• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Usski Gali Mein Jaana Chorr Diya (Exclusively For XForum) COMPLETED

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Update 12 Shweta

Uss din, din bhar acha mauka nahin mila Abhi ko wapas thik se Ruhi ke paas jaane ya baat karne ki. Iss liye ke Mehboob din bhar working team ke saath tha. wo kabhi Saeed ke saath khada rehta, to kabhi Abhi ke saath. Donon ko kaam karte hue dekhta aur jaise supervise kar raha tha.

Lagbhag 10 baje Abhi ne ek khubsurat chhoti si ladki ko dekha aangan mein Ruhi ke kitchen ke paas. Uss ladki ki surat Ruhi se kafi had tak milti julti thi. Abhi heyraan hua ke ab wo kaun hai, uss bachi ko Ruhi ke kitchen ke andar jaate dekha phir baahar aate phir Mehboob ke ghar jaate dekha phir aangan mein khelte.

Uss ladki ki shakal bahot milti thi Ruhi se, bilkool usski choti behen lagti thi. Abhi ne socha agar chhoti behen hoti to ruhi ussko zaroor batata nah? Ho bhi sakta hai ke uski behen hi ho magar Ruhi ne jaan bujh kar nahin bataya, kal Sunday tha to kahin gayi hogi nani ke yahan ya apni badi behen ke yahan ghumne iss liye nahin dikhi thi pichle hafte ko. Abhi aisa soch raha tha ke kuch der baad Ruhi ko bhi uss ladki ke saath khelte hue dekha aangan mein kitchen ke paas.

Phir kuch der baad Abhi ne Ruhi ko bicycle chadhte hue dekha. Abhi ko pata bhi nahin tha ke Ruhi bicycle bhi chadhti aur acha chalaati hai. Pehli baar wo dekh raha tha Ruhi ko bicycle par. EK khubsurat lady bicycle thi jo zaroor Ruhi ki hi thi.

Aur baad mein Ruhi uss chhoti ladki ko apne bicycle par bitha kar main road tak legayi phir ekaat baar aayi aur gayi uss bachi ko apne bicycle par. Aate jaate hue kayi baar Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke taraf dekha magar thoda nazrein churaate hue.

Aur kaafi der baad Abhi ne uss chhoti ladki ko ‘didi’ bulaate hue suna Ruhi ko. To Abhi ko yakeen hua ke wo usski chhoti behen hi hai. To Abhi sochne laga ke subha jab Ruhi apni family members ke baare mein bata rahi thi to kyun nahin bola ke usski ek chhoti behen bi hai…. Yeh chhoti ladki jab Ruhi ki umar ki hogi to Ruhi se bhi ziada kubsurat dikhegi pakka yakeen tha Abhi ko, wohi naak naksha, wohi baal, balke thoda sa ziada lamba hi tha iss bachchi ki baal, chehra jaise parlour se make up karke aayi ho, ek daag ya chedh nahin chehre par, bilkool chikna, gori, meethi aur khubsurat awaaz.

Abhi ghanton bhar uss ladki ko dekhta raha kaam karte hue. Aur sochta raha ke aakhir wo hai kaun?!

Aur lunch time se pehle wo ladki Abhi ke piche khadi hokar chhup rahi thi Ruhi se, taake Ruhi ussko dhunde. To Abhi ne mudhkar ussko dekha aur dhire se pucha

“Tumhara naam kia hai baby?”

“Shweta” bachi ne jawaab diya, aur wohi cute si muskurahat thi usski bhi.

Abhi ne pucha,

“Tum kidhar rehti ho?!”

Ladki ne dhire se phussphusaate hue kaha,

“aap yunhi khade raho nah, varna Ruhi mujhko dekh legi”

Abhi muskuraya, aur Ruhi ke taraf dekha jo stairs par khadi Shweta ko dekh rahi thi Abhi se baat karte hue. Ruhi Abhi se muskuraayi aur thodi si awaaz oonchi karke kaha,

“Shwetu mujhe pata hai tum kidhar chhupi ho main ne tumko dekh liya woohoo!”

Shweta ne Abhi ke pant ko zor se pakar ke kaha,

“main kidhar hoon batao!”

Ruhi ne kaha,

“Tum Abhi ke piche chhupi ho!”

Ruhi ne jab wo kaha to Abhi ko bahot achcha laga. Abhi ka naam Ruhi ne eise liya jaise wo ghar ka ek sadasya tha, jaise Abhi yahin ka ek member tha, jaise mamooli baat thi Abhi ka naam lena, aur jaise Abhi yahin ka rehne wala hai aur sab ussko jaanta hai. Aur Ruhi ne Abhi ka naam jab liya to sab ne suna, Mehboob ne bhi, Saeed, Tony, Vinay ne bhi yahan tak ke Rahima aur Ruhi ki maa ne bhi suna.

Tab Shweta ne dhire se Abhi se pucha,

“Aap Abhi ho?”

Abhi ne ussko pyar se jawaab diya,

“haan baby main hi Abhi hoon isska matlab hai ke Ruhi ne aap ko dekh liya hai.”

Shweta: “Aap Ruhi didi ko jaante ho?”

Abhi: “haan sweetheart jaanta hoon achci tarah se jaanta hoon ussko magar Ruhi aap ka kia lagta hai?!”

Shweta: “wo meri badi didi hai!”

Abhi ne socha ke Ruhi ne uss se kyun chhupaya ke usski ek chhoti behen hai. Phir Ruhi ki awaaz aayi,

“Shweta, ab aajao ya main aaun tumko wahan se lene ko?!”

Shweta aur bhi zor se Abhi ke pant ko pakra usske piche hote hue. To ab Abhi chahta tha ke Ruhi wahan aakar Shweta ko lejaaye iss liye Abhi ne dhire se Shweta se kaha,

“Baby aap yahin chhupi raho, aur kaho Ruhi se ke wo aakar aap ko lejaaye!”

Tab tak Mehboob ne kaha,

“Are Shweta tum jao nah idhar se log kaam kar rahe hein tumko choat voat lag sakti hai, idhar mat khelo nah baby!”

Abhi ko ghussa aya Mehboob ki baat ko sunte hue aur Mehboob se kaha,

“Are rehne do nah Mehboob bhai, bachchi hai khelne do koyi khatra nahin hai idhar main dekh raha hoon nah!”

Aur jab Ruhi ne Mehboob ko weisa kehte suna to aane lagi Shweta ko lene ke liye. Tab Ruhi ko aate dekh kar Shweta zoron se hanssne aur chillane lagi,

“nahin, naah, main nahin aungi naah!!”

Ruhi ab Abhi ke itna close tha, ke Abhi ko ussko apne baahon mein bharne ka mann kiya. Abhi ne Mehboob ke taraf dekha to wo ussi ko dekh raha tha, aur jab Mehboob ne dekha ke Abhi ussko dekh raha hai to ussne apne chehre ko ek taraf kiya aur Saeed ko dekhne laga aur uss se baat karne laga tab tak Ruhi Shweta ki haath pakar kar khinch rahi thi aur Shweta chilla rahi thi jaane se inkaar karte hue, Abhi ne phir ek baar aur Mehboob ko dekha, aur dekha ke wo saeed se baat kar rahe hein to Abhi ne Ruhi ka haath pakra, yeh pehli baar hua tha…. pehli baar Abhi ne Ruhi ko chhua tha, Ruhi ne mana nahin kiya balke turant ussne bhi Mehboob ke taraf dekha aur ussne bhi dekha ke Mehboob saeed se baat kar rahe hein to apne haath ko Abhi ke haath mein rehne diya ek pal ke liye….

Wo sab kuch Tony ke saamne ho raha tha to Abhi ne Tony se kaha,

“yaar zara iss taraf ho jao nah taake Mehboob ko iss taraf dikhayi nahin de….”

Tony samajh gaya aur wo beech mein agaya taake Mehboob ko nahin dikhe ke Abhi ne Ruhi ka haath thaama hua tha.

Phir Ruhi ki ek haath ne Shweta ko thaama tha aur usski dusri haath ko Abhi ne thaama tha aur Abhi ne dhire se Ruhi se kaha,

“ek baat kahun!”

Ruhi ne bhi dhire se kaha,

“jaldi kaho, main jaa rahi hoon, haath to chorro nah!”

Abhi ne bade pyar se kaha,

“Tumko baahon mein bharne ko mann kar raha hai!”

Yeh sunte hi Ruhi ne zor se apne haath ko jhatakte hue Abhi ke haath se chhuraaya aur muskuraate hue “shut up” kehte hue zor se hanssi aur Shweta ko lekar jaane lagi…. Jaate hue kayi baar hansste hue mudhkar Abhi ke taraf dekha Ruhi ne.

Uss pal ko Abhi ne itna passand kiya ke ussko laga Ruhi ab usski ho gayi!

Abhi ko Khushi iss baat ki thi ke Ruhi ghussa nahin hui, naraaz nahin hui, balke hansste hue jawaab diya aur hansste muskuraate hue ussko mudhkar baar baar dekhti gayi.

Aur jiss dauraan Ruhi weise muskuraate aur hansste hue Abhi ko dekhti jaa rahi thi to Tony ne bhi dekha aur Mehboob, Saeed aur Vinay ne bhi. Yeh Abhi aur Ruhi ne nahin dekha. Kehte hein nah jo pyar mein hota hai ussko aas paas kuch nahin dikhta sirf usska pyar dikhta hai…. Magar muhabat ke dushman sab kuch dekhte hein.

Ek baat aur hui thi, wo yeh ke jiss waqt Abhi ne Ruhi ka haath pakra tha Shweta ne bhi dekha, aur jitni der uss haath ko Abhi ne thaama tha utni der Shweta ne sab dekha tha, aur baar baar Ruhi aur Abhi ke chehre mein bhi dekh rahi thi bachchi, aur bachchi sahi magar samajh gayi ussi waqt ke Ruhi aur Abhi ek dusre ko jaante pehchaante hein pehle se. Aur iss liye Shweta ke liye Abhi ab ek apna jaisa ho gaya tha to wo baar baar Abhi ke paas aati aur baat karti thi uss din ke baad.

Kuch der baad Tony ne Abhi se kaha,

“yaar Mehboob aur Saeed tum donon ko dekh rahe the, khaas kar jab Ruhi tumse muskura rahi thi, Saeed aur Mehboob ke chehre dekhne laayak the uss waqt.”

Yeh sunkar Abhi ko shock laga aur pucha,

“kia unn logon ne mujhe Ruhi ka haath thaame hue dekha tha?!”

Tony: “nahin tab nahin, jab wo jaa rahi thi aur wo kiss tarah se tumse hanssti hui aur muskuraati hui jaa rahi thi wo dekh rahe the donon aur bilkool khush nahin the yaar! Uss ladki ko sunna padega dekh lena Mehboob zaroor Ruhi ki maa ko kuch to bolega!”

Abhi pareshan hua aur Tony se kaha aaj subha ko hi Ruhi ne uss se akele mein baat karne se mana kiya Mehboob ke saamne! To Tony ne kaha,

“Tab to gadbad hai bhai, bechari ko daant zaroor khana padega aaj!”

Abhi ne socha sala itna hassen lamha tha usske liye, Ruhi bhi shaayad itni khush thi uss waqt ke ussne khud khayal nahin kiya hoga ke Mehboob wahin hai aur Abhi se muskuraate hue wapas gayi ab ussko daant padegi Abhi ke khatir.

Thik 5 minat baad Mehboob apne ghar gaya…. Abhi ko laga wo ab kisi tarah Ruhi ki maa ko contact karega aur Ruhi ko daant padegi; phir Ruhi khafaa ho jaegi aur bilkool baat nahin karegi Abhi se ussko dekhne bhi nahin aegi….. Abhi ne socha shukar hai ke Mehboob ne Abhi ko Ruhi ka haath thaame hue nahin dekha…

Abhi ne ab socha ke wo khud Mehboob se baat karega, ussko bataega ke wo Ruhi ko chahta hai, ussko Ruhi se baat karne de, ussko usske paas jaane se roke nahin….. Abhi soch raha tha kia yeh sahi hoga Mehboob se kehna? Phir socha nahin abhi sahi waqt nahin aya hai wo sab kehne ke liye, pehle Ruhi to pyar ka ikraar kare tabhi Abhi aage badh sakta hai….

Magar Abhi yeh bhi to soch raha tha ke Ruhi to uss se pyar karti hai tabhi uss se chhup chhup kar baat karti hai, ghar ke piche chhup kar milti hai, ishaaron se baat karti hai, ussko khush karne ke liye shaam ko usske saamne rehti hai, yeh sab kyun karti hai kyunke wo bhi Abhi se pyar karti hai nah?

Phir bhi Abhi ne khud se kaha ab time agaya hai ke wo apne pyar ka izhaar kare Ruhi se, wo uss se ab kahe ke wo uss se pyar karta hai aur serious hai, aur wo wapas Ruhi ka pyar paane ki tamanna karta hai….

Phir Abhi ne khud se kaha ke kia yeh sab jaldi nahin ho raha hai? Kia aur thoda wait karna chahiye? Abhi ne socha kariban 5 se 6 mahine tak wahan kaam karne wala hai, abhi ek hafta guzra tha to bahot time hai aage badhne ke liye….. kum se kum 3 mahinon tak dekhna chahiye ke Ruhi ki rawayya kia hota hai, kia wo pyar ziada dikhaati hai ya mukar jaati hai, kia wo aur kareeb aati hai ya doorie rakhti hai, tab Abhi decide karega ke wo uss se pyar ka izhaar kare ya nahin…..

Abhi ek kashmakash mein tha, usska dil o dimaagh kaam nahin kar raha tha. Dil se sochta to ussko buss Ruhi chahiye tha , ussko Ruhi ko apnana tha kissi bhi kimat par, wo Ruhi ko khona to bilkool nahin chahta tha. Abhi chahta tha ke Ruhi hamesha ke liye usska ho jaaye. Wo Ruhi ko apni patni ke roop mein dekhta tha, chahta tha ke ek din Ruhi ko apni biwi ki tarah issi aangan mein apne ghar se ek damaad ki tarah aangan mein aaye….. usska sapna bada tha.

Abhi Ruhi ko apni bachon ki maa ke roop mein dekhta tha apne tassavur mein. Wo issi aangan mein ek din Ruhi ke saath apne bachon ko khelta hua dekhta tha.

Lunch time hua, Abhi washroom gaya, Ruhi nahin dikhi, ghar ke andar thi. Abhi ne socha ke ab lunch time mein Ruhi ke khidki ke paas jaa kar uss se baat karega aur jaanne ki koshish karega ke kia Mehboob ne usski maa se kuch kaha to nahin.

Magar jab Ruhi se baat karne gaya to Ruhi ne normal baat kiye balke Shweta bhi usske saath thi ussi kamre mein jab Abhi Ruhi se baat kar raha tha. Shweta bhi Abhi se baat kar raha tha,

Abhi ne Ruhi se kaha,

“tum jhoot bhi bolti ho?!”

Ruhi: “nahin to main ne kab jhoot bola?”

Abhi; “Ek itni pyari si chhoti behen hai kyun nahin bataya tha mujhe? Sirf ek badi behen hai kaha tha subha ko?!”

Ruhi zor se hansste hue boli,

“oh yeh Shweta, haan meri behen hai, cousin sister hai, mere chacha ki beti hai, wahin rehti hai jiss sheher mein silaayi ke liye jaati hoon!”

Abhi chahunk gaya aur kaha,

“are main ne socha tumhari sagi behen hai, kitni milti julti hai tumse? Bilkool tumhari tarah dikhti hai, so beautiful!”

Ruhi: “jhoot! Aap jhoot bol rahe ho, wo meri tarah nahin dikhti!”

Abhi: “Are haan she looks very very much like you, when she grows up, she will look exactly like you believe me!”

Ruhi: “No I don’t believe you, you are saying this only to have a pretext of talking to me isn’t it?!”

Abhi: “Why should I do so Ruhi? Do I need a pretext to talk to you?!”

Tab tak donon ko sunte hue Shweta ne pucha,

“Aap donon kiss language mein baat kar rahe ho? English hai nah?!”

Abhi ne Apne haath khidki ke andar karke Shweta ki gaal ko chute hue kaha,

“yes sweetheart, we are talking in English!”

Ruhi turant boli:

“lo! Issko bhi sweetheart keh diya aap bhi nah!”

Abhi ne tab hansste hue kaha,

“Are bache to sweetheart hote hi hein aur yeh kitni cute hai, hai nah?!”

Ruhi: “hmm aap abhi issko jaante nahin ho pakka shaitan hai yeh!”

Abhi ne tab Ruhi ko bataya ke jiss waqt wo Shweta ko lekar jaa rahi thi ussko dekhte hue Mehboob ussko dekh raha tha, kahin wo usski maa se report to nahin karega aur ussko daant to nahin padegi?!

Ruhi ne kaha ke

“bilkool nahin kyunke uss waqt main sab logon ke saamne thi, hum donon akele nahin the jaise iss waqt hai, to no problem.”

Abhi ko chain aya usski baat sunkar aur Ruhi ko yaad dilaya ke shaam ko saamne rahe usske jaate waqt. Ruhi ne haan kaha, aur ye bhi kaha ke ab wo sone jaa rahi hai to 3 baje tak ussko nahin dhundne ko.

Abhi ko bahot acha laga jab ruhi wo baat kahi to.

Kaam karte waqt Abhi sochta raha ke Ruhi kitni care karne lagi hai usska, ke khud bata diya ke ussko nahin dhudein kyunke wo 3 baje tak nazar nahin aegi.aur abhi ne khayal kiya ke 3 baje tak ussne araam se kaam kiya, sukoon se kaam kiya bina usske ghar ke taraf dekhe kyunke ussko pehle se pata tha ke wo so rahi hai. Varna wo baar baar ussko dhundta, usske ghar kek taraf dekhta, ussko dekhne ke liye utaavla rehta…..

Phir shaam ko Ruhi nazar aayi kitchen ke chawkath par baar baar bus ke taraf Abhi ko dekhte hue, khilti hui dikh rahi thi, khush dikh rahi thi, Abhi se muskura rahi thi, aankhon se ishara kar rahi thi, munh banaate hue kabhi kuch kah rahi thi to kabhi haath se ishara karte hue kuch keh rahi thi….. kaam end karne tak Ruhi Abhi se ishaaron mein baat karti rahi…. Ziada tar baatein Abhi samjha hi nahin magar sar hilla kar haan mein har baar jawaab deta raha kaam karte hue…..

Aur Abhi bahot Khushi se uss aangan ko chorra kaam end karne ke baad, Mahesh agaya tha, uss se kuch baatein bhi hui Abhi ki, aur Mahesh, aur usske dada se shake hand karte hue Abhi ne Ruhi ko wave kiya, aur aaj Ruhi ne thoda sa wave bhi kiya Abhi ko muskuraate hue, aur Shweta ko bheja Ruhi ne Abhi ko ek puppy dene ke liye.

Shweta daudti hui kitchen se aayi Abhi ke paas aur kaha,

“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Matlab Shweta ne pol khol diya to Ruhi apne chehre ko haathon mein chhupaate hue hanssne lagi…..

Bus mein ghar lautte waqt Abhi ne socha ke kyun Ruhi ne Abhi ko puppy dene ko bheja? Kia wo khud ek puppy to nahin chahti thi Abhi se usse wave karte samaaye? Ya Shweta ke roop mein Ruhi ne khud kiss kiya Abhi ke gaal par? Aur eisa sochte hue Abhi apne sapnon ki dunya mein kho gaya Ruhi ko dimaagh mein basaaye….

To be continued…. (3001 words)

:superb: update casi sir........ Great going :applause::applause::applause:

Details rebu kal shubha ko :verysad:
 
Last edited:

Chutiyadr

Well-Known Member
16,889
41,092
259
Update 1 Abhinav Also Known As Abhi

Abhi aur Ruhi ek dusre se sach mein behad pyar karte the, magar kuch eisa hua ke donon ek dusre se hamesha ke liye alag ho gaye, aur aaj Abhi har ek ladki mein Ruhi ko hi dhundta hai, usski adaaein, usski bholapan, usski cuteness, usski wo kamsin dikhna, nazuk, aur komalta yehi sab dhundta rehta tha Abhi kissi bhi ladki mein. Aur haan Ruhi bahot hi khubsurat thi to Abhi koyi bahot khubsurat hi ladki ki talaash mein tha.

Alag kyun hue donon? Mamooli si baat thi. Sab gharib log the, Abhi ke pita kisaan tha, Ruhi ka pita watchman tha. Ek hi muhalle mein rehte the sab…. Magar Ruhi ke pita ki ek din lottery lag gayi. Amir ho gaya, aur khud ko bahut bada aadmi samajhne laga, Abhi ke pita usske liye bahot nicha aur chhota ho gaya tha, Ruhi ke pita ka uthna baithna ab bade amir logon mein hone laga…. Aur wo sab chorr chaar kar Canada chala gaya. Address bhi nahin diya apna aur Ruhi ko sakht mana kiya Abhi se koyi bhi contact karne ke liye…. Phir dhire dhire saalon baad Ruhi Abhi ko bilkool bhool gayi aur Canada ki lifestyle, wahan ke dost, wahan ke log, wahan ke boyfriends sab ho gaye usski…to Abhi ko delete kar diya bilkool ussne to Abhi kia karta? Ussne bhi bhula diya Ruhi ko, magar ladki ussko Ruhi jaisi hi chahiye the apne life mein.

Abhi 20 saal ka hua. Koyi dhang ki Naukri bhi nahin mil raha tha, kabhi yahan to kabhi wahan, kabhi iss company mein to kabhi temporary kaam milta kissi aur company mein…..

Gharibi ke kaaran studies complete nahin kar paaya, baap ke paas utna paisa nahin tha ussko aage padhaane ke liye…. 12th ke baad ek saal bekaar tha phir baap ke saath kheton mein jata aur phir apne dhang ki Naukri dhunta gaya…. Ussko English likhne aur bolne ka bada shaukh tha….. Ek aadat nahin chorra tha ussne wo tha padhna, reading. Bookworm tha. Englsih kitaabein bahot padhta tha, borrow karta tha padhne ke liye… class mein English mein awwal tha, hamesha sabse ziada marks paata tha class mein. To wo reading ki aadat bana raha usska. Aur haan Abhi likhta bhi tha, English mein hi. Kia likhta tha? Apna daily events likhta tha, har saal ek diary kharidta tha aur har raat ko sone se pehle usska din keise guzra wo likhta tha bina kissi din ko miss kiye. Aur ek special copybook mein usske aur Ruhi ke baare mein likh chuka tha jo apne drawer mein sambhaal kar rakha tha Abhi ne. Uss mein apne bachpan se 12th tak ke sab kuch likha tha, jiss din Ruhi ussko chorr kar Canada gayi aur usske baad ke ek saal ussne kitne dukh mein guzaare wo sab kuch likha tha ussne uss mein. Aaj bhi wo sab padh ke usske aankhon mein ensso aajata hai. Aaj bhi yaad karta hai ruhi ko kabhi kabhi, Magar Ruhi ka chehra ab kaisa hoga usski imagination mein nahin araha tha. Ek tadap, ek tees sa uthta tha usske dil mein Ruhi ke saath unn bitaaye hue dinon ko yaad karte waqt… Ussko itna to pata tha ke ab ussko Ruhi kabhi wapas nahin milega, ussko maloom tha ke Ruhi ki status ab usske saamne bahot hi ooncha ho gaya hai aur wo khud ko Ruhi ke naukar ke bhi kaabil nahin samajhta tha; iss liye Ruhi ko hamesha ke liye bhula dena hi behtar samjha Abhi ne, magar kissi aur ladki ka pyar chahiye to tha ussko, iss liye har ladki mein Ruhi ko hi dhunta phirta tha. Miley kayi ladkiyan, dosti hui, karib gaya Abhi magar ussko unn ladkiyon mein Ruhi jaisi kuch nahin dikha to kadam piche hatta liya Abhi ne….. usska talaash jaari raha phir bhi….

*****************************************************************

Ek din ussko ek Coach-Building ki company mein as apprentice/helper Naukri mili. Wahan ziada tar bus banaate the. Bus ki chasis nange aate the engine ke saath, usski body, cover, andar ke seat vaghaira sab bana kar bus ko complete karna hota tha. Ussi ko coach building kaha jata hai. Abhi ko wo kaam dilchasp laga. Jiss din ussne join kiya kayi buss aaye the chasis aur engine ke saath uss par body banana tha. Takriban do mahine mein ek bus complete ban jata tha. Koyi 300 log mulazim the uss company mein. Jab Abhi ne ek completed bus ko dekha to wo heyraan hua ke kaise sirf ek lohe ki chasis par ek pura bus bana diya gaya hai, wo bahot prabhaavit hua aur uss kaam ko hamesha ke liye karne ko socha…. Aur Abhi wahan kaam seekhne laga… metal kaatna, frame banana, welding karna, phir bus ki pure body ke liye aluminium sheets ko hisaab se kaat kar rivet se sab fir metals par chipkana, windows ke glasses lagaana, seat banana aur bus ke andar fit karna, buss ki floorings par thick wala aluminium chipkana special rivets se, jissko hatode se kayi baar thok thok kar chipkaya jaata tha; kuch luxurious chizon ko bhi lagana bus ki kharidne wale ki demand par, yeh sab kuch seekha Abhi ne 3 saal tak, aur ussko sab pakka karna agaya. Paisa kum mil raha tha shuru mein, mahine mein sirf 100 rupay kama raha tha. Ek to gharibi ne chaaron taraf se haath feylaya hi hua tha, kuch bhi luxurious kharidne ki aukaat nahin thi… kyunke Abhi ko laga ke uss kaam ko seekh kar wo zaroor aaguey chal kar khud sab kar paega iss liye ussne himmat ki aur 100 rupay maahwaar ki tankhwa mein kaam karta gaya, apprentice tha pehle 3 saal tak phir bhi karta gaya magar 3 saal tak hote hote ussko ek full employee ki salary milne lagi.

Unn dinon mobile ka vikaas nahin hua tha. Shukar hai varna unn dinon ek jawaan bina mobile ke kaise jeeta. Cigarette pine laga tha, doston se mil jata tha pine ke liye, tankhwa milta to kuch ghar mein deta, kuch apne liye rakhta phir bhi 100 rupay mein kia rakhta ek mahine ke liye, paise to do din mein hi khatam ho jaate the kyun ke 75 rupees ghar mein diya to 25 bachta tha usske paas aur 25 rupay ko kitne din chala paata halaan ke unn dinon sab kuch itna mehnga nahin tha jitna aaj kal hai….. unn dinon ko araam se ek mahine guzaarne ke liye at least 300 rupay hona chahiye tha….. paidal factory ata jaata tha, ek naya pair of shoes bhi nahin kharid paata tha, baap ki kamaayi ke paise se ghar ka ration chalta tha, electricity bill, water bill vaghaira sab baap pay karta tha upar se aur bhi bhai behnein the…. Bahot tang haalaat the jinn dinon abhi jawaan tha. filmein dekhna bahot passand karta tha, har nayi movie ko first day first show dekhta tha. Unn dinon ticket itna menhga bhi nahin tha to koyi nah koyi jugaad kar leta tha apna ticket paane ke liye, kabhi dost log usski ticket kharid dete the….

Beer peene ki aadat bhi lag gayi doston ke saath, to beer bhi pine laga aur ahiste ahiste daru ki latt bhi lag gayi….magar paise ki kami ki vajah se har roz to nahin peeta tha, mahine mein ek ya do baar enjoy kar leta tha… aur kabhi kissi dost ke paas ziada paisa hota aur wo offer karta to Abhi ko bhi gale mein utaarne ka mauka mil jata tha.

Abhi ke bhi sapne the, har gharib ki tarah wo bhi sochta ke ek din mere paas bhi car hogi, bada ghar hoga, life mein aaguey badhunga, kuch kar dikhaunga, ek din mere saare sapne pure honge…. Aur sabse khaas sapna usska yeh tha ke ussko ek Ruhi jaisi mehbooba mile…. Emotional tha, dil se ziada sochta tha pyar ke baare mein, apne diary mein aksar likhta ke usske liye kahin to bani hogi ek ladki, dharti ke kissi kone mein to hogi wo dilnasheen jisska intezaar Abhi kar raha tha, magar abhi ko jaldi tha, kahan milegi wo agar wo kahin hai bhi to, kab milegi ussko wo? Kia naam hoga usska? Kaisi dikhti hogi? Kia padhi likhi hogi? Kyunke Abhi ko English bolna perfectly ata tha iss liye ussko yeh umeed thi ke uss ladki ko bhi English mein likhna aur bola ana chaahiye…. Kyunke abhi dil ki baton ko English mein bade asaani se izhaar karta tha iss liye wo hamesha sochta tha ke apne dil ki baton ko apne mehbooba tak English mein likh kar bayaan karega.

Kyunke unn dinon mobile nahin hua karta tha to, aam taur par sabhi chittiyon dwara communicate karte the. Internet ka naam o nishaan bhi nahin tha. Haan telephone tha. Television tha, aur TV serials bhi chalta tha. Magar Abhi ke ghar mein TV tha hi nahin. Padosi ke ghar TV dekhne jaate the Abhi ke ghar waale, Abhi bhi chala jaata tha jiss din usske passanjida movie ata tha TV par.

Thik jab Abhi ek employer ban gaya uss company mein aur ab usske saath helpers aur apprectice kaam karne lage, Abhi ki salary tab 2,500 rupay maahwaar ho gaya, tabhi company ko bandh hona tha!!

3 salary mil paaya Abhi ko jabse wo employer bana. Bahot khush hua, ghar mein party diya, doston ko bulaya, maa baap, bhai behnon ke liye naye kapde kharide, khud ke liye ache kapde aur joote kharide, Walkman ka zamana tha, jissmein cassete lagaa kar gaane sunte the to Abhi ne ek Walkman bhi kharida aur apne passand ki cassetes kharidta aur sunta rehta…. Pehla tankhwa mila to kariban 2,000 to spend kar diya weise hi. Dusre mahine ki salary mili to apne pita ko 2,000 rupay thama diya usske chote chote karzon ko adaa karne ke liye aur ghar chalaane ki madad ke liye. Jo bhai behen college jaate the unn sabko tagda pocket money de diya Abhi ne.

Aur teesri salary milne ke baad company ka diwala nikal gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

To be continued…..
Aur Abhi wahan kaam seekhne laga… metal kaatna, frame banana, welding karna, phir bus ki pure body ke liye aluminium sheets ko hisaab se kaat kar rivet se sab fir metals par chipkana, windows ke glasses lagaana, seat banana aur bus ke andar fit karna, buss ki floorings par thick wala aluminium chipkana special rivets se, jissko hatode se kayi baar thok thok kar chipkaya jaata tha; kuch luxurious chizon ko bhi lagana bus ki kharidne wale ki demand par, yeh sab kuch seekha Abhi ne 3 saal tak, aur ussko sab pakka karna agaya.
aapne achcha research kiya hai lag raha hai, warna kisi fild ka itana kwolage aam adami ke pas nahi hota:approve:
aaj se padhna start kiya hu , ab aapki story hai to majedar to hogi hi ...
abhi apni garibi ko ji raha hai , garibi kahi na kahi pyar ko maar deti hai aise to prem paisa nahi dekhta lekin log to dekhte hai , pahle pet ki chinta hoti fir dil ki ...
khair ummid hai ki company ke band hone ke bad abhi ke liye nayi opertunities aayengi ..dekhte hai aage , baki log to padh chuke hai main hi bacha hu :D
 
Rahul

Kingkong
60,556
70,669
354
waah bhaiya ji is pure update me aap mera bus wala kaam hi gayab kar diye bas ruhi ruhi ruhi majburi me wahi padhna pada hamko:bat:ab ja bus se dhyan hata to bahut kuch samjh aa gaya abhi ko pyar ho gawa mahbub chicha ki gand par laat deo ek sahi ho jayegen tarki sasur hai wo..aur jo choti bachchi aayi hai uska bhi mast hai bhai maja aa gawa..wonderfull update bhaiya ji
 
shambhu

Banned
498
4,680
123
Update 12 Shweta

Uss din, din bhar acha mauka nahin mila Abhi ko wapas thik se Ruhi ke paas jaane ya baat karne ki. Iss liye ke Mehboob din bhar working team ke saath tha. wo kabhi Saeed ke saath khada rehta, to kabhi Abhi ke saath. Donon ko kaam karte hue dekhta aur jaise supervise kar raha tha.

Lagbhag 10 baje Abhi ne ek khubsurat chhoti si ladki ko dekha aangan mein Ruhi ke kitchen ke paas. Uss ladki ki surat Ruhi se kafi had tak milti julti thi. Abhi heyraan hua ke ab wo kaun hai, uss bachi ko Ruhi ke kitchen ke andar jaate dekha phir baahar aate phir Mehboob ke ghar jaate dekha phir aangan mein khelte.

Uss ladki ki shakal bahot milti thi Ruhi se, bilkool usski choti behen lagti thi. Abhi ne socha agar chhoti behen hoti to ruhi ussko zaroor batata nah? Ho bhi sakta hai ke uski behen hi ho magar Ruhi ne jaan bujh kar nahin bataya, kal Sunday tha to kahin gayi hogi nani ke yahan ya apni badi behen ke yahan ghumne iss liye nahin dikhi thi pichle hafte ko. Abhi aisa soch raha tha ke kuch der baad Ruhi ko bhi uss ladki ke saath khelte hue dekha aangan mein kitchen ke paas.

Phir kuch der baad Abhi ne Ruhi ko bicycle chadhte hue dekha. Abhi ko pata bhi nahin tha ke Ruhi bicycle bhi chadhti aur acha chalaati hai. Pehli baar wo dekh raha tha Ruhi ko bicycle par. EK khubsurat lady bicycle thi jo zaroor Ruhi ki hi thi.

Aur baad mein Ruhi uss chhoti ladki ko apne bicycle par bitha kar main road tak legayi phir ekaat baar aayi aur gayi uss bachi ko apne bicycle par. Aate jaate hue kayi baar Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke taraf dekha magar thoda nazrein churaate hue.

Aur kaafi der baad Abhi ne uss chhoti ladki ko ‘didi’ bulaate hue suna Ruhi ko. To Abhi ko yakeen hua ke wo usski chhoti behen hi hai. To Abhi sochne laga ke subha jab Ruhi apni family members ke baare mein bata rahi thi to kyun nahin bola ke usski ek chhoti behen bi hai…. Yeh chhoti ladki jab Ruhi ki umar ki hogi to Ruhi se bhi ziada kubsurat dikhegi pakka yakeen tha Abhi ko, wohi naak naksha, wohi baal, balke thoda sa ziada lamba hi tha iss bachchi ki baal, chehra jaise parlour se make up karke aayi ho, ek daag ya chedh nahin chehre par, bilkool chikna, gori, meethi aur khubsurat awaaz.

Abhi ghanton bhar uss ladki ko dekhta raha kaam karte hue. Aur sochta raha ke aakhir wo hai kaun?!

Aur lunch time se pehle wo ladki Abhi ke piche khadi hokar chhup rahi thi Ruhi se, taake Ruhi ussko dhunde. To Abhi ne mudhkar ussko dekha aur dhire se pucha

“Tumhara naam kia hai baby?”

“Shweta” bachi ne jawaab diya, aur wohi cute si muskurahat thi usski bhi.

Abhi ne pucha,

“Tum kidhar rehti ho?!”

Ladki ne dhire se phussphusaate hue kaha,

“aap yunhi khade raho nah, varna Ruhi mujhko dekh legi”

Abhi muskuraya, aur Ruhi ke taraf dekha jo stairs par khadi Shweta ko dekh rahi thi Abhi se baat karte hue. Ruhi Abhi se muskuraayi aur thodi si awaaz oonchi karke kaha,

“Shwetu mujhe pata hai tum kidhar chhupi ho main ne tumko dekh liya woohoo!”

Shweta ne Abhi ke pant ko zor se pakar ke kaha,

“main kidhar hoon batao!”

Ruhi ne kaha,

“Tum Abhi ke piche chhupi ho!”

Ruhi ne jab wo kaha to Abhi ko bahot achcha laga. Abhi ka naam Ruhi ne eise liya jaise wo ghar ka ek sadasya tha, jaise Abhi yahin ka ek member tha, jaise mamooli baat thi Abhi ka naam lena, aur jaise Abhi yahin ka rehne wala hai aur sab ussko jaanta hai. Aur Ruhi ne Abhi ka naam jab liya to sab ne suna, Mehboob ne bhi, Saeed, Tony, Vinay ne bhi yahan tak ke Rahima aur Ruhi ki maa ne bhi suna.

Tab Shweta ne dhire se Abhi se pucha,

“Aap Abhi ho?”

Abhi ne ussko pyar se jawaab diya,

“haan baby main hi Abhi hoon isska matlab hai ke Ruhi ne aap ko dekh liya hai.”

Shweta: “Aap Ruhi didi ko jaante ho?”

Abhi: “haan sweetheart jaanta hoon achci tarah se jaanta hoon ussko magar Ruhi aap ka kia lagta hai?!”

Shweta: “wo meri badi didi hai!”

Abhi ne socha ke Ruhi ne uss se kyun chhupaya ke usski ek chhoti behen hai. Phir Ruhi ki awaaz aayi,

“Shweta, ab aajao ya main aaun tumko wahan se lene ko?!”

Shweta aur bhi zor se Abhi ke pant ko pakra usske piche hote hue. To ab Abhi chahta tha ke Ruhi wahan aakar Shweta ko lejaaye iss liye Abhi ne dhire se Shweta se kaha,

“Baby aap yahin chhupi raho, aur kaho Ruhi se ke wo aakar aap ko lejaaye!”

Tab tak Mehboob ne kaha,

“Are Shweta tum jao nah idhar se log kaam kar rahe hein tumko choat voat lag sakti hai, idhar mat khelo nah baby!”

Abhi ko ghussa aya Mehboob ki baat ko sunte hue aur Mehboob se kaha,

“Are rehne do nah Mehboob bhai, bachchi hai khelne do koyi khatra nahin hai idhar main dekh raha hoon nah!”

Aur jab Ruhi ne Mehboob ko weisa kehte suna to aane lagi Shweta ko lene ke liye. Tab Ruhi ko aate dekh kar Shweta zoron se hanssne aur chillane lagi,

“nahin, naah, main nahin aungi naah!!”

Ruhi ab Abhi ke itna close tha, ke Abhi ko ussko apne baahon mein bharne ka mann kiya. Abhi ne Mehboob ke taraf dekha to wo ussi ko dekh raha tha, aur jab Mehboob ne dekha ke Abhi ussko dekh raha hai to ussne apne chehre ko ek taraf kiya aur Saeed ko dekhne laga aur uss se baat karne laga tab tak Ruhi Shweta ki haath pakar kar khinch rahi thi aur Shweta chilla rahi thi jaane se inkaar karte hue, Abhi ne phir ek baar aur Mehboob ko dekha, aur dekha ke wo saeed se baat kar rahe hein to Abhi ne Ruhi ka haath pakra, yeh pehli baar hua tha…. pehli baar Abhi ne Ruhi ko chhua tha, Ruhi ne mana nahin kiya balke turant ussne bhi Mehboob ke taraf dekha aur ussne bhi dekha ke Mehboob saeed se baat kar rahe hein to apne haath ko Abhi ke haath mein rehne diya ek pal ke liye….

Wo sab kuch Tony ke saamne ho raha tha to Abhi ne Tony se kaha,

“yaar zara iss taraf ho jao nah taake Mehboob ko iss taraf dikhayi nahin de….”

Tony samajh gaya aur wo beech mein agaya taake Mehboob ko nahin dikhe ke Abhi ne Ruhi ka haath thaama hua tha.

Phir Ruhi ki ek haath ne Shweta ko thaama tha aur usski dusri haath ko Abhi ne thaama tha aur Abhi ne dhire se Ruhi se kaha,

“ek baat kahun!”

Ruhi ne bhi dhire se kaha,

“jaldi kaho, main jaa rahi hoon, haath to chorro nah!”

Abhi ne bade pyar se kaha,

“Tumko baahon mein bharne ko mann kar raha hai!”

Yeh sunte hi Ruhi ne zor se apne haath ko jhatakte hue Abhi ke haath se chhuraaya aur muskuraate hue “shut up” kehte hue zor se hanssi aur Shweta ko lekar jaane lagi…. Jaate hue kayi baar hansste hue mudhkar Abhi ke taraf dekha Ruhi ne.

Uss pal ko Abhi ne itna passand kiya ke ussko laga Ruhi ab usski ho gayi!

Abhi ko Khushi iss baat ki thi ke Ruhi ghussa nahin hui, naraaz nahin hui, balke hansste hue jawaab diya aur hansste muskuraate hue ussko mudhkar baar baar dekhti gayi.

Aur jiss dauraan Ruhi weise muskuraate aur hansste hue Abhi ko dekhti jaa rahi thi to Tony ne bhi dekha aur Mehboob, Saeed aur Vinay ne bhi. Yeh Abhi aur Ruhi ne nahin dekha. Kehte hein nah jo pyar mein hota hai ussko aas paas kuch nahin dikhta sirf usska pyar dikhta hai…. Magar muhabat ke dushman sab kuch dekhte hein.

Ek baat aur hui thi, wo yeh ke jiss waqt Abhi ne Ruhi ka haath pakra tha Shweta ne bhi dekha, aur jitni der uss haath ko Abhi ne thaama tha utni der Shweta ne sab dekha tha, aur baar baar Ruhi aur Abhi ke chehre mein bhi dekh rahi thi bachchi, aur bachchi sahi magar samajh gayi ussi waqt ke Ruhi aur Abhi ek dusre ko jaante pehchaante hein pehle se. Aur iss liye Shweta ke liye Abhi ab ek apna jaisa ho gaya tha to wo baar baar Abhi ke paas aati aur baat karti thi uss din ke baad.

Kuch der baad Tony ne Abhi se kaha,

“yaar Mehboob aur Saeed tum donon ko dekh rahe the, khaas kar jab Ruhi tumse muskura rahi thi, Saeed aur Mehboob ke chehre dekhne laayak the uss waqt.”

Yeh sunkar Abhi ko shock laga aur pucha,

“kia unn logon ne mujhe Ruhi ka haath thaame hue dekha tha?!”

Tony: “nahin tab nahin, jab wo jaa rahi thi aur wo kiss tarah se tumse hanssti hui aur muskuraati hui jaa rahi thi wo dekh rahe the donon aur bilkool khush nahin the yaar! Uss ladki ko sunna padega dekh lena Mehboob zaroor Ruhi ki maa ko kuch to bolega!”

Abhi pareshan hua aur Tony se kaha aaj subha ko hi Ruhi ne uss se akele mein baat karne se mana kiya Mehboob ke saamne! To Tony ne kaha,

“Tab to gadbad hai bhai, bechari ko daant zaroor khana padega aaj!”

Abhi ne socha sala itna hassen lamha tha usske liye, Ruhi bhi shaayad itni khush thi uss waqt ke ussne khud khayal nahin kiya hoga ke Mehboob wahin hai aur Abhi se muskuraate hue wapas gayi ab ussko daant padegi Abhi ke khatir.

Thik 5 minat baad Mehboob apne ghar gaya…. Abhi ko laga wo ab kisi tarah Ruhi ki maa ko contact karega aur Ruhi ko daant padegi; phir Ruhi khafaa ho jaegi aur bilkool baat nahin karegi Abhi se ussko dekhne bhi nahin aegi….. Abhi ne socha shukar hai ke Mehboob ne Abhi ko Ruhi ka haath thaame hue nahin dekha…

Abhi ne ab socha ke wo khud Mehboob se baat karega, ussko bataega ke wo Ruhi ko chahta hai, ussko Ruhi se baat karne de, ussko usske paas jaane se roke nahin….. Abhi soch raha tha kia yeh sahi hoga Mehboob se kehna? Phir socha nahin abhi sahi waqt nahin aya hai wo sab kehne ke liye, pehle Ruhi to pyar ka ikraar kare tabhi Abhi aage badh sakta hai….

Magar Abhi yeh bhi to soch raha tha ke Ruhi to uss se pyar karti hai tabhi uss se chhup chhup kar baat karti hai, ghar ke piche chhup kar milti hai, ishaaron se baat karti hai, ussko khush karne ke liye shaam ko usske saamne rehti hai, yeh sab kyun karti hai kyunke wo bhi Abhi se pyar karti hai nah?

Phir bhi Abhi ne khud se kaha ab time agaya hai ke wo apne pyar ka izhaar kare Ruhi se, wo uss se ab kahe ke wo uss se pyar karta hai aur serious hai, aur wo wapas Ruhi ka pyar paane ki tamanna karta hai….

Phir Abhi ne khud se kaha ke kia yeh sab jaldi nahin ho raha hai? Kia aur thoda wait karna chahiye? Abhi ne socha kariban 5 se 6 mahine tak wahan kaam karne wala hai, abhi ek hafta guzra tha to bahot time hai aage badhne ke liye….. kum se kum 3 mahinon tak dekhna chahiye ke Ruhi ki rawayya kia hota hai, kia wo pyar ziada dikhaati hai ya mukar jaati hai, kia wo aur kareeb aati hai ya doorie rakhti hai, tab Abhi decide karega ke wo uss se pyar ka izhaar kare ya nahin…..

Abhi ek kashmakash mein tha, usska dil o dimaagh kaam nahin kar raha tha. Dil se sochta to ussko buss Ruhi chahiye tha , ussko Ruhi ko apnana tha kissi bhi kimat par, wo Ruhi ko khona to bilkool nahin chahta tha. Abhi chahta tha ke Ruhi hamesha ke liye usska ho jaaye. Wo Ruhi ko apni patni ke roop mein dekhta tha, chahta tha ke ek din Ruhi ko apni biwi ki tarah issi aangan mein apne ghar se ek damaad ki tarah aangan mein aaye….. usska sapna bada tha.

Abhi Ruhi ko apni bachon ki maa ke roop mein dekhta tha apne tassavur mein. Wo issi aangan mein ek din Ruhi ke saath apne bachon ko khelta hua dekhta tha.

Lunch time hua, Abhi washroom gaya, Ruhi nahin dikhi, ghar ke andar thi. Abhi ne socha ke ab lunch time mein Ruhi ke khidki ke paas jaa kar uss se baat karega aur jaanne ki koshish karega ke kia Mehboob ne usski maa se kuch kaha to nahin.

Magar jab Ruhi se baat karne gaya to Ruhi ne normal baat kiye balke Shweta bhi usske saath thi ussi kamre mein jab Abhi Ruhi se baat kar raha tha. Shweta bhi Abhi se baat kar raha tha,

Abhi ne Ruhi se kaha,

“tum jhoot bhi bolti ho?!”

Ruhi: “nahin to main ne kab jhoot bola?”

Abhi; “Ek itni pyari si chhoti behen hai kyun nahin bataya tha mujhe? Sirf ek badi behen hai kaha tha subha ko?!”

Ruhi zor se hansste hue boli,

“oh yeh Shweta, haan meri behen hai, cousin sister hai, mere chacha ki beti hai, wahin rehti hai jiss sheher mein silaayi ke liye jaati hoon!”

Abhi chahunk gaya aur kaha,

“are main ne socha tumhari sagi behen hai, kitni milti julti hai tumse? Bilkool tumhari tarah dikhti hai, so beautiful!”

Ruhi: “jhoot! Aap jhoot bol rahe ho, wo meri tarah nahin dikhti!”

Abhi: “Are haan she looks very very much like you, when she grows up, she will look exactly like you believe me!”

Ruhi: “No I don’t believe you, you are saying this only to have a pretext of talking to me isn’t it?!”

Abhi: “Why should I do so Ruhi? Do I need a pretext to talk to you?!”

Tab tak donon ko sunte hue Shweta ne pucha,

“Aap donon kiss language mein baat kar rahe ho? English hai nah?!”

Abhi ne Apne haath khidki ke andar karke Shweta ki gaal ko chute hue kaha,

“yes sweetheart, we are talking in English!”

Ruhi turant boli:

“lo! Issko bhi sweetheart keh diya aap bhi nah!”

Abhi ne tab hansste hue kaha,

“Are bache to sweetheart hote hi hein aur yeh kitni cute hai, hai nah?!”

Ruhi: “hmm aap abhi issko jaante nahin ho pakka shaitan hai yeh!”

Abhi ne tab Ruhi ko bataya ke jiss waqt wo Shweta ko lekar jaa rahi thi ussko dekhte hue Mehboob ussko dekh raha tha, kahin wo usski maa se report to nahin karega aur ussko daant to nahin padegi?!

Ruhi ne kaha ke

“bilkool nahin kyunke uss waqt main sab logon ke saamne thi, hum donon akele nahin the jaise iss waqt hai, to no problem.”

Abhi ko chain aya usski baat sunkar aur Ruhi ko yaad dilaya ke shaam ko saamne rahe usske jaate waqt. Ruhi ne haan kaha, aur ye bhi kaha ke ab wo sone jaa rahi hai to 3 baje tak ussko nahin dhundne ko.

Abhi ko bahot acha laga jab ruhi wo baat kahi to.

Kaam karte waqt Abhi sochta raha ke Ruhi kitni care karne lagi hai usska, ke khud bata diya ke ussko nahin dhudein kyunke wo 3 baje tak nazar nahin aegi.aur abhi ne khayal kiya ke 3 baje tak ussne araam se kaam kiya, sukoon se kaam kiya bina usske ghar ke taraf dekhe kyunke ussko pehle se pata tha ke wo so rahi hai. Varna wo baar baar ussko dhundta, usske ghar kek taraf dekhta, ussko dekhne ke liye utaavla rehta…..

Phir shaam ko Ruhi nazar aayi kitchen ke chawkath par baar baar bus ke taraf Abhi ko dekhte hue, khilti hui dikh rahi thi, khush dikh rahi thi, Abhi se muskura rahi thi, aankhon se ishara kar rahi thi, munh banaate hue kabhi kuch kah rahi thi to kabhi haath se ishara karte hue kuch keh rahi thi….. kaam end karne tak Ruhi Abhi se ishaaron mein baat karti rahi…. Ziada tar baatein Abhi samjha hi nahin magar sar hilla kar haan mein har baar jawaab deta raha kaam karte hue…..

Aur Abhi bahot Khushi se uss aangan ko chorra kaam end karne ke baad, Mahesh agaya tha, uss se kuch baatein bhi hui Abhi ki, aur Mahesh, aur usske dada se shake hand karte hue Abhi ne Ruhi ko wave kiya, aur aaj Ruhi ne thoda sa wave bhi kiya Abhi ko muskuraate hue, aur Shweta ko bheja Ruhi ne Abhi ko ek puppy dene ke liye.

Shweta daudti hui kitchen se aayi Abhi ke paas aur kaha,

“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Matlab Shweta ne pol khol diya to Ruhi apne chehre ko haathon mein chhupaate hue hanssne lagi…..

Bus mein ghar lautte waqt Abhi ne socha ke kyun Ruhi ne Abhi ko puppy dene ko bheja? Kia wo khud ek puppy to nahin chahti thi Abhi se usse wave karte samaaye? Ya Shweta ke roop mein Ruhi ne khud kiss kiya Abhi ke gaal par? Aur eisa sochte hue Abhi apne sapnon ki dunya mein kho gaya Ruhi ko dimaagh mein basaaye….

To be continued…. (3001 words)

Bahut pyara update hai bhai
Ab to full lagta hai ke Ruhi bhi bahut chahti hai Abhi ko
usski response se to yehi lag raha hai....
bhai main ne jab shuru mein uss darling baby shweta ke bare mein padha to dimagh mein aya ke wo Ruhi ki beti hai
pata nahin kyun eisa soch liya main ne... socha ke usski beti hai bina shadi ke issi liye wo Abhi se doorie rakh rahi thi
main ne socha Ruhi ki life ki koyi kahani hogi
byt i thought bad :D
bahut hi pyara update bhai, aap be chhoti Shweta ko bahut hi pyari dikhaayi hai aisi bachiyan sach mein bahot cute hote hein
aah ussi shweta ke jarye Abhi ko Ruhi ka haath pakarne ko mil gaya....
wonderful upodate bhai
 
Aakash.

ᴇᴍʙʀᴀᴄᴇ ᴛʜᴇ ꜰᴇᴀʀ
Staff member
Divine
Moderator
31,194
78,114
304
I had already said that Mehboob will cause trouble, now Abhi also cannot talk to Ruhi in front of him. A new character is also added to the story, which is very short and sweet. Shweta is very sweet and her innocence and fickleness make the mind happy, Abhi was also able to talk to Roohi under Shweta's excuse. Roohi smiles at everything, I think there is something behind this smile that Roohi is afraid to say. Abhi seems to have got entangled in a new problem due to the holding of her hand, but after talking to Ruhi, his tension has gone away.
As always the update was great, You are writing very well, Now let's see what happens next, Till then waiting for the next part of the story. Thank You...:heart::heart::heart:
 
king cobra

Well-Known Member
5,259
9,858
189
Update 12 Shweta

Uss din, din bhar acha mauka nahin mila Abhi ko wapas thik se Ruhi ke paas jaane ya baat karne ki. Iss liye ke Mehboob din bhar working team ke saath tha. wo kabhi Saeed ke saath khada rehta, to kabhi Abhi ke saath. Donon ko kaam karte hue dekhta aur jaise supervise kar raha tha.

Lagbhag 10 baje Abhi ne ek khubsurat chhoti si ladki ko dekha aangan mein Ruhi ke kitchen ke paas. Uss ladki ki surat Ruhi se kafi had tak milti julti thi. Abhi heyraan hua ke ab wo kaun hai, uss bachi ko Ruhi ke kitchen ke andar jaate dekha phir baahar aate phir Mehboob ke ghar jaate dekha phir aangan mein khelte.

Uss ladki ki shakal bahot milti thi Ruhi se, bilkool usski choti behen lagti thi. Abhi ne socha agar chhoti behen hoti to ruhi ussko zaroor batata nah? Ho bhi sakta hai ke uski behen hi ho magar Ruhi ne jaan bujh kar nahin bataya, kal Sunday tha to kahin gayi hogi nani ke yahan ya apni badi behen ke yahan ghumne iss liye nahin dikhi thi pichle hafte ko. Abhi aisa soch raha tha ke kuch der baad Ruhi ko bhi uss ladki ke saath khelte hue dekha aangan mein kitchen ke paas.

Phir kuch der baad Abhi ne Ruhi ko bicycle chadhte hue dekha. Abhi ko pata bhi nahin tha ke Ruhi bicycle bhi chadhti aur acha chalaati hai. Pehli baar wo dekh raha tha Ruhi ko bicycle par. EK khubsurat lady bicycle thi jo zaroor Ruhi ki hi thi.

Aur baad mein Ruhi uss chhoti ladki ko apne bicycle par bitha kar main road tak legayi phir ekaat baar aayi aur gayi uss bachi ko apne bicycle par. Aate jaate hue kayi baar Ruhi ne muskuraate hue Abhi ke taraf dekha magar thoda nazrein churaate hue.

Aur kaafi der baad Abhi ne uss chhoti ladki ko ‘didi’ bulaate hue suna Ruhi ko. To Abhi ko yakeen hua ke wo usski chhoti behen hi hai. To Abhi sochne laga ke subha jab Ruhi apni family members ke baare mein bata rahi thi to kyun nahin bola ke usski ek chhoti behen bi hai…. Yeh chhoti ladki jab Ruhi ki umar ki hogi to Ruhi se bhi ziada kubsurat dikhegi pakka yakeen tha Abhi ko, wohi naak naksha, wohi baal, balke thoda sa ziada lamba hi tha iss bachchi ki baal, chehra jaise parlour se make up karke aayi ho, ek daag ya chedh nahin chehre par, bilkool chikna, gori, meethi aur khubsurat awaaz.

Abhi ghanton bhar uss ladki ko dekhta raha kaam karte hue. Aur sochta raha ke aakhir wo hai kaun?!

Aur lunch time se pehle wo ladki Abhi ke piche khadi hokar chhup rahi thi Ruhi se, taake Ruhi ussko dhunde. To Abhi ne mudhkar ussko dekha aur dhire se pucha

“Tumhara naam kia hai baby?”

“Shweta” bachi ne jawaab diya, aur wohi cute si muskurahat thi usski bhi.

Abhi ne pucha,

“Tum kidhar rehti ho?!”

Ladki ne dhire se phussphusaate hue kaha,

“aap yunhi khade raho nah, varna Ruhi mujhko dekh legi”

Abhi muskuraya, aur Ruhi ke taraf dekha jo stairs par khadi Shweta ko dekh rahi thi Abhi se baat karte hue. Ruhi Abhi se muskuraayi aur thodi si awaaz oonchi karke kaha,

“Shwetu mujhe pata hai tum kidhar chhupi ho main ne tumko dekh liya woohoo!”

Shweta ne Abhi ke pant ko zor se pakar ke kaha,

“main kidhar hoon batao!”

Ruhi ne kaha,

“Tum Abhi ke piche chhupi ho!”

Ruhi ne jab wo kaha to Abhi ko bahot achcha laga. Abhi ka naam Ruhi ne eise liya jaise wo ghar ka ek sadasya tha, jaise Abhi yahin ka ek member tha, jaise mamooli baat thi Abhi ka naam lena, aur jaise Abhi yahin ka rehne wala hai aur sab ussko jaanta hai. Aur Ruhi ne Abhi ka naam jab liya to sab ne suna, Mehboob ne bhi, Saeed, Tony, Vinay ne bhi yahan tak ke Rahima aur Ruhi ki maa ne bhi suna.

Tab Shweta ne dhire se Abhi se pucha,

“Aap Abhi ho?”

Abhi ne ussko pyar se jawaab diya,

“haan baby main hi Abhi hoon isska matlab hai ke Ruhi ne aap ko dekh liya hai.”

Shweta: “Aap Ruhi didi ko jaante ho?”

Abhi: “haan sweetheart jaanta hoon achci tarah se jaanta hoon ussko magar Ruhi aap ka kia lagta hai?!”

Shweta: “wo meri badi didi hai!”

Abhi ne socha ke Ruhi ne uss se kyun chhupaya ke usski ek chhoti behen hai. Phir Ruhi ki awaaz aayi,

“Shweta, ab aajao ya main aaun tumko wahan se lene ko?!”

Shweta aur bhi zor se Abhi ke pant ko pakra usske piche hote hue. To ab Abhi chahta tha ke Ruhi wahan aakar Shweta ko lejaaye iss liye Abhi ne dhire se Shweta se kaha,

“Baby aap yahin chhupi raho, aur kaho Ruhi se ke wo aakar aap ko lejaaye!”

Tab tak Mehboob ne kaha,

“Are Shweta tum jao nah idhar se log kaam kar rahe hein tumko choat voat lag sakti hai, idhar mat khelo nah baby!”

Abhi ko ghussa aya Mehboob ki baat ko sunte hue aur Mehboob se kaha,

“Are rehne do nah Mehboob bhai, bachchi hai khelne do koyi khatra nahin hai idhar main dekh raha hoon nah!”

Aur jab Ruhi ne Mehboob ko weisa kehte suna to aane lagi Shweta ko lene ke liye. Tab Ruhi ko aate dekh kar Shweta zoron se hanssne aur chillane lagi,

“nahin, naah, main nahin aungi naah!!”

Ruhi ab Abhi ke itna close tha, ke Abhi ko ussko apne baahon mein bharne ka mann kiya. Abhi ne Mehboob ke taraf dekha to wo ussi ko dekh raha tha, aur jab Mehboob ne dekha ke Abhi ussko dekh raha hai to ussne apne chehre ko ek taraf kiya aur Saeed ko dekhne laga aur uss se baat karne laga tab tak Ruhi Shweta ki haath pakar kar khinch rahi thi aur Shweta chilla rahi thi jaane se inkaar karte hue, Abhi ne phir ek baar aur Mehboob ko dekha, aur dekha ke wo saeed se baat kar rahe hein to Abhi ne Ruhi ka haath pakra, yeh pehli baar hua tha…. pehli baar Abhi ne Ruhi ko chhua tha, Ruhi ne mana nahin kiya balke turant ussne bhi Mehboob ke taraf dekha aur ussne bhi dekha ke Mehboob saeed se baat kar rahe hein to apne haath ko Abhi ke haath mein rehne diya ek pal ke liye….

Wo sab kuch Tony ke saamne ho raha tha to Abhi ne Tony se kaha,

“yaar zara iss taraf ho jao nah taake Mehboob ko iss taraf dikhayi nahin de….”

Tony samajh gaya aur wo beech mein agaya taake Mehboob ko nahin dikhe ke Abhi ne Ruhi ka haath thaama hua tha.

Phir Ruhi ki ek haath ne Shweta ko thaama tha aur usski dusri haath ko Abhi ne thaama tha aur Abhi ne dhire se Ruhi se kaha,

“ek baat kahun!”

Ruhi ne bhi dhire se kaha,

“jaldi kaho, main jaa rahi hoon, haath to chorro nah!”

Abhi ne bade pyar se kaha,

“Tumko baahon mein bharne ko mann kar raha hai!”

Yeh sunte hi Ruhi ne zor se apne haath ko jhatakte hue Abhi ke haath se chhuraaya aur muskuraate hue “shut up” kehte hue zor se hanssi aur Shweta ko lekar jaane lagi…. Jaate hue kayi baar hansste hue mudhkar Abhi ke taraf dekha Ruhi ne.

Uss pal ko Abhi ne itna passand kiya ke ussko laga Ruhi ab usski ho gayi!

Abhi ko Khushi iss baat ki thi ke Ruhi ghussa nahin hui, naraaz nahin hui, balke hansste hue jawaab diya aur hansste muskuraate hue ussko mudhkar baar baar dekhti gayi.

Aur jiss dauraan Ruhi weise muskuraate aur hansste hue Abhi ko dekhti jaa rahi thi to Tony ne bhi dekha aur Mehboob, Saeed aur Vinay ne bhi. Yeh Abhi aur Ruhi ne nahin dekha. Kehte hein nah jo pyar mein hota hai ussko aas paas kuch nahin dikhta sirf usska pyar dikhta hai…. Magar muhabat ke dushman sab kuch dekhte hein.

Ek baat aur hui thi, wo yeh ke jiss waqt Abhi ne Ruhi ka haath pakra tha Shweta ne bhi dekha, aur jitni der uss haath ko Abhi ne thaama tha utni der Shweta ne sab dekha tha, aur baar baar Ruhi aur Abhi ke chehre mein bhi dekh rahi thi bachchi, aur bachchi sahi magar samajh gayi ussi waqt ke Ruhi aur Abhi ek dusre ko jaante pehchaante hein pehle se. Aur iss liye Shweta ke liye Abhi ab ek apna jaisa ho gaya tha to wo baar baar Abhi ke paas aati aur baat karti thi uss din ke baad.

Kuch der baad Tony ne Abhi se kaha,

“yaar Mehboob aur Saeed tum donon ko dekh rahe the, khaas kar jab Ruhi tumse muskura rahi thi, Saeed aur Mehboob ke chehre dekhne laayak the uss waqt.”

Yeh sunkar Abhi ko shock laga aur pucha,

“kia unn logon ne mujhe Ruhi ka haath thaame hue dekha tha?!”

Tony: “nahin tab nahin, jab wo jaa rahi thi aur wo kiss tarah se tumse hanssti hui aur muskuraati hui jaa rahi thi wo dekh rahe the donon aur bilkool khush nahin the yaar! Uss ladki ko sunna padega dekh lena Mehboob zaroor Ruhi ki maa ko kuch to bolega!”

Abhi pareshan hua aur Tony se kaha aaj subha ko hi Ruhi ne uss se akele mein baat karne se mana kiya Mehboob ke saamne! To Tony ne kaha,

“Tab to gadbad hai bhai, bechari ko daant zaroor khana padega aaj!”

Abhi ne socha sala itna hassen lamha tha usske liye, Ruhi bhi shaayad itni khush thi uss waqt ke ussne khud khayal nahin kiya hoga ke Mehboob wahin hai aur Abhi se muskuraate hue wapas gayi ab ussko daant padegi Abhi ke khatir.

Thik 5 minat baad Mehboob apne ghar gaya…. Abhi ko laga wo ab kisi tarah Ruhi ki maa ko contact karega aur Ruhi ko daant padegi; phir Ruhi khafaa ho jaegi aur bilkool baat nahin karegi Abhi se ussko dekhne bhi nahin aegi….. Abhi ne socha shukar hai ke Mehboob ne Abhi ko Ruhi ka haath thaame hue nahin dekha…

Abhi ne ab socha ke wo khud Mehboob se baat karega, ussko bataega ke wo Ruhi ko chahta hai, ussko Ruhi se baat karne de, ussko usske paas jaane se roke nahin….. Abhi soch raha tha kia yeh sahi hoga Mehboob se kehna? Phir socha nahin abhi sahi waqt nahin aya hai wo sab kehne ke liye, pehle Ruhi to pyar ka ikraar kare tabhi Abhi aage badh sakta hai….

Magar Abhi yeh bhi to soch raha tha ke Ruhi to uss se pyar karti hai tabhi uss se chhup chhup kar baat karti hai, ghar ke piche chhup kar milti hai, ishaaron se baat karti hai, ussko khush karne ke liye shaam ko usske saamne rehti hai, yeh sab kyun karti hai kyunke wo bhi Abhi se pyar karti hai nah?

Phir bhi Abhi ne khud se kaha ab time agaya hai ke wo apne pyar ka izhaar kare Ruhi se, wo uss se ab kahe ke wo uss se pyar karta hai aur serious hai, aur wo wapas Ruhi ka pyar paane ki tamanna karta hai….

Phir Abhi ne khud se kaha ke kia yeh sab jaldi nahin ho raha hai? Kia aur thoda wait karna chahiye? Abhi ne socha kariban 5 se 6 mahine tak wahan kaam karne wala hai, abhi ek hafta guzra tha to bahot time hai aage badhne ke liye….. kum se kum 3 mahinon tak dekhna chahiye ke Ruhi ki rawayya kia hota hai, kia wo pyar ziada dikhaati hai ya mukar jaati hai, kia wo aur kareeb aati hai ya doorie rakhti hai, tab Abhi decide karega ke wo uss se pyar ka izhaar kare ya nahin…..

Abhi ek kashmakash mein tha, usska dil o dimaagh kaam nahin kar raha tha. Dil se sochta to ussko buss Ruhi chahiye tha , ussko Ruhi ko apnana tha kissi bhi kimat par, wo Ruhi ko khona to bilkool nahin chahta tha. Abhi chahta tha ke Ruhi hamesha ke liye usska ho jaaye. Wo Ruhi ko apni patni ke roop mein dekhta tha, chahta tha ke ek din Ruhi ko apni biwi ki tarah issi aangan mein apne ghar se ek damaad ki tarah aangan mein aaye….. usska sapna bada tha.

Abhi Ruhi ko apni bachon ki maa ke roop mein dekhta tha apne tassavur mein. Wo issi aangan mein ek din Ruhi ke saath apne bachon ko khelta hua dekhta tha.

Lunch time hua, Abhi washroom gaya, Ruhi nahin dikhi, ghar ke andar thi. Abhi ne socha ke ab lunch time mein Ruhi ke khidki ke paas jaa kar uss se baat karega aur jaanne ki koshish karega ke kia Mehboob ne usski maa se kuch kaha to nahin.

Magar jab Ruhi se baat karne gaya to Ruhi ne normal baat kiye balke Shweta bhi usske saath thi ussi kamre mein jab Abhi Ruhi se baat kar raha tha. Shweta bhi Abhi se baat kar raha tha,

Abhi ne Ruhi se kaha,

“tum jhoot bhi bolti ho?!”

Ruhi: “nahin to main ne kab jhoot bola?”

Abhi; “Ek itni pyari si chhoti behen hai kyun nahin bataya tha mujhe? Sirf ek badi behen hai kaha tha subha ko?!”

Ruhi zor se hansste hue boli,

“oh yeh Shweta, haan meri behen hai, cousin sister hai, mere chacha ki beti hai, wahin rehti hai jiss sheher mein silaayi ke liye jaati hoon!”

Abhi chahunk gaya aur kaha,

“are main ne socha tumhari sagi behen hai, kitni milti julti hai tumse? Bilkool tumhari tarah dikhti hai, so beautiful!”

Ruhi: “jhoot! Aap jhoot bol rahe ho, wo meri tarah nahin dikhti!”

Abhi: “Are haan she looks very very much like you, when she grows up, she will look exactly like you believe me!”

Ruhi: “No I don’t believe you, you are saying this only to have a pretext of talking to me isn’t it?!”

Abhi: “Why should I do so Ruhi? Do I need a pretext to talk to you?!”

Tab tak donon ko sunte hue Shweta ne pucha,

“Aap donon kiss language mein baat kar rahe ho? English hai nah?!”

Abhi ne Apne haath khidki ke andar karke Shweta ki gaal ko chute hue kaha,

“yes sweetheart, we are talking in English!”

Ruhi turant boli:

“lo! Issko bhi sweetheart keh diya aap bhi nah!”

Abhi ne tab hansste hue kaha,

“Are bache to sweetheart hote hi hein aur yeh kitni cute hai, hai nah?!”

Ruhi: “hmm aap abhi issko jaante nahin ho pakka shaitan hai yeh!”

Abhi ne tab Ruhi ko bataya ke jiss waqt wo Shweta ko lekar jaa rahi thi ussko dekhte hue Mehboob ussko dekh raha tha, kahin wo usski maa se report to nahin karega aur ussko daant to nahin padegi?!

Ruhi ne kaha ke

“bilkool nahin kyunke uss waqt main sab logon ke saamne thi, hum donon akele nahin the jaise iss waqt hai, to no problem.”

Abhi ko chain aya usski baat sunkar aur Ruhi ko yaad dilaya ke shaam ko saamne rahe usske jaate waqt. Ruhi ne haan kaha, aur ye bhi kaha ke ab wo sone jaa rahi hai to 3 baje tak ussko nahin dhundne ko.

Abhi ko bahot acha laga jab ruhi wo baat kahi to.

Kaam karte waqt Abhi sochta raha ke Ruhi kitni care karne lagi hai usska, ke khud bata diya ke ussko nahin dhudein kyunke wo 3 baje tak nazar nahin aegi.aur abhi ne khayal kiya ke 3 baje tak ussne araam se kaam kiya, sukoon se kaam kiya bina usske ghar ke taraf dekhe kyunke ussko pehle se pata tha ke wo so rahi hai. Varna wo baar baar ussko dhundta, usske ghar kek taraf dekhta, ussko dekhne ke liye utaavla rehta…..

Phir shaam ko Ruhi nazar aayi kitchen ke chawkath par baar baar bus ke taraf Abhi ko dekhte hue, khilti hui dikh rahi thi, khush dikh rahi thi, Abhi se muskura rahi thi, aankhon se ishara kar rahi thi, munh banaate hue kabhi kuch kah rahi thi to kabhi haath se ishara karte hue kuch keh rahi thi….. kaam end karne tak Ruhi Abhi se ishaaron mein baat karti rahi…. Ziada tar baatein Abhi samjha hi nahin magar sar hilla kar haan mein har baar jawaab deta raha kaam karte hue…..

Aur Abhi bahot Khushi se uss aangan ko chorra kaam end karne ke baad, Mahesh agaya tha, uss se kuch baatein bhi hui Abhi ki, aur Mahesh, aur usske dada se shake hand karte hue Abhi ne Ruhi ko wave kiya, aur aaj Ruhi ne thoda sa wave bhi kiya Abhi ko muskuraate hue, aur Shweta ko bheja Ruhi ne Abhi ko ek puppy dene ke liye.

Shweta daudti hui kitchen se aayi Abhi ke paas aur kaha,

“babye Abhi, niche jhuko tumko kissy karti hoon Ruhi ne kaha!”

Matlab Shweta ne pol khol diya to Ruhi apne chehre ko haathon mein chhupaate hue hanssne lagi…..

Bus mein ghar lautte waqt Abhi ne socha ke kyun Ruhi ne Abhi ko puppy dene ko bheja? Kia wo khud ek puppy to nahin chahti thi Abhi se usse wave karte samaaye? Ya Shweta ke roop mein Ruhi ne khud kiss kiya Abhi ke gaal par? Aur eisa sochte hue Abhi apne sapnon ki dunya mein kho gaya Ruhi ko dimaagh mein basaaye….

To be continued…. (3001 words)

Bidu padhna shuru kiya to mujhe bhi laga ke ye Ruhi ki jaisi dikhne wali bachi Ruhi ki beti hai. Abhi bhi thoda shak hai. Ruhi ne kahin bachi ko sikhaya to nahin k ussko didi bulaaye aur Abhi se kahe ke wo usski didi hai hai.
Kahin aisa to nahin k Ruhi pehle se shadi shuda hai, divorcee hai, ya bin biyahi maa hai issi liye wo kabhi Abhi k saath bilkool different hoti hai?
Yeh busd ek aisa khayaal aya dimag mein.
Baaki update bahut badhya. Superb. Yeh Shwetanki introduction majedar raha aur Ruhi aur Abhinke bich k convo aur saare scenes top the.
 
aman rathore

Enigma ke pankhe
4,853
20,185
158
Update 2 What Will Abhi Do Now?

Aur teesri salary milne ke baad company ka dilwala nikla gaya aur band hogaya…… yeh sab kyun aur kaise hua agle update mein dekhte hein…..

Ab aaguey….

Company band iss liye hua ke jiss company ko aaj ki owners ke baap ne shuru kiya tha ab 4 bhai chala rahe the…. Charon mein tutu main main hota rehta tha company ke profits ko lekar inn mein se har ek jiada paisa chahta tha, koyi udata phirta tha paisa, sabhi ke wives the aur inn mein se kayi ke wives aise the jo bekaar mein kharch karte, desh videsh ghumne jaate, bekaar ke samaan kharidte, bade bade 5 star hotelon mein din guzaarte, high society walon ke beech waqt guzaarte, aur itna expense karte jitney ki heysiyat thi hi nahin…. Loan par loan lete gaye company ke naam par karonron mein aur bank ko pay back nahin kar paaye iss liye sab chaupath ho gaya….. company ke 300 karamchaari raaste par aagaye… kuch nahin ho paaya, seal lag gaye kaarkhaane mein aur sab apne jobs kho baithe…. Abhi bhi bekaar ho gaya….

Iss ek mahine mein abhi ne bahot enjoy kiya life ko. Har roz peena, ghumna, doston ke saath eysh karna, ache ache jagah jaana, Goa bhi chala gaya mauj masti karne, ladkiyon ko cherrna etc…

Phir takriban ek mahine tak dar dar ke thokrein khaane ke baad, Abhi ko ek din usska master milne aya. Master matlab jiss se Abhi ne company mein kaam seekha tha. usska naam tha Saeed. Saeed koyi 55 saal ka adher aadmi tha aur kyunke Abhi ne bahot jaldi kaam seekha tha aur bahot acha aur saaf kaam karta tha Saeed Abhi ko passand karta tha as a worker.

Ab hota yeh tha uss company mein ke jitney bhi bus owners the wahan se bus kharidne waale, unn logon se Saeed ki jaan pehchaan the. Wo ek bahot purana mulazim tha uss company ka to bus ke maalik log Saeed ko pehchaante the aur kabhi koyi bus ka hissa bigad jata tha to company mein marammat karne ki bajaaye weh log Saeed ke ghar jaakar uss se milte the aur bus ki marammat karne ko kehte jo saeed kar deta tha. Ab samajhlo ke uss marammat ko company mein bus lejaate to 50,000 rupay lagta, to wohi kaam Saeed bus owner ke ghar jaakar kar deta tha aur 10,000 mein kaam ho jata tha.

Iss liye ek din Saeed Abhi se milne aya aur kaha ke usske saath kaam par chalna hai. To Abhi gaya saeed ke saath aur koyi 25 kms ki doorie par ek bus owner tha jisski bus ka accident hua tha aur bus ke front side bilkool bigar gaya tha, to ussko wapas banana tha. uss kaam ke liye 20,000 manga Saeed ne aur owner daam par raazi hua aur kaam shuru hua. 20 dinon mein kaam ko pura kiya Saeed aur Abhi ne.

Saeed ne unn 20 dinon ke liye Abhi ko 5,000 diye aur apne liye 15,000 rakha. Abbi ke liye 5,000 kaafi tha 20 dinon ke kaam ke liye aur ussne Saeed se kaha ke weise hi aur kaam dhundein to kum se kum rozi roti chalta rahega, to Saeed ne kaha dhundna to mushkil hai magar bus owners khud usske paas ayenge tabhi kaam milega.

Jab wo bus wapas kaam karne laga to baaki ke bus owners jinko pata tha uss bus ki accident hui thi aur bus bilkool bigar gaya tha saamne se, phir 20 din baad uss bus ko wapas kaam karte hue dekh kar baaki ke bus owners heyraan hue aur pucha ke kiss ne bus ki marammat itni jaldi kar diye ke lagta hi nahin ke kabhi accident hua tha. iss tarah se saeed ka naam mashoor hone laga bus owners ke darmiyaan. Ek ke munh se dusre ke kaan tak baat feylti gayi aur saeed aur Abhi kaafi mashoor ho gaye tamaam bus owners ke beech. Thik ek hafte baad ek purane bus owner ne apne bus ki marammat karne ko socha kyunke usska bus kaafi purana tha 15 saal se kuch nahin kiya tha uss bus mein aur bahot saare andar ke lohe lagbhag sadh gaye the aur jab bus chalti thi to bahot saare shor hote the aur awaazein sunaayi dete the, passengers complaints karte the. To uss owner ne Saeed se contact kiye aur ek general repair ka kaam shuru hua uss bus mein jo Abhi aur saeed ne karna shuru kiya. Kaam bahot ziada tha bus mein, chasis se lekar upar ke tamaam welded lohe kharaab ho gaye the, naye lohe kharidne the aur kaafi sara alliminium ke tin bhi puraane ho gaye the wo bhi kharidna tha, to uss mein welding ka kaam bhi tha aur alliminium ke bhi, saare bus ke seats nikaale gaye, floorings mein dobara naye rivets lagaane the, wapas seats lagaane the, paint bhi karna tha, bus ke tamaan shishe bhi utaar kar naye rubber lagana tha tin mein jiss par sheeshe chipakte hein; iss liye Abhi ke ilawa Saeed ne aur do mulazimon ko dhunda saath kaam karne ke liye.

Yeh kaam 2 mahinon tak chala. Aur daam hua 60,000 rupay jo owner ne Khushi Khushi diya kyunke ussko pata tha yehi kaam agar company ki garage mein karwata to kariban 2 laakh rupay lag sakte the. Uss mein se Abhi ko 15,000 mila. Abhi bahot khush hua. Ussko life mein pehli baar itna paisa ek saath mila tha ussko. Itna paisa ussne kabhi dekha hi nahin tha ek saath. Ghar mein baap ko ussne 10,000 thama diya. Maa baap donon behad khush hue, bhai behen sab bahot khush hue. Baap ko ab samajh mein aya ke usska beta ab kuch ban gaya hai aur ghar ko sambhaal paega usske marne ke baad.

Abhi apne doston ko nahin bhoola tha, ussne kaafi saare programns banaaye doston ke beech, jinn dinon wo mushkil mein tha, tangi chal rahi thi, unn dinon jinn doston ne usska help kiya tha financially, abhi ne unn sabhi doston ke liye party diye, khub mauj masti kiye, daru pina, picnic jaana, goa jana ladkiyon ko taadna, flirt karna vaghaira vaghaira… wohi jo har naujawaan karta hai abhi bhi bilkool weisa hi tha aur sab kuch enjoy kiya karta tha….

Do hafte tak koyi kaam nahin mila tha to unn do hafton tak Abhi har roz peeta, masti karta, movies dekhne jaata, khub ghumta, long drives par jaata etc…

Phir chhote chhote kaam mile saeed ko jo hafte bhar mein pura ho jaata, chhote marammat, kabhi front windshield badalna, kabhi kahin ke seat banana, kabhi kuch aur karna…magar har kaam karne ke liye saeed abhi ko saath zaroor lejata tha kyunke akele unn kaamon ko karna naamumkin hote the.

Weise ahiste ahiste abhi kuch nah kuch kar liya karta tha jiss se jeb mein paisa bana rehta tha. kabhi iss sheher ke bus owner se jaan pehchaan hota to kabhi door kissi sheher mein, lagbhag 10 se 15 shehron tak ghum chuke the Saeed aur Abhi bus ke marammat karte hue. Fihaal sab sahi chalne laga tha…. magar abhi ke dil mein ek khaalipan sa mehsoos hota tha…. Wo apne dil ki maalkin ki talaash mein bhi laga hua tha…

Pure do saal beet gaye company ko bandh hue, aur inn do saalon mein takriban 20 se 25 bus owners ke yahan kaam kar liye the Saeed aur Abhi ne. Donon mashoor ho gaye the as bus coach builders. Aur door door tak desh mein innke naam ho gaye the bus ke maalikon ke beech.

Abhi raat ko jab apne diary mein likhta to udaas ho jaata aur likhta ke abhi tak usski zindagi mein wo nahin aayi hai jisski usse talaash hai. Likhta ke kahin na kahin to koyi bani hogi usske liye aur wo bhi abhi ka intezaar kar rahi hogi kissi kone mein. Abhi sochta, tassavur mein khote hue kehta ke…

“Wo din kaisa hoga jab ussko pehli baar dekhunga? Wo mujhko dekh kar kaisa feel karegi? Kia mere nazron mein wo padh paegi ke main usske liye bana hoon? Kia main ussko pehchaan lunga? Aur wo? Kia wo mujhko ek nazar mein hi pehchaan legi? Haan main to ussko dekhte hi samajh jaunga ke wo mere liye bani hai…. Kia mujhko uss tak pahunchne mein mushkilein pesh ayenge? Ya sab kuch asaan se ho jaega? Bichadna to nahin padega jaise Ruhi se bichda hoon?.”

Abhi almost har raat ko yeh sab sochta, yehi kuch likhta apne diary mein, aur kabhi uss copy book ko padhta jiss mein usske aur Ruhi ke beech ka tamaam kissa likha hai ussne, wo padhkar usske aakhen nam ho jaate aur wo ruhi ko sochne lagta aur sochta ke iss waqt Ruhi kitni badi ho gayi hogi, wo kitni khubsurat lag rahi hogi. Agar aaj wo yahan hoti to wo Abhi ke baahon mein hoti…. Abhi har raat ko kuch eisa sochte hue neendh ke aagosh mein chala jata….

To be continued…..
Amazing update casi bhai
 
Top