-----: Bulletin Board :-----
Update 88 (A & B) is posted on 537.. Must give your valuable feedback...
End Of The Chepter:-1 is posted on 542...
Last edited:
Ha ha ha ha ha ha ha ha ha haJe photo wali ladki to bada hi aslil ishare kar rahi... Kahan se isse pakad layi...
Aapke a comment dekhne ke bad Aisa Lagta hai dil ki dabi si bhadas poori jahir kar di ho. Ye to jab jahir si baat hai khud ke lage chot ka hi dard pata chalta hai... Baki to duniya apne hi swarth me lin hai aur usme bhi kuchh Kumar jaise kirdar hote hain jiska swarth amanviya gativithi ko mehsus karwa jata hai...

Kajal wali stories padhke kuch ul fijul ki baatein soch leti hai.. aisa nahi sochne ka
ab bhi waqt hai nischal ko meera ke sath entry karwaiye... phir dekhiye sab okay okay ho jaani haiYe ghatna Som, Sia ya Diksha ki jindgi me kya parinaam le kar aayegi wo to bhavishya hi batayega jo ki apne aap me ek rahasya hota hai... Aur iss rahasya ko suljhane ke liye dhire dhire uss bhavishya ke ore chalte hain..

to in kirdaaro ka kissa hi khatam kar diya jaaye story se hi.. simpleVo kahte hai na Naina Ji unchi dukan fika pakvana ushi ka parichay yha Kumar and family ne diya hai
waise bhi story romance kam aur past present future drama zyada lage.. Kuch kirdaar mar jayenge ko thrill murder mystery bhi add ho jaye story pe.. 

Jugnu ke bhi alag hi kisse... udhar uske bhai logis ki ichha ki Som jija bane unka.. par ye ab asambhav hai...Update:-23
Mahol shant hua. 10 minute baad wapas se shaadi jaisa mahol tha. Jugnu ke chachere bhai Mayank, Roopam aur uske sabhi dost uss waqt stage par hi the jab Som ne ek hollywood movie me dikhne wale agent type shooted-booted bodyguard ko pichhe se hi dabocha aur utha kar kursiyon ke bich fenka tha.
Sabhi Jugnu ke pass pahunchte... "Didi, uss din ye hum sab ko maarne par aata to 2 minute bhi na tikte"
Jugnu:- Achha beta, tab se akl nahi khuli jab hum sab kahte the ye akela seniors ke hostel ke lobby me ghusta tha aur kisi ki himmat nahi hoti thi bolne kee.
Roopam:- Didi isse pata le... Mujhe to ladka pasand hai...
Jugnu:- Hahahaha… Pagal...
Mayank:- Arreee sach me didi... Ye to terror hai.
"Tum sab ko kaise sanjhaun ki uss waqt to bf banana fashion samjhti thi. Lekin Ankit sir ki baat se kaleja kaisa dharka tha. Kitni dukhi thi jab Som ne Ankit ko maara. Ek mann kiya ja kar puchh lun Som se lekin main hi gadhi thi jo Devanshu ki baton me aa gayi"… Jugnu apne bhaiyon ko sun kar bite dino me kho gayi.
Roopam:- Style dekhi thi, wo commissioner kuchh bol raha tha, aur wo akk thuu kar raha tha. Daring hai usme didi...
Jugnu:- Ae gadhera sab gher kar mera magaj nakki kha..
Mayank:- Chal bhai achha ladka hath se nikal gaya. Ye na maanegi. Kisi aur ke liye baat chalayenge…
Jugnu hansti hui.… Uss akdu ke pichhe time waste hai. School time me 14 ladkiyon ko thappad maar chuka hai. Fighter hi pasand hai to boarder par ja kar jijaji nakki kar aa. NSG commando, Raw, Cbi, IPS, real hero fighters ki kami hai kya?"
Mayank:- Ye vishvashniya hai. Unka charecter parakhna padega na didi. Samjhti kyun nahi...
Jugnu:- Bus bhi kar. Abhi jayega kahan. Shristhi ya Kanak se lagan ki baat chalayenge..
Roopam:- Ek baagi thodi mismatch thi lekin yahan hoti to uss se baat kar lete. Lekin jiddi ladki nahi hi aayi. Kar li apne man ki.
Jugnu:- Jane de uske liye sare niyam me chhut hai. Sakhti sirf humare liye.
Mayank:- Galat to wo bhi nahi thi Jugnu didi.
Jugnu:- Achhe khase mahol ko kharab na kar Mukku. Abhi shant rah warna uske naam par Viraji aur Shurendr kaka yahin par shuru ho jayenge. Ghar ki ek wahi ladli jo thehri..
Roopam aur Mayank ek sath... "Bechare Jignesh bhaiya".. aur bol kar hasne lage..
Jugnu:- Chhod na kaahe matha laga raha. Miss kar gaya na, jhagde ke bich bhabhi ghunghat upar ki thi uss waqt tasveer le lete..
Roopam aur Mayank dono hanste huye... "Gaandi, itna intense mahol tha. Uske bich me ghus kar photo click karte… chal na abhi bhabhi se request karte hain."
Jugnu:- Bhabhi se dance karwayenge na, uss bich bolenge. Chal pahle dance wala programme shuru kiya jaye. 20ml vodka 120ml orange juice ke sath 3 peg, bhabhi ke liye le aa.
Roopam:- Bar me kaam karne lagi kya Jugnu didi.
Jugnu:- Nahi re Som sir ne samjhaya tha, Bhabhi ko kitna dose dena hai aur kaise...
Mayank:- Bhabhi aur Som sir ki bounding dekhta hun na to maza aa jata hai didi. Kya hum logon ki bhi bounding waise hi hai.
Jugnu baanh faila kar apne dono bhai ko smet'ti... "Unki bounding unki hai. But hum kya kisi se kam hai. Jadeja brothers and sisters."
Mayank aur Roopam, dono muskurate huye... "Yesssss didi. Chalo apni bhabhi ko welcome kare."…
Young, old, sabhi prakar ke guest me ladai hi charcha ka vishay bana hua tha. Dikhsa, Sadhna aur Jay Kumar ke sath stage tak aayi. Usne Pranshu se aupcharik taur par Jay aur Sadhna ko introduce karwayi. Introduce to karwa rahi thi lekin Diksha ko malal sirf ek hi baat ki thi, thoda jaldi rok di Som ko. 2-4 aur logon ki haddiyan tod deta to achha hota.
Haan Diksha ander se kafi chahak rahi thi aur jaise hi ladai ka poore mamle se fursat hui, teji se ghunghat ko niche daal li. Wo mann hi mann apni maa ko dhanywad kahne lagi. Usse ghught ka culture pasand aaya. Bhid uske facial expressions ko judge nahi kar sakti thi.
Bejjati aisi hui thi kee Kumar & company bhi wahan 10 minute se jyada nahi ruke. Kumar & Company ko ek baar aur bejjati jhelna pad gaya, jab wo stage par aaye. Uss waqt Pranshu ke kayi rishtedar stage par majoid the jo muh par Pranshu ko kahte gaye.... "Shadi me aaye the ya filmon me chalne wale kisi underworld don ki sabha me, hum to tay nahi kar pa rahe. Inhe shayad humara yahan hona achha na lage"… Tane dete sabhi guest stage se niche utar gaye the.
Baharhaal Kumar & Comspany ke jate hi stage ek baar fir bhara poora tha. Chilled orenge juice with vodka pahunch chuka tha. Jugnu ki vayvstha bhi utni hi thight thi. Tray me glass tha, glass ghunghat ke ander aur mote straw se Diksha peg khinchne lagi.
60 ml vodka 3 divided dose me poore terms and conditions ke sath khinchne ke baad Diksha jaise hi fursat hui, Pranshu ko uske bhai-bahan ne himmat diya aur Pranshu, Diksha ka hath tham kar dance floor par le aaya.
Sare bhai bahan charo ore se ghere huye the aur Diksha bade pyar se Pranshu ka hath tham kar romantic song par bus apne kadam chala rahi thi. Dono kadam chalate huye ek dusre me kahin kho se gaye the. Dono ek dusre ki badhi dharkano ko mehsus kar sakte the, issi bich kaan faad hooting hone lagi. Diksha aur Pranshu shor sun kar muskurate huye alag huye.
Uske baad bari aayi nanad, devar, aur bhabhi ke dance karne kee. Idhar Diksha ke rishte ki kuchh close bhai-bahan apne jija ke sath thumke lagane lage. Shadi ka jyadatar bhid ussi jagah ikattha thi. Kabhi kisi ke funny drame aur bedhange dance se log khush hote to kabhi koi piyakkad iss rang me bhang daalne ki kosis karta to usse manch par chadhne se pahle hi bahar ka rasta dikha diya jata.
Kuchh der dance karne ke baad Pranshu aur Diksha ek kinre khade ho'kar bakiyon ka dance dekh rahe the... Issi bich Pranshu… "Diksha, apne bete ko nahi bulaogi kya"?..
Diksha:- Khamba gataka tha wo, so gaya hoga…
Pranshu:- Humari suhaagraat bhi to ussi kamre me hogi. To kya wo tab bhi..
Diksha:- Bada hi ghatiya joke tha. ..
Pranshu:- Aise ghatiya joke se bachna ho to bula lo usse. Bus chand ghanton me to ye samroh bhi khatm ho jayega...
Diksha:- Rahne do wo jahan hai thik hai...
Pranshu:- Mujhe tumhari baton par shanka ho raha hai. Wo jab wahan gusse me Kumar & family ko ghur raha tha tabhi uske chehre par likha tha ki wo kafi sukoon me hai. Kumar ke bodyguard ko marne ke baad tum kuchh to post analysis ki ho isliye usse nahi bula rahi.
Diksha:- Isse faltu ka dimag lagana kahte hai. Mangadhant baaten jo muh se ulti ki tarah nikalti hai... 1 poora khamba gatakne wala chalne ke bhi haalat me hoga kya? Upar se 1-2 bottol aur le gaya..
Pranshu:- Thik hai mat bulao.. .
Diksha:- Aaj tumhari shadi hai sirf isliye tumhari baat maan kar bulava leti hun. Kisi ko bolo kewal nimbu nichod kar uske kamre me le jaye aur kaan ke pass itna bolne ki Lata aunty sab ke bich ro rahi hai...
Pranshu ne Roopam aur Mayank ko awaj lagaya lekin bhid se uski bua ki ladki uske pass pahunchi... "Bhaiya mujhe bulaya kya?"
Pranshu:- Shristhi ek kaam karegi..
Diksha, Pranshu ke hath hilati... "Nooo"
Pranshu, Diksha ki baat ko najarandaj karte Shristhi ko sari baat samjha kar bhej diya. Uske jate hi Diksha shikayti lahje me… "Kisi ladke ko nahi bhej sakte the?"
Paranshu:- Oh come on Diksha. She is a big girl. Aise rudhiwadi soch...
Diksha:- Had hai ek anjaan ladki ek anjaan ladke ko kamre me uthane jaye... Ye galat hai..
Pranshu:- Arre wo kal se mere pichhe padi thi ki ek intro karwa de Som se. Kayi baar usne Som se baat karne ki kosis bhi ki lekin Som sir ko ek apni dost se poori baat nahi ho pati, bakiyon ka number kyun aaye. Ab wo apni marji se Som ke sath jaan pahchan badhana chahti hai isme galat kya hai...
Diksha:- Mere baap ka kya jata hai. Jaan pahchan salikhe se badhayi to thik warna gaal laal hona to tay hai...
Pranshu:- Main bore ho gaya hun ek hi baat sun kar. Wo kya sadhu mahatma hai jo kisi ladki ke ore jarra bhi aakarshan nahi hoga. Ya fir gey hai..
Diksha:- Kisi ko kitna bhi samjhao wo samjhte nahi. Pranshu sir aap ki baat sun kar main chup rahne me hi apni bhalai samjhti hun.. Aap jari rakho..
In dono ki bahas jari thi idhar wo ladki Shristhi nibu ka poora juice le kar Diksha ke kamre me pahunchi. Jaise hi wo darvaja kholi, Som pahle se jaag raha tha aur kuchh juice waigrah le raha tha. Shayad nasha utarne ki koi vidhi thi, kyunki waise hi kayi khali glass aas pass rakhe the..
Jaise hi darvaja se kisi ke aane ki aahat hui Som ki najar darvaje par… "Koi kaam tha kya"?
Shristhi:- Aapse baat karni thi.
Som:- Hmmm ! Thik hai main jab bahar aaunga to baat kar lunga...
Shristhi, Som ki baat sun kar honth gol bana lee aur hawa me kiss fenkti, jaise darwaje se ander kadam badhane lagi... "Dekho main apne room me kisi ko allowed nahi karta"
"Lekin ye to bhabhi ka kamra hai na"..
Som chup chap wahan se uth kar darvaje tak aaya. Some ko bahar jate dekh Shristhi apni balkhati aakarshak kamar ko angel deti poore darwaja ko hi gher lee. Jaise hi Som, Shristhi ko kinare karne laga... "Main kisi ko touch karna allowed nahi karti. Touch kiye to aage ke natije ke liye taiyar rahna"
Som uski baton ko najarandaj karte, jaise hi Shristhi ke kandhe se hath lagaa kar kinare kiye, wo teji se Som ke honth ko chumti... "Ek baar tumne mujhe touch kiya, ek baar maine. Baat barabar."
Som, uske ore ghurti najron se dekhte... "Suno miss, kisi ladki par haath uthana mujhe ajib lagta, lekin kuchh ladkiyan apni masti me maar khane wala hi kaam karti hai"….
Som apni baat kah nar jaise hi darvaje se 2 kadam aage badha, Sugandha khadi thi. Shristhi darwaje se ander dekh rahi thi isliye usse pata nahi chala ki pichhe kaun khadi hai... "Shristhi tumhara kaam ho gaya kya?"
Apni Mami ki awaj sun kar Shristhi ki sitti-pitti gum ho gayi. Glass ko wahin fenkti bhagi.… Shristhi teji me nikli aur idhar Sugandha... "Som kya tumse 5 minute baat kar sakti hun?"
Som kuchh soch kar kamre me aaya. Dono aamne samne baithe. Kuchh pal khamoshi hi rahi dono ke bich.
Sugandha:- Mujhe aunty kahne me sharm aati hai kya?"
Som:- Aap kuchh baat karne aayi thi aunty?
Sugandha:- Ek ladki kisi ladke ko kiss karne ki himmat nahi karti, jab tak ki uske dil me uss ladke ke liye koi bhavna na ho. Tum Shristhi ko dekh kar hi samjh gaye the na ki uske mann me kya chal raha hai…
Som:- Ji
Sugandha:- Shayad Shirsthi ka tumhare prati aakarshan ho sakta hai, shayad pyar bhi ho sakta tha, kyon?..
Som:- Haan shayad…
Sugandha:- Jab ek ladki himmat kar ke tumhare samne apni bhavnayen rakh sakti hai to tum kyon dil aur dimag ka shutter band rakhte ho. Kya tumhe ladke pasand hai...
Som:- Chhod dijiye aunty, iss vishay par baat karne se koi natija nahi niklega. Aap jo bolengi sab sahi hoga, lekin ek hi baat kahna chahunga kuchh feeling natural hoti hai, usse samjhaa kar badla nahi ja sakta.
Sugandha:- Haan ye bhi sahi hai. Main ek musibat me hun, tumse help maangne aayi hun...
Som:- Ji...
Sugandha:- Maine kisi ki karjdar ho gayi hun aur main apne bacchon ki kasam kha kar kah sakti hun ki yadi ye karj nahi utra to meri zindgi ghut'ti rahegi.
Som:- Aap itne sare logon me se mujhe kahne aayi. Strange na aunty. Shayad kisi ko maarne wala kaam hoga isliye aap ko ek gundey ki jaroorat padi hogi...
Suganda:- Ae pagal, bina poori baat samjhe, ab kisne bich me toka aur faltu ki baat kahi...
Som:- Sorry Human error..
Sugandha:- Jhutha ladka, tumhe thik se jhuth bolne nahi aata…
Som, tukur-tukur dekhte… "Lata Mishra ne sikha kar bheja hai kya?"
Sugandha:- Mujhe Lata Mishra kyun sikha kar bhejegi. Saaf kyon nahi kahte ki tumhare dimag me faltu ke khyal aa gaye.
Som:- Haan kah sakti hain. Wo aap ke jeth Viraji ne pahle se itna kuchh mujhe offer kar diya ki dimag me ek hi khyal rahta hai, aap ki poori family mujhe ek gunde se jyada treat nahi karti..
Sugandha:- Oh ho, Som sir ke emotions..
Som:- Mai kya insan nahi jo mujh me bhavna nahi hogi...
Sugandha, apne dono hath jodti... "Viraji bhai sahab ke ore se main tumse maafi maangti hun. Kuchh log kuchh jyada samjhdar hote hain jise kewal apna kaha aur apna kiya hi sahi lagta hai. Baki duniya unke hisab se chale to achha warna log bure ho jate hain. Chhodo unhe.. aur haan mera poora parivar tumhe kya samjhta hai uske liye pahle tumhe bhi mere parivar ko jaan'na hoga."
Som:- Hammm !!!
Dono ki baaton ne jaise ardh-viram (semi-stop) liya ho. Sugandha hath jod kar apni bhavna kahne ke baad kuchh jyada ki ummid laga baithi thi, lekin Som fir se aisa chhota aur fika responce diya ki Sugandh sankoch me pad gayi. Ander se yahi khyal aa raha tha, "Kahna to hai, lekin kaise kahun?"
Som ki bhi apni hi majboori thi. Personally Som poore Jadeja parivar ko parakh chuka tha. Achhe bure har tarah ke log parivar me hote hain, yahan bhi the. Haan lekin business community se hone ke bawjood bhi ek bhi member kisi bhi prakar ke serious elligal activity me involve nahi tha, ye Som Gujrat jaa kar khud pata kar aaya tha.
Som ke mann me ek achhi chhavi thi Jadeja parivar ko le kar. Jadeja parivar bahar walon ke liye kaise bhi rahe, ghar ke har sadsya ki bhavna ko samjhte the. Haan lekin Som ke dimag me parellel ye baat bhi thi, Jadeja family ke mukhya kabhi usse Mishra parivar ka hissa nahi maan sakte, isliye wo kuchh bhi kar le Jadeja family ke liye bahar wala hi rahega...
Pahle Sugandha ki wo khamoshi se 5 minute baat karne ki request. Fir ek maa (Sugandha) apne bacchon ki kasam kha rahi thi. Kisi prakar ka karj utarne me Som ki help chahiye... Som ne tab human error nahi kiya tha, balki kahin Sugandha, Diksha ke naam par kisi ko pitwana na chah rahi ho, isliye indirectly apna stand clear kar raha tha.
Jab mamla kisi ki pitai ka nahi nikla, fir ek anjaana dar Som par haavi hone laga. Iss bich Sugandha ne hath tak jod liye, shayad usse Som ki feeling samjh me aa rahi thi, lekin parivar ke hath wo bhi majboor na ho... Som ko kahin na kahin lag raha tha uske nashe me hona ya mahefil me maar pit karne ke karan, kahin Sugandha ye na kahne aayi ho, "Diksha se dobara mat milna..."
Som ke dimag par soch itna haawi tha ki uski dharkane baith gayi thi. Chinta ne dimag ko aise shock me daala tha ki bacha khucha nasha bhi gayab ho gaya tha. Khamosh bus wo Sugandha ke bolne ka intzar kar raha tha aur idhar Sugandha bhi apni hi sankoch me thi...
<---------------{ }------------>
Ishq ki mauj mein aa
Aaja behne ke liye
Tu zaroori, zaroori sa hai
Mujhko zinda rehne ke liye
<---------------{ }------------>


ई nain11ster जी की कहानी थी।Ye kaun si kahani me Nischal ko padh aayi wo bhi Jivisha ke sath galat karte...1.5 sal ki shadi... Uss se pahle 2 sal ka love aafair .. aur utne samay me dono kewal 3 baar .. kewal 3 baar hi... Samajh gayi na... Nischal ne galat kiya... Bechare ki kismat hi kharab hai... Aap ne usse hi galat samjha
...
Wo sach me masoom hai... Jivisha ki tarah hi
![]()
ju kahe tang ada rahe hai is mamle mein ...
Mahi Maurya madam jald se jald baap ke maal mein nischal aur Hella ko entry karwaiye.... taaki story superhit ho..![]()
Hella poore samaj ki maal hai
तब तो कहानी गई काम से।।
यव दोनों अगर बाप के माल में आ गए तो बाप का माल न बाप खा पाएगा और न ही कोई और।
इनके लिए हमने कुछ और ही सोच रखा है इन दोनों को बैन कर दिया जाए।।![]()
.. khane pine me to kabhi kisi ko manaahi nahi ki 
तब तो कहानी गई काम से।।
यव दोनों अगर बाप के माल में आ गए तो बाप का माल न बाप खा पाएगा और न ही कोई और।
इनके लिए हमने कुछ और ही सोच रखा है इन दोनों को बैन कर दिया जाए।।![]()
Nischal aur Hella ko as a hero heroine lenge ki nahiHella poore samaj ki maal hai.. khane pine me to kabhi kisi ko manaahi nahi ki
Haan lekin Nischal hai registan ... Prakop itna bhadi ki kitni bhi hariyali kyun na rahe uska be raham khanjar sukha kar deta hai...
Ban ka vichar mujhe pasand aaya![]()

दुई ठो राइटर कोट है.. पहले खुद तो क्लियर हुई जाबो लिखवाना किस से है...
Sabhi writers seदुई ठो राइटर कोट है.. पहले खुद तो क्लियर हुई जाबो लिखवाना किस से है...
bhere r ju.. ye writer logis baat hi nahi maan rahe hai...