• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy RAKSHAK

just YES OR NO

  • YES

    Votes: 61 96.8%
  • NO

    Votes: 2 3.2%

  • Total voters
    63
  • Poll closed .

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,931
173
UPDATE 58

Yaha beast planet par bhi bohot hi achhi takkar de raha tha Abhay Jaeger ko jisse vo aur bhi gussa ho raha tha….

Wahi ek saath Abhay bhi attack karta aur uske piche Anubis aur uske saathi jisse vo thik se Abhay par war nahi kar paa raha that oh usne bich mein hi apni fight rok di…

Jaeger-bachhe yeh thik nahi ho raha hai mein akela fight kar raha hu aur tum sab milkar mujh par attack kar rahe ho…

Abhay-isse teamwork kehte hai jo tum aur tumhare saathiyon mein nahi hai aur naahi kabhi hoga…

Jaeger-agar aisi baat hai toh chalo sirf tum aur mein fight karenge jo jitega vo is planet par raaj karega…

Jaeger ki aisi baat sunkar Abhay ko thoda gussa aata hai lekin usne apne aap ko shant rakha..

Abhay-thik hai mein ready hu lekin ham yaha fight nahi karenge yaha par bohot se beast hai jo hamare fight ke beech mein aa sakte hai…

Anubis-thik hai agar yeh baat hai toh mein tum dono ko is planet ki sabse khuli jagah le jaunga jaha par puri jagah khali haia ur kuch bhi nahi…

Yeh keh kar Anubis ek ray un dono par chodata hai aur vo bhi unke saath waha se gayab ho jata hai...

Agle hi pal vo teeno ek ghaas ke bohot hi bade ground mein tha jaha dur-dur tak kuch nahi tha thi toh bas grass…

Lekin jaha yeh teeno khade the waha k eek chor par ek bada sa mountain tha jisse yaha ka nazara dekha jaa sakta tha…

Un dono ko waha chod Anubis ne apne sabhi saathiyon ko us mountain par le gaya aur ab vo sabhi waha se in dono ko dekh rahe the…

Jaeger-bachhe agar tumhara ho gaya hai toh ham fight start kare…

Abhay-ha kyo nahi mein toh kab se ready hu…

Yeh keh kar usne apne spear ko utha liya aur usse samne ki taraf kar ke pakad liya…

Dono hi apne aap ko powerup kar kahe the dono ki aankhe ek dusre par tiki hui thi…

Tabhi dono ne ek saath move kiya dono bohot hi speed se ek dusre ki taraf badh gaye dono ki speed itani thi ke jab dono ek dusre ki taraf badhe the tab unke piche bohot hi bade gaddhe ban gaye the jaise hi dono paas aaye waise hi Abhay ne apne spear se Jaeger par war kiya par usne us war ki apne mutthi se rok diya par waha par bhi ek bohot hi bada gaddha ban gaya tha…

Abhay ne Jaeger ko ek kick maar kar piche uda diya…

Jaeger-tum abhi bhi apne pure potential ke saath nahi fight kar rahe ho yeh mere chest par jo Nishan dekh rahe ho yeh tumhare us RAKSHAK ne diya isse mein jab chahu thik kar sakta hu par yeh mujhe hamesha yaad dilate hai ke mujeh kisi insaan ne yeh ghaav diya hai…

Abhay-thik hai agar tum yahi chahte ho toh ab ham dono hi apne pure potential ke saath fight karenge..

Yeh keh kar phir se dono ek dusre ki taraf badh gaye lekin iss baar Jaeger ke saath mein apni sword bhi thi jaise hi dono ke weapons ek dusre se takraye waise hi waha par ek shockwave nikali jo powerful thi…

Tabhi Jaeger ne Abhay ko ek kick maar kar usse piche uda diya aur khud bhi uski taraf badh gaya…

Abhay speed se piche ud raha tha tab tak Jaeger uske paas pohoch gaya aur apna left haath aage kar ke uske face par rakh diya…

GRAND RAY CE...

Yeh pura hone se pehle hi Abhay ne uske haath ko apne face par se hata diya aur apne spear se us par war kar diya lekin Jaeger ne spear ko bhi samne se pakad liya aur uski sword ko phek kar apne us haath se attack kar diya Abhay par..

GRAND RAY CERO

Yeh attack Aabhay ko bohot hi paas se hua tha jisse vo piche jaa ud gaya..

Us attack ki wajah se waha dhua fail gaya tha aur jab vo dhua hata tab Abhay bhi usmein se saamne aa gaya par usse ek kharoch bhi nahi aayi thi..

Yeh dekh kar Jaeger khush ho gaya k evo kisi kamzor se fight nahi kar raha hai..

Jaeger-bachhe tum me dam hai agar koi aur hota toh itne paas se hue mere attack se ab tak raakh ho gaya hota lekin tum par toh ek kharoch tak nahi aayi hai..

Yeh keh kar dono mein phir se fight start ho gayi jo har par intense hoti jaa rahi thi..

Dono bohot hi speed se ek dusre par war kar rahe the tabhi Jaeger ne apni speed badha di aur Abhay ki taraf badh gaya Abhay ne usse aate hue dekh liya tha aur thoda sa side ho gaya jisse usne Jaeger ka attack uske kandhe se lag kar gaya..

Yeh dono hi abhi hawa mein fight kar rahe the aur Jaeger ke attack karne ke wajah se vo niche aa gaya usne niche aa kar apne sword ko zamin mein ghusa diya..

Jaeger ne apne sword par apne right haath ke do ungaliyon ko ghumaya aur usse uska khun usse nikla…

Tum abhi bhi serious nahi ho lekin dekhte hai kab tak reh paate ho…

Yeh keh kar usne apne right haath ko upar kar diya jaha par Anubis aur uske saathi the…

Jaeger-yeh attack mera sab se khatarnaak hai dkehte hai isse kaise bachate ho sab ko…

Abhay-nahi itna bada attack yaha par mat karna…

Lekin tab tyak der ho chuki thi Jaeger ne apna attack kar diya tha…

ULTIMATE GRAND RAY CERO

Yeh attack blue colour ka tha aur vo bohot hi powerful tha..

Abhi vo attack Anubis aur uske saathiyon tak pohoch hi gaya tha aur Anubis bhi apne attack se us aa rahi beam par war karne wala tha lekin tabhi Abhay unke aur us beam ke bich mein aaya aur apna fire attack kiya..

FIRE STYLE-MAJESTIC DESTROYER FLAME

Yeh kehte hi uske spear se hi ek bohot hi baba fire attack jaa kar us beam par laga..

Yeh sab kuch bohot hi speed se hua tha Anubis ke siwaay Abhay ko aate hue koi bhi nahi dekh paaya tha…..

Yeh sab hota dekh niche Jaeger josh se bhar gaya…

Jaeger-ab waqt aa gaya hai mujhe pata tha tum kamzor nahi ho…

Yeh keh kar usne apne sword ko uthaya aur uske blade par se apne left haath ko ghumane laga…

HANTERA

Yeh kehte hi Jaeger transform hone laga yeh sab eskales ke powers ke wajah se ho raha tha uske aaspas ek tornado sa ban gaya tha…

Wahi hawa mein se Abhay aur baki sab yeh hota dekh rahe the tabhi Abhay Anubis ko kehta hai..

Abhay-apne aap ko sabhi ke saath shield se cover kar lo…

Yeh baat sunkar Anubis ne bhi apne aap aur bakiyon ko shield se cover kar liye yeh hote hi Abhay ne bhi apne spear ko us shield ke samne gaad diya jisse us shield par ek aur shield ho gayi…

Anubis-yeh kya kar rahe ho Abhay agar tumne yeh spear yaha par rakh diya toh tum uske saath fight kaise karoge..

Abhay-uski chinta tum mat karo mein isko sambhal lunga lekin jo ho jaaye apne shield ko mat hatana…

Yeh keh kar usne zarasa piche ki taraf dekh liya jisse dekh kar Anubis chouk gaya kyo ki Abhay ki aankhe ab kaali se yellow ho gayi thi…

Niche abhi bhi Jaeger ka transformation complete nahi hua tha Abhay ne apne haath mein sword ko bulaya jo ab uske haath mein aa gayi thi aur yaha niche Jaeger ka transformation bhi complet ho gaya tha ab vo puri tara change ho gaya tha uske baal piche se lambe ho gaye the uski ungaliya sher ke panje jaise ban gaye the yaha tak ke uske face mein bhi kafi changes aa gaye the…

Jaeger ne niche se dekhte hue zor se chillaya aur uske chillane se ek energy wave waha fail gayi…

Abhay-yeh kya energy wave…

Tabhi niche se Jaeger ne ek jump lagai aur Abhay ke samne aa gaya Abhay abhi iske liye shayad ready nahi tha iske liye wahi Jaeger ne wahi hawa mein ghum kar Abhay ko ek kick maari jisse vo bohot hi speed se piche ki taraf udata chala gaya…

Abhi vo piche ki taraf udta hua jaa hi raha tha ke tabhi Jaeger phir se uske paas aata hai aur ek maar deta hai jisse vo ab upar ke taraf jaa raha tha aur jab upar jaa raha tha tabhi uske pehle vo waha pohoch gaya aur upar se usne apne panje se uspar war kar diya…

Abhay apne aap ko thik se sambhal nahi paa raha tha usse ek opening ki zaroorat thi jo shayd usse mil gayi thi Jaeger ke panje se kiye hue war ki wajah se vo niche jaa gira aur waha uske girne ke wajah se sab dhool mitti fail gayi..

Jaeger abhi waise hi hawa mein tha aur niche dekh raha tha jaha abhi dhool aur mitti faili hui thi..

Jaeger-kya hua ab mein janta hu tum isse behtar kar sakte ho toh chupna chod do aur mujhse fight karo..

Abhi usne yeh kaha hi tha ke usse niche kuch halchal dikhti hai aur us dhool mitti mein se kuch stone pillars uske or aa rahe the Jaeger ko laga ke yeh koi mamuli attack hai lekin nahi jaise hi vo pillars uske paas aate hai vo usse pakdne lagte hai jisse vo thoda chouk jata hai aur niche dekhne lagta hai…

yeh Abhay ka STONE GOLEM tha…

Issi bich Abhay Jaeger ke piche aata hai aur ek fire attack karta hai…

FIRE STYLE-FIREBALL

Yeh kehte hi Abhay ke haath se ek bada fireball nikal kar Jaeger ki taraf badhta hai lekin Jaeger usse bich mein hi blast kar deta hai blast karne ke baad Jaeger zor-zor se haans raha tha..

Jaeger-hahaha yahi toh mujhe chahiye tha kab se aise hi fight karo mujhse Abhay aise hi mujhe ismein maza aane laga hai..

Par jaise is baat ka Abhay par koi asar hi nahi ho raha tha vo hawa mein waise hi tha yeh dekh kar dono phir se ek dusre ki taraf badh jaate hai au raise hi speed se war karne lagte hai in dono ke hawa mein fight karne ke baad bhi waha ki zamin puri hil rahi thi jab bhi dono takarate tab-tab ek shockwave nikalti aur sab jagah fail jaati..

Abhi bhi dono ek dusre se takraaye aur dono hi piche ki tara fud gaye..

Jaeger-mein tumhe khatam karke hi rahunga Abhay..

Yeh keh kar Jaeger Abhay ki taraf badhta hai aur apne left panje se uspar war karta hai jisse Abhay apne sword se rok deta hai…

Jaeger usse piche dhakel raha tha aur aise hi karte hue Abhay ek stone pillar se jaa takrata hai takrane ki wajah se Jager apne right panje se Abhay ke face par war karne jata hai lekin Abhay usse bich mein hi pakad leta hai..

Jaeger-mein dekh raha hu tum apne aap ko kafi achhe se sambhal rahe ho mere khilaf lekin ab mein bor ho raha hu tum mujh par koi bhi ghatak attack nahi kar rahe ho..

Abahy-toh tumhe yeh chinta hai ke yeh fight bor hoti jaa rahi hai toh mein tumhare liye ismein ab jaan daal deta hu..

Yeh keh kar Abhay ne powerup kiya jisse Jaeger thoda chouk gaya Abhay ki aankhe ab aur bhi chamak rahi tha aur uske aaspas white colour ka aura aane laga tha…

Jaeger ahbi chouka hi tha ke Abhay ne uske ek haath chod diya jsse Jaeger ne apne aap ko piche hatne ki koshish ki par tabhi Abhay ne apne sword ko sideways right to lef ghumaya jisse iske chest par ek gehra ghaav ho gaya aur usse khoon nikalne laga..

Abhay-tumhe pata hai mein kis cheej se bor ho gaya hu agar tum apne last form mein ho toh aise hi rehna kyo ki ab mein tumhe khatam issi form mein karunga..

Yeh keh kar Abhay speed se Jaeger ki taraf badh gaya aur uspar apne sword se wara karne laga par Jaeger bhi apne aap ko bacha raha tha kyo ki ab Abhay ke sword ko fire ne cover kar liya tha jo har swing ke baad uski heat badhti jaa rahi thi..

Dono fight karte hue niche zamin par aate hai aur waise hi fight karne lag jaate hai dono ki fight intense hoti jaa rahi thi wahi Abhay ke attacks aur bhi sharp hote jaa rahe the aur uske attacks karne ki speed bhi badh gayi thi..

Abhay Jaeger ki or badhta hai toh Jaeger bhi uske or aata hai aur apne left panje se uspar war karne ki koshish karta hai pr Abhay thoda side ho jata hai aur Jaeger ke left haat ko cut karte hue aage badh jata hai dono thoda aage jakar ruk jate hai wahi Abhay bina waqt gavaye phir se palat kar Jaeger ki or badhta hai lekin is baar jeager apne left haath ke elbow se uske war ko rok deta hai jiske wajah se waha ek gaddha ban gaya aur waha dhool ud gayi…

Abhay Jaeger ko usmein dhoond hi raha tha ke us udi hi dhool ko chirta hua vo Abhay par apne pairon se attack karta haia lekin yeh bhi Abhay dodge kar deta hai aur waise hi apne sword ko us dhoo mei ghuma deta hai jisse Jaeger apne pairon ke panje se rok deta hai..

Upar us mountain par khade hue sabhi yeh sab dekh rahe the Anubis aur uske saathi abhi bhi shock mein the tabhi uska ek saathi Anubis ko kuch puchta hai..

SAATHI-leader yeh insaan hi hai na kyo ki agar yeh insaan hai toh yeh itani der kaise us monster ke saath fight kar sakta hai..

Anubis-yeh insaan hi hai lekin yeh ab Beast Spear ka malik bhi hai toh yeh aur bhi powerful ho gaya hai dekha nahi tumne uske aankho ko kaise uski aankhe pehle kaali thi jo ab yellow ho gayi hai…

Yaha niche Jaeger Abhay ko ek dhakka deta hai jisse vo upar ki or udata hua jata hai lekin ab yeh dono us mountain ke niche hi the toh Jaeger ne yeh dekh liya tha aur apne right elbow ko upar kar ke paanch projectile un sabhi par chod diye jo Abahy ke paas se hokar un sabhi ki taraf jaane lagte hai..

Abhay yeh dekh leta hai aur speed se un sabhi projectiles kea age aakar unki taraf apni back kar deta hai jo usse lag jaate hai..

Anubis-yeh kya kar diya Abhay tum kyo aaye bich mein is shield ke hote hue…

Abhay ki gardan jhuki hui thi to uska face niche ki taraf tha..

Abhay-mein thik hu aur mien isliye bich mein aaya kyo ki usne inko shield par nahi balke ie mountain par choda th jisse yeh sabhi destroy kar dete…

Yeh keh kar Abhay ne apne sir ko upar kiya aur sab ko dekhne laga jaise hi sabhi ne uske aankho ko dekha toh chouk gaye kyo ki vo ab aur bhi chamak ne lagi thi..

Kuch der un sabhi ko dkeh kar Abhay niche aa jata hai uski saans thodi ful rahi thi..

Jaeger-kafi achha move tha vo kya hua lagta hia saans ful rahi hai tumhari…

Abhay-mera waqt barbaad mat karo apna muu chala kar tumhe yeh sochna hoga ke tum mujhe kaise hara sakte ho…

Jaeger-humm! Tum bahadur banane ga dhong band kar sakte ho…

Yeh keh kar Jaeger apne left haath ko uthata hai aur waise hi elbow mein se ek projectile nikal kar piche ki taraf shoot karta hai vo jaa kar piche ek stone pillar ko laga hai aur uske lagte hi vo pillar wahi destroy ho jata hai..

Jaeger-tumne mere aise paanch attack ko liya hai jisse tumhari body kafi damage ho gayi hogi tum ab apne limit par pohoch gaye ho…

Abhay-limit mien abhi tak waha pohcha bih nahi hu..

Yeh keh kar Abhay Jaeger ko taraf doud kar aane laga toh yeh dekh kar Jaeger bhi uske taraf aane laga…

Jaeger-mein ne kabhi itna achha kabhi nahi feel kiya tha…

Dono puri tarah se ghayal the lekin koi bhi piche nahi hat rha tha aur upar se Anubis yeh sab dekhte hue soch raha tha

Anubis-NAHI AB ABHAY KI BODY USKE LIMIT PAR AA CHUKI HAI PAR USSE IS PLANET KIZIMMEDARI DI GAYI HAI ISKE WAJAH SE VO APNI PARVA TAK NAHI KAR RAHA HAI AUR HAM SABHI KE LIYE FIGHT KAR RAHA HAI…

Yaha niche ab dono hi thak gaye the aur Jaeger ek kick maar kar Abhay ko piche uda deta hai jo jakar us mountain ko lag jata hai…

Abhay apne sword ke zariye khda hota hai uski saanse ab bohot hi fuli hui thi aur jo zor -zor se saans bhi le raha tha..

Jaeger-tumhare saath fight kar ke maza aaya lekin ab tumhe mein yahi khatam kar raha hu yeh keh kar Jaeger bohot hi speed se Abhay ki taraf aane lag jata hai wahi Abhay thoda piche sir kar ke upar dekhta hai aur uski aankeh Anubis se takrati hai jiske aankho mein ab aasnu the…

Un aansuo ko dekh kar Abhay ko kuch ho jata hai aur Jaeger ke aate hue us war ko apen left haath se rok deta hai…

Yeh dekh kar Jaeger bhi shock ho jata hai..

Abhay-mein ab aur apne aap ko tumhare jaise se harta hua nahi dekh sakta…

Yeh keh kar Abhay Jaeger ke left side se upar niche war kar deta hai jisse Jaeger kaafi zakhami ho jata hai aur niche baithne lagta hai..

Abhay-lagta hai ab sab khatam ho gaya…

Tabhi jaeger niche bath kar chillata hai..

Jaeger-tumhe lagta hai tumne mujhe hara diya toh aisa nahi hai mein tumhare haddiyon tak yaha ke dhool mein mila dunga…

Yeh keh kar Jaeger piche ki taraf hawa mein udta hua chala jata hai..

Jaeger-bohot khrl liya tumhare saath ab dekhta hu kaise apne aap ko aur in sabhi ko bachate ho..

Yeh keh kar usne apne right haath ke panjo mein apne power ko concentrate karne laga aur vo hone ke baad unko hawa mine ghuma diya jisse bade se energy ke panje ban gaye….

Abhay yeh dekh raha tha aur soch raha tha ke usse apne kya karna hoga kyo ki usne agar is attack ko nahi roka toh yeh panje pure planet ko destroy kar sakte hai..

Tabhi Jaeger ne un panjo ko Abhay par fire kar diya aur vo speed se aane lage uske taraf…

Ab Abhay ke paas kuch bhi sochne ka samay nahi tha aur vo bhi apne sword ko lekar un panjo ki taraf badh gaya…

Vo panje uski or aate aate bich ke mien hi ek ho gaye aur pehle se bhi speed se aane lage yeh dekh kar Abhay jo unki taraf badh rah atha vo thoda niche hua aur un panjo ko taakarane ke bajaaye unko niche se cut karte hue Jaeger ki taraf aane laga…

Jaeger is attack ke wajah se kamzor ho gaya tha aur usnea pan sir vo attack karne ke baad niche kar diya tha atoh uski nazar abhi Abhay par nahi thi lekin jab usne apne panjo ke cut hone ki aawaz suni toh usne apne sir ko upar uthaya lekin tab tak der ho chuki thi aur Abhay usk tak pohoch gaya tha aur uske paas aate hi Abhay ne apne sword ko uske heart ke aarpaar kar diya..

Abhay-mein ne kaha tha ne ke mein tumhe issi form mein khatam kar dunga..

Par tab tak Jaeger ke aankhe band ho gayi thi aur vo niche girne laga tha par Abhay ne uska haath pakad liya aur usse niche lane laga..

Sabhi beast jo us mountain par the un sabhi ko Anubis niche le kar aaya jaha abhi Abhay khada tha aur Jaeger mara pada tha sabhi uske body ko dekh rahe the..

Abhay-mananaa padega Jaeger tum mere life ke sabse khatarnaak opponent the…

Tabhi Jaeger ki body dhua ban jaati hai aur aasman mein vo dhua fail kar chala jata hai..


Yaha Abhay bhi ab behosh ho jata hai uske body ne bohot hi damage liya tha aur usse kayi jagah laga bhi tha jiske wajah se vo behosh ho jata hai par Anubis usse niche girne nahi deta aur apne saath lekar sabhi ke saaath waha se chala jata hai….
Bahut hi sunder update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,931
173
UPDATE 59

Ab chalte hai Dragon planet par yaha par abhi fight start ho chuki thi aur Aditya abhi Llargo ke saath fight Kar raha tha wahi Louisen dusri jagah khadi ho kar Aditya ko observe kar rahi thi usse uski power dekh kar lag raha tha ke yeh koi aam insaan bilkul bhi nahi hai Aditya ke moments un dono jitne hi fast the wahi strength ke mamle mein bhi vo unke jitna hi powerful lag raha tha bas usse yeh nahi pata chal paa raha tha ke yeh kaise itna powerful hai…

Wahi Llargo ke haath mein abhi uske energy se bane kuch knifes the aur Aditya apne sword ke saath usse fight kar raha tha dono hi bohot speed se move kar rahe the dono ke aise speed se move karne ke wajah se waha unke bas trails ban rahe the aur har baar ke takkar se Aditya Llargo ke kinfes ko cut karte jaa raha tha..

Abhi Llargo ne apne bane energy knife ko sideways ghumaya jisse Aditya ne niche jhuk kar dodge kar diya lekin tabhi Aditya ne apne wind style ka use kiya

WIND STYLE-AIR PALM

Yeh kehte hi Aditya ne apne haat ko aage kiya aur uske haat se ek bade se haath ka structure ka wind style attack bankar nikla us attack ne uske hatheli ka shape liya hua tha…

Yeh attack Llargo ke nazadik se hua tha jiske wajah se us attack ka asar uspar jyada hua tha vo kuch dur jaa kar gir gaya tha…

Llargo thoda shock mein tha ke ek insaan mein itani power kaise ho sakti hai…

Yeh jaan kar Llargo ko gussa aa gaya ke vo jis insaan ka samna kar raha hai vo bohot hi powerful hai…

uske gusse ke wajah se uske back par ek energy se half circle ban gaya tha jismein se usne apne knifes nikale aur pehle se bhi jyada speed se Aditya ki taraf aaya aur apne knife se uspar war karne laga uski aisi speed dekh kar Aditya thoda shock hua jisse Llargo ne kiye war ko usne paas se apne sword se rok diya wahi Llargo apne war ko rukta dekh kar usne Aditya par zor diya aur usse piche dhakel ne laga piche dhakel te hue Aditya ke badi chatttan se jaa takaraya aur Llargo ne yeh dekh kar apne left haath mein bane knife se Aditya par war kiya lekin waqt rehte Aditya ne apne aap ko side kar liya aur ek war usne Llargo par kiya jisse uske sir par horn jaise bane structure ka ek side cut ho gaya…

Yeh dekh kar toh ab Louisen bhi shock ho gayi usse ab lag raha tha ke usse bhi is fight mien aana hoga warna der ho jaayegi…

Aditya ne apne aap ko piche kar ke thoda dur khada hua aur apne pocket se apne teleportation knifes ko nikal kar sab jagah faila diya Llargo aur Louisen yeh dekh rahe the lekin unhe yeh samajh nahi aa raha tha ke yeh hai kya….

Aditya abhi in dono ke face ko dekh raha tha aur unke reaction se yahi Pata chal raha tha usse ke unhe iske baremein kuch bhi malum nahi hai….

Aditya-kya hua Llargo ruk kyo gaye…?

Lekin Llargo ne iska koi bhi answer nahi diya aur phir se Aditya ki taraf badh gaya….

Dono ki fight ab intense hoti jaa rahi thi abhi Llargo ne apne energy knife ko ghumane hi wala tha ke us ghumte hue knife ko Aditya ne apne sword se bich mein hi rok diya aur niche jhuka kar apne sword se usse wahi phasa diya…
Aisa karne ke baad Llargo ne apne left haath ko bhi ghumaya lekin is baar bhi Aditya bach gaya aur uske haath ke upar se jump Kar ke Llargo ke kandhe par baith gaya aur apne knife ko nikal kar usse Marne wala tha par Llargo ne bhi uske haath ko bich mein hi pakad liya aur usse waise hi apne upar se khich kar niche patak diya….

Niche patak ne ke baad usne Aditya ke upar ek jump lagai par Aditya ne apne aap ko dhakka de Kar piche dhakel diya….

Kuch dur Jane ke baad Aditya khada ho gaya tab tak Llargo ne apne back par bane us energy hal circle se ek energy axe nikali aur pehle se bhi jyada speed se usne us axe ko Aditya ke sir ko target karte hue ghumaya tha par itne speed mein bhi Aditya usse dekh sakta tha aur usne jhat se apne aap ko uske ek teleportation knife se dusri jagah teleport Kar diya….

Yeh dekh kar Llargo aur Louisen samajh gaye ke Aditya teleport bhi kar sakta hai…

Ab Louisen se raha nahi gaya aur vo bhi ab chalte hue Llargo ke paas aa gayi…

Louisen-ham isse ab aur kamzor samajh ne ki galti nahi kar sakte hame isse milkar hi khatam karna hoga mujhe iske powers se dragon ke powers ki essence aa rahi hai…

Llargo-agar aisa hai toh…..

Louisen-nahi abhi nahi pehle aise hi dono milkar attacks karte hai agar usse bhi kuch nahi hua you phir dekhenge….

Llargo-thik hai phir…

Yeh keh kar ab dono bhi Aditya ki taraf badh gaye…..

Dono uski or aa rahe hai yeh dekh kar Aditya bhi ab serious ho gaya vo ab Tak bas Llargo se khel raha tha aur uske moves ko thik se dekh raha tha lekin ab uske taraf dono milkar aa rahe the….

Dono ke paas aane se pehle hi usne apne aap ka ek clone banaya aur vo bhi un dono se fight karne laga ab toh pehle se bhi intense fight start ho gayi thi….

Lekin Aditya ne apna clone apni kam powers use karke banaya tha jiske wajah se vo jaldi hi gayab ho gaya aur uske saath ladh rahi Louisen ab phir se Aditya ki taraf badh rahi thi…

Yeh hota dekh usse Maharaj se seekhi ek technique yaad aati hai par vo normal sword technique thi lekin Aditya ne apne dimmag se usse ek baar use karne ke baremein soch liya aur Llargo aur Louisen se thoda piche ki taraf jump laga kar aa gaya….

FIRE STYLE-RAGING SUN

yeh kehte hi Aditya speed se Llargo aur Louisen ki taraf badh gaya dono bas dekhte hi reh gaye unhe Aditya ki sword se energy feel toh ho rahi thi par vo abhi halki thi lekin jaise hi vo un dono ke paas aaya waise hi usne apne sword ko sideways right to left ghumaya aur uske aisa karte hi uske sword se fire nikalne lagi lekin yeh fire normal fire attack se jyada powerful tha aur uski heat bhi…

Aditya ki is attack se Llargo aur Louisen se ko kafi jyada injuries aa gayi….

Aditya ab apne next attack ke liye ready tha uska yeh new attack kaam kar gaya tha aur usne apne dimmag mein aise kai aur attacks ke baremein bhi soch liya tha…

Yaha Llargo aur Louisen abhi bhi shock mein the kyo ki jab Aditya ne unpar war kiya tha tab unhe bad uski afterimage hi dikhi thi jiske wajah se yeh attack upar aur asar kar gaya tha….

Vo dono jaan gaye the ke Aditya ki dono aise milkar bhi nahi hara sakte hai Llargo aur Louisen ek dusre ki taraf dekhne lage unho ne ek dusre ki aankho se ek ishara kiya aur dono thoda piche ho gaye….
Aditya abhi bhi unhe dekh raha tha aur vo bhi samajh gaya tha ke ab yeh dono kuch bada karne wale the par Aditya sabhi cheejo ke liye ready tha….

Yaha Llargo aur Louisen be apne powers ko release kiya aur dono ki bodies ek dusre ke paas aani lagi aur dekhte hi dekhte vo dono hi fuse ho gaye….

Unke fuse hote hi jaha vo khade the waha ek blast sa hua aur kaala dhua waha fail gaya….

Aditya abhi bhi Jo hua vo dekh raha tha lekin uspar shayad iska koi asar nahi hua vo abhi apne sword ko pakde ready tha attack karne ke liye Bas ek opening dhund raha tha…

Tabhi us dhue mein se Llargo ko chalkar bahar aaya lekin usmein those changes aa gaye the uski height badh gayi thi aur uski left aankh ka color change ho gaya tha vo ab puri black ho gayi thi….

Llargo- bacche ready ho jao ab tumhe khatam hone se koi nahi rok sakta….

Aditya-dekhte hai….

Yeh kehte hi Llargo Aditya ki taraf badh gaya uski speed ab pehle se bohot hi jyada ho gayi thi….

Lekin Aditya abhi bhi usse dekh paa raha tha kyo ki Llargo ki speed abhi bhi Raj ke speed se bohot kam thi….

Tabhi Llargo Aditya par apne sword se attack karne wala hota hai ke Aditya waha se gayab ho jata hai par Aditya wahi nahi rukta aur piche mud kar apna agla attack Llargo par karta hai….

FIRE STYLE-DANCE OF THE FIRE GOD

Yeh kehte hi Aditya speed se Llargo par war karne lagta hai par vo ek jagah ruk nahi raha tha balki vo Llargo par har jagah se war kar raha tha…

Uske har war ki saath uske fire ki heat badhti jaa rahi thi Llargo aur Louisen fuse ho kar bhi Aditya ko kuch nahi kar paye the….

Aditya apne attacks karne ke baad Llargo se thodi dur jaake ruk jata hai..

Aditya ke itne powerful attack se Llargo ko kafi heat injuries ho gayi thi par vo ab Louisen se fuse ho gaya tha jiske wajah se vo apne aap ko heal kar paa raha tha ab Llargo ka gussa bahot hi badh gaya tha aur uske apne aap ko ouri tarah se heal kar diya tha…

Llargo ne apne pure powers ko release kar diya jiske wajah se jaha vo the vo jagah ab hilne lagi thi…

Ab Aditya bhi piche nahi hat sakta tha lekin vo abhi bhi apni puri strength Llargo ko nahi dikhana na chahta tha vo Bas yeh dekh raha tha ke usmein aur Llargo mein kitna farak hai….

Yaha Llargo ne jab dekha ke uske powers release kar ke bhi Aditya par kuch asar nahi hua hai toh vo aur gussa ho gaya aur vo speed se Aditya ki taraf aane laga…

Aditya bhi yeh dekh Chuka tha is liye vo bhi badh gaya Llargo ki taraf….
Aditya ne apni sword ko wapas rakh diya aur dono aise hi ek dusre ke paas aa gaye dono ne hi ek dusre ko rok diya aur donoek dusre par zo aazma rahe the…..

Llargo-tumhare andar dam toh hai agar tumhari jagah koi aur hota toh ab tak hamari powers dekh kar hi bhaag gaya hota par tum….tum nahi gaye iska matalab tum meri soch se bhi powerful ho….

Jab dono ne ek dusre ko roka tha tab waha par ek gaddha banta jaa raha tha unke powers ke wajah se…

Dono ne ek dusre ko dhakka diya aur piche aa gaye….

Ab Aditya ki aankhe bhi chamak ne lagi thi uski aankhe golden hoti jaa rahi thi…..

Ab Aditya bhi ready tha apni powers ko release karne ke liye aur usne yeh Kiya bhi uske powers ko release karte hi pura planet Tak Hil gaya uske aaspaas golden aura ban raha tha…..

Llargo toh yeh dekh kar hi shock ho gaya ke uska opponent itna powerful hai par ab vo bhi Josh mein aa gaya Aditya ko dekh kar aur usne bhi apne aap ko powerup karna start kar diya….

Jaldi hi dono ne powerup karna rok diya aur ek dusre ki taraf dekh ne lage….

Dono speed se ek dusre ki taraf badh gaye aur dono ne apne mutthi se ek dusre par war kiya jaise hi dono ko mutthi ek dusre se takarayi waise hi waha aaspaas Jo bhi tha vo tinke ki taraf ud gaya

Uske baad toh jaise har taraf unke zor se takrane ka aawaz hi aane laga tha dono ki speed almost same hi thi…

DARK CERO

yeh keh kar Llargo ne apne haath se ek black beam Aditya par fire ki….

FIRE STYLE-FIREBALL

Us beam ko apni taraf aate dekh Aditya ne ye attack Kiya tha aur jaise hi us beam aur fireball ke bich takkar Hui waha ek blast hua..

Blast hone ki wajah se waha dhua fail gaya tha aur Aditya Llargo ko sense karne ki koshish kar raha tha par vo usse kahi nahi mil raha tha tabhi usse apne pairo ke niche ek green roshni dikhti hai pehle toh usse kuch nahi samjhta hai par ab us roshni ke wajah se vo Hil nahi paa raha tha….

Aditya bohot try kar raha tha ke vo us beam ke seal se bahar nikal jaaye lekin vo kuch bhi kar nahi paa raha tha….

Tabhi saamne faila vo dhua hat gaya aur usmein se Llargo go chal kar bahar aaya…..

Llargo-kyo bachhe mein ne kaha tha na ke mein thumhe khatam kar dunga lekin tum nahi maane….

Aditya-tum sabhi se aur ummid bhi kya ki jaa sakti hai peeth par war karne ke siwaay….

Llargo-bachhe JUNG mein yeh nahi dekh te ke tum war saamne kar rahe ho ya phir peeth par JUNG mein sirf JEET maayne rakhti hai aur kuch nahi…

Yeh keh kar Llargo bada hone laga saath hi uske aur pair aane lage the Aditya yeh kya hua yeh sab dekhta hi reh gaya aur Llargo itna bada ho kar kya karna chahta hai yeh samajh me ki koshish karne laga….

Wahi Llargo bui ek pahad jitna bada ho gaya tha aur apan muu khol kar usne ek beam saamne ki taraf fire ki Jo jaate hi ek moui ko lagi aur vo mountain wahi blast ho gaya….

Aise hi Llargo har jagah apne muu se beam fire karta jaa raha tha aur yeh dekh kar ab Aditya ma gussa bohot hi badh gaya usne apne aap ko powerup karne ki koshish ki aur apne powers ko release kar diya jisse usmein bhi changes aane lage sheets dheere vo bhi bada hone laga uski body par tough skin aane lagi thi aur peeth par wings lekin yeh skin golden thi wahi vo wings bhi aur uski chamak bhi bohot jyada badh ne lagi thi…..

Llargo toh yeh dekh kar hi shock ho gaya kyo ki his seal mein usne Aditya ko rok kar rakha tha vo koi bhi mamuli insaan nahi tod sakta tha aur yaha tab tak Aditya ma transformation complete ho gaya ab vo ek DRAGON mein Nadal gaya tha Jo pura golden tha….

Tabhi us dragon ne ek zor se roars Kiya jisse Waha ke sabhi dragons uske paas aane lage aur Hawa mein in dono ke uppar gol gol ghumne lage…..

Yeh sab dekh kar Llargo ne ab us dragon par apni beam chodi lekin dragon ne apne haath se us beam ke saatn Llargo ka muu bhi pakad liya aur utha ke dusri jagah phek diya jiske wajah se usse bohot hi injuries aa gayi thi wahi ab Aditya is khel ko khatam karna chahta tha toh usne bhi apan last attack ko ready Kiya aur apne muu mein us energy ko fuse karne laga….

Yeh dekh kar Llargo kuch karna chahta tha lekin tab tak der ho chuki thi aur Aditya ne apna muu khol kar uska attack fire Kiya..

AMATERASU

yahi attack Kiya tha Aditya ne apne muu se aur vo normal attack se bohot hi powerful tha Jo sidha Llargo ko laga jiske wajah se waha par Llargo ki cheenkh gunjh gayi aur usse jalane lagi dekhte hi dekhte vo wahi jal kar raakh ho gaya aur Aditya bhi apne normal size mein aa gaya….

Vo bohot hi thak gaya tha dragon mein transform hone se uske body par bohot toll pad gaya tha is liye vo wahi baith gaya.
Khubsurat update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,931
173
UPDATE 60

Giant planet par Raj aur Arindam ke beech fight start ho chuki thi un dono ke fight se pura planet Tak hil raha tha yaha tak ke Jo bhi destroyed ruins Bache the ab vo bhi destroy hone lage the wahi Arindam apne har saathi ko destroy hote hue feel kar sakta tha lekin usse isse koi bhi Matlab nahi tha……

Jis jagah dono ki fists takarati waha Jo kuch hota tha vo San kuch destroy hota……

Raj-Arindam tumhare sabhi saathi maare gaye hai ab sirf tum bache ho….

Arindam-mujhe usse koi bhi farak nahi padta hai…..

Yeh keh kar dono jump laga kar piche aata hai dono ek dusre kodekh rahe the…..

Raj-mujhe lagta hai ab hame ek dusre ke saath khelna rok Dena chahiye….

Yeh keh kar Raj apne haath mein apni sword lata hai Jo chamak rahi thi yeh dekh kar Arindam bhi apni sword apne haath mein lata hai aur uski sword bhi chamak rahi thi lekin uska color black tha….

Abhi dono hi khade ek dusre ko dekh rahe the ke tabhi Arindam apne sword se ek energy beam Raj par chod deta hai….

HEAVENLY PIERCING

Yeh dekh kar Raj abhi apne sword ko updown arc mein ghumaya hai jisse ek energy arc mein us beam ki taraf badh rahi thi jiska color white tha….

Jaise hi dono energies ek dusre se takarati hai waha ek blast hota hai lekin Raj aur Arindam dono hi vo blast ke hote hi ek dusre ki taraf badh jaate hai…..

Dono jaise hi samne aate hai dono ki swords ek dusre se takara jaati hai…..

Arindam-lagta hai tum ab ready ho mujhse equal mein fight karne ke liye lekin sirf fight hi tum mujhe hara nahi sakte….

Lekin Raj is par kuch nahi bolta uski aankhe ab phir se silver ho rahi thi….

Tabhi Raj apne sword ko ek jhatka deta hai jise dono ki swords alag ho jati hai aur Arindam thoda piche ki taraf jhuk sa jata hai isi ka faayda uthate hue Raj aage badhta hai aur uske face ko apne left haath se pakad leta hai aur waha se us jata hai….

Yeh sab itna jaldi hua ke Arindam ko kuch samajh hi nahi aaya aur dekhte hi dekhte Raj Arindam ko us plane ke mountain wale area mein lekar aata hai…

Jaise hi Raj usse waha lekar aata hai vo Arindam ko bohot hi Zor se niche phekta hai uske phekne ki power itani thi ke Arindam khud ko sambhal Tak nahi paya aur niche aa kar for jata hai wahi Raj bhi uske saamne utar jata hai

Arindam Raj ko shock ho kar dekh raha tha….

Arindam-yeh Kaise ho sakta hai iski power abhi tak utani hi hai jitani hamare fight ke start mein thi phir isne yeh Kaise Kiya….?

Yahi sochte Arindam khada hota hai aur dono mein phir se fight chalu ho jaati hai….

Jab bhi Raj hi sword Arindam ke sword se takarati tab Raj apne sword ko ek jhatka deta tha jisse har baar ek energy nikalti thi aur in dono ke aaspaas Jo kuch bhi hota vo dhul banjata yaha tak ke mountains bhi toot toot ka bhikher rahe the…..

Tabhi Raj apne aap ko thoda dur teleport karta hai jisse Arindam bhi jaan jata hai aur us taraf aata hai aur Raj par war kar deka hai lekin Raj apne sword se uske war ko rok dekta hai…..

Yeh dekh kar Arindam thoda piche hota hai aur bohot hi speed se apne sword ko ghuma kar Raj par war karne lagta hai par Raj yeh dekh kar bhi wahi khada tha usne apne taraf aati Hui sword ko bich mein hi pakad liya apne left hand se….

Kyo ki Arindam me sword ko bohot hi power se ghumaya tha jiske wajah se jaise hi Raj ne us sword ko pakada toh us power ke wajah se uske piche ki zamin hilne lagi aur dekhte hi dekhte Raj ke piche ki taraf bohot hi badi khayi ban gayi….

Arindam Raj ke aise uske sword ko pakad be se shock ho gaya usse iske baremein zarasa bhi andaaza nahi tha ke Raj yeh karega….

Arindam-meri sword ko aise hi pakad liya Dodge karna alag baat hai lekin aise hi haatho se pakad lekna…..

Raj-itane shock mein kyo ho Arindam yaad hai jab ham pehli baar mile the aur mein ne tumhare upar aise hi war kiya tha tab tumne bhi aise hi meri sword ko pakda tha….

Arindam-hump! Zarasi physical abilities badh gayi hai tumhari aur kuch nahi aur aise miracles hote rehte hai is duniya mein tum is baat se apne aap ko mujhse powerful mat samajh Lena…..

Yeh keh kar Arindam thoda piche aata hai aur apni power badhane lagta hai uske body mein se black color ki roshni nikal rahi thi aur jaldi hi vo transform ho gaya apne new form mein jismein uske piche kuch wings as gaye the aur uski sword bhi thodi badh gayi thi….

Raj yeh dekh raha tha usse isse koi phatak nahi pad raha tha…

Raj-ho gaya thumara…

Raj ke yeh kehte hi Arindam waha se gaya ho gaya aur Raj usse feel karne laga tabhi uske piche se aake Arindam ne Raj par war kiya par shayad Raj iske liye ready tha aur usne palat kar us war ko apne sword se rok diya….

Ab dono mein aur bhi speed se fight hone lagi thi dono ko dekh kar aisa lag raha tha ke dono ek hi level par ho par aisa nahi tha shayad Raj ki aankhe kuch aur hi keh rahi thi Raj Arindam ke har ek war ko roke jaa raha tha jisse ab Arindam thoda gussa hone laga tha…..

Aise hi fight karte hue Arindam thoda piche ki taraf jump lagata hai aur Raj ko dekhne lagta hai…..

Raj-kya baat hai Arindam Aaj tum fight mein piche kyo hat rahe ho kya tumhe ab mujhse fight nahi karni hai ya tum yeh jaan gaye ho ke ab mein tumse bohot jyada powerful hu…..

Yeh kehte hi Raj bohot hi speed se Arindam ki taraf badh gaya aur apne sword se niche se upar ki taraf Arindam ke right kandhe par war Kiya jisse aate hue Arindam dekh bhi nahi paya…..

Apne upar aise hue war se Arindam gussa ho gaya aur vo thoda piche hat gaya…..

Arindam-tumhe lagta hai tumne mujhpar ek war kar diya toh tum mujhse powerful ho gaye ho lekin nahi tumhe meri powers ka andaaza bhi nahi hai…..

ETERNAL DARKNESS

yeh Arindam be kaha tha aur Raj ke aaspaas ek black energy se pillar banta gaya yeh hote hue bhi Raj ne kuch nahi Kiya aur Bas dekhne laga….

Arindam-hahaha Raj tum ab is mein se bahar nahi nikal sakte yeh mere sabse ghatak attacks mein se ek hai aur yeh tumhe apne saath aise jagah par Le jayega jiske baremein tumne sapne mein bhi Socha nahi hoga…

Raj ke samne ab sab kuch andhera hoga lekin tabhi usne apne left haath ko ghumaya aur vo pillar hi destroy kar diya….

Yeh hota dekh Arindam ab puri taraf se shock ho gaya tha….

Raj-maan lol Arindam mein ab tumse bohot jyada powerful hu….

Yeh sunte hi Arindam ka gussa bohot hi badh gaya aur uske body mein se ek baar phir se wahi black energy nikalne lagi thi….

Dekhte hi dekhte vo phir se transform ho gaya tha aur is baar uska face do hisson mein khul gaya aur waha ek black color ka face aa gaya wahi uske chest mein wahi stone aa gaya tha jisse Cyfer aur Jaeger ne yaha se laa kar usse diya tha…

Arindam-ha Raj yeh hai Mera sabse powerful form ismein tum mujhe nahi hara paoge….

Uske wings bhi is transformation se change ho gaye the har ek wing ko ek mu aa yaha tha jismein se ek ne Raj ki taraf ek black energy ball chod diya Jo tha toh chota lekin jaise hi vo Raj ke paas gaya uske saath hj bohot hi bada blast ho gaya jise Taj ne apne left haath se rok diya tha par usse Raj ke haath ko bohot jyda injury ho gayi thi….

Yeh dekhte hi Arindam Raj ke taraf badh jata hai aur usse Gale se apne haath mein pakad leta hai wahi uske har ek wing apne muu se Raj par ek seal bana dete hai….

Arindam-dekh rahe ho apne aap ko Raj mere ek attack se tumhara left haath ab kuch kaam ka nahi raha aur ab bhi tum kehte ho ke tum mujhse powerful ho…..

Tabhi Raj ke face par ek smile aati hai…..

Raj-Arindam kya tum itna hi best kar samte ho…?

Yeh kehte hi Raj apne sword ko ek jhatka deta hai jisse Jo bhi seals babe the vo sabhi toot Kate hai aur Raj ke aaspas bhi roshni bannane lag jaati hai lekin uske roshni mein ab do colors the jismein andar pura white tha aur edge ki taraf halka black yeh uske CREATION aur CHAOS ke powers ke wajah se ho raha tha…

Arindam ke face par ab dar dikhne laga tha….

Arindam-yeh nahi ho sakta yeh Kaise ho sakta hai iske paas CHAOS ke power ka hissa Kaise aa gaya aur yeh kounse power hai Jo andar ki taraf hai mein iske powers ko feel nahi kar paa raha hu uska Matlab yeh Sach mein mujhse jyada powerful ho gaya hai Lekin yeh ho hi nahi sakta ek MORTAL mujh jaise se Kaise powerful ho sakta hai…..

Tabhi Raj ka transformation bhi complete ho gaya uske aaspaas wahi aura bana raha aur uske sword bhi ab in do energies se chamak ne lagi…..

Raj-TUMHARA ANTH AA GAYA ARINDAM…

FINAL HEAVENLY PIERCING

Yeh kehte hi Raj ne apne sword ko upsidedown ghumaya jisse ek bohot hi powerful energies usmein se nikal kar Arindam ki taraf badh gayi aur jaise hi vo energies uske DARK STONE ko lagi vo wahi blast ho gaya aur uske saath Arindam bhi…..

Raj yeh sab hote hue dekh raha tha….

Raj-mein ne kaha tha Arindam chahe burayi kitani bhi powerful ho achhayi ko nahi hara sakti hai aur ham sabhi se tum sabhi ki haar tay thi…

Yeh kehte hi Raj waha se gayab ho gaya aur apne planet aa gaya haha par ab sabhi aa gaye the aur sabhi ne apne dhyan se waha kya kya hua yeh dekh liya tha…..

Deepak Raj ki taraf aata hai aur usse Gale laga leta hai….

Sabhi ka iske baad achha samay aa gaya iske baad kabhi bhi koi musibat nahi aayi wahi dekhte hi dekhte Aditya aur Gale ko King banaya gaya ismein sabhi ko bulaya gaya tha jaldi hi sayam apne gati se guzarne laga aur Raj Roshni ko ek beta aur ek beti Hui vo bhi judwa the wahi Aditya aur Ruchi ko ek beta hua aur ab Ruchi dusri baar maa banane wali hai Abhay aur Fraeya ko di bhi ek beti Hui aur Fraeya bhi ab dusri baar maa banane wali hai wahi Gale aur uske wife ko do betiyan Hui thi aur in sab ka dhyan Odel rakh rahi thi jisse vo bohot hi khush thi sabhi ko zandagiya achhe se bitane lagi….

Wahi kahi is universe se bahar kisi Andheri jagah par koi tha Jo bohot hi gussa tha aur yeh koi nahi balki SHAITAAN tha….

SHAITAAN-isko apni Jeet mat samajh Lena tum GOD mein tumhari banayi har duniya ko tabaah kar dunga……


PEACE.
Bahut behtreen update hai dost.
 

Radhe

Active Member
876
2,071
138
Kya baat hai bro aap ne story kyo close kar di apni kuch baat ho gai kya ya fir time nhi de pa rhe hai to bata do par is tarah ek dam se story close krna accha nhi lag rha hai
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in

vj4u

"Be The Wrong That Makes Everything Right"....
4,755
39,697
189
Kya baat hai bro aap ne story kyo close kar di apni kuch baat ho gai kya ya fir time nhi de pa rhe hai to bata do par is tarah ek dam se story close krna accha nhi lag rha hai
unki sister ki death ho gayi h...isiliye wo fihal continue nhi karenge...
 
105
235
43
Brother agar aapka jeevan thoda sambhal chuka ho aur aap is isthiti me ho ke update de sako to shuruwat kijiye.
Yadi kuch samay aur chahiye to ek baar yaha darshan deke apne kushal Mangal ki suchna bhi pradan kariye.
 
  • Like
Reactions: ashish_1982_in
Top