayi mein kuch pakaa rahi hai aur Abhi ussko dekh rahi hai phir Abhi uss se ishaare se baat kar raha hai…..

Vision khatam hone ke baad Abhi ne socha kia aisa kabhi hoga bhi? Kia yeh mumkin hai? 4 se 6 mahinon tak yahin kaam karna hai kuch to baat aaguey badhegi zaroor….. Ek ajeeb si feeling ho raha tha abhi ko, uss kitchen ke andar dekhte hue, soch raha tha jaise usski maa pakaati hai kitchen mein weise hi ladki bhi kal paka rahi thi, ussko pakana ata hai, kia kabi kuch paka kar khilaegi Abhi ko? Wo sochne laga Abhi, usske haath ka paka hua kaisa lagega? Swadisht hoga? Abhi ussko kitchen stove ke paas dekhna chahta tha, ussko pakaate hue dekhna chahta tha, usska dil kar raha tha ke wo ladki wahan aaye aur Abhi usske paas jaakar ussko piche se jakre aur uss se pyar kare…. Aise feelings aa rahe the abhi ke dil mein kapde change karte waqt… ye sab sochte hue Abhi ne apne kapde badle, kaam karne wala purana kapda pehna aur baaki ke logon ne bhi wohi kiya aur sab bus ke paas ekatha hue. Saeed bhai ne Abhi se pucha,

“kaise start karna hai?!”

Abhi ne kaha,

“sabse pehle Mehboob bhai se kaho, ek lamba hose chahiye bus ko dhona hai pehle tab todna hai, saare sade hue tin, loha, shisha, andar ke tute hue seats sab nikaalna hai, bus ko sirf chasis mein dikhna hai ab….”

Wohi kiya gaya…. Oonchi awaaz mein sab baat kar rahe the, ke yeh karo, wahan paani dalo, aisa karo, veisa karo, yahan mat aao, wahan jao etc….

Abhi baar baar uss ghar ke taraf dekhe jaa raha tha kaam karte hue, soch raha tha kia wo abhi tak so rahi hogi? Ussko dekhne ka bada mann tha abhi ko, magar wo bilkool nazar nahin arahi thi. Kia wo kaam par chali gayi hogi? Kia college gayi hogi? Ya university ki student hogi? Usski maa kayi baar nazar aayi. Mehboob bhi kayi baar aaye, sabse baat kiye, Mehboob ki biwi, Rahima bhi aayi, chai dene aayi sabko phir wapas chali bhi gayi magar wo ladki nahin dikhi thi Abhi ko din ke barah bajne ko tha. Bus ko nanga kar diya gaya tha, sirf bus ki chasis nazar arahe the apne 6 wheels par.

Lunch time aya to a
Abhi gaya apne bag se khana lene ke liye washroom ke paas bag taanga hua tha jiss mein usske khaane ke chizein the; wahan jaate waqt bhi Abhi uss kitchen mein jhaanka aur ladki ki maa nazar aayi bartan maanjte hue sink ke paas, to jhat se abhi ne nazar hatta liya…. Bus ke andar baith kar sab khaane chale. Khaate waqt bhi Abhi baar baar uss ghar ek taraf dekh raha tha…. aur achanak ussne uss ladki ko Mehboob ke ghar se nikal kar apni kitchen ke taraf jaate hue dekha, aaj ek laal dress mein thi, baal khule hue the, ek nazar ussne bus ke taraf dekha aur apni kitchen mein chali gayi…. Abhi ne khud ko kossa ke kyun ussne ladki ko uss waqt nahin dekha jiss waqt wo apni kitchen se nikal kar Mehboob ke ghar Rahima se milne gayi thi… pata nahin kitne time se wo Mehboob ki biwi se baat kar rahi thi aur Abhi ko kuch pata hi nahin chala…..

Khaane ke baad sab main road par gaye tehelte hue cigarette kharidne. 45 mins ka lunch break liye the sabne. Yeh normal tha kahin bhi kaam karte to 45 mins lete the sab.

Jab cigarette pite hue wapas daakhil hue uss aangan mein to Abhi ne laal dress wali ladki ko ussi kitchen ki stairs par dekha jahan kal usski maa khadi thi. Magar main road se jiss jagah par wo khadi thi kaafi door tha to Abhi ko wo door dikhi aur Abhi chahta tha ke jab wo bus ke paas aaye to wo wahin khadi rahe taake ussko paas se dekh sake, magar jaise jaise weh log bus ke karib hote gaye ladki wapas apne kitchen mein chali gayi. Abhi shuru mein bahot khush hua ussko wahan khadi dekh kar, wo bus ko hi dekh rahi thi, aur ek baar raaste par dekha Abhi ke taraf, magar jab a
Abhi usski cousin ke ghar ke paas reach hua to Ruhi wapas ghuss gayi. Tab Abhi udaas hogaya aur pray karta raha ke wo wapas stairs par aaye.

Kaam shuru hua, ab saare puraane tin ko nikala jaa raha tha bus se, sade hue lohe ko kata jaa raha tha, hatode aur baaki auzaar se. bahot shor ho rahe the thaak thok, thik thaak ke awaazein bahot sunaayi de rahe the aur a
Abhi ne socha kia pata ke ladki thoda sone gayi hogi to nahin so paaegi unn logon ke shor karne ki vajah se…. do pahar mein bahot saare log thoda sote hein khaane ke baad, jab a
Abhi ghar par rehta tha to yeh usski aadat thi, to ussne socha shayad wo ladki aur usski maa ke bhi weise aadat ho….

Karib 3 baje muhalle ke bahot saare log aaye dekhne Abhi aur team ko kaam karte hue, khaas kar school ke bache log. Unn mein se ek ladka Ruii ka chota bhai tha jo 10th mein tha. wo to abhi ke bilkool paas aake khada ho gaya aur baat karne laga. Abhi ne pucha ke kaun hai kidhar rehta hai kia karta hai vaghaira aur jab ladke ne kaha ke wahin rehta hai to Abhi ko pata chala ke uss ladki ka chota bhai hai. Usska naam pucha tab ahbi ko Khushi hui kyunke ussko pata chala ke yeh Ruhi bhi hindu hi hai kyunke bhai ka naam Mahesh tha. phir Abhi ne pucha ke Mehboob ko chacha kehte hein sab to ussne socha ke Mehboob usske pita ka bhai hai to Mahesh ne kaha,

“hum Mehboob chacha ko ‘chacha’ iss liye bulaate hein kyunke mummy ne kaha ussko weisa bulaane ke liye”

Aur ek baar Ruhi stair par aayi Mahesh ko bulaane ke liye aur yun kaha bus ke taraf Mahesh ko dekhte hue,

“hey Mahesh chai nahin piyega kia? Main ne serve kar diya aakar pile mujhe sab saaf karna hai jaldi aah nah!”

Jiss waqt Ruhi wo sab keh rahi thi Abhi usski chehre mein dekh raha tha, aur Ruhi ne Mahesh ko dekhte hue wo sab kaha tha magar ek do baar usski nazrein Abhi par bhi gayi…. Abhi ne bahot achi tarah se usski nazron ko follow kiya tha.

Abhi ko behad passand aya usska uss tarah se usske taraf dekhna. Usski nazron mein ek komalta dikha Abhi ko, usski awaaz kitni mithi thi, usski muskurahat jaan lewa laga Abhi ko, usski awaaz aur ziada sunne ko mann kiya Abhi ko to ussne Mahesh se kaha,

“chai pine ke baad wapas ana thoda baatein karenge.”

Mahesh ne kaha,

“haan wapas ata hoon, mujhe dekhna hai tum log kaise issko bus banaate ho!”

Shaam ko 4 baje to aur kuch log aagaye aangan mein. Log bhade hue the uss jagah. Kabhi kissi ne bus ko bante hue nahin dekha tha, magar abhi to bus ko ujara jaa raha tha, nanga kiya jaa raha tha…. aas paas ke log jo apne apne kaam se wapas agaye the chale aaye the Mehboob ke bus ko dekhne ke liye… aur tab tak bus ko almost nanga kiya jaa chuka tha…. jab bus aya tha to kuch aisa dikh raha tha aangan mein kal



Jangal mein tha to aisa tha

OLd-bus2.jpg


Aur ab sab tor phor ke baad shaam ko 4 baje bus sirf chasis par tha aur yeh dikh raha tha

bus-chasis.jpg

Ab iss par frame banaya jaega din ba din kaam hoga bus ki frame weld karne ke baad alliminium sheets rivets se chipana hoga, sheets ko measurement se kaatna padega etc….

Shaam ke karib paanch baje jab washroom jaana tha sabko to ek baar aur Ruhi ki maa stairs par dikhi aur usski awaaz yun aayi,

“Ruhi aa dekh nah bus kaise bilkool khali ho gayi hai…”

Abhi ne socha ussko ab jaldi se washroom jaana chahiye aur udhar se wo Ruhi ko kitchen mein dekh paega. To jaldi se wo nikla….. usske kapde bilkool maile ho gaye the, chehre par bhi jagah jagah par gandh lage hue the, khud ko wash karna tha wo nahin chahta tha ke Ruhi ussko weisa dekhe…..

Abhi weise handsome ladka tha, gora rang, 6.2 feet/1m85 ooncha, kayi log ussko ‘lambu’ bhi bulaate the; usska ek strong personality tha, jaldi se log usske dost ban jaate the aur wo ek centre of attraction tha khud mein hi, log usske taraf nazar karte hi the kissi tarah se bhi, usski oochaayi ki vajah se kuch log ussko dekhte the to kuch log usski personality ki vajah se, to baat yeh hui ke Ruhi ki maa Abhi ko hi dekh rahi thi jab wo washroom ke taraf jaane lage to aur iss se pehle ke wo washroom pahunchta khud Ruhi ki maa ne Abhi se kuch kaha…. Kuch log jawaan 22 saal ke ladke se baat karna passand karte hein, kabhi tang khinchaayi karte hein to kabhi umar wale log jawaan logon se buss baat iss liye karte hein ke dekhein wo jawaan kitna kaabil hai….. aur kuch log khud ko jawaanon se dosti karne ke liye baatein karte hein, aur kuch log to jawaanon se akarshit hokar hi baat karte hein….

Abhi ko rukna pada ussko jawaab dene ke liye aur kitchen ke andar se Ruhi Abhi ke chehre mein ek muskaan se dekh rahi thi ke usski maa uss se baat kar rahi hai….

Abhi to khud ko saaf suthra karke Ruhi ke saamne pesh hona chahta tha magar usski maa ne Abhi ko ussi haalat mein rok liya to Abhi ko acha nahin laga magar kaise mana karta uss aurat ne baat kiya to jawaab to dena tha iss liye majbooran ussko rukna pada aur Ruhi ki maa ne muskuraate hue pucha tha,

“kitne dinon mein bus ban jaega?!”

Abhi ne bhi muskuraate hue jawaab diya magar Ruhi ko dekhte hue usski maa ko nahin,

“bahot bada kaam hai yeh, shuruwaat se sab kuch karna padega wo bhi haath se, koyi bhi garage wala machine nahin hai to ziada din lagenge!”

Andar se Ruhi muskuraate hue Abhi ko dekh rahi thi, usski haath mein ek plate tha jissko wo kitchen ki table par rakhne jaa rahi thi magar Abhi ko ruk kar sunne lagi thi, aur abhi ne note kiya ke uss waqt Ruhi ke baal khule hue nahin the, balke bandhe the, kuch iss tarah se ke usski kaandhe par koyi dekhe to lagta tha ke usski baal kaandhe tak katte hue hein, behad khubsurat dikh rahi thi, shayad thoda makeup kiya hua tha ya cream powder lagaayi thi uss waqt Ruhi ne….. Abhi ne socha ke khud kitna ganda dikh raha hai, maile kapde, maila chehra, baal bikhre hue, aur Ruhi ek princess dikh rahi thi…. Abhi ko jaldi tha washroom jaane ki, to ussne kaha,

“Wait main wash karke wapas aata hoon aur aap ko samjhaunga ke kitne kaam hai.

Aur wo chala gaya khud ko saaf karne magar wahan Saeed aur baaki ke do log uss se pehle wash kar rahe the to Abhi ko wait karna pada tab tak wo kitchen mein dekhta raha, aur Ruhi bhi baar baar usske taraf dekh rahi thi apne kitchen ke kaam karte hue…..

To be continued….. (2600 words)
Awesome update casi bhai,
abhi aur ruhi ki najare chaar hone lagi hai,
Ab dekhte hain aage kya hota hai
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 6 Second Day at Work
Aur wo chala gaya khud ko saaf karne magar wahan Saeed aur baaki ke do log uss se pehle wash kar rahe the to Abhi ko wait karna pada tab tak wo kitchen mein dekhta raha, aur Ruhi bhi baar baar usske taraf dekh rahi thi apne kitchen ke kaam karte hue…..

Ab aaguey…

Abhi ne aine mein apne chehre ko dekha aur khud ko sharam aya usse, usske donon taraf gaal par kaale dhabbe lage hue the, baal bikhre hue the, chehra dhoop mein jhulass gaya tha, gore rang par jaise ek brown colour chipak gaya tha; khud ko dekhte hue abhi ne thoda ghussa kiya ke kyun wo ruka uss aurat se baat karne ko aur kissi ne bhi ussko nahin bataya ke usske chehre par kia laga hua hai, sochne laga ke kia issi liye Ruhi ussko dekh kar muskura rahi thi? Abhi ne khud se kaha,

“kia sochegi mere baare mein? Yehi nah ke main ganda hoon, I am a dirty brat?! Sala log ek ladki ko dekhne jaate hein to smart, handsome ban kar, naha dhokar saaf suthra kapde pehen kar, naye joote, best shirt, khud ko presentable karke ladki ke saamne jaate hein aur main iss tarah se ganda dikh raha hoon kaun passand karega mujhe iss haal mein dhat!!”

Abhi ko sharam feel ho raha tha aur kitchen ke taraf dekhna bandh kar diya apna turn wait kiya khud ko fresh karne ke liye; magar usska dil nahin maan raha tha ke wo Ruhi ko kitchen mein nah dekhe, usska mann tha ke wo ussko dekhe pakaate hue, ussko admire kare, to Abhi ne apne doston ke peeth piche chhup chhup kar Ruhi ko dekhna jaari rakha….. ussne ek baar dekha ke Ruhi ki maa ussko kuch keh rahi thi aur Ruhi zor se hanssi aur usske taraf dekha, wo khilkhila kar hanssi thi, Abhi usski uss hanssi par fida ho gaya, ussko Ruhi ko aur weise hansste hue dekhne ko mann kar raha tha…. hanssne ke baad Ruhi chulhe par ek dish mein mein ek ladki wale spoon se kuch chala rahi thi, matlab mix kar rahi thi, tarkaari paka rahi hogi Abhi ne socha.. aur weise hanssne ke baad Ruhi ke chehre par ek Muskaan baaki tha aur ussne apne niche wale honth ko daanton mein dabaate hue apni maa ke taraf dekha aur ussko kuch kaha, phir ek haath se Ruhi apne chehre se ek latt ko apne sar ke upar kiya tab weise hi ek honth ko daant mein dabaaye hue hi Abhi ke tarraf phir se dekha aur donon ke nazrein mile…. Abhi ke chehre par ek Muskaan ban gaya tha apne aap Ruhi ko admire karte hue.

Ab kyunke ussne dekha ke Ruhi ne usske chehre mein dekha to ab Abhi ne socha ke ‘Ruhi kahin yeh nah samjhe ke main uss se muskura raha hoon, main to usski adaaon par muskura raha hoon….’ Aur abhi ne nazron ko ek taraf kar liya.

Phir Abhi ne khud ko wash kiya aur kapde change kiye. Ab wo apne unn kapdon mein tha jiss se subha bus mein aya tha. jiss kapde se kaam kiya tha ussko wapas ghar lejaane ko pack kiya kyunke wo maile ho gaye the kuch ziada hi. Weise ek hafte tak ek kaam karne wala kapda pehenta hai magar aaj ki baat kuch aur thi kyunke gande bus ko saaf kiya tha to khud maile ho gaye the iss liye kapde ko wapas lejaana pada….

Jitna time Abhi ne liya khud ko dhone, saaf karne ke liye tab tak Saeed tayaar ho gaya tha aur ab Ruhi ki maa uss se baat kar rahi thi. Matlab jo jawaab Abhi ko dena tha wo jawaab Saeed de raha tha Ruhi ki maa ko aur Abhi ne dekha ke Ruhi ab stairs par khadi Saeed ki baton ko sun rahi thi apne maa ke saath.

Aur jiss waqt Abhi apne baalon mein kanghi kar raha tha khud ko aine mein dekhte hue ussne dekha ke Ruhi ki nazrein uss par the. Ruhi Abhi ko baal banaate hue dekh rahi thi thoda muskuraate hue. Aur donon ke beech ziada faasla bhi nahin tha, aamne saamne the donon, yeh pehli bar tha ke Abhi Ruhi ko itne karib se dekh raha tha. Bahot hi acha feel hua Abhi ko. Usska dil machalne laga, bahot khush tha wo. Ussne ekaat baar Ruhi ko dekha weise hi muskuraate hue, aur iss baar Ruhi hanss padi Abhi ko dekhte hue, pata nahin kyun ussko hanssee aayi. Abhi ne dobara aine mein dekha Ruhi ko hansste hue dekh kar ke kahin usske chehre mein kuch aur to nahin laga hua hai, sab saaf tha to kyun hanssi wo Abhi ne socha!

Ek blue Jean aur ek white Tshirt mein dressed tha Abhi aur ab ek handsome young man dikh raha tha. ussne khud ko kayi baar aine mein dekha, chehre par haath ferra kayi baar aur Ruhi ki nazrein uss par tikke rahe muskuraate hue. Ruhi ab Saeed ko nahin sirf Abhi ko dekh rahi thi; aur jab Abhi tayaar hua wahan se nikalne ke liye to Mehboob nikla ghar se aur Saeed ke paas khade hokar baat karne laga…. Tab tak Abhi chalte hue Saeed tak reach hua apne bag ko kaandhe par taange hue, aur ek nazar Ruhi par kiye hue. Ruhi ki nazar Abhi par hi thi jab wo ruka, Mehboob se handshake kiya, aur Saeed se wapas chalne ko kaha. Baaki ke do workers chale gaye the tab tak. Saeed ke paas ek aur ladka koyi 27 ya 28 saal ka baat kar raha tha magar usske haath mein ek camera tha jiss se wo bus ki photos le raha tha, kal jab bus aya tha tab bhi ussne kuch photos liye the. Abhi soch raha tha ke wo kaun hoga, shayad Mehboob ka koyi rishtedar hoga ussne socha. Aur ek budha aadmi bhi tha Mehboob ke paas lagbhag 70 saal ka budha jissko Ruhi ne dada kehkar phukara aur ussko kuch dene lagi, tab Abhi ko pata chala ke wo r
Ruhi ki dada ji hai kyunke kal Abhi ne uss budhe ko Ruhi ke ghar ke saamne baraamde mein dekha tha. to jaane se pehle Abhi ne sabse handshake kiye, aur uss budhe se bhi, aur budhe ne abhi se pucha,

“kidhar ka bashinda ho beta? Door jaana hai kia?”

Abhi ne ussko jawaab diya ke koyi 30 kms tak jaana hai aur apne muhalle ka naam bataya dada ji ko. Uss waqt Ruhi dhyaan se muskuraate hue abhi ko dekh rahi thi usske dada ji se baat karte hue. Abhi ko acha laga ke Ruhi kitni der se ussko weise dekh rahi thi.

Aur aakhir mein Abhi ne wapas jaane ki kadam uthaye aur ek nazar Ruhi ke taraf dekha aur ussko bye wave kiya, saath saath usski maa se kaha, “bye aunty, kal milte hein!”

Ruhi ne hanss diye Abhi ko weisa kehte sunkar aur wo ladka jo bus ki chasis ka photos le raha tha wo bhi hanssa Ruhi aur usski maa ke taraf dekhte hue….. Abhi ne to Ruhi ko wave kiya magar Ruhi ne uss se wave ke badle sirf laugh kiye.

Bus mein wapas lautte waqt Abhi ne Saeed se pucha,

“Wo ladka kaun tha jo photos le raha tha bus ki?”

Saeed ne jawaab mein kaha,

“wo uss aurat ka bada beta hai jissko tu taad raha tha kal!”

Abhi heyraan hua aur kaha,

“What? Main kahan taad raha tha uss aurat ko? Aaj wo khud mujhse puch rahi thi ke kab tak bus ka kaam pura hoga!”

Saeed ne tab kaha wo joke kar raha hai,

Abhi ab sochne laga ke Ruhi ka itna bada aur ek bhai hai matlab Ruhi ka bada bhai! Shayad issi liye wo bhi hanssa tha jab Abhi ne usski maa ko bye kaha tha, Abhi ne socha….. aur wo din bhar nazar nahin aaye kyunke wo kahin kaam par gaya hua hoga din bhar iss liye sirf shaam ko nazar aya.

Ghar pahunchne se pehle Abhi ne dukaan se ek mota sa thick cover wala copy book kharida 400 pages wala.

Aur ghar jaate hi baith gaya uss mein likhne. Pehle usski cover par title likha – “The Days I Spent At Ruhi’s Place”

Pages ko number karna shuru kiya, phir jo kal 5 pages ka likha tha apne dairy mein wahan se sab copy kiya uss nayi copy book mein, aur aaj ki din bhar ka event likha Abhi ne. Sab kuch likha. Kiss tarah se Ruhi ussko dekh rahi thi, kiss tarah muskura rahi thi, kiss tarah kitchen mein pakka rahi thi etc . Apne feelings ko likha, ussko kitna acha lagta hai wahan jaana, wahin rehne ko mann karta hai yeh sab kuch likha Abhi ne. Aur yeh lines likh kar aaj ka likhna end kiya;

“I wish I would be living in that village of hers. Thus, I could go there any time and look at her. What could she be doing at this time? Had she already had dinner? Must she be watching TV with her family? How nice it would have been if I suddenly reach there at this time and she gets surprised to see me! Would her mother ask me to get inside and watch TV with them? Would I get a seat close to Ruhi and we both hold each other’s hands and watch TV?”

Ek sapna likh raha tha Abhi, ussko iss sapne ko sach karna tha.

*********************************************************************************

Agle subha aur bhi ziada savere uth gaya Abhi. Usske dilo dimaagh mein sirf Ruhi bassa hua tha. Toilet kiya, brush kiya, aur brush karte waqt soch raha tha kia Ruhi uth gayi hogi iss waqt? Subha ke 5 baja tha. ya abhi neendh mein hogi? Aur agar neendh mein hogi to mujhko sapne mein dekh rahi hogi kyunke main ussko yaad kar raha hoon…. Abhi ne baal mein kanghi chalaate hue yaad kiya kiss tarah kal Ruhi ussko dekh rahi thi jab wo kanghi kar raha tha apne baal mein shaam ko, aur socha ke ab shaayad har roz weisa mauka milega ussko kyunke ussi time ko har roz kaam end karna aur wash karne jana hai aur ussi waqt Ruhi kitchen mein cook kar rahi hoti hai, yeh soch kar Abhi ko Khushi hui, dil ko ek sukoon mila.

Abhi ne shave bhi kiya, weise to har do din baad shave karta tha, magar kyunke ab Ruhi ka saamna karna tha ussne shave kiya aur soch liya ke jab tak Mehboob ki bus mein kaam karega har roz shave karega…. Wo chahta tha ke wo Ruhi ko handsome dikhe. Handsome to tha hi Abhi ziada hi hansdsome tha, magar unn dinon clean shaven hona hota tha, jiss ne teen din se ziada shave nahin kiya ussko ganda kaha jata tha…


Ab kaam ke usske saare puraane kapde hote the, magar ussne yeh bhi decide kiya ke ab purane wale kapde nahin pehnega wahan jab tak kaam karega. Ek dark jean aur ek dark blue wala shirt liya kaam karne ke liye. Weise to takriban saal bhar ek set kapda use karta tha, aur 4/5 saal purana kapda use karta tha kaam karne ke liye, magar Ruhi ke liye sab special karna chahta tha. To behtareen kapda liya kaam karne ke liye, wo libaas jo ab tak almost naya tha ussko ek saal tak pehen sakta tha ussne ussko kaam karne ke liye le liya.

Aur aaj subha 6.30 ko abhi reach ho gaya uss muhalle mein. Shop se cigarrte kharida aur kasht maarte hue uss aangan mein dakhil hua, aur Ruhi ke ghar ke taraf dekhte hue aaguey badhta gaya ke achanak ussko garden mein koyi dikha…. Garden right hand side mein hai, plan mein dekh lena update 4 par…. Abhi ne bilkool bhi nahin socha tha ke itne savere wo Ruhi ka saamna karega….. Ruhi night gown mein thi aur garden se gulaab ke phool pick kar rahi thi… usski haath mein ek kainchi thi jiss se wo phool kaat rahi thi, usski left hand mein koyi 4 ya 5 gulaab already the aur wo aur kaat rahi thi, usski nightgown pale blue color ki thi, lambi thi usski pura jism dhaka hua tha niche tak, yahan tak ke usski chappal par uss dress ki last end chhuh rahe the…..

Ab samajh mein nahin aya ke Ruhi Abhi ko dekh kar darr gayi, sharma gayi ya bilkool expect nahin kiya tha ke itne savere koyi ghair usski aangan mein achanak prakat ho jaega, aur usska chehra bilkool badal gaya, sirf ek teerchi nazar se ek baar dekha Abhi ko ek pal ke liye aur turant chehra ek taraf kar liya Ruhi ne, jab tak abhi usske level reach hua, to abhi ne usske taraf dekhte hue kaha,

“Hello, good morning, how are you?!”

Ruhi ne ek shabd bhi nahin kaha. Wo gulaab ke phoolon ko dekhti rahi, Abhi reply expect kar raha tha, magar ruk to nahin sakta tha ussko aaguey badhna tha washroom ke taraf change karne ke liye, agar ruk kar Ruhi se savere savere baat karta to sahi nahin hota Abhi ne socha, kyunke abhi usski jaan pehchaan bhi nahin hui hai uss se, iss liye Abhi aaguey badhta gaya mudhkar Ruhi ke traraf dekhte hue, aur dhire dhire kehta gaya,

“bahot khubsurat gulaab hein, shabnami katrein nazar arahe hein gulaabon ke upar, photos lenge to behad khubsurat lagenge….”

Khuda jaane ke Ruhi ne Abhi ke unn baton ko suna bhi ya nahin, Abhi badhta gaya washroom ke taraf weisa kehte hue…

Abhi washroom mein apne working clothes pehente hue sochne laga ke kal shaam wali Ruhi aur aaj ki garden wali Ruhi mein kitna antar hai. Kal shaam wali Ruhi kitni khil kar dekh rahi thai Abhi ko, ussko bye bhi kiya tha Abhi ne wave karte hue aur wo hanssi thi, aur aaj bilkool alag thi wohi Ruhi….. ek good morning ka jawaab bhi nahin diya savere savere….. Abhi ne khud se kaha,

“Sala ek good morning ka reply karne mein kia jata hai? Mera din ban jata aaj agar ussne mujhe good morning keh diya hota to, din mazedaar guzarta aaj mera… magar ab to mood hi kharab ho gaya savere savere yaar, main kyun aaj itni savere agaya yahan…. Kaash wo ab kitchen mein ajaaye to main dobara ussko good morning karunga aur kahunga ke good morning ka jawaab dete hein khamosh nahin rehte….!”

Washroom se kapde change karne ke baad garden ke taraf jhanka Abhi ne aur dekha ke Ruhi ne phool tod liye aur ghar wapas chali gayi thi saamne wale darwaze se ghar ke andar gayi, kitchen ke taraf nahin aayi… ab ghar ke andar se zaroor kitchen mein aegi to abhi wahin wait karta raha kuch der tak… kitchen ka door open tha magar kitchen mein koyi bhi nahin dikh raha tha…. usski maa bhi nahin thi….

Abhi sochne laga – “kia Ruhi ne hi chai banaaye honge ya usski maa ne? kia Ruhi sabse pehle uthti hai, aur kitchen mein aati hai? Kitchen saaf suthra dikh raha tha…..”

Tab tak Rahima apni kitchen se Abhi ko hello karti hai puchte hue ke itne savere chale aaye….. Rahima ek 30 se 33 saal ki bahot khubsurat aurat thi. Usski ek unique beti thi Farzina naam se jo primary school jaati thi…. Abhi ne ek do baat kiye usske saath Ruhi ke kitchen ke taraf dekhte hue….

Abhi phir sapnon ki dunya mein kho gaya. Ussne kuch aisa socha ke kaash Ruhi kitchen mein aaye aur Abhi se puche ke ussne chai pee liya, aur ek cup chai serve kare abhi ko apne haath se…

Abhi ne itna socha hi tha ke Ruhi ne to nahin magar Rahima ne ek cup chai diya abhi ko, garma garam chai jo abhi abhi banaya tha ussne.

Chai peete hue Abhi Ruhi ke kitchen ke taraf dekhta gaya Ruhi ko sochte hue, aur usski bagiche mein bartaav ko sochte hue…. Abhi ko kuch acha nahin lag raha tha, usska din aaj bahot bura guzrega ussko lagne laga tha….

“kyun Ruhi ne mujhko jawaab nahin diya? Kyun ek taraf dekha ussne? Kal to sab thik tha aaj kia ho gaya? Kia aaj din mein mujhse muskuraegi? Mujhko dekhegi bhi ya nahin? Kyu eisa behave kiya ussne mere saath savere savere? Main kia samjhun? Kia ussne mujhe suna nahin hoga? Aisa keise ho sakta hai, sab khamosh the, fiza thandi, ek awaaz bhi nahin kahin, keise meri awaaz nahin suni hogi IMPOSSIBLE….. achi tarah se suni ussne mere waaz ko magar jaan bujh kar jawaab nahin diya ussne…. Kia main ajnabee hoon? Kia kal humne baat nahin kiye? Usski maa se, usske bhai se, dada ji se, sabse baat to kar liye to ajnabee kaise hua main?!!”

Abhi ko kuch bhi acha nahin feel ho raha tha… usska dil jaise baitha jaa raha tha, himmat nahin ho rahi thi usse aaj kaam karne ki…. Weakness feel karne laga sirf Ruhi ki berukhi ki vajah se….

Kuch der baad wo bus ke paas gaya ek aur cigarrete jala kar, chasis ke charon taraf ghuma aur soch raha tha kahan se shuru karen frame banane ko, tabhi Saeed aur do dusre mulazin haazir hue…..

Abhi ko pata tha, balke laga aaj ka din lamba aur bhaari guzrega…. Welding karna hai aaj din bhar, bus ki chasis par frame weld karna hai…. Tabhi kitchen ke stair par Ruhi aur usski maa nazar aaye. Ruhi ab nightgown mein nahin thi, ussne ek white blouse aur dark skirt pehni hui thi…. Phir turant Ruhi apne ghar ke saamne wale hise par aayi tap one ke paas wahan jharu lagaane aayi, kal bhi wohi kiya tha, ek chota sa baramde par jharu lagaa rahi thi aur Abhi ke bus do kadam ki doorie par thi, jhuk kar jharu lagaa rahi thi aur Abhi ki nazrein uss se hatt hi nahin rahe the…. Ruhi ko pata tha ke Abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”

To be continued…………. (3103 words)
Amazing update casi bhai,
 

Rowdywa

Banned
1,133
5,150
143
Update 12 Shweta

Uss din, din bhar acha mauka nahin mila Abhi ko wapas thik se Ruhi ke paas jaane ya baat karne ki. Iss liye ke Mehboob din bhar working team ke saath tha. wo kabhi Saeed ke saath khada rehta, to kabhi Abhi ke saath. Donon ko kaam karte hue dekhta aur jaise supervise kar raha tha.

Lagbhag 10 baje Abhi ne ek khubsurat chhoti si ladki ko dekha aangan mein Ruhi ke kitchen ke paas. Uss ladki ki surat Ruhi se kafi had tak milti julti thi. Abhi heyraan hua ke ab wo kaun hai, uss bachi ko Ruhi ke kitchen ke andar jaate dekha phir baahar aate phir Mehboob ke ghar jaate dekha phir aangan mein khelte.

Uss ladki ki shakal bahot milti thi Ruhi se, bilkool usski choti behen lagti thi. Abhi ne socha agar chhoti behen hoti to ruhi ussko zaroor batata nah? Ho bhi sakta hai ke uski behen hi ho magar Ruhi ne jaan bujh kar nahin bataya, kal Sunday tha to kahin gayi hogi nani ke yahan ya apni badi behen ke yahan ghumne iss liye nahin dikhi thi pichle hafte ko. Abhi aisa soch raha tha ke kuch der baad Ruhi ko bhi uss ladki ke saath khelte hue dekha aangan mein kitchen ke paas.

Phir kuch der baad Abhi ne Ruhi ko bicycle chadhte hue dekha. Abhi ko pata bhi nahin tha ke Ruhi bicycle bhi chadhti aur acha chalaati hai. Pehli baar wo dekh raha tha Ruhi ko bicycle par. EK khubsurat lady bicycle thi jo zaroor Ruhi ki hi thi.

Aur baad mein Ruhi uss chhoti ladki ko apne bicycle par bitha kar main road tak legayi phir ekaat baar aayi aur gayi uss bachi ko apne bicycle par. Aate jaate hue kayi baar Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke taraf dekha magar thoda nazrein churaate hue.

Aur kaafi der baad Abhi ne uss chhoti ladki ko ‘didi’ bulaate hue suna Ruhi ko. To Abhi ko yakeen hua ke wo usski chhoti behen hi hai. To Abhi sochne laga ke subha jab Ruhi apni family members ke baare mein bata rahi thi to kyun nahin bola ke usski ek chhoti behen bi hai…. Yeh chhoti ladki jab Ruhi ki umar ki hogi to Ruhi se bhi ziada kubsurat dikhegi pakka yakeen tha Abhi ko, wohi naak naksha, wohi baal, balke thoda sa ziada lamba hi tha iss bachchi ki baal, chehra jaise parlour se make up karke aayi ho, ek daag ya chedh nahin chehre par, bilkool chikna, gori, meethi aur khubsurat awaaz.

Abhi ghanton bhar uss ladki ko dekhta raha kaam karte hue. Aur sochta raha ke aakhir wo hai kaun?!

Aur lunch time se pehle wo ladki Abhi ke piche khadi hokar chhup rahi thi Ruhi se, taake Ruhi ussko dhunde. To Abhi ne mudhkar ussko dekha aur dhire se pucha

“Tumhara naam kia hai baby?”

“Shweta” bachi ne jawaab diya, aur wohi cute si muskurahat thi usski bhi.

Abhi ne pucha,

“Tum kidhar rehti ho?!”

Ladki ne dhire se phussphusaate hue kaha,

“aap yunhi khade raho nah, varna Ruhi mujhko dekh legi”

Abhi muskuraya, aur Ruhi ke taraf dekha jo stairs par khadi Shweta ko dekh rahi thi Abhi se baat karte hue. Ruhi Abhi se muskuraayi aur thodi si awaaz oonchi karke kaha,

“Shwetu mujhe pata hai tum kidhar chhupi ho main ne tumko dekh liya woohoo!”

Shweta ne Abhi ke pant ko zor se pakar ke kaha,

“main kidhar hoon batao!”

Ruhi ne kaha,

“Tum Abhi ke piche chhupi ho!”

Ruhi ne jab wo kaha to Abhi ko bahot achcha laga. Abhi ka naam Ruhi ne eise liya jaise wo ghar ka ek sadasya tha, jaise Abhi yahin ka ek member tha, jaise mamooli baat thi Abhi ka naam lena, aur jaise Abhi yahin ka rehne wala hai aur sab ussko jaanta hai. Aur Ruhi ne Abhi ka naam jab liya to sab ne suna, Mehboob ne bhi, Saeed, Tony, Vinay ne bhi yahan tak ke Rahima aur Ruhi ki maa ne bhi suna.

Tab Shweta ne dhire se Abhi se pucha,

“Aap Abhi ho?”

Abhi ne ussko pyar se jawaab diya,

“haan baby main hi Abhi hoon isska matlab hai ke Ruhi ne aap ko dekh liya hai.”

Shweta: “Aap Ruhi didi ko jaante ho?”

Abhi: “haan sweetheart jaanta hoon achci tarah se jaanta hoon ussko magar Ruhi aap ka kia lagta hai?!”

Shweta: “wo meri badi didi hai!”

Abhi ne socha ke Ruhi ne uss se kyun chhupaya ke usski ek chhoti behen hai. Phir Ruhi ki awaaz aayi,

“Shweta, ab aajao ya main aaun tumko wahan se lene ko?!”

Shweta aur bhi zor se Abhi ke pant ko pakra usske piche hote hue. To ab Abhi chahta tha ke Ruhi wahan aakar Shweta ko lejaaye iss liye Abhi ne dhire se Shweta se kaha,

“Baby aap yahin chhupi raho, aur kaho Ruhi se ke wo aakar aap ko lejaaye!”

Tab tak Mehboob ne kaha,

“Are Shweta tum jao nah idhar se log kaam kar rahe hein tumko choat voat lag sakti hai, idhar mat khelo nah baby!”

Abhi ko ghussa aya Mehboob ki baat ko sunte hue aur Mehboob se kaha,

“Are rehne do nah Mehboob bhai, bachchi hai khelne do koyi khatra nahin hai idhar main dekh raha hoon nah!”

Aur jab Ruhi ne Mehboob ko weisa kehte suna to aane lagi Shweta ko lene ke liye. Tab Ruhi ko aate dekh kar Shweta zoron se hanssne aur chillane lagi,

“nahin, naah, main nahin aungi naah!!”

Ruhi ab Abhi ke itna close tha, ke Abhi ko ussko apne baahon mein bharne ka mann kiya. Abhi ne Mehboob ke taraf dekha to wo ussi ko dekh raha tha, aur jab Mehboob ne dekha ke Abhi ussko dekh raha hai to ussne apne chehre ko ek taraf kiya aur Saeed ko dekhne laga aur uss se baat karne laga tab tak Ruhi Shweta ki haath pakar kar khinch rahi thi aur Shweta chilla rahi thi jaane se inkaar karte hue, Abhi ne phir ek baar aur Mehboob ko dekha, aur dekha ke wo saeed se baat kar rahe hein to Abhi ne Ruhi ka haath pakra, yeh pehli baar hua tha…. pehli baar Abhi ne Ruhi ko chhua tha, Ruhi ne mana nahin kiya balke turant ussne bhi Mehboob ke taraf dekha aur ussne bhi dekha ke Mehboob saeed se baat kar rahe hein to apne haath ko Abhi ke haath mein rehne diya ek pal ke liye….

Wo sab kuch Tony ke saamne ho raha tha to Abhi ne Tony se kaha,

“yaar zara iss taraf ho jao nah taake Mehboob ko iss taraf dikhayi nahin de….”

Tony samajh gaya aur wo beech mein agaya taake Mehboob ko nahin dikhe ke Abhi ne Ruhi ka haath thaama hua tha.

Phir Ruhi ki ek haath ne Shweta ko thaama tha aur usski dusri haath ko Abhi ne thaama tha aur Abhi ne dhire se Ruhi se kaha,

“ek baat kahun!”

Ruhi ne bhi dhire se kaha,

“jaldi kaho, main jaa rahi hoon, haath to chorro nah!”

Abhi ne bade pyar se kaha,

“Tumko baahon mein bharne ko mann kar raha hai!”

Yeh sunte hi Ruhi ne zor se apne haath ko jhatakte hue Abhi ke haath se chhuraaya aur muskuraate hue “shut up” kehte hue zor se hanssi aur Shweta ko lekar jaane lagi…. Jaate hue kayi baar hansste hue mudhkar Abhi ke taraf dekha Ruhi ne.

Uss pal ko Abhi ne itna passand kiya ke ussko laga Ruhi ab usski ho gayi!

Abhi ko Khushi iss baat ki thi ke Ruhi ghussa nahin hui, naraaz nahin hui, balke hansste hue jawaab diya aur hansste muskuraate hue ussko mudhkar baar baar dekhti gayi.

Aur jiss dauraan Ruhi weise muskuraate aur hansste hue Abhi ko dekhti jaa rahi thi to Tony ne bhi dekha aur Mehboob, Saeed aur Vinay ne bhi. Yeh Abhi aur Ruhi ne nahin dekha. Kehte hein nah jo pyar mein hota hai ussko aas paas kuch nahin dikhta sirf usska pyar dikhta hai…. Magar muhabat ke dushman sab kuch dekhte hein.

Ek baat aur hui thi, wo yeh ke jiss waqt Abhi ne Ruhi ka haath pakra tha Shweta ne bhi dekha, aur jitni der uss haath ko Abhi ne thaama tha utni der Shweta ne sab dekha tha, aur baar baar Ruhi aur Abhi ke chehre mein bhi dekh rahi thi bachchi, aur bachchi sahi magar samajh gayi ussi waqt ke Ruhi aur Abhi ek dusre ko jaante pehchaante hein pehle se. Aur iss liye Shweta ke liye Abhi ab ek apna jaisa ho gaya tha to wo baar baar Abhi ke paas aati aur baat karti thi uss din ke baad.

Kuch der baad Tony ne Abhi se kaha,

“yaar Mehboob aur Saeed tum donon ko dekh rahe the, khaas kar jab Ruhi tumse muskura rahi thi, Saeed aur Mehboob ke chehre dekhne laayak the uss waqt.”

Yeh sunkar Abhi ko shock laga aur pucha,

“kia unn logon ne mujhe Ruhi ka haath thaame hue dekha tha?!”

Tony: “nahin tab nahin, jab wo jaa rahi thi aur wo kiss tarah se tumse hanssti hui aur muskuraati hui jaa rahi thi wo dekh rahe the donon aur bilkool khush nahin the yaar! Uss ladki ko sunna padega dekh lena Mehboob zaroor Ruhi ki maa ko kuch to bolega!”

Abhi pareshan hua aur Tony se kaha aaj subha ko hi Ruhi ne uss se akele mein baat karne se mana kiya Mehboob ke saamne! To Tony ne kaha,

“Tab to gadbad hai bhai, bechari ko daant zaroor khana padega aaj!”

Abhi ne socha sala itna hassen lamha tha usske liye, Ruhi bhi shaayad itni khush thi uss waqt ke ussne khud khayal nahin kiya hoga ke Mehboob wahin hai aur Abhi se muskuraate hue wapas gayi ab ussko daant padegi Abhi ke khatir.

Thik 5 minat baad Mehboob apne ghar gaya…. Abhi ko laga wo ab kisi tarah Ruhi ki maa ko contact karega aur Ruhi ko daant padegi; phir Ruhi khafaa ho jaegi aur bilkool baat nahin karegi Abhi se ussko dekhne bhi nahin aegi….. Abhi ne socha shukar hai ke Mehboob ne Abhi ko Ruhi ka haath thaame hue nahin dekha…

Abhi ne ab socha ke wo khud Mehboob se baat karega, ussko bataega ke wo Ruhi ko chahta hai, ussko Ruhi se baat karne de, ussko usske paas jaane se roke nahin….. Abhi soch raha tha kia yeh sahi hoga Mehboob se kehna? Phir socha nahin abhi sahi waqt nahin aya hai wo sab kehne ke liye, pehle Ruhi to pyar ka ikraar kare tabhi Abhi aage badh sakta hai….

Magar Abhi yeh bhi to soch raha tha ke Ruhi to uss se pyar karti hai tabhi uss se chhup chhup kar baat karti hai, ghar ke piche chhup kar milti hai, ishaaron se baat karti hai, ussko khush karne ke liye shaam ko usske saamne rehti hai, yeh sab kyun karti hai kyunke wo bhi Abhi se pyar karti hai nah?

Phir bhi Abhi ne khud se kaha ab time agaya hai ke wo apne pyar ka izhaar kare Ruhi se, wo uss se ab kahe ke wo uss se pyar karta hai aur serious hai, aur wo wapas Ruhi ka pyar paane ki tamanna karta hai….

Phir Abhi ne khud se kaha ke kia yeh sab jaldi nahin ho raha hai? Kia aur thoda wait karna chahiye? Abhi ne socha kariban 5 se 6 mahine tak wahan kaam karne wala hai, abhi ek hafta guzra tha to bahot time hai aage badhne ke liye….. kum se kum 3 mahinon tak dekhna chahiye ke Ruhi ki rawayya kia hota hai, kia wo pyar ziada dikhaati hai ya mukar jaati hai, kia wo aur kareeb aati hai ya doorie rakhti hai, tab Abhi decide karega ke wo uss se pyar ka izhaar kare ya nahin…..

Abhi ek kashmakash mein tha, usska dil o dimaagh kaam nahin kar raha tha. Dil se sochta to ussko buss Ruhi chahiye tha , ussko Ruhi ko apnana tha kissi bhi kimat par, wo Ruhi ko khona to bilkool nahin chahta tha. Abhi chahta tha ke Ruhi hamesha ke liye usska ho jaaye. Wo Ruhi ko apni patni ke roop mein dekhta tha, chahta tha ke ek din Ruhi ko apni biwi ki tarah issi aangan mein apne ghar se ek damaad ki tarah aangan mein aaye….. usska sapna bada tha.

Abhi Ruhi ko apni bachon ki maa ke roop mein dekhta tha apne tassavur mein. Wo issi aangan mein ek din Ruhi ke saath apne bachon ko khelta hua dekhta tha.

Lunch time hua, Abhi washroom gaya, Ruhi nahin dikhi, ghar ke andar thi. Abhi ne socha ke ab lunch time mein Ruhi ke khidki ke paas jaa kar uss se baat karega aur jaanne ki koshish karega ke kia Mehboob ne usski maa se kuch kaha to nahin.

Magar jab Ruhi se baat karne gaya to Ruhi ne normal baat kiye balke Shweta bhi usske saath thi ussi kamre mein jab Abhi Ruhi se baat kar raha tha. Shweta bhi Abhi se baat kar raha tha,

Abhi ne Ruhi se kaha,

“tum jhoot bhi bolti ho?!”

Ruhi: “nahin to main ne kab jhoot bola?”

Abhi; “Ek itni pyari si chhoti behen hai kyun nahin bataya tha mujhe? Sirf ek badi behen hai kaha tha subha ko?!”

Ruhi zor se hansste hue boli,

“oh yeh Shweta, haan meri behen hai, cousin sister hai, mere chacha ki beti hai, wahin rehti hai jiss sheher mein silaayi ke liye jaati hoon!”

Abhi chahunk gaya aur kaha,

“are main ne socha tumhari sagi behen hai, kitni milti julti hai tumse? Bilkool tumhari tarah dikhti hai, so beautiful!”

Ruhi: “jhoot! Aap jhoot bol rahe ho, wo meri tarah nahin dikhti!”

Abhi: “Are haan she looks very very much like you, when she grows up, she will look exactly like you believe me!”

Ruhi: “No I don’t believe you, you are saying this only to have a pretext of talking to me isn’t it?!”

Abhi: “Why should I do so Ruhi? Do I need a pretext to talk to you?!”

Tab tak donon ko sunte hue Shweta ne pucha,

“Aap donon kiss language mein baat kar rahe ho? English hai nah?!”

Abhi ne Apne haath khidki ke andar karke Shweta ki gaal ko chute hue kaha,

“yes sweetheart, we are talking in English!”

Ruhi turant boli:

“lo! Issko bhi sweetheart keh diya aap bhi nah!”

Abhi ne tab hansste hue kaha,

“Are bache to sweetheart hote hi hein aur yeh kitni cute hai, hai nah?!”

Ruhi: “hmm aap abhi issko jaante nahin ho pakka shaitan hai yeh!”

Abhi ne tab Ruhi ko bataya ke jiss waqt wo Shweta ko lekar jaa rahi thi ussko dekhte hue Mehboob ussko dekh raha tha, kahin wo usski maa se report to nahin karega aur ussko daant to nahin padegi?!

Ruhi ne kaha ke

“bilkool nahin kyunke uss waqt main sab logon ke saamne thi, hum donon akele nahin the jaise iss waqt hai, to no problem.”

Abhi ko chain aya usski baat sunkar aur Ruhi ko yaad dilaya ke shaam ko saamne rahe usske jaate waqt. Ruhi ne haan kaha, aur ye bhi kaha ke ab wo sone jaa rahi hai to 3 baje tak ussko nahin dhundne ko.

Abhi ko bahot acha laga jab ruhi wo baat kahi to.

Kaam karte waqt Abhi sochta raha ke Ruhi kitni care karne lagi hai usska, ke khud bata diya ke ussko nahin dhudein kyunke wo 3 baje tak nazar nahin aegi.aur abhi ne khayal kiya ke 3 baje tak ussne araam se kaam kiya, sukoon se kaam kiya bina usske ghar ke taraf dekhe kyunke ussko pehle se pata tha ke wo so rahi hai. Varna wo baar baar ussko dhundta, usske ghar kek taraf dekhta, ussko dekhne ke liye utaavla rehta…..

Phir shaam ko Ruhi nazar aayi kitchen ke chawkath par baar baar bus ke taraf Abhi ko dekhte hue, khilti hui dikh rahi thi, khush dikh rahi thi, Abhi se muskura rahi thi, aankhon se ishara kar rahi thi, munh banaate hue kabhi kuch kah rahi thi to kabhi haath se ishara karte hue kuch keh rahi thi….. kaam end karne tak Ruhi Abhi se ishaaron mein baat karti rahi…. Ziada tar baatein Abhi samjha hi nahin magar sar hilla kar haan mein har baar jawaab deta raha kaam karte hue…..

Aur Abhi bahot Khushi se uss aangan ko chorra kaam end karne ke baad, Mahesh agaya tha, uss se kuch baatein bhi hui Abhi ki, aur Mahesh, aur usske dada se shake hand karte hue Abhi ne Ruhi ko wave kiya, aur aaj Ruhi ne thoda sa wave bhi kiya Abhi ko muskuraate hue, aur Shweta ko bheja Ruhi ne Abhi ko ek puppy dene ke liye.

Shweta daudti hui kitchen se aayi Abhi ke paas aur kaha,

“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Matlab Shweta ne pol khol diya to Ruhi apne chehre ko haathon mein chhupaate hue hanssne lagi…..

Bus mein ghar lautte waqt Abhi ne socha ke kyun Ruhi ne Abhi ko puppy dene ko bheja? Kia wo khud ek puppy to nahin chahti thi Abhi se usse wave karte samaaye? Ya Shweta ke roop mein Ruhi ne khud kiss kiya Abhi ke gaal par? Aur eisa sochte hue Abhi apne sapnon ki dunya mein kho gaya Ruhi ko dimaagh mein basaaye….

To be continued…. (3001 words)

Casi bro, first I hv to say that to read an update written by Casinar, the reader need to be cool, relaxed, full at ease and read with concentration.
Bro you write with such intensity that if we want to read it leisurely its impossible. You write and give such deep details and descriptions that you make us glued to the update and forget everything else.
You write so beautifully that the readers acquire a real pleasure during the read.
So was I while I start reading your update. And this update was not different.
You always have something to say which bring my attention to the script and make my mind go wild and think strange things.
The pleasure of reading from you is apart and this pleasure makes me get much eager to wait and the joy I feel to see an update is immence.
So Shweta is now introduced in the story. And you described this cute little girl so pretty well that all readers have loved this cutie pie.
She is like a copy of Ruhi when she was her age.
Many interesting scenes have been created for this update and they are really splendid.
Like Shweta holdind Abhi's pant for support while hiding behind him, Ruhi watching and talking to Shwetha mentioning Abhi's name in presence of all others. And Abhi holding Ruhi's hand for the first time and the most important scene Abhi telling Ruhi that he wishes to hold her in his arms. Wow that was unexpected.
And Ruhi's response to that was as natural as we often get to see in general. Very very interesting bro. Just loved that.
And apart from that all the rest were superb. The conversation at the window of Ruhi during the lunch time was cool too.
Ruhi now seems to hv started loving Abhi. But either she does not want to show or she is waiting for Abhi to do the first step.
Wonderful update bro. Loved it very much
Wanted to read more and more despite u hv written 3000 words I felt it was not enough.
Thanks so very much Casi bro for this lovely story which looks very real and i feel like this must hv really happened in someone's life.
Will very eagerly wait for the next update bro. :applause: :applause: :applause: :applause:
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 7 And It Continued….


Ruhi ko pata tha ke abhi ussi ko dekhe jaa raha hai, aur ussne nazrein utha kar Abhi ko dekha ek halki si muskaan ke saath. Abhi cigarette pee raha tha, to Ruhi ne apni meethi awaaz mein kaha,

“cigarette pina achi baat nahin hai ji!”

Ab aaguey….

Abhi ne to abhi abhi socha ke din bura guzrega magar sab ulta ho raha tha ussko kitni Khushi hui Ruhi ki uss baat ko sunkar wo bayaan nahin kar sakta….. Abhi ke samajh mein nahin aya ke kia jawaab dein Ruhi ko, wo Abhi ki reply ka wait kar rahi thi, jhaaru lagana bandh kar diya tha khadi thi Abhi ka jawaab paane ke liye ek Muskaan banaaye hue apne honton par…. Abhi ne usski maa ke taraf dekha aur wo Abhi ko hi dekh rahi thi muskuraate hue kyunke ussko pata tha ke Ruhi uss se baat kar rahi hai….

Tab tak Saeed ji Abhi ke paas aa gaye aur kaha,

“Abhi Welding machine ko ek current point mein to lagao, shuru karo yaar!”

To Ruhi ko laga ke wo abhi ko kaam karne ke liye disturb kar rahi hair to wapas jhaaru lagaane lagi Saeed ko dekh kar aur Abhi ne feel kiya ke Saeed bhai ne ussko disturb kiya aur ussko jawaab diya,

“Saeed bhai wo bhi main hi karun? Tony se kaho nah current point mein lagaane ko, mujhe to weld karna hai, aur tubes ko measurement par kaatna hai pehle, aap tubes ki measurement to lelo bhai!”

To Saeed bhai chala gaya Tubes ke taraf aur Abhi wapas Ruhi ko dekha aur kaha,

“sunon please, ek baat puchni hai!”

Ruhi do kadam Abhi ke taraf muskuraati hui aayi aur pucha,

“kia? Cigarrte kyun nahin pina yeh puchoge aap?”

Abhi ne hansste hue kaha,

“are nahin puchna yeh hai ke aap ko main ne kuch der pehle good morning kaha to aap ne jawaab kyun nahin diya?!”

Ruhi heyrani se abhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

“What? Aap ne kab mujhse baat kiye, baat to main ne aap se kiya abhi abhi?!”

Abhi: “are yaar, jab tum garden se roses pick kar rahi thi aur main araha tha tab tumko good morning kaha tha nah?!”

Ruhi: “Really? Main ne to kuch nahin suna, sorry then, very good morning to you too and do have a nice day.”

Abhi bahot khush hua aur kaha,

“wow that’s great then, same to you my dear!”

Ruhi ne niche dekhte hue dhire se kaha,

“I am not your ‘dear’ aur aap to acha English bol lete ho to eisa kaam kyun karte ho aap?!”

Abhi: “Why? Iss kaam mein kia buraayi hai bhala?”

Ruhi: “meri mummy kehti hai yeh kaam sahi nahin hai kyunke iss mein future nahin hai!”

Abhi ne usski maa ke taraf dekha aur Ruhi ko jawaab diya,

“tumhari mummy ghalat kehti hai, this job is a perfect one.”

Tab tak Saeed wapas agaya aur thoda bossy hote hue Abhi se kaha,

“Abhi yeh baatein karne ka time nahin kaam karne ka waqt hai nah?!”

Saeed ki baat ko sunkar wahan se Ruhi bhaag chali!

Abhi ko acha nahin laga jiss tone mein Saeed ne Abhi ko Ruhi ke saamne weisa kaha. Magar Ruhi se batein karke Abhi bahot hi khush tha aur ab khud se kaha ke usska din ab bahot majedaar guzrega aaj to.

Abhi phir kaam par lag gaya. Kaam karte waqt of course baar baar Ruhi ke ghar ke taraf dekh raha tha. Abhi ne ek measurement tape lekar bus ki front side ka measurement liya, aur usske motabik lohe ko kaata bus ke front side ki frame weld karne ke liye. Saeed ne wohi kaam bus ki back side par kiya aur jo helper Tony tha wo Abhi ka saath raha aur ek dusra ladka tha Vinay naam se wo Saeed ka help kar raha tha.

Ab front side ke liye lohe ko curve karna tha weld karne se pehle. Yeh kaam garage mein ek bada sa machine mein hota tha, bade bade lohe ko kissi bhi form mein moda jaata tha tab bus ki chasis par weld kiya jata tha, ab yahan sab kaam haathon se karna tha to Abhi ne measure par kaate hue lohe ko ek bada sa hathode se ek dusre purane bus ki engine par rakh kar ek taraf Tony se hold karwaya aur uss lohe par hatoda maarta gaya ussko curve form dene ke liye. Uss se bahot shor ho raha tha. Koyi ek ghante tak abhi ko time hi nahin mila Ruhi ko dekhne ki magar Abhi ko pata nahin tha ke Ruhi apne ghar ke andar se khirki ke paas parde ke kone se Abhi ko wo kaam karte dekh rahi thi aur usski maa bhi dekh rahi thi Abhi ko uss lohe ko form dene ke liye kiss taraah hatoda maar raha tha. Ab wo loha Tony se sambhala nahin jaa raha tha kyun ke jab Abhi uss par hathoda maar raha tha to Tony ke haath mein shock lag raha tha iss liye kayi baar loha uss ke haath se chuth gira, aur ek baar loha jab Tony ke haath se chhuta to wo end wapas Abhi ke thik chehre ke paas laut kar ruka aur jhat se Abhi ne kuch kadam piche liya varna ussko gehra choat lag jata. Ruhi ne wo sab dekha aur usski aah nikli jiss waqt wo loha wapas Abhi ke chehre ke paas gaye to….

Kyunke jab loha bounce hokar gira ek ajeeb sa shor hua aur Tony zor se abhi ka naam chillaya ussko warn karne ke liye to Saeed, Vinay, Mehboob, Ruhi ka dada, Ruhi ki maa sab turant baahar aaye dekhne ko ke kia hua…..

Haath mein wo bada sa hatoda liye jiss action se upar chalaang laga kar Abhi kuda tha uss lohe se bachne ke liye, phir jiss jagah jaa kar Abhi land hua tha haath mein hathode sameth wo ek heroic action tha jissko Ruhi ne admire kiya. Hero lag raha tha Abhi uss action ko karte hue. Aur jahan land hua tha Abhi uss chalaang ke baad wo Ruhi ki terrace par tha, aur thik ussi jagah se ruhi Abhi ko jhaank rahi thi. Aur ussne turant khirki ki parde ko hatta kar abhi se kaha,

“Bahot dangerous hai yeh kaam, aap bahot khatarnaak tarike se abhi hurt ho sakte the, mujhko bahot darr laga jab main ne uss lohe ko aap ke sar ke taraf udh kar aate hue dekha to, mujhe laga ke aap ko lag gayi…. Aap bahot flexible body ke malik ho gymnastic karte ho kia aap? Aap wahan se kaise, jaise udhkar yahan pahunche?!”

Abhi ko bahot hi acha laga Ruhi ko wo sab kehte hue sun kar aur jawaab diya ke garage mein ek sophisticated machine hai jo lohe ko modta hai, yahan kuch nahin hai iss liye haath se karna pad raha hai varna kaam bilkool dangerous nahin hai…. Phir bhi Ruhi ki maa ne bhi join kiya Ruhi ko aur kaha ke dangerous hai yeh kaam. Tab tak Saeed aur Mehboob bhi Abhi ke paas aagaye to Saeed ne kaha ke Tony ki ghalti hai ussko kissi bhi keemat par lohe ko chorrna nahin chahiye tha. Aur Saeed ne Abhi se kaha ke wo khud tony ke jagah ab lohe ko hold karega taake Abhi uss par hathoda maar sake. Jab dobara Abhi jaane laga hatoda maarne to apni meethi awaz mein ruhi ne darte hue abhi se kaha,

“be vey careful please, I am feeling scared!”

Abhi ka dil machal gaya Ruhi ki uss caring words se. kitna khayal rakh rahi thi wo Abhi ka. Abhi ko itna acha laga ke usska dil andar jaise jhomne laga tha.

Kaam jaari rakha gaya…. Aur ek ghanta laga abhi ko bus ki front side ke tamaam lohon ko curve form dene ke liye usske baad ussne welding karna shuru kiya chasis par unn kaate hue aur mode hue tamaam lohon ko. Baar baar Ruhi ke ghar ke andar jhank bhi raha tha ke kahin Ruhi dikhegi ya nahin….

Ruhi nazar nahin aayi magar dusri nal ke paas Ruhi ki maa nazar aayi pathar par kapde dhote hue, aur pata chala ke wo kissi se baat karte hue kapde dho rahi thi to Abhi samajh gaya ke ruhi wahin hogi ghar ke piche wale hisse mein jahan se Abhi ko wo nazar nahin arahi thi…..

Abhi jo lohe tubes weld kiye jaa rahe the bus ki chasis par, wo base the frame ki. Ab uss base se upar aur tubes jode jayenge jo upar tak bus ka form lega. Wo sab karne mein ek mahina lag jaega. Abhi to kaam ki shuruwaat thi.

Der ghante beet gaye aur ek do baar Abhi ne dekha ke ghar ke piche se ek do baar Ruhi ne ussko dekha weld karte hue. Buss jhank rahi thi phir ghar ke piche ho jaati thi, same time apni maa se baat kar rahi thi….. Abhi ko pyas laga aur dekha ke nal hai to ek khali botal lekar gaya paani bharne, ussi bahane Ruhi se ek do baat kar leta, magar usska plan fail hua kyunke tap number one tha yahin bus ke paas, to kyun karib ke tap ko chorr kar piche wale tap mein paani bharne jata?! Phir bhi pani lene se pehle Ruhi ki maa se permission liya ke kia uss nal se paani le sakta hai…. Jiss waqt Ruhi ki maa Abhi ko reply kar rahi thi, Ruhi saamne aayi Abhi ko dekhne ke usski maa se kia keh raha tha wo. Muskura rahi thi aur jab abhi pani bharne laga botal mein to Ruhi ne kaha,

“pani maangte nahin hein, buss le lete hein, agli baar puchna nahin buss nal kholna aur bhar lena okay?!”

Abhi ne muskuraate hue thanks kaha, thik tabhi Ruhi ki maa ne Ruhi se kuch kaha, aur turant Ruhi ne Abhi se kaha,

“Hello? Juice piyoge? Thoda sa juice bana doon kia?!”

Yehi bat keh rahi thi Ruhi se usski maa ke kyun nah thoda sa juice de diya jaaye unn logon ko…

Magar Abhi ne Ruhi se muskuraate hue kaha,

“suno dear, juice sahi hai magar ek problem ho jaega!”

Ruhi heyrani se Abhi ko dekhte hue pucha,

“What? Juice se kia problem ho jaega bhala?”

To abhi ne kaha,

“juice piyunga to cigarrete pine ka mann karega kyunke juice sweet hoga nah? tab tum kahogi ke cigarrte pina acha nahin!”

Abhi ki reply sunkar Ruhi ki maa zor se hanss padi, aur Ruhi ne munh banaate hue kaha,

“to phir thik nahin nahin banaugi juice mat pina cigarrete phir!”

Phir bhi Ruhi ki maa ne Ruhi ko juice serve karne ke liye kaha ussko, magar haath ke ishaare se Abhi ne mana kiya.

Jab Abhi wapas kaam karne laga to Tony ne Abhi se kaha,

“tum ne kaise pata liya uss ladki ko yaar? Kitni khubsurat hai, pyari bhi hai, ek din mile aur tumne ladki pata liye wah yaar!”

Abhi ne Ruhi ke taraf dekhte hue Tony ko jawaab diya,

“abhi pataya kahan hai yaar, abhi to sirf baat cheet chal rahi hai, normal, casual baatein ho rahe hein, pataana to abhi door ki baat hai ….”

Tony ne kaha,

“are bhai saaf dikh raha hai ke wo tumko kitna passand karti hai. Pahaad par chadhne ki zaroorat nahin yeh pata karne ke liye ke ladki tumko kitna passand karti hai saath mein maa bhi hahaha, wife aur saas donon mil gaya tujhe to!”

Abhi ne khush hote hue Tony se kaha,

“tere munh mein ghee shakar yaar, kaash yeh sab sach ho jaaye! Wo mujhko bahot passand hai yaar, I am really in love with her!”

Tony ne kaha,

“yeh bhi saaf dikh raha hai ke you are in love with her, magar tumko shaayad nahin dikh raha magar mujhko dikh raha ke she is also in love with you bhai!!”

Abhi bahot hi khush hua Tony ke baton ko sun kar…. Aur phir aur bi ziada Ruhi ke taraf dekhne laga Abhi. Magar Abhi ko nahin lagta tha ke Ruhi bhi uss se pyar karne lagi hai. Ussko lagta tha ke shayad thoda aakarshit hui hai Abhi se, shayad handsome hai iss liye magar pyar karne lagi yeh nahin dikh raha tha Abhi ko. Abhi ko karna yeh tha ke ussko Ruhi ko khud se pyar karwana tha, Abhi chahta tha ke Ruhi ko bhi Abhi se weise hi pyar ho jaise Abhi ko uss se hone laga hai….

Abhi ne socha phir wo Ruhi ko apne dil ki baat bataega. Abhi Ruhi ke aur paas jaana chahta tha. Abhi to kewal do din hue the; aur Ruhi Abhi ko jaanta bhi kahan hai, donon ek dusre ko achchi tarah se jaan lenge tab Abhi baat ko cherrega aisa socha hai Abhi ne.

Tony ne kaha,

“ziada der mat karna bhai kahin koyi aur baazi nah maar le!”

Yeh sunkar Abhi ko jhatka laga. Pareshan hua wo, aur Ruhi ke chehre mein dekhne laga….. aisa fix dekha Ruhi ke chehre ko ke khud Ruhi hayraan hui aur ishaare se Ruhi ne hi pucha, “kia hua?!”

Abhi ke chehre mein ek udaasi chaah gayi thi, jo shayad Ruhi ne note kiya, Abhi lagataar ussko dekhe jaa raha tha aur Ruhi uncomfortable feel karne lagi…. Ruhi ne phir Abhi ko dekha aur haath ke ishaare se pucha kia hua to Abhi ne naah mein sar hillaya matlab kuch bhi nahin kaha….. phir Abhi ne dekha ke Ruhi ki maa taar par kapde sukhne ke liye taang rahi thi to jaldi sse Abhi bina kuch soche samjhe Ruhi ke taraf gaya…

Abhi ko apne taraf aate dekh kar Ruhi ka chehra laal ho gaya jaise ussko pata tha Abhi uss se kia kehne araha hai, Ruhi kabhi apni maa ko dekhti to kabhi bus mein dusre logon ko kaam karte dekhti phir Abhi ko dekhti… wo kuch ghabra si gayi….

Bus ke andar se Saeed bhai Abhi ko ghusse se dekh raha tha. ussko nahin passand tha ke kaam ke waqt Abhi idhar udhar jaaye…

Abhi Ruhi ke bilkool karib pahuncha aur dheemi awaaz mein, aashikana andaz mein pucha,

“Tumhari life mein koyi hai? Please sach batana? Agar hai to be jhijhak batado please.”

Ruhi hanss padi, chehra laal to hua hi tha aur Abhi ki baat sun kar wo hanssne lagi phir pucha,

“iss sawaal ka ek sawaal se jawaab doon?!”

Abhi usski hanssi ko admire karne laga, kitni khubsurat dikhti hai Ruhi hansste hue. Phir Abhi ne kaha,

“okay wohi sahi bolo to!”

Ruhi ne hansste hue hi pucha,

“yeh sawaal kyun? Jaan sakti hoon?!”

Abhi ne bilkool heyraan hote hue kaha,

“Areeee?! Kamaal hai, yeh koyi jawaab hai? Sawaal bhi nahin fit baithta ab…. Mera sawaal to sawaal hi reh gaya nah?!”

Ruhi ki maa donon ko muskuraate hue dekh rahi thi kapde taar par taangte hue.

Abhi ne phir dhire se kaha,

“please batao nah mere liye ye bahot important hai bolo nah please.”

Ruhi ne intelligently jawaab diya,

“kaise important ho sakta hai bhala? Hum ek dusre ko jaante bhi nahin, abhi do din hue ek dusre se baat kiye hue to kia important ho sakta hai do dinon mein? Mujhe nahin yakeen ke kuch bhi important hai abhi, I don’t believe you!”

Abhi ne socha wo bhi sahi tha.

Ruhi ab blush karne lagi aur apne jeeb ko apne upper lip ke andar se honth ko fullaya, phir muskuraayi Abhi ke chehre mein dekhte hue….. donon ek dusre ke aankhon ki gehraayi mein dekh rahe the… Abhi ne note kiya ke Ruhi ki nazrein usske chehre ko chaaro taraf dekh rahe the, usski peshaani ko dekha usski nazar ne, phir usske gaal ko dekha, tab usske chehre ko dekha tab usske aankhon mein wapas dekha….. aur Abhi ne kaha,

“samajhdaar ko ishara kaafi hai, mujhe jo kehna tha so main ne keh diya, aaguey tumhari marzi miss Ruhi”

Yeh keh kar Abhi mudhne wala tha wapas bus ke paas jaane ke liye magar Ruhi ne ussko yeh kehkar roka,

“bilkool nahin, aap ne kuch bhi kaha nahin, aap ne ek sawaal kiya tha mujhse, kuch kehne aur sawaal karne mein antar hote hein mister Abhi!”

Abhi ne Ruhi ke aankhon ki gehraayi mein dekhte hue kaha,

“mera sawaal hi ishara tha meri baat ka, uss sawaal se ishara mil gaya hoga, samajhdaar to ho tum, to ishara kaafi hai tumko hehehehe!”

Aur Abhi jaane laga wapas, to Ruhi hanssne lagi aur kaha,

“bahot honshiyaar samajhte ho aap apne aap ko nah Abhi?!”

Tab tak Abhi bus ke paas reach ho chuka tha aur mudhkar Ruhi se kaha,

“samajhta nahin hoon Miss Ruhi, main HOON. Honshiyaar hoon main!”

Ruhi ussko dekhti rahi kaafi der tak hansste hue. Apni jagah se baar baar Abhi muskuraate hue Ruhi ko dekhe jaa raha tha weld karte hue, aur Ruhi bhi ab bade pyar se Abhi ko dekhti jaa rahi thi…….

Kapde taar par sukhne ke liyne taangne ke baad Ruhi ki maa ne Ruhi se hansste hue pucha,

“kia keh raha tha Abhi?”

Ruhi thodi sharmaayi aur kaha,

“Puch raha tha ke kia koyi meri life mein hai kia? Hahahaha!”

Ruhi ki maa ne bus ke taraf Abhi ko dekhte hue Ruhi se kaha,

“Kaafi tez hai yeh ladka, yeh puchne agaya bus do din ki mulakaat mein? Hmmm aur tumne kia kaha usse?”

Ruhi ne balkhaate hue kaha,

“kuch nahin kaha main ne, main ne usske sawaal par sawaal se jawaab diya ke wo kyun yeh sawaal kar raha hai mujhse hihihihi!”

Maa: “Aur phir wo chala gaya kia?!”

Ruhi: “nahin bahot tez hai wo sach mein, padha likha lagta hai, English bhi acha bolta hai maa, ussne mujhe kaha ke samajhdar ko ishara kafi hai, aur kaha ke main samajhdar to hoon so samajh jaungi ke ussne ye sawaal kyun kiya mujhse, sach mein honshiyaar hai khud bhi kaha ussne hehehehe!”

Maa ne Ruhi ke chehre mein dekhte hue pucha,

“to ab tu kia karegi? Bata? Kia wo pasand hai tujhe?”

Ruhi ne ek gehri saans lete hue Abhi ke taraf dekha, phir apni maa ke chehre mein ek ajeeb si sikanjh chehre par laate hue kaha,

“pata nahin maa, pata nahin mujhe, kitna handsome hai, hai nah maa? Padha likha bhi hai aur strong hai, kitna lamba hai maa!! Main kia karun maa?!”

Maa ne bhi ek gehri saans liye aur kaha,

“Mujhe kia pata mujhse kyun puch rahi hai, tu bol kia karna hai ab?!”

Ruhi ne phir muskuraate hue apni maa ke taraf dekha aur kaha,

“Abhi kuch nahin kehna mujhe, kuch aur din beet jaane do tab bataungi aap ko aur shaayad ussko bhi….”

To be continued…. (3225 words)
Awesome update bhai,
Matlab aag dono taraf barabar lagi hai,
 

aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 8 The Next Early Morning

Ruhi ne phir muskuraate hue apni maa ke taraf dekha aur kaha,

“Abhi kuch nahin kehna mujhe, kuch aur din beet jaane do tab bataungi aap ko aur shaayad ussko bhi….”

Ab aaguey….

Wo din kuch weise hi beeta, ek dusre ko dekhte, kabhi kitchen ki stairs par Ruhi aati to kabhi ghar ke piche wale hisse par washing stone ke paas. Donon ek dusre ko dekhte, muskurate, aankhon aankhon se ishaare karte etc.

Sham hui, bahot saare log aa gaye uss aangan mein dekhne ke bus kaise ban rahe hein…. Ruhi ka bada bhai bhi agaya, usska naam tha Manoj. Matlab Ruhi ke bhaiyon ke naam the Manoj aur Mahesh, Kissi firm mein kaam karta tha baaton baaton mein Abhi ko yeh pata chala usske baare mein.

Ruhi ke dada ji bhi kayi baar Abhi se baat karne aya tha usske paas jab Abhi weld kar raha tha. Budhe ko welding ke baare mein kaafi pata tha, uss baare mein baat kar raha tha Abhi se. Aur jab jab Abhi Ruhi ke taraf dekh raha tha to dada ji Abhi ko observe kar raha tha aur andar andar muskura raha tha.

Ab shaam ko ghar wapas jaane ke time kuch ziada log ekatha ho jaate the aangan mein to Ruhi door rehti thi, saamne kum aati thi kyunke sab log notice kar lete unn donon ko. Aur Abhi yeh chahta tha ke usske jaane ke waqt Ruhi usske saamne rahe, jaane se pehle wo Ruhi ko dekhte hue wahan se nikalna chahta tha. aur hua yeh ke jab Abhi washroom gaya khudko fresh karne to Ruhi kitchen mein bhi nahin dikhi.

Manoj aas paas tha iss liye shayad Ruhi doorie barak rahi thi Abhi ne socha, magar kal shaam ko to Manoj ke haziri mein hi Abhi ne Ruhi ko goodbye wave kiya tha to aaj kyun Ruhi door thi, wo thi kahan? Abhi ko kuch bhi acha nahin lag raha tha uss waqt. Bechain ho raha tha aur pray kar raha tha ke jaane se pehle Ruhi usske ssaamne aa jaaye.

Jab Abhi tayyar ho gaya, change kar liya, hair brush kar liya aur kitchen mein dekha to sirf Ruhi ki mummy thi wahan Ruhi nahin thi, Abhi udaas ho gaya aur socha ke kitchen ke stair par ja kar uss se puche ke Ruhi kidhar hai….

Phir abhi ne socha ke kia Ruhi kahin ghar ke andar se ussko dekh to nahin rahi? Kia ussne jaan bujh kar weisa kiya taake dekh sake ke Abhi ussko dhundta hai ya nahin? To Abhi ghar ke andar dekhne laga, khidkiyon ke paas dekhne laga ke koyi pardah hille, magar kuch nahin dikha aur aakhir mein ussko nikalna pada washroom se. Saeed bhai usska wait kar raha tha bus ke paas.

Jab Abhi ne mudhkar kitchen ke stairs par dekha to koyi nahin tha aaj usski maa bhi nahin thi wahan. Abhi ne socha kal kitna haseen shaam thi aur aaj kitna alag hai kyunke Ruhi saamne nahin hai.

Jab Tap number one ke paas aya abhi to ussne Ruhi ke dada ji ko goodbye kaha aur oonchi awaaz mein kaha,

“Acha main ab chalta hoon bade miyan kal milte hein bye!”

Abhi ne jaan bujh kar oonche awaaz mein baat kiya taake andar se Ruhi ussko sunein aur ussko pata chale ke wo wapas ghar jaa raha hai.

Main road par nikalte nikalte abhi ne kayi baar mudhkar stairs par dekha magar Ruhi nahin dikhi, Abhi ne ghar ke piche wale hisse par bhi dekha jahan kapde dhote hein wahan bhi dekha magar Ruhi kahin bhi nahin dikhi aur Abhi bahot udaas nikla wahan se iss shaam ko.

Wahan se ghar jaate waqt bus mein sirf Ruhi ke baare mein sochta gaya, ussko ek ghutan si feel hone laga tha, ek bhaaripan jaisa tha usske seene par, ek bojh feel ho raha tha usse, sirf iss liye ke Ruhi nazar nahin aayi aaj shaam ko. Ruhi ko dil mein basaaye, mann mein bithaaye safar kiya Abhi ne ghar tak.

Aur apni special diary mein sab likhne laga aaj ke din ke baare mein. Khud muskuraate hue likh raha tha ke kiss tarah se aaj Ruhi se baatein hui, kiss tarah uss se puchne gaya tha ke kia usski life mein koyi hai, aur Ruhi ka jawaab bhi likha sab kuch ek ek pal ko likha Abhi ne…….

Sab kuch likhne ke baad bahot der tak sochta raha ke kyun aaj shaam ko Ruhi nazar nahin aayi, yeh baat Abhi ko bahot disturb karne laga tha.

Raat der tak neendh nahin arahe the Abhi ko. Ussko sirf Ruhi nazar arahi thi har jagah. Sote, jaagte, uthte, baithte sirf Ruhi bassa hua tha Abhi ke khayaalon mein, bade mushkil se aankh lagi aur ussko laga ke buss kuch minaton mein subha ho gayi.


*******************************************************************

Aangan mein chalte hue daakhil ho raha tha Abhi Ruhi ki yadon mein doobe, aur garden mein dekha ke kahin Wo phir se dikh nah jaaye gulaab pick karte hue. Abhi aate waqt yehi soch liya tha ke kaash aaj bhi wo garden mein dikhe to Abhi aaj ruk kar uss se baat karega aur puchega ke kahan thi kal shaam ko, kyun ussko jaate hue nahin dekha…. Magar Ruhi to aaj subha garden mein thi hi nahin… aur abhi ne khud se kaha,

“sala aisa kyun hota hai har baar? Sab ulta kyun hone lagta hai, jab bhi kuch kehna chahun, to mauka saamne ata hi nahin…”

Aur wo washroom reach hua. Ruhi ke kitchen mein dekha, khaali tha kitchen. Koyi nahin tha wahan. Subha ke 6 baje the. Kaam to 7 baje start hota hai aur 6 baje Abhi wahan pahunch gaya tha, sirf aur sirf Ruhi ke liye. Log so rahe the aur Abhi kaam ke site par aa chuka tha.

Ab Abhi ko Khushi hoti ke Ruhi ussko apne achche kapdon mein dekhti iss se pehle ke wo kaam karne wala purana kapda pehenta. Abhi subha subha fresh tha, dhoop mein jhulsa hua nahin tha, usska skin fresh tha, shave kiya tha aane se pehle, aftershave lagaya tha, thoda perfume bhi lagaya tha shirt par; ek Wrangler Blue Jeans aur ek safed shirt pehna hua tha. ek pair of khubsurat sport shoes mein tha… To chahta tha ke Ruhi ke saamne weise pesh aaye, taake wo Ruhi ko acha dikhe. Abhi yeh bhi soch kar early aya tha ke 6 se 7 baje tak pura ek ghanta hoga usske paas Ruhi se baat karne ko agar wo saamne aati to…. Magar wo dikh hi nahin rahi thi. Sab se pehla sawaal abhi ko yeh karna tha Ruhi se ke kal shaam ko wo kidhar thi, kyun saamne nahin aayi, aur aaj Abhi Ruhi se yeh request karne wala tha ke aaj se har shaam ko jab usska wapas jaane ka time aaye to Ruhi usske saamne rahe, kitchen ke stairs par present rahe taake Abhi ussko goodbye keh sake, ussko wave kar sake. Yeh kehna tha Abhi ko Ruhi se aaj. Magar wo dikhe tab nah?!

Abhi sochne laga kia Ruhi abhi tak so rahi hogi? Kia wo late uthti hogi? Phir abhi ne khud se kaha ke nahin kal to garden mein takriban issi waqt wo gulab tod rahi thi, matlab jaag jaati hai wo savere. Kia ghar ke andar se Ruhi Abhi ko dekh rahi hogi? Kia jaan bujh kar wo Abhi ko tarpa rahi thi? Yeh sab soch raha tha Abhi.

Abhi ne kapde nahin badle, socha ke 7 baje jab sab log ajayenge tab change karega. Weise hi raha. Apna bag rakha, ek cigarrete jalaya aur aangan mein ek walk karne laga. Bus ke piche wale hisse par dekhne gaya ke saeed ne kia kaam kiya hai… aur uss jagah se kapde dhone wale hisse ko dekha, to usske samajh mein aya ke kal jiss jagah par Ruhi khadi apni maa se baat kar rahi thi uss jagah se Ruhi ussko dikhta agar uss waqt Abhi bus ke piche wale hisse par kaam kar raha hota….. to Abhi ab charon taraf aangan ka moaena karne laga…. Dekhne laga ke kiss kiss jagah se kidhar behtar nazara hota hai Ruhi ke ghar, stairs, kitchen, kapde dhone wala place sab kidhar se best dikhta hai. Wo sab check kiya Abhi ne…..

Abhi ne yaad kiya ke first din ko Ruhi ek baar uss jagah se guzri thi jab apni cousin ke ghar se nikal ke apne ghar tak gayi thi, jiss din bus ko tow karke jungle se yahan laaya gaya tha. Ab Abhi ko yaad aya ke uss din ko ussne pehli baar Ruhi ko dekha tha. Uss roz Ruhi ek grey churidar mein thi aur haath mein do books liya hua tha ussne. To Abhi ko yeh bhi yaad aya ke ussne Ruhi ke haath mein ek Sydney Sheldon wala novel dekha tha uss din ko….. Aur ab Abhi samjha ke Ruhi read karti hai… khud Abhi ki taraah Ruhi ko kitabein padhna passand hai, wo apni cousin ke yahan se kitabein lene aayi thi, aur uss roz ghar ke samne wale door se andar gayi thi Ruhi haath mein kitabon ko liye.

To yeh sab yaad karte hue Abhi uss jagah par chal raha tha jahan se Ruhi guzri thi…. uss garden mein dekh raha tha jahan kal Ruhi gulaab tod rahi thi…., uss terrace ko dekh raha tha jahan Ruhi jhadu laga rahi thi, uss pathar ko dekh raha tha jahan usski maa kapde dho rahi thi…. Abhi ko uss aangan se pyar ho gaya jaise. Iss liye ke uss aangan ke har kone mein Ruhi bassi hui thi…

Abhi uss aagan ke chaaron awr dekh raha tha, ussko wo aangan sirf Ruhi ki yaad dila rahe the, Ruhi bassi hui thi wahan ke fiza mein, wahan ke hawa mein, wahan ke phoolon mein. Usski galiyon mein bhi sirf Ruhi bassi hui thi Abhi ke liye. Abhi chal kar main road par gaya. Road se seedha Ruhi ka ghar dikh raha tha, kitchen ki stairs dikh rahe the, Abhi ne socha ke yahan se bhi wo Ruhi ko dekh paega agar wo buss stair par ek baar khadi ho jaaye.. uss gali mein khada hokar Abhi Ruhi ko soch hi raha tha stair par dekhte hue ke jaise ek jaadu hua aur Ruhi nazar aayi stair par seedha main road par dekhte hue!!

Abhi ka dil zor se dhadka Ruhi ko dekh kar. Wo kal wali pale blue night gown mein thi, aur ussne Abhi ko dekh kar turant wapas andar ghuss gayi. To Abhi jaldi jaldi chal kar washroom ke taraf badha iss umeed se ke kitchen mein Ruhi ko dekh paega, wo wahin hogi kyunke uss ne abhi abhi ussko raaste par dekha….

Jab tak chalte hue Abhi washroom reach hua aur kitchen ke andar dekha to koyi bhi nahin tha. Abhi ko thoda ghussa aya. Sochne laga ke kyun chali gayi jab ussko pata hai ke main agaya hoon to?.... Phir Abhi sochne laga ke kia Ruhi sach mein stair par nikli thi ya yeh usska vehem tha? kia wo Ruhi ko itna soch raha tha ke wo usske khayaalon mein aayi thi assal mein wo Stairs par thi hi nahin? Abhi ne socha ke pyar ka aisa bhi assar ho sakta hai ke koyi yahan hai hi nahin phir bhi nazar arahi hai ussko? Wo kahin paagal to nahin hone laga tha? apna dimaaghi santulan khone to nahin laga tha Abhi pyar mei doob kar? Yehi sab soch raha tha Abhi…. 6.20 hue the, Abhi ne socha 45 mins se kum hai ab usske paas, kaash Ruhi kitchen mein aajaaye, wo pray karne laga ke God Ruhi ko kitchen mein bhej de jaldi se…..

Phir achanak Abhi ne khud se kaha,

“are agar wo meri tarah books padhti hai to wo zaroor book padh rahi hogi, matlab kal shaam ko bhi nahin dikhi thi kyunke book padh rahi hogi….”

Abhi khud ek bookworm tha, ussko achi tarah se pata tha book padhne wale ek baar agar padhne baith jaaye to uthte nahin hai, wo nah kuch sunte hai, nah kissi ki awaaz nah koyi shor sharaaba, unke concentration sirf book par hota hai…. Aur phir Abhi ne socha kitna acha pair hoga donon ka, donon ke taste same hein padhne ki latt donon ko hein wo bhi English book padhne ki latt……

6.30 hua aur Abhi himmat haar chuka tha. har ek minat ussko ek ghanta lag raha tha, har ek lamha ek ghata…… ussko yakeen ho gaya ke Ruhi read kar rahi hogi to jab tak wo book ko khatam nahin karegi wo saamne aane wali nahin hai. Wo phir bhi duaein maangta gaya khuda se ke usski Ruhi ko ek baar kitchen mein bhej dein….. aur Abhi ki Khuda se sunli….; duah qubool ho gayi; Ruhi kitchen mein aayi, uss night gown mein nahin balke ek two-piece mein, white blouse aur red skirt mein….

Ussko dekh ke Abhi ka dil achanak zor se dhadka, ek lamba saans liya Abhi ne aur dekha ke Ruhi ke haath mein ek cup tha jiss mein wo chai bhar rahi thi sar mez par jhuki hui thi, baal khule the aur weise hi jhuke hue gardan ke saath Ruhi ne ek halki Muskaan ke saath gardan ko left ki tarah mudhkar Abhi ko dekha. Abhi issi intezaar mein tha ke wo usske taraf dekhe taake wo uss se baat kar sake. Magar doorie 3 metre ke the to kaise baat karta, oonchi awaaz mein baat karna padta iss liye jiss waqt Ruhi ne usske taraf dekha to haath ke ishaare se bina awaaz ke jaise sound mute tha weise abhi ne ishaare se Good Morning kaha Ruhi ko. Ruhi muskuraayi aur weise hi honton ko “good morning” word pronounce karte hue ek khubsurat muskurahat se Ruhi ne bhi wish kiya Abhi ko, aur Ruhi wahin mez ke paas kitchen mein baith gayi chai sip karte hue. Abhi ko achcha laga ke apne kaam karne wale kapde mein change karne se pehle hi ruhi ne ussko ache kapdon mein dekha. Abhi ko pata tha ke wo handsome dikh raha tha aur chahta tha ke Ruhi par ek impression banaaye apni normal dress mein. Ruhi chai peete hue Abhi ke taraf hi dekh rahi thi.

Subha savere ka mausam tha, khamoshi chhaayi hui thi, fiza khubsurat tha, kuch parinde ki awaazein sunaayi de rahe the, ek chidya Ruhi ki kitchen ke upar baitha chun chun kar raha tha. Ziada tar log ab tak so rahe the, bahot kum log the main road par bhi iss waqt. Mehboob bhi abhi tak utha nahin tha aur nah hi Rahima dikh rahi thi halaan ke usski bhi kitchen ka darwaza khula hua tha. To Abhi ne Ruhi ke stairs par jaane ko socha. Socha ke ek do baat phusphussate hue hi kar lega usske saath. Sirf 3 metres ka faasla tey karna tha to Abhi ne kadam badhaya Ruhi ke kitchen ke taraf ussko dekhte hue…..

Jaise Ruhi ne dekha ke Abhi usske taraf aa raha hai to jhat se uth kadhi hui aur haath ke ishaare se nah mein hillaya Abhi ko… Abhi ne kadam rok liya ussko dekhte hue…. Ruhi mudhkar kitchen mein apne piche dekha, phir wapas Abhi ko dekha, to Abhi ne Ruhi ke piche dekha yeh soch kar ke koyi usske piche se ussko dekh raha hoga, iss liye wo jahan tha wahin theher gaya, magar Ruhi ko dekhta raha. Ruhi uss pal khadi ho chuki thi aur baar baar apne piche dekh rahi thi jiss se eisa lag raha tha ke ya to koyi usske taraf ghar ke andar se kitchen mein araha tha ya to koyi ussko dekh raha tha….

Abhi ko bechaini hone laga, ussko Ruhi se kehna tha ke aaj shaam ko wo idhar hi present rahe jiss waqt wo wapas ghar jaane lage. Aur tabhi Rahima apni kitchen mein aayi aur Abhi ko hello kehkar ussko ek cup chai de diya kal subha ki tarah. Rahima apni nighty mein thi. Ek pink colour ki nighty pehni hui thi ussne. Abhi ko disturb feel hua ussko uss libaas mein dekh kar aur apne nazron ko jhuka liya uss ne. Magar Rahima seedha Abhi ke chehre mein dekh rahi thi muskuraate hue. Rahima ki kitchen ka darwaza thik uss washroom mein hi khulta tha, assal mein wo ek separate garage ki tarah tha aur kapde dhone ki ek pathar bhi tha uss washroom mein, washroom naam diya magar tha wo kapde dhone ki jagah jahan sab worker kaam ke baad khud ko wash karte the… matlab Abhi thik ek kadam kitchen ke darwaze ke paas hi tha, aur Ruhi ki kitchen 3 metres ki doorie par tha…. Rahima ne Abhi se kaha,

“Tum bahot savere aajate ho har roz, kitne baje ghar se nikalte ho? aur uthte kitne baje ho hmm?”

Abhi ko uss se baat hi nahin karna tha, wo to Ruhi ko dekh raha tha; phir bhi jawaab to dena tha Rahima ko, to Abhi ne bina Rahima ko dekhe, balke Ruhi ke taraf dekhte hue Rahima ko jawaab diya. Kaha ke ussko subha ko savere uthne ki aadat hai aur yahan ka kaam bahot bada hai iss liye jaldi chala aata hai.

Ab udhar se jab Ruhi ne abhi ko baat karte dekha to ussko pata chal gaya ke Rahima ki kitchen mein iss waqt sirf wohi ho sakti hai, to Ruhi ne Abhi ke taraf dekhte hue, apne chai ko khatam karke cup ko thoda zor se mez par patka aur wahan se uth kar andar chali gayi. Abhi ko saaf samajh mein agaya ke Ruhi naraaz ho gayi kyunke wo Rahima se baat kar raha tha. Abhi ne socha are kia baat ho gayi, Rahima malkin hai bus ki, usske yahan kaam karta hoon ussne mujhse baat ki to main kaise ussko reply nah karun?

Ab Abhi ko ghussa aane laga Ruhi ki naarazgi par, aur Abhi ne apne kapde change karne ko socha ab. Tab tak Ruhi wapas aayi, aur thik jab wo kitchen mein aayi to Abhi Rahima ko cup wapas kar raha tha aur kyunke Rahima nighty mein thi usskki nangi baazu dikha Ruhi ko Abhi ke haath se cup lete hue, ussko fir ghussa aya aur wo munh banaate hue phir wapas chali gayi. Iss baar Abhi ne Ruhi ko munh banaate hue dekha aur ab Abhi ko hanssi aayi usski naraazgi par.

Aur Abhi ne change karna shuru kiya tab tak Rahima ghar ke andar chali gayi aur Ruhi phir kitchen mein aayi, Abhi ne shirt utaar diya tha, aur Ruhi ko dekha to wapas shirt ko pehna aur Ruhi ke kitchen ke taraf badha magar phir Ruhi ne haath ke ishaare se ussko wapas jaane ko kaha…. Abhi phir ruka aur ab ussne ishaare se Ruhi ko kuch kaha jo Ruhi nahin samjhi to Ruhi ne apne honthon ko “KIA?” ke form banaate hue Abhi se pucha….

Tab Abhi ne Ruhi ko stairs par aane ka ishara kiya. Ruhi ne munh fula kar nah mein sar hillaya. Abhi ne zid kiya ke ya to wo stairs par aaye ya Abhi usski kitchen ke stairs par aega. Ruhi samajh gayi aur apne piche mudhkar dekha aur Abhi ko ishaare se apne piche ungli se ishara karte hue kuch kaha jo iss baar Abhi nahin samjha. Magar itna abhi samjha ke ishaare se Ruhi shayad kehna chahti hai ke koyi hai wahan par jo ussko dekh raha ya rahi hai….

Aur tab tak Tony agaya, 6.45 ho gaye the. Saeed nahin aya tha tab tak. Ruhi ne Tony ko dekha, Tony ne ussko hello kaha aur Ruhi ne apne sar ko jhukaate hue Tony hello kiya. Phir Abhi ne weise hi ishaare se Ruhi ko piche ke nal ke paas aane ko kaha, aur Ruhi ke okay kaha. To jaldi se Abhi gaya Ruhi ke ghar ke uss hisse par jahan washing stone tha. Wahan ek khidki bhi tha, jiss par Ruhi aayi aur khidki se abhi ko dekhte hue pucha,

“ofo kia keh rahe ho aap main kuch nahin samajh rahi!”

Abhi ne direct pucha,

“Tum kal shaam ko kahan thi jab main ghar wapas jaane laga tha?”

Ruhi ne muskuraate hue pucha,

“kyun? Main kahin bhi rahun aap ko kyun bataun?!”

Abhi ke samajh mein nahin aya ke ab kia kahen, ussne yeh reply to nahin expect kiya tha Ruhi se.

To Ruhi ne khud sawaal kiya,

“Aap abhi kiss se baatein kar rahe the?”

Abhi samajh gaya ke Ruhi Rahima ki baat kar rahi thi. To jawaab diya,

“Tumko to pata hai kiss se main baat kar raha tha to kyun puch rahi ho? Mujhe batao ke tum kal kyun nahin dikhi yaar!”

Ruhi: “wo har subha tumko chai deti hai?”

Abhi: “hmm kal bhi diya tha main savere aajata hoon nah?!”

Ruhi: “hmmm kal matlab jab main gulaab tod rahi thi aur aap ne mujhe good morning kaha tha tab?!”

Abhi: “oh yeh baat hai to tumne suna tha jab main ne tumko good morning kaha tha kal aur mujhse kaha ke kuch suna hi nahin tha tumne! Bad manners for not replying a greeting!”

Ruhi hanss padi aur kaha,

“wo main ghabra gayi thi nah, aap achanak saamne dikh gaye the subha subha to meri samajh mein nahin aya ke main kia karun, main darr gayi thi aap ko achanak dekh kar issi liye meri awaaz hi nahin nikli thi aap ko jawab dene ke liye!”

Abhi ne muskuraya aur pucha,

“ab to bata do ke kal tum kidhar thi shaam ko!”

Ruhi: “kal? Meri aankh lag gayi thi jab aap jaa rahe the.”

Abhi: “shaam 5.30 ko tum so rahi thi? Main nahin maanta, tum andar se mujhko zaroor dekh rahi hogi nah? Tumne jaan bujh kar weisa kiya mujhko tadpaane ke liye hai nah bolo?!”

Ruhi ne apni kehuni ko windows ke kone par tikaate hue kaha,

“Main weisa kyun karungi bhala? Main to har shaam ko kitchen mein mummy ki help karti hoon…… wo kia hai ke main kitab padh rahi thi aur padhte padhte aankh lag gayi thi, thik aap logon ke jaane ke baad main kitchen mein gayi, tab baahar dekha to koyi bhi nahin tha aap log jaa chuke the!”

Abhi ne kaha,

“oh yeh baat hai to ek kaam karna aaj ke baad mere liye; karogi?!”

Ruhi ne muskuraate hue pucha,

“main kyun aap ke liye koyi kaam karungi?” aur hanss padi Ruhi.

Abhi ne phir bhi kaha,

“Please aaj se har shaam ko mere jaane ke waqt tum please mere saamne rehna, ya to stair par present rehna ya yahan iss khidki par rehna, main tumko har roz jaate hue dekhna chahta hoon, tumko bye wave karna chahta hoon, tumhari chehre ko dekhte hue jaana chahta hoon, itna karogi mere liye please?!”

To be continued…. (3850 words)
Amazing update casi bhai,
 
Top