Thriller The Revenge

  • You need a minimum of 50 Posts to be able to send private messages to other users.
  • Register or Login to get rid of annoying pop-ads.

parkas

Prime
Messages
14,362
Reaction score
37,851
Points
173
Update - 53
____________________




Main aur dinesh ne ek sath hi baith kar khana khaya. Is dauraan hamare bich sab kuch samaanya ho gaya tha. Dinesh ke hi puchhne par maine use bataya ki maine apna bangla bench diya hai aur usme se kuch paiso dwara yahi gaziabad me hi ek jagah flat le liya hai. Us flat me main apni biwi maya aur apne ek dushman ki beti minakshi ke sath rah raha hu. Maine unhe ye bhi bataya ki minakshi ke sath main kuch bhi galat nahi kar raha hu. Wo meri kaid se bhaag na jaye is liye maine use bandhak banaya hua hai. Jis din mera maksad pura ho jaayega us din main use azaad kar duga.

Dono miya biwi ab kyoki meri asaliyat se waakif ho chuke the is liye unki nazar me meri ek alag hi ahmiyat ho gayi thi. Ye alag baat hai ki swati ke chehre par kabhi kabhi mujhe nirasha ke se bhaav ubhar aate dikh jate the.

Khana khatm hua hi tha ki door bell baji. Swati ne ja kar darwaza khola to pata chala bachche apne school college se aa gaye the. Teeno bachcho ne mujhe dekhte hi namaste kiya aur fir wo andar ki taraf chale gaye. Idhar maine bhi dinesh bhai se jane ki ijazat maagi to usne kaha ki mujhe uske yaha se kamra khaali karne ki koi zarurat nahi hai lekin kyoki maine apne liye flat le liya hai to beshak main apne flat par rahu magar har roz mujhe uske ghar chaay pine ke liye aana padega.

Dinesh aur uski biwi swati ne apne bachcho ki kasam khaayi thi is liye ab mujhe unse kisi tarah ka khatra nahi tha aur idhar maine bhi unhe puri tarah aaswast kar diya tha ki unhe mujhse koi khatra nahi hai. Khair uske baad main aur dinesh sath hi baahar aa gaye. Dinesh apna auto le kar chala gaya aur main dusra auto khoj kar usme baith kar chalta bana. Dinesh ke kahne ke bavjood main uske auto me isi liye nahi baitha tha taaki ye ham dono ke liye hi safe rahe.

Jab main apne flat par pahucha to din dhalne laga tha. Maine dekha maya hamare bete se phone par baate karne me lagi huyi thi. Main aaya to usne phone mujhe pakda diya. Maine kuch der apne bete se baate ki. Uske baad main araam karne ke liye bed par let gaya. Main jaanta tha ki sanjay ki hatya ho jane se maamla pahle se kahi zyada garm ho jaayega jiske chalte shahar me sansani fail jayegi. Media wale aur pradesh ki janta ka bartaav bhi ugra ho sakta hai. Mujhe ehsaas tha ki har baar ki nakaami ke baad sambhav hai ki is maamle ko police se le kar CBI ke supurd kiya ja sakta hai. Bed par lete main yahi sab soch raha tha. Mere zahen me khayaal ubhra ki mujhe apne kaam ki speed badhaani hogi. Halaaki aisa karna behad hi khatarnaak saabit ho sakta tha lekin main ab wakt jaya nahi kar sakta tha. Maamla agar CBI ke hath laga to tafteesh ka daayra aur speed hi badh jaayegi, sath hi mera pakda jana bhi tay ho sakta hai. Is liye mere liye yahi behtar tha ki jitna jaldi ho sake apne dushmano ko khatm kar ke maya ke sath is desh se nikal jaau.

"Lagta hai gahre khayaalo me gum ho." Maya ki awaaz par mera dhyaan bhang hua to maine uski taraf dekha. Wo apne dono hatho me chaay ke cup liye bed ke paas hi khadi thi. Main utha to usne ek cup mujhe pakdaya aur dusra cup khud le kar wo bed par mere paas hi baith gayi.

"Sahi kaha." Maine lambi saans chhodte huye kaha____"Gahre khayaalo me hi khoya hua tha main. Soch raha tha ki sanjay ki hatya ki khabar failte hi ek baar fir se delhi shahar me sansani fail gayi hogi aur is sabke chalte media wale ek baar fir se police prashasan ko nikamma karaar degi."

"Wo to laajmi hai." Maya ne shaant bhaav se kaha____"Bhala media ya janta ko kya pata ki police prashasan ke nikamma hone ka raaz kya hai."

"Raaz to ek din khulega hi dear." Maine chaay ki ek chuski le kar kaha____"Lekin main chaahta hu ki usse pahle mera maksad pura ho jaaye aur ham dono yaha se nikal jaaye. Uske baad yaha kiske bare me kya pata chalega isse hame koi lena dena hi nahi rah jaayega. Dusre desh me ham ek nayi pahchaan ke sath zindagi jiyenge."

"Main bhi yahi soch rahi thi." Maya ne kaha____"Lekin lagta hai halaat hamari soch se kahi zyada bigad jaayenge. Agar aisa hua to ham dono ke liye mushkile badh jaayengi."

"Maine faisla kar liya hai." Maine spasth lahje me kaha____"Ab main wakt barbaad nahi karuga balki jitna jaldi ho sakega apne maksad ko pura karunga. Main jaanta hu ki isme jaan tak jane ka khatra hai lekin mujhe ye khatra mol lena hi padega. Agar ye maamla CBI ke hatho supurd kar diya gaya to mere liye har kadam par khatra paida ho jaayega aur mumkin hai ki main apne maksad me kamyaab bhi na ho paau. Is liye isse pahle ki case CBI ke hath me jaye mujhe jald se jald ye khel samaapt karna hoga."

"Kya aisa nahi ho sakta ki tum apne kadam ab yahi par rok lo?" Maya ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Main jaanti hu ki tumhara maksad pura huye bina tumhe shaanti nahi milegi aur na hi tumhare anusaar tumhare mata pita ki rooh ko shaanti milegi lekin wo bhi to upar se dekh hi rahe honge ki tum is wakt kin halaato me fanse huye ho? Kya wo ye chaahte honge ki unki rooh ko sukoon dene ke liye unka beta apni jaan hi gawa de? Mera khayaal hai aisa wo hargiz nahi chaah sakte. Duniya ke koi bhi mata pita aisa nahi chaahenge. Unki rooh ko sukoon dene ke liye itna hi bahut hai vikram. Meri baat maan lo aur ab yahi par ruk jaao. Hamari apni zindagi ke bare me socho jaan jise khud upar wale ne tohfe ki shakl me hame di hai. Hamari zindagi ka na sahi apne bete ke bare me socho. Us bete ke bare me jo pichhle bees saalo se apne pita ke pyaar ke liye taras raha hai."

"Tumhe kya lagta hai main kuch sochta hi nahi hu?" Maine gambheer bhaav se kaha____"Aree is seene me bahut kuch bhara hua hai maya. Main kisi ko dikhata nahi hu aur na hi mujhse apne andar ka haal baya karna aata hai magar yakeen maano is seene me jaha ek taraf dhadhakte huye shole bhadak rahe hain wahi dusri taraf jazbaato ka bhayankar sailaab bhi hilore le raha hai jise main badi mushkil se kaabu kiye huye hu. Tumse kahi zyada main ek nayi shuruaat ki hasrat rakhta hu. Apne bete ko apne kaleje se laga kar apne dil ke tufaan ko shaant karna chaahta hu. Is khel ko uske aakhiri anjaam ke paas la kar main usse mukar nahi sakta. Main ye bilkul bhi bardaast nahi kar sakta ki upar maujood mere dushmano ki aatmaaye mujhe haara hua khiladi samjhe aur mujh par hase. Itna hi nahi mera jo dushman zinda hai wo bhi mere bare me aisi hi raay bana le. Maine un sabko maut di hai to ab khud maut ke khauf se bhaag nahi sakta balki maut ke seene ko raundta hua apne aakhiri bache dushman ko bhi maut doonga. Mujhe apni koi parwaah nahi hai. Agar sach me mujhe maut aa gayi to sirf isi baat ka ranz rahega ki apne bete ko do pal ke liye apne kaleje se laga na saka."

Meri baate sun kar maya chakit bhaav se dekhti rah gayi mujhe. Uske chehre par hairaani ke alawa nirasha aur dukh ke bhaav ubhar aaye the. Maine chaay ke cup ko bed par rakh kar uske khubsurat chehre ko apni dono hatheliyo me liya aur fir pyaar se bola_____"Tumne mujhe mukammal mard banaya tha dear is liye is mard ko namard na banaao warna mera apna hi zameer mujhe chain se jeene nahi dega. Wo kahega ki aakhiri wakt me maine maut ke dar se apne aakhiri dushman ko zinda chhod diya. Yakeen karo dear, tumhara vikram itna kamzor nahi hai ki koi uske sath kuch kar dega. Tum dekhna, main apne aakhiri dushman ko mitti me mila kar bade shaan ke sath tumhari aankho ke saamne haazir ho jaaunga."

"Bahut ziddi ho tum." Maya ki aankho se aansu chhalak pade____"Kaise apne dil ko is tarah patthar bana lete ho tum?"

"Sach kahu to aisa sirf tumhare pyar ki hi vajah se mere liye sambhav hua hai." Maine uski aankho ke aansu saaf karte huye pyar se kaha____"Tumhare milne se pahle mere andar itna dridh sankalp nahi tha. Kyoki tab sirf ek hi soch thi ki ya to marunga ya fir mar jaauga. Jeene ki koi hasrat hi nahi thi. Aakhir kis ke liye jeeta main lekin jab tumse mulakaat huyi aur apne bete ke bare me pata chala to ek alag hi tarah ka ehsaas jaagrit ho gaya. Bas ek baar is sab se faarig ho jaau fir dekhna main khud hamari duniya ko khushiyo ke naye naye rango se bharne ki koshish me lag jaauga."

Maya kuch der tak mujhe dekhti rahi aur fir aage badh kar usne haule se mere hotho ko choom liya. Uske narm hotho ki chhuwan se mere samuche jism me jhurjhuri si daud gayi. Khair raat me hamne dono dinner kiya aur fir so gaye.

[][][][][][]

"Main tumse milna chaahta hu." Raat ke andhere me ek pedh ke peechhe chhupe khade ek saye ne mobile ko kaan se lagaye dheemi awaaz me kaha____"Yakeen maano main tumhe fansaane ke liye koi jaal nahi bun raha balki tumhare bhale ke liye hi tumse milna chaahta hu."

"..........!" Dusri taraf se kuch kaha gaya.
"Haan main samajh sakta hu." Saye ne pahle ki tarah hi dheeme swar me kaha_____"Lekin bharosa to karna hi padega tumhe. Main bhi to apni jaan ko khatre me daal kar baahar ghoom raha hu, ye jaante huye bhi ki jane kis taraf se tumhare roop me maut mujh par aa jhapte."

".................!" Udhar se fir kuch kaha gaya.
"Thik hai." Saaye ne gahri saans li_____"Agar tum aisa hi chaahte ho to yahi sahi. Maine to ye socha tha ki rubaru mil kar tasalli se baate hongi magar khair koi baat nahi. Waise ek baat hai jise jaanna tumhare liye zaruri hai. Sambhav hai ki tab shayad tumhe mujh bharosa ho."

"................!" Udhar se fir ek baar kuch kaha gaya jis par saaye ne dheeme swar me hi lekin apni awaaz ko khaas banate huye kuch der tak kuch kaha aur fir phone cut kar ke use paint ki pocket me daal liya.

[][][][][][][]

"Y...ye kya kah rahi hain aap??" Mobile phone ko apne kaan se lagaye gulfam ne chaunkte huye kaha_____"Tarun kal shaam se ghar nahi lauta?"

"Haan bhai sahab." Dusri taraf se saumya dukhi bhaav se kah rahi thi_____"Uski security me lage aadmiyo ne bataya ki wo kal shaam ko apne office se baahar hi nahi aaya. Jab kaafi samay guzar gaya to un logo ne usko khojna shuru kiya magar wo unhe office me hi kya balki puri company me hi kahi nahi mila."

"Badi hairatangez baat hai ye." Gulfam ne sochne wale andaz se kaha_____"Aakhir apni security walo ki aankho me dhool jhonk kar wo apne office se kaise gayab ho gaya hoga?"

"Main khud ye soch soch kar pareshan ho gayi hu bhai sahab." Saumya ne adheerta se kaha_____"Aur ab to mera dil ye soch soch kar baitha ja raha hai ki kahi wo vikram ke hath na lag gaya ho. Agar aisa hua to wo mere bete ko bhi maar daalega. Pati ko to kho hi chuki hu ab apne bete ko nahi khona chaahti main. Uske bachche anaath ho jaayenge bhai sahab. Bhagwan ke liye use khojiye aur bacha lijiye use."

Saumya rone lagi to gulfam ne use kisi tarah shaant kiya aur fir ashwasan de kar phone cut kar diya. Is wakt uske chehre par kuch zyada hi pareshani aur chinta ke bhaav ubhar aaye the. Usne kuch der socha aur fir mobile par kisi ko phone milane laga.

[][][][][][]

CMS ka head quarter....!
Ek lambe chaude haal me neem andhera tha jiske doosre chhor par sabse upar ek khaas kism ka singhasan rakha hua tha. Us singhasan me kaale kapdo me lipta hua bada hi rahasyamay insaan baitha hua tha. Kaale glubs me dhanke hath ki do ungliyo ke beech mota sa shigaar fansa hua tha jisme se halka dhua nikal raha tha. Haal ke daye baye kayi kursiya rakhi huyi thi jinme chaar kursiyo par insaani saaye baithe huye the. Un sabke jismo par bhi black colour ka libaas tha. Kaale nakaab se sirf unki aankhe hi chamak rahi thi.

"Halaat bahut bigad gaye hain sir." Daayi taraf ki kursi me baithe ek saaye ne apni khaas awaaz me kaha_____"Us vikram ki vajah se pure shahar me dahshat ka maahaul paida ho gaya hai jiske chalte media walo ne aisa hangama kiya hua hai ki baat upar tak pahuch gayi hai. Aise me agar government ne koi thos faisla liya to nateeja achha nahi hoga."

"Har news channel wale is case ko CBI ke supurd karne ki maang kar rahe hain sir." Doosre saaye ne kaha_____"Agar maamla CBI ke hath chala gaya to hamari sanstha ke vajood par bhi khatra paida ho jaayega."

"Aisa kuch nahi hoga." Singhasan par baithe rahasyamay shakhs ne apni ajeeb si awaaz me kaha____"Maana ki mahaul sansanikhej ho gaya hai aur media wale is maamle ko CBI ke hatho me dene ki maang kar rahe hain lekin ye sab itna asaan nahi hai. Government tab tak is case ko CBI ke surpurd nahi karegi jab tak iski ijazat ham khud na de."

Singhasan par baithe rahasyamay insaan ki ye baate sun kar nakaab ke andar chhupe chaaro ke chehro par hairat ke bhaav ubhar aaye. Kisi ke mukh se fauran koi alfaaz khaariz na ho saka.

"Agar aisa hai tab to achhi baat hai sir." Ek anya saaye ne kaha_____"Lekin vikram jaise sirfire insana ka koi bharosa nahi hai. Wo hamari sanstha ke liye bahut bada khatra hai. Minakshi ke dwara usne jaan liya hoga ki hamari sanstha ka head quarter kaha par hai, is liye wo kabhi bhi yaha aa kar tabaahi macha sakta hai."

"Wo kuch nahi kar sakega." Rahasyamay shakh ki ajeeb awaaz hall me goonji____"Ab tak usne jo kuch kiya hai wo sab hamari nazro me raha hai. Yu samjho ki hamne uske dwara badi asaani se aisa hone diya hai. Abhi to wo yahi samajh raha hai ki wo bahut bada khaleefa hai jise ab tak koi pakad hi nahi paaya hai. Jabki wo moorkh to ye kalpana bhi nahi kar sakta ki ham jab chaahe tab use badi asaani se pakad sakte hain."

"Y...ye aap kya kah rahe hain sir?" Hall me baithe baaki chaaro ne buri tarah chaukte huye kaha tha_____"Agar aap sach me use pakad sakte hain to ab tak use pakda kyo nahi? Kyo use hamare agents ki is tarah hatya karne di?"

"Wo sab is sanstha ke kachra the tripple ex." Rahasyamay shakhs ne kaha____"Aur is sanstha ke sir dard bhi. Is liye unka is tarah se safaya ho jana behtar tha."

Rahasyamay saye ki ye baate sun kar baaki chaaro ke mukh se koi bol na foota. Nakaab se jhaankti aankho me ashcharya ka sagar hilore leta hua dikh raha tha. Fir jaise unhe hosh aaya to chaaro ne ek dusre ki taraf dekha aur fir singhasan me baithe cms ke chief ko dekhne lage.

"Baaki kisi baat ki chinta karne ki koi zarurat nahi hai tum logo ko." Hall me chief ki rahasyamay awaaz goonji_____"Filhaal ek nayi problem khadi ho gayi hai jisko jald se jald niptana zaruri hai."

"K..kaisi problem sir?" Chaaro me se ek ne puchha.
"Hame khabar mili hai ki agent 015 yaani ki tarun achanak se gayab ho gaya hai." Chief ne kaha____"Hamne uske jism me maujood chip ke jariye uski location pata karne ki koshish ki thi magar koi faayda nahi hua. Hamare agents ko wo chip to mil gayi hai lekin wo khud nahi mila."

"Iska to ek hi matlab ho sakta hai sir." Dusre saaye ne kaha____"Ki wo vikram ke hath lag gaya hoga. Vikram ne abhi tak aisa hi to kiya hai. Hamare jis agent ko bhi usne pakda hai to usne sabse pahle uske jism se wo chip hi nikaali thi."

"Bevkoofo jaisi baate mat karo." Hall me chief ki gurrahat bhari awaaz goonji____"Mana ki vikram ne ab tak aisa hi kiya hai lekin is baar aisa nahi hua hai."

"S...sorry sir." Us saye ne hadbada kar kaha____"L..lekin agar aisa nahi hua to fir kaise tarun gayab ho gaya? Baat kuch samajh me nahi aayi sir?"

"Jaisa ki hamne tum logo ko bataya ki vikram par hamari nazar hai aur ham jab chaahe usko pakad sakte hain." Chief ne kaha____"Kahne ka matlab ye ki wo jo bhi karta hai wo sab hamari nazar me hota hai magar tarun ko usne gayab nahi kiya hai aur na hi wo uske hath laga hai. Hame lagta hai ki tarun ke gayab hone ke pichhe koi aisi vajah hai jise sochna aur samajhna behad zaruri hai."

"Hamare liye kya hukum hai sir?" Ek anya saaye ne sanjeeda bhaav se puchha.
"Tum log use khojne ke liye apne sabhi sources ka use karo." Chief ne kaha____"Aur sath hi use jald se jald khoj kar hamare saamne haazir karo."

Chaaro ne adab se sir nawaya aur palat kar hall se baahar nikal gaye. Singhasan par baithe chief ne bujh gaye shigaar ko lighter se jalaya aur uska gahra gahra kash lene laga.



✤༺༻✤
Bahut hi shaandar update diya hai TheBlackBlood bhai....
Nice and awesome update....
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
Messages
7,946
Reaction score
31,448
Points
189
Kaise hain dosto....I hope sab kushal Mangal se hi honge :approve:

Mujhe pata hai ki pichhle saal maine kya kaha tha lekin wakt aur halaat kuch is tarah se mere saamne aa gaye ki story continue rakhne ki to baat door forum me haaziri lagane tak ka mauka na mila. Halaaki haaziri to laga sakta tha lekin fir story me update ki maang bhi hone lagti joki de pana mere liye hargiz bhi sambhav nahi tha. Waise abhi ek din aaya tha main lekin jaldi hi offline ho jana pada tha :dazed:
Current time me bahut zyada byastata chal rahi hai. Lakh koshisho ke baad bhi story ki taraf dhyaan dene ka mauka nahi milta aur yahi vajah rahi ki khaali hath yaha aane ka dil nahi kiya. Shadi ki taiyariya joro se ho rahi hain aur is sabki vajah se sala bijli ki tarah zahen me rah rah kar ye khayaal aa jata hai ki bahut jald main barbaad hone wala hu aur itna hi nahi abhi tak jo main azaad pankshi ki tarah parwaaz kar raha tha use jald hi ek iase pinjare me kaid kar diya jayega jisse chaah kar bhi main kabhi nikal na sakuga. Well honi ko kaun taal sakta hai...khair :verysad:

Is story ko May ke baad hi restart kar sakuga aur agar time mila to beech me bhi ek do update likhne ki koshish karuga, halaaki aisa sambhav to nahi hai par koshish karuga. Is story ko complete karne ke baad hi प्यार का सबूत ki taraf rukh karuga. :declare:
अपडेट तो पढ़ते ही रहेंगे......... मई का इंतज़ार रहगा :D .......... शादी है तो दावत की उम्मीद में
 

SANJU ( V. R. )

Supreme
Messages
7,369
Reaction score
30,296
Points
174
बहुत ही बेहतरीन अपडेट था यह। विक्रम और माया के बीच हुए कन्वर्सेशन के तो कहना ही क्या ! आउटस्टैंडिंग डायलॉग।
विक्रम के द्वारा कहे गए हर डायलॉग बहुत बहुत खुबसूरत थे।
विक्रम और माया का यह सोचना कि वो फाॅरेन मे सेफ रहेंगे , सही हो भी सकता है और सही नही भी हो सकता है। अगर वो भारत मे अपराधी घोषित कर दिए गए हों और किसी अन्य देश मे उन्होने शरण ले लिया हो तब भारत सरकार प्रत्यार्पण संधि के तहत उन्हे वापस भारत ला सकती है। बशर्ते उस देश के साथ इस तरह की संधि हो।

तरूण का गायब होना सी.एम.एस के लिए भी परेशानी का शबब बन गया है। अगर वो विक्रम के चंगुल मे नही है तो फिर उसे किस ने बंधक बना लिया है ? और यह भी आश्चर्य की बात है कि इनके चीफ को विक्रम के हर हरकतों पर नजर बनी हुई है।

शायद जिन दो लोगों ने रात के वक्त बातें की थी , उन्होने ऐसा किया हो। लेकिन वो लोग है कौन ?
इन दो लोग मे एक व्यक्ति विक्रम लग रहा है पर दूसरा कौन है ? कहीं तरूण ही तो नही ! कहीं तरूण , विक्रम के साथ तो नही मिल गया ?

बहुत ही खूबसूरत अपडेट शुभम भाई। आउटस्टैंडिंग अपडेट।
 

Ajju Landwalia

Active Member
Messages
1,756
Reaction score
7,235
Points
144
Update - 53
____________________




Main aur dinesh ne ek sath hi baith kar khana khaya. Is dauraan hamare bich sab kuch samaanya ho gaya tha. Dinesh ke hi puchhne par maine use bataya ki maine apna bangla bench diya hai aur usme se kuch paiso dwara yahi gaziabad me hi ek jagah flat le liya hai. Us flat me main apni biwi maya aur apne ek dushman ki beti minakshi ke sath rah raha hu. Maine unhe ye bhi bataya ki minakshi ke sath main kuch bhi galat nahi kar raha hu. Wo meri kaid se bhaag na jaye is liye maine use bandhak banaya hua hai. Jis din mera maksad pura ho jaayega us din main use azaad kar duga.

Dono miya biwi ab kyoki meri asaliyat se waakif ho chuke the is liye unki nazar me meri ek alag hi ahmiyat ho gayi thi. Ye alag baat hai ki swati ke chehre par kabhi kabhi mujhe nirasha ke se bhaav ubhar aate dikh jate the.

Khana khatm hua hi tha ki door bell baji. Swati ne ja kar darwaza khola to pata chala bachche apne school college se aa gaye the. Teeno bachcho ne mujhe dekhte hi namaste kiya aur fir wo andar ki taraf chale gaye. Idhar maine bhi dinesh bhai se jane ki ijazat maagi to usne kaha ki mujhe uske yaha se kamra khaali karne ki koi zarurat nahi hai lekin kyoki maine apne liye flat le liya hai to beshak main apne flat par rahu magar har roz mujhe uske ghar chaay pine ke liye aana padega.

Dinesh aur uski biwi swati ne apne bachcho ki kasam khaayi thi is liye ab mujhe unse kisi tarah ka khatra nahi tha aur idhar maine bhi unhe puri tarah aaswast kar diya tha ki unhe mujhse koi khatra nahi hai. Khair uske baad main aur dinesh sath hi baahar aa gaye. Dinesh apna auto le kar chala gaya aur main dusra auto khoj kar usme baith kar chalta bana. Dinesh ke kahne ke bavjood main uske auto me isi liye nahi baitha tha taaki ye ham dono ke liye hi safe rahe.

Jab main apne flat par pahucha to din dhalne laga tha. Maine dekha maya hamare bete se phone par baate karne me lagi huyi thi. Main aaya to usne phone mujhe pakda diya. Maine kuch der apne bete se baate ki. Uske baad main araam karne ke liye bed par let gaya. Main jaanta tha ki sanjay ki hatya ho jane se maamla pahle se kahi zyada garm ho jaayega jiske chalte shahar me sansani fail jayegi. Media wale aur pradesh ki janta ka bartaav bhi ugra ho sakta hai. Mujhe ehsaas tha ki har baar ki nakaami ke baad sambhav hai ki is maamle ko police se le kar CBI ke supurd kiya ja sakta hai. Bed par lete main yahi sab soch raha tha. Mere zahen me khayaal ubhra ki mujhe apne kaam ki speed badhaani hogi. Halaaki aisa karna behad hi khatarnaak saabit ho sakta tha lekin main ab wakt jaya nahi kar sakta tha. Maamla agar CBI ke hath laga to tafteesh ka daayra aur speed hi badh jaayegi, sath hi mera pakda jana bhi tay ho sakta hai. Is liye mere liye yahi behtar tha ki jitna jaldi ho sake apne dushmano ko khatm kar ke maya ke sath is desh se nikal jaau.

"Lagta hai gahre khayaalo me gum ho." Maya ki awaaz par mera dhyaan bhang hua to maine uski taraf dekha. Wo apne dono hatho me chaay ke cup liye bed ke paas hi khadi thi. Main utha to usne ek cup mujhe pakdaya aur dusra cup khud le kar wo bed par mere paas hi baith gayi.

"Sahi kaha." Maine lambi saans chhodte huye kaha____"Gahre khayaalo me hi khoya hua tha main. Soch raha tha ki sanjay ki hatya ki khabar failte hi ek baar fir se delhi shahar me sansani fail gayi hogi aur is sabke chalte media wale ek baar fir se police prashasan ko nikamma karaar degi."

"Wo to laajmi hai." Maya ne shaant bhaav se kaha____"Bhala media ya janta ko kya pata ki police prashasan ke nikamma hone ka raaz kya hai."

"Raaz to ek din khulega hi dear." Maine chaay ki ek chuski le kar kaha____"Lekin main chaahta hu ki usse pahle mera maksad pura ho jaaye aur ham dono yaha se nikal jaaye. Uske baad yaha kiske bare me kya pata chalega isse hame koi lena dena hi nahi rah jaayega. Dusre desh me ham ek nayi pahchaan ke sath zindagi jiyenge."

"Main bhi yahi soch rahi thi." Maya ne kaha____"Lekin lagta hai halaat hamari soch se kahi zyada bigad jaayenge. Agar aisa hua to ham dono ke liye mushkile badh jaayengi."

"Maine faisla kar liya hai." Maine spasth lahje me kaha____"Ab main wakt barbaad nahi karuga balki jitna jaldi ho sakega apne maksad ko pura karunga. Main jaanta hu ki isme jaan tak jane ka khatra hai lekin mujhe ye khatra mol lena hi padega. Agar ye maamla CBI ke hatho supurd kar diya gaya to mere liye har kadam par khatra paida ho jaayega aur mumkin hai ki main apne maksad me kamyaab bhi na ho paau. Is liye isse pahle ki case CBI ke hath me jaye mujhe jald se jald ye khel samaapt karna hoga."

"Kya aisa nahi ho sakta ki tum apne kadam ab yahi par rok lo?" Maya ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Main jaanti hu ki tumhara maksad pura huye bina tumhe shaanti nahi milegi aur na hi tumhare anusaar tumhare mata pita ki rooh ko shaanti milegi lekin wo bhi to upar se dekh hi rahe honge ki tum is wakt kin halaato me fanse huye ho? Kya wo ye chaahte honge ki unki rooh ko sukoon dene ke liye unka beta apni jaan hi gawa de? Mera khayaal hai aisa wo hargiz nahi chaah sakte. Duniya ke koi bhi mata pita aisa nahi chaahenge. Unki rooh ko sukoon dene ke liye itna hi bahut hai vikram. Meri baat maan lo aur ab yahi par ruk jaao. Hamari apni zindagi ke bare me socho jaan jise khud upar wale ne tohfe ki shakl me hame di hai. Hamari zindagi ka na sahi apne bete ke bare me socho. Us bete ke bare me jo pichhle bees saalo se apne pita ke pyaar ke liye taras raha hai."

"Tumhe kya lagta hai main kuch sochta hi nahi hu?" Maine gambheer bhaav se kaha____"Aree is seene me bahut kuch bhara hua hai maya. Main kisi ko dikhata nahi hu aur na hi mujhse apne andar ka haal baya karna aata hai magar yakeen maano is seene me jaha ek taraf dhadhakte huye shole bhadak rahe hain wahi dusri taraf jazbaato ka bhayankar sailaab bhi hilore le raha hai jise main badi mushkil se kaabu kiye huye hu. Tumse kahi zyada main ek nayi shuruaat ki hasrat rakhta hu. Apne bete ko apne kaleje se laga kar apne dil ke tufaan ko shaant karna chaahta hu. Is khel ko uske aakhiri anjaam ke paas la kar main usse mukar nahi sakta. Main ye bilkul bhi bardaast nahi kar sakta ki upar maujood mere dushmano ki aatmaaye mujhe haara hua khiladi samjhe aur mujh par hase. Itna hi nahi mera jo dushman zinda hai wo bhi mere bare me aisi hi raay bana le. Maine un sabko maut di hai to ab khud maut ke khauf se bhaag nahi sakta balki maut ke seene ko raundta hua apne aakhiri bache dushman ko bhi maut doonga. Mujhe apni koi parwaah nahi hai. Agar sach me mujhe maut aa gayi to sirf isi baat ka ranz rahega ki apne bete ko do pal ke liye apne kaleje se laga na saka."

Meri baate sun kar maya chakit bhaav se dekhti rah gayi mujhe. Uske chehre par hairaani ke alawa nirasha aur dukh ke bhaav ubhar aaye the. Maine chaay ke cup ko bed par rakh kar uske khubsurat chehre ko apni dono hatheliyo me liya aur fir pyaar se bola_____"Tumne mujhe mukammal mard banaya tha dear is liye is mard ko namard na banaao warna mera apna hi zameer mujhe chain se jeene nahi dega. Wo kahega ki aakhiri wakt me maine maut ke dar se apne aakhiri dushman ko zinda chhod diya. Yakeen karo dear, tumhara vikram itna kamzor nahi hai ki koi uske sath kuch kar dega. Tum dekhna, main apne aakhiri dushman ko mitti me mila kar bade shaan ke sath tumhari aankho ke saamne haazir ho jaaunga."

"Bahut ziddi ho tum." Maya ki aankho se aansu chhalak pade____"Kaise apne dil ko is tarah patthar bana lete ho tum?"

"Sach kahu to aisa sirf tumhare pyar ki hi vajah se mere liye sambhav hua hai." Maine uski aankho ke aansu saaf karte huye pyar se kaha____"Tumhare milne se pahle mere andar itna dridh sankalp nahi tha. Kyoki tab sirf ek hi soch thi ki ya to marunga ya fir mar jaauga. Jeene ki koi hasrat hi nahi thi. Aakhir kis ke liye jeeta main lekin jab tumse mulakaat huyi aur apne bete ke bare me pata chala to ek alag hi tarah ka ehsaas jaagrit ho gaya. Bas ek baar is sab se faarig ho jaau fir dekhna main khud hamari duniya ko khushiyo ke naye naye rango se bharne ki koshish me lag jaauga."

Maya kuch der tak mujhe dekhti rahi aur fir aage badh kar usne haule se mere hotho ko choom liya. Uske narm hotho ki chhuwan se mere samuche jism me jhurjhuri si daud gayi. Khair raat me hamne dono dinner kiya aur fir so gaye.

[][][][][][]

"Main tumse milna chaahta hu." Raat ke andhere me ek pedh ke peechhe chhupe khade ek saye ne mobile ko kaan se lagaye dheemi awaaz me kaha____"Yakeen maano main tumhe fansaane ke liye koi jaal nahi bun raha balki tumhare bhale ke liye hi tumse milna chaahta hu."

"..........!" Dusri taraf se kuch kaha gaya.
"Haan main samajh sakta hu." Saye ne pahle ki tarah hi dheeme swar me kaha_____"Lekin bharosa to karna hi padega tumhe. Main bhi to apni jaan ko khatre me daal kar baahar ghoom raha hu, ye jaante huye bhi ki jane kis taraf se tumhare roop me maut mujh par aa jhapte."

".................!" Udhar se fir kuch kaha gaya.
"Thik hai." Saaye ne gahri saans li_____"Agar tum aisa hi chaahte ho to yahi sahi. Maine to ye socha tha ki rubaru mil kar tasalli se baate hongi magar khair koi baat nahi. Waise ek baat hai jise jaanna tumhare liye zaruri hai. Sambhav hai ki tab shayad tumhe mujh bharosa ho."

"................!" Udhar se fir ek baar kuch kaha gaya jis par saaye ne dheeme swar me hi lekin apni awaaz ko khaas banate huye kuch der tak kuch kaha aur fir phone cut kar ke use paint ki pocket me daal liya.

[][][][][][][]

"Y...ye kya kah rahi hain aap??" Mobile phone ko apne kaan se lagaye gulfam ne chaunkte huye kaha_____"Tarun kal shaam se ghar nahi lauta?"

"Haan bhai sahab." Dusri taraf se saumya dukhi bhaav se kah rahi thi_____"Uski security me lage aadmiyo ne bataya ki wo kal shaam ko apne office se baahar hi nahi aaya. Jab kaafi samay guzar gaya to un logo ne usko khojna shuru kiya magar wo unhe office me hi kya balki puri company me hi kahi nahi mila."

"Badi hairatangez baat hai ye." Gulfam ne sochne wale andaz se kaha_____"Aakhir apni security walo ki aankho me dhool jhonk kar wo apne office se kaise gayab ho gaya hoga?"

"Main khud ye soch soch kar pareshan ho gayi hu bhai sahab." Saumya ne adheerta se kaha_____"Aur ab to mera dil ye soch soch kar baitha ja raha hai ki kahi wo vikram ke hath na lag gaya ho. Agar aisa hua to wo mere bete ko bhi maar daalega. Pati ko to kho hi chuki hu ab apne bete ko nahi khona chaahti main. Uske bachche anaath ho jaayenge bhai sahab. Bhagwan ke liye use khojiye aur bacha lijiye use."

Saumya rone lagi to gulfam ne use kisi tarah shaant kiya aur fir ashwasan de kar phone cut kar diya. Is wakt uske chehre par kuch zyada hi pareshani aur chinta ke bhaav ubhar aaye the. Usne kuch der socha aur fir mobile par kisi ko phone milane laga.

[][][][][][]

CMS ka head quarter....!
Ek lambe chaude haal me neem andhera tha jiske doosre chhor par sabse upar ek khaas kism ka singhasan rakha hua tha. Us singhasan me kaale kapdo me lipta hua bada hi rahasyamay insaan baitha hua tha. Kaale glubs me dhanke hath ki do ungliyo ke beech mota sa shigaar fansa hua tha jisme se halka dhua nikal raha tha. Haal ke daye baye kayi kursiya rakhi huyi thi jinme chaar kursiyo par insaani saaye baithe huye the. Un sabke jismo par bhi black colour ka libaas tha. Kaale nakaab se sirf unki aankhe hi chamak rahi thi.

"Halaat bahut bigad gaye hain sir." Daayi taraf ki kursi me baithe ek saaye ne apni khaas awaaz me kaha_____"Us vikram ki vajah se pure shahar me dahshat ka maahaul paida ho gaya hai jiske chalte media walo ne aisa hangama kiya hua hai ki baat upar tak pahuch gayi hai. Aise me agar government ne koi thos faisla liya to nateeja achha nahi hoga."

"Har news channel wale is case ko CBI ke supurd karne ki maang kar rahe hain sir." Doosre saaye ne kaha_____"Agar maamla CBI ke hath chala gaya to hamari sanstha ke vajood par bhi khatra paida ho jaayega."

"Aisa kuch nahi hoga." Singhasan par baithe rahasyamay shakhs ne apni ajeeb si awaaz me kaha____"Maana ki mahaul sansanikhej ho gaya hai aur media wale is maamle ko CBI ke hatho me dene ki maang kar rahe hain lekin ye sab itna asaan nahi hai. Government tab tak is case ko CBI ke surpurd nahi karegi jab tak iski ijazat ham khud na de."

Singhasan par baithe rahasyamay insaan ki ye baate sun kar nakaab ke andar chhupe chaaro ke chehro par hairat ke bhaav ubhar aaye. Kisi ke mukh se fauran koi alfaaz khaariz na ho saka.

"Agar aisa hai tab to achhi baat hai sir." Ek anya saaye ne kaha_____"Lekin vikram jaise sirfire insana ka koi bharosa nahi hai. Wo hamari sanstha ke liye bahut bada khatra hai. Minakshi ke dwara usne jaan liya hoga ki hamari sanstha ka head quarter kaha par hai, is liye wo kabhi bhi yaha aa kar tabaahi macha sakta hai."

"Wo kuch nahi kar sakega." Rahasyamay shakh ki ajeeb awaaz hall me goonji____"Ab tak usne jo kuch kiya hai wo sab hamari nazro me raha hai. Yu samjho ki hamne uske dwara badi asaani se aisa hone diya hai. Abhi to wo yahi samajh raha hai ki wo bahut bada khaleefa hai jise ab tak koi pakad hi nahi paaya hai. Jabki wo moorkh to ye kalpana bhi nahi kar sakta ki ham jab chaahe tab use badi asaani se pakad sakte hain."

"Y...ye aap kya kah rahe hain sir?" Hall me baithe baaki chaaro ne buri tarah chaukte huye kaha tha_____"Agar aap sach me use pakad sakte hain to ab tak use pakda kyo nahi? Kyo use hamare agents ki is tarah hatya karne di?"

"Wo sab is sanstha ke kachra the tripple ex." Rahasyamay shakhs ne kaha____"Aur is sanstha ke sir dard bhi. Is liye unka is tarah se safaya ho jana behtar tha."

Rahasyamay saye ki ye baate sun kar baaki chaaro ke mukh se koi bol na foota. Nakaab se jhaankti aankho me ashcharya ka sagar hilore leta hua dikh raha tha. Fir jaise unhe hosh aaya to chaaro ne ek dusre ki taraf dekha aur fir singhasan me baithe cms ke chief ko dekhne lage.

"Baaki kisi baat ki chinta karne ki koi zarurat nahi hai tum logo ko." Hall me chief ki rahasyamay awaaz goonji_____"Filhaal ek nayi problem khadi ho gayi hai jisko jald se jald niptana zaruri hai."

"K..kaisi problem sir?" Chaaro me se ek ne puchha.
"Hame khabar mili hai ki agent 015 yaani ki tarun achanak se gayab ho gaya hai." Chief ne kaha____"Hamne uske jism me maujood chip ke jariye uski location pata karne ki koshish ki thi magar koi faayda nahi hua. Hamare agents ko wo chip to mil gayi hai lekin wo khud nahi mila."

"Iska to ek hi matlab ho sakta hai sir." Dusre saaye ne kaha____"Ki wo vikram ke hath lag gaya hoga. Vikram ne abhi tak aisa hi to kiya hai. Hamare jis agent ko bhi usne pakda hai to usne sabse pahle uske jism se wo chip hi nikaali thi."

"Bevkoofo jaisi baate mat karo." Hall me chief ki gurrahat bhari awaaz goonji____"Mana ki vikram ne ab tak aisa hi kiya hai lekin is baar aisa nahi hua hai."

"S...sorry sir." Us saye ne hadbada kar kaha____"L..lekin agar aisa nahi hua to fir kaise tarun gayab ho gaya? Baat kuch samajh me nahi aayi sir?"

"Jaisa ki hamne tum logo ko bataya ki vikram par hamari nazar hai aur ham jab chaahe usko pakad sakte hain." Chief ne kaha____"Kahne ka matlab ye ki wo jo bhi karta hai wo sab hamari nazar me hota hai magar tarun ko usne gayab nahi kiya hai aur na hi wo uske hath laga hai. Hame lagta hai ki tarun ke gayab hone ke pichhe koi aisi vajah hai jise sochna aur samajhna behad zaruri hai."

"Hamare liye kya hukum hai sir?" Ek anya saaye ne sanjeeda bhaav se puchha.
"Tum log use khojne ke liye apne sabhi sources ka use karo." Chief ne kaha____"Aur sath hi use jald se jald khoj kar hamare saamne haazir karo."

Chaaro ne adab se sir nawaya aur palat kar hall se baahar nikal gaye. Singhasan par baithe chief ne bujh gaye shigaar ko lighter se jalaya aur uska gahra gahra kash lene laga.



✤༺༻✤


Behad Shandar update he TheBlackBlood Shubham Bhai,

Dinesh aur uski biwi Swati ko to Vikram ne samjha diya aur dono maan bhi gaye................

Maya aur Vikram ke beech ke dialogues bahut hi sunder tarike se likhe gaye he..........ekdum fantastic........

Tarun ka yoo hi gayab ho jana............shayad Tarun jaanbujhkar gayab hua he...............Vikram se milne ke liye..................

CMS ke chief ke ye kehna ki Vikram par uski nazar he.............aur wo jab chahe Vikram ko daboch sakta he.................kahi na kahi ishara kar raha he ki Vikram ab jinke sath rah raha he ya jo log Vikram ki sachchayi jante he.............unme se hi koi CMS ka member he...............

Shayad mujhe CMS ke chief ke baare me pata chal gaya he.............lekin me abhi naam reveal karke sabka maja spoil nahi karna chahta.............

Intezar rahega agli dhamakedar update ka.................
 
Tags
adultery thriller suspense
Top

Dear User!

We found that you are blocking the display of ads on our site.

Please add it to the exception list or disable AdBlock.

Our materials are provided for FREE and the only revenue is advertising.

Thank you for understanding!