• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Bahi badiya update me feel.ker rha tah me class room m hu aur physics ke professor lecture de rhy hai .. 10 dimensions ko aapne bahut easy way m batla diya. Lagta h agle update m jarur dr avi se mulakat hogi
:thanks: Anky@123 bhai :dost:
hahahah are bhai professor toh nahi hu
bas ek theory ko samja ne ki koshish kari hai
saath bane rahiye
 
  • Like
Reactions: Kirti.s and Rahul

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 34 (Human v/s Time)

Janam aur maut..yeh hamari jindagi ke do ese pehelu hai jise saara brahmand juda hua hai, lekin kya kabhi kisine yeh socha hai ki agar dono mese koi ek naa hota toh kya hota..?? kya hota agar kisi ki jindagi me maut naa hoti..kya hota agar kisiki zindagi hi naa hoti..??

Lekin yeh ek esi sachaayi hai ke jindagi maut ke bina adhuri hai aur maut jindagi ke bina..brahmand me aisi koi jagah nahi hai janha bina mrutyu ke jivan ho..aap pure brahmaand me kahi bhi chale jaao..jeevan ka aarambh mrutyu se hi hota hai..fir voh janam chahe hamare brahmaand ka hi kyu naa ho

Agar mai yeh sawal karu ki jivan pehle aaya tha ya mrutyu…toh kahi saare log apni mangadh kahaniya banayenge..par vastavikta kuch aur hi hoti hai, asal me yeh koi nahi jaanta ki sabse pehle kya aaya tha
Janta hu aap sab log soch rahe honge ki yeh mai kya bakwaas kar raha hu..lekin iss baat par guar karna bahut hi jyada awasyak hai...kehte hai ki brahmand ki shuruwat big bang se hui thi..aur pruthvi par jeevan ki shuruwat paani se hui thi

Par yeh kitna sach hai yeh kise pata..?? Mera matlab ki bigbang se pehle kya tha..andhkaaar, aur uss andhkar ke khatam hone par hi toh brahmand ka janam hua hai..yeh kehna galat nahi hoga ki andhkar ke mrutyu hone par brahmand ka janam hua hai..toh yaha fir meri baat sahi saabit hoti hai..kisi bhi chiz ka jaanam mrutyu ke baad hi hota hai

Lekin fir hamare samne ek aur sawaal aakar khada ho jaata hai..aakhir aandhkaar ka janam kese hua..?? kehne ko toh hum bahut kuch keh sakte hai..lekin jab baari saboot ki aati hai tab hamare pass iska koi jawab nahi hota..naa hamare science ke pass aur naa hi hamari intellegance ke pass

Isliye yeh tay karna asambhav hai ki pehle janam hua tha ya mrutyu..par yeh saaf pata chalta hai ki janam aur mrutyu yeh dono hi chize aapas me judi hui hai..dono hi ek dusre par nirbhar hai..kisi ek ke naa hone par dusre ka astitva apne aap hi mit jaayega

Shayad kudrat ne isiliye hum insaan yaa brahmand me maujud har ek chiz ki ek aayu (age) nirdharit ki gayi hai..jo waqt aane par khud hi apne aap ko khatam kar degi
Lekin khatam hone ke matlab sach me khatam hona hai..?? iska jawab hai nahi..khatam hone par ek nayi chiz ka janam hota hai..aur voh nayi chiz kya hogi iski kalpana koi nahi kar sakta, na mai..na aap aur naahi koyi anya jeev..sivay ek chiz ke

hum jiss brahmand me reh rahe hai voh vastavik me yeh kya hai..?? kya sach me yeh brahmand hi hai yaa fir kuch aur..?? kyunki hum insaan toh sirf hamare iss brahmaand ke ek chote se bhi chote hisse me rehte hai, lekin fir bhi hum yeh tak kalpana kar dete hai ki brahmand se aage kya hai, yaa fir piche..par asal me yeh kabhi nahi jaan paaye ki aakhir brahmand hi kya hai…??

Yeh kuch aise sawaal hai jiska jawab mai toh nahi de sakta..lekin koi hai jo inn saare sawalo ke jawab jaanta hai, voh yeh jaanta hai ki yeh asal me brahmand hi hai yaa fir kuch aur..?? brahmaand se pehle kya hua tha aur baad me kya hoga..har ek sawaal ka jawab uss chiz ke paas hai jiska shabdh bahut hi chota hai

Haa sahi samje aap, mai usi chiz ki baat kar raha hu jise hum WAQT(TIME) kehte hai..sirf vohi janta hai ki akhir me janam se pehle kya tha..janam ke baad kya hai..aur mrutyu ke baad kya hone vaala hai
Hum yeh maan lete hai ki jise hum brahmand kehte hai voh asal me brahmand hi hai aur uska sabse bada sashtra..sabse bada hathiyaar yeh Time hi hai…jise naa toh toda jaa sakta hai aur naa hi moda jaa sakta hai

Time hamara dost hai..vohi toh hume janam aur mrutyu deta hai..shayad isiliye Time sirf hamare hi nahi..balki iss pure mutli-universe me yeh sabse jyada taqatwaar hai..toh hum isse harayenge kese..??

Mayank ne apni baat kehte hue sabhi se ek aisa sawaal kiya jiska jawab kisi ke pass nahi tha “agar ek waqt ke liye time ruk bhi jaata hai toh uss palme hui ghatna bhi time me ho rahi ghatna ke jesi hi hogi..hum apne bole hue shabd ko vaapis nahi le sakte, humare dwara kiye gaye kaam bhi vapas nahi le sakte”

Manthan “matlab ki yeh jo movies me dikhate hai ki time ruk gaya hai aur space time ke bahar bhi koi jagah hai jaha time nahi gujarta..voh juth hai..??”

Mayank “nahi manthan, yeh juth toh nahi hai, par sach bhi nahi hai, bas uss jagah ka time hamare time se thoda alag hota hai, uss jagah par kiye gaye har ek kaam hamare time se koi relation nahi rakhte, bas farak itna hai ki vaha kiye gaye kisi bhi kaam ka asar hamare time-line par nahi padta”

Sam “inshort time ke roop alag ho sakte hai..par voh kabhi rukta nahi hai”

Mayank “exactly, jese hamara milky way galaxy khatam hota toh uske baad Andromeda Galaxy aata hai, jaha hamara universe khatam hota hai toh ek dusra universe aata hai, lekin yeh saari chize kahi na kahi hoti toh ek saath hi hai”

Pathik “mai kuch samja nahi mere bhai”

Mayank “hum dono ke ghar kaha hai..??”

Pathik “sector-58 me”

Mayank “aur sector-58 kaha hai”

Pathik “delhi me”

Mayank “delhi kaha hai..??”

Pathik “india me”

Mayank “india kaha hai”

Pathik “earth me”

Mayank “thik vese hi earth hamare solar system me, hamari solar system milky way galaxy me, aur hamari galaxy iss brahmand me, aur yeh brahmand ussi bhi kisi badi chiz me”

Pathik “tu kehna chahta hai”

Mayank “bas itna hi ki humare ghar alag hai, dono ke structure, design alag hai..lekin voh hai toh hamare iss brahmand ke andar hi” fir voh thoda ruk-kar kehta hai “tere ghar me agar kuch tut-ta hai toh uska asar sirf tuje pata chalega, uska koi bhi asar mere ghar par nahi padega..aur naa hi mai yeh kabhi jaan paunga ki tere ghar me kya tuta hai” fir voh vahi par side me baith te hu kehta hai “agar tera ghar tut kar gir bhi jaata hai toh usse mere ghar ko koi farak nahi padega..mera ghar toh vese hi rahega jese voh pehle hai”

Sam “thik isi tarah hamari time-line tut gayi hai, lekin jo jagah space time ke baahar hai vaha par uska time toh chal hi raha hai, toh hamare timeline ke tutne ka asar uss jagah ke timeline par koi asar nahi karega”

Manthan “matlab agar koi ghatna space time ke baahar ghatit ho rahi hai toh uska asar hamari time-line par nahi padega, agar hume voh event change karni hai toh hamare time-line me time-travel karke use badal nahi sakte”


Mayank “exactly, ab yeh dusra time kya hoga kesa hoga yeh toh hamare bas ke baahar hai”

Manthan ‘yeh toh samaj me aagaya ki time-line tutne par bhi hum log jinda kyu hai..par yeh samaj me nahi aa raha ki parallel worlds ki earth tabaah kyu ho rahi hai”

Mayank “jesa ki abhi maine kuch waat pehle kaha, ghar jab tutta hai toh uske andar maujud har ek chiz bhi tut jaati hai, yeh time hamara ghar hai aur parallel worlds ghar ke andar ki chize”

Siddhi “toh hum iss tabahi ko rokenge ke kese..??”

Mayank “hum ise rok nahi sakte..lekin bacha jarur sakte hai”

Pathik “ghar jab tutta hai toh instantly nahi tutta, jab tak voh khud ko bachaye hue hai voh apni chizo ko bacha sakta hai, jabtak ghar ki diwaare majboot hai tab tak andar ki chize sahi salamat hai”

Mayank “hume bhi yahi karna hai, aur jab ghar tut jaata hai toh use hum dubaara banate hai, hum apne waqt ko bachayenge bhi aur use dubara banayenge bhi”


Paridhi “isiliye tune yeh kaha ki hume Zorians se pehle time se ladna hoga”

Mayank “haa pari, agar waqt hi nahi raha toh Zorians se ladkar koi fayda nahi, hum khud khatam ho jayenge..yeh ladayi pure history me hone vaali eklauti ladayi hogi, yeh ladayi hai HUMAN v/s TIME”

Siddhi “toh kya Zorians par iska asar nahi ho raha hoga..?? I mean voh bhi toh time se hi jude hue hai”

Akshita “agar unpar asar ho raha hota toh hume pata chal hi jaata, lekin yanha par baat kuch aisi hai jo hum bhi puri tarah se nahi jaante”

Mayank “exactly, trod ne jo bataya voh bas ek myth hai, jo use bachpan me kahaniyo ke taur par sunate the..asal me reality kya hai yeh toh voh bhi nahi jaanta”

Sam “isiliye toh hume brahmaand ke sabse taqatwaar hathiyaar ko laana hoga”

Pathik “bas ek sawaal manthan, yeh space time se bahar vaali jagah kaha hogi, kya yeh hamari tenth-dimension me hogi yaa fir kahi aur..??”

Mayank “yeh jagah naa toh hamare 10th dimension me hogi..aur naa hi yeh khud koi dimension hoga”

Uske baad yeh sab kuch der ke liye chup ho jaate hai, Aarav kuch sochte hue kehta hai “manthan, tu time-wraiths ko kese hamare saath layega..?? I mean voh toh sirf tabahi hi kar rahe hai”

Mayank “sach kahu toh iss baare me bhi mai nahi jaanta, hume doc se aaj hi milna hoga”

Pathik “hum sab chalenge bhai, lekin abhi nahi..raat ke karib 2 baje ke aaspass, lekin..”

Mayank “lekin kya..??”

Pathik “hum nahi jante ki voh kaha hai”

Mayank “shayad mai jaanta hu voh kaha hoga” ne sochte hue kaha

Pathik “kaha par..??”

Mayank “particle accelerator ki pipeline me, usse behtar jagah aur koi naa hogi”

Uske baad yeh sab log raat ke 2 bajne ka intezaar karne lagte hai, Kruti-Pathik, Manthan-Siddhi, Sam-Akshita aapas me waqt beeta rahe the, aur vahi aarav mayank aur pari aapas me milkar baat kar rahe the
Aarav “manthan, I am sorry..muje itna gussa nahi karna chahiye tha”

Mayank “nahi aarav, sorry ki koi jarurat nahi hai..kyunki tune sach hi kaha tha..maine hi pari ko maaara hai..apne haatho se”

Paridhi “please manthan..” voh uske kandhe par haath rakhte hue kehti hai

Aarav “mai nahi janta tu kya bol raha hai, mai bas itna jaanta hu ki meri behen aaj mere saath hai”

Iske baad unn mese koi kuch nahi bola aur vahi siddhi-2 chup chaap bina kuch bole Mayank aur Pari ko dekhte jaa rahi thi
Mayank ko chup dekhte hue pari ne apna sar uske kandhe par rakha aur apni aankhe band karte hue kaha “manthu, maine kabhi yeh nahi socha tha ki hum iss tarah se milenge”

Mayank “I am just happy ke tu mere saath hai”

Pari “always, mai kabhi tuje ab akela nahi chodne vali” aur voh manthan ke haath par apni pakad aur bhi majbut kar deti hai

Mayank upar asmaan ki aur dekh raha tha, pari bina uski aur dekhe hue kahti hai “kya soch raha hai”

Mayank “bas yahi ki humne kudrat ko kitna jyada naaraz kiya hai”

Pari “yeh toh sahi kaha”

Mayank “is it worth saving it..?? kyu jo insaan toh badal ne se rahe..fir vahi sab shuru hoga..fir vahi tabahi”

Pari “tu kyu aisa soch raha hai..hmm”

Mayank “humlog yeh toh keh rahe hai ki hume nature ko bachana chahiye..par yeh sirf kehne ki hi baat rah gayi hai, kahi na kahi aaj jo hamare haalat hue hai voh hamare hi vajah se hue hai”

Pari “manthan, haa yeh sach hai ki humne nature ka nuksaan kiya hai..”

Mayank ne uski baat ko bich me kaat te hue kaha “nuksaan..nahi pari, humne nature ko bahut dukh diye hai, bahut rulaya hai, aur isi ke liye aaj kudrat hume saja de rahi hai, global warming..earthquakes, tsunamis, draught kya kya nahi ho raha, janwaar ke rehne ke liye jungle nahi bache..peene ke liye paani khatam ho raha hai..aur mausum..iska toh koi vajood hi nahi reh jaata, kab kya ho jaaye iska andaaza lagana bhi muskil hai”

Paridhi “haa sahi kaha, mai maanti hu ki yeh sab hamare dwara hi kiya gaya hai”

Mayank “isse toh acha hai ki ham isse khatam hone de..yeh kudrat hum insaano ke bina kitni khubsurat lagti hai”

Yeh toh manthan ne sahi kaha, aap sabko kya lagta hai..?? aaj hamari duniya me ek aisi mahamaari aayi hai jisse hum lad rahe hai, lekin yeh ladayi ne hume ek sabak bhi shikhaya hai
Hum jinn janwaaro par pinjere me dekhkar hasa karte the aaj hum khud apne hi banaye hue pinjoro me kaid ho chuke hai..insaan insaan se darne laga hai, yeh sochkar ki agar mai iske paas bhi gaya toh mai khud iss bimari ke chapet me aajaunga
Lekin vahi dusri aur kudrat ne khud ko bachane ke rasta nikal diya hai..insaan kaid ho gaye aur jaanwaar aaj maje se kahi bhi ghum sakte hai..nadiya raste sab kuch apne aap hi saaf ho rahe hai..vatavaran shudh ho raha hai, asmaan saaf ho raha hai
Jo chiz hum karne ke liye sochte the usi chiz ko kudrat ne khud se bina hamari madad ke kiya hai..yeh toh proov ho gaya hai ki kudrat ko hum jese insaano ki jarurat nahi hai..lekin hume jeene ke liye iss kudrat ki jarurat hai

Kudrat hamare bina bhi jinda reh sakti hai..lekin hum nahi, yeh kudrat hi toh hai jiski vajah se hum itne aage badh paaye hai..lekin humne aage badhkar kiya kya..?? kya paaya humne..?? kuch bhi nahi…kuch bhi toh nahi

Paridhi “manthan, kuch der pehle tune hi kaha tha ki jab kisi ka janam hota hai toh uski kalpana koi nahi kar sakta, agar kudrat ne hum insaano ko banaya hai toh usne kuch soch samajkar hi banaya hoga”

Mayank “tu jaanti hai pari, aaj yeh jo me keh raha hu..ek pal tha jab mai khud bhi isi kudrat ka majaak udaya karta tha..lekin aaj mai khud ek majak ban gaya hu..kabhi sapne me bhi nahi socha tha ki aisa kuch mere saath hoga, uss hadse ne meri puri soch hi badal daali hai”

Pari “kabhi kabhi jeevan me badlaav ache ke liye hota hai”

Mayank “haa pari, ab muje vishwaas ho gaya hai ki science ke pass bhi har sawal ka jawab nahi hota, har chiz ko sahi saabit karne ke liye proof ki jarurat nahi hoti”

Pari “manthan, maana ki science hamari zindagi se juda hua hai, yah science hi hai jo hume aage badhata hai..lekin voh bhi ek jagah aane par ruk jaata hai, itna sab kuch jaan ne ke baad bhi hamara science inn baato ko shayad hi kabhi proof kar paayega, science feelings ko proof nahi kar sakta, science mrutyu ke baad aur jeevan se pehle ko proof nahi kar sakta”

Mayank ne pari ko apne gale lagaya aur “pari, ek baat kahu..??”

Pari ne pyaar se uski aankho me dekhte hue apna sar haa mein hilaya, “maine kabhi tujse apne pyaar ka ijhaar nahi kiya, uss din bhi jab tu mere pass baithi thi muje yeh ehsaas ho gaya tha ki tere dil me kya chal raha hai..lekin tu bol nahi paayi thi”

Pari ne apni cute si smile dete hue kaha “haa manthan, mai bas uss waqt tuje disturb nahi karna chahti thi..lekin maine khud se promise kiya tha ki dexter se ladayi khatam hoti hi mai tuje apne dil ki baat bata dungi” voh kehte hue thodi udaas ho jaati hai

Mayank ne pyaar se apne hontho ko pari ke honth par rakha aur ek pyaari se kiss karte hue “I love you Paridhi, I love you so much”

Pari “I love you too manthan”

Mayank “I think ab hume chalna chahiye, ab waqt aagaya hai kuch sawaalo ke jawab jaane ka”

Iske baad yeh sab milkar uss jagah chale jaata hai jaha se iss kahani ki shuruwat hui thi, jaaha se manthan ko ek nayi zindagi mili thi

To be continued…
 

Devraj007

मुसाफिर अंजान राहों का....
6,016
7,785
143
update posted
final phase of the series has started
saath bane rahiye..bas ab kuch updates
:thanks: to everyone for your support
Superb update :thumbup:
Ab sab log jaayenge doctor avishkar se milne... Uske baad shayad kuch aur samajh payein ye sab ki aage kya karna hai.... Ek bahut hi mushkil ladayi ladni hai inhe, dekhte hain kya kya hota hai uss ladayi mein... Intjar rahega agle update ka :dost:
 
Top