• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Shandaar update


Faaltu fantasy stories aur achi scifi me yahi farak hota hai ke aap theoretically hi sahi cheej ko suppose kar sakte ho :D

Well ye dimag ko ghuma dene wala update tha jaisa ki likhne me ju ko maharath haasil hai

Aur ek taraf multiverse daon par hai aur doosri taraf mayak-pari-siddhi2 ka love triangal

Isme bhi bahut saari mystries hai agar jaldi nahi khuli to dimag udd jayega sabka :D


Btw suoerb update

:applause:
:thanks: Genius bhai :dost:
bhai..ab yeh toh reader par depend karta hai ki unhe konsi stories pasand aati hai
yaha par insect aur fanstady story hi jyada chalit hai
but i am happy ki aap jese dost hai jise sci-fic story padhna bhi pasand hai :hug:
hahah, abhi toh bas shuruwat hui hai bhai..abhi aur dimaag ghumne vaala hai
haa kya kare..feeling ko chupa toh nahi sakte na
bhai..konsi mystery lagi aapko..hume bhi bataiye jara
saath bane rahiye bhai :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Brilliant update sir ji
Pari ki family complete ho gyi.pathik2 ke roop mein manthan ko apna dost wapas mil gya or kruti ko apna pyar.ab rah gyi hai siddhi2 pta nhi uske sath kya hona baki hai.
Sbka kahna ye hai ki kisi ne time travel ki machine banai hai or us mein time travel bhi kr chuka is wajah se time wraith mein gadbadi hui h or woh bahar aa rhi hai shayad
Ye experiment mayank ke earth mein ja ke dexter se fight ke baad hui ho ya us se phle bhi ho skti hai kyu ki samay ke sath chedchad kiye jane pe hi woh apne side effect dikhati hai ab dekhte hai aage or kya kya jhol hone wle hai
:thanks: Kirti.s ji :hug:
jaankar acha laga aapko update pasand aaya
siddhi ke saath kya hoga ab yeh toh waqt hi bataega
dekte hai yeh sab milkar kya hal nikalte hai
ab toh jhol hi jhol hai :D
 
  • Like
Reactions: Kirti.s

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Ohh NYC update matlab kisi ne time machine banyai and time travel kiya uski wahjse yeh sab hua...or time line tut gayi....Aage mujhe lagta h yeh kisi or kahani se relate karega (like the time machine story)...jaha par time machine banayi gayi thi and time travel bhi kiya tha...jiski wahjse se earth puri tarah se tabah ho gayi thi...Aur yeh zorians name bhi tha us story mai enemies ka....Jo sab se jyda shaktishali the...
Let see what happened next....Hope my guess will be right...???
:thanks: $ur@j bhai :dost:
:lol: are bhai bhai, voh time machine niks bhai ki likhi hui behtreen kahani hai
jiska iss story se koi lena dena nahi hai
zorians ek alien race hai..aur uss story me zetron ek person ka naam tha..isme bhi koi relation nahi hai
saath bane rahiye bhai :dost:
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 32 (Universal Dominators)

Sam bhi kuch sochkar bolta hai “agar, koi bahut hi badi event ko change kiya jaay, toh shayad yeh possible ho sakta hai”

Mayank “see, yanha par aisa kuch hai jiske baare me koi nahi jaanta”

Pathik “toh tu yeh kehna chah raha hai ki kisine time machine bana li hai aur voh pehle hi uska use kar chukka hai..??”

Akshita “yes, aisa hi hua hoga, par aisi toh konsi event hogi jisko change karne par itna jyada asar hua hai”

Mayank “iska jawab aapko pata hai”

Ab aage…

Sam janta hai ki mayank kya kehna chahta hai..lekin fir bhi voh chaunkte hue “YYYYYYYOOOOOOOOOOUUUUUUU”

Akshita ajeeb se najro se sam ko ghur rahi thi, Sam “yes yes yes, I can understand now, ab samaj me aa raha hai ki aisa kyu ho raha hai”

Akshita “sam, mai abhi bhi kuch nahi samaj rahi”

Sam “akshita, kisine anjaane me time-travel kiya hai aur uss event ko change kiya jiske baare me use puri knowledge nahi thi…”

Pathik “common sam, yeh toh koi baat nahi hui..I mean jo time-machine banayega use time-travel ke consequences (nuksan) ke baare me pata hoga…toh bhala koi jaan bujkar khud ke pair par kulhadi kyu maarega..??”

Aarav “haa yahi toh..aisa toh ho hi nahi sakta ki koi bhi anpadh banda aayega aur time-machine banakar time travel karega”

Sam “isiliye toh maine kaha..jisne past ko badalna chaha hai use yeh nahi pata tha ki voh kar kya raha hai”

Pathik “lekin fir bhi..koi aisa karega hi kyu..??”

Mayank “emotions mere bhai, hum insaan hai..aur hamari feelings ke aage hamari knowledge hamesa haar hi jaati hai..agar insaano ko science aur feelings mese kisi ek ko choose karne ko kaha jaaye toh insaan hamesa se apni feelings hi chunega”

Sam “emotions..emotions insaan se sab kuch karwa sakta hai, fir voh koi bhi emotion ho”

Akshita “sorry sam, lekin abhi bhi kuch nahi samaj rahi…I mean aisi toh voh konsi event hogi jo anjaane me badli gayi ho aur uska result itna bhayank aaya”

Sam “jisne bhi time travel kiya hai usne CDC lab ke iss experiment ko badalna chaha, iss baat se anjaan ki Manthan ek dusre earth par ek time-wraith se lad raha hai”

Akshita ab samaj jaati hai “OMG”

Pathik apne baal khujate hue “par iss experiment ko kaun badalna chahega”

Mayank “tu jaanta hai ki yeh kaam kaun kar sakta hai”

Pathik naa mein apna sar hila raha tha “nahi manthan, yeh possible nahi ho sakta..I mean”

Mayank uski aur muskurate hue “kyu nahi ho sakta..??”

Pathik “kyunki, voh bas..par kyu..?? voh kyu apna past change karna chahega, jabki yeh sab toh usine kiya tha” pathik aage kuch bol nahi paa raha tha

Manthan “uski wife, I guess ki voh ab iss duniya me nahi hai”

Siddhi “tum dono kiski baat kar rahe ho”

Pathik “DR. AVISHKAR” voh saans chodte hue kehta hai “haa, uski wife uss hadse me maari gayi thi”

Manthan “par kisike wife ke marne se yeh toh saabit nahi kar sakte ki usne time-travel kiya hai..ese toh duniya me laakho log marte hai..toh kya har koi time-travel karega..??”

Pathik “bhai, bura mat manna..lekin agar tere pass time-machine hai toh kya tu apne parents..apne bhai Pathik ko nahi bachana chahega..??”

Pathik ki baat par manthan kuch bol nahi paata, jise dekh Sam “dekha..jawab aap sabke samne hai, hamare apne ke liye pyaar hamesa sach ko dhundla kar deta hai”

Siddhi-2 “iska matlab toh yeh hua ki Doc Aviskar ne pehle hi time-machine baana li thi..par voh itna bada scientist hai..toh voh itni badi galti kyu karega..??”

Mayank “Dr. Avi ke life me sirf chize unke liye mayne rakhti thi, pehla unka dream Particle Accelerator aur dusri unki wife Disha, yeh kehna galat nahi hoga ki unki life inn dono se hi chalu hoti hai aur inhi dono par khatam”

Pathik “aur experiment me uska sab kuch cheen gaya, na lab rahi naa uski respect, aur naa hi uski wife”

Akshita “tu itna sure kese hai ki usne hi time-machine banayi hai” usne mayank se sawal kiya

Mayank “actually, time-machine nahi banayi thi..lekin voh..”

Two Years Ago (2 saal pehle)
Manthan aaj lab me der tak rukkar study kar raha tha, jise dekhkar Disha ne avi se pucha “avi..yeh kaun hai..??”

Avi “yeh ladka yanha as a apprentice join hu tha..lekin bahut hi hosiyaar hai, so ise maine apna student banaya hai..ab yeh mere saath rahkar mera dream achieve karne me meri madad karega”

Disha “are you sure ki yeh itna kaabil hai..??”

Avi kuch sochte hue disha ko manthan ke pass le jaata hai “manthan, meet my wife Disha”

Manthan computer me kuch algorithms par kaam kar raha tha, usse najar hatakar voh “hello mam” thoda halkate hue kehta hai

Disha “well, mere hubby kehte hai tum bahut intelligent ho”


Manthan “nahi mam, sir toh aise hi kuch bhi kehte hai..pata nahi unhe aisa kyu lagta hai” apni najare idhar karte hue kaha

Avi “hahaha, mai ese hi kisiko apna personal student nahi banata, acha yeh batao, yeh jo experiment hum karne vale hai..kya lagta hai tumhe”


Manthan “sir, yeh toh aap jante hi hai..fir yeh sawal kyu..??”

Avi “haa mai janta hu..lekin kuch aur bhi hai jo sirf tum jaante ho, tachyons ke baare me”

Manthan “sir..voh.” aage kuch nahi bolta

Avi “say it, no problem..i know tuje yeh pehle hi din pata chal gaya tha”


Manthan “sir, I mean tachyons ke baare me har koi jaanta hai, like uski speed light ki raftaar se bhi jyada rehti hai..jo bhi known matter(padarth) hamare universe me hai, unki raftar speed of light (c) tak hi simit rehti hai, matlab koi bhi chiz light ki raftar se jyada tez nahi daud sakti..lekin sirf tachyons ek aise particles hai jinki lowest speed hi (c) se start hoti hai aur voh infinite tak jaa sakti hai”

Disha “haa, yeh toh har koi janta hai..isme aisa kya hai..??” usne avi se sawal kiya

Avi “just listen”


Manthan “mam, yeh toh aap bhi jaanti hai ki tachyons ke andar negative mass(dravyamaan) hai, jisse iska bartaav saare known particles se alag hai, tachyons ki ek alag lekin uski bahut hi anokhi khubi hai..tachyons samay me backward (piche) travel kar sakte hai, agar hum ise sahi se istemaal kare toh hum time-travel bhi kar sakte hai, tachyons ke milne ke baad hamare pass complete fully operational time-machine banana ka har ek component available hai”

Disha “I am impressed, aur kya jaante ho”

Manthan “abhi tak koi bhi yeh nahi jaan paaya hai ki yeh tachyons exactly kese behave karte hai..lekin agar humara yeh experiment kamiyab ho jaata hai toh hum tachyons ke baare me sab kuch jaan lenge, unke behaviour unki energy sabkuch hamare mutthi me hoga, particle accelerator ke baad hamare physics ke sare laws ko ek nayi disha mil jayegi, aur iske baad hum tachyons ko as a fuel use karke hum bhi time-travel kar payenge, we can go anywhere in whole time”

Disha “wow, amazing, really avi sach hi kehta hai..you are intelligent” manthan ki baat se disha puri tarah se chaunk gayi thi

Avi “kaha tha maine..yeh ladka bahut intelligent hai, bas ise support ki jarurat hai..bahut aage jaayega yeh ladka”


Disha “sahi kaha avi, iss umar ke ladke me itni knowledge..sach me yeh kabil-e-tariff hai” fir voh manthan ki aur dekhte hue kehti hai “lekin beta, time-travel karna koi khel nahi hai”

Manthan “haa mam, yeh baat mai jaanta hu, time-travel karne ke bahut saare nuksaan hai..lekin kahi se toh shuruwat ho rahi hai, hamare waqt me nahi..par shayad bhavisya me uska bhi koi ilaaj mil jaayega”

Akshita “what..?? shayad isiliye iska details hamare pass nahi hai..kyunki officially usne time-machine kabhi banayi hi nahi”

Mayank “exactly..yahi toh mai bhi keh raha hu, lekin voh yeh baat ache se jaanta tha ki tachyons ki madad se time-travel kiya jaa sakta hai”

Siddhi “tachyons..waqt me….piche..travel karte hai, kese..??” voh ruk-ruk kar apna sawal karti hai

Manthan “siddhi, yeh waqt abhi science ke aise hypothetical laws samaj ne ka nahi hai..infact mai khud bhi itna deeply nahi jaanta jitna Dr. Avi jaante hai”

Siddhi “right”

Aarav “okay..maan liya yeh jo gadbad ho rahi hai..voh doc avi ke time-travel karne ke vajah se hui hai, fir time-wraiths aur dinosaurs ka kya..??”

Manthan “aur multiverse par iska effect kese padega..??”

Sam “simple..jitna bada accident hoga tohs uska impact bhi bada hi hoga”

Mayank “mai samjata hu, time-travel karne se history me badlaav aata hai..lekin jab time-line hi tut jaati hai toh uska asar pure parallel world par padta hai, because parallel worlds space-time me ek hi jagah occupy karte hai, chahe aap earth-1 par rahe yaa aap earth-infinite par, jab time-line tuti..toh jagah jagah par time wriaths aur time-portals samne aagaye”

Pathik “yaar mai tuje kitni baar batau..mai anpadh hu, muje yeh teri baate samaj me nahi aati” voh halka gusse se bolta hai

Isspar mayank hasne lagta toh pathik aur bhi gusse me aajata hai “ab has kyu raha hai..??”

Mayank “tu koi bhi earth par chale jaaye..teri yeh aadat nahi badalne vali”

Sam “just like time, voh har earth par ek jesa hi rehta hai”

Mayank “mai samjata hu..maan lo highway par bus 100kmph ki speed se daud rahi hai..aur achanak se uske aage ek bike aajata hai..tab kya hoga..??”

Pathik “bike vala maara jayega”

Mayank “aur bus ko kya hoga..??”


Pathik “chota sa dent yaa aage kuch chota mota nuksaan hoga”

Mayank “bilkul sahi..ab agar vahi speed se maan lo bike ki jagah ek car aajati hai..tab kya hoga..??”

Pathik “car vala mar jayega aur bus ko thoda nuksaan jyada hoga..maybe shayad kuch log mar bhi sakte hai..aur kuch logo ko halki moti chot lagegi”

Mayank “aur ab agar bus ke samne bus se bhi badi aur powerful chiz aajati hai toh kya hoga..??”

Pathik “bus ke chith de udd jayenge..aur uss chiz ko bhi nuksaan pahuchega jo uske samne aayi thi” voh dheere se bolta hai

Manthan apne haath jodkar jukte hue “maan gaye guru, sach me..kamal hai tu”

Mayank “thik ese hi..maan lo bus time hai..aur uske andar baithe saare passengers multiple earth hai..aur voh badi si chiz..yeh particle accelerator ki event hai”

Sam “jab tak voh chiz chal rahi thi,,,,sab thik tha, lekin jese hi voh chiz bich me aayi accident hua aur time hi tut gaya..just like the bus”

Aarav “Lekin yeh sirf hamari earth par hi kyu..?? I mean time-portals hamare earth par hi kyu aaye..??”


Mayank “iss baare toh mai nahi janta..kyunki time ka shabd chota jarur hai..lekin utna hi samaj ne me complex hai..voh hamare tarike se nahi chalta..balki hum insaan time ke tarike se chalte hai”

Sam “rahi baat dinosaurs ki..voh toh bichare iss baat se anjaan hai ki unke saath ho kya raha hai”

Mayank “dinosaurs toh bichare nanhe se besahara prani hai”

Siddhi-2 “bechare prani..??” usne aankhe dikhate hua kaha

Manthan apne sar par haath rakhte hue “haa…sahi toh kaha, voh bejubaan praani hai bichare..nanhe nanhe pyaare pyaare..bilkul masoom”

Akshita “acha ji, toh aap aapke inn bejubaan aur nanhe prani se kyu nahi kehte ki voh itna udhaam naa machaye, thodi shanti rakhe..huh”

Mayank haste hue kehta hai “ab unhone kar diya..sirf kuch Zorians ko maara, kuch insaano ko, ab usme unka kya dosh..??”

Pari ne manthan ke sar halke se maara “pagal, kya keh raha hai tu..??”

Mayank ne pari ki aur dekhkar smile ki “jab koi chota bacha akele ghar se bahar chala jayega aur use koi ajnabee insaan dikhega toh voh rone lagega, thik usi tarah dinosaurs hamari buildings hamare earth me hue badlaav ko dekhkar dar jaate hai”

Siddhi-2 “dinosaurs..chote se nanhe bache hai, jo tabahi karte hai, khoon karte hai..aur fir bhi voh maasum hai..kamaal hai”

Manthan “haa, voh bin bulaye baarati haina..isliye shayad voh aisa karte hai” yeh sunkar sab log kabhi manthan ki aur dekhte toh kabhi mayank ko ghurte

Pathik “yeh toh samaj me aagaya, par ab hum kya kare..??”

Mayank “hum uss doctor avishkar se milne jayenge, agar yeh unhone hi kiya hai toh usi se hame aage ke jawab milenge”

Pari “manthan..please ab toh bata tu Trod ki baat se kya samja tha”

Mayank “mai yeh jaanta hu ki ZORIANS itne powerful kyu hai”

Sam “kyu..??”

Mayank “Zorians koi mamuli alien nahi hai, unhe UNIVERSAL DOMINATORS kaha jaata hai”

Pathik “kyu..?? aisa toh kya khaas hai unme”

Mayank “because they are the most powerful than in all of the 10 Dimensions..they can literally control all of them”

Mayank ki yeh baat sunkar sabhi ke rongte khade ho jaate hai..kisiko yeh samaj nahi aa raha tha ki voh ise kese samje
Manthan “10th dimension, kese..??”

Mayank “mai samjta hu..jo baate muje Trod ne batayi thi”

To be continued…
 

Genius

The Emperor of Inferno 🔥
4,524
3,976
159
Superb update

Zorians ki mystery hopefully khul jayegi agle update me ?
:claps: :applause:
 
  • Love
Reactions: Milan2010

Devraj007

मुसाफिर अंजान राहों का....
6,016
7,785
143
Update : 32 (Universal Dominators)

Sam bhi kuch sochkar bolta hai “agar, koi bahut hi badi event ko change kiya jaay, toh shayad yeh possible ho sakta hai”

Mayank “see, yanha par aisa kuch hai jiske baare me koi nahi jaanta”

Pathik “toh tu yeh kehna chah raha hai ki kisine time machine bana li hai aur voh pehle hi uska use kar chukka hai..??”

Akshita “yes, aisa hi hua hoga, par aisi toh konsi event hogi jisko change karne par itna jyada asar hua hai”

Mayank “iska jawab aapko pata hai”


Ab aage…

Sam janta hai ki mayank kya kehna chahta hai..lekin fir bhi voh chaunkte hue “YYYYYYYOOOOOOOOOOUUUUUUU”

Akshita ajeeb se najro se sam ko ghur rahi thi, Sam “yes yes yes, I can understand now, ab samaj me aa raha hai ki aisa kyu ho raha hai”

Akshita “sam, mai abhi bhi kuch nahi samaj rahi”

Sam “akshita, kisine anjaane me time-travel kiya hai aur uss event ko change kiya jiske baare me use puri knowledge nahi thi…”

Pathik “common sam, yeh toh koi baat nahi hui..I mean jo time-machine banayega use time-travel ke consequences (nuksan) ke baare me pata hoga…toh bhala koi jaan bujkar khud ke pair par kulhadi kyu maarega..??”

Aarav “haa yahi toh..aisa toh ho hi nahi sakta ki koi bhi anpadh banda aayega aur time-machine banakar time travel karega”

Sam “isiliye toh maine kaha..jisne past ko badalna chaha hai use yeh nahi pata tha ki voh kar kya raha hai”

Pathik “lekin fir bhi..koi aisa karega hi kyu..??”

Mayank “emotions mere bhai, hum insaan hai..aur hamari feelings ke aage hamari knowledge hamesa haar hi jaati hai..agar insaano ko science aur feelings mese kisi ek ko choose karne ko kaha jaaye toh insaan hamesa se apni feelings hi chunega”

Sam “emotions..emotions insaan se sab kuch karwa sakta hai, fir voh koi bhi emotion ho”

Akshita “sorry sam, lekin abhi bhi kuch nahi samaj rahi…I mean aisi toh voh konsi event hogi jo anjaane me badli gayi ho aur uska result itna bhayank aaya”


Sam “jisne bhi time travel kiya hai usne CDC lab ke iss experiment ko badalna chaha, iss baat se anjaan ki Manthan ek dusre earth par ek time-wraith se lad raha hai”

Akshita ab samaj jaati hai “OMG”

Pathik apne baal khujate hue “par iss experiment ko kaun badalna chahega”

Mayank “tu jaanta hai ki yeh kaam kaun kar sakta hai”


Pathik naa mein apna sar hila raha tha “nahi manthan, yeh possible nahi ho sakta..I mean”

Mayank uski aur muskurate hue “kyu nahi ho sakta..??”

Pathik “kyunki, voh bas..par kyu..?? voh kyu apna past change karna chahega, jabki yeh sab toh usine kiya tha” pathik aage kuch bol nahi paa raha tha

Manthan “uski wife, I guess ki voh ab iss duniya me nahi hai”

Siddhi “tum dono kiski baat kar rahe ho”


Pathik “DR. AVISHKAR” voh saans chodte hue kehta hai “haa, uski wife uss hadse me maari gayi thi”

Manthan “par kisike wife ke marne se yeh toh saabit nahi kar sakte ki usne time-travel kiya hai..ese toh duniya me laakho log marte hai..toh kya har koi time-travel karega..??”

Pathik “bhai, bura mat manna..lekin agar tere pass time-machine hai toh kya tu apne parents..apne bhai Pathik ko nahi bachana chahega..??”

Pathik ki baat par manthan kuch bol nahi paata, jise dekh Sam “dekha..jawab aap sabke samne hai, hamare apne ke liye pyaar hamesa sach ko dhundla kar deta hai”

Siddhi-2 “iska matlab toh yeh hua ki Doc Aviskar ne pehle hi time-machine baana li thi..par voh itna bada scientist hai..toh voh itni badi galti kyu karega..??”

Mayank “Dr. Avi ke life me sirf chize unke liye mayne rakhti thi, pehla unka dream Particle Accelerator aur dusri unki wife Disha, yeh kehna galat nahi hoga ki unki life inn dono se hi chalu hoti hai aur inhi dono par khatam”

Pathik “aur experiment me uska sab kuch cheen gaya, na lab rahi naa uski respect, aur naa hi uski wife”


Akshita “tu itna sure kese hai ki usne hi time-machine banayi hai” usne mayank se sawal kiya

Mayank “actually, time-machine nahi banayi thi..lekin voh..”

Two Years Ago (2 saal pehle)
Manthan aaj lab me der tak rukkar study kar raha tha, jise dekhkar Disha ne avi se pucha “avi..yeh kaun hai..??”

Avi “yeh ladka yanha as a apprentice join hu tha..lekin bahut hi hosiyaar hai, so ise maine apna student banaya hai..ab yeh mere saath rahkar mera dream achieve karne me meri madad karega”

Disha “are you sure ki yeh itna kaabil hai..??”

Avi kuch sochte hue disha ko manthan ke pass le jaata hai “manthan, meet my wife Disha”

Manthan computer me kuch algorithms par kaam kar raha tha, usse najar hatakar voh “hello mam” thoda halkate hue kehta hai

Disha “well, mere hubby kehte hai tum bahut intelligent ho”

Manthan “nahi mam, sir toh aise hi kuch bhi kehte hai..pata nahi unhe aisa kyu lagta hai”
apni najare idhar karte hue kaha

Avi “hahaha, mai ese hi kisiko apna personal student nahi banata, acha yeh batao, yeh jo experiment hum karne vale hai..kya lagta hai tumhe”


Manthan “sir, yeh toh aap jante hi hai..fir yeh sawal kyu..??”

Avi “haa mai janta hu..lekin kuch aur bhi hai jo sirf tum jaante ho, tachyons ke baare me”


Manthan “sir..voh.” aage kuch nahi bolta

Avi “say it, no problem..i know tuje yeh pehle hi din pata chal gaya tha”


Manthan “sir, I mean tachyons ke baare me har koi jaanta hai, like uski speed light ki raftaar se bhi jyada rehti hai..jo bhi known matter(padarth) hamare universe me hai, unki raftar speed of light (c) tak hi simit rehti hai, matlab koi bhi chiz light ki raftar se jyada tez nahi daud sakti..lekin sirf tachyons ek aise particles hai jinki lowest speed hi (c) se start hoti hai aur voh infinite tak jaa sakti hai”

Disha “haa, yeh toh har koi janta hai..isme aisa kya hai..??” usne avi se sawal kiya

Avi “just listen”


Manthan “mam, yeh toh aap bhi jaanti hai ki tachyons ke andar negative mass(dravyamaan) hai, jisse iska bartaav saare known particles se alag hai, tachyons ki ek alag lekin uski bahut hi anokhi khubi hai..tachyons samay me backward (piche) travel kar sakte hai, agar hum ise sahi se istemaal kare toh hum time-travel bhi kar sakte hai, tachyons ke milne ke baad hamare pass complete fully operational time-machine banana ka har ek component available hai”

Disha “I am impressed, aur kya jaante ho”

Manthan “abhi tak koi bhi yeh nahi jaan paaya hai ki yeh tachyons exactly kese behave karte hai..lekin agar humara yeh experiment kamiyab ho jaata hai toh hum tachyons ke baare me sab kuch jaan lenge, unke behaviour unki energy sabkuch hamare mutthi me hoga, particle accelerator ke baad hamare physics ke sare laws ko ek nayi disha mil jayegi, aur iske baad hum tachyons ko as a fuel use karke hum bhi time-travel kar payenge, we can go anywhere in whole time”


Disha “wow, amazing, really avi sach hi kehta hai..you are intelligent” manthan ki baat se disha puri tarah se chaunk gayi thi

Avi “kaha tha maine..yeh ladka bahut intelligent hai, bas ise support ki jarurat hai..bahut aage jaayega yeh ladka”

Disha “sahi kaha avi, iss umar ke ladke me itni knowledge..sach me yeh kabil-e-tariff hai”
fir voh manthan ki aur dekhte hue kehti hai “lekin beta, time-travel karna koi khel nahi hai”

Manthan “haa mam, yeh baat mai jaanta hu, time-travel karne ke bahut saare nuksaan hai..lekin kahi se toh shuruwat ho rahi hai, hamare waqt me nahi..par shayad bhavisya me uska bhi koi ilaaj mil jaayega”


Akshita “what..?? shayad isiliye iska details hamare pass nahi hai..kyunki officially usne time-machine kabhi banayi hi nahi”

Mayank “exactly..yahi toh mai bhi keh raha hu, lekin voh yeh baat ache se jaanta tha ki tachyons ki madad se time-travel kiya jaa sakta hai”

Siddhi “tachyons..waqt me….piche..travel karte hai, kese..??” voh ruk-ruk kar apna sawal karti hai

Manthan “siddhi, yeh waqt abhi science ke aise hypothetical laws samaj ne ka nahi hai..infact mai khud bhi itna deeply nahi jaanta jitna Dr. Avi jaante hai”

Siddhi “right”

Aarav “okay..maan liya yeh jo gadbad ho rahi hai..voh doc avi ke time-travel karne ke vajah se hui hai, fir time-wraiths aur dinosaurs ka kya..??”

Manthan “aur multiverse par iska effect kese padega..??”

Sam “simple..jitna bada accident hoga tohs uska impact bhi bada hi hoga”

Mayank “mai samjata hu, time-travel karne se history me badlaav aata hai..lekin jab time-line hi tut jaati hai toh uska asar pure parallel world par padta hai, because parallel worlds space-time me ek hi jagah occupy karte hai, chahe aap earth-1 par rahe yaa aap earth-infinite par, jab time-line tuti..toh jagah jagah par time wriaths aur time-portals samne aagaye”


Pathik “yaar mai tuje kitni baar batau..mai anpadh hu, muje yeh teri baate samaj me nahi aati” voh halka gusse se bolta hai

Isspar mayank hasne lagta toh pathik aur bhi gusse me aajata hai “ab has kyu raha hai..??”

Mayank “tu koi bhi earth par chale jaaye..teri yeh aadat nahi badalne vali”

Sam “just like time, voh har earth par ek jesa hi rehta hai”

Mayank “mai samjata hu..maan lo highway par bus 100kmph ki speed se daud rahi hai..aur achanak se uske aage ek bike aajata hai..tab kya hoga..??”


Pathik “bike vala maara jayega”

Mayank “aur bus ko kya hoga..??”


Pathik “chota sa dent yaa aage kuch chota mota nuksaan hoga”

Mayank “bilkul sahi..ab agar vahi speed se maan lo bike ki jagah ek car aajati hai..tab kya hoga..??”

Pathik “car vala mar jayega aur bus ko thoda nuksaan jyada hoga..maybe shayad kuch log mar bhi sakte hai..aur kuch logo ko halki moti chot lagegi”

Mayank “aur ab agar bus ke samne bus se bhi badi aur powerful chiz aajati hai toh kya hoga..??”


Pathik “bus ke chith de udd jayenge..aur uss chiz ko bhi nuksaan pahuchega jo uske samne aayi thi” voh dheere se bolta hai

Manthan apne haath jodkar jukte hue “maan gaye guru, sach me..kamal hai tu”

Mayank “thik ese hi..maan lo bus time hai..aur uske andar baithe saare passengers multiple earth hai..aur voh badi si chiz..yeh particle accelerator ki event hai”

Sam “jab tak voh chiz chal rahi thi,,,,sab thik tha, lekin jese hi voh chiz bich me aayi accident hua aur time hi tut gaya..just like the bus”

Aarav “Lekin yeh sirf hamari earth par hi kyu..?? I mean time-portals hamare earth par hi kyu aaye..??”


Mayank “iss baare toh mai nahi janta..kyunki time ka shabd chota jarur hai..lekin utna hi samaj ne me complex hai..voh hamare tarike se nahi chalta..balki hum insaan time ke tarike se chalte hai”

Sam “rahi baat dinosaurs ki..voh toh bichare iss baat se anjaan hai ki unke saath ho kya raha hai”

Mayank “dinosaurs toh bichare nanhe se besahara prani hai”


Siddhi-2 “bechare prani..??” usne aankhe dikhate hua kaha

Manthan apne sar par haath rakhte hue “haa…sahi toh kaha, voh bejubaan praani hai bichare..nanhe nanhe pyaare pyaare..bilkul masoom”

Akshita “acha ji, toh aap aapke inn bejubaan aur nanhe prani se kyu nahi kehte ki voh itna udhaam naa machaye, thodi shanti rakhe..huh”


Mayank haste hue kehta hai “ab unhone kar diya..sirf kuch Zorians ko maara, kuch insaano ko, ab usme unka kya dosh..??”

Pari ne manthan ke sar halke se maara “pagal, kya keh raha hai tu..??”

Mayank ne pari ki aur dekhkar smile ki “jab koi chota bacha akele ghar se bahar chala jayega aur use koi ajnabee insaan dikhega toh voh rone lagega, thik usi tarah dinosaurs hamari buildings hamare earth me hue badlaav ko dekhkar dar jaate hai”

Siddhi-2 “dinosaurs..chote se nanhe bache hai, jo tabahi karte hai, khoon karte hai..aur fir bhi voh maasum hai..kamaal hai”

Manthan “haa, voh bin bulaye baarati haina..isliye shayad voh aisa karte hai” yeh sunkar sab log kabhi manthan ki aur dekhte toh kabhi mayank ko ghurte

Pathik “yeh toh samaj me aagaya, par ab hum kya kare..??”

Mayank “hum uss doctor avishkar se milne jayenge, agar yeh unhone hi kiya hai toh usi se hame aage ke jawab milenge”

Pari “manthan..please ab toh bata tu Trod ki baat se kya samja tha”

Mayank “mai yeh jaanta hu ki ZORIANS itne powerful kyu hai”

Sam “kyu..??”

Mayank “Zorians koi mamuli alien nahi hai, unhe UNIVERSAL DOMINATORS kaha jaata hai”

Pathik “kyu..?? aisa toh kya khaas hai unme”


Mayank “because they are the most powerful than in all of the 10 Dimensions..they can literally control all of them”

Mayank ki yeh baat sunkar sabhi ke rongte khade ho jaate hai..kisiko yeh samaj nahi aa raha tha ki voh ise kese samje
Manthan “10th dimension, kese..??”

Mayank “mai samjta hu..jo baate muje Trod ne batayi thi”


To be continued…
Kaafi baatein mayank ko samajh aa gyi hain ab... aur ye bhi idea lag gya ki ye sab dr. Avishkar ki wajah se hua hai... ab to doctor se milke hi shayad koi raasta mile unhe inn sab chizon ko theek karne ka... dekhte hain mayank aur uske saathi ab kya karte hain... mast update... keep posting :dost:
 
Top