flashback mein ek simplicity hai, ek shaadgi.... kayi baar aisa hota hi ki writers kuch extra dikhane koshish mein aise pehlu aur mod add kar dete hai ki kahani ka flashback hi complicated ho jaaye... Jab ki flashback hota hi hai uljhe huye baaton ko suljha dena... well ye flashback aisa nahi hai balki ek flow sath dilchasp tarike se aage badh raha hai.... taaki aage ke saawalo ka jawab mil jaaye...
so judayi ke un palon ke baad aakhir kar ghar lout aaya rajesh....
waise ghar pe ek ghatana ghar gayi jo shayad aage aane wale waqt mein karwahat leke aaye rishto mein ...
rajaneesh ki soch..... uski ye soch ki usse zyada uske bhai ko zyada importance dete hai uske mata pita...
lekin maa baap ka pyar auladon ke liye ek saaman hota hai... are wo to rajesh bahar rehta hai aur itne dino baad ghar aaya hai, isliye laal pyar kar rahe hai usko...
rajneesh nakaratmak soch ke chalte ye nahi pa raha hai ki uske dwara kiye gaye us chori ke baad bhi ushe maaf kar uske liye dukan bhi khol diya uske pita ne... taaki padhayi likhayi na hone ke baad bhi wo apne pero pe khada ho sake...
Khair....
Yahan sabse bada mod aaya hai... wo ye ki jis malti se pichaa chhuda rahi thi rajneesh, jisko laalchi aurat keh ke apni jindgi se rafa dafa kar diya tha ab usi se shaadi karne jaa raha hai rajneesh...
ye shayad sabse badi galti rajneesh ki jo us nageen ko biwi banake ghar leke aa raha hai... wo bhi sab kuch jaan ke bhi....
malti jarur aag laga degi is hanste khelte pariwar mein....
Maybe usike chalte rajesh bhi door ho jaaye apni chaahat anamika se
Well sabhi pehlu mein sabhi arthpoorn baaton, kirdaaro bich huye vaartalaap ko aur gatividhiyo ko ek sathik gati ke sath samete huye hai kahani ke jariye writer ne shabdon mein khoob roopantaran kiya hai. .
Bahot dilchasp update sath hi kuch arthpoorn aur manmahok kirdaaro ki bhumika bhi thi ..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills