UPDATE - 41
.
.
.
LOCATION - JHANSI
.
.
.
FLASHBACK CONTINUE
.
.
.
Rajesh ne time dekha toh 2 baj rhe the.....
Rajesh - ab mujhe chalna chahiye..... gaadi aane wali hogi.....
Anamika - ok jao.....
Rajesh - byeeee....
Anamika - byeee....
rajesh wahan se hostel aaya aur apna bag uthake bahar aake khada ho gaya
....... thori der main ghadi aa gayi....
rajesh ghadi main aake baith gaya.....aur driver se kehne laga.....
Rajesh - bhai gaadi maal ki taraf lelo.....
Driver - q bhai.... koi kaaam hai kya.....
Rajesh - hnnnn soch rha hun..... thore kapde lelun shadi ke lie.....warna phirse aana parega....
Driver - hnnnn yeh sahi rehega....
Phir driver ne gaadi maal ki taraf doda di...... rajesh ne wahan se shadi ke lie thori bahut shopping krli aur saath main Anamika ke lie bhi ek suit le liya .....unlogon ko jhansi wapas jaane ke lie college ki aur se hi nikalna tha toh rajesh ne socha ki yeh kapde anamika ko deta hua nikal jaunga........
rajesh ne driver se kehke gaadi hostel se thori dooor hi rukwa di thi..... woh nhi chahta tha ki driver use kisi ladki se baat karta hua dekhe.... Hostel pahunch ke usne anamika ko ek ladki dwara bahar bulwa liya......
Anamika - kya hua tumhe jaana nahi hai kya.....
Rajesh - jaana hai yrrrr.....
Anamika - toh wapas q aaye idhar phir se......
Rajesh - woh main shadi ke lie shopping krne gaya tha toh mujhe wahan ek suit acha laga toh maine tumhare liye le liya..... wahi dene aaya hun....
phir Rajesh ne kapde ka packet anamika ko pakda diya.....
Anamika - areee pagal..... jab wapas aate tab de dete...... bilawajah tumhe phir idhar se wapas jaana oaregae......
Rajesh - mujhe wapas isi taraf se jaana hai.....samjhiiiii....
Anamika - hnnn samjh gayi..... ab jao warna bahut raat ho jaegi tumhe ghar pahunchte pahunchte.....
Rajesh - hnnn.... ab main nikalta hun 4 baje rhe hain..... byeeee.....
Anamika - byeeee.....
finally rajesh wahan se nikal gaya jhansi ke liye...... usne gaadi ka music system on kiya...... gaana bhi uske mnnn ke hisaab ka baj rha tha.......
Jise dekh mera dil dhadkaa
Meri jaan tadapti hai
Koi jannat ki wo hoor nahi
Mere college ki ek ladki hai
waise gaane ke hisaab se rajesh ka bhi scene yahi tha....... ghar pahuncte pahunchte raat ke 9 baj gaye the...... woh jaise hi ghar ke andar dakhil hua uski maa ne use gale se laga liya......
Upasna - kaise ho beta.....
Rajesh - theek hun..... maa tum kaisi ho......
Upasna - theeek hun..... aur bahut der kar di aane main.....
Rajesh - hnnn woh main apne lie kapde lene laga tha......
Upasna - acha.....
bahar se baba bhi aate dikhe rajesh ko......jaise hi baba andar aaye usne pairon ko chuke unka ashirwaad liya.....
Rajesh - parnam baba.....
virendra - pranam beta..... kaise ho.....
Rajesh - main thik hun aap kaise ho....
Virendra - main thik hun..... ab andar chal ki darwaze par hi khada rehega.....
Rajesh - hnnnn chaliye..... baba
rajesh abhi haal main pahuncha hi tha ki saamne wale rooom se rajneesh nikal ke bahar aa gaya.....
Rajneesh - aaa gaya chotu.....kaisa hai tu....
Rajesh - hnnnn bhaiya..... main thik hun.... aap kaise ho....
Rajneesh - main thik hun..... chal aaja khana khate hain.....
Rajesh - hnnnn aap baitho main bag rakhke aata hun room se.....
Rajneesh - thik hai.....
Phir rajesh wahan se apne room ki taraf chala gaya..... aur rajneesh aur virendra baith gaye khane ke liye..... thori der baad rajesh bhi aake unke saath baith gaya..... maa use apne haathon se khana paros rhi thi......
Rajesh - bsss kar maaa.....
Upasna - bsss q karun...... jitna diya hai utna kha..... jyada naanukkad mat kar..... kitna dubla ho gaya.....
Rajesh - kahan dubla hua hun maaa.....
Upasna - chup baith kar kha..... main kya jhuth bolungi..... tujhe khane ko nahi dete the kya..... aye jiiii.....
Virendra - hnnnn bolo kya hua.....
Upasna - abki brrr ise paise thore jyada de dena.... wahan yeh apni pasand ki cheezein leke khata rehega......
Rajneesh yeh sunke ghoorne laga rajesh ko aur sochne ki raju sahi kehta tha mere maa baap is rajesh ko kuch jyada hi maante hain.....
Virendra - acha.... bhagyawaan......
Rajesh - waise maa bhai ka rishta kahan se kiya hai.......
Upasna - aree beta tu rajan ji ko jaanta hai.... jo apne bhageeche ke peeche wale ghar main rehte hain.......
Rajesh - hnnnnn jaanta hun maa.....
Upasna - unhi ki beti malti banegi teri bhabhi......
Aaj ke lie itna hi.....
Continued.....