• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 19

Fir jaldbaaji me usne pucha.

Atul:- Kya? Kaun Shruti?

Atul ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki Nisha kya puch rahi hai aur usse achanak se ye sab kya ho gaya hai.

Nisha:- Chhupaane ki jarurat nahi hai abb? Ajay ne sab kuch bata diya hai mujhe.

Nisha ki baato se lag raha tha ki usse Atul ki udaasi par bahut bura lag raha hai.

Nisha ka ye baat sunte hi Atul saara maamla samajh gaya aur uska chehre ke bhaaw achanak hi badal gaya.

Nisha ki baat sunne ke baad Atul saari baat samajh gaya…Uske chehre ke bhaaw badal baya aur uske chehre me muskaan aa gaya.

Atul ko muskurata dekh Nisha ko kuch samajh me nahi aa raha tha…Wo kuch bolti usse pehle hi Atul ne puccha.

Atul:- Ye Shruti kaun hai?

Nisha:- Wo hi jisne tumhe pyar me dhokha diya tha.

Nisha confuse ho kar boli…Atul ka ye sawaal uska confusion ko aur badha raha tha.

Atul:- Iss kahani se to mai bhi anjaan hu.

Atul muskura kar hi bol raha tha…Usse pata chal gaya tha ki Ajay ne hi aisa kuch bataya hoga Nisha ko.

Nisha:- Lekin Ajay keh raha tha ki 2 saal pehle issi date me Shruti ne dhokha tha…Issi liye aaj tumhaara mood off hai.

Nisha Atul ki baat se aur bhi jyada confusion ho gayi thi…Atul ka muskuraana jaise kuch hua hi nahi hai aur Ajay ki wo baatein…Saaf pata chal raha tha ki Ajay sach hi bol raha hai…Usse samajh me nahi aa raha tha ki Atul sach bol raha hai ya Ajay.

Nisha:- Apne dard ko chupaane ke liye muskura rahe ho naa.

Nisha ki ye baat sunte hi Atul ko thoda hansi aa gaya.

Fir Atul ne Ajay ko message kiya aur park me bulaaya.

Ajay ke aane tak Atul aur Nisha dono khaamosh the…Nisha apne aur confusion me khoyi hui thi…Aur Atul muskura raha tha ye soch kar ki Ajay ki iss majaak par sab ne yakin kar liya.

Fir kuch der baad Ajay, Anjali aur Kajal saath me aa gayi…Anjali aur Kajal ko Atul ko aise muskuraata dekh hairaani hone laga.

Ajay:- Ha bhai…Kyu bulaya?

Atul:- Bahut din se koi kahani nahi suna hai…Abhi 10 minute baaki hai class suru hone me…Ek acchi si kahani suna de…Jisse sunne ke baad hassi aa jaaye.

Atul ne Ajay ko ghur kar kaha…Ajay ke siwa Atul ki baat koi samajh nahi paaya…Ajay Atul ki baat ka matlab saaf samajh raha tha.

Ajay:- Mujhe koi kahani nahi aata.

Atul:- Accha…To fir tu sabhi ko kya suna raha tha jab mai canteen se baahar nikla tha.

Ajay:- Bhai wo to aise hi…

Isse aage Ajay kuch nahi bola…Aur muskuraane laga jaise uska chori pakda gaya hai.

Ajay ki iss baat par Nisha, Kajal aur Anjali usse ghur kar dekhne lage.

Atul ne fir teeno ko dekhne ke baad kaha.

Atul:- Tu kabse itna accha acting karne lag gaya bey…Afsos hai ki maine miss kar diya…Laga reh bhai…Agar doctor nahi ban paaya to acting me accha scope hai.

Ajay:- Thanks bhai.

Anjali:- Thanks ke bacche…Ye kaisa majaak tha…Ham sabhi iss sach samajh rahe the…Koi apne dost ke baare me aisa ghatiya majaak karte hai kya?

Anjali ne gusse me kaha…Uski baato se hi lag raha tha ki usse Ajay ka majaak bilkul bhi pasand nahi aaya.

Nisha:- Sach kaha Anjali tune…Mujhe bhi ye majaak pasand nahi aaya…Mujhe bhi laga ki ye sach hai aur Atul ke liye bahut bura lag raha tha…Kabhi sapne me bhi nahi soch sakti hu ki kabhi mere kisi bhi dost ke saath aisa kuch ho…Aage se please aisa majaak kabhi mat karna.

Nisha ne bhi apna saara gussa Ajay par utaar diya.

Atul:- Are bas bas…Kitna daantogi bacche ko…Kahi rone na lag jaaye.

Atul Ajay ka chehra dekh kar haste hue bola…Ajay ke chehre se lag raha tha ki usse bhi afsos ho raha tha iss majaak ke liye.

Ajay:- Hans le bhai…Jitna hasna hai…Kabhi mera bhi din aayega.

Ajay ki baat se pata chal raha tha ki usse Atul ka hansna bilkul bhi pasand nahi aaya hai…Pehle Anjali aur Nisha ka daant aur abb Atul ka hansi…Iss vajah se wo thoda gussa ho gaya.

Atul:- Are naraaj kyu ho raha hai…Mai to aise hi majaak kar raha tha…By the way thanks.

Atul ne iss baar muskura kar kaha.

Kajal:- Aur ye thanks kis liye…Kya tumhe iska ye joke pasand aaya?

Kajal ke saath Anjali aur Nisha bhi fir se confuse ho gayi Atul ki iss thanks par.

Atul:- Joke to pasand nahi aaya…Lekin isne jokes bol kar mood fresh kiya uske liye thanks bola isse.

Aaj mera mood off tha…Aur jab bhi mood off hota hai ye issi tarah kuch na kuch karta hai mera mood thik karne ke liye…Aur baato me uljha deta hai aur mai bhul jaata hu ki mera mood off tha…Aaj bhi waisa hi hua.

Ye kabhi mujhe udaas nahi rehne deta hai…Issi liye mai isse apna best friend manta hu…Dosto ke liye kuch bhi karne ko taiyaar rehta hai.

Atul ne iss baar Ajay ki taarif kiya to Ajay bhi apna gussa bhul gaya.

Ajay:- Kya baat hai yaar…Tu to mera taarif bhi karne lag gaya?

Atul:- Ha wo kabhi kabhi hi karta hu…Aaj ka din tere liye bahut shubh hai…Shaayad yahi vajah hai.

Nisha:- Lekin jab maine tumhe pucha tha ki tum Shruti ko yaad kar rahe ho to tumne haa kaha tha?

Nisha ne kuch sochte hue pucha.

Atul:- Tum abhi bhi ussi baat par atki hui ho? Wo mai tumhaari baat nahi samajh paaya tha iss liye munh se ha nikal gaya…Fir jab samajh gaya tab maine pucha ki Shruti kaun hai?

Kajal:- Accha hai ki Ajay ki baat sach nahi tha...Sabhi ko tumhaare baare me soch kar bura lag raha tha.

Atul:- Iss pyar wali topic par bura maane ki jarurat nahi hai…Kyuki ye mujhe sapne me bhi nahi hoga.

Mera dictionary me Pyar ka antonym Atul hai.

Atul ki aawaj me khud ke liye garv tha ki usse kisi se bhi pyar nahi hoga.

Kajal:- Itna confidence.

Kajal ne Atul ki aanko me dekh kar pucha.

Atul:- Isse bhi jyada.

Atul ne bhi confident ho kar jawaab diya.

Kajal:- Dekhte hai.

Atul ne iss baar kuch nahi kaha…Bas sar ko haa me hilaa kar sehmati diya.

Kajal:- Maine bahut baar dekha hai jo pyar me vishwaas nahi karte hai unhe hi sabse jaldi pyar ho jaata hai.

Atul:- Aisa kaha dekha tumne?

Kajal:- Movies me.

Atul:- Abb reality me aa jaaiye Madam…Movie scripted hota hai aur pyar ke baare me bahut bakwaas tarike se present karte hai…Real life me dekho aur practically socho…Mere jaise bahut log milenge jinhe pyar par vishwas nahi hai.

Ajay:- Bas bas ho gaya…Ye debate baad me fursat se kar lena…Pehle hi 2 minute late ho chuke hai.

Fir sabhi class ki taraf jaane lagti hai…Atul ka bhi mood abb pehle se bahut behtar ho gaya tha.

Ajay bhi khus tha ki Atul ka mood abb thik ho gaya hai…Anjali aur Kajal bhi khus the ki Atul ke saath waisa nahi hua hai jo unhone socha tha.

Kisi ne kaha nahi lekin sabhi ko Atul aur Ajay ki dosti aur ek dusre ke liye understanding bahut pasand aaya tha.

Aur dusri taraf Nisha…Uski dimaag me bahut saari baatein chal raha tha…Atul ke saath waisa nahi hua tha jo wo soch rahi thi iss baat ke liye wo bahut khus thi.

Lekin iske alawa bhi wo aur baatein soch rahi thi…Pehli baar wo khud se pucch rahi thi ki wo Atul ke baare me itna kyu soch rahi hai? Jab bhi Atul ki baat hota tha wo sabse pehle react karti thi…Aur aaj bhi waisa hi hua bina soche samjhe wo Atul se uske past ke baare me pucchne aa gayi.

Aur dusri taraf Atul aur Kajal ka ek dusre se khul kar aur muskuraate hue baat karna accha nahi lag raha tha wo bhi pyar ke topic me aur Kajal ka Atul ko challenge dena ki usse bahut jald kisi se pyar ho jaayega.

Uss vakt to usse vajah pata nahi tha bura lagne ki lekin abb jab wo sabhi baato ko ek saath soch rahi thi aur vajah dhund rahi thi tab usse bhi lagne laga ki kahi wo Atul se pyar to nahi karne lagi hai?

Ye soch dimaag me aate hi wo ek dum se serious ho gayi.
 
Last edited:

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Awesome Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Waiting For Next Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top