Click anywhere to continue browsing...
Nice intro bhai....keep writing
Next ke intezar me.
UPDATE-12
ladki in bato se aanjan ki koi uske room me dakhil ho chuka hai...fir ek picche darwaje ki taraf badne laga.....aur charo us ladki ki taraf aapna hath badaye aur tabhi..................
AB AAGE
room me pura parkash fail gaya ...jo darwaje ki taraf gaya tha usne light on ki thi room ki ...aur idhar Sabhi ek sath
Happy Birthday too you roshani Tumm jiyo hazron saal yahi he Hamri arzoo Happy Birthday too you roshani...Happy Birthday to you...
udhar Roshani jese inka hi wait kar rahi ho ki kab koi usko aake uthaye aur usko wish kare....roshani ke sare family members is time room me roshani ko wish me ye geet ga rahe the...vahi roshani ye sab dekh kar muskara rahi thi sath-2 uske ankhon me ansoo nikal rahi thi khushi se apne family ka payar dekhkar....
is time room me roshani ke dadaji,papa,maa,bhai aur cousin sister thi...
dadaji roshani ke pass jake uske mathe par kiss karte hai...
dadaji-aaj ka din bahut-2 mubarak ho beta aap ko sari duniya ki khushi mile...
fir iske baad sabhi bari-2 roshani ko badhai dete hai..aur roshani sabhi badon ke pair chuke ashiarwad liya....ghar me kaam karne wale cake lekar aate hai fir roshani ne cake kata aur sabko apne hatho se khilaya...uske baad sabhi chale gaye apne-2 room me....roshani bhi iske baad so jati hai...
new entry- kiran singh, roshani ke mama ki ladki dono ek hi age ki hai..kiran bhi kubsurati me kisi bala se kam nahi hai.....bus itna samaj lijiye ek bahan aag to ek bahan shola hai............
agali subah
ghar me charo charaf chal fahal machi hui hai aaj is kandan ki ladli beti ka janamdin jo hai....RAJPUTANA MAHAL ko dulhan ki tarah sajaya ja raha hai...is time puja rakhi gayi thi jiski tayari ghar ke bade dekh rahe the...udhar roshani in sabse bekhabar apne sapno ki duniya me soyi hai..roshani ki maa kiran ko bejti hai usko jaga ke lane ke liye....
Roshani room
Kiran(rosahni ko hilate huye)-uth jayiye rani sahiba dekh subah ho gayi....
roshani-thode der sone dena kirru...
kiran-uth ja niche puja ki tayari ho rahi hai.....sab wait kar rahe hai tera kab aap uthe aur puja suru ho....
roshani(jaldi se uth kar)-are me to bhul gayi aaj to mera bairthday aur dadu puja karate fir sabhi mujhe gift dete hai meri pasand ki....
kiran-gift ki baat yaad aate dekho kese uth baithi...
roshani-gift ki kise jaldi na rahti ....hehehehe bus dadu se jo mangu vo mil jaye bus.... mujhe bahut dar bhi lag raha kahi dadu gussa na ho jaye tu bus mere sath rahna to meri himmat bani rahegi......
kiran-chal thik hai tere liye ye bhi sahi tu pahle ready to ho ja...
roshani-ok...tu niche chal mai ready hokar aati hu niche...
vahi haal me sabhi family member pahuch chuke the puja ke liye......kirru bhi niche aa gayi....sabhi wait karne lage roshni ke nicche aane ka....thode der baad roshani sidhiyo se niche utar kar aane lagi...is samay roshani white rang ke salwar aur kurti me kisi pari se kam nahi lag rahi thi nicche utar sabse pahle sabhi bado ka pair chu kar puja me baith gayi...........puja kafi der tak chalti rahi.....puja ho jane par sabhi ne gift diya kewal dadaji ko chodkar..aur last me roshani dadaji ke pass pahuchi...
dadaji-ab to puja bhi ho gayi to hamri gudiya humse esha kya mangne wali hai...jo aapne har janmdin ke kai din pahle se mujhe aapne lambe gift ki list ke bare me bata kar pareshan karti thi lekin is baar puchne par bus ek baat sunne ko mila aapne janmdin par bataugi.......
dadaji ki baat sunkar sabhi ki najre roshani ki taraf ho gayi......
roshni-woo wo woo...dadu mmaiii aapsee aur dhire-2 aage badne lagi dadaji ki taraf
dadaji-kya hua humri gudiya ko ese kyo bol rahi...
roshni dadaji ki pass pahuchkar ek hi saas me bol padti -dadu mai delhi jakar engnieeing ki padai karna chati hu please dadu mana bat karna please....please(aur aapni aakho ko band kar liya)
kyoki vah janti thi ki dadaji aapne se dur usko kahi jane nahi dege kyuki bhai bhi delhi me rahkar padta tha bus ek wahi thi jo ghar me jo dadaji ki sahara thi jisko dekhkar unki apne aklepan ki kabhi kami nahi mahsus hoti thi aur jo bhi kaam ki sari tension hoti thi vah katam ho jati thi dono dada poti kafi der tak ek durse ke sath time spend karte the bus yahi dadaji ki zindgi thi.....
jab roshni ne dekha dadaji kuch bol nahi rahe to aapni aakhe khol kar dekha to dadaji ekdam chup roshani ke cahare ko ekthak dekh rahe the dadaji ke cahare par kai parkar ke baav uatpan ho rahe the....aur ve aapne room ki taraf bina bole chale gaye.....
roshni(man me)-ye mene kya kar diya...dadaji aaj pahli baar unke cahare par dukh dekha mene unka dil dukha diya nahi ab me kahi nahi jaugi esha soch kar......aur turant dadaji ki room ki taraf bhagi....uske picche-2 sabhi chal diye...
roshni aander room me pahuchkar dekti hai ki dadaji chair par baithkar gambir muda me soch rahe the...roshni turant dadaji ke pass unke gutno ke pass baith jati hai....
roshni-mushe maaf kar do dadu mai aapko chodkar kahi nahi jaugi mai aapke pass humesha rahugi please dadu aap chup mat raho ese...
aur uske aakho me aasu aa jate hai dadaji jab roshni ko rota hua dekhte hai.....
dadaji apne cahare par muskan lakar-are meri bus itni se baat ke liye rone lagi....tu pahle chup ho jata tu janti hai na tujhe rota hua nahi dekh sakta mai to is liye chala aaya ki teri dadi ke jane ke baad bus ek tu hai is ghar jisko dekhkar mere dil ko sukun milta hai.....aur tune aachanak aapne delhi jane ki baat kah di isliye me tujse kuch kahe chala aaya.....(aur aapne hatho se roshni ke aaso poch kar gale laga liya)
roshni-dadu aap kabhi bhi esa sadu sa face na banya karo..mai aap ko ab chod kar kahi nahi jaugi.....
dadaji-lekin me to soch raha tu delhi jakar padne ke liye kahu magar ......
roshani(kushi se)-abhi aapne kya kaha dadu me delhi jaugi...i love you my world bested dadu.....i love you....
dadaji-are pahle meri puri to baat sun lo ki kya kah raha tha mai ye soch raha thi ki tujhe jane ke liye kahu magar tune aapna fasila badal liya tha na abhi to ab meri gudiya mere pass rahegi kahi nahi jayegi.......
roshni-(udas hokar)-thik hai dadu jasa aap kahe....
dadaji- are meri gudiya udas ho gayi me to mazak kar raha mere gudiya mujse kuch mange aur uska mai na manu esa kabhi hua hai aur nahi kabhi esha aage bhi hoga meri gudiya jarur jayegi.....
roshni-sach dadu......
dadaji-much meri gudiya...(aur roshni gale lag jati hai)
sabhi dada poti ka payar dekh rahe the......
Are suru se hi kidanppe wala khel thode hi suru hogaBoth Update 11 and Update 12 were very good updates. The introduction was also very good. I felt Roshni being kidnapped, but it was her birthday. Everyone loves the Roshni at home and her grandfather has also given permission to go to Delhi for studies. You are writing very well, Now let's see what happens next. Thank You...![]()