Update 21
Aise hi 2-3hr nikal gaye komal ko abhi hosh nahi aaya tha par doctor ne bola tha ki use kabhi bhi hosh aasakta hai
Isi bich police bhi aake gai thi
Fir wo pal aaya jab Mai us shaks ka samna kar raha tha jisse mai jindagi me kabhi bhi milna nahi chahta tha......
Ab aage.....
Aur wo shaks koi aur nahi balki Mr. Raghav patil tha jiske sath meri choti maa bhi thi
Wo dono samne se hamari taraf aarahe they
Aur tab mujhe mere baap ko dekh kar wo bat yaad aayi jab Maine London se apni padhai chhod kar aur insab se apna rishta tod kar gaya tha
Tab maine usse bola tha ki
"Mr. Raghav patil tumne kabhi mujhe apna beta nahi maana aur aaj se mai bhi tumhe apna kuch nahi manta aur naa hi tumhare kisi pariwar wale se mera koi rishta hai
Mai aaj se sare rishte naate tod ke jaa raha hu aur bhul ke bhi mujhe dhund ne ki koshish mat Karna kyu ki ye mera wada hai ki tum apni puri daulat bhi mujhe dhund ne mai lagaoge tab bhi tumhe mere bare me kuch bhi pata nahi chalega"
Par aaj dekho kismat ne kis tarha mujhe yaha lake khada kardiya tha
Haa lekin isme badlao ye tha ki mai uske samne uska beta nahi balki kuch aur banke khada tha
Kher jab wo aaye tab choti maa komal ko dekhne andar chali gai aur
Raghav ne aate hi Mahesh ka cooler pakad liya
Raghav - kis kam ki tumhari security jo tumhare ankhoke samne se koi meri beti ko kidnap karne ki koshish kare aur tumhe pata bhi nahi chala
Raghav itne gusse me tha ki Mahesh ko kuch bolte naa ban raha tha fir bhi usne himmat karke apni bat kahi
Mahesh - sorry sir but ye itne jaldi huwa ki hame kuch karne ka mauka hi nahi mila
Aur upar se madam apne sath kisi bhi security wale ko bhi nahi rehne deti warna ye sab kuch bilkul nahi hota
Raghav ko shayad uski bat sahi lagi isliye usne Mahesh ko chhod diya
Raghav - thik hai aage se aisa naa ho iski khabardaari rakho
Mahesh - ji sir mai aage se aisa kabhi hone nahi dunga
Raghav ne ispar kuch nahi kaha aur wo andar komal ko dekhne Jaane laga ki tabhi uski najar mujhpe padi jo unke samne bina shirt ke khada tha
Raghav - tum kon ho
Ispe mai kuch jawab deta usse pehle hi Mahesh bol pada
Mahesh - sir isne hi in kidnappers se madan ko bachaya tha
Mahesh ki bat sunke raghav ne mujhse hath milane ke liye aage kiya
Aur jese hi hath mai usse hath milane wala tha ki tabhi choti maa bahar aaayi
Siya - komal ko hosh aagaya hai
Unki bat sunkar raghav ne apna hath piche leliya
Aur andar chala gaya uske sath hi Mahesh bhi andar gaya
Mujhe bhi komal ko dekhna tha par ye sahi samay nahi tha isliye mai apne raste yani hospital ke bahar chal pada
mujhe wese bhi use shaks ko dekh kar gussa aaraha tha jo mera bap tha
jab wo Mahesh ko puch raha tha ki uski security ke hote huwe ye kese huwa tab mera dil kiya tha ki mai uska gala pakad ke puchu ki
"agar itana hi pyar dikhate ho apne bachho ke liye to unko dur kyu kiya"
Par ye sab mai nahi karna chahta tha isliye mai waha chup raha aur yaha se nikal Jaana hi thik samjha
Abhi mai hospital ke bahar nikalne hi wala tha ki Mahesh mere pass bhagte huwe aaya
Mahesh - kaha jaa rahe ho
Mai - wo mujhe ab Jaana hoga kuch kam hai aur wese bhi mai yaha pe uske mom dad aane tak hi ruka huwa tha
Mahesh - (haste huwe) matlb tumhe abhi tak hampe yakin nahi tha
Mai - nahi wese bat nahi hai mai to bas...
Mahesh - kuch nahi dost mai bas majak kar raha tha
Wese tumhe mai ye bolne aaya tha ki tumne jo kiya uske liye sir tumhe thanks kehna chate hai isliye unhone tumhe kal subhah milne bulaya hai
Mai - are nahi iski koi jarurat nahi hai aur wese bhi mai kal yaha se Jane wala hu
Mahesh - Haa to kal unse milne ke bad chale jana aur hamari madam bhi tumhe unko bachane ke liye thanks kehna chati hai
Wese to mai use mana kar raha tha par jab usne ye kaha ki komal milna chahti hai to mai usko mana naa kar saka
Mai - ok tum mujhe address dedo mai kal subhah aajaunga
Meri bat sunke usne ek guard ko bulaya
Mahesh - ye tumhe abhi chhodne
Aayega aur kal fir wahi se kal pic kar lega
Usko mai naa bolna chahta tha par kahi usko jyada shaq naa ho isliye maine Haa boldiya
Uske bad Mahesh ne us guard ko uska kam bataya aur mujhe kal milne ka kehke andar chala gaya
Aur mai bhi guard ko apne hotel ka pata jaha mai thehra tha uske bare me bataya aur andar beth gaya....
To be continued.......