• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Kasam - Love is not Everything (Completed)

Mbindas

Active Member
1,928
4,105
158
Ok bhai waiting
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 8


Dopahar me clinic aur shaam me Shreya se apne past ke bare me baat karne ke baad Atul ko abb thakaan mehsus hone laga…Raat ho gaya tha aur aaj usse dinner ka man bilkul bhi nahi tha…Wo sone ke liye bed par chala jaata hai.

Bahut koshish ke baawjud bhi usse aaj neend nahi aa raha tha…Baar baar aaj usse Nisha ki yaad aa raha tha…Nisha ki yaad to usse hamesha hi aata tha lekin aaj kuch jyada hi.

Meethi aur Dard bhari yaadein…Nisha ka wo khila hua chehra aur uske saath pyar bhari baatein karna Atul ke chehre par muskaan laa raha tha to bicchadte vakt Nisha ka dard bhara chehra dekh fir Atul ki aankho me aansu aa gaya.

Issi yaadon me ek baar fir wo apne puraane dino me kho gaya.


FLASHBACK


College me first week to sabhi students ko ek dusre ke saath introduction aur syllabus ko samajhne me hi khatam ho gaya…Iss bich Atul aur Nisha ka bhi laghbhag sabhi students se dosti ho gaya tha.

Dono ka ek dusre se duriyan badhte hi jaa raha tha…Nisha ne Atul se baat karna laghbhag band hi kar diya tha…Lekin na chaahte hue bhi uski najar kabhi kabhi Atul par chala jaata tha…Shaayad Atul ki behavior usse bahut ajeeb lag raha tha.

Dusri taraf Atul ne bhi Nisha ko ignore karna suru kar diya tha…Wo jaanta tha ki Nisha usse pasand nahi karti hai aur wo bhi jaan bujh kar dusro ko pareshaan karna nahi chaahta tha…Aur dusri baat ye tha ki usse Nisha ka usko ignore karna accha nahi lag raha tha…Shaayad self respect ki vajah se usne bhi Nisha se duriya bana liya tha.

1 week me hi Atul aur Kajal ka dosti bahut gehri ho gayi…Dono ko ek dusre ke saath baat karne me accha lagta tha aur pehle hi week se dono saath me hi library me padhne jaate the…Khaali time me dono park me jaa kar time pass karte the.

Abhi 1 week hi hua tha issi liye sabhi students ko ek dusre ki acchaaiyon ke bare me hi pata tha...Lekin Atul ko ek ladka aur uska behavior bilkul bhi pasand nahi tha…Ravi.

Ravi ka sabhi se jarurat se jyada dosti karna, Baat karte vakt bhi dominant hone ki koshish karna aur dusro ki baato ko matlab na dena aur chhoti chhoti baato par gussa dikhaana Atul ko bilkul bhi pasand nahi tha.


Abhi Atul aur Ajay canteen me saath hi baith kar lunch kar rahe the.

Ajay:- Bhai…Maanta hu tujhe pyar par koi vishwaas nahi hai…Aur tu pyar kabhi nahi karega…Lekin yaar mujhe to chhod de.

Aaj Anjali ke saath baith kar lunch karne wala tha lekin tune uske paas jaane hi nahi diya…Yaha issi table me baith gaya aur mujhe bhi bitha diya.

Naya naya pyar aur usme bhi rukawat...Ajay ko bilkul bhi accha nahi lag raha tha.

Atul:- Accha to fir chala jaa…Mujhe kya pata tha ki tu Anjali ke paas baithna chaahta hai.

Atul ne muskura kar kaha.

Ajay:- Ye muskuraana band kar…Pehle hi gussa aa raha hai aur tu upar se aur gussa dilaa raha hai…Ye baat to tu bhi jaanta hai ki abb mai waha nahi jaa sakta aur tu muskura raha hai.

Ye ladkiyaan bhi na…Baaki ke khaali table inko nahi dikha jo Anjali ke paas hi jaa kar baith gayi.

Anjali ke table me ladkiyo ka group dekh Ajay ka gussa aur badh gaya.

Atul Ajay ka ye roop dekh kar muskura raha tha.

Ajay:- Kamine tu mera life me khushi dekhna hi nahi chaahta hai…Abhi pyar ka izahaar kiya nahi hai ki pehle hi tu hame alag karne ki koshish kar raha hai.

Kitna accha mauka tha…Anjali akeli baithi thi aur koi paas me bhi nahi tha…Acche se baatein kar sakta tha usse…Lekin tune mujhe yaha bitha diya aur 2 minute nahi hua ki ek saath 4 ladkiya uske paas chali gayi.

Ajay Atul ko khaa jaane wali najro se dekh raha tha.

Atul:- Pyar jaisi cheej hamaare laayak nahi hai.

Atul abhi bhi muskura raha tha.

Ajay:- Kya ham jaise ladko ke liye nahi hai? Tu nahi maanta pyar ko…Mai to manta hu…Aaj to tere saath yaha ruk gaya lekin aage se ye sab nahi hoga.

Atul:- Pyar kiya to nahi hai …Lekin suna hai ki pyar me patience ki bahut jarurat hota hai…Sacche pyar karne wale log to kabhi kabhi apne pyar ka intejaar jindagi bhar karte hai…Aur ek tu hai jo kuch pal ka intejaar bhi nahi kar paa raha hai.

Atul ne iss baar chidhaate hue kaha.

Ajay:- Bahut hansi aa raha hai na tujhe…Kaash tujhe bhi kisi ladki se pyar ho jaaye aur tera jindagi uske intejaar me hi beet jaaye…Tab pata chalega tujhe intejaar karna utna bhi aasan nahi hai jitna ye bakwas gyan dene me hai.

Ajay ne to ye baat gusse me keh diya tha…Lekin iss baat se dono hi anjaan the ki Ajay ka gusse me kaha gaya ye baat Atul ke liye sach ho jaayega.

Atul kuch jawaab deta usse pehle Ravi dono ke paas aa gaya aur chair par baith gaya.

Ravi:- Hi guys…I am Ravi.

Itna keh kar Ravi haath aage badha kar Atul aur Ajay se handshake karta hai.

Atul:- Nice to meet you…I am Atul and he is my best friend Ajay.

Ravi:- Ek baat puchna tha tumse.

Ravi ki baato me alag tarah ka attitude tha…Atul ko uski baat karne ka tarika aur attitude to bilkul bhi pasand nahi aa raha tha lekin wo abhi aisa dikha nahi raha tha.

Atul:- Puccho.

Ravi:- Kya tum full scholarship me padh rahe ho yaha?

Atul:- Ha.

Atul chhota sa hi jawaab de raha tha Ravi ko...Usse intejaar tha Ravi ke jaane ki.

Ravi:- Entrance me kitna marks tha tumhaara.

Fir Atul Ravi ko apna marks bata deta hai…Jawaab me Ravi muskura kar kehta hai.

Ravi:- Thik mera barabar…Socha tha ki college top karunga…Jitne bhi full scholarship wale the sabse jyada mera hi marks tha…Aaj pata chala mera barabar ka bhi koi hai.

Khair…Jo bhi ho…Top to mai hi karunga…Beware of me Mr. Atul. You will get tough competition from me.

Ravi ki baato me ghamand bhara hua tha…Abb Atul se bhi raha nahi gaya.

Atul:- I am beyond competition...Mujhe kisi se competition ka shaukh nahi hai.

Ravi:- Kyu? Itni jaldi dar gaya?

Atul:- Darta to mai khud se bhi nahi hu.

Atul ne bahut shaan se kahi ye baat.

Ajay:- Waah yaar...Kya baat kaha hai.

Fir Atul aur Ajay dono Ravi par hasne lage.

Ravi:- (To Ajay) Tu to iska (Atul) chamcha hai na...Tujhe kis baat ki hansi aa raha hai? Aukaat kya hai tera?

Ajay:- Jis shabd ko tu chamcha keh raha hai usse dosti kehte hai.

Shayad tu mujhe nahi jaanta...Ek baar pata kar le...Aur aukaat he hai ki tujh jaise 10-15 ko apna chamcha bana lu.

Ajay Ravi ki taraf badh hi raha tha ki Atul ne usse naa me ishaara kiya.

Atul:- Dekh yaar...Naa hi mujhe tujh jaiso se matlab hai naa hi tere competition me...Pehla baar tha iss liye kuch nahi keh raha hu...Warna agli baar Ajay ko nahi rokunga.

Fir samajh lena...Kisse panga le raha hai tu.

Ravi:- Mujhe bhi tum jaiso se matlab nahi tha...Mai to ye bolne aaya tha college ka topper abb mai hu.

Atul:- Kitni chhoti soch hai tera...Marks ke liye padh raha hai.

Ek free ka suggestion deta hu...Khud ke liye padh...Knowledge ke liye...Marks me kya rakha hai...Waise bhi medical me knowledge aur skill jaruri hai marks se.

Tera competitor sirf mai nahi hu...Sabhi students hai...Entrance me ek do marks to kisi ka bhi kam aa jaata hai...Aur yaha marks ussi ka jyada aata hai jo jyada mehnat karta hai.

Ravi:- Lets see...Mujhe viswaas jai khud par...Sabse jyada knowledge aur marks mere paas hi hoga.

Itna keh kar Ravi waha se chala gaya.


Ajay:- Pehli baar tera koi baat accha laga…Accha jawaab diya tune uss kamine ko…Kitna ghamand hai isme…Pata nahi khud ko kya sochta hai...Aur mujhe kyu roka tune...Do chaar daant tod deta saale ki.

Abb Ajay ka gussa Ravi ki taraf mud gaya.

Atul:- Iski baat hi mat kar…Iska to shakal dekh kar hi gussa aane lagta hai…Karne de jitna bhi ghamand karta hai...Dekhna jald hi iska ghamand tutne wala hai.


Atul itna keh kar chup ho jaata hai…Kuch der baad Kajal bhi aati hai aur Atul ko hi keh kar ladkiyo ke group me chali jaati hai.



Waha ladkiyo ke group me Kajal ke aa jaane se 5 ladki ho jaati hai…Kajal, Nisha, Anjali aur baaki ki 2 ladki.

Ladki 1:- Kya baat hai Kajal? Aaj to tu Atul se koi baat kiye bina hi aa gayi?

Kajal:- Pehle hi bahut time loss ho gaya hai…Lunch ka time khatam ho raha tha to yaha aa gayi…Baatein to baad me bhi hoti rahegi.

Itna keh kar Kajal apne tiffin box nikaal kar apne dost ke saath lunch karne lagti hai.

Ladki 2:- Ha baat to teri hoti rahegi…Aur wo bhi non stop…Ek tu hi hai jisse Atul itna baat karta hai…Baaki ladkiyo se to sirf kaam ki baatein.

Ladki 2 ne kuch udaas ho kar kaha…Aur jis tarah se usne kaha tha wo sunke Nisha ko bahut gussa aa raha tha…Atul ki taarif se usse chhidh hone lagi thi.

Ladki 1:- Kajal…Tera aur Atul ka pehle se hi jaan pehchaan hai kya?

Kajal:- Nahi…Kyu?

Ladki 1 :- 1 week me hi tum dono itne close ho gaye aur tum dono ko pyar bhi ho gaya…Yakin nahi aa raha hai itni jaldi ye sab kaise ho sakta hai.

Ladki 1 ne itna hi kaha tha ki Kajal ke gardan me hi khana atak gaya…Aur usse jor se cheenkhne lagi…Paani pee kar normal hone ke baad thoda gussa se wo kehti hai.

Kajal:- Kisne keh diya tujhe ki ham pyar karte hai?

Ladki 2:- To tu Atul se pyar nahi karti?

Kajal:- Nahi ham dost hai…Best friend…Lekin tum dono ko aisa kyu lag raha hai ki mai Atul se pyar karti hu ya wo mujh se.

Ladki 1:- Tum dono ka dosti kuch jyada hi gehri hai…Iss liye laga ki shaayad tum dono ek dusre se pyar karte ho.

Kajal:- Bahut chota soch hai tum dono ka…Dosti ko pyar ka naam de rahi ho…Atul accha ladka hai aur saath me intelligent bhi…Uske saath baat karna accha lagta hai…Padhne me bhi bahut help karta hai...Dosto se acche se behave karta hai...Aur bhi kayi khaasiyat hai Atul ka…Ham dono me understanding bhi accha hai...Issi liye best friends hai.

Agar sach kahu to sabhi students me Atul hi mera best friend hai…Issi liye mai usse jyada baatein karti hu aur time spend karti hu.

Abb agar tum dono sochte ho ki ek ladka aur ladki me gehri friendship ka matlab pyar hai to mai kuch nahi keh sakti iss bare me.

Nisha:- Ha…Atul pyar karne laayak bhi nahi hai.

Achanak hi Nisha ke munh se ye baat nikla.

Kajal:- Aisa kyu lagta hai tumhe?

Nisha:- Mujhe to wo ek number ka ghamandi lagta hai…Baat karne ka tameez hi nahi hai usme…Aur kehta hai ki wo kabhi kisi ladki se pyar nahi karega…Jaise ladkiyan uske picche padi ho.

Abhi bhi Nisha ki baaton me Atul ke liye chhidh tha.

Kajal Nisha ki baato ka jawaab muskura kar deti hai.

Kajal:- Bilkul galat soch rahi ho tum uske bare me…Ek baar acche se baat kar ke dekho Atul se…Jaan jaaogi kaisa hai Atul.

Anjali:- Mujhe bhi Atul accha lagta hai…Ajay bhi uska bahut taarif karta hai...Maine bhi dekha hai Atul bahut hi simple rehta hai…Sabhi se acche se baat karta hai…Aage ki character to baad me pata chalta rahega…Lekin abhi tak jitna bhi pata chala hai usse lagta hai ki Atul bahut hi accha aur sharif ladka hai.

Nisha:- Tu chup kar…Ajay jo bhi kehta hai uss par aankh band karke vishwas kar leti hai.

Nisha ne itna hi kaha tha ki ladki 1 serious ho kar kehti hai.

Ladki 1:- Kajal agar tu Atul se pyar nahi karti hai to koi baat nahi…Lekin agar karti hai aur tu apne feelings ko samajh nahi paa rahi hai to ek baar acche se soch le.

College me kuch ladki bahut impressed hai Atul se…Agar der kiya to Atul tere haath se nikal jaayega…Pyar ke ehsas ko vakt rehte hi pehchaan le…Kahi der na ho jaaye.
 
Top