• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
SAAJAN
UPDATE- 207
5th Janam Ki Prem Kahani...

Uske jane ke baad main kuch der tak uss mahatma ke bare me sochta raha aur mann me vichar kiya ki aaj dophar me unki jhopdi me milne jaunga….ye mann hi mann abhi soch hi raha tha ki achanak tabhi mere sine me ek bechaini si hone lagi…kuch hi samay me ye bechaini had se jyada badh gayi to maine vaha se jana hi behtar samjha aur gaon jane ke jaise hi palta vaise hi kisi se takra gaya.

Takrane wali koi ladki thi…mujhse takrate hi vo dhadam se niche gir gayi….uske bade bade kesh hawa me lahra uthe girne se…uska chehra niche ki taraf tha jisse mujhe dikhayi nahi diya…girte hi uske mukh se koyal si masumiyat bhari awaz nikli…

"Aaahhhh….Maar Dalungiii." Apni naak ke neeche ungli ghumate huye usne badi hi masumiyat se kaha.

Kahne ke sath hi vo palat gayi aur phir uske chehre par nazar padte hi main jaise apni sab sudh budh bhul baitha..

Ab aage…..

Uska aisa anupam soundarya dekh kar meri ankho ne palak jhapakna hi chhod diya….dil ki dhadkan achanak hi itni tez ho gayi jitni pahle kabhi nahi huyi thi…main to bas chatak pakshi ki tarah uske chaand chakor jaise mukh mandal ki shobha me doobta chala ja raha tha…na tann ki koi sudh rahi aur na hi mann ki.

Jitu (mann me)—aisa kyo lag raha hai ki main iski hi talash me dar dar bhatak raha tha ab tak…aisa adbhut soundarya to raj mahal me bhi durlabh hai….isko dekhte hi mujhe aisa kyo lag raha hai jaise ki mera isse kayi janmo ka nata hai mere hriday me prem ki lahre kyo uth rahi hain…aaj se pahle aisa to kabhi nahi hua..

Vahi vo ladki bhi usko dekh kar kuch pareshan si ho gayi…uske hriday me bhi halchal uttapann hone lagi thi kintu usne kisi tarah se khud ko sanyamit kar liya.

Ladki—aise kya anar jaisi badi badi ankhe nikal ke tukur tukur kar ke dekh raha hai, jaise ki mujhe kha jayega….pahle kabhi ladki nahi dekhi kya..?

Jitu—(koi jawab nahi….bas ektak dekhne me magn)

Ladki—ye fatichar...main tujhse hi puch rahi hu...ye khuli ankh ke andhe ...kaano se bahra bhi hai kya... ?

Jitu—(koi jawab nahi)

Ladki—ye pagal aise ghurna band kar mujhe....maar dalungii...haan,

Jitu—(koi prati kriya nahi siway ektak niharne ke)

Ladki—mat sunne do….lagta hai ki sach much ka bahra hai….chalo iske paas se jaldi nikal jati hu….vaise bhi iske paas rahne se mera dil joro se dhak dhak kar raha hai…aisa lagta hai ki jaise main iss pagal ko sadiyo se janti hu…par aisa kaise ho sakta hai…main to isko aaj pahli bar hi dekh rahi hu…phir mera dil meri baat kyo nahi sun raha hai….iske paas agar jyada der ruki to main bhi iske jaise hi pagal ban jaungi.

Vo ladki mere paas jo kuch bhi tha vah sab hadap ke chalte bani…main abhi bhi usko hi dekhne me khoya hua tha. Jate jate usne ruk kar ek bar palat ke dekha.

Ladki (naak ke niche ungli pher kar)—maar dalungiii

Uske jane ke baad bhi main vaise hi khada raha….apne upar pani grta mahsoos hone par mera dhyan bhang hua to malum chala ki barish hone lagi thi…maine barish ki parwah na kar ke uss ladki ko dekhne laga kintu vah vaha se kab ki ja chuki thi.

Main poora din uss ladki ki phir se ek jhalak pane ke liye idhar se udhar bhatakta raha…jab uska koi pata nahi chala to shaam hone par vapis apni jagah lout aaya.

Raat me maine bhojan bhi nahi kiya aur chupchap let gaya….kintu lakh prayas ke baad bhi neend jaise aaj mujhse ruth gayi thi….ankho se uss ladki ki sundar chhavi mere manas patal se hatne ka naam hi nahi le rahi thi….uska chehra ankho se hote huye mere hriday me utar chuka tha.

Ankho ankho me hi poori raat gujar gayi….subah hote hi main jaldi uth kar nitya karm se fursat hone ke baad phir se uss ladki ki talash me ghoda le kar nikal gaya….bahut der tak bhatakne ke baad bhi mujhe uska koi surag na milne se main nirash ho kar ek jagah baith gaya.

Jitu (mann me)—kaha gayi hogi vo….? Kaha rahti hogi.... ? ab kaise usko dekhu phir se... ? kyo na ussi jagah par nadi kinare uska intazar karu jaha kal mujhse vah takrayi thi.

Ye soch kar main vaha se uth kar ghode ki lagam khichi aur kal wale sthan par aa kar uski pratiksha karne laga.. kafi samay vyatit hone ke baad bhi jab vo nahi aayi to maine socha ki kyo na nadi ke uss paar bani uss mahatma ki jhopdi me chal kar kam se kam unke darshan hi kar liya jaye.

Maine jaise hi uss jhopdi me kadam rakha hi tha ki meri dahini baanh fadakne lagi aur sir me tez dard uthne laga, main kafi hairan ho gaya...dard ki vajah se kuch pal ke liye meri ankhe band ho gayi.

Jitu (mann me)—iss jhopdi me kadam rakhte hi meri dahini bhuja kyo phadak rahi hai aur sir me dard bhi ho raha hai.. ? iska kya karan ho sakta hai... ? ya phir jo honi ho, uske dwar kahi se bhi khul sakte hain...

Lekin kuch hi samay me vo dard aur baanh ka fadakna band ho gaya….uske Agle hi pal jab maine ankhe kholi to ek bar phir se meri hairangi ki seema na rahi….kyon ki iss samay maine khud ko uss jhopdi me hone ki bajaye ek sundar vatika (bagicha) me paya...

"Aao sakhiyo...idhar aao." Tabhi kisi ladki ki shahad me ghuli madhur vani kano me sunayi padi.

Jitu (hairan)—akhir kya raaz hai iss jhopdi ka... ? koun hai vo mahatma... ? bahar se ek choti si dikhne wali jhopdi ke andar itna bada sansar bhi ho sakta hai, iski to kisi ne kalpana bhi nahi ki hogi kabhi...jidhar se ye awaz aa rahi hai udhar hi chal kar dekhta hu.

Main uss disha me chala gaya jidhar se kisi ke baate karne ki awaz aayi thi...vaha pahuch kar maine dekha ki kuch ladkiya apne akaar ke anuroop ghade liye, unse chote chote poudho ko pani deti huyi idhar hi aa rahi thi...tabhi achanak kisi ko dekhte hi main chounk gaya aur phir mera rom rom pulkit ho utha...mere hriday me ek aloukik khushi ki tarang hilore lene lagi.

Jitu (mann me)—arey ye to vahi ladki hai…lekin yaha iss jhopdi ke andar…? Lagta hai ki koi bahut bada gahra rahasya chhupa hai iss jhopdi me…..sach, kitni sundar lagti hai ye ladki…akhir koun hai ye jiske liye mera mann itna vyakul ho raha hai kal se iski ek jhalak dekhne ke liye….raj bhavan ke liye bhi durlabh yeh roop inn kanyayo ka hai…aur ye ladki ke roop jaisi to iss lok me milna asambhav hai….kudrat ki asim karigari hai ye ladki…iske roop ne to iss pushpa vatika ke roop ko bhi feeka kar diya hai.

Main vahi chhup kar usko dekhne laga...thodi hi der me vo apni do sakhiyo ke sath idhar hi aane lagi aur jaise jaise vo nazdik aati ja rahi thi meri vyakulta bhi badhti chali ja rahi thi.

Ek sakhi—divya, mujhe lagta hai ki tere pita kanv rishi ko iss ashram ke vriksh tujhse kahi adhik priy lagte hain tabhi to phoolo se bhi komal apni ladki ko, inhe pani seenchne me laga diya hai.

Vahi Ladki (Divya)—Anusuiya, ye pita ji ka hi adesh nahi hai balki mujhe khud bhi in phulo se bahut sneh hai.

Dusri sakhi—divya, garmi me phool dene wale vriksho ko to hum seench chuki hain…chal ab unhe bhi seench de jin par phool aane ka samay beet chuka hai…iss nishkam karm se bahut punya hoga.

Divya—tu theek kahti hai priyamvada.

Jitu (sun kar, apne aap se)—Ohhh...to ye kanva rishi ki beti divya hai...ye naam jane kyo, par bahut jana pahchana sa lag raha hai...aisa lag raha hai jaise ki iss naam se mera koi bahut gahra rishta hai...isse ashram ke kaam me laga kar rishi ne vivek ka parichay nahi diya...

Divya—dekh anusuiya, priyamvada ne meri choli ko kitna kas diya hai...mujhe taklif ho rahi hai...isko thoda dheela kar de.

Priyamvada (haste huye)—mujhe kyo kosti hai... ? apne ubharte youvan ko kos, jisne tere stano me itna ubhar la diya hai...ye sara kasoor tere dono stan ka hai jo nariyal ki tarah bade bade ho gaye hai, ab usme bechari choli kya kare, vo to kasegi hi na sakhi..

Jitu (mann me)—theek kaha isne...yeh abhinav sharir, maheen gaantho se kandhe par kase, apne stano ke vistar ko apne me samete, iss choli me apni shobha ussi tarah nahi dikha pa raha hai peele patto ke jhurmut me ek naya phool...choli iske anuroop nahi hai phir bhi isse iska sharir rukha lage aisa nahi hai, kyon ki...keechad se ghira hone par bhi kamal hamesha sundar hi rahta hai...kalima ke rahte bhi chaand, chandni chhitkata hai...iss mrig nayani ke sharir par ye choli bhi khubsurat lag rahi hai....divya ek khili kamalini hai.

Divya (samne dekh kar)—anusuiya, priyamvada...hawa se hilti ungliyo se yeh aam ka vriksh mujhse kuch kah raha hai, aisa lagta hai...chal kar isko bhi pani de du jisse ye bhi lahlaha uthe.

Priyamvada—dekh, kuch der iske paas hi ruki rahna..

Divya—kyo…?

Priyamvada—tere paas hone se lagta hai ki aam ke vriksh ko ek nayi lata ka sath mil gaya hai.

Divya—aisi baate karti hai isliye to tera naam priyamvada hai.

Jitu (mann me)—priyamvada ka kahna bilkul sach hai…naye kopal ke jaise iske lal adhar, komal tahniyo ke jaisi dubli baanhe, aur lubhavne phool ki tarah iske ango me khila divya ke khubsurat youvan.

Anusuiya—iss chameli ke poudhe ko to tu bhool hi gayi, divya…jisne aam ke vriksh se swayamvar rachaya hai aur jise tune hi vandevi naam de rakha hai..

Divya—ise bhulungi to apne aap ko bhi na bhool jaungi…? Sach, inn dono ki rati ke liye kitna sundar samay hai yeh. Iss chameli ka youvan phoolo se lad gaya hai…aur aam par phalo ka itna bhar hai ki vah upbhog ke liye jhuka ja raha hai.

Priyamvada (mushkura kar)—anusuiya, tu janti hai ki divya iss chameli ki taraf itna kyo dekhti hai... ?

Anusuiya—bata, kyo dekhti hai….?

Priyamvada—isliye ki jaise iss chameli ko apne anuroop viksh mila hai vaise hi divya ko bhi apni pasand ka pati mile.

Divya—yeh tu apne mann ki baat kah rahi hogi.

Priyamvada—bas samajh le ki tera vivah ab hone hi wala hai..

Divya—yeh tere apne mann ki chah hogi,...ja, main teri baat hi nahi sunungi ab.

Anusuiya—tabhi to divya iss chameli ko itne pyar se pani diya karti hai...hihihi

Divya (naak ke niche ungli ghuma kar masumiyat se)—Maar dalungiii…

Priyamvada—kuch bhi kah le divya…mujhe to lagta hai ki tujhe tera saajan jaldi hi mil jayega…

Divya (chounk kar, mann me)—saajan..! saajan…saajann….ye naam kuch suna suna jaisa lag raha hai….iss naam ko sunte hi mujhe bechaini kyo ho rahi hai…? Dil itni tezi se kyo dhak dhak kar raha hai…..?

Anusuiya—aur nahi to kya...maine to suna hai ki divya jab choti thi tab aksar sote huye saajan...saajan..jor jor se chillati thi...aur phir khoob roti thi....baad me kanv rishi ne apne mantro se kuch kiya, tab ja kar iska cheekhna chillana kam hua...

Divya (mann me)—mujhe aisa kuch yaad kyo nahi hai.... ? kya saajan se mera koi pahle janam ka rishta hai... ? koun hai ye saajan...aur kya ab bhi hai... ?

Tabhi chameli ke poudhe me pani dalne se uss par baitha ek bhanwara divya ke muh ke aas paas mandrane laga jisse vo ghabra gayi aur usko vaha se bhagane lagi.

Jitu (mann me)—divya ka bhanwre ko hatana bhi kitna sundar lag raha hai...jidhar jidhar se bhanwara udkar aata hai, udhar udhar ko iski tirchhi ankhe ghum jati hain....inn ankho me kamna nahi, kewal bhay hai..phir bhi iski nachti bhounho ko dekh kar lagta hai ki ye kewal drishti vilas ka hi abhyas kar rahi hai....iski chanchal aur kampti ankho ko chhukar bhed ki baat kahne ki tarah kano ke paas dhire se gun guna kara aur lagatar iske hath patakne par bhi chupke se iska adharpaan kar ke ud jata hai.

Divya—anusuiya, priyamvada...bachao na mujhe iss dusht bhanwre se...ye to hath pair dho kar mere piche hi pad gaya hai.

Dono (mushkura kar)—hum koun hoti hain tujhe bachane wali... ? pukarna hai to yuvraj jitu ko pukaro jo iss rajya ke hone wale maharaj hain aur hum sab ke rakshak bhi.

Divya—(naak ke niche ungli ghumate huye) Maar Dalungiii....chalo yaha se...jaldi...ye bhanwra to mera picha hi nahi chhod raha hai...chalo...

Jitu (mann me)—abhi mat jao divya...abhi to maine jee bhar ke tumko dekha bhi nahi hai...

Ai Meri Zindagi Yu Mujhse Daga Na Kar,
Use Bhula Kar Jinda Rahu Dua Na Kar,
Koi Use Dekhta Hai To Hoti Hai Taklif,
Ai Hawa Tu Bhi Use Chhuwa Na Kar…

 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Behad hi shandar or jabardast update update bhai.
Bahut khoob superb.

Ek or kamal ka update.
Har update aapko is forum ke behtareen kabil lekhako ki shreni upar se or upar le jata h.
Kamal ki gyan ki baten batate h aap jo bilkul yatharth hoti h.
Is baar bhi wahi hua vishnu sharma wale mamle me.
Dekhne wali baat hogi ki kya hota h uttar is paheli ka .

Or isiliye ,
Aage ka intjaar
Thanks for Reading & Supporting.
Shukriya Rishabh bhai for Liking the update.
Paheli ka uttar main khud bhi talash kar raha hu abhi..isliye update dene me deri ho rahi hai.
Stay with us.
Today's update is on page....1242
 
  • Like
Reactions: Naughtyrishabh

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Awesome update brother
Akhirkar hero heroine takra hi gye
Heroine Mili v to kaise chorni ke roop me dekhte hain kaise inka Milan hota hai
Thanks for Reading & Supporting.
Shukriya for Liking the update.
Stay with us.
Today's update is on page....1242
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
bht se bhi bht sundar update bhai
mazza aagya
is ladki ki jaisi tareef ki h ki mera bhi dil aagya ispe
ye kon h iska pta bhi lag hi jaaega
ye mahatama kaali pahadi k baare mein jeetu ko kuch btaenge

brilliant update
keep rocking bhai :)
Thanks for Reading & Supporting.
Shukriya Rohan bhai for Liking the update.
Uss Mahatma ki jhopdi me hi dhero Rahasya dafan hain.
Stay with us.
Today's update is on page....1242
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,235
173
Zabardast update hai sir jeee..

Ab ye koun hai. Lagta hai is par v hamare yuvraj fida ho gaye. Ya shayed whi ladki ho. But mujhe nhi lagta ye whi ladki hogi kyuki wo to kafi sammilit thi or iske ton se lagta hai ye kafi natkhat, or chanchal hogi.
Anyway aage hi pata chalegi jiska intezar hai
Thanks for Reading & Supporting.
Shukriya for Liking the update.
Apka kahna bilkul sahi hai bhai.
Stay with us.
Today's update is on page....1242
 
Status
Not open for further replies.
Top