• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,872
143
Bhai lajawab , to main culprit samne aa hi gaya ,sach me feeling kya kya nahi kerwati.magar time sada chalte rehne ka nam hai aur dr avi. Ne isi sada chlayeman kriya ko rok kar bhari bawandar la diya hai . Dekhna bada romanchkari hoga aakhir sab milker issey par kese pate hai . ??
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Kaafi baatein mayank ko samajh aa gyi hain ab... aur ye bhi idea lag gya ki ye sab dr. Avishkar ki wajah se hua hai... ab to doctor se milke hi shayad koi raasta mile unhe inn sab chizon ko theek karne ka... dekhte hain mayank aur uske saathi ab kya karte hain... mast update... keep posting :dost:
:thanks: Devraj007 bhai :dsot:
haa unnse bhi mulaqat jald hi hogi
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Bhai lajawab , to main culprit samne aa hi gaya ,sach me feeling kya kya nahi kerwati.magar time sada chalte rehne ka nam hai aur dr avi. Ne isi sada chlayeman kriya ko rok kar bhari bawandar la diya hai . Dekhna bada romanchkari hoga aakhir sab milker issey par kese pate hai . ??
:thanks: Anky@123 bhai :dost:
bilkul bhai, ab waqt aagaya hai sare raaz se parde uth jaaye
saath bane rahiye bhai :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 33 Tenth-Dimension

Mayank ki yeh baat sunkar sabhi ke rongte khade ho jaate hai..kisiko yeh samaj nahi aa raha tha ki voh ise kese samje
Manthan “10th dimension, kese..??”

Mayank “mai samjta hu..jo baate muje Trod ne batayi thi”


Ab aage…

“Dimensions jise hum saral bhasa me hum aayam kehte hai, par yeh hai kya..??” mayank ne sabhi logo se sawaal kiya, jiska jawab har koi janta toh tha lekin abhi ke haalat aur paristhiti koi dekhte hue koi kuch nahi bola

“yeh saara khel hi toh iss aayam ka hai” sam ne mayank ke sawal ka jawab diya “I think tuje ise behtar tarike se samjana hoga taaki yaanha maujud har ek insaan ko yeh samaj me aaye ki aane vali ladayi aasan nahi hone vali”

“Thik hai..mai koshish karunga ise ache se ache tarike se samja saku”
kehte hue mayank ne samjana shuru kiya “ab mai jo batane jaa raha hu..ise samaj ne ke liye aap sabhi ko ekdum shant hokar meri har baat ko dhyaan se sunna hoga..sirf itna hi nahi..meri har ek baat ko aapko khud imagine karna padega..tab jaakar shayad aap sabhi ko iss baare me samaj me aaye”

“I think shayad yeh hamari life ka sabse important chapter hone vala hai, aur uski exam Zorians ke saath hone vali ladayi hogi, we are ready”
manthan ne sabhi ke chehre ko dekhte hue kaha

Pathik “bilkul mere bhai, aaj hum janenge ki aakhir me yeh kudrat hai kya” jiske baad mayank bolna shuru karta hai

Dimensions kya hai..?? ise samajne se pehle hume kuch aur chiz samajni hogi, jiss tarah hum physics (bhautiki) me kisi chiz ko manpte hai..like Temparture (tapmaan) ko kelvin ya Celsius me, lambai(length) ko metre me, time ko hours (ghante) me, aur current ko ampere me..usi tarah se bhramand me ho rahi sabhi ghatnao ko hum dimensions yaani aayam me manpte hai…According to String theory universe me 10 dimensions hote hai

Shuruwat hoti hai zeroth dimensions se, ab imagine kijiye ki prakruti ne aisa ek jeev banaya hai jo naa toh aage badh sakta hai aur naahi voh mud sakta hai, aur yahi jeev zeroth dimension me maujud hai..yaani ke iss jeev ka koi bhi aakar nahi hoga..kyunki zero ka matlab hota sunya..nothing
So hum iss jeev ko ek dot maan lete hai..kyunki dot ka koi bhi aakar nahi hota, yaani ki yeh jeev naa toh aage jaa sakta hai aur naahi piche, naa hi daaye jaa sakta hai aur naahi baaye..voh hamesa apni jagah par sthir hai..yaanha tak ki yeh jeev apne jagah par ghum bhi nahi sakta

Ab sabse intresting baat yeh hai ki aane vale sabhi dimensions ka aadhar issi zeroth dimension par nirbhar karta hai..so now imagine kijiye ki yahi zeroth dimension ke do points hai..point A aur point B
Ab hum yeh maan lete hai ki yeh dono points ek dusre se kuch duri par maujud hai..agar mai unn dono points ko ek line se join kar deta hu..toh jo jeev zeroth dimension me maujud hai voh ab iss line me hi aage aur peeche jaa sakta hai…jise hum First Dimension kehte hai

Ab agar yeh jeev aage piche chalne ke saath saath daye aur baaye dono side me chal sakta hai toh ise hum Second Dimension kehte hai…example ke taur par kahu toh aap sab ne hi purine Nokia ke phone me saanp vaala game jarur khela hoga..bas ise hi toh Second Dimension kehte hai

Ab baat aati hai Third Dimension ki, maan lijiye ki ab uss jeev ki jagah par hum khud hai..yaani ke insaan aur insaano ke dwara banayi gayi yeh duniya..so ab aap sab yeh aasani se dekh sakte hai ki hum duniya me aage piche, left-right ke saath saath upar niche bhi jaa sakte hai, hamare aaspass rahi har ek chiz three dimension ko represent karti hai..simple bhasa me kahu toh length(lambai), width (chaudayi) aur height (unchai)
Agar mai hamare human body ke bhi sabse chote se chote chiz yaani atoms ki baat karu toh voh bhi three dimension hi hai..yaaha tak ki atoms ko bhi agar mai todu toh unn me maujud electron, proton aur neutrons bhi three dimensional hai

Itna toh hum sab jaante hai, ab baari aati hai ek dilschasp chiz ki..aane vale sabhi dimension kya hai yeh batata hu
Fourth dimension..jise hum time(waqt) kehte hai..jisme abhi hum chal rahe hai, itna toh hum sab jaante hai ki yeh tino dimension aur time aapas me connected hai..jise hum space-time relativity bhi kehte hai
Hum ek saral rekha me samay me aage badhte jaa rahe hai..anant tak, past se present, present se future, aur isi samay ke saath hi hum bache se jawan aur jawan se budhe hote chale jaa rahe hai, ise hi fourth dimension kehte hai


Fifth-Dimension, yahi se shuruwat hoti hai parallel world aur parallel universe ki

“kya..?? parallel world aur parallel universe alag hai..??”
manthan ne mayank ki baat ko bich me kaat te hue pucha

“haa, but not entirely, ek tarah se hum keh sakte hai” mayank ne jawab dete hue kaha

Itna toh hum jaan gaye hai ki hum samay me aage toh badh rahe hai..lekin yeh kesa hota ki agar hum samay me left-right bhi jaa sakte….isi aur aane vaale dimsenisons ko mai behtar tarike se samaj ne ke liye mai ek example deta hu..jise aap sab jante bhi hai

Maan lo ki life me aap ke pass apna career banane ke 2 option hai, ek me aap scientist banna chahte hai aur dusre me architecture banna chahte hai
Agar mai fourth dimension ki hi baat karu..jisme abhi hum chal rahe hai..toh aap iss dimension me inn dono option mese sirf ek option select kar paate aur usi disha me apna career banate


Lekin fifth dimension me yeh possible hai, I mean aap time me left ya right mudkar apne dono hi career ko jee sakte hai..lekin yaha ek interesting baat aati hai, Aap ke yeh dono zindagiya alag alag hongi..yaa fir yu kahi ki dono hi alag alag duniya hongi..jise hum fifth dimension kehte hai

Pathik “just like Earth-1 and Earth-2, ek me manthan ki girlfriend Siddhi hai aur dusre me Manthan ki girlfriend Paridhi hai”

Manthan “ab samja, yeh hua parallel world, fir parallel universe kya hoga..??”
mayank ek baar fir bolna shuru kiya

Ab fifth dimension me hum yeh toh samaj gaye ki dono hi life hamari alag alag chal rahi hai alag duniyao me, ab kesa hota ki agar hum apni dono jindagiyo se ek saath mil paate..?? yaani aapke scientist vaali zindagi apne dusre option yaani architecture vali zindagi se mil paati
Actually aisa karne ka hamare pass do option hai..ek duniya jisme aap scientist ban chuke hai, voh time-travel karke samay me piche aata hai jab aapne apna career select kiya tha, aur aapka jo scientist vala pratiroop jo samay me piche aaya tha voh ab aapke architecture vale pratiroop ke samay me ek saath chale aur jab aap architecture ban jaate hai tab aapke dono hi pratiroop ekdusre se mil sakte hai..but aisa karne me bahut jyada waqt gujar jayega..dono hi pratiroop ko ek bahut hi lamba safar karna padega
Ab baat karte hai dusre option ki, isme aapke scientist vale pratiroop ko time travel nahi karna hai..balki ek shortcut rasta apna padega, yeh rasta inn dono hi duniya ko jodega jaha par ek me aap scintist hai aur dusre me architecture..isi shortcut raste ko hum sixth dimension kahte hai

Ab baat karte hai seventh-dimension ki, jesa ki hum jaante hai ki hamare iss universe me sabhi dimensions infinite hai, like time hamesa aage hi badhta rehta hai..anant (infinite) tak, hamara universe ki length, width aur height ko dekha jaaye toh voh bhi infinite hai..so ab hum yeh imagine karte hai ki hamara yeh infinite universe ek zeroth dimension hai..matlab ki ek nothing point jiske andar hamara anant brahmand hai..iss universe me already saare 6 dimensions kaam kari rahi hai, bilkul usi tarah jese humne zeroth dimension me jaana tha, aur ek aise jeev ki kalpana ki thi jo iss zeroth dimension ke andar kaid hai aur voh kahi nahi jaa sakta hai

Agar mai hamare anant universe ko ek zeroth dimension maan leta hu jiske andar sare 6 dimenison infinite hai, thik issi tarah hamare hi universe ke jesa ek aur infinite universe hai jiske andar physics ke laws shayad thode alag tarah se kaam kar rahe hai, aur yeh pura infinite universe hamare hi infinite universe ki tarah zeroth dimension hai..ab agar hum apne universe se iss dusre universe me jaane ke liye jo rasta apnayenge use hi seventh dimension kahenge..jesa ki humne shuru me zeroth aur first dimension ko samja tha..thik usi tarah yeh rasta hamare dimension aur uss dusre universe ko aapas me jod dega

Jesa ki humne starting me yeh dekha ki ek jeev second dimension me aage piche aur left right jaa sakta tha thik vese hi..thik isi tarah hum kisi teesre hi sambhavna vali duniya me jaaye..toh usi raste ko hum eighth dimension kahenge

Just like third dimension, agar hum kisi aise universe me travel karte hai, aur jo rasta hum apnayenge use hi hum nineth dimension kahenge

Sabse aakhir me aata hai tenth-dimension, jese hum forth dimension yaani time ko mehsoos karte hai ki voh future me infinite hai..thik isi tarah hum 10th dimension me infinite universe me aage badhkar up-down, left right, forward backward jaa sakte hai


“wow, sach me yaar mera toh dimaag hi ghum gaya, so yeh baaki ke universe ko parallel universe keh sakte hai” manthan ne sabkuch sunne ke baad kaha

Sam “lekin tune Zorians ke baare me toh kuch bhi nahi bataya”

Mayank “Zorians ek aise jeev hai jo iss 10th dimension ke andar maujud saare 9 dimensions me palak japakte hi aa jaa sakte hai” mayank fir ek baar bolna shuru kiya

String theory yeh bhi kehti hai ki jo bhi ghatna hamare dimaag me jaane anjaane me ghat rahi hai..fir voh koi bhi ho, kesi bhi ho..voh ghatna isi 10 dimensions ke andar rahe universe me kahi na kahi ghat rahi hai..jaha par physics laws ulte kaam kar rahe hai
Mere kehna ka bas sirf yeh matlab hai ki infinite persons ke dimag me jo infinite ghatnaye chal rahi hai voh iss 10 dimension ke andar kahi na kahi kisi bhi universe me ghatit ho rahi hogi yaa fir already ho chuki hogi

Pari “toh iska matlab toh yeh hua ki hume jo sapne aate hai, jo hum faltu ke bematlab chiz bhi dekhte hai voh sab real life me kahi bhi sach me ho rahi hai..??”


Mayank ne pari ki aur dekhte hue “haa pari, bilkul..isiliye toh scientist kabhi bhi yeh nahi jaan paaye hai ki hume sapne kyu aate hai..?? aur unn sapno par hamara control kyu nahi hota..lekin yeh sab chize toh hum insaan ke samaj ne ke bahar hai, bahar kya impossible hai..hum yeh baat kabhi nahi samaj payenge”

Akshita “yeh toh samaj me aagaya ki Zorians itne powerful kyu hai, aur yeh bhi samaj me aajata hai ki hum unn se kabhi nahi jeet payenge”
voh mayus hote hue kehti hai

Pari “nahi akshita, abhi bhi kuch aisa hai jo manthan ne nahi bataya, ek mauka hai jisse hum jeete sakte hai”

Akshita “kya..??”

Mayank “sirf ek chiz aisi hai jiska har universe me behaviour ek jesa hai, voh hamesa ek hi disha me lagatar aage badhti hi rehti hai”

Sam kuch sochte hue kehta hai “time, voh hamesa apna roop ek jesa hi rakta hai, voh chahe kam gati se badhe yaa jyada..lekin voh hamesa aage badhta rehta hai”

Mayank “bilkul..aur yahi waqt hume jung ladne me madad karega”

Sam “but how..?? time-line tut chuki hai”

Mayank “filhaal iska jawab mai nahi jaanta, mai yeh bhi nahi jaanta ki hum yeh kese karenge..lekin karenge jarur, hume karna hi hoga”

Akshita “vahi toh hum bhi keh rahe hai, mere toh kuch bhi samaj me nahi aa raha, 31st century me bhi iss tarah ke sawaal ke jawab maujud nahi hai”

Aarav “hum aisi jeev se lad rahe hai jisse ke samne tikna impossible hai, fir hum unse kese ladenge..?? agar hamare pass unke jesa koi hota toh shayad hum jeet sakte the, manthan tuje unn aliens ko saath me lekar aana chahiye tha”

Mayank “nahi aarav, voh bhi hamare tarah ek jeev hai, voh Zorians ke samne nahi teek paate, lekin koi hai jo isme hamari madad kar sakta hai”


Siddhi “aur voh kya chiz hai..??”

Mayank “time-wraiths..voh Zorians se lad sakte hai, aur unhi ki madad se hum Zorians se ladenge”

Sam “par tuje aisa kyu lag raha hai ki hum Zorians se jeet payenge”

Mayank “kyunki yeh waqt hi hume aisa karne ke liye keh raha hai”

Paridhi “kese..?? tu abhi bhi puri baat nahi bata raha”


Mayank “trod ne yeh kaha tha aaj tak Zorians se koi iss liye nahi jeet paaya kyunki Zorians ek cheez se hamesa darte the..voh hamesa uski respect karte hai” usne sam ki taraf dekhte hue kaha

Sam “T…II…MMMM..EEEEEEE” voh chaunkte hue bola

Akshita “Zorians ke baare me hum sirf itna jante hai ki voh hamesa apne spaceships ki speed light ki speed se kam rakhte hai, voh time-travel karne ke sakht khilaaf hai”

Mayank “exactly, Zorians ka sirf ek hi dushman hai, sabse bada dushman..Time” fir voh thoda rukkar kehta hai “zorians ko yeh pata chal gaya hai ki time-tut chukka hai aur voh uska fayda utha rahe hai”

Sam “toh ab hum kya kare..??”

Mayank “Zorians se pehle hume ek ladayi time se ladni hogi, hume waqt par jeet haasil karni padegi aur uske baad hi hum Zorians se lad sakte hai”

Akhsita “aur yeh hum kese karenge..??”


Mayank “uss doctor se milkar, voh hi hume aage ka rasta bata sakte hai”

To be continued..

End of Phase-III
 
Last edited:

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
Ye jo 10th dimension wali theory thi na isne dimag ko ghuma diya poora but overall interesting hai

Meko hamesha se aise articles ache lagte hain like grandpa paradox theory aur butterfly effect wagerah ye sab theories aisi cheejon se judi hui hain jinhe hamara besic science hamesha se nakarta raha hai babajood iske inka wajood apni jagah banaye hue hai har baar kuch aisi cheejen hoti hain jinhe science explain nahi kar pata aur aisi cheejon ke baare me jaan na hamesha interesting lagta hai

Aur uske baad ek aap jaisa writer jo aisi theories ko la ke ek jagah rakh de aur ek dhage me piro de adbhut shandar rachna hamesha ki tarah

Mai baaki readers se kahna chahunga agar upar se gaya ho to dobara padho kyonki ye bepar ka fenka nahi gaya hai badi famous theories ki madad se is story ko joda hai milan bhai ne

Once again superr update

:applause:
 

Devraj007

मुसाफिर अंजान राहों का....
6,016
7,785
143
update posted friends
last and final phase of story will begin in two days
saath bane rahiye aur support karte rahiye
:thanks:
मयंक ने सबको Dimensions के बारे में समझा दिया और zorians से कैसे जीत सकते हैं ये भी बता दिया... अब सबको अपनी पूरी ताकत से लड़ना होगा और टाइम के सहारे zorians को हराना होगा... देखते हैं ये सब क्या करते हैं और कितना सफल हो पाते हैं इस लडाई में... बढ़िया अपडेट था मिलन भाई...
इंतजार रहेगा अगले अपडेट का :dost:
 
Top