• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI StRanGe WoRLd : APOCALYPSE

Which part is better in Strange World Series? (strange world series ka konsa part behtar hai?)


  • Total voters
    22

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Superb & Fantastic Update
 
  • Like
Reactions: Milan2010

luv4sale696969

Active Member
1,303
1,670
158
If your earlier story, Strange World was a masterpiece, this one is going to prove much superior.... I'm sorry I couldn't comment on the Strange World which I completed in one go, after all it was so mesmerizing... Let me comment over that here....
The story was simply superb... Plot fantastic... Flow flawless.... If you could keep the unparliamentary words out, it qualified to get a print version and could claim to be a bestseller.... Though return of Mayank, leaving his beloved ones which he had already lost was a little painful yet I understand that his stay would have disturbed the cosmic rules...
Your knowledge of science is definitely if superior level.... As I'm myself an ardent believer of fact that science and parascience coexist, and that multimeter do exist (I have my own theories about universe), I am a strong believer that some day and somewhere in future these things that you have portrayed will be events day in and day out.... God knows if our ancestors were already familiar with these.... At the end I will say only one thing.... Try your luck in print media....
Keep writing and keep rocking....
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
If your earlier story, Strange World was a masterpiece, this one is going to prove much superior.... I'm sorry I couldn't comment on the Strange World which I completed in one go, after all it was so mesmerizing... Let me comment over that here....
The story was simply superb... Plot fantastic... Flow flawless.... If you could keep the unparliamentary words out, it qualified to get a print version and could claim to be a bestseller.... Though return of Mayank, leaving his beloved ones which he had already lost was a little painful yet I understand that his stay would have disturbed the cosmic rules...
Your knowledge of science is definitely if superior level.... As I'm myself an ardent believer of fact that science and parascience coexist, and that multimeter do exist (I have my own theories about universe), I am a strong believer that some day and somewhere in future these things that you have portrayed will be events day in and day out.... God knows if our ancestors were already familiar with these.... At the end I will say only one thing.... Try your luck in print media....
Keep writing and keep rocking....
:thanks: luv bhao :dost:
Thank you so much for your lovely review
I don't know ki yeh story sw1 ki tarah hogi yaa nahi..maine toh bas ek koshish ki hai mai baaki sabse kuch alag likh saku

Thank you so much sir for liking the strange world
Aur aapne yeh bahut hi badi baat kehdi hai..sw ka print version..yeh bas sapne jesa hai
Mai koi writer nahi hu.. bad ek koshish ki thi ki kuch aisa likh saku jo sabhi ko pasand aaye..and i gues i did that..jaankar bahut hi acha laga ki aapko meri story itni jyada pasand hai
Thanks a lot bhai :dost:

Well aapke sawal ka jawab sw2 me mil jayega...mayank ne paridhi ko kyu vahi rehne diya
Saath bane rahiye bhai..aapko yeh story bhi utni hi pasand aayegi jitni sw1 aayi thi
 

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 7 Memories (Part-1)

1 year ago
Location : Training Center, Earth’s Special Force


Aakhir voh din aa hi gaya jiska har cadet ko beshabri se intezaar tha, aajka din unn sabhi cadets ke zindagi ka sabse khas din kehna galat nahi hoga, kyunki aajhi ke din Earth-Special Force ki B-Squad team ka selection hone vala tha

Earth-Special force me select hona koi aam baat nahi hai aur naa hi kisi ko direct entry di jaati hai, A-Squad me experienced, well trained, best skills vale cadets hote hai, lekin B-Squad hi ek esi team hai jisme sirf youngsters ko mauka milta hai, aur select hone ke baad unhe special type ki training di jaati hai..yeh training koi aam insaan puri nahi kar sakta, aur training ke khatam hone ke baad hi cadets ka final selection kiya jaata hai..aur isiliye iss team ko B-Squad kaha jaata hai

Lekin B-Squad me select hona bhi koi asan kaam nahi hota, har cadet ko 4 phase se gujarna padta hai..aur voh 4 phase mese pehla phase me har cadets ki techincal, non techincal aur mental skills check ki jaati hai, second phase aata hai medical test, third hai physical test aur fourth yaani sabse aakhir me aata hai training phase

Har phase ko clear karna jaruri rehta hai..aur agar koi cadet kisi bhi phase me fail ho jata hai toh use turant hi disqualify kar diya jaata hai
Kehne aur sunne me toh yeh 4 phase bahut asan lagte hai, lekin yeh phase bahut hi tough rehte hai..bahut hi kam cadets inn phase ko clear kar paate hai..aur jo cadet har phase me pass hokar acha score karta hai unhe hi iss squad me entry milti hai..lekin cadets ka kaam sirf team me select hona hi nahi hota..team selection ke baad aata hai sabse muskil phase..FINALTRAINING, jisme har cadets ko ek khas taur ki training di jaati hai..aur jo cadets iss training me pass hote hai unhe hi aage mauka diya jaata hai

Iss saal B-Squad ki team ke liye total 250 cadets ne participate kiya tha..lekin sirf 9 cadets ko hi B-Squad me jagah mil sakti thi..aur akhri cadet voh hota hai jo pichle saal ke test me 11th position par aaya ho
Iss rule ke mutabik pehle 3 phase ko clear karne ke baad 10 cadets ki ek team chuni jaati hai..jisme se 9 cadets current session se rehte hai aur 1 cadet previous (pichli) batch se rehta hai
Aisa rule isliye banaya gaya tha kyunki final yaani ke akhri phase ki training ke dauran agar koi cadet fail ho jata hai toh uski jagah 11-15th rank vale cadets se replace kar di jaati hai aur agar koi cadet fail nahi hota toh next year ki batch me current batch ke 11th rank vale cadet ka final team me selection kiya jaata hai..yaa yu kahu ki uss cadet ko B-Squad ki team me direct entry mil jaati hai..aur sirt itna hi nahi..yeh 11th cadet iss nayi bani hui team ko lead karta hai
Aur baaki rahe 12th se 15th rank vale cadets ko unke skills ke based par squad me dusri post di jaati hai

Final training me har cadets ko ek final task diya jaata hai..uss task ka naam hai LASER SWORD FIGHT, har cadets ka mukabla senior aur highly trained officers ke saath ne hota tha..Sword fight yaa yu kahu ki talwaar baaji ko sabse akhri me isiliye rakha gaya hai kyunki isme har cadets ko apne dimag ke saath saath furti se bhi kaam lena padta hai..kyunki baaki weapons me yaa toh aapko dimag se kaam lena padta hai yaa fir sirf furti se..lekin talwaar ek aisa hathiyaar hai jisme dushmaan apke samne hota hai aur aapko uski chaal ko samajkaar waar karna rehta hai..aur talwaar baaji me sirf dimaag chalane se kuch nahi hota..badan ki furti bhi utni hi mayne rakhti hai jitna ki aapka dimag..aur vese bhi yeh kaha gaya hai ki talwaar baaji ko sikhna sabse tough hai..kyunki talwaar baazi koi aam chiz nahi hai jo aap asani se sikh sakte hai..dushman kab kya chaal chal de uska adnaaza lagana bahut hi muskil rehta hai

Har baar ki tarah Commander aur Bennet har ek cadets ko judge kar rahe the..lekin iss baar unke saath Sam bhi vahi par maujud tha
Sam..yehi voh akhri cadet tha jise Iss saal ki B-Squad me direct entry milne vali thi..last year ke test me Sam 11th position par tha..aur voh tabse hi khud ko train karne me laga hua tha

Bari bari sabhi ke test khatam ho chuke the..lekin Sam ki najar Cadet 24 par thi, uske ladne ki style use baaki cadets se kaafi alag par sabse asardar lag rahi thi..aur isi vajah se sam ka dhyaan baaki cadets par naa rehkar sirf cadet 24 par tha..voh lagatar use hi dekhe jaa raha tha
Tests khatam hone ke baad sam commander se kehta hai “sir, agar aapko koi problem naa ho toh mai cadet no 24 se ek baar fight karna chahunga”

Commander sam ki aur sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “muje toh koi problem nahi hai, par sirf usse hi kyu..??”

Sam “aap khud dekh lijiyega” aur commander ne Cadet 24 aur Sam ke bich ek aur round karwaya gaya, uss round me sam 5 min ke andar hi out ho gaya

Sam uski talwaarbaazi dekhkar bahut khush hota hai..jis furti se voh cadet sam ke harek moves padhkar use deflect karta tha use dekhakar sam khud heran tha, kyunki pichle 1 saal me sam ne apna pura dhyan apni talwaar baazi me lagaya tha..yaa yu kahi ki usne aapna 1 saal bas sword ko master karne ke laga diya tha, lekin aajse pehle usne iss tarah ki techniques ko kabhi nahi dekha tha..aur yeh ek vajah thi jo Sam ko sabse jyada impress kar rahi thi
Sam chahte hue bhi uss cadet ka chehra nahi dekh paa raha tha..kyunki as per rules fight ke dauran dono hi opponents ko protection mast compulsory pehnaya jaata tha

Fight ke sabse akhir me Sam aur Cadet 24 ke points kuch iss tarah se the, Cadet 24 ne sam ko 15 paar haraya tha..jabki Sam use keval 4 baar hi hara paya tha..aur sabse akhir me Sam out of the ring ho jaane ki vajah se voh 5 min ke andar hi out ho gaya
uss cadet ne sam ke aage apna haath kiya aur sam uske haath ko pakad kar khade hote hue kehta hai “you are awesome man..really, just amazing, iss tarah ki fight maine kabhi nahi dekhi”

lekin jab uss cadet ne apna mask hataya toh Sam use dekhta hi reh gaya..jo chehra sam ke aankho ke samne aaya voh behad hi pyaara tha, jheel ke jesi neeli aankhe, khule baal aur patle honth, Sam toh bas uski khubsurati me jese kho sa gaya tha

Voh ladki “thanks sir”

Lekin hamare sam bhai ka dhyaan toh uss ladki ke chehre me tha, toh use kaha kuch sunayi dene vala tha, voh toh bas bina apni palke japkaye hue uss ladki ki aur hi dekhe jaa raha tha, aur sam ka iss tarah se dekhna shayad uss ladki ko thoda ajeeb lag raha tha

Isi bich commander ne sam ko karib 3-4 baar awaaz lagakar bulaya, par sam ko kese sunai deta..voh toh ek alag hi duniya me tha
Voh ladki sam ke aage chutki bajate hue kehti hai “excuse me sir, kaha kho gaye”

Sam thoda chaunkar aur haklate hue kehta hai “oohh, ii…ii aaa….aaammm.mm ssss..ssss.ooooorrrrr….rr.rrr….yyyyyy”

Voh ladki “are you okay sir..?? aap thik toh haina”

Sam “yeah yeah, I am absolutely fine”
aur fir voh sidhe commander ke pass chala gaya aur unse kuch discuss karne laga

Results aane me abhi 1 hour tha, aur Bennet aur Sam chalte hue canteen ki aur jaa rahe the, tabhi sam usse puchta hai “yaar bennet, voh ladki kaun thi..??”

Bennet “konsi ladki, vahi jisne tuje haraya..??”
voh masti karte hue puchta hai

Sam “haa..haa ab thik hai, janta hu mai usse haar gaya, par voh hai kaun..??”

Bennet apne haath me pehni watch ko kuch commands deta hai aur fir voh kehta hai “acha voh..uska naam Akshita Shah hai, lagta hai bhai ko voh pasand aagayi hai”

Sam thoda hadbada jaata hai aur khud ko sambhalte hue “nahi bhai, aisa toh kuch nahi hai..bas uske moves kaafi ache the, aur jis tarah se voh Sword Fight kar rahi thi..it was superb”

Bennet “ha voh toh maine bhi dekhe..but I don’t think ki high command use select karenge”


Sam sawallliya bhari najro se dekhte hue puchta hai “kyu bhai..?? uski performance bahut hi achi thi, fir voh select kyu nahi hogi”

Bennet “because high commands sirf score dekhte hai, and according to the score, they will select the best”


Tabhi piche se awaaz aayi “aur cadet 24 ki score bahut hi kharab hai, aur yaha tak ki voh kahi tasks me fail bhi hui hai” yeh baat piche se aate hue commander ne kahi

Sam kuch sochte hue kehta hai “I don’t care sir, mai in faltu tasks ko nahi mannta, mai bas itna janta hu ki muje voh meri team me chahiye”

Commander “mai manta hu uski skills bahut hi achchi hai..par mai uski koi madad nahi kar sakta, and according to her score..voh B-Squad ki team ke liye eligible nahi hai, I am sorry”

Sam “sir..I don’t care ki voh eligible hai yaa nahi hai, muje nahi pata ki usne baaki tasks me kaise perform kiya hai, but mai ek baat jarur janta hu..she is the girl I need in my team, yeh meri team hai..aur mai jise chahu use apni team me le sakta hu, trust me sir, she has completely beat me, voh mere har movements ko asani se padh rahi thi..and I am totally blank, uske moves ko samaj pana mere liye namumkin ke jesa tha..aur yaha jitney bhi cadets aaye hai..voh unn sab me best hai”

Commander “haa sam..yeh maine khud dekha hai, aur mai yeh bhi jarur kahunga ki maine apne career me uske jesi talwaar baazi kabhi nahi dekhi..not even you, but I am sorry, mai uski koi madad nahi kar sakta”
utna kehkar commander vaha se apne room me chale gaye aur sam aur bennet vaha se canteen ke aur jaane lage

Bennet se baat karte hue sam kehta hai “agar voh select nahi hui toh fir mai yeh force chod dunga, I will resign my post”

Bennet yeh sunkar chaunk jaata hai “tu ek anjan ladki ke liye resign karne ki baat kar raha hai, have you gone mad..?? janta hai tu kya karne jaa raha hai, yeh team me har kisi ko jagah nahi milti..aur jo tune itni mehnat ki hai uska kya..?? common sam..yeh team teri hai..you are going to lead them..pagal mat ban”

Sam “haa, vahi toh mai keh raha hu..ki yeh meri team hai, muje apne hisab se apni team chunne ka pura haq hai aur agar iss ladki ko meri team me nahi liya gaya toh mai resign kar dunga..ab tu ise mera pagalpan samaj yaa kuch aur, mere liye yeh mayine nahi rakhta”
thoda rukkar “aakhir kab tak hum talent ko ignore karte rahenge, common man, we are the best force on entire planet..aur hamari team me hume best cadets chahiye..naaaki tested cadets”

Tabhi bennet ki najar pass mese gujar rahi akshita par padi, use laga tha akshita ne sab kuch sunn liya tha, aur voh Sam ki aur ishara karta hai
Sam ne apni najar Akshita ki aur ghumayai aur unn dono ki najre ek dusre se jaa mili..yeh pehli baar tha jab Akshita aur Sam ki najre ek dusre se mili thi..voh dono chalte hue vahi ruk jaate hai, aur unhe ruka dekh Bennet bhi ruk jaata hai
Bennet “sam, mai tuje baad me milta hu” aur voh vaha se chala jaata hai

Sam aur akshita ek dusre ki aankho me dekhe jaa rahe the, lekin dono mese kisine bhi bolne ki pehel nahi ki, lekin akshita jyada der sam ki aankho me dekh nahi paayi, aur usne apni palke juka li, tabhi sam ne use dilasa dete hue kaha “I promise, mai tumhe iss team me select karwakar hi rahunga”

Akshita apne aankhe firse sam ki aur karti hai aur kahti hai “par sir, aap please mere liye apni post resign nahi karna” aur itna kehti hi voh bina sam ki aur dekhe vaha se chali gayi

To be continued…
 
Last edited:

Milan2010

Well-Known Member
4,809
3,582
159
Update : 8 Memories (Part-2)

Karib 1 hour ke baad B-Squad ke team selection ke liye High-Command ke sath meeting thi..High Command ki team me total 10 members hai, jisme Sam ke Mom aur Dad bhi shamil hai
Earth-Special force ki handling aur unka reporting sidhe High-Command se hota hai, aur yahi vajah thi ki B-Squad ka team selection bhi High Command hi karti thi

Meeting me High-commands ke saath Bennet, Commander, kuch senior members aur unke saath me Sam bhi vahi par maujud tha
Har ek cadets ke score ko study karne ke baad High-command ne final 9 cadets ko select karke unke naam announce kiye gaye aur jesa ki sam yeh baat janta tha ki uss team 9 cadets me Akshita ka naam nahi tha

Final team selection ke baad High-Command ke samne Sam ko laya gaya, aur use iss saal ki team ka leader banaya gaya, lekin Sam ne leader banne se saaf mana kar diya aur kahta hai “thank you sir, but I am sorry..shayad aapko meri baat galat lage par mai yeh post accept nahi kar sakta”

Member 1 “what happened cadet..??”

Sam “sir hua toh kuch nahi bas, ek baat hai jo aap sabse puchni thi”

Sam’s Mom “son, baat kya hai..??”

Sam “mam, mai janta hu according to rules iss saal ki team ka leader mai hu, and mai yeh bhi janta hu ki rules ke according hi team ka selection hua hai, par muje yeh team manjur nahi hai”


Sam ki baat sunkar vaha rahe sabhi log chaunk jaate hai, kyunki yeh pehli baar hua tha ki kisine team selection ko lekar iss tarah ki baat sidhe high-command ke samne kahi thi, aur sam ka iss tarah se yeh baat kehna kisiko bhi samaj me nahi aa raha tha

Sam’s Dad “son, mai kuch samja nahi”

Iss baar sam ki jagah Commander ne jawab diya..aur voh sabkuch jo sam ne unse kaha tha voh bata dete hai ki Sam apni team me Akshita ko lena chahta hai
Sam “sir, mai yeh manta hu ki yeh tests hona jaruri hai, sare tasks pure karna bhi jaruri hai, par sir..sirf inn chote aur bematlab tests ki vajah se hum talent ko ignore nahi kar sakte”

Sam’s Mom “sam..ek bhi test bematlab nahi hai aur naa hi koi bhi test chota hai, aur tum jo keh rahe ho voh impossible hai, detailed report se saaf pata chal raha hai ki cadet number 24 ke results bahut hi jyada poor hai, final phase me 10 se jyada tests me voh fail hui hai, and baaki ke tests me bhi cadet 24 ka performance kuch khaas acha nahi hai”

Sam “ha, mai akshita ke results ko dekh chuka hu..par LASER SWORD FIGHT ko inn sabhi tests me sabse tough mana jata hai, aur usme akshita ne sabse best perform kiya hai, maybe last 5 years me sabse best performance usi ka hai, and agar results dekhne hi hai toh uski har ek fight ka average time dekh lijiye..it’s around 3 minutes, koi bhi fighter Akshita ke aage 3 minutes bhi nahi tik paaya”

Member 3 “par cadet, sirf sword fight ke base par hum kisi ko bhi team me select nahi kar sakte”


Sam ne unki baat ko kaat te hue kaha “sir, results toh maine bhi dekhe hai, yaha par kuch aise cadets hai jinki peromance bahut hi jyada poor rahi hai, aur akshita ka score utna jyada bhi bura nahi hai, aur jinn tests me voh fail hui hai voh jyada tar weapons based hai, aur kuch ese tests hai jise hum sudhar sakte hai”

Member 4 “yeh possible nahi hai”

Sam “kyu possible nahi hai sir..?? bas isiliye ki voh pre-tests me fail hui hai..?? sir..iss force me ese bhi kahi cadets aaye the jinko pre-tests score ke base par select kiya tha aur fir final training ke baad unhe replace kar diya gaya”
voh saans lete hue kehta hai “aur vese bhi sir, we are B-Squad, yaani har ek cadets ko ache se train kiya jaata hai..and I think iss training center ka bhi yahi kaam hai ki aaye hue cadets ko train kiya jaay”

Sabhi log sam ki aur dekhne lage, fir samne ek aur baat kahi “aur sir, jab mai yaha par first time aaya tab mai bhi shayad week tha, muje bhi kuch nahi aata tha..even yaha tak muje khud par bhi yaakeen nahi tha ki mai kabhi B-Squad me select ho paunga, lekin maine intense training ki madad se yeh kar dikhaya, aur itna toh aap bhi mante hai ki yaha par aane vale cadets kuch bhi kar sakte hai, aur aap yeh bhi jante hai ki har cadets ko sabkuch nahi aata, aur naa hi koi cadet pehle se kuch sikhkar aate hai..but yes, yaha par unhe train karke best banaya jaata hai..unhe iss team me rehne ke liye kaabil banaya jaata hai, toh fir akshita ko kyu nahi..?? hum use bhi toh train kar sakte hai..uske poor results ko ache bana sakte hai, mai bas itna kehna chata hu sir..she has got talent, aur hume uske talent ko ignore nahi karna chahiye, aakhir kabtak sir aisa chalta rahega..?? and highcommand aap bura nahi manna…par mai aap sabse ek sawaal karna chahta hu, aap ke hisab se best scores vale cadets ka selection hota hai..toh fir final training ke baad bhi unhe kyu fail karke replace kiya jaata hai..?? as per the results..voh toh har field me best hote hai, toh fir muje nahi lagta ki unhe replace karne ki koi jarurat ho..lekin fir bhi unhi 10 mese bhi kahi baar kuch cadets ko replace kiya jaata hai..because yaha par sirf score ke based par selection hota aaya hai..aur isi vajah se talent hamesa piche reh jaata hai”

Sam ki baat se kuch der ke liye meeting hall me ekdum sannata chaa gaya, aur uss sannate ko bhi sam ne hi toda “aur sir ek aakhri baat, shayad aapko bura lage..par jara iss baat par gaur jarur kijiyega, kisi bhi insaan ko sabkuch nahi aata..agar har insaan ko sabkuch aane lagta toh shayad aaj mai yaa aap yaha baith kar yeh decide nahi kar rahe hote ki kise team me select karna hai..aur naa hi hamari earth ka past itna bura hota” fir ek gehri saans lete hue kehta hai “high command kehne ko toh yeh team meri hai..maana ki team select karna meri authority nahi hai..par kya mai apne hisab se apni team nahi rakh sakta..kyunki afterall mere team me jo members honge voh aap hi ne select kiye hue hai..laser sword fight bhi toh top 20 cadets ke bich me ki jaati hai..mai bas uss top 20 cadets mese apni team select karna chahta hu, par muje nahi lagta ki aap apne rules ko change karenge, toh bas meri ek request hai..agar aapko sirf score based team select karni hai toh I am sorry sir, mai yeh post accept nahi kar sakta..i don't want to be a leader if I can't select my own team, aur saath me b-squad ki team se bhi resign karta hu, thank you sir” aur fir voh jaakar apni seat par baith gaya

High commands ke sare members ne sam ki baat par gaur kiya, aur unhone yeh decide kiya voh ek baar khud akshita ki skills ko dekhna chahenge, aur uske sare clips dekhne ke baad unhe decide kiya ki voh Akshita ko iss team me select karenge..sam apne hisab se apni team select kar sakta hai
Member 3 “cadet sam, humne aapki baat ko sochkar, aur unnpar discuss karke yeh faisla liya hai ki she will be selected, and you can have your own team..but on one condition”

Yeh baat sunkar sam khush bhi tha aur thoda chaunka hua bhi, voh kehta hai “sorry sir, but mai kuch samja nahi”

Member 3 “sam..akshita ko train karne ki puri responsibility tumhari hai, aur final training ke baad hi hum yeh decide karenge ki voh iss team me rehne ke kaabil hai yaa nahi”


Sam khush hote hue “thank you sir..thank you so much, vaada karta hu sir..mai aap sab ko nirash nahi karunga..I will train her”

Meeting khatam hote Yeh khabar har aag ki tarah fail gayi thi ki pehli baar rules ko change karke talent ke based par kisi ko select kiya gaya hai

In Cadet’s (Girls Room)
Ladki 1 “yaar akshita, voh ladka kamal kaa hai, usne tuje select karwane ke liye khud ka resignation tak dene ko taiyaar ho gaya tha..congratulations”

Akshita “thanks, par tuje yeh baat kese pata..??”

Ladki 1 “yaar, actually maine bhi uski baate sun li thi”

Akshita “hmm, par voh hai kaun..??”

Ladki 2 “uske baare me jyada toh nahi janti, par itna pata hai ki voh tumhari team ka leader hai”

Ladki 3 “sirf leader hi nahi, voh khud tuje train karne vala hai”

Ladki 1 “par jo bhi ho, akshita tune toh kamaal hi kar diya, itni achchi talwaar baaji kaha se sikhi”

Akshita “bas..aaadat ho gayi hai, bachpan se mai sirf usi ki practice kiya karti thi..talwaar hi mera khilona tha”

Ladki 2 “jo bhi ho, you are so lucky”

Akshita “thanks friends”

Ladki 3 “akshita, I think tuje uss ladke se jaakar milna chahiye aur use thanks kehna chahiye”


Baaki do girls bhi iss tesri ladki ki baat ko agree karti hai, aur akshita ko bhi yeh baat sahi lagti hai, toh voh bhi Sam ko thanks kehne ke liye chali jaati hai
Kuch der dhundne ke baad akshita ko Sam mil jaata hai, aur voh use rokte hue kehti hai “thank you sir, thank you so much”

Sam akshita ko dekhte hue kehta hai “thanks, par kis liye..??”

Akshita thoda haklate hue kehti ha “voh sir, apne high-commands se jis tarh se baat ki, aur muje select karwaya uske liye”

Sam haste hue “acha voh, hey uske liye thanks ki jarurat nahi hai, and maine toh bas voh kiya hai jiski aap haqdar thi..and really you deserved in the team, tumhare techniques kabile tariff thi, aur mai nahi chahta ki tumhare jesa cadet yaha se vapas jaye”

Akshita “thanks sir, but shayad mai iske kaabil nahi hu”


Sam kuch sochte hue “coffee..?? kya hum vaha par baat kare..??”

Akshita thodi ajeeb najro se dekhti hai par fir voh bhi haa kar deti hai aur voh dono canteen ki aur chale jaate hai aur dono coffee peene lagte hai
Unhe yaha aaye hue 10 minutes ho gayi thi, dono ek dusre ko chupke chupke se dekha karte the, par kisi bhi baat karne ki himmat nahi ho rahi thi..Dono mese koi kuch nahi bol raha tha, aur sam tha ki baar baar Akshita ki aankho me hi dekhe jaa raha tha, aur akshita ko pata nahi kyu par sam ka uski aur iss tarah se dekhna kaafi acha lag raha tha

Akshita kuch sochte hue “sir, aap bura naa mane toh mai ek baat puchu”

Sam “bilkul bhi nahi, agar aap muje ese hi sir..sir kehkar bulane vali ho tab toh bilkul bhi nahi, you can call me sam”

Akshita “okay okay, sam, par tumne itna sab kyu kiya..?? aur khud ko resign karna, pagal ho kya..??”


Sam haste hue “haa, aisa hi kuch samaj lo, aur vese bhi muje ek best aur perfect team chahiye, aur mai unn sab faltu ke tests me yakeen nahi karta, agar kisi me talent hai toh uska fayda use jarur hona chahiye..and believe me, tumahari skills..maine aajtak iss tarah ki talwaar baazi kabhi nahi dekhi”

Yeh sunkar akshita thodi si raunsi ho jaati hai, kyunki yeh pehli baar tha jab kisine uski itni jyada tareef ki thi, aur akshita ki aankho me aansu dekhkar sam hadbada jaata hai aur kehne lagta hai “hey hey hey, I am sorry, mai aapko hurt nahi karna chahta..really sorry”

Akshita ek pyaari si smile dete hue kehti hai “aapne muje hurt nahi kiya..bas muje apni tareef sunne ki adat nahi hai” aur firse voh dono ek dusri ki aankho me dekhne lage

Akshita “vaise sam, tum ho kaun..?? I mean high-command se direct iss tarah se baat karna..kese..?? tumhe dar nahi laga tha..??”

Sam “mom dad ka high command me hone ke bhi kuch apne fayde hai”


Akshita yeh sunkar toh ek dum shocked ho jaati hai, aur voh apni aankhe badi karte hue kehti hai “aap mr. and mrs. Verma ke son ho..??” voh kuch bol hi nahi paa rahi thi “I mean..sir aapne ek mamuli si ladki ke liye itna kuch kar liya, thank you sir..thank you so much”

Sam “are are are..shant, mai koi sir vir nahi ho, bas tumhari hi tarh ek aam ladka hu..aur haa, mere koi dost mamuli nahi hote”

Akshita “sir, hum dost kab bane..??”


Sam apne baalo ko khujate hue kehta hai “ohh haa, yeh bhi hai” fir voh apna haath aage karte hue kehta hai “friends..??”

Akshita bhi kuch sochkar sam se haath mila leti hai aur “friends, so I guess, ab toh muje tumhe sam kehkar hi bulana padega”

Sam “haa bilkul, so abse no sir, aur yeh toh bilkul bhi nahi sochna ki tum ek mamuli ladki ho okay..??”

Akshita “haa..samaj gayi”
aur firse voh dono ek dusre ki aankho me dekhne lage


“tu yaha kar kya raha hai..?? tu thik toh haina..??” bennet ne sam ki hilate hue kaha

Sam apni aankhe kholte hue kehta hai “haa bhai mai thik hu, kya hua bol..??”

Bennet “oculus protocol ready ho chuka hai, ab tera plan kya hai..??”

Sam “tu chal mai aata hu”
aur fir voh fresh hokar command center me aagaya, jaha par bennet, akshita aur commander pehle se hi maujud the
Sam ne dekha ki akshita uski aur dekh tak nahi rahi..aur yeh use bilkul bhi achcha nahi lag raha tha, dil me ajeeb sa dard ho raha tha, aur voh iss ummid me akshita ki aur dekh raha tha ki shayad voh uski taraf ek baar dekh le..lekin akshita ne toh jese kasam khaa rakhi thi, usne ek baar bhi sam ki aur nahi dekha

Commander “so sam, tera plan kya hai..??”

Sam “sir, oculus protocol isiliye banaya gaya tha ki jab bhi impossible situation aaye toh use kar sake, iss protocol me time machine ke jariye hum past me jaakar kisi bhi event ko change kar sakte hai”

Commander “haa..yeh toh mai bhi janta hu, isi reason ki vajah se mai Oculus ki permission nahi de raha tha, hum past toh badal denge..par uska natija bahut hi bhayankar hoga..hum future ko tabah kar sakte hai..yaa fir puri timeline ko”

Sam “sahi kaha sir, lekin hum itna toh jaan paaye hai ki time yaa time force voh ek nadi ki tarah hai”


Bennet aur commander sam ki aur sawaliya bhari najro se dekh rahe the, jabki akshita jo abhi bhi ulti khadi thi use bhi kuch samaj me nahi aa raha tha ki iss tarah se timeline aur nadi ke bich me kya relation hai, sam ne aage bolna chalu rakha “sir, aur hum jante hai ki nadi bhi ek direction me hi behti hai..aur nadi me kuch chote chote pathar hote hai, agar hum unn pathor ko nadi mese bahar nikalde tab bhi nadi ke bahav me koi farak nahi padta..voh toh usi tarah behti rehti hai jiss tarah voh pehle behti thi, thik usi tarah..time force yaa time line me bhi kuch ese voids hote hai..agar hum unn voids ko dhund paaye aur uss voids me koi changes laaye toh hum future ko jyada nuksan pahuchahye bina past change kar sakte hai”

Akshita pehli baar kuch kehti hai, uski aankhe abhi bhi halki si nam thi “yeh impossible hai, chote se chote change bhi timeline ko effect karega”

Sam ne akshita ki pyaari bhari najro se kaha “haa, aksh..timeline par effect jarur hoga, kuch chote changes aa sakte hai..but, we can save ourselves, we can save our home” fir voh rukkar kehta hai “isiliye toh maine yeh kaha ki hume voh voids dhundne padegne jisse timeline par minimum se minimum effect ho, aur yeh kaam tuje karna hai bennet”

Bennet sawaliya bhari najro se dekhte hue kehta hai “muje karna hai matlab..?? tu kaha jaa raha hai..??”

Sam akshita ki aur dekhte hue kehta hai “mai aur aksh coronal city jayenge, mai vaha khud jaakar dekhna chahta hu ki aakhir vaha actually me hua kya tha, muje pura yakeen hai ki vaha se hume kuch toh madad jarur milegi”

Commander “that’s a good idea, good luck sam”


To be continued..
 
Last edited:

Mayaviguru

Active Member
1,090
2,477
159
Hassh update aa gaya

Thanks alot bhai...
Bda hi behtreen update tha...
Aks ka selection kaise hua..
Sahi hai kuch to sam talent se ghayal hua aur kuch beauty se..
Highcommand ki gand tod di dhamki deke...
Oculus protocol....
Time machine ban gya re baba...
Time mai void dhudna hai..isne...
Gajab benet void dhude tab tak apna sam jara battle ground mai ghum kar aata hai..

Dhakad update...
Bhai apka update size large tha par itna acha tha ki padh kar aur jyada padhne ka man kar rha
Superb update
Waiting for next
 
Top