UPDATE - 44
.
.
.
LOCATION - JHANSI
.
.
.
PLACE - VIRENDRA's HOUSE
.
.
.
(FLASHBACK CONTINUE)
.
.
.
aur phir usne apne sab badon ke pair chuke aashirwaad liya..... aur nikal hostel ke lie driver ke saath......
Abhi thori hi der hui thi rajesh ko nikle ki priya ghar main dakhil hui saamne hi use malti dikh gayi apne rooom se bahar aati hui..... woh jaake usse gale mili aur dono wapas room main ghus gayi.....
Priya - kahan hai mera sajan.....
Malti - kaun saajan...
Priya - aree didi aap bhi na itti jldi bhul gayi....
Malti - kya bhul gayi main....
Priya - kal aapne hi toh bataya tha us ladke ke baare main ki woh aapka dewae hai.....
Malti - woh tumhara saajan nahi hai yeh baat achi tarah se samjh lo..... woh tumhe kabhi nahiii apnayega.....
Priya -( priya thori bechain hote hue) lekin q diiii.....
Malti - q woh kisi aur se pyaar karta hai usne aaj subah mujhe bataya tha jab main tumhari baat kar rhi thi usse..... (jhooot)....
priya itna sunte hi wahan se uthke chal di apne ghar malti use pukaarti rhi lekin use piche palat kar nahi dekha shayad apne aansuon ko chupa rhi thi.......
udhar delhi main Rajesh bhi padhai toh mnnn lagakar kar hi rha tha saath main anamika ke saath pyaar ke do pal bhi bitane ko mil jaate the.... aur kya chahiye tha use zindagi main....
Aise hi 4 saal beet gaye malti ki god abhi khali hi thi...... virendra ab kuch jyada beemar rehne laga tha....usne ek din vakeel se milke apni wasiyat banwa li thi.... kya wasiyat thi woh toh baad main pata chalega......
Khair ek din priya aur rajesh ka saamna ho hi gaya..... priya apni kuch se milne idhar st. mary medical college aayi hui thi...... woh garden main apne doston ke saath baithi hui thi tabhi use saamne se rajesh aata hua dikhayi diya..... woh dod ke uske paaas chali gayi.....
Priya - hiiiii....
Rajesh - jiii aap kaun....
Priya - main priya....
Rajesh - kaun priya....
Priya - tumhari bhabhi ki behen....
Rajesh - ohhh acha pehchaan gaya.... shadi main tumne hi mujhe letter diya tha na.....
Priya - shukr hai tumhe yddd toh hun.....
Rajesh - dekho agar tunhara wahi iraada hai toh meri taraf se phir naa hai.....
Priya - nhiiii aisa koi iraada nahi hai...... mujhe didi ne sabkuch bata diya tha..... ki tum kisi aur se pyaaar karte ho.....
Rajesh - ruko tumhe milata hun usse.....
Priya - yahin parhti hai kya woh.....
Rajesh - hnnnn.... mere saath hi parhti hai.....
Priya - acha main kisi aur din mil lungi usse..... abhi mujhe yeh bata do ki main dosti ke layak hun ki nahi aapke.....
Rajesh - isme bhi koi pooochne ki baat hai..... dosti ke lie i am always ready....
phir priya rajesh par kood padi aur use gale se kaga liya..... udhar anamika khadi dekh rhi thi..... woh soch rhi thi ki pata nahi kaun ladki hai jise rajesh gale mil rha hai...... khair woh hostel ki taraf nikal gayi......
Priya - acha main chalti hun..... mujhe late ho rha hai.....
Rajesh - ok jao.....
Priya - okkk byeee..... phir milte hain....
Rajesh - byeee.....
phir woh dono apni apni manzil ki taraf chal diye......idhar ghar main virendra ek bed pe leta hua tha...... upasna paas main baithi hui thi......
Virendra - upasna.....
Upasna - hnnnn jiiiii.....
Virendra - mujhe lagta hai ab main jyada din nahi jiii paunga.....
Upasna - jiiii aisa q bolte ho aap.....
Virendra - mujhe aisa lagta hai.....
Upasna - nhiii aapko kuch nhi hoga.....
Virendra - tumhare chahne se kya hoga..... main chahta hun ki mere jeete jiiii rajesh ki bhi shadi ho jaaye...... uski padhai is saal poori ho jayegi.....
Upasna - aap thik ho jaaiye phir ham saath main jayenge ladki dekhne rajesh ke lie......
Virendra - nhiiiii tum aur malti rajesh ke lie koi ladki dekho.....main jldi se jldi shadi kar dena chahta hun......
Upasna - theeek hai jaisa aap kaho..... main kal se hi uske liye rishta dhoondna shuru kar deti hun.....
priya ke jaane ke baaad rajesh anamika ka wait karta raha wahin khada hoke kekin jab woh wahan tab hi toh aaaye.... woh intezar karta hua..... hostel chal diya..... aur sochne laga ki pata nahi anamika mujhse mile bina q chali gayi aaaj.....
Sham main usne hostel ki ek ladki se anamika ko bulwa bheja..... thori der main anamika bahar aayi woh thora gusse main lag rhi thi.......
Anamika - bolo kya hua.... q bulwaaya.....
Rajesh - yrrr tum mujhe mile bina chali gayi thi.... islie bulwa liya.....
Anamika - q mujhse milkar kya karoge.... jao usi ladki ke gale pado.....
Rajesh - kaun ladki.....
Anamika - wahin jisse chutti ke baad gale mil rhe the.....
Rajesh - areee yrrr woh meri bhabhi ki behen hai..... yahan mujhe dekha toh usi se baaat karne laga tha.....
Anamika - bhabhi ke behen phir gale q lag rhi thi.....
Rajesh - usne mujhe bahut dino baad dekha tha.... islie woh dekhte hi gale lag gyiii mujhse.....
Anamika - acha thik hai....
Rajesh - hmmm....
Anamika - thik hai main ja rhi hun hostel mujhe kaam hai bahut.......
Rajesh - thik hai jao.....
Phir anamika hostel chali gayi aur rajesh chai ke hotel oar chala gaya.... chai ke saath sutta pine.....
Back to present
abhi vandana aage kuch batati ki Michael ka mobile bajne laga.....
Michael - hnnn bolo kya hua......
Saamne se - bhai venky bhai se baat karao.....
Michael - acha....
Michael - bhai aapke lie phone hai....
maine uske haath se phone le liya.....
Main - hnnn bolo kya hua.....
Saamne se - bhai avinash ke agra wale adde par aur delhi main boss ke ghar pe kuch log khus kar chaanbeen kar rhe the.....
Main - kaun the kuch pata chala....
Saamne se - bhai yeh toh nahi pata ki kaun the....
Main - theek hai pata karo phir mujhe call kro....
Saamne se - theeek hai....
Main - ab rakho....
Saamne se - bhai ek aur baat batani hai....
Main - jldi bol.....
Saamne se - woh jo wakeel hier kiya tha aapne banglore wala.... wahin ke mere ek bande ne bataya hai ki usko kisi ne dara dhamka ke case band karne ko kaha hai.....
Main - uski tention tum mat lo main woh matter sambhaal lunga.... tum yeh pata kro ki chaanbeen karne wale kaun log the.....
Saamne se - thik hai....
phir maine phone cut kar dia.....
Main - ab bahut raat ho gayi.... baaaki ki story kal sunana vandana jiii.....
Vandana - thik hai.....
aaj ke lie itna hi....
continue....
ab priya sach mein pyar karti hai ya rajesh ki property se ye waqt hi bataye...
ye kya ye to rajesh gale lagne lag gayi udhar anamika bhi shaq hua ye dekh.... lekin sukar hai rajesh Sare doubts clear kar diya...
lekin shayad ye priya yun nahi ayi hai phir se uski jindagi mein... ye kuch na kuch kand jarur karegi....
Udhar rajesh ke pita ki tabiyat din ba din kharab hoti jaa rahi thi, isliye unki ichha anuchar rajesh ki jald hi shaadi hone wali hai...
Lekin idhar to anamika aur rajesh ka pyar pure jor pe hai...
ab aise mein rajesh ko ghar pe uski shaadi tay hone wali pata chalne par kya beetegi uspar...
wo kya karega tab.. kya sach bata dega ki anamika se pyar karta hai..
........
Present mein us khabri ne phone karke us wakil kewaha kya ho raha hai aur us delhi wale ghar kya hua uski jaankari de di...
Ab gaur talab baat ye hai ki venky aage kya action lene wala hai..
Well sabhi pehlu mein sabhi arthpoorn baaton, kirdaaro bich huye vaartalaap ko aur gatividhiyo ko ek sathik gati ke sath samete huye hai update ke jariye writer sahab ne shabdon mein khoob roopantaran kiya hai. .
Bahot dilchasp update sath hi kuch arthpoorn aur manmahok kirdaaro ki bhumika bhi...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills
