• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)

  • Total voters
    22

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Superb & Fantastic Updates
Superb FlashBack.
 
  • Like
Reactions: Milan2010

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,670
158
No words to describe these two updates... Fantastic and mesmerizing.... I'm sure appearance of the dinos is a result of errors by some other groups using time travel... Sam and Akshita are to attempt and neutralize these.... Hope in next few updates we will have reunion with Paridhi as well.... Fantastically written... Keep it up....
 
  • Like
Reactions: Milan2010

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Hassh update aa gaya

Thanks alot bhai...
Bda hi behtreen update tha...
Aks ka selection kaise hua..
Sahi hai kuch to sam talent se ghayal hua aur kuch beauty se..
Highcommand ki gand tod di dhamki deke...
Oculus protocol....
Time machine ban gya re baba...
Time mai void dhudna hai..isne...
Gajab benet void dhude tab tak apna sam jara battle ground mai ghum kar aata hai..

Dhakad update...
Bhai apka update size large tha par itna acha tha ki padh kar aur jyada padhne ka man kar rha
Superb update
Waiting for next
:thanks: bhai...thank u so much for liking the updates
Saath bane rahiye bhai..aage toh abhi bahut jhol aane baaki hai
 
  • Like
Reactions: Mayaviguru

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
No words to describe these two updates... Fantastic and mesmerizing.... I'm sure appearance of the dinos is a result of errors by some other groups using time travel... Sam and Akshita are to attempt and neutralize these.... Hope in next few updates we will have reunion with Paridhi as well.... Fantastically written... Keep it up....
:thanks:luv bhai :dost:
Well dinosaurs ke eene ka kya reason hai voh toh waqt hi batarga
Saath bane rahiye :dost:
 
Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 9 (LoopHoles)

Sam akshita ki aur dekhte hue kehta hai “mai aur aksh coronal city jayenge, mai vaha khud jaakar dekhna chahta hu ki aakhir vaha actually me hua kya tha, muje pura yakeen hai ki vaha se hume kuch toh madad jarur milegi”

Commander “that’s a good idea, good luck sam”

Ab aage…

Zindagi bhi kitni ajeeb haina, jab hum kisi ko apni puri duniya bana lete hai toh yeh zindagi bahut hi khushnama ban jaati hai, aur jab hamari vahi duniya agar humse ruth jaati hai toh..toh aisa lagta hai maano hamari zindagi theher si gayi hai

Kehte hai ki manjil chaahe kitni bhi dur kyu naa ho..agar hamare saath voh insaan ho, jisse hamara dil juda hai…toh safar bahut hi suhana ho jaata hai..lambe se lamba rasta bhi chota lagne lagta hai..lekin agar vohi khaas insaan aapse ruth jaaye..toh manjil bahut hi jyada dur lagne lagti hai, aisa lagne lagta hai ki jese yeh rasta bhi hume kaatne ko daud raha hai

Sam ke saath bhi aisa hi kuch ho raha tha..unhe Meditown se nikle hue karib 3 hours ho chuke the, lekin inn 3 hours me ek bhi baar akshita ne sam se baat nahi ki thi..baat karna toh dur raha..usne sam ki aur dekha tak naa tha
Unn dono ke bich ka yeh sannata iss tarah se haavi ho chuka tha ki dono ko hi khud ke saanson ki awaaz sunai de rahi thi..Vaise toh manjil itni jyada dur nahi thi..lekin dono ke bich me rahi yeh khamoshi hi raste ko lamba bana rahi thi

Akshita ki Iss khamoshi ki vajah se Sam ko dar lagne laga tha..kyunki voh janta tha ki agar usne Akshita ko nahi manaya toh voh apne pyaar ke saath saath apni sabse achi dost ko hamesa ke liye kho dega
Sam chahkar bhi Akshita se baat nahi kar paa raha tha..use Akshita ke gusse ka ehsaas tha..voh janta tha ki ek baar agar Akshita kisi se gussa ho jaati hai toh use manana bahut hi jyada muksil ho jaata hai, aur iss baar toh Akshita ke gusse hone ki vajah bhi toh voh khud tha

Aisa nahi tha ki yeh pehli baar hua ho jab Akshita iss tarah se gussa hui hai..har baar Sam hi toh uske gusse ko shant karata tha..lekin iss baar toh uske gusse hone ki vajah voh tha, aur voh baat kare bhi toh kese..?? Akshita thi jo usse ulti hokar baithi thi..aur inn 3 hours me ek pal bhi aisa nahi aaya jab Akshita ne uski aur dekha ho

Lekin ek sach toh yeh bhi tha ki akshita se baat karne ki himmat Sam nahi juta paa raha tha, kahi baar usne Akshita ki aur dekhkar apni jaan ka naam pukar ne ki koshish bhi kari..aur usne aisa kiya bhi..lekin uski awaaz bhi uska saath nahi de rahi thi
Sam ki aankho me halke se aansu chalak aaye the..uska mann bhaari ho chuka tha..aur sharir toh maano esa ho chuka tha ki kaanto toh khoon nahi..voh drive toh kar raha tha..lekin uska dhyaan raste par kam aur Akshita ki aur jyada tha..voh bas jald se jald apni jaan ko manana chahta tha

Sam man hi man khud se baat kiye jaa raha tha “aksh..please, please aksh..bas ek baar meri taraf dekh le..please, I promise ki mai fir kabhi aisa nahi karunga”

Khair yeh toh tha hamare Sam ka haal..par vahi dusri aur Akshita ka haal bhi kam acha nahi tha..uska dil bhi ro raha tha, voh apne hi man me kehti hai “sam…aakhir tuje ho kya gaya hai..?? aisa kyu kiya tune..?? mera mann keh raha hai ki tune kuch bhi galat nahi kiya, fir kyu tu sabkuch barbaad karne par tula hua hai”

Lekin kehte haina ki do pyaar karne vaalo ko baat karne ki jarurat nahi hoti, ek dusre ke dil ki awaaz hi sabkuch baayaan kar deti hai, yanha bhi vahi hua, Sam ke awaaz Akshita ke dil tak pahuch chuki thi..usne ek second ke liye apni najar sam ki taraf ki aur sam ke aankho me rahe unn aansuo ko dekh liya
Par shayad aaj unn dono ki kismat me kuch aur hi likha hua tha, Sam aur Akshita coronal city pahuch chuke the, aur usi waqt sam bas yeh kehta hai “we are here”

Sam ki awaaz apne kaano me padte hi Akshita hosh me aayi, ek pal ke liye toh usse Sam ka yeh haal dekha nahi gaya, par dusre hi pal use Sam ki baate yaad aayi aur usne gusse se apna chehra modkar car se bahar nikal aayi
car se utarte hi akshita thodi dur jaa kar khadi ho gayi…lekin sam abhi tak car me baithe hue yeh soch raha tha ki voh aksh ko kese manaye..?? Sam ki najar ektak Akshita ki aur thi aur uska hasta hua voh chehra uske aankho ke aage ghum raha tha

Unhe coronal city me aaye hue karib 5 minutes ho chuke the..lekin Sam abhi tak car se bahar nahi aaya tha aur yeh dekh akshita ka gussa satve aasmaan par pahuch gaya, akshita ne apne haath me pehni hui watch par ek button press kiya aur gusse bhari awaaz se kaha “tu aaraha hai yaa mai aage jau..??”

Akshita ki awaaz sunkar Sam hosh me aaya, darasal voh aksh ki khubsurati me itna kho gaya tha ki use baaki kisi bhi chiz ki koi parwah hi nahi thi..use yeh tak yaad naa tha ki voh iss waqt iss khandar ban chuke seher me bilkul akele hai

Khair sam car se bahar aaya aur badi himmat jutate hue aksh ke pass jaakar kehta hai “aksh, I am really sorry”

Lekin akshita ne sam ki iss baat ka jawab badi berukhi se diya “I think we are on a mission, we need to get some answers for our team..and your bloody plan..so yeh behuda baate baad me kare toh jyada behtar rahega”

Sam ko yeh baat kisi kaante ki tarah chubi thi, lekin usne himmat nahi haari, voh apni aankho ko band karte hue kehta hai “I know aksh ki tu mujse bahut hi jyada gussa hai, aur hona bhi chahiye..lekin please aksh, please ek baar meri baat toh sun”

Sam ne yeh baat itne pyaar se boli ki akshita thodi pighal gayi, lekin voh bina sam ki aur dekhe hue kehti hai “Earth ko khatam karne ki baat toh tu pehle hi kar chuka hai, uske alawa ab aur kya kehna baaki reh gaya hai..?? ”

Sam ki aankhe abhi tak band hi thi, aur voh akshita ki baat ka jawab kuch iss tarah se deta hai “mai bas itna kehna chahta hu ki I love you..i love you so much, mai apni jaan se bhi jyada tujse pyaar karta hu aur mai tere bina nahi reh sakta”

Yeh pehli baar tha jab Akshita ne sam ki taraf dekha, usne dekha ki sam yeh sab kuch apni aankhe band kiye hue keh raha hai..lekin uski awaaz me raha dard aur pyaar saaf jhalak raha tha, uske dil ka dard aansu bankar aankho se bahaar aaraha tha jise Akshita bhi nahi dekh paayi aur usne bahut hi pyaar se pucha “toh fir tu aisa kyu kar raha hai, itna bada kadam lene se pehle tune mujse ek baar bhi puchna jaruri nahi samja..?? kyu tu khud hi apne aap ko saja de raha hai..jabki usme tera koi dosh hai hi nahi..?? why sam..?? kyu tu sabkuch barbaad karne me laga hai”

Sam ne iss baar apni aankhe kholi aur Akshita ki aankho me dekhte hue kehta hai “I don’t know aksh ki muje kya ho gaya tha..mai nahi janta ki maine voh sab kyu kaha, par sach kahu toh jab tune mujse yeh kaha ki tu muje nahi jaanti..mai andar se tut gaya tha, tab muje apni galti ka ehsaas hua ki mai jo karne jaa raha hu voh kitna galat hai” voh thoda rukkar kehta hai “mai nahi janta ki maine jo socha hai voh sahi hai yaa galat..lekin mai yeh jarur janta hu ki mai tere bina nahi reh sakta, I need you Aksh..i really need you in my life..I love you so much”

Akshita sam ki aankho me dekhe jaa rahi thi..usne pyaar se apne haatho se sam ki aankho se aansuo ko saaf kiya aur joro se usne Sam ko apni baanho me le liya..vahi sam ne bhi akshita ko joro se apni baanho me sama liya aur usse kaha “I promise you Aksh, mai sabkuch thik kar dunga, please mujpar bharosa kar..yeh kaam mai akele nahi kar sakta”

Akshita ko sam ki voh baat yaad aagayi jo usne headquarters me kahi thi, voh kuch sochte hue kehti hai “kya sach me loop holes se kaam ho jayega..?? Aur tu sach me uss ladki ko…” voh bolte hue ruk gayi

Sam “mai nahi janta ki loopholes se kya hoga, par mai itna jarur janta hu ki voh ladki ki maut ek hadsa tha..aur mai ab ek ladki ke liye pure earth ko khatre me nahi dalunga..aur naahi uss baare me jyada sochunga”

Yeh sunkar akshita ajeeb najro se sam ki aur dekhti hai, use viswas nahi ho raha tha jo abhi abhi sam ne kaha, kyunki pichle ek hafte se sam khud ko kose jaa raha tha..aur achanak se yeh baat sunkar Akshita puri tarah se chaunk gayi thi

Sam khud ko akshita se alag karte hue kehta hai “I am serious aksh, mai samaj gaya hu ki tu kya kehna chahti thi..aur jab muje yeh sab samaj me aaya thik usi waqt mere dimag me ek plan aaya”

Aksh abhi bhi thodi confused thi “par sam..voh voids…muje nahi lagta ki esi koi bhi cheez exist karti hogi”

Sam “not purely…par haa, time line me kuch ese points jarur hote hai jise change karne par future par koi damage nahi hoga”

Aksh “I don’t know, muje kuch bhi samaj me nahi aaraha ki tu kehna kya chahta hai”

Sam samjate hue kehta hai “akshita..timeline ek esi chiz hai jise samajna bahut hi jyada critical hai, maan lo ki aaj ek ghatna ghati hai...ek incident hua hai jo iss timeline ke liye bahut hi jyada important hai, par iss incident hone ki koi ek aisa particular point jo dikhne me lage ki voh hi uss incident ke hone ke piche ka sabse bada karan hai..but somehow, agar vohi point uss incident me exist naa bhi kare tab bhi voh ghatna thik vese hi ghategi jese voh uss point ke hone par ghati thi..matlab ki agar voh point uss ek ghatna se hata liya jaaye tab bhi timeline par koi asar nahi padega..aur ise hi loopholes kaha jaata hai..bas hume kuch iss tarah ke incidents ko dhundna hai aur jo bhi karna hai uss particular time aur particular place me hi karna hai, jisse timeline change nahi hogi..par uska fayda hume jarur hoga”

Akshita ajeeb si shakal banate hue kehti hai “sam..teri yeh baate muje naa toh pehle kabhi samaj me aati thi..aur naahi aaj samaj me aa rahi hai”

Sam “ab kese samjau, okay maan le ki jo hadse mere saath hua tha, uss ladki ki maut ko mene dekha tha, par somhow agar mai past me jaakar khud ko kisi tarah se uss ladki ki maut ko dekhne se rok lu tab bhi uss ladki ki maut hona tay hai..par usska effect sirf mujpar padega..naaki kisi aur par, aur hum dono aaj jese yaha coronal city me aaye hai..vese hi tab bhi aate"

Akshita “sam..isse toh puri timeline hi alter ho jayegi..just like alternative timeline"

Sam “haa aksh, but I am sure iske alawa hamare pass aur koi option nahi hai"

Akshita “sam..I just hope ki yeh loopholes hamari madad kar paaye”

Sam “don’t worry aksh, just trust me on this”

Akshita sam ke kareeb aayi aur pyaar se uske gaalo par kiss karte hue kehti hai “I always trust you”

Sam aur akshita dono hi chup ekdusre ki aankho me dekh rahe the..lekin shayad aaj unki kismat bahut hi jyada kharab thi, kuch ajeeb se awaaze unn dono ke kaano me sunai di aur voh dono turant hi chaunkanne ho gaye aur dono ne apni apni laser guns nikal li

Akshita apne chaaro aur dekhte hue kehi hai “yeh kesi awaaze hai..??”

To be continued…
 
Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477

Chlo bhai sam ne aks ke hatho khud ko sahid hone se bcha liya...itna gussa wah ji wah..av kon tapaka yeh dekhne layak hoha
 
  • Like
Reactions: Milan2010

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,670
158
What an update dear... Marvelous and fantastic....
Keep it up....
 
  • Like
Reactions: Milan2010

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Awesome Mind Blowing Fantastic Update
 
  • Like
Reactions: Milan2010

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 
Top