• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy RAKSHAK

just YES OR NO

  • YES

    Votes: 61 96.8%
  • NO

    Votes: 2 3.2%

  • Total voters
    63
  • Poll closed .

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 49
Jaldi hi Raj palace pohoch jata hai….lekin aaj Aditya morning mein hi spirit chamber mein chala gaya tha….toh Raj bhi us taraf chal deta hai abhi morning ka samay that oh koi jyada log nahi the bahar issi liye Raj bhi aaj chalte hue jaa raha tha…

Wahi abhi chamber mein sirf Aditya hi nahi uske saath Abhay bhi tha aur dono aamne samne khade the….

Aditya-Abhay aaj ham kyu na sirf wapons aur hamare fighting skill se practice kare…

Abhay-waise mujhe koi bhi problem nahi hai lekin aaj aisa kyu..

Aditya- nahi bas aise hi…

Abhay-thik hai phir normal wapons ka use karnewale hai toh ham dono apne teleportation knifes side mein rakh dete hai…

Aditya-ha…

Yeh keh kar dono apne knifes side mein rakh dete hai dono ke paas apni sword aur kuch normal knifes the dono hi abhi aamne saamne khade the….sabse pehle Aditya apna ek knife Abhay ki taraf phek kar start karta hai jisse Abhay apni sword se deflect kar deta hai is sab ke beech Aditya Abhay ke paas aata hai aur apne sword se uspar war karta hai lekin Abhay bhi uske war ko apne sword se rok leta hai…..

Dono kuch der ek dusre par zor aazmate hai aur pich hatate hai ab is baar Abahy Aditya ki taraf badhta hai yeh dekh kar Aditya apne paas rakhe hue knifes mein se ek uski taraf phekta hai aur thoda pich hatata hai Abhay is baar bhi usse deflect karta hai aur aage badhta hai…Abhay ko apne paas aate dekh Aditya phir se uspar sideways war karta hai jise bachne ke liye Abhay niche baith jata hai aur slide karte hue vo Aditya ke piche chala jata hai…..

Abhay apne piche aa gaya hai yeh jaan kar Aditya bhi ghum jata hai aur saath mein apni sword ko bhi ghumata hai jisse Abhay rok deta hai aur apne paas rakhe knife ko nikalta hau aur Aditya par war karta hai par Aditya bhi uska haath bich mein pakad leta hai….

Dono hi ek dusre ko piche dhakel dete hai ab phir se dono aamne samne the lekin ab dono ne apne haath mein jo sword thi unhe phek diya aur apne paas bas knifes hi rakhe…dono hi ek dusre ke aankhon mein dekh rahe the ke koun pehla move karta hai….lekin dono hi ek saath ekdusre ke taraf badhte hai….

Dono hi ek dusre par apne apne combo attacks kar rahe the tabhi bich mein hi Abhay Aditya ka haath pakadta hai aur uske haath se knife ko leke phek deta hai yeh dekh kar Aditya bhi waise hi karta hai aur vo bhi Abhay ka knife uske haath se nikal kar phek deta hai…

Ab dono ke paas koi bhi wapons nahi the lekin unhe isse koi bhi pharak nahi padne wala tha dono hi apne hand to hand combat ka use kar rahe the abhi Aditya ek right hook marta hai Abhay par jisse bachne ke liye Abhay niche baith jata hai aur ek kick uske legs par karta hai lekin Aditya bhi usse bachne ke liye jump karta hai aur pich ki taraf aata hai….

Aditya deri na karte hue phir se Abhay ki taraf badhta hai…..Abhay bhi yeh dekh kar uski taraf badhta hai dono hi ek dusre ke paas aa gaye the dono ne apne fists ek dusre ke fists par de marte hai ….

Tabhi Abhay Aditya ka haath pakadta hai aur apni taraf kheech leta hai….aise suddenly kheechne se Aditya bhi Abhay ki taraf aata hai lekin Abhay thoda side ho jata hai aur jaise hi Aditya ke peeth uski taraf aati hai waise hi Abhay piche ki taraf apni kick marta hai jo jake Aditya ke peeth ko lagti hai….

Peeth par kick lagne se Aditya niche gir jata hai….ab tak Abhay ne Aditya se ek safe duri bana li thi aur vo uske uthne ki rah dekh raha tha…jaldi hi Aditya bhi uth jata hai dono hi ek dusre ko dekh kar smile kar rahe the jaise unhe is sab mein mazaa aa raha ho…

Is sab ke beech Aditya ki nazar apne paas pade knife par jaati hai jisse vo apne kick se hawa mein udata hai aur usse ek aur kick deke Abhay ki taraf phek deta hai…yeh dekh kar Abahy bhi tornado kick se us aate hue knife ko deflect kar deta hai par tab tak Aditya uske paas aata hai aur uske pet mein ek punch marta hai jisse Abhay piche jaa girta hai par Aditya yahi nahi rukta vo phir se apne fist se Abhay par war karta hai lekin Abhay bhi jaldi se khada hota hai aur us war se bach jata hai Abhay Aditya ke side mein hone ke wajah se vo usse ek kick marta hai jisse Abhay piche jata hai par Aditya abhi uspar phir se punch marne wala tha lekin Abhay usse bich mein pakad leta hai aur uske face par ek punch marta hai jisse Aditya piche ho jata hai yeh dekh kar wahi jump lagata hai aur hawa mein hi ghum kar ek kick vo Aditya ki chest par marta hai kick lagte hi Aditya piche gir jata hai…

Face par punch lagne ki wajah se Aditya ka sir ghum raha tha aur uske thik baad usse kick lagi thi toh vo niche gir gaya tha issi ka faayda uthaya Abhay ne aur uske side mein gire knife ko uthata hai aur niche baith kar Aditya ke gale par rakh deta hai….

Tabhi dono ke kaano mein aawaz gunjti hai…yeh aawaz Raj ki thi vo dur khade reh kar is dono ki training dekh raha tha…jab Abhay ne Aditya ke gale par apna knife rakha tab vo un dono ko aawaz lagata hai aur unki training rok deta hai…

Aditya aur Abhay Raj ko apne paas aate hue dekh rahe the……Raj bhi un dono ke taraf chalte hue aata hai…

Raj-aaj tum dono mujhse pehle aa gaye training ke liye…..

Abhay-ha ab aadat si ho gayi hai iski…

Abhay ki is baat par tino has dete hai…tabhi Raj Aditya ko bolta hai..

Raj-Aditya mujhe tumse kuch baat karni hai…

Raj ne yeh baat thode serious tone mein kahi thi jisse Aditya aur Abhay usse dekhne lage hai..

Aditya-kya hua Raj kuch baat badi baat hai kya…

Raj-ha aisa hi hai kuch…..tumhe toh malum hai ke mujhe teeno guardians ki powers mili hai lekin abhi tak mujhe Dragon planet ke guardian ki powers nahi mili hai jisse yeh abhi tak adhuri hai par usdin jab meri powers suddenly activate ho gayi thi yaad hai na…

Aditya-ha lekin uska isse kya connection hai….

Raj-connection hai….jab usdin mein space mein apni powers ko release kiya tha tab us release hui energy dur space mein jaake dusri energy ko takraayi thi aur waha par ek enerhu ball ban gaya tha….jiska half colour WHITISH SILVER aur half DARK BLACK tha…..jab mein ne usse chua tab mujhe ek jhatka laga tha aur kuch dikhne laga tha…..

Abhay-kya dikha tumhe..?

Raj-yahi ke jo WHITISH SILVER part tha us energy ka vo meri CREATION powers ka tha aur DARK BLACK ka part tha vo CHAOS powers ka hai aur bad ono hi mere andar hai….par uske saath mein jhe yeh bhi pata chala tha ke Dragon planet ke guardian ki powers kabhi khatama nahi hui thi jab usne apne bhai ko sealed kiya tha tab vo powers dragon ko chod kar kisi bade se mountain mein chali gayi ha lekin vo mountain bohot hi ajeeb tha…

Aditya-ajeeb matlab..?

Raj-ajeeb matlab ke vo pura golden tha aur waha jitne bhi Dragons the vo sabhi us mountain ke samne jhuke hue the…

Raj ki yeh baat Aditya ke andar ka dragon bhi sun raha tha….tabhi Aditya ke andar se vo Dragon bolta hai…

Dragon-tumne abhi kisi mountain ke baremein kaha..

Raj bhi is sudden puche gaye sawal se thoda chouk jata hai…

Raj-ha vo Dragon planet par hai golden colour mein…

Dragon-aisa ho hi nahi sakta..

Abhay-kyu aisa kyu nahi ho sakta…

Dragon-kyo ki jab hamare planet par first time negative energy aayi thi aur vo bhi mere bhai mei tabhi vo mountain hamare planet se gayab ho gaya tha……kaha jata tha ke vo planet hamare purity ka symbol tha…..

Raj-par mujhe jo vision dikha tha usmein vo dikha hai…

Dragon-agar aisa hai toh hame jaldi hi jana hoga waha par aur dekhne hoga is baremein…

Aage tino milkar kuch plans banate hai ke waha kya karna hai aur kya nahi…
Bahut sunder update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 50
Abhi tino milkar bahar aate hai spirit ke aur aage chalne lagte hai lekin unhe kuch feel hota hai jo bohot hi halka tha lekin jo bhi tha powerful tha tabhi tino piche palate hai…

Abhay-koun hai yaha jo ham par aise chup kar nazar rakh raha hai..?

Abhay ke is sawal se waha par thodi der shanti fail jaati hai lekin tabhi unke samne koi aata hai yeh Cyfer tha…..tino Cyfer ko aur Cyfer in tino ko dekh raha tha tabhi vo Abhay ki taraf dekh kar bolta ha..

Cyfer-tum kya naam hai tumhara…?

Abhay-ABAHY…..

Cyfer-Abhay mein Prince aur Raj ke baremein samajh sakta hu ke Prince ek Dragon holder hai aur Raj tumhara RAKSHAK kehlata hai lekin tum………tum ek aam insaan ho kar bhi mere presence ko feel kar paaye….tum sabhi insaano mein pinnacle state mein pohoch gaye ho jo shayad hi koi jaa paya ho…

Abhay-tum yaha aaye kyo ho…?

Aditya aur Raj abhi bhi Abhay aur Cyfer ki baate sun rahe the…..tabhi Raj ke baki dost bhi aate hai aur Raj aurAdiya ke piche khade ho jaate hai……Cyfer yeh dekh raha tha vo yeh jaan gaya tha ke yeh sabhi uske saathyon jitney powerful ho gaye hai issiliye vo uska presence feel kar paa rahe hai kyo ki agar koi aur hota toh usse feel kar nahi paata…

Abhay-tumne abhi tak bataya nahi tum yaha aaye kyo ho…….?

Jab Abhay yeh sab keh raha tha tab uske aajubaju uske powers se ek strong aura banne laga tha jisse Cyfer dekh leta hai…

Cyfer- is baat mien koi shak nahi tum sabhi strong ho lekin yeh mat samjhna ke tum sabhi dark lord ko hara sakte ho….

Yeh keh kar vo piche mud jata hai aur ek portal open kar ke chala jata hai…..kuch der baad sabhi Raj ke ghar mein the aur Raj sabhi ko bata deta hai ke vo Dragon planet jane wala hai….

Kuch der sabhi mein is par baat hoti hai aur ye tay hota hai ke Raj ke saath Aditya aur Abhay jayenge……abhi raat ka samay tha aur Raj abhi gehri neend emin tha tabhi usse kuch visions dikhne lagte hai lekin vo thode dhundle the isliye usse thik se samajh nahi aa raha the ke yeh hai kya lekin usse ek goldern mountain phir se dikhta hai jaise usse us energy ball ko absorb karne ke baad dikha tha……

Raj uus vision mein apne aap ko us mountain ke niche khada pata hai wahi usse aisa lag raha tha ke vo mountain usse kuch baat karne ki koshish kar raha hai par Raj ko kuch thik se sunaayi nahi de raha tha….

Wahi dusri or Arindam bhi shaitan ke dhyan mein baitha tha tabhi uske kaano mein ek aawaz gunjhti hai……yeh aawaz shaitan ki thi…

Arindam-malik kya baat hai aap ne mujhe aise kyo yaad kiya…

Awaaz-Arindam vo RAKSHAK apni shaktiyon ka aankhri bhaag bhi hasil karne wala hai….

Arindam-malik aap chinta na kare vo chahe kitne bhi shaktiyan hasil karle aapne jo shaktiyan muje di hai vo usse kahi jyada hai vo kabhi bhi mujhe hara nahi sakta hai…

Wahi yaha issi beech do din nikal jate hai aur aaj Raj Aditya aur Abhay ko nikal na tha….sabhi ek open ground mein aa jaate hai….abhi Raj Aditya aur Abhay ek saath khade the…

Dipali-apna dhyan rakhna tum sabhi….

Maharaj-tum teeno ko yaha ki koi tension lene ki zaroorat nahi hai yaha par ham sab kuch hua toh sambhal lenge….

Yeh saukar teeno hi has dete hai…

Raj-thik hai phir ham teeno jitna jaldi ho sake aane ki kpshish karenge…

Yeh kehne ke baad Adity aur Abhay Raj ke piche khade ho jaate hai……jaise hi teeno khdate hote hai unke aaspaas chamak badhne lagti hai aur lightway se teeno chale jaate hai dragon planet ki or…

Wahi yaha teeno jaise hi dragon planet ke liye nikal te hai waise hi Arindam apne saathiyon ko bulata hai aur 2-2 ke group mein kahi bhej deta hai….usse yeh malum pad gaya tha ke Raj aur uske dost abhi Dragon planet ke liye nikal gaye hai wahi uske baki ke dost abhi bhi uske planet par hai….

Arindam ke unhi do group mein se ek group insaani planet par aata hai lekin unhone apne powers ko chupa liya that oh abhi kisi ko malum nahi chala thaw ahi ek group kisi aur planet par chala jata hai waha par Arindam ne unhe kuch lane bheja tha….

Yaha teeno jaldi hi dragon planet pohochne wale the…..dekhte hi dekhte vo us planet ke atmosphere mein enter kar jaate hai aur ek bade se ground mein lad karte hai….

Jaise hi teeno yaha lad karte hai waise hi Raj ko ek halka jhatka lagta hai jaise uske andar ki powers usse kuch batana chahti ho…Raj ki body halki halki vibrate ho rahi thi jisse kuch der baad Raj shant kar deta hai…

Aditya-Raj ab aage kaise karna haia hame yaha par se toh vo mountain gayab ho gaya hai na…

Tabhi Raj kuch sochta hai….aur apne powers ko release karta hai jisse ek energy wave uske andar se nikal kar chaaro or fail jaati hai…

Jaise jaise vo energy wave aage jaa rahi thi vo har ek cheez ko feel kar paa raha tha……tabhi ek jagah uski vo energy wave jake kisi aur energy ko clash karti hai jaise hi vow aha clash karti hia waise hi Raj ne jo apni aankhe band kar rahi thi unhe khol deta hai aur uske face par ek smile aati hai…

Raj-chalo hame kaha jana hai yeh pata chal gaya…

Yeh keh kar teeno udte hue waha tezi se jaane lagte hai jaise jaise Raj us jagah pohoch raha tha waise waise phir se uski body halki halki vibrate hone lagi thi…

Jaldi hi teeno us jagah pohoch jate hai jaha Raj ki energy kisi aur energy se clash hui thi…teeno nich aate hai aur apne aaspaas dekhne lagte hai unhe kuch bhi aajeeb nahi lag raha tha lekin Raj ki body ab bohot jyada vibrate hone lagi thi….

Raj apne samne ki taraf chalte hue aage badhne laga tabhi usse kisi cheez ne rok diya….

Yeh ek barrier tha pehle toh Raj ko kuch nahi samjha lekin tabhi uske dil ke hisse se ek energy ray nikali aur jake us barrier ko lagi…..

Us ray ke lagte hi vo jagah chamakne lagi aur vo barrier hatne laga….us barrier ke hatate hi un teeno ke samne vo Golden mountain aa jata hai aur teeno hi uske paas jaane lagte hai Raj ki body abhi bhi vibrate ho rahi thi lekin usne apne aap ko phir se shant kar diya..

Abhay-Raj hame vo mountain toh mil gaya ab hame kya karna hai…

Raj us mountain ko dekhe jaa raha tha…

Raj-hame ab dhyan mien baithna hoga…

Yeh keh kar vo wahi dhyan mein baith jata hai saath hi Aditya aur Abhay bhi…
Nice update dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 51
Abhi teeno hi dhyan mein baith gaye the lekin tabhi ek ajeeb baat hui teeno ke mind apneaap hi ek dusre se jud gaye aur unke judte hi teeno ek Andheri jagah pohoch gaye………Yeh teeno ke liye ek jhatka tha……

Abhay-Raj yeh kya ham teeno ek hi jagah kaise pohoch gaye….kya yeh tumne kiya hai Raj..?

Raj-nahi Abhay yeh mein ne nahi kiya hai aur nahi mein yeh kar sakta hu…

Aditya-toh ham teeno ek hi jagah kaise aa sakte hai..?

Raj-shayad hamare mind ekdusre se jud gaye hai apne aap….

Abhay-par aisa kaise ho sakta hai hamne toh yeh hote hue feel bhi nahi kiya..

Raj-shayad yeh is mountain ki wajah se hua hai usike powers ki wajah se hua ho…

Aditya-ha yeh ho sakta hai…..lekin abhi hame yeh sochna hoga ke ham hai kaha aur yaha se bahar kaise nikale…
Abhi Raj kuch kehta tabhi ek awaaz gunjh gayi waha…

Awaaz-kisi ko bhi kahi jaane ki zaroorat nahi hai…

Raj yeh awaaz sunkar chouk gaya wahi Aditya aur Abhay yaha waha dekhne lag eke yeh awaaz aa ka se rahi hai…..abhi vo yaha waha dekh hi rahe the ke Aditya aur Abhay chamakne lage Raj yeh sab dekh raha tha lekin vo kuch bol nahi raha tha aur dekhte hi dekhte Aditya aur Abhay ki chamak badh gayi aur jaldi hi vo chamak kam ho gayi ab waha koi bhi nahi tha dono kahi chale gaye the…

Tabhi wahi awaaz fir se gujh gayi..

Awaaz-yaha zaroorat sirf tumhare akele ki hai aur kisi ki nahi……jaha khade ho wahi se aage chalte hue aao…

Raj bhi waise hi chalte hue aage aage aane laga…jaldi hi vo us kaali Andheri jagah se bahar aaya aur khud ko kisi ground mein paaya lekin uske saamne jo ground tha uska koi bhi ant usse nazar nahi aa raha tha vo waha par akela tha lekin phir bhi usse waha kisi ke hone ka aabhas ho raha tha…..

Raj ko samajh nahi aa raha tha ke vo hai kaha tabhi uske samne ek energy ball aati hai jisse itani Roshni nikal rahi thi ke aisa lag raha tha laakho-karodo suraj usmein samaye hue ho itani jyada Roshni Raj ki aankhe jhel nahi paa rahi thi toh usne apni aankhe band kar di jaldi hi vo Roshni kam ho gayi aur jaise hi Raj ne apni aankhe kholi toh uske samne jo tha usse dekh kar usse apne aankho par vishwas nahi baith raha tha……

Uske samne SHREE KHRISHN apni basuri leke khade the aur unke face par ek smile thi……Raj apne aap apne niche baith gaya aur apne haath jod diye usne aisa kabhi nahi socha tha ke GOD usse is roop mein bhi darshan denge……

SHREE KRISHNA-kya hua Raj tum aise kyo chouk rahe ho…..aisa toh nai hai ke mein tumhe pehle nahi mila hu….

Yeh kehte waqt bhi SHREE KHRISHNA ji ke face par ek smile thi…

Raj-prabhu aap yaha….

SHAREE KRISHNA-Toh tume kya laga tha ke koi aur hoga yaha…

Raj-nahi prabhu mere kehne ka matalab yeh nahi hai…..mujhe toh bas yeh janana hai ke mein kaha hu kyo ki mein toh ek pahad ke andar aaya tha apne doston ke saath…..par ab mein yaha hu aapke samne…

SHREE KRISHNA-chalo mein tumhare pehle sawal ka jawab deta hu tumhe mein hi yaha lekar aaya hu…..aur rahi baat tum kaha ho yeh janane ki toh suno tum abhi KURUKSHETRA mein ho…….jante ho na yaha kya hua tha….

Raj-ji prabhu….

SHREE KRISHNA-toh batao mujhe kyu jaa rahe the tum us pahad mien…

Raj-prabhu aap ko toh sab pata hai mein waha kyu jaa raha tha….

SHREE KRISHNA-phir bhi mein tumhare mukh se sunanaa chahta hu…

Raj-prabhu mein yaha apni shakti ko paane aaya tha jisse mein is duniya mien aaye hue shaitan ke sewak ko khtam kar saku….

SHREE KRISHNA-jante ho jis shakti ko paane ke liye nikale ho vo kya hai…?

Raj-prabhu mein kuch samjha nahi aap kya kehna chate ho…

SHREE KRISHNA-jis shakti ko tum paane nikale ho vo koi aam shakti nahi hai vo BRAMHAGYAAN hai….suno Raj jivan ka RAHASYA jano, sansaar ke vastavik ROOP ko samjho, GANGA ke pravaah mein mutthi daali jaye toh kuch nahi milta par dono haathon ki HATHELI banayi jaaye toh GANGAJAL mukh tak aata hai….vichar karo Raj AHANKAAR ki mutthi bandhni hai ya SAMARPAN ki ANJELI banayi hai tumne…….is GYAAN ko grehen kar paaoge….

Raj yeh sab sun raha tha aur SHREE KHRISHNA ji ko dekh raha tha…..

SHREE KRISHNA-yeh sansaar kya hai Raj……MAANAV, DAANAV, PASHU, PAKSHI, JANTU, KITAK, MATSYA, PED yeh sab kaise bante hai, kin padaartohn se inka janm hota hai, kaise chalte hai, kaise jeete hai, mrutyu kaise hoti hai inki aur mrutyu ke baad kya hota hai is RAHASYA ka vichaar karo……

Raj-insaan mitti se bana prabhu…….JAL usmein RAKT ban kar behta hai, AGNI shareer ko TAAPMAN deti hai aur shareer ke khali jagahon mein AAKASH ban ke prakat hota hai arthaat JAL VAAYU AGNI PRUTHVI AUR AAKASH in panch mahabhooton se hi shareer ka nirmaan hota hai….

SHREE KRISHNA-yaani is duniya mein DHARMGYAANI bhi panch mahabhooton se banta hai aur ADHARMI bhi……..

Raj-ji prabhu…..lekin mujhe ab insaan kya hai yeh janana hai…..

SHREE KRISHNA ji Raj ke is baat par thoda has dete hai…..

SHREE KRISHNA-tumhare issi swabhav se toh mein khush hu Raj tum uchit samay par uchit sawal puchte ho……toh suno tumhare sawal ka jawab

Insaan keval panch mahabhoot nahi pach padarth nahi panch gyanendriya panch karmendriya tathaa teen goon (GOON-RAJAS, TAMAS, SATWA) aisi teyis vastuo ka mel bhi nahi isaan ko chalne phirne tatha kaarya karne hetu shakti ki aavshyakyata hoti hai aur us shakti ko CHETNA kehte hai…..

Raj insaan ke CHETNA ke saath un teyis vastuo ka naam PRAKRITI hai…..choubis vastuo se bane insaan naamk yantra mein vaas karta hai PURUSH……..athaat PARMAATMA ka ANSH usse AATMA kaha gaya hai…jab PRAKRITI aur PURUSH ka mel hota hai arthaat jab PARMAATMA ka ANSH AATMA ban kar DEH mein vaas karta hai tam insaan JIVIT hota hai…

Raj-yeh AATMA kya hai prabhu aur isse kaise jaana jata hai…?

SHREE KRISHNA- insaan jaise RATH ka upyog karta hai vaise hi AATMA is SHAREER naamak YANTRA ka upyog karti hai……
SHAREER ke madhyam se SHAREER ke sukh-dukh ka UPBHOG karti hai kintu AATMA SHAREER nahi hai Raj…….SHAREER KA NAASH KIYA JAA SAKTA HAI KINTU AATMA KA NAASH NAHI KIYA JAA SAKTA……..AATMA na SHASTRO se CHEDI jaa sakti hai aur nahi AGNI se JALAYI jaa sakti hai naa JAL usse NIRBAL kar sakta hai aur na PAWAN usse sukha sakti hai….AATMA SHAREER mein rehte hue bhi AMAR hai….Raj SHAREER ki hatya ki jaa sakti hai par AATMA ki hatya nahi ki jaa sakti…

Raj-yeh AATMA ka kya karya hai prabhu…?

SHREE KRISHNA-jab PARABHRAMA ke bhaag hue PURUSH tathaa PRAKRITI bane tab PURUSH arthaat PARMAATMA ke ANSH ne AATMA bankar PRAKRITI ke har ek vastu mein vaas kiya….us AAMTA ko MOH tathaa ANDHAKAAR ne gher liya Raj…..us MOHNIDRA se jaag kar khud ko PARMAATMA ka ANSH jananaa hi AATMA ka kartavya hai uddyeshya hai aur jivankarya hai….

Raj-yeh DARM aur ADHARM kya hai prabhu…?

SHREE KRISHNA-jis maarg par chal kar insaan apne aap ko AATMA ke roop mein dekhta hai PARMAATMA ke ANSH ke roop mein khud ko janta hai uss maarg ko DHARM KEHTE HAI…jab insaan khud ko PARMAATMA ke ANSH ke roop mein jaan leta hai tab usse yeh ANUBHUTI hoti hai ke yeh saari DUNIYA hi PARMAATMA hai aur yeh PARMAATMA hi DUNIYA hai DUNIYA aur PARMAATMA mein koi BHED nahi…….jo insaan yeh jaan leta hai vo dusre jivon ki or NARDAYI aur KATHOR nahi hota….vo yeh jaanta hai ek JIV katne se PIDA keval JIV ko nahi hoti uski ANUBHUTI pure SHAREER ko hoti hai….waise hi ek insaan ko PIDA hoti hai toh puri DUNIYA ko is PIDA ki ANUBHUTI hoti hai….jab tak sansaar mein ek insaan bhu PIDIT hai tab tak vaastav mein kisi ka bhi SUKH sampurn nahi yeh janane par insaan ka MAN KARUNAA se bhar jaaye USSE DHARM KEHTE HAI…

Jab kisi par TAMAS goon Chaya hota hai toh vo dusron ki prati KATHOR NIRDAYI aur SWARTHI ho jata hai apne maane hue SUKH ke liye vo dusron ko DUKH deta hai…PARMAATMA ki or GATI nahi ho paati uski arthaat ADHARM PARMAATMA se DOOR le jaanewale MAARG ka naam hai….

Raj-arthaat ADHARM toh AGYAAN ka dusra naam hai…toh phir AGYAANI ke prati DAYA honi aavashyak hai na…..DAND ka kya tatparya..?

SHREE KRISHNA-AGYAANI jab GYAAN ka MULYA janane ko tayyar na ho GYAAN par DRISHTI daalne par bhi tayyar na ho tab DAND HI DAYA HAI uske prati bhi aur dusron ke prati bhi……

Srishti ki GATI hamesha hi PARMAATMA ki OR ho yeh ANIVAARYA hai kintu kabhi kabhi aisi stithi utppan ho jaati hai ki AGYAAN MOH aur ADHARM badh jaata hai sansaar DHARM chale jaane ka BHAY utppan ho jata hai…..sansaar se jab DHARM LUPT ho jaata hai KARUNAA bhi NASHT ho jaati hai aur SATYA bhi NASHT ho jaata hai aane wali PIDHIYON ko DHARM praapt ho sake iske liye ADHARMIYON ka NAASH karke aab DHARM ki punha STHAPNA karna ANIVARYA hai….

Aab bhi yahi STITHI hai Raj aur is DUNIYA mein DHARM STHAPAN karne ka KAARYA ab tumhara hai…..KARM ka bandhan avashya NIRMIT hota hai kintu KAARYA ka bandhan NIRMIT nahi hota Raj…..tumhe KARM aur KAARYA ke bhich ka BHED jananaa aavashyak hai……SABHI KARM KAARYA HAI KINTU SABHI KAARYA KARM NAHI……..KARM us KAARYA ko kehte hai jiske saath PHAL ki AASHA judi ho…..insaan jabhi SUKH ki SAMPATTI ki PRASHANSA ki AASHA rakh kar koi KAARYA karta hai toh vo us KAARYA ke PHAL se BANDH jaata hai……

Jaise hi SHREE KRISHNA ji ne apna bolna roka vo phir se chamkne lage lekin isbaar Raj unhe us chamak mein bhi dekh sakta tha vo chamak uske aankhon ko thak de rahi thi…..tabhi waha unki aawaz gujh gayi….

SHREE KHRISHNA- IS GYAAN KA UPYOG SADA HI ACHHE KARMON KO KARNE KE LIYE KARNA RAJ MEIN TUMHE AANWALE HAR KATHIN SAMAY SE GUZARNE KELIYE AASHIRWAAD DETA HU….

Jaise hi unhone ye kaha tabhi ek energy ball unki chamak se nikali aur Raj mein sama gayi dkehte hi dekh Raj aur Aditya aur Abhay is mountain mein the vo gayab ho gaya aur abhi jo energy ball Raj mein samaya thi uske wajah se vo pura panet chamak ne laga sirf vo planet hi nahi pure universe mein vo chamak fail gayi thi yaha tak Arindam jis planet par rehta tha waha koi bhi roshni nahi aati thi vo planet bhi chamak gaya tha universe ka kona kona us roshni se chamak gaya tha….

Itani roshni dekh kar Arindam ko kuch samajh hi nahi aa raha tha ke yeh ho kya raha hai jab usne iska source dhunda tab usse sirf vo roshni hi dikh paayi vo kiski hai yeh vo kabhi dekh nahi paaya……
Bahut sunder shabdo ka paryog karke ek amulye rachnakriti ka nirman kiya hai.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 52
Ab chalte hai insaano ke planet par jab Rah Aditya aur Abhay nikal gaye the ussi din raat ko Arindam ke do saathi waha aaye aur yeh the Nnoitra aur Tier in dono ne apne powers ko chupa liya tha taki inhe koi jaldi sense na kar sake lekin agle din early morning inhe bhi vo chamak dikhi thi jisse baki sabhi logon ne dekh tha in dono ne us chamak se bohot hi powerful white energy ko feel kiya tha intani powerful white energy unhone pehle kabhi bhi sense nahi kit h jiske wajah se Nnoitra ko ab thoda gussa aa raha tha vo bhi us faili hui Roshni ka source ko dhund raha tha lekin vo bhi Raj tak nahi pohoch paya jisse vo aur bhi gussa hua jiske wajah se uske negative powers ko palace mein Maharaj, King Fealar aur Gael ne feel kiya wahi Deepak ne bhi us negative energy ko feel kiya yeh energy Capital ke bahar se aa rahi thi toh charo hi jaldi mein ready ho kar us taraf chal diye jaha se unhe yeh feel ho rahi thi…

Yaha Nnoitra aur Tier chalte hue aa rahe the Capital ki tara lein unhe unki taraf kuch log aate hue dikhe…

Yeh Capital ke guard the lekin Nnoitra aur Tier ko unse koi bhi pharak nahi pad raha tha is liye Tier ne unhe apne power ke shockwave se hi uda diya yeh sab piche se aate hue Maharaj, King Fealar,Gael aur Deepak ne dkeh liya jisse vo aur bhi jaldi waha aa gaye ab yaha sabhi aamne samne the in chaaron ko dekh kar Nnoitra aur Tier wahi ruk gaye…..

Nnoitra aur Tier dono in chaaron ko dekh rahe the tabhi dono kin azar Deepak par atakti hai aur unhe kuch yaad aata hai…

Nnoitra-tum…..

Abhi Nnoitra aage kuch bolta tab tak Deepak bich mein hi uski baat kaat deta hai aur bolta hai…

Deepak-tum log phir se aa gaye yaha…..

Deepak apne gusse par kaabu rakh raha tha……Deepak uska sawal samajh gaya tha issi liye usne Nnoitra ki baat ko bich mein rok diya tha…

Maharaj-lagta hai tum sabhi ne apne hare hue sathiyon se kuch nahi seekha…

Nnoitra-uska balda hi ham yaha lene aaye hai tum sabhi se is baar kisi kamzor se pala nahi pada hai tum sabhi ka…..

Yeh keh kar Nnoitra apni sword nikalta hai jisse dekh kar yeh charon bhi apni apni sword nikalte hai……par tabhi kuch ajeeb hota hai Deepak in tino ke agate khada tha aur jab Nnoitra ne apni sword nikali tab Gael bhi almost Deepak ke piche aa ke khada ho jata hai aur yaha puri Capital par ek strong shield aa jati hai jismein Maharaj aur King Fealar uske andar hi reh jaate hai…

Maharaj is shield ko jhat se pehchan jate hai yeh shield Deepak ki thi….

Maharaj-deepak yeh kya kiya tumne ham sabhi indono milkar khatam kar sakte hai akele apne aap ko khatre mein mat daalo…yeh sunkar Deepak piche mudta hai lekin usse shield ke andar sirf do og hi dikhayi dete hai vo phir se palat jata hai aur apne left side dekhta hai jaha Gael khada tha..

Deepak-Gael tum baha kaise aaye..?

Gael- mein aapke shield puri city par cast karne ke pehle hi piche khada ho gaya tha jisse mein ab uske andar nahi hu aur ab mein andar bhi nahi jaunga aap sabhi ko thikthak rakhna mera kaam hai…

Gael ki is baat se Deepak jaan jata hai k evo uski baat nahi sunega…Toh vo ab dono hi samne dekhne lagte hai……

Nnoitra-tum sabhi ka natak ho gaya ho toh mein start karu…

Deepak-ha kyu nahi bohot waqt ho gaya hai tum jaiso se fight kiye hue…

Yeh keh kar Deepak apni powers ko release karta hai jo bohot jyada thi yaha tak ki uski powers ki wajah se uski shield tak hilne lagi thi…

Deepak ne apni divine powers zaroor kho di thi lekin uski khud ki powers bhi koi kam nahi thi vo ab bhi chahe toh Arindam ko takkar de sakta tha aur yeh toh uska saathi tha….wahi Nnoitra bhi yeh dekh kar thoda ruk sa gaya leki phir usne Deepak par attack kar hi diya jise Deepak ne apne sword se rok diya tha aur usse zor dekar piche uda diya…

Deepak-tum abhi chahte ho ke mein tum se ladhu agar aisa hai toh yeh baat jaan lena ke yeh tumhari aankhri fight hogi kyo ki hamari fight ke baad tim zinda nahi rehne wale ho….

Deepak ki is baat se Nnoitra ko gussa aata hai aur vo apne powers ko release kar deta hai jo bohot hi jyada thi….lekin uska Deepak par jaise koi asar hi nahi ho raha tha…

Isbaar Deepak us par attack karta hai jo bohot hi speed se kiya tha jisse Nnoitra apne aap ko just bacha leta ha par uske face pe ek cut pad gaya tha….

Nnoitra ke face par cut dekh kar Deepak usse ek smile deta hai aur uski taraf phir se badh jata hai yeh dekh kar Nnoitra bhi Deepak ki taraf badh jata hai dono ki swords ab ek dusre par takra rahi thi…

Wahi yaha Gael ne bhi Tier par attack kar diya…..Gael apni sword se Tier par apne combo attacks kiye jaa raha tha jisse Tier apne aap ko bacha raha tha par usse bhi yaha waha par cuts lag gaye the..

Wahi Deepak ki taraf bhi Nnoitra ne Deepak par apne sword se ek beam fire ki jisse Deepak ne bich mein kaat diya…

Dono phir se ek dusre par attack karne lage….dono ki swords takra toh rahi thi lekin ab baat thodi badal gai thi Deepak ke sword ke attack har attack ke baad sharp hote jaa rahe the…tabhi usne ek attack kiya jisse Nnoitra ki sword toot gayi aur usse Deepak ne ek kick maar kar piche uda diya…

Nnoitra kabhi Deepak ko toh kabhi apne sword ko dekhta…..

Deepak-tumhari sword bhi tumhari tarah weak hai…..

Yeh keh kar Deepak bohot hi speed se Nnoitra par war karta hai lekin usse is war se kharoch tak nahi aati….yeh dekh kar Deepak bhi chouk jata hai….

Deepak ko chouka hua dekh kar Nnoitra uspar has deta hai….

Nnoitra-hahahaha………ham sabhi mein meri skin sabse hard hai tum Jaison se yeh nahi cut ho sakti…..

Dono phir se ek dusre se ladhne lagte hai dono ho bohot hi powerful attack ek dusre par kar rahe the jisse un dono ki sword jab bhi takrati tab ek shockwave nikal ti thi…..

Wahi yaha Gael bhi piche nahi tha vo bhi Tier ko kadi takkar de raha tha…..upar se ek high elf hone ke karan uski speed achhi khasi thi…

Abhi dono ladh hi rahe the ke bich mein hi Gael apne magic ko activate karta hai….

THUNDER STYLE-LIGHTNING BLADE

Yeh kehte hi Gael ki sword lightning se cover ho jati hai….yeh sab Tier ne dikh liya aur usne bhi apne sword ko apne negative powers se cover kar liya….dono ek bar phir se ek dusre ki taraf badhe lekin jaise hi dono ki swords ek dusre se takrayi waise hi waha par ek blast ho jata hai aur dono hi piche ki taraf udd jaate hai ……

Tier-mein ne nahi socha tha ke Elf bhi itne powerful hote hai tumhare saath ladhne mein maza aayega…

Yeh keh kar usne apne sword se ek black energy beam Gael par fire kar di…..tabhi Gael ne bhi apna attack kiya….

THUNDER STYLE-LIGHTNING ARROW

Yeh kehte hi Gael ke haathon mein ek thunder se BOW ban jata hai aur apne sword ko uspar laga kar us aa rahi beam par chod deta hai…..sword aur beam ek dusre ki taraf speed se aa rahe the…..lekin Gael ki sword us beam ko katati hui Tier ki taraf badhne lagi yeh dekh kar Tier ne apne aap ko bacha liya….

Gael ne apne haath ko hawa mein uthaya uske aisa karte hi vo sword phir se uske haath mein aa gayi….ab dono mein bohot hi speed se fight start hui Gael Tier ki speed ko bohot hi acche se match kar raha tha….

Wahi yaha Deepak aur Nnoitra bhi ek dusre par bohot hi ghatak attack kar rahe the….ab Nnoitra ke paas ek spear tha aur usse hi vo Deepak par attack kar raha tha…..

Abhi Deepak ne apne sword ko niche se upar ki taraf ghumaya aur Nnoitra ko apne spear ke saath hawa mein uda diya….jaldi hi Nnoitra ne apne aap ko hawa mein rok diya aur apne spear ko upar utha ke ghumane laga…

Uske aise spear ghumane ke wajah se jaga Deepak khada tha waha ki mitthi uske aajubaju udne lagi par isse Deepak ko kuch bhi pharak nahi pad raha tha v otoh upar hawa mein Nnoitra ko dekh raha tha….

Kuch der aise hi ghumane ke baad Nnoitra bohot hi speed se Deepak ki taraf badh gaya usne apne spear ko aage kar ke rakha tha au raise hi Deepak par attack karnewala tha par sahi waqt par Deepak thoda sa side hat jata hai aur uske Face ko apne haath mein pakad leta hai…..

Usko pakadne ke baad Deepak Nnoitra ko zor se zameen pan patak deta hai aur apne sword se uske fase par attack karta hai lekin tabhi Nnoitra Deepak ke haath ko jhatak kar side hat jata hai….

Deepak-tum side hat gaye mujhe laga tha tum mere Jaison ke sword se nahi darte ho tumhari skin tumhare sabhi saathiyon mein hard hai….

Yeh kehte waqt Deepak ne apne sword ko utha kar apne kandhe par rakh diya (jaise GADHA kandhe par rakhte hai waise aur Deepak ki sword single edge sword hai.)

Yeh sunkar Nnoitra ko gussa aata hai aur vo ek high jump laga kar phir se apne spear se Deepak par war karta hai lekin isbaar Deepak uske spear ko beech mein hi pakad leta hai aur apne sword ko Nnoitra ke left aankh seandar karta hai jo sidha uske sir ke piche ki tafa jaake rukti hai…..

Shield ke andar se yeh sab Maharaj aur King Fealar dekh rahe the…..tabhi Deepak uski sword ko Nnoitra le sir se nikalta hai aur usse ek kick deke piche uda deta hai…

Nnoitra niche gir gaya tha aur soch raha tha ke yeh kaise ho sakta hai ke tabhi usse Arindam ne kahi hui baat yaad aati hai ke yeh abhi bhi universe ke finniest warrior hai….

Deepak- kya hua itne mein hi haar gaye mujhe laga tum mujhe thoda entertain karoge lekin tum toh meri samajh se bhi weak ho Arindam ne bhi kin kin kamzoron ko banaya hai….

Jaise hi Nnoitra yeh sunta hai vo apne gusse par kabu nahi rakh pata aur apne pure negative powers ko release kar deta hai…jisse dekh kar thodi duri par ladh rahe Gael aur Tier bhi dekh kar ruk jate hai aur Nnoitra ki taraf dekhne lagte hai….

Nnoitra-tumhari himmat kaise hui Master ke baremein yeh kehne ki tum insaan hamare liye kidon se kam nahi ho ham tumhe kabhi bhi kuchal sakte hai….

Yeh keh kar vo zor se chillane laga jisse aaspaas ki zameen hilne lagi……jaise jaise Nnoitra chilla raha tha waise waise uske aaspas ek dhua ban raha tha aur jaldi hi vo us dhumein sama gaya…..

Tabhi sabhi ko ek bohot hi powerful negative energy feel hui par abhi bhi Deepak par iska koi bhi asar nahi dikh raha tha vo abhi bhi pehle jaisa hi relax tha yeh dekh kar Maharaj aur King Fealar ko thoda ajeeb laga….

Tabhi vo dhua hat jata hai aur uske hatate hi Nnoitra apne new form mein tha usse ab aur chaar haath aa gaye the aur us har ek haath mein ek sword thi….

Deepak-tum kitne bhi haath le aao tum mujhe nahi hara sakte…

Yeh keh kar Deepak Nnoitra par apne sword se attack karta hai jisse rokne ke liye Nnoitra apne sabhi swords ka use karta hai…..

Deepak-mujhe laga tha tum ek hi sword use karoge lekin tumhe mere ek war ko rokne ke liye apne sabhi swords ka use karna pada….

Yeh keh kar Deepak un swords par ek punch marta hai jisse Nnoitra piche sarak jata hai par Nnoitra phir se apne speed se Deepak par war karta hai jo sideways tha aur yeh war Deepak ke chest par lagta hai aur vo piche ki tara fud jata hai…

Deepak piche ud kar thoda door gir gaya tha aur is baat ka fayad uthate hue Nnoitra Gael ki taraf badhne lagta hai jo abhi Tier se ladh raha tha…

Nnoitra abhi thoda hi aage gaya hua tha ke usse apne piche se ek bohot hi powerful energy feel hoti hai aur jaise hi vo piche dekhta hai waise hi Deepak uspar war karta hai…

Yeh war rokne ke liye Nnoitra apne ek haath se sword aage karta hai lekin Deepak ka war bohot hi powerful tha aur uske war se Nnoitra ka aage kiya hua haath hi cut ho jata hai…

Deepak-tumhe kya laga tha mein tumhare aise attack se mar jaunga abhi toh mein ne tumhara haath hi kata hai lekin thodi der mein tumhara sir bhi kaat dalunga…

Nniotra apni energy ko uske kate hue haath par focus karta hai aur uska kata hua haath wapas aa jata hai…

Nnoitra-mera sir tum apne khayalon mei katna…

Yeh keh kar Nnoitra Deepak ki taraf badh jata hai aur Deepak bhi uski taraf….wahi dusri or Gel ne Tier ko bohot hi jyada zakhami kar diya tha wahi usse bhi kharonche aayi hui thi…

Tier-tum kafi powerful ho in kamzor insaano ke saath kya kar rahe ho hamare saath aa jao tum is duniya par raaj karoge…

Gael-mein tum logon ki tarah kaayar nahi hu…

Yeh bol kar Gael uske samne thoonk deta hai jise dekh kar Tier ko gussa aa jata hai…

Tier-tumhari itani himmat…

PILLAR OF DARKNESS

Jaise hi Tier ne yeh kaha waise hi Gael ke aaspas ek balck colour ka pillar banane laga aur dekhte hi dekhte vo us pillar mein chip gaya….

Tier-yeh PILLAR OF DARKNESS hai ismein ek bar agar koi kaid ho jaye toh kabhi bhi bahar naih aa pata…….hahahaha….

Abhi Tier has hi raha tha ke usse ek aawaz sunayi deti hai aur vo apne us pillar ki taraf dekhne lagta hai…
KYA TUM ITNA HI ACHHA KAR SAKTE HO…

Yeh sunne ke baad vo pillar mein crack aane lage aur us cracks mein se lightning bahar aa rahi thi….Tier ko apne aankho par bharosa nahi ho raha tha ke uske sabse powerful attack ko ek elf ne aise hi break kar diya hai…

Abhi vo yeh dekh raha tha ke vo pillar wahi destroy ho gaya aur suddenly uske aaspas ki jagah chamak ne lagi….yeh kya ho raha hai Tier ko kuch samajh hi nahi aa raha tha uske aaspas ki jagah ab aur chamakne lagi aur phir zamin mein se thunder ke pillar nikalne lage aur un sabhi pillars ne usse kaid kar liya…

THUNDER CAGE

Yeh bolkar Gael Tier ki taraf badhne laga jo ab uske cage mein tha us cage ke paas aate hi uske apne sword ko us cage se touch kiya aur us sword ke touch hote hi vo cage upar hawa mein uthane laga….

Tier bohot koshish kar raha tha ke vo is cage ko destroy kar sake lekin jitani baar bhi vo apne energy se attack karta utni baar vo cage us energy ko absorb kar leta….

Thoda upar jaa kar vo chage ruk gaya aur uske rukte hi Gael ke haath mein phir se wise hi ek lightning ka BOW ban gaya jispar usne apni sword chadhayi…

THUNDER STYLE-LIGHTNING DRAGON ARROW

Yeh kehte hi Gael ne apne sword ko us cage ki taraf chod diya aur vo sword bhi speed se us cage ki taraf badhne lagi par bich mein hi us sword ke aaspas ek lambe dragon ki energy ban gayi aur sidha jaake us cage ko lagi…

Us sword ke cage ko lagte hi ek bohot hi bada blast hua jismein Tier RAAKH ban gaya…

Yeh sab yaha Nnoitra Deepak ke saath ladhte hue dekh raha tha k evo bich mein hi ruk jaata hai aur zor se chilla kar Gael ki taraf badh jata hai leki yahi uski galti ho jaati hai….

Deepak issi baat ka fayda uthata hai aur apni puri energy ko apne sword mein lata hai aur sidha Nnoitra ke gale par war karta hai jo ek hi ismein cut jati hai….

Nnoitra ka sir kat kar door ja girta hai aur uske speed se aage badhne ke wajah se uski bodi aage badh rahi thi….dheere dheere Nnoitra apni aankhe band karta hai aur uski body bhi blast ho jati hai….
Bahut hi umda update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 53
Jab Deepak aur Gael ki fight ruk gayi tab Deepak ne apne shield ko Capital ke upar se hata diya aur dono hi chalte hue Maharaj aur King fealar ke paas aa gaye..wahi Aditya aur Abhay bhi apne planet ke paas pohoch gaye the tabhi unhe Gael ne kiye hue attack ki energy feel hoti hai jise un dono ke face par ek smile aata hai….

Abhay-dekho hamare aane se pehle hi yeh khel ko khatam kar rahe hai….

Aditya-koi baat nahi aage aur bhi mouke aayenge tab ham bhi dikha denge ke ham bhi kam nahi hai….

Abhay-ha tum sahe keh rahe ho….

Jaldi hi un dono ne planet ke atmosphere mein enter kiya wahi niche sabhi baat kar rahe the waha khade reh kart oh unhe upar aasamn mein ek Roshni dikhi…

Jaldi hi vo Roshni un sabhi ke samne aake ruk gayi aur usmein se Aditya aur Abhay bahar aaye……sabhi in dono ko dekh kar khush the lekin Deepak ko Raj nahi dikha…

Deepak-Raj nahi aaya tum dono ke saath..?

Aditya-nahi uncle vo keh raha tha ke usse koi zaroori kaam hai toh vo baad mein aayega…

Deepak-thik hai chalo sabhi ab chalte hai…

Abhay-kya chalte hai ham dono ko sab janana hai yaha kya hua ek toh aapne hamare aane se pehle hi sara khel khatam kar diya…ham bhi toh maja lete thoda….

Abhay ke is baat par sabhi has dete hai toh uske side se Gael aake uske kandhe par haath rakhta hai aur usse chalte hue sab kuch batane lagta hai ke kya hua tha…

Wahi jab Raj ne Aditya aur Abhay ko bheja tha tab vo bhi khud kahi chala gaya dragon planet se…

Ab chalte hai Arindam ke dusre group ki taraf jinhe usne Nnoitra aur Tier ke baad bheja tha kahi aur yeh the Jaeger aur cyfer in dono ko usne GIANTS ke planet par bheja tha lekin GIANTS toh bohot pehle hi nasht ho chuke the ab us planet par koi bhi jivan nahi tha lekin us planet par GINTS ke RUINS abhi bhi waise hi thi unhe RUINS mein se ek mein aisa kuch tha jo Arindam ko chahiye the…..

Jaeger aur Cyfer abhi bhi vo jo kuch bhi tha usse dhund rahe the tabhi unhe ek RUIN alag dithta hai vo RUIN puri tarah toot gaya tha lekin uske aaspas ke RUINS abhi bhi thik thak the yeh baat dono ko ajeeb lagi issi liye vo ab us RUIN mein us cheej ko dhundne lage.aise hi waha dhndte hue dono ko ek darwaza milta hai jisse GIANTS ne milkar apne magic se band kar diya tha…

Jaeger us daewaze ko jaise hi haath lagata hai waise hi usse ek jhatka lagta hai jisse vo piche ki tara uud kar gir jata hai Cyfer khade ho kar yeh sab dekh raha tha tabhi vo apne haath se u darwaze par ek GREENISH BLACK energy beam chodta hai vo beam jaake us darwaze se takrati hai jisse darwaze ko kharoch toh aati hai lekin vo jhat se thik ho jaati hai jisse Cyfer aur Jaeger dono dekh lete hai..

Cyfer-hame milkar is par attack karna hoga tabhi yeh magic ham break kar sakte hai…

Jaeger-yeh baat tumhe mujhe batane ki zaroorat nahi hai….

Yeh keh kar dono apne apne energy beam us darwaze par fire karte hai…

CERO OSKURAS

GRAND RAY CERO

Dono ki beam milkar ek bohot hi badi energy beam ban jati hai aur us darwaze par jaakar lagi hai jisse vo darwaza toot jata hai…darwaza tootne ke baad vo us kamre ki taraf aate hai jaha unhe niche jaane ke liye stairs milti hai usse vo dono hi niche jaane lagte hai aise hi utarte hue vo ek kamre mein aata hai jaha sirf andhera hi tha lekin ek jagah kuch chamak raha tha vo ek dhue jaisa kuch tha jo gol gol ghum raha tha lekin dono hi us dhue mien kya hai yeh dekh nahi paa rahe the dono us taraf badhte hai…

Jaeger-yeh kya hai Cyfer..?

Cyfer-mujhe bhi nahi pata lekin yeh wahi cheej ho sakti hai jise lord ne lene ke liye hame is planet par bheja hai…

Tabhi un dono ko us dhue mein ek mask dikhta hai jo uud raha tha yeh dekh kar CYfer usapr apana haath rakhta hai aur usse apne energy se tod deta hai…

Jaise hi vo mask toot jata hai vo dhua jo chamte hue gol ghum raha tha vo udd jata hai aur uske andar unhe ek BLACK colour ka bada sa stone dikhta hai jo abhi bhi udd raha tha…usmein se unhe bohot hi OMNIOUS energy feel ho rahi thi…

Jaeger-Cyfer yeh kaisa stone hai..?

Cyfer-pata nahi lekin jo kuch bhi hai ismein se bohot hi OMNIOUS energy nikal rahi hai…

Tabhi us kamre mein ek aawaz gunji…..

YEH DARK STONE HAI

SHAITAAN KE WILL KA DUSRA BHAAG

Is aawaz ke baad us kamre mein bohot hi jyada Roshni fail gayi aur us mein se Raj bahar aata hai….Raj ke waha aate hi us stone mein halchal hone lagi jisse Cyfer mein pakad rakha tha vo stone ab bohot hi jyada vibrate hone laga tha yeh dekh kar Raj ke face par ek smile aata hai….

Jaeger-bachhe yeh tumhe kaise pata hai….

Raj ke waha aane se us kamre mien Roshni fail gayi thi aur vo abhi bhi thi tabhi Cyfer ki nazar Raj ke piche ke deewar par jaati hai jaha ek SWORD aur ek SPEAR tha jo puri tarah golden the aur Raj ke aane se vo ab chamak rahe the…

Raj-VIDHI ke VIDHAAN mai mein badlaav nahi launga yeh stone ko pana Arindam ki NIYATI hai aur RAKSHAK ke haatho khatam hona yeh bhi….

Yeh keh kar Raj phir se chamak ne laga aur waha se gayab ho gaya lekin jate hue usne vo Sword aur Spear bhi le gaya uske baad Jaeger aur Cyfer bhi waha se chale gaye….

Yaha Aditya aur Abhay sabhi ko dragon planet par jo bhi hua tha vo sab bata rahe the jise jaakar sabhi chouk gaye siwaay Deepak ke…..

Roshni-toh Raj tum dono ke saath kyo nahi aaya…?

Aditya-are mein bata raha hu na ke usse koi kaam tha aur usne hame is liye aage bheja ke Arindam ke saath yaha the aaye hue toh aap sab lo ham help kar sake waise bhi ab shayad hi koi ho jo usse fight karna chahega….

Abhay-Roshni tum chinta mat karo Raj aa jayega…?

SAHI KAHA TUMNE ABHAY AUR ROSHNI CHINTA CHEETAH SAMAAN HOTI HAI

Yeh aawaz sab jagah ghum gayi thi tabhi waha par ek tezz Roshni hoti hai aur usmein se Raj bahar aata ha….

Waha khade sabhi log Raj ko bas dekhe jaa rahe the…..tabhi jaisa Aditya aur Abhay ke powers ke saath hua tha waise hi Raj ko dekh kar uske baki ke doston ke saath bhi hua….un sabhi ki powers ne bhi apne limit ko break kar diya tha aur apne pinnacle par pohoch gayi….

Yeh feel kar ke sabhi ek dusre ko dekh rahe the ke ek aur baat waha hui….Aditya aur Abhay ki body vibrate hone lagi….un dono ko kuch samajh nahi aa raha tha ke yeh ho kya raha hai…

Aditya-yeh kya ho raha hai ham dono ke saath..?

Abhay-shayad kisi cheej ki taraf hamari powers react kar rahi hai…

Yeh kehte hi un dono ne Raj ko dekh jiske face par smile thi…

Abhay-Raj tum smile kar rahe ho toh tumhe malum hai ke yeh kyo ho raha hai…

Tabhi Raj ne ek chutki bajayi jisse waha par ek baar aur thodi Roshni ho gayi lekin yeh pehle se thodi kam thi….

Roshni ke kam hote hai Aditya aur Abhay ki body vibrate honi band ho gayi aur jab dono ne apne haatho ki taraf dekh toh chouk gaye kyo ki dono ke haathon mein wahi golden sword aur spear the…

Aditya-yeh kya hai Raj yeh sword kaha se aayi hai mere haath mein aur meri body kyo ruk gayi abhi..

Raj-yeh tum dono ke hi weapons hai……Aditya tumhare haath mein jo sword hai vo Dragon sword hai aur Abhay tumhare haath mein jo spear hai vo Beast spear hai……yeh dono weapons apne master ko khud chunte hai aur ab inhone tum dono ko chuna hai….

Maharaj-lekin yeh tumhe mile kaha…?

Raj-GIANTS ke planet par jaha Arindam ne apne aur do saathiyon ko kuch lane bheja tha…

King Fealar-yeh kaise ho sakta hai…?

Maharaj-aap kis baremein baat kar rahe hai King Fealar…?

King Faelar-GIANTS ka planet toh un sabhi ke saath destroy ho gaya tha kisi bohot hi powerful negative energy ke wajah se toh tum waha kaise gaye…

Raj-ha aapne yeh toh sahi kaha ke sabhi GIANTS destroy ho gaye aur yeh bhi sahi hai ke vo kisi powerful negative energy se hi destroy hue lekin unhone apne planet ko destroy hone nahi diya sabhi ne marne se pehle us aayi hue negative force ko apne ek RUIN mein seal kar diya tha jismein sabhi ki life force chali gayi thi aur unhe yeh dar tha ke koi phir is planet par yeh negative energy ko paa ne aa jaye is liye unhone apne spell se ek aisa illusion banaya ke sabhi ko lage ke unka planet destroy ho gaya par unhone usse ek aise spell se chupa diya jo koi bhi normal spell na toot jaye…

Aise hi bohot si baate hui sabhi mein….ab chalte hai Arindam ke paas Jaeger aur Cyfer abhi uske samne khade the aur Cyfer ke haath mein vo DARK STONE tha jisse usne unko lane bheja tha….

Usne us DARK STONE ko dekh aur vo stone udta hua uske paas aane laga tabhi sab kuch tham gaya pura universe rook gaya tha lekin akela Arindam hil sakta tha usse yeh kya ho raha hai yeh samajh nahi aa raha tha lekin vo apne jagah se khada hua aur yaha waha dekhne laga..

Arindam-koun hai jisne aisi himmat ki ke mere samne mere hi saathiyon ko rok diya hai…

Tabhi waha ek tezz Roshni hui aur ek energy ball waha aayi jisse itani Roshni nikal rahi thi ke Arindam us Roshni tak ko sehen nahi kar paa raha tha..

Abhi vo yeh hai kya yeh samajh ne ki koshish kar raha tha ke usse us aa rahi Roshni mein se ek aawaz aayi….

ABHI BHI WAQT HAI ARINDAM PALAT JAAO ISSE TUMHE KUCH NAHI MILEGA LEKIN TUM APNI HAANI AUR APNI MOUT KE PAAS JAOGE…..

Arindam-tum hote koun ho mujhe yeh sab batane wale mere malik ne mujhe jo kaha hai vo mein kar ke rahunga chahe jo ho jaaye is duniya par mefre malik shaitaan ka raaj hoga…..

Lekin jab tak Arindam apni baat puri karta vo Roshni chali gayi th aur sab kuch phir se chalne lag gaya tha uske baki ke saath usse aise chillate hue bas dekh rahe the aur vo DARK STONE abhi bhi waise hi hawa mein tha jisse arindam apni aankho se phir se uske paas lata hai aur usse apne andar le leta hai….

Jaise hi vo DARK STONE Arindam ke andar jata hai waise hi uske paas jo POWER OF CHAOS thi vo activate ho jati hai aur us DARK STONE se mil jaati hai jisse yaha insaani planet par sabhi feel kar sakte the lekin Raj ke siwa yeh hai kya yeh kisi ko bhi nahi pata tha……

Wahi jab yeh sab ho raha tha tab koi dekh yes sab dekh raha tha……

Yeh koi aur nahi BHAGWAAN SHREE KRISHNA AUR UNKI PATNI RUKMINI THE….

Tabhi RUKMINI ji SHREE KRISHNA ji se ek sawal karti hai….

RUKMINI ji-SWAMI AAP RAJ SE MILE USSE BRAMHGYAAN DIYA YEH SAB MUJHE SAMAJH MEIN TOH AA GAYA LEKIN AAP ARINDAM SE KYO MILNE GAYE THE…?

SHREE KRISHNA ji is sawal par has dete hai….

SHREE KRISHNA-PRIYE NIYATI HAR KISI KO APNI BHUL SUDHARNE KA MOUKA DETI HAI AUR MEIN WAHI MOUKA DENE GAYA THA ARINDAM KE PAAS LEKIN USNE ISSE NA SWIKAAR KAR APNI NIYATI CHUN LI HAI…..

Aaj sabhi phir se spirit chamber mein the aur sabhi Raj ke saath dhyaan mein baithe the kyo ki unki powers toh grow ho gayi th lekin un sabhi apne mind aur boy ko apne powers ke hisab se train karna tha aur issi liye sabse pehle Raj ne sabhi ko dhyan mein baith ne ko kaha tha saath hi vo khud bhi baitha tha dhyan mein……


Dhyan mein baithne ke kaaran sabhi ke powers ke wajah se unke aaspas uska aura ban raha tha lekin Raj ka aura bohot hi badha tha baki sabhiyon se aur vo baaki sabhi ke aura par effect kar raha tha….

Jisse baki sabhi ka dhyan jaldi khul gaya aur sabhi Raj ko dekhne lage…..

Thodi der baad Raj ka bhi dhyan khul gaya uske baad sabhi kuch der ke liye baith gaye aur baate karne lage…

Aditya-Raj jab ham teeno us mountain mein the tab sirf mein aur Abhay hi uske bahar kyo aaye aur tum kyo nahi……

Abhay-ha mujhe bhi yeh janana hai ke aisa kya hua waha jo tum jab bahar aayeh toh waha ke sabhi dragons yaha tak ANUBIS bhi aaya apne planet se aur sabhi tumhare samne jhuk kar baith gaye the tumhe dekh kar aisa lag raha tha ke….

Raj-ke mein GOD ban gaya….agar tum yeh soch rahe ho toh nahi mein nahi bana hu GOD aur na hi ban sakta hu mujh mein utni kabiliyat nahi hai aur GOD kabhi ban bhi nahi sakte hai….aaj ham jitney bhi GODS ke baremein jante hai vo sabhi unke manifestation hai aur kuch nahi GOD ka koi particular form nahi hai vo toh ham sabhi ko sahi RAAH dikhane ke liye har baar hamare bich ham jaisa ban kar aate hai….

Yeh kehte waqt Raj ko vo sab yaad aa raha tha jab vo SHREE KRISHNA ji se mila tha jisse uske face par ek smile aati hai….

Uske baad sabhi phir se training start karte hai……..
Bahut hi behtreen update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 54
Uske baad bohot din bit gaye the lekin Arindam se koi bhi halchal nahi hui thi kyo ki jab usne DARK STONE ko apne andar le liya tha tab se vo dhyan mein chala gaya tha aisa lag raha tha ke vo us stone ke powers ko fully master kar raha tha… aisa karne se pehle usne planet ko gayab kar diya tha jisse us koi bhi dhoond nahi sakta tha….


Wahi yaha Raj bhi roz dhyan karta tha aur bakiyon se bhi karavata tha Raj jab bhi dhyan mein baithta tha tab apne body se ek energy wave chodta tha taki usse pata lagta rah eke pure universe mein kya ho raha hai…..

Aise waqt bit jata hai yaha sabhi ki shadiyan bhi ho jati hai jisse badi hi dhoom dham se kiya gaya tha sabhi planets ke representative aaye hue the sabhi KINGS ko bulaya gaya tha…..

Uske baad do saal bit gaye the sabhi bohot hi khush rehne lage the lekin Raj janta tha ke yeh shanti kisi bade toofan ke aane se pehle ki hai jisse vo aur uske dost nahi bach sakte the vo…..

Yaha Arindam ke planet par jab se Arindam dhyan mein baitha tha tab se uske saathi bhi uske dhyan se nikal ne ki raah dekh rahe the vo sabhi uski har pal badhti hu powers ko feel kar paa rahe the…..

Tabhi vo planet pura hil gaya sabhi isse chouk gaye aur Arindam ki taraf dekhne lage uski aankhe halki halki khulne lagi thi jaise jaise uski aankhe khul rahi thi waise waise vo planet hilte jaa raha tha jaldi hi arindam ki aankhe puri tarah khul gayi thgi aur uske aisa karte hi vo planet ek baar zor se hila aur ruk gaya wahi uske sabhi saathi apne ghutno par baith gaye the…

Aarindam ki nazar uske saathiyon par gayi…

Arindam-khade ho jaao sabhi ab hamare aakhri war ka samay aa gaya hai us Raj ke saath saath is puri duniya ko ab tabah hona hoga aur aisa karne se mujhe koi bhi nahi rok sakta ab nav o Raj aur na hi uske vo saathi chalo sabhi…

Yeh kehte hi waha par ek kaala dhua fail gaya aur vo pure planet ko gherne laga jaldi hi usne pure planet ko gher liya aur vo pura planet phir se apni jagah aa gaya jise aate hi yaha Raj aur uske saathiyon ne feel kar liya tha….

Raj ne sabhi ko apne mind se connect kiya aur palace mein bulaya….

Raj ke samne abhi uske sabhi dost aur Maharaj King Fealar Deepak yeh sabhi moujud the…

Raj-sabhi meri baat dhyan se suno ARINDAM wapas aa gaya hai aur vo ab apna aakhri war karnewala hoga shayad…
Aditya-toh ab hame khud ko ready rakhna hoga aur usse ab hamesha ke liye khatam karna hoga…

Abhay-hame ab ek strong plan ki zaroorat hai…

Raj-Maharaj King Fealar Baba aap sabi kya kehte hai aap kuch soch sakte hai…

Maharaj-dekha jaaye toh shayad Arindam apne sabhi saathiyon ko alag alag planets par hi bhejega…

King Fealar-toh hame bhi har ek planet ke hisab se ek puri team banani padegi….

Deepak-ha aap dono sahi baat keh rahe hai aur yeh mein sambhal lunga…


Raj-thik hai phir baba aap sabhi team ko banana agar kuch aur mujhe laga toh ham usse bhi hamare plan mein add kar lenge….ARINDAM sabse pehle mujhse hi ladne aayega jisse mein yaha se usse alag jagah le jaunga…

Sabhi is baat se shock ho jaate hai..

Aditya-yeh kya keh rahe ho tum……

Raj-ha Aditya agar meri aur Arindam ki fight yaha hui toh yeh planet hamari powers se bach nahi paayega aur mein yeh nahi hone de sakta…

Abhay-Aditya Rah sahi keh raha hai agar vo aur Arindam yaha fight karenge toh yeh planet hi destroy hoga…

Aditya-thik hai phir lekin agar tumhe hamari help ki zaroorat lagi toh tum hame bulaoge…

Raj Aditya ki Is baat par smile kar deta hai….

Raj-ha mein tum sabhi ko waha zaroor bulaunga…

Aise hi sabhi plan banate hai….

Yaha Arindam apne bache hue sabhi saathiyon ko apne apne kaam bata deta hai aur apne saath cyfer ko rakhta hai…..

Agle kuch din sabhi ke planning mein hi nikal jaate hai wahi Arindam ne apne saathiyon ko keh diya tha ke koun kaha rahega ab….

Aaj sabhi phir se palace mein the aur Deepak bakiyon ko apna plan bata raha tha…

Deepak-sab se pehle Aditya tum ek Dragon holder ho toh tum Dragon planet par rahoge waha ki zimmedari tum par hai Abhay tum Beast planet par rahoge kyo ki tumhare paas Beast spear hai tum uske saath waha par kafi achhe se fight kar sakte ho…

Maharaj King Fealar aur Gael aur sabhi ladkiyan yahi rahegi agar kuch hota hai yaha ke logon ko toh Roshni ki healing powers hamare kaam aa sakti hai ab Raj tum khud bache ho tum kya karne wale ho…

Raj-baba yeh toh aap bhi jante hai ke Arindam sidha hi aayega mujhse fight karne kyo ki vo kab se issi ka wait kar raha hai aur jo mein ne kuch din pehle feel kiya hai usse toh yahi lagta hai ke ab vo aur nahi rukega lekin mein yaha par apni puri powers ka use nahi kar sakta mein usse kahi aur le jaunga….

Roshni-lekin kaha par le jaoge tum…?

Raj-vo mein pehle hi taay kar chuka hu usse kaha lekar jana hai…

Deepak-thik hai phir kal tum sabhi apne apne diye gaye jagah ke liye nikal rahe ho…

Ghar aa kar Raj apen kaksh mein ja kar dhyan mein baith jata hai aur baki sab bhi apne aap ko ready karne lagte hai…..

Yaha par ab Arindam bhi cyfer ke saath nikal ne wala tha….agle din sabhi apne apne Jagah nikal jaate hai Raj bhi ko samjh deta hai ke kya karna hai aur kya nahi….

Sabhi ke jaane ke baad..

Roshni-Raj ab tum kya karnewale ho….?

Raj- abhi mein Arindam ka intzar kar raha hu vo yaha aane wala hai lekin usse yeh nahi pata ke uske saath yaha kya hone wala hai..

Deepak-Raj abhi bhi soch lo kahi Arindam tum par akele bhari na pad jaaye..

Raj-nahi baba ab nahi hoga aisa…

Roshni-agar tum chaho toh mein chal sakti hu tumhare saath…

Raj-nahi tumhari zaroorat yaha hone wali hai …

Raj ki yeh baat sunkar Roshni thodi mayus hoti hai….tabhi Raj kuch kehta hai..

Raj-Arindam aa raha hai..

Yeh keh kar Raj apne aap ko jaha Arindam anewala tha waha teleport kar deta hai…dono hi waha ek saath pohoch jaate hai..

Arindam-mein janta tha tum mujhe zaroor yahi miloge lekin aaj tum akele ho tumhare baki dost kaha hai..?

Raj-tumhe unke saath kuch bhi kaam nahi hai aur jiske saath hai vo tumhare samne khada hai…

Arindam-GHAMAND ha…….aaj mien tumhe aur tumhare is GHAMAND ke saath is puri duniya ko destroy kar dunga….

Raj-tum aisa kabhi bhi nahi kar paoge ARINDAM….

Arindam ke piche khada Cyfer in dono ki baate sun raha tha tabhi vo kuch kehta hai…

Cyfer-lord iske kuch saathi is planet par nahi hai mein unhe feel nahi kar paa raha hu…

Arindam-janta hu isne bhi apne kuch saathiyon ko baki jagah bheja hoga……

Arindam ki is baat Par Raj has deta hai…..

Raj-sahi kaha tumne Arindam jaise tumne kiya hai waise hi mein ne bhi kiya hai…

Tab tak piche se Maharaj King Fealar Gael aur baki sab bhi aate hai….

Arindam-chalo ab sabhi aa gaye hai yaha par….

Raj-sabhi mujhse DAS kadam piche hat jao…

Ab Raj aur Arindam ek dusre ki aankho mein dekh rahe the tabhi Arindam apni sword ko apne haath mein bulata hai aur bohot hi speed se Raj ki taraf aata hai Raj bhi apni sword se uske attack ko rok deta hai aur ussi waqt uska haath pakad leta hai….

Raj-phas gaye tum Arindam….

Yeh bol kar Raj apni spell bolta jisse waha par ek magical circle ban jata hai….apne lord ko aise dekh kar cyfer jaldi se un dono ke paas aana chahta tha lekin ab der ho chuki thi dono waha se gayab ho jaate hai ab waha par sirf Cyfer hi akela bacha tha aur uske samne the Maharaj King Fealar aur Gael…..

Wahi Raj ke jaate hi Deepak ne bhi ek magic spell ka use kiya tha jo bohot hi halka tha jisse abhi tak Cyfer ne feel nahi kiya tha vo bas us sabhi ki dekhe jaa raha tha…..

Deepak chupke se Roshni Ruchi aur Fraeya ko apne mind se connect karta hai aur apne is spell ke baremein bolta hai jisse teeno ladkiya pehle shock hoti hai aur unhe yeh na karne ko kehti hai par Deepak yeh pehle hi kar chuka tha…

Yaha Cyfer ko ab gussa aane laga tha vo upar aasaman mein dekh kar zor se chillata hai…

Cyfer-Costa………..

Jiase hi vo chillata hai waha par ek kala dhua fail jata hai aur usmein se Costa bahar aata hai…

Costa-Cyfer aapne mujhe bulaya…

Cyfer- ha hamare malik us RAKSHAK ke jaal mein phas kar kahi chale gaye hai lekin usse nahi pata lord ko harana namumkin hai par ab vo yaha nahi hai aur nahi uske baki dost hamare paas yeh sahi mouka hai is planet aur in sabhi ko yahi khatam kar dene ka….


Cyfer yeh baat bohot hi gusse se keh raha tha…
Bahut hi sunder update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 55

Cyfer aur Costa ke samne ab Maharaj King Fealar Gael aur Deepak khade the tabhi dono speed se unki taraf aate hai jis par Deepak ke face par ek smile aati hai…

Un dono ke paas aate hi Deepak apni spell bol deta haia ur vo jagah phir se chamakne lagi hai aur jab waha se vo chamak hat jaati hai tab waha koi nahi hota hai….

Wahi yeh sabhi ab spirit chamber mein teleport ho gaye the aise suddenly hui Roshni aur phir jagah badal jane se Cyfer aur Costa chouk jaate hai…

Deepak-kya hua chouk kyo rahe ho vo jagah ham sabhi ko apni puri powers ke saath ladhne ke liye achhi nahi thi lekin yaha par koi nahi hai toh ham sabhi yaha par apni puri powers ke saath ladh sakte hai…

Maharaj King Fealar aur Gael ko is plan ke baremein maalum tha isliye unhe kuch bhi ajeeb nahi laga…

Cyfer-yeh bhi achha hai lekin tum mein se koi bhi ab yaha se bach ke nahi jaa paayega ham kahi bhi ho yaha se nikal kar tumhare planet ko destroy zaroor karenge…

Yeh sunkar yaha sabhi ko gussa aata hai….

Ab chalte hai Beast planet par jaha abhi Abhay kisi ke samne khada tha aur yeh koi aur nahi Jaeger tha jo thoda chouka hua tha kyo ki jis waqt vo waha aaya same ussi waqt Abhay bhi uske samne tha jisse vo thoda chouka hua tha…

Abhay-kya baat hai jaeger aise kya dekh rahe ho tumhe kya laga tha ke yeh planet par aa kar tum isse destroy karoge….par ab aisa nahi hoga yeh planet ab meri protection mein hai jisse tum ek kharoch bhi nahi kar paoge…

Jaeger-bachhe tum jante bhi ho tum kiske samne khade ho….

Jab yeh sab ho raha tha tab Anubis aur uske sathiyon ne in dono ko feel kar liya tha aur vo sabhi waha aa jate hai…

Waha aate hi jo baat abhi Abhay ne kahi thi vo usne aur uske sathiyon ne sunli….

Jaeger-tuk akele mujhe harao ge…?

Tabhi Abhay ke piche se Anubis aata aur kehta hai…..

Anubis-yeh akela nahi hai iske saath ham sabhi hai…..

Jaeger-tum sab milkar bhi mujhe hara nahi paoge….

Abhay-yeh to waqt hi batayega….

Yeh keh kar Abhay apna haath upar uthata hai aur uske aisa karte hi uska spear uske haath mein aata hai…

Vo spear aate hi Abhay usse halka sa zameen par patakta hai jisse waha ek shockwave fail jaati hai…

Wahi Anubis aur uske saathi us spear ko Abhay ke haath mein dekh kar chouk jaate hai Anubis aage kuch kehne hi wala tha ke us spear mein se ek energy beam nikal kar Anubis aur uske saathiyon par padti hai…

Jaise hi yeh hota hai Anubis ki height 2x ho jaati hai aur uske saathi bhi Anubis ke sir par ek horn bhi aata hai aur Jaeger aur Abhay yeh sab dekh rahe the….

Jab sabhi ka transformation pura ho jata hai tab Abhay Jaeger se kehta hai…

Abhay-ab kya kehte ho tum…

Yeh sunkar Jaeger ko gussa aa jata hai aur vo un sabhi par attack kar deta hai…..

Ab chalte hai Dragon planet ki taraf jaha par Aditya tha aur uske samne the Llargo aur Louisen…

Llargo-ab hame yaha par ek insaani bachhe se ladhna hoga….

Louisen-tum udas mat ho tum jante ho na ke isse kisne bheja hoga yaha par…

Llargo-ha janta hu lekin mujhe yeh bachha kahi se bhi hame takkar dega yeh nahi dikh raha hai…

Louisen-kabhi kabhi jo samne dikhta hai vo utna nahi hota hai…

Yeh baat sunkar Aditya ke face par smile aati hai…

Aditya-sahi kaha tumne tum mujhe ek insaani bachha samajhne ki bhul kar rahe ho….

Yeh keh kar Aditya apne powers ko release karta hai jisse feel kar ke Llargo aur Louisen chouk jaate hai..

Louisen-tum aam insaan nahi ho intani powers kisi bhi aam insaan mein nahi ho sakti…

Aditya-ha mein koi aam insaan nahi hu mein kya hu yeh tumhe jaldi hi pata chal jaayega..

Yeh keh kar Aditya un par attack kar deta hai…..

Ab chalte hai Raj aur Arindam ke paas…

Jab dono Raj ke transportation spell ki wajah se gayab ho gay ethe tab vo GIANTS ke planet par aa gaye the pehle toh yeh kya hua yeh Arindam ke samajh mein nahi aaya…

Arindam-toh tumne apne planet ko bachane ke liye ham dono ko yaha par teleport kar diya lekin tum yeh bhul gay eke Cyfer aur shayad ab Costa bhi wahi hoga….

Raj-unki chinta mujhe nahi hai un dono ko sambhal ne ke liye waha par pehle se hi hai aur tumne jo apne bache hue sathiyon ko alag alag planets par bheja hai na ab waha par bhi mere dost pohoch gaye hai toh ab tumhe bakiyon ki chod kar mujhe par apna dhyan dena hoga…..

Yeh keh kar Raj ne apne powers ko release karna start kar diya jisse waha ki saari dhool mithi patthar hawa mein udne lage the….

Yeh sab hote dekh Arindam bhi piche nahi hatataa aur vo bhi apne powers ko release karna start kar deta hai…

Thodi der aise hi karne ke baad dono hi ek dusre ki taraf badhte hai aur ek punch bana kar ek dusre ke punch par maar dete hai jaise hi dono ke punch ek dusre se takraate hai waise hi waha jo kuch bhi tha vo us punch ke takrane se nikli shockwave se destroy ho jaata hai aur Raj aur Arindam ke aaspaas ek bada sa gaddha ban jata hai…
Atiutam update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 56

Yaha spirit chamber mein Maharaj aur Deepak Cyfer ke saath aur King Fealar aur Gael Costa ke saath fight kar rahe the….

Maharaj apne sword se Cyfer par ek war karte hai jisse vo apne haat se rok deta hai par sword ko uske haath se touch hote hi waha par ek energy release hoti hai…

Yeh dekh kar Maharaj piche hat te hai wahi unke piche se Deepak bhi us par war karta hai lekin beech mein ruk jaata hai kyo ki Deepak ko kuch ajeeb lagta hai Cyfer ke baremien…

Cyfer-kya hua tum beech mein ruk gaye…

Deepak-ha kyo ki tum abhi bhi hame seriously nahi le rahe ho wahi tumhara saathi apni puri powers ke saath ladh raha hai….

Tabhi Cyfer Costa ko apne paas bulata hai jo King Fealar aur Gael se fight kar raha tha tab vo dono bhi us taraf dekhte hai jaha abhi Maharaj aur Deepak khade the….

Cyfer-mujhe pata hai tumne hame yaha par kyo teleport kiya hai…

Deepak-agar pata hai toh tum ladh nahi rahe thik se…

Cyfer-tumhe kya lagta hai tum mujhe is pocket dimension mein kaid kar paoge mein jab chahe yaha se bahar nikal sakta hi mein jaise hi yaha aaya tha waise hi mein ne iske banawat par dekha jo dikhne mein kafi achhi hai lekin isse toda jaa sakta hai aur meri powers se mein isse aasani se tod sakta hu…

Maharaj-toh ab tak ruke kyo ho..?

Cyfer mein bas isse thik se dekh raha tha aur kuch nahi..

Tabhi Cyfer apni sword nikalta hai aur upar hawa mein uthata hai sabhi yeh sab dekh rahe the…

Aise thodi der upar rakhne ke baad Cyfer speed se apni sword niche lata hai jiske wajah se hawa mein hi ek bada sa portal khul gaya tha…

Yeh dekh kar Maharaj Deepak King Fealar aur Gael chouk gaye…

Cyfer-mein ne kaha tha na ke mein yaha se kabhi bhi nikal sakta hu lekin ab mien yaha sae tab hi jaunga jab tum dono ko khatam na kardu aur Costa tum abhi bahar jaa rahe ho…

Cyfer ki yeh baat sunkar Maharaj bhi kehte hai…

Maharaj-agar aisa hai toh King Feakar aur Gael aap dono bhi bahar jaa rahe hai…

Yeh sabhi tab yaha se chale jaate hai lekin tabhi Cyfer apne haath se ek chota energy ball us portal se baha chod deta hai jisse Deepak ne dekh liya…


Deepak-yeh kya choda tumne abhi bahar..

Cyfer-HELL BOUND….

Yeh sunkar Deepak kuch soch kar….

Deepak-thik waise bhi bahar abhi bhi bohot se fighters hai jo unsabhi ko sambhal sakte hai…

Cyfer-koun vo ladkiyan vo un hell bounds ko sambhal legi..

Maharaj-vo dikhne ne mein ladkiyan zaroor hai lekin unse panga matalab mout se khel hai..

Maharaj ki is baat par Deepak has deta hai….

Wahi yaha par teeno ladkiya bhi us portal ko khulte hue dekh lete hai jis mein se pehle Costa aur uske baad King Fealar aur Gael bahar aate hai…

Teeni hi shock thi ke yeh abhi kyu bahar aaye…

King Fealar aur Gael yaha in teeno ke paas aate hai..

Freaya-kya hua pitaji aap baha kyo aaye aur yeh us Arindam ka saathi bhi…

Fir Gael in teeno ko andar kya hua vo bataya jisse teeno shock hui wahi abhi vo kuch aur bata karte us portal mein se ek energy ball aayi aur waha par chamak gayi jisse sabhi dekh rahe the…

Jab chamak hati tab waha par bohot se skeleton warrior khade the jise sabhi dekh rahe the tabhi Ruchi bolti hai..

Ruchi-uncle hame is shield se nikaliye ham un sabi ko sambhal sakte hai aap us Arindam ke saathi ko sambhaliye…

Roshni-ha uncle Ruchi sahi keh rahi hai aap dono ek saath in sabhi se nahi ladh sakte hai…

Gael-thik hai mein tum teeno ko bahar nikal raha hu lekin agar mujhe laga ke tum sabhi ko kuch hua hai toh mein tum sabhi ko phir se shield ke andar daal dunga…

Teeno-thik hai yeh hame Manzoor hai..

Yeh keh kar Gael ne un teeno ko bahar nikala aur ab un dono ke satah yeh teeno bhi khadi thi…

Ab andar chalte hai yaha par jaise hi vo sabhi bahar gaye aur uske piche vo energy ball waise hi vo portal band ho gaya…

Maharaj-Deepak toh ab kya kehna hai…

Deepak-ab kya ab ham apne pure powers ke saath fight karnewale hai…

Cyfer yeh sunkar apni powers ko release karta hai jisse uske aaspaas Greenish black colour ka aura aane algta hai aur pure spirit chamber ka colour bhi waisa hi jo jata hai yaha par Maharaj aur Deepak yeh dekh rahe the tabhi waha par har taraf ussi colour ke energy ki barish si hone lagi sab jagah vo energy fail gai thi aur vo aura bhi ab hatne laga tha jaise hi vo aura hata waise usmein se Cyfer bahar aata hai ab vo puri tarah se change ho gaya tha uske sir par bade se horns aa gaye the uski aankhon ke aaspaas black colour ka circular shape ban gaya tha wahi uski sword bhi thodi badi ho gayi…

Yeh dekh kar Maharaj aur Deepak bhi samajh gaye ke ye bohot hi powerful hai par ab dono hi piche nahi hatne wale the toh Maharaj aur Deepak ne bhi apne powers ko release kiya jiske wajah se Maharaj ke aaspaas Dark red aur Deepak ke aaspaas golden colour ka aura ban gaya…

Cyfer-lagta hai ab ham aage badh sakte hai…

Yeh keh kar usne apni sword ko uthaya aur un dono ki taraf speed se aane laga yeh dekh kar Maharaj bhi uski or speed se badh gaye…

Paas aate hi dono ne apne sword se ek dusre par war kiya tabhi piche se Deepak ne bhi uspar war kiya lekin Cyfer waha se gayab ho gaya aur dusri taraf aa gaya..

Cyfer ne apne haath ko uthaya aur un dono ke taraf ek energy beam chodi..

CERO OSKURAS…

Yeh kehte hi uske haath se vo beam nikal kar aage badhne lagi lekin tabhi Maharaj ne apni sword se ek aur sword nikali jo uski copy lag rahi thi lekin vo dono swords ek dusre se ek dhaage se bandhi thi aur uspar kuch latka hua tha jaise hi vo beam unke paas aayi waise hi Maharaj ne apne baaye haath ke sword ko us beam ki taraf kiya aur us sword ne us beam ko apne andar absorb kar liye par yeh hote hi jo us dhaage par latka hua tha vo dheere dheere chamkne laga aur jaise hi yeh hua waise hi Maharaj ne apne baaye haath ke sword ko Cyfer ki taraf kar diya aur uska attack uspar hi kar diya….

Cyfer yeh dekh kar chouk gaya aur jaldi se aapne hue beam se hat gaya tabhi us beam ke piche hi Deepak ne uspar apne sword se attack kiya jisse Cyfer ne rok diya….

Cyfer ne Deepak ko ek kick maar kar dur uda diya aur Maharaj ki taraf badh gaya..

Cyfer-tumne mere attack ko mujh par kaise wapas kiya..

Maharaj-mujhe nahi lagta yeh tumhe jananaa chahiye…..

Yeh keh kar unhone Cyfer ne kiye hue war ko rok diya uske piche pich Deepak bhi aa gaya tha aur usne bhi uspar apne sword se war kiya par Cyfer ne apne dusre haath mein ek energy spear se us war ko rok diya aur apne powers ke force se un dono ko piche uda diya…

Abhi Cyfer ne dono ko piche udaya hi tha ke tabhi Maharaj ne apna agla attack uspar kiya….

FIRE STYLE-BLAZING SPEARS

Yeh kehte hi unke aaspaas fire se bane hue spears aane lage aur unhone apne haath ke ishare se un sabhi ko Cyfer par chod diya….

Cyfer ke paas aate hi vo sabhi spears blast ho gaye jisse waha par dhua fail gaya issi ka faayda Deepak ne uthaya aur us dhue mein ghus kar usne bhi Cyfer par speed se attack karna start kar diya pehle toh Cyfer thik se samajh nahi paya ke kya ho raha haia issi liye usne us dhue ko apne powers se hata diya aur aisa karte hi Maharaj ne apne sword se us par war kiya jo uske chest par lag gaya…

Apne upar hue war se Cyfer bohot hi gussa ho gaya tha aur usne apne powe ko badhana start kar diya jisse vo puri jagah hilne lagi thi uske aaspaas phir se waisa hi aura aane laga aur isbaar vo bohot hi jyada tha…

Jaldi hi Cyfer apne last transformation mein aa gaya tha jimein uske horns ab aur bhi bade ho gaye the uski back par ab wings aa gaye the aur uski powers ab aur bhi badh gayi th Maharaj aur Deepak yeh bas dekhte hi reh gaye…

Abhi kisi ko kuch samjhta utne mein hi Cyfer ne speed se aakar Maharaj par attack kar diya jo bohot hi jyada powerful tha jisse Maharaj dur jaake gir gaye…

Wahi Deepak par bhi usne attack kiya jisse Deepak bhi thoda pich hat gaya ais evo piche hat raha tha tabhi Deepak ko apne taraf kuch speed se aate hue feel hua aur jab usne dekha ke kya aa raha hai tab usne apne sword ko upar uthaya aur usse zor se ghuma diya kyo ki Cyfer ne Deepak ki taraf apne energy spear ko pheka tha jo bohot hi speed se uski or aa raha tha lekin waqt rehte Deepak ne bhi apne sword ko ghuma diya tha jiske wajah se vo spear uske piche ko taraf chala gaya …

Vo spear uske piche kuch dur jaate hi blast ho gaya vo blast itana bada tha ke uske shockwave se spirit chamber ka gate tak hil gaya aur usmein daraare aa gayi…

Yeh dekh kar Maharaj aur Deepak dang reh gaye Maharaj yeh soch rahe the ke kya isse ham mil kar hara payenge par Deepak ka gussa ab bohot hi badh gaya tha yeh dekh kar usne ab apne pure powers ko release kar diya jise Maharaj ne bhi ba tak nahi dekh tha uske aaspaas ab bohot hi jyada golden colour ka aura banane laga tha jaldi hi us aura ne Deepak ke body par ek CLOAK ka shape le liya tha yaha tak ki uski aankhe bhi golden ho gayi thi…

Maharaj bhi dang reh gaye yeh dekh kar kyo ki Deepak ne is baramein kabhi bhi kuch nahi kaha tha par ab Maharaj bhi isse josh mein aa gaye aur unhone bhi apne puri powers ko release kar diya tha unki swod ab phir se ek ho gayi thi….

Cyfer ne yeh dekh kar Deepak par attack kiya lekin uske war hone se pehle hi Deepak waha se gayab ho gaya tha aur uske piche aa kar uske ek wing ko pakad liya aur usse cut kar diya…

Wing ke cut hone ke wajah se Cyefr niche aa kar gir gaya tha tabhi uspar Maharaj ne apne sword se attack kiya par usne vo dodge kar diya lekin uske body par us war ka ek asar hua jaha se bhi vo sword guzari waha par heat ke wajah se injuries hui aisa is liye hua kyo ki Maharaj ne apne sword par apne fire ko uske edge par cover kar liya tha jo ab aur bhi ghatak tha…

Cyfer Maharaj aur Deepak se kuch duri banal eta hai aur apne wing aur injuries ki or dekhta hai..

Cyfer-ham sabhi saathiyon mein sirf mein hi hu jiske paas highspeed regeneration ke power hai mein apne kisi bhi kate hue body part ko regenerate kar sakta hu vo bhi speed se…

Yeh kehte hi uska kata hua wing aur vo injuries thik ho gaye par is baat ka koi bhi asar ab Maharaj aur Deepak par nahi hone wala tha uhone yeh tay kar liya tha k evo dono isse khatam kar ke hi rahenge..

Tabhi Cyfer ne phir se apne energy spear ko Deepak aur Maharaj ki taraf pheka jo ab pehle se jyada speed mein aa rahe the lekin tabhi Deepak ne bhi apne swoed ko sideways ghumaya jisse ek energy arc mein us spears ko jaa lagi jisse waha bohot hi bada blast hua…

Cyfer-yeh nahi ho sakta siwaaye dark lord ke mere spear ko koi bhi destroy nahi kar sakta…

Tabhi Deepak kehta hai..

Deepak-yeh tumhari bhul hai aur kuch nahi..

Yeh keh kar phir se Teeno mein fight start ho jaati hai is baar fight is kadar hoti hai ke spirit chamber mein bhi bade bade gaddhe banane lage the…

Tabhi kahi se Cyfer apne beam chodta hai Deepak par

CERO OSKURAS

Maharaj phir se apne sword se us sword ko nikalte hai aur us beam ko absord kar ke usse uspar chod dete hai…

Dekhte hi dekhte vo beam wapas Cyfer ki or aa rahi thi lekin abhi vo hat pata atbih uske pich Deepak aata hai aur usse ek seal se us jagah lock kar deta hai jisse vo ab waha se hat nahi pata aur Deepak waha se gayab ho Maharaj ke paas aa kar khada ho jata hai aur vo beam jaakar Cyfer ko lag jaati hai…


Vo beam usse lagte hi uske body ke chithade ud jaate hai lekin tabhi Deepak ko uski kahi hui baat yaad aati hai aur apne power ko apne sword mein concentrate karta hai aur un sabhi chithadon par us concentrated power se attack karta hai jo ek energy beam thi uski sword se nikali hui jo un chithadon ko raakh kar deti hai…
Bahut hi behtreen update hai dost.
 

Hunterrrr69

Well-Known Member
2,072
4,794
159
UPDATE 60

Giant planet par Raj aur Arindam ke beech fight start ho chuki thi un dono ke fight se pura planet Tak hil raha tha yaha tak ke Jo bhi destroyed ruins Bache the ab vo bhi destroy hone lage the wahi Arindam apne har saathi ko destroy hote hue feel kar sakta tha lekin usse isse koi bhi Matlab nahi tha……

Jis jagah dono ki fists takarati waha Jo kuch hota tha vo San kuch destroy hota……

Raj-Arindam tumhare sabhi saathi maare gaye hai ab sirf tum bache ho….

Arindam-mujhe usse koi bhi farak nahi padta hai…..

Yeh keh kar dono jump laga kar piche aata hai dono ek dusre kodekh rahe the…..

Raj-mujhe lagta hai ab hame ek dusre ke saath khelna rok Dena chahiye….

Yeh keh kar Raj apne haath mein apni sword lata hai Jo chamak rahi thi yeh dekh kar Arindam bhi apni sword apne haath mein lata hai aur uski sword bhi chamak rahi thi lekin uska color black tha….

Abhi dono hi khade ek dusre ko dekh rahe the ke tabhi Arindam apne sword se ek energy beam Raj par chod deta hai….

HEAVENLY PIERCING

Yeh dekh kar Raj abhi apne sword ko updown arc mein ghumaya hai jisse ek energy arc mein us beam ki taraf badh rahi thi jiska color white tha….

Jaise hi dono energies ek dusre se takarati hai waha ek blast hota hai lekin Raj aur Arindam dono hi vo blast ke hote hi ek dusre ki taraf badh jaate hai…..

Dono jaise hi samne aate hai dono ki swords ek dusre se takara jaati hai…..

Arindam-lagta hai tum ab ready ho mujhse equal mein fight karne ke liye lekin sirf fight hi tum mujhe hara nahi sakte….

Lekin Raj is par kuch nahi bolta uski aankhe ab phir se silver ho rahi thi….

Tabhi Raj apne sword ko ek jhatka deta hai jise dono ki swords alag ho jati hai aur Arindam thoda piche ki taraf jhuk sa jata hai isi ka faayda uthate hue Raj aage badhta hai aur uske face ko apne left haath se pakad leta hai aur waha se us jata hai….

Yeh sab itna jaldi hua ke Arindam ko kuch samajh hi nahi aaya aur dekhte hi dekhte Raj Arindam ko us plane ke mountain wale area mein lekar aata hai…

Jaise hi Raj usse waha lekar aata hai vo Arindam ko bohot hi Zor se niche phekta hai uske phekne ki power itani thi ke Arindam khud ko sambhal Tak nahi paya aur niche aa kar for jata hai wahi Raj bhi uske saamne utar jata hai

Arindam Raj ko shock ho kar dekh raha tha….

Arindam-yeh Kaise ho sakta hai iski power abhi tak utani hi hai jitani hamare fight ke start mein thi phir isne yeh Kaise Kiya….?

Yahi sochte Arindam khada hota hai aur dono mein phir se fight chalu ho jaati hai….

Jab bhi Raj hi sword Arindam ke sword se takarati tab Raj apne sword ko ek jhatka deta tha jisse har baar ek energy nikalti thi aur in dono ke aaspaas Jo kuch bhi hota vo dhul banjata yaha tak ke mountains bhi toot toot ka bhikher rahe the…..

Tabhi Raj apne aap ko thoda dur teleport karta hai jisse Arindam bhi jaan jata hai aur us taraf aata hai aur Raj par war kar deka hai lekin Raj apne sword se uske war ko rok dekta hai…..

Yeh dekh kar Arindam thoda piche hota hai aur bohot hi speed se apne sword ko ghuma kar Raj par war karne lagta hai par Raj yeh dekh kar bhi wahi khada tha usne apne taraf aati Hui sword ko bich mein hi pakad liya apne left hand se….

Kyo ki Arindam me sword ko bohot hi power se ghumaya tha jiske wajah se jaise hi Raj ne us sword ko pakada toh us power ke wajah se uske piche ki zamin hilne lagi aur dekhte hi dekhte Raj ke piche ki taraf bohot hi badi khayi ban gayi….

Arindam Raj ke aise uske sword ko pakad be se shock ho gaya usse iske baremein zarasa bhi andaaza nahi tha ke Raj yeh karega….

Arindam-meri sword ko aise hi pakad liya Dodge karna alag baat hai lekin aise hi haatho se pakad lekna…..

Raj-itane shock mein kyo ho Arindam yaad hai jab ham pehli baar mile the aur mein ne tumhare upar aise hi war kiya tha tab tumne bhi aise hi meri sword ko pakda tha….

Arindam-hump! Zarasi physical abilities badh gayi hai tumhari aur kuch nahi aur aise miracles hote rehte hai is duniya mein tum is baat se apne aap ko mujhse powerful mat samajh Lena…..

Yeh keh kar Arindam thoda piche aata hai aur apni power badhane lagta hai uske body mein se black color ki roshni nikal rahi thi aur jaldi hi vo transform ho gaya apne new form mein jismein uske piche kuch wings as gaye the aur uski sword bhi thodi badh gayi thi….

Raj yeh dekh raha tha usse isse koi phatak nahi pad raha tha…

Raj-ho gaya thumara…

Raj ke yeh kehte hi Arindam waha se gaya ho gaya aur Raj usse feel karne laga tabhi uske piche se aake Arindam ne Raj par war kiya par shayad Raj iske liye ready tha aur usne palat kar us war ko apne sword se rok diya….

Ab dono mein aur bhi speed se fight hone lagi thi dono ko dekh kar aisa lag raha tha ke dono ek hi level par ho par aisa nahi tha shayad Raj ki aankhe kuch aur hi keh rahi thi Raj Arindam ke har ek war ko roke jaa raha tha jisse ab Arindam thoda gussa hone laga tha…..

Aise hi fight karte hue Arindam thoda piche ki taraf jump lagata hai aur Raj ko dekhne lagta hai…..

Raj-kya baat hai Arindam Aaj tum fight mein piche kyo hat rahe ho kya tumhe ab mujhse fight nahi karni hai ya tum yeh jaan gaye ho ke ab mein tumse bohot jyada powerful hu…..

Yeh kehte hi Raj bohot hi speed se Arindam ki taraf badh gaya aur apne sword se niche se upar ki taraf Arindam ke right kandhe par war Kiya jisse aate hue Arindam dekh bhi nahi paya…..

Apne upar aise hue war se Arindam gussa ho gaya aur vo thoda piche hat gaya…..

Arindam-tumhe lagta hai tumne mujhpar ek war kar diya toh tum mujhse powerful ho gaye ho lekin nahi tumhe meri powers ka andaaza bhi nahi hai…..

ETERNAL DARKNESS

yeh Arindam be kaha tha aur Raj ke aaspaas ek black energy se pillar banta gaya yeh hote hue bhi Raj ne kuch nahi Kiya aur Bas dekhne laga….

Arindam-hahaha Raj tum ab is mein se bahar nahi nikal sakte yeh mere sabse ghatak attacks mein se ek hai aur yeh tumhe apne saath aise jagah par Le jayega jiske baremein tumne sapne mein bhi Socha nahi hoga…

Raj ke samne ab sab kuch andhera hoga lekin tabhi usne apne left haath ko ghumaya aur vo pillar hi destroy kar diya….

Yeh hota dekh Arindam ab puri taraf se shock ho gaya tha….

Raj-maan lol Arindam mein ab tumse bohot jyada powerful hu….

Yeh sunte hi Arindam ka gussa bohot hi badh gaya aur uske body mein se ek baar phir se wahi black energy nikalne lagi thi….

Dekhte hi dekhte vo phir se transform ho gaya tha aur is baar uska face do hisson mein khul gaya aur waha ek black color ka face aa gaya wahi uske chest mein wahi stone aa gaya tha jisse Cyfer aur Jaeger ne yaha se laa kar usse diya tha…

Arindam-ha Raj yeh hai Mera sabse powerful form ismein tum mujhe nahi hara paoge….

Uske wings bhi is transformation se change ho gaye the har ek wing ko ek mu aa yaha tha jismein se ek ne Raj ki taraf ek black energy ball chod diya Jo tha toh chota lekin jaise hi vo Raj ke paas gaya uske saath hj bohot hi bada blast ho gaya jise Taj ne apne left haath se rok diya tha par usse Raj ke haath ko bohot jyda injury ho gayi thi….

Yeh dekhte hi Arindam Raj ke taraf badh jata hai aur usse Gale se apne haath mein pakad leta hai wahi uske har ek wing apne muu se Raj par ek seal bana dete hai….

Arindam-dekh rahe ho apne aap ko Raj mere ek attack se tumhara left haath ab kuch kaam ka nahi raha aur ab bhi tum kehte ho ke tum mujhse powerful ho…..

Tabhi Raj ke face par ek smile aati hai…..

Raj-Arindam kya tum itna hi best kar samte ho…?

Yeh kehte hi Raj apne sword ko ek jhatka deta hai jisse Jo bhi seals babe the vo sabhi toot Kate hai aur Raj ke aaspas bhi roshni bannane lag jaati hai lekin uske roshni mein ab do colors the jismein andar pura white tha aur edge ki taraf halka black yeh uske CREATION aur CHAOS ke powers ke wajah se ho raha tha…

Arindam ke face par ab dar dikhne laga tha….

Arindam-yeh nahi ho sakta yeh Kaise ho sakta hai iske paas CHAOS ke power ka hissa Kaise aa gaya aur yeh kounse power hai Jo andar ki taraf hai mein iske powers ko feel nahi kar paa raha hu uska Matlab yeh Sach mein mujhse jyada powerful ho gaya hai Lekin yeh ho hi nahi sakta ek MORTAL mujh jaise se Kaise powerful ho sakta hai…..

Tabhi Raj ka transformation bhi complete ho gaya uske aaspaas wahi aura bana raha aur uske sword bhi ab in do energies se chamak ne lagi…..

Raj-TUMHARA ANTH AA GAYA ARINDAM…

FINAL HEAVENLY PIERCING

Yeh kehte hi Raj ne apne sword ko upsidedown ghumaya jisse ek bohot hi powerful energies usmein se nikal kar Arindam ki taraf badh gayi aur jaise hi vo energies uske DARK STONE ko lagi vo wahi blast ho gaya aur uske saath Arindam bhi…..

Raj yeh sab hote hue dekh raha tha….

Raj-mein ne kaha tha Arindam chahe burayi kitani bhi powerful ho achhayi ko nahi hara sakti hai aur ham sabhi se tum sabhi ki haar tay thi…

Yeh kehte hi Raj waha se gayab ho gaya aur apne planet aa gaya haha par ab sabhi aa gaye the aur sabhi ne apne dhyan se waha kya kya hua yeh dekh liya tha…..

Deepak Raj ki taraf aata hai aur usse Gale laga leta hai….

Sabhi ka iske baad achha samay aa gaya iske baad kabhi bhi koi musibat nahi aayi wahi dekhte hi dekhte Aditya aur Gale ko King banaya gaya ismein sabhi ko bulaya gaya tha jaldi hi sayam apne gati se guzarne laga aur Raj Roshni ko ek beta aur ek beti Hui vo bhi judwa the wahi Aditya aur Ruchi ko ek beta hua aur ab Ruchi dusri baar maa banane wali hai Abhay aur Fraeya ko di bhi ek beti Hui aur Fraeya bhi ab dusri baar maa banane wali hai wahi Gale aur uske wife ko do betiyan Hui thi aur in sab ka dhyan Odel rakh rahi thi jisse vo bohot hi khush thi sabhi ko zandagiya achhe se bitane lagi….

Wahi kahi is universe se bahar kisi Andheri jagah par koi tha Jo bohot hi gussa tha aur yeh koi nahi balki SHAITAAN tha….

SHAITAAN-isko apni Jeet mat samajh Lena tum GOD mein tumhari banayi har duniya ko tabaah kar dunga……


PEACE.


Bhai aapki ye story kal start kri today is ends amazing writing skills hai aapko mja aagya story pdhkr
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
52,928
173
UPDATE 57

Yaha spirit chamber ke bahar bhi fight bohot hi zoro se chal rahi thi teeno ladkiyan sabhi skeleton army ko sambhal rahi thi wahi King Fealar aur Gael Costa ko sambhal rahe the….

Yeh sabhi Swarnadesh ke mountain wale area mein fight kar rahe the jo city se bohot dur tha…

Ek baat is sab mein ajeeb ho rahi thi abhi tak jitney bhi skeleton army ko teeno ladkiyon ke khatam kiya tha phir se utne hi wapas aa rahe the jisse Ruchi thodi chid si gayi thi isliye usne apne ghatak spell use karna start kar diya.

WATER STYLE-HEAVY WATER WAVE

Yeh keh kar usne zameen par apne haath patak diye jisse waha par ek bohot hi badi wave aayi aur us skeleton army ko apne saath le jaane lagi..

Paani mein bheege hai yeh dekh kar Fraeya ne bhi apna spell bola…

THUNDER STYLE-ARROWS OF LIGHTNING

Yeh kehte hi uske aaspas lightning se bane hue arrows aane lage aur un sabhi skeletons par attack karne lage…

Istne bade attack spell use karne ki wajah se Ruchi aur Fraeya ke body par thoda jyada toll pad gaya tha jisse ab Roshni apen healing powers se heal kar rahi thi Roshni ne ab apne healing powers mein master ho gayi thi usse kisi ko bhi puri tarah heal karne ke liye jyada time nahi lagta tha yahi wajah thi Raj ne usse yaha rehne ke liye kaha tha taki agar kuch ho jaaye toh vo unki help kar sake…

Yaha ek jagah ek bada blast hota hai aur usse do log apne aap ko bachate hai…

Yeh koi aur nahi King Fealar aur Gael the jo Costa ke kiye hue attack se bach rahe the Costa akela unhe achhi takkar de raha tha lekin aaj King Fealar bohot hi josh mein the kyo ki aise fight kiye hue unhe bohot waqt ho gaya tha iss liye unke face par koi bhi tension nahi tha…

Wahi Gael bhi aaj mood mein lag raha tha is liye usne bhi bas abhi tak apne aap ko utna hi dikhaya jitna uske pitah dikha rahe the Costa ko…

Costa-tum dono Elf mein dohot dum hai lekin hamare jitna nahi hai kab se sirf aise hi fight kiye jaa rahe ho lekin abhi tak tumhara ek bhi attack mujh par nahi ho paya hai…

Yeh sunka yaha yeh dono thoda has dete hai..

Gael-tumne abhi tak hame dekh hi kitna hai ham don otoh tumhe bas test kar rahe the ke tum hamare saath figt karne ke kaabil bhi ho ken ahi lekin lagta hai tum kaabol ho tob ab ham dono bhi iske baad serious hone wale hai…

Yeh keh kar Gael bohot hi speed se Costa ki taraf badhta hai jisse pehle toh Costa kuch samajh nahi pata hai aur Gael uske paas aa kar uspar ek war karta hai jisse end moment par Costa rokta hai warna uska sir cut hone wala tha…

Ek elf ki itani himmat dekh kar usse gussa aane lagta hai …

Agle hi pal Costa apne powers ko release karta hai jo kafi jyada thi yeh dekh kar King Fealar bhi apne powers ko release kar dete hai jisse aasman mein lightning hone lagti hai unke aaspas ek lighning ka aura aane laga tha…

King Fealar-Gael tum yaha se jao aur apne beheno ki help karo ab yaha mein akela hi sambhal lunga..

Gael-lekin pitaji…
King Fealar-mein ne kaha na ke jao yaha se mein isse smabhal lunga…

Gael-thik aap keh rehe hai toh mein jata hu..

Yeh keh kar Gale waha se chala jata hai aur reh jate hai yaha King Fealar aur Costa..

Costa-tumhe apne bete ko yaha se nahi bhejna chahiye tha vo bhi dekh leta kaise uska pitah mara jata hai..

King Fealar-mara koun jata hai yeh toh aage pata chal hi jayeg..

Yeh keh kar dono dono speed se ek dusre ki taraf badhte hai dono mein fight ab bohot hi intense ho gayi thi jaha par bhi don takrate waha par ek bada sa gaddha ban jat aur ussi jagah k eek powerful lightning bhi girti thi..

THUNDER STYLE-LIGHTNING CLAP

Yeh kehte hi King Fealar pehele se bhi jyada speed se Costa ke aaspar ghumne lagte hai usse vo dikh bhi nah rahe the usse bas unek speed ske wajah se banane wale lightning trails dikh rahe the tabhi uske samne King Fealar aate hai aur samne se hi speed se aate hue uspar apana war kar dete hai…

Speed se aate waqt King Fealar ne apne sword ko aage ki taraf kar rakha tha jiske au raise speed mein aate hue King Fealar ko dekh kar Costa ko kya kare kuch samajh hi nahi aaya vo aage kuch karta usse pehle hi King Fealar ustak pohoch gaye the aur uske sir ko apne speed se alag kar chuke the..

Costa ka sir cut hote hi King Fealar ruk jate hai aur upar aasman mein dekh kar ek spell bolte hai..

THUNDERBOLT

Yeh kehte hi ek nohot hi powerful lightning aati hai aur Costa par giti hai jisse vow ahi khatam ho jata hai…

Yaha Ladkiyan bhi ab thoda chid gayi thi saath mein Ruchi ka gussa toh aasman ko chu raha tha leki tabhi kuch ajeeb hua jitney bhi skeleton the vo sbhi piche ki or jaane lage aur ek dusre se judne lage…

Yeh sab ho raha tha tab tak Gael bhi in tak pohoch gaya tha aur jab usne dekh ke kya ho raha hai tab vo un teeno kea age khada ho gaya..

Fraeya-bhai aap yaha kya kar rahe hai isse ham teeno sambhal lenge..

Lekin Gael un sabhi skeletons ko dekh kar kuch samajh sa gaya tha aur issi liye vo un teeno ke samne khada tha…

Gael-nahi ab teeno isse nahi sabhal paogi yeh ab bohot khatarnaak hote jaa raha hai…

Tab tak waha vo sabhi skeletons jud kar ek bade se skeleton ka shape le chuke the aur vo bohot hi bada ho gaya tha..

Roshni-hame ab milkar isse khatam karna hoga warna ham bohot kuch kho denge..

Gale-nahi ab ham kuch nahi khoyenge..

Fraeya- yeh bada hone ke kaaran iski moment bohot hi slow hogi ham isse aise hi khamak kar sakte hai..

Gael-ha lekin in par low level thunder ka koi bhi asar nahi hoga mein ne ke baar Raj se suna tha ke low level thunder aise warriors par koi asar anhi karta..

Ruchi-iska matlab..

Fraeya-iska matalab mujhe aur bhai ko apne attack ko milkar karna hoga lekin tab tak yeh ruka rehna chahiye..

Roshni-toh vo ho jayega…

Yeh keh kar Roshni Ruchi ki taraf dekhti hai aur shayad Ruchi bhi samajh jaati hai ke usse kya karna hai..

Dono hi samne aa khadi ho jaao hoi wahi piche Gael aur Fraeya apne spell ko milakar attack karne ke liye apne powers ko jutane lage..

Vo bada sa skeleton inki taraf chalte hue aa raha tha jisse dekh kar Roshni aur Ruchi ek saath spell bolti hai…

ICE STYLE-NIFILHEIM

ICE STYLE-NIFILHEIM

Dono k eek saath bolne se waha ka bohot hi bada area us spell ke ismein aa gaya wahi vo bade seskeleton ke pair wahi jam gaye vo ab thik se hil bhi nahi paa raha tha aur har pal us spell ke wajah se waha par ab thand badhati jaara hi thi Roshni aur Ruchi ko ape puche kuch sunaayi dekh hai jisse vo palat kar piche dekhti hai…

THUNDERBOLT

Yeh kehte hi bohot hi badi aur wide area wali lightning aasman se aati hai aur us skeleton par girti hai yeh itani badi thi ke durse King Fealar bhi usse dekh paa rahe the vo jaldi se unke paas jana chahte the lekin vo apne body ko thik se hila bhi nahi paa rahe the jo attack unhone last mein kiya tha usmein unki saari energy khatam ho gayi thi aur vow ahi baith gaye the…

Us lightning ke girte hi vo skeleton blast ho gaya aur uski raakh ban gayi…

Yeh dekh kar yeh sab bhi niche baith gaye kyo ki inhone bhi apne powers ke limit tak apne aap ko push kiya tha jisek wajah se vo thak kar wahi bath gaye…

Yaha ek or se Maharaj aur Deepak bhi spirit chamber se bahar aate hai aue aate hi bahar inhe kya hua tha yeh malum pad jata hai kyo ki Roshni aur Ruchi ke kiye hue attack se waha tak ice fail gayi thi aur vo dono jaldi se unki taraf badh jate hai…

Gael-hamne kar diya hamne milakar usse khatam kar hi diya…

Tabhi unke piche se ek aawaz aati hai..

BOHOT ACHHE

Yeh baat Maharaj ne kahi thi jo Deepak ke saath pche se aa rahe the unhone aate hi sabhi ko gale lag aliya aur sabhi ke saath King Fealar ki taraf chal pade…

Jaldi hi vo unko bhi milte hai aur sabhi ke saath palace ki tarav chal dete hai…


Ab bas inhe Aditya Abhay aur Raj ki chinta thi…
Bahut behtreen update hai mitr.
 
Top