Update 11
Ab tak
Aap ne dekha ki Nakul aur Kanika ke masti ke dauran jab Kanika ke kahne par jab Nakul ne door open kara ek jor ka thappad uske gaal par uski friend Natasha ne jor se mara. Kanika ne bhi Natasha ko thappad mari aur use ladane lagi, Nakul samjhane par ja kar samjhi. Phir apne dekha ki kaise Nakul ne apni aur Natasha ki milane kahni batayi is biche wo sab khana bhi kha liya. Abhi age kahni bhadt use pahle hi ka phone ring karne laga, jis wajah se Nakul ko baat khatm khatm karna pada. Phir Natasha se baad mein milane ko kah kar waha se chal gaya.
Ab aage
"Kanika ab hame chalna chahiye. Jeetu hamara niche intezar kar raha hai. Aur Natash main yahan hu ye kisi se mat kahna." Nakul ne kaha. Uske baad kanika apna handbag lene ke liye ek taraf chali gayi. "Natasha main jo kaha bhulna mat."
"Dhyan rakhungi. Main is baat ki khabar kisi ko bhi nahi hone dungi. Main chalti hu." Natasha ne kaha. Uske baad kanika aur Nakul room se nikal gaya. Uske baad Natasha bhi wahan se chali gayi. Natasha niche jane ke baad waiter ko bhej kar us room ke bahar jo khane tray-roller ko lane bhej di. Wahi jane se pahle kanika ne Natasha se usko thappad marne ke liye maafi mangi. Jis par Natasha ne kanika ko lage lag li.
Wahi jab Nakul aur kanika hotel se nikal kar sidhe jeetu ke pas chal gaye, jo bahar hi dono intezar kar raha tha. Phir dono andar baith gaye.
"Chaliye bhai." Nakul andar baithne ke sath hi jeetu se kaha. Jeetu bhi gear dal kar taxi ko aage badh diya. Is baar Nakul Kanika ke sath piche baith hua tha.
"Nakul ek baat puchu tumse. sach kahana." Kanika ne kuch sochne ke baad Nakul ki taraf dekhte hue boli. Nakul ne bhi bade hi pyar se kanika ke gaal mein hath fara aur kaha, "Pucho kya puchna hai. Main vada karta hu, main tumse jhuth bilkul bhi nahi kahuga."
"Nakul tum mujhse kitna pyar karte ho." Kanika ne Nakul ke hath ko pakad kar kahi. Nakul kanika ke is betuke sawal ko usna kar hans diya. Kanika ka ye dekh kar phir se boli, "batao na tum mujhse kitna pyar karte ho."
"Kanika main tumhare is bematlab ke sawal ka kya jawab do ye mujhe samjh nahi aa raha hai." Nakul ne Kanika ko apne gale lagte hue kaha, "Tumhare mann mein ye baat aayi, kaise ye to main nahi janta aur nahi iska karna jana chahta hu. Par itna pata mujhe ki main tumhe bahut pyar karta hu."
"Thank you. Thank you. Main tumhe bata nahi sakti. Main ye jaan kar kitna khush hu. I love you Nakul. Can't live without you." Kanika ne bahut hi emotional ho gayi thi ye bolte hue. Nakul kanika ke mathe par kiss karte hue kaha, "I also love you kanika."
"Kanika main tumhe khona nahi chahta. Yaar mere naseeb mein kisi ka pyar nahi hai. Maine jise bhi aapna mana kar pyar kiya kudarat ne mujhse use chhin hi liya. Is liye darta hu kahi tumhein bhi mujhe koi chhin na le, ya kho na du." Nakul ne apne gujare hue lamhon ko yaad kar, ye baat kanika se kaha. Usne sach hi to kaha tha ki usne jise bhi pyar kiya wahi use door ho gaya, Jise apni maa manta tha usne usko chaku mar kar uski hatya kar di. Ek bahan thi use bhi usko bhi use dur kar diya. Kya kasoor tha Nakul ye wo bhi nahi janta tha. Shayad bhagwan janta ho.
"Main aisa nahi hone dungi. Main tumhein kabhi chhod ke nahi jaungi. Agar bhagwan bhi aa gaya tumhe mujhse door karne to main use bhi lad jaaungi." Kanika ne kaha. Aise hi Nakul aur kanika aapas mein baat karte rahe. Un dono ka dhyan to tab tuta jab jeetu ne kaha, " sir ji aapki manjil aa gayi."
Taxi ke baar dekha to gate par bade bade akshro mein cbse baord likha hua tha. Nakul taxi se niche utar gaya, kanika bhi dusare taraf se utar gayi. "Jeetu bhai ye lijiye apka bhada. Abhi hame samay laga. To dekh lijiye apko kya karna hai." Nakul kanika ko le compound ke andar bhad gaya.
"Main aapka yahi par wait karunga. Aap aram se jaayiye." Jeetu ne kaha. Uske baad jeetu taxi ke andar baith gaya aur dono andar ki taraf badh chale.