• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

King Aryan

Active Member
1,807
1,826
143
Thanks friends for your support...Aaj bhi update nahi de paaunga...Kal 2 ya 3 updates...Stay tuned...Sorry for today.
Waiting For Next Update
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Sare updates padliya :makeup:

Superb concept bro

Aap bahut ache tarike varnan karte ho har situation it makes story more interesting

Complicated love stories likhna mushkil h

Last update m nisha impress bhi hgyi aur kajal se jalne bhi lagi :D:
Welcome rocky bhai on the story and thanks for your comment...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 17


Kajal ke account check karne ke baad Nisha ne dekha ki Atul ne uske kuch hi photos like kiya hai aur kuch jagah par comment…Fir Nisha Anjali ka account check karti hai…Waha bhi Atul ne kuch jagah par hi likes and comments kiya tha.

Ye dekhne ke baad Nisha sochti hai.

Nisha:- (In her mind) Kuch hi photos like kiya hai aur wo bhi bahut dino ke baad…Shaayad bahut hi kam facebook chalata hai.

Fir Nisha Atul ko friend request bhej deti hai aur fir sochne lagti hai.

Nisha:- (In her mind) Pata nahi mai kyu itna soch rahi hu Atul ke baare me…Kabhi kabhi to khud par hi gussa aata hai kuch bhi sochne lagti hu aur vajah se khud hi anjaan rehti hu.

Fir Nisha padhne lag jaati hai…Raat ke karib 10:00 pm me Nisha ke mobile me ek notification aata hai…Atul ne uska friend request accept kar liya hai.

Book ko side me rakh kar wo bed par chali jaati hai aur Atul se chatting karne lagti hai.

Nisha:- Hi.

Kuch der baad Atul ka reply aata hai.

Atul:- Hello…But sorry for now…Kal baat karenge…Abhi sone jaa raha hu…Abhi facebook khola to dekha tumhara friend request aaya tha aur maine accept kar liya.

Atul ki message se Nisha ka mood thoda off ho gaya aur saath me hairaani bhi.

Nisha:- Itni jaldi sote ho? To fir baaki ki padhaai kab karte ho?

Atul ne usko bataya tha ki wo 5 ghanta padhta hai…Shaam ke 7:00 pm tak to wo Atul ke saath hi thi chhat par…Aur abhi to 3 hi ghanta hua tha.

Atul:- Iss vakt hamesha sota hu…Subah 4 ya 5 baje utth kar baaki ka padhta hu.

Nisha:- Sach me padhaaku ho.

Atul:- Shaayad…Accha goodnight…Abb neend bhi lag raha hai.

Nisha ne Atul ka message dekha hi tha ki Atul ka offline hone ka symbol aa gaya.

Nisha:- Good night.

Fir Nisha bhi apna mobile off kar deti hai aur sochti hai.

Nisha:- Yakin nahi hota…Koi itna kaise padh sakta hai…Sach me Atul ka padhaai me jyada hi interest hai.

Itna sochne ke baad Nisha fir padhne lagti hai…11:00 pm ke karib wo bhi soo jaati hai.


Next Day at College


Atul aaj bhi college baaki students se jaldi pahunch gaya tha…Jab wo aaya tha tab do ya tin hi student class me maujud the…Thodi der unse baat karne ke baad Atul front row ke seat me aa kar baithta hai.

Dhire dhire sabhi students aane lagte hai…Nisha aur Anjali aaj bhi saath hi aaye the…Aaj Atul ko akela dekh wo Atul ke paas aa kar baith jaati hai…Anjali ko thoda hairaani hota hai ki Nisha aaj kal kuch jyaada hi karib ho gayi hai aur usse bataaye bina hi Atul ke saath jaa kar baith gayi…Fir Atul se hi hello karne ke baad wo kuch row picche jaa kar baith jaati hai.

Kuch der baad Kajal bhi aa jaati hai…Atul aur Nisha se kuch der baat karne ke baad wo bhi picche Anjali ke saath jaa kar baith jaati hai.

Nisha:- Itna chup kyu ho aaj?

Jab se Nisha aayi thi usne mehsus kiya ki Atul ka aaj mood off hai aur wo baat bhi nahi kar raha tha…Usne Anjali aur Kajal se thik se baat bhi nahi kiya...Bas unki baaton ka jawaab de raha tha wo bhi kuch hi shabd mein.

Atul:- Aaj mood thik nahi hai.

Atul gusse me bhi lag raha tha.

Nisha:- Kya hua?

Nisha ne bhi serious ho kar hi pucha…Atul ne Nisha ki taraf dekha aur fir dusri taraf dekhne laga.

Nisha:- Agar nahi bataana chaahte ho to thik hai…Mat bataao.

Nisha ne bahut dheere se kaha…Uski aawaj me Atul ne apne liye thoda fikar mehsus kiya.

Ek baar fir usne Nisha ko dekha…Nisha ko dekh kar aisa lag raha tha ki wo Atul ki mood off hone ki vajah ka andaaza laga rahi thi…Atul ne kuch pal socha aur fir usne bataane ka faisla kiya.

Atul:- Aaj subah subah hi Gaurav se fir ladaai ho gaya?

Atul ne bahut gusse me Gaurav kaha…Usko bhaiya kehna to wo kab ka bhul chuka tha.

Nisha:- Kaun Gaurav?

Atul:- Mera bhaiya.

Bhaiya kehte vakt bhi Atul soch raha tha ki bhaiya kahu ya nahi.

Nisha ko hairaani ho raha tha ki Atul ka kisi se ladaai bhi ho sakta hai…Wo to sirf apne kaam se matlab rakhta hai.

Nisha:- Kyu? Kya hua?

Hairaani me Nisha ne pucha.

Atul:- Kuch khaas nahi…Hamesha aisa hota hai…Ladne ka koi mauka nahi chhodta hai…Pata nahi uska kya dushmani hai mujhse…Bachpan se aisa hi kar raha hai wo.

Atul dheere se lekin bahut gusse me keh raha tha saari baatein…Baaki koi na sun sake issi liye wo dhire se bol raha tha.

Nisha pehe bhi yahi soch me thi ki Atul aur Gaurav itna alag kyu hai…Gaurav ek taraf gunda type ka jo har vakt dusro se ladte hi rehta hai aur wohi Atul ek dam shaant aur apne kaam se hi matlab rakhne wala.

Aaj Atul se baat karne ke baad usse pata chal gaya ki Gaurav Atul ke saath bhi waisa hi hai jaise baaki log ke saath…Ye acchi baat tha ki Atul uske jaisa nahi bana.

Nisha ko Atul aaj "kicchad ka kamal" lag raha tha…Wo uske Papa aur Bhaiya ko to pehle bhi jaanti thi…Atul ko samajhne ke baad usne mehsus kiya ki Atul dono se bahut alag hai.

Nisha:- To fir tum unse baat karke sab kuch thik kar lo…Bhai bhai me dushmani hona koi acchi baat to nahi hai.

Atul:- Wo kuch maane ke liye taiyaar ho tab na…Hamesha mujhe dushman hi maana hai usne aur waisa hi behave kiya hai…Pehle to chhota tha aur kuch kar bhi nahi sakta tha…Lekin abb mai pehle jaisa kamjor nahi hu…Jawaab de sakta hu.

Shaayad hi ye dushmani kabhi khatam ho…Naa hi wo kabhi badlega aur naa hi kabhi hamaara dushmani kabhi khatm hoga…Mai to usse dushman bhi nahi manta auar naahi koi rishta rakhna chaahta hu lekin wo hi hai jo baar baar ladne chala aata hai…Kuch na kuch karna hi padega.

Atul ne bahut gusse me kaha ye baat…Nisha ne bhi Atul ka Gaurav ke saath relation aur Atul ka gussa dekh liya.

Nisha:- Accha to fir abhi ye gussa thuk do.

Nisha jo abhi tak seriously baat kar rahi thi achanak muskura kar normally baat karne lagi.

Atul ko bhi Nisha ka achanak aisa behavior samajh me nahi aaya…Wo Nisha ki taraf dekhta hai aur samajhne ki koshish karta hai.

Nisha:- Agar tumhaara chehra tamaatar ki tarah laal raha to yakin ke saath keh sakti hu aaj tum class ko acche se attend nahi kar paaoge aur pura din waste ho jaayega.

Nisha ne fir muskura kar kaha…Wo kisi tarah Atul ka mood thik karna chaahti thi.

Nisha:- Agar tum aise hi gussa me rahoge to tumhaara hi loss hoga…Naa ki tumhaara bhaiya ka…Jiski vajah se tum gusse me ho.

So taiyaar ho jaao padhaai ke liye…Kuch hi der me class bhi suru hone wala hai…Agar fir bhi tumne padhaai me dhyan nahi diya to mai apna note bhi nahi dungi.

Nisha ne last ke line kuch iss tarah se kaha jisse Atul ke chehre me thoda sa smile aa gaya…Usne socha Nisha sach hi keh rahi hai…Agar wo gussa raha to thik se padh bhi nahi paayega.

Apne gussa ko kam karne ki koshish karte hue usne thoda smile ke saath kaha.

Atul:- Thanks.

Nisha ne jawaab me sirf smile hi diya.

Atul ko Nisha ka iss tarah samjhaana bahut accha laga…Gusse me wo ye bhul gaya tha ki ye gussa usse hi nukshaan pahunchaane wala hai…Kahi ka gussa kahi aur utaarna accha nahi hai…Wo muskura kar ek najar Nisha ko dekhta hai aur fir bag se book nikaalne lagta hai.

Dusri taraf Nisha bhi Atul ke baare me aur bhi jyada jaan rahi thi…Kuch hi vakt me usne Atul ko bahut acche se jaan liya tha…Lekin ek surprise abhi baaki tha…Jo kuch der baad usse milne wala hai…Atul ke baare me aisa baat usse pata chalne wala tha jiske baare me wo soch bhi nahi kar sakti thi…Vishwaas karna to dur ki baat hai.

Inn sab ke alawa picche se do aankhein aisa bhi tha jo kuch dino se dono ko ghur raha tha…Dono ki kareebi usse accha nahi lag raha tha…Wo bhi apna sahi vakt ka intejaar mai tha.
 
Top