• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller The Revenge (Completed)

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
Kaise hain dosto....I hope sab kushal Mangal se hi honge :approve:

Mujhe pata hai ki pichhle saal maine kya kaha tha lekin wakt aur halaat kuch is tarah se mere saamne aa gaye ki story continue rakhne ki to baat door forum me haaziri lagane tak ka mauka na mila. Halaaki haaziri to laga sakta tha lekin fir story me update ki maang bhi hone lagti joki de pana mere liye hargiz bhi sambhav nahi tha. Waise abhi ek din aaya tha main lekin jaldi hi offline ho jana pada tha :dazed:
Current time me bahut zyada byastata chal rahi hai. Lakh koshisho ke baad bhi story ki taraf dhyaan dene ka mauka nahi milta aur yahi vajah rahi ki khaali hath yaha aane ka dil nahi kiya. Shadi ki taiyariya joro se ho rahi hain aur is sabki vajah se sala bijli ki tarah zahen me rah rah kar ye khayaal aa jata hai ki bahut jald main barbaad hone wala hu aur itna hi nahi abhi tak jo main azaad pankshi ki tarah parwaaz kar raha tha use jald hi ek iase pinjare me kaid kar diya jayega jisse chaah kar bhi main kabhi nikal na sakuga. Well honi ko kaun taal sakta hai...khair :verysad:

Is story ko May ke baad hi restart kar sakuga aur agar time mila to beech me bhi ek do update likhne ki koshish karuga, halaaki aisa sambhav to nahi hai par koshish karuga. Is story ko complete karne ke baad hi प्यार का सबूत ki taraf rukh karuga. :declare:
 

Pagal king

Member
150
269
63
Kaise hain dosto....I hope sab kushal Mangal se hi honge :approve:

Mujhe pata hai ki pichhle saal maine kya kaha tha lekin wakt aur halaat kuch is tarah se mere saamne aa gaye ki story continue rakhne ki to baat door forum me haaziri lagane tak ka mauka na mila. Halaaki haaziri to laga sakta tha lekin fir story me update ki maang bhi hone lagti joki de pana mere liye hargiz bhi sambhav nahi tha. Waise abhi ek din aaya tha main lekin jaldi hi offline ho jana pada tha :dazed:
Current time me bahut zyada byastata chal rahi hai. Lakh koshisho ke baad bhi story ki taraf dhyaan dene ka mauka nahi milta aur yahi vajah rahi ki khaali hath yaha aane ka dil nahi kiya. Shadi ki taiyariya joro se ho rahi hain aur is sabki vajah se sala bijli ki tarah zahen me rah rah kar ye khayaal aa jata hai ki bahut jald main barbaad hone wala hu aur itna hi nahi abhi tak jo main azaad pankshi ki tarah parwaaz kar raha tha use jald hi ek iase pinjare me kaid kar diya jayega jisse chaah kar bhi main kabhi nikal na sakuga. Well honi ko kaun taal sakta hai...khair :verysad:

Is story ko May ke baad hi restart kar sakuga aur agar time mila to beech me bhi ek do update likhne ki koshish karuga, halaaki aisa sambhav to nahi hai par koshish karuga. Is story ko complete karne ke baad hi प्यार का सबूत ki taraf rukh karuga. :declare:
Wish you a happy married life............. come back soon 💓💓💓
 

ranipyaarkidiwani

Rajit singh
406
681
94
Kaise hain dosto....I hope sab kushal Mangal se hi honge :approve:

Mujhe pata hai ki pichhle saal maine kya kaha tha lekin wakt aur halaat kuch is tarah se mere saamne aa gaye ki story continue rakhne ki to baat door forum me haaziri lagane tak ka mauka na mila. Halaaki haaziri to laga sakta tha lekin fir story me update ki maang bhi hone lagti joki de pana mere liye hargiz bhi sambhav nahi tha. Waise abhi ek din aaya tha main lekin jaldi hi offline ho jana pada tha :dazed:
Current time me bahut zyada byastata chal rahi hai. Lakh koshisho ke baad bhi story ki taraf dhyaan dene ka mauka nahi milta aur yahi vajah rahi ki khaali hath yaha aane ka dil nahi kiya. Shadi ki taiyariya joro se ho rahi hain aur is sabki vajah se sala bijli ki tarah zahen me rah rah kar ye khayaal aa jata hai ki bahut jald main barbaad hone wala hu aur itna hi nahi abhi tak jo main azaad pankshi ki tarah parwaaz kar raha tha use jald hi ek iase pinjare me kaid kar diya jayega jisse chaah kar bhi main kabhi nikal na sakuga. Well honi ko kaun taal sakta hai...khair :verysad:

Is story ko May ke baad hi restart kar sakuga aur agar time mila to beech me bhi ek do update likhne ki koshish karuga, halaaki aisa sambhav to nahi hai par koshish karuga. Is story ko complete karne ke baad hi प्यार का सबूत ki taraf rukh karuga. :declare:
Shadi ki bahut bahut shubhkamnaye shadi jiski nahi ho rahi usse pucho aapki ho rahi hai aap dukhi ho rahe ho bhai khush raho jo aaraha hai sabkuch chod kar aapke pass use bhi khush rakhna happy married life and waiting for you big comeback update 😊
 

Ajju Landwalia

Well-Known Member
2,606
10,495
159
Kaise hain dosto....I hope sab kushal Mangal se hi honge :approve:

Mujhe pata hai ki pichhle saal maine kya kaha tha lekin wakt aur halaat kuch is tarah se mere saamne aa gaye ki story continue rakhne ki to baat door forum me haaziri lagane tak ka mauka na mila. Halaaki haaziri to laga sakta tha lekin fir story me update ki maang bhi hone lagti joki de pana mere liye hargiz bhi sambhav nahi tha. Waise abhi ek din aaya tha main lekin jaldi hi offline ho jana pada tha :dazed:
Current time me bahut zyada byastata chal rahi hai. Lakh koshisho ke baad bhi story ki taraf dhyaan dene ka mauka nahi milta aur yahi vajah rahi ki khaali hath yaha aane ka dil nahi kiya. Shadi ki taiyariya joro se ho rahi hain aur is sabki vajah se sala bijli ki tarah zahen me rah rah kar ye khayaal aa jata hai ki bahut jald main barbaad hone wala hu aur itna hi nahi abhi tak jo main azaad pankshi ki tarah parwaaz kar raha tha use jald hi ek iase pinjare me kaid kar diya jayega jisse chaah kar bhi main kabhi nikal na sakuga. Well honi ko kaun taal sakta hai...khair :verysad:

Is story ko May ke baad hi restart kar sakuga aur agar time mila to beech me bhi ek do update likhne ki koshish karuga, halaaki aisa sambhav to nahi hai par koshish karuga. Is story ko complete karne ke baad hi प्यार का सबूत ki taraf rukh karuga. :declare:


TheBlackBlood Shubham Bhai,

Sabse pehle to aazadi chhin jaane ki Hard-Dick Shubhkamnaye...............

Personal life first priority he Bhai............. samay to nikalana hi padega ho aapko Honeymoon ke baad..............

Aasha he jald hi mulaqat hogi
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
Update - 52
____________________






"Ham bhala kyo tumhare liye koi musibat khadi karenge?" Swati ne ajeeb bhaav se kaha____"Galat kaam kar ke tum khud hi apne liye musibat khadi kar rakhe ho. Aaj nahi to kal tumhe apne in galat kaamo ke liye bura anjaam bhugatna hi padega."

"Jaisa ki maine pahle bhi kaha ki aankhe aur kaan jo dekhte sunte hain wo hamesha sach nahi hota." Maine gambheer bhaav se kaha____"Kabhi kabhi insaan waise hi galat samajh baithta hai jaise dinesh bhai ne samjha hai."

"To tum wo bataao jo sach hai." Dinesh ne mujhe ghoorte huye kaha____"Main bhi to sunu ki tumhara sach kya hai? Mujhe bataao ki maine jo dekha wo kaise jhooth ho sakta hai?"

"Main aap dono ko apna sach zarur bataauga dinesh bhai." Maine kaha____"Lekin usse pahle aap dono ko apne bachcho ki kasam khaani hogi ki mera sach jaanne ke baad aap dono mere sach ke bare me ya mere bare me kisi se kabhi bhi kuch nahi kahenge."

"Y..ye kya kha rahe ho tum?" Dinesh ke sath sath swati bhi buri tarah chaunki thi meri baat par, jabki dinesh ne nagwaari bhare bhaav se kaha____"Tumhare kisi sach ke liye bhala ham kyo apne bachcho ki kasam khaaye? Kal ko tumne hamare aur hamare bachcho ke sath kuch ulta sidha kar diya to?"

"Tab us candition me aap beshak mere bare me police ko bata dijiyega." Maine spasht bhaav se kaha_____"Waise mujhe batane ki zarurat to nahi hai lekin itna samay ho gaya mujhe yaha rahte huye to kya kabhi aapko zara bhi ye abhaas hua hai ki maine aap dono par ya aapke bachcho par koi galat drishti daali ho?"

Meri baat sun kar dinesh to kuch na bola lekin swati shakht bhaav se ghoorne lagi mujhe. Main jaanta tha ki wo aarti ke sath bane mere sambandho ke chalte mujhe ghoorne lagi thi. Is liye maine uski taraf dekhte huye kaha____"Aur jo kuch hua hai uske liye main jimmedaar nahi tha."

"K..kya matlab hai tumhara?" Dinesh uljhan poorn bhaav se bol pada____"Ye tum kiski baat kar rahe ho jiske liye tum jimmedaar nahi ho?"

Dinesh ke is sawaal par swati thoda hadbada si gayi. Dinesh ka us par dhyaan tha hi nahi is liye wo uske chehre par ubhar aayi hadbadahat ko dekh na saka. Idhar maine baat ko samhaalte huye usko jawaab diya_____"Wahi jo meri zindagi me mere sath ghatit hua hai."

Meri is baat par swati ne raahat ki saans li lekin uska mujhe ghoorna band na hua. Sach kahu to is wakt wo jis andaz me mujhe ghoor rahi thi usse wo mujhe bahut hi haseen lag rahi thi. Khubsurat chehre par aise bhaav the jaise kisi premika ke chehre par tab hote hain jab wo apne premi se kisi baat ke liye roothi huyi hoti hai. Iska ehsaas mujhe pahli baar hua. Pahle to main chaunka lekin fir jane kya soch kar anayaas hi main man hi man muskura utha.

"Aisa bhi to ho sakta hai ki tumne hamesha is baat ka ehtiyaat rakha ho ki tumhari kisi harkat ko ham log taad na paaye." Dinesh ne meri poorv ki baato par maano tark diya_____"Zaahir hai jis tarah ka tum kaam karte ho uske chalte tum apne kaam ke bare me ham me se kisi ko bhanak kaise lagne de sakte the?"

"Aap abhi bhi usi baat par atke huye hain dinesh bhai." Main feeki muskaan hotho par saja kar kaha_____"Jabki aapne us din jo kuch dekha aur fir jo samjha wo bilkul hi galat hai."

"To fir bataao na ki sach kya hai?" Dinesh ne teekhe bhaav se kaha____"Taxi me us din tumhare sath do aurte thi. Jinme se ek aurat ko tumne bandhak banaya hua tha. Kya tum mujhe moorkh samajhte ho ki main itna bhi na samajh paau ki wo sab kya tha?"

"Aap logo ko meri baat ka yakeen hi nahi hai to main kya karu?" Maine kaha____"Aur sach main tabhi bata sakta hu jab aap dono apne bachcho ki kasam kha kar ye kahenge ki mera sach jaanne ke baad aap mere bare me kabhi kisi se kuch nahi kahenge."

Meri baate sun kar dono miya biwi ajeeb duvidha me pad gaye nazar aane lage the. Idhar main bhi andar se thoda vichlit tha, kyoki wo dono mere bare me bhale hi galat samajh rahe the lekin jo bhi samajh rahe the uske chalte wo mujhe musibat me to daal hi sakte the. Is liye mere liye ye zaruri tha ki main un dono ko convince karu aur unke dwara apne upar aane wali musibat ko khatm karu.

"Mera yakeen karo dinesh bhai." Maine shaleenta se kaha____"Main waisa bilkul bhi nahi hu jaisa aap dono samajh rahe hain aur na hi wo sach hai jo aap dono samjha hai. Is baat ka bhi yakeen kijiye ki mere dwara aap par ya aapke pariwaar par kabhi koi musibat nahi aayegi. Aapne mujh jaise insaan ko apne ghar me rahne ke liye jagah di. Apne ghar ka namak khilaya. Main itna gira hua insaan nahi hu dinesh bhai ki kisi ke namak ki ehmiyat ko bhi na samjhu. Apna sach batane ke liye main aap logo ko aapke bachcho ki kasam khaane ko bhi isi liye kah raha hu taaki aap mera sach jaanne ke baad mere bare me kisi ko bata na sake. Main jaanta hu ki bachcho ki kasam dilana kisi bhi tarike se sahi ya uchit nahi hai lekin kya karu...main bhi ek insaan hu aur chaahta hu ki mujh par kabhi koi musibat na aaye."

"Mujhe samajh nahi aa raha ki aakhir aisa kaun sa sach hai tumhara." Dinesh ne bechain bhaav se kaha_____"Jise batane ke liye tum hamse hamare hi bachcho ki kasam khaane ko kah rahe ho?"

"Maine aapko dil se apna bada bhai mana hai dinesh bhai." Maine gambheerta se kaha____"Aur yakeen maaniye main khwaab me bhi aap logo ke sath bura karne ka nahi soch sakta. Agar aap logo ko apne bachcho ki kasam khaane me etraaz hai to thik hai main iske bavjood aap dono ko apna sach bataane ko taiyaar hu. Sirf isi yakeen ke sath ki aap log bhi mujhe apna samjhate hain aur mera sach jaanne ke baad mere bare me kisi se kuch nahi kahenge."

Meri baate sun kar dono hairaani se mujhe dekhte rah gaye the. Chehre par kayi tarah ke bhaav tairte nazar aaye. Kuch palo ke baad dono ne ek dusre ki taraf dekha. Aankho hi aankho me jane kya baate ki dono ne uske baad dinesh meri taraf mukhaatib ho kar bola_____"Thik hai, agar aisi baat hai to ham dono apne bachcho ki kasam kha kar kahte hain ki tum apna jo bhi sach hame bataaoge wo marte dam tak hamare seene me dafan rahega. Ham kabhi kisi se tumhare bare me nahi batayenge. Keshav bhai, hamne bhi isi bharose par apne bachcho ki kasam kha li hai ki tum kabhi hamare bharose ka khoon nahi karoge aur na hi kabhi hamare sath bura karne ka sochoge. Khair ab bataao ki sach kya hai?"

Dinesh ki baate sun kar maine gahri saans li. Ye gahri saans raahat wali saans se kam nahi thi. Main ab mut-maeen ho chuka tha un dono se. Mujhe yakeen ho chuka tha ki ye dono mera sach kisi bhi haal me kisi ko nahi batayenge. Mera khayaal hai ki duniya ke koi bhi mata pita apne bachcho ki kasam kha kar aisa kuch bhi karne ka nahi soch sakte jiske chalte unke bachcho ke sath galat ho jaye. Halaaki main ye bhi samajhta tha ki agar un logo ne aisa kiya bhi to kahi na kahi wo khud bhi musibat me fans sakte the. Mera kya tha, main to apna kaam kar ke gadhe ke sir se seeng ki tarah is desh se hi gaayab ho jane wala tha.

Khair, maine ek lambi saans li aur fir dono miya biwi ko apne bare me batana shuru kar diya. Pahle apne ateet ke bare me bataya aur fir wartmaan ke bare me. Maine dono se kuch bhi nahi chhupaya. CMS jaisi sanstha ke bare me bhi bataya. Ye bhi bataya ki ye sab hua hi us sanstha ki vajah se tha aur aaj ke wakt me mera yahi maksad hai ki apne dushmano ka khaatma kar ke us sanstha ke vajood ko bhi mita du. Saara kissa sunane me ghanta bhar ka samay lag gaya. Dinesh aur swati ashcharya se muh faade mera itihaas aur mere karnaame sunte rahe the.

"Us din aapne jin do aurto ko mere sath dekha tha." Sab kuch batane ke baad maine kaha_____"Unme se jiske dono hath pichhe ki taraf kar ke bandhe huye the wo mere ek dushman siraj ki beti minakshi thi aur dusri meri biwi maya."

"B..biwi?????" Mere mukh se meri biwi shabd sunte hi dono miya biwi uchhal pade. Chakit bhaav se dekhte huye dinesh ne hi kaha_____"P..par tumne to bataya tha ki tumhara is duniya me koi nahi hai to fir tumhari biwi kaha se aa gayi?"

"Uski bhi ek alag kahani hai dinesh bhai." Maine gahri saans le kar kaha_____"Jab maine cms jaisi sanstha ko join kiya tha tab mujhe mukammal mard banane ke liye training par le jaya gaya tha. Jis jagah le jaya gaya tha waha par training dene wali teen khubsurat ladkiya thi. Unhi teeno me se ek thi maya. Halaaki trained to mujhe un teeno ne hi mil kar kiya tha lekin baad me ittefakan meri mulakaat sanstha se baahar maya se huyi. Main training period se hi uska diwana tha. Baahar jab ham log mile to dhire dhire hamare bich dosti huyi aur fir wo dosti prem sambandh me badal gayi joki sanstha ke rules ke khilaaf hi tha. Ham dono hi jaante the ki agar hamare prem samabndho ka pata sanstha ko chal gaya to anjaam bahut bhayanak hoga is liye hamne ek dusre se alag ho jane ka faisla kar liya tha. Uske baad maine kabhi maya ko nahi dekha tha. Kuch samay baad wahi kissa shuru ho gyaa jiske bare me maine abhi aap dono ko bataya hai."

"To fir maya se tumhari dusri mulakaat kaise huyi?" Dinesh ne utsukta se puchha.
"Bees saal baad jab main jail se riha ho kar baahar aaya." Maine kaha____"To mere liye ye duniya nihayat hi ajnabi ho gayi thi. Bees saalo me delhi shahar ki mukammal tasveer badal chuki thi. Sab kuch ekdam se naya tha mere liye. Shahar ki badli huyi tasveer ko dekh kar main samajh gaya tha ki wakt ke sath agar ye sab badal gaya hai to zaahir hai ki wo log bhi badal gaye honge jo mere gunahgaar the. Maine socha ki pahle kisi aisi jagah apne rahne ka jugaad kiya jaye jaha rah kar main us sabke bare me tasalli se soch saku jo aane wale samay me mujhe karna tha. Ye to ittefaaq tha dinesh bhai ki jail se riha ho kar main bus dwara gaziabad aaya aur fir fir aapke auto me baith gaya. Aapse apne rahne ke liye jagah batane ko kaha aur aapne mujhe apne hi ghar me rahne ka prastaav de diya. Khair ye to rahi is ghar me pahuchne ki baat. Aapne puchha ki maya se dusri mulakaat kaise huyi to uska jawaab ye hai ki jab main yaha rahne laga to ek din maine socha ki ab aage ka kaam shuru kiya jaye. Is liye main delhi gaya aur fir isi tarah raat ke andhere me ek din main apne bangle me pahuch gaya."

Kahne ke sath hi maine un dono ko maya se mulakaat ka saara kissa bata diya. Unhe ye bhi bataya ki maya bhi sanstha ko chhod kar pichhle bees saalo se dusre desh me thi aur wahi par usne mere bete ko janm diya tha. Usi ne mujhe bataya ki uske sath kya kya hua aur fir kaise wo videsh pahuchi jaha par usne mere bete ko janm diya. Bees saalo baad jab use pata chala ki main jail se riha ho kar baahar aa gaya hu to wo mujhse milne yaha aayi thi. Wo usi din us bangle me pahuch gayi thi jis din main bangle me gaya tha. Us bangle me hi hamari mulakaat huyi aur tab se wo mere sath hi hai.

"Badi ashcharya janak kahani hai keshav bhai tumhari." Kuch palo ki khamoshi ke baad dinesh ne lambi saans kheench kar kaha____"Main to is sabke bare me kalpana bhi nahi kar sakta tha. Ye sab sun kar ab main ye soch soch kar hairaan hu ki tumne in bees saalo me kya kuch saha hai aur ab un logo se apna badla le rahe ho. Balki ye kahu to zyada behtar hoga ki apne badla lene wale maksad ke aakhiri padaav par pahuch gaye ho."

"To wo khatarnaak kaatil tum hi ho jiske bare me aksar tv me dikhaya jata hai?" Itni der se bhauchakki si baithi swati ne pahli baar muh khola_____"Aur jise police pagal kutte ki tarah dhoondhti fir rahi hai?"

"Police to sirf apni formality ada kar rahi hai bhabhi." Maine halke se muskura kar kaha____"Wo bhi mere dushmano ke kahne par. Warna aap khud sochiye ki itne samay baad bhi main police ke hath kaise nahi lag paaya? Sach to ye hai ki agar police waakayi me pagal kutte ki tarah mujhe khojti fir rahi hoti to yakeenan kisi na kisi din main uske hath lag hi jata."

"Y..ye kya kah rahe ho tum?" Dinesh ne hairaani se meri taraf dekha____"Tumhara matlab hai ki police imandaari se apna kaam nahi kar rahi hai?"

"Bilkul." Maine sir hilaya____"Police wale unke kahne par sirf formality ada kar rahe hain. Asal me mere dushman khud nahi chaahte ki main police ke hath lagu."

"K..kya matlab??" Dinesh ki khopdi manao hawa me udne lagi____"Bhala aisa kaise ho sakta hai? Mera matlab hai ki wo log bhala aisa kaise chaah sakte hain jabki unhe khud hi apni suraksha ka khayaal rakhte huye tumhe kisi bhi haal me pakadne ko kahna chahiye tha."

"Abhi aap samjhe nahi dinesh bhai." Maine muskurate huye kaha____"Asal me maamla sirf hatyaao ka ya mujhe pakadne bas ka hi nahi hai balki cms jaisi sanstha ke vajood ko safe rakhne ka bhi hai. Agar police mujhe pakdegi to police ko meri giraftaari ki khabar majburan media ko bhi deni padegi. Us surat me kisi na kisi tarah se mere dwara un logo ka asal bhed bhi khul sakta hai. Unka bhed khulega to cms jaisi sanstha ka naam bhi saamne aa jaayega aur uska naam saamne aaya to zaahir hai ki uske kaam bhi saamne aa jaayenge. Aap khud sochiye us sthitit me kya hoga? Jo log shahar ki aan baan shaan kahlaate hain unki izzat to sare bazaar lutegi hi sath me cms ka vajood bhi khatre me pad jaayega. Upar se agar jaanch ka hukum diya gaya to aise aise logo ka bhed bhi khul sakta hai jinke talluk cms jaisi sanstha se honge. Sochiye us surat me kya hoga.? Mera khayaal hai ki pura system hi nahi balki pura pradesh hi hil jaayega. Jane kitni hi high profile hastiyo ke chehro se naqaab hat jaayega aur ye bhi nishchit hi hai ki aise high profile log khud ko safe rakhne ke liye tabaahi bhi macha sakte hain."

"Hey bhagwan." Dinesh ashcharya se muh faad kar bol pada. Swati ke halak se to awaaz hi nahi nikal rahi thi. Uski aankhe to baahar hi aa jaane ko aatur ho gayi thi. Udhar dinesh ne kaha____"Itna bada jhamela hoga ham ta soche hi nahi rahe. Sach ta ya hai ki hamre dimaag ke battiye gul huyi gayi hai ye sab sun jaan ke."

"Sirf aapki hi batti gul nahi huyi hai dinesh bhai." Maine muskurate huye kaha____"Balki pure pradesh ki batti gul hai. Khair police bhale hi apni formality ada kar rahi hai lekin sanstha ke log gupt roop se meri khoj me abhi bhi lage huye hain. Yahi vajah hai ki main jab bhi baahar jata hu to bhesh badal kar apna huliya aisa bana leta hu jisse ki koi mujhe pahchaan hi na sake. Siraj ki beti minakshi ko apne kabje me sirf isi liye rakha hua hai taaki usse apne dushmano ke bare me chhoti se chhoti jankaari leta rahu."

Mere chup hote hi dring room me sannata chha gaya. Dinesh aur swati kisi aur hi duniya me khoye huye nazar aane lage the. Unki haalat ko main bakhubi samajh sakta tha. Kaha iske pahle wo mere bare me kaisi raay banaye huye the aur kaha ab mera sach jaan kar dono miya biwi ka dilo dimaag hi hil gaya tha.

"Main soch bhi nahi sakti thi ki seedhe saade nazar aane wale insaan ki sachchaayi aisi ho sakti hai." Swati ne lambi saans kheechte huye kaha____"Aur na hi ye soch sakti thi ki wahi seedha saada insaan itne logo ki hatyaye bhi kar sakta hai. Abhi tak to nahi lekin ye sab jaanne ke baad mujhe ab tumse dar lagne laga hai."

"Mujhse darne ki koi zarurat nahi hai bhabhi." Maine kaha_____"Main bhi aap logo ki tarah hi ek sadharan sa insaan hu. Wakt aur kismat ne jo kuch mere sath kiya hai usi ki vajah se aaj main aisa ban gaya hu. Dinesh bhai ko apna bada bhai maanta hu usi tarah aapko main bhabhi kahta hu aur waisa hi aapka sammaan bhi karta hu jaisa ki karna chahiye. Aap mujhse har tarah se badi hain is liye agar main koi galti karu to aap mujhe daant sakti hain, samjha sakti hain aur zarurat padne par meri pitaayi bhi kar sakti hain."

Meri baat sun kar dono miya biwi ke chehre par pahli baar raahat ke sath sath raunak ubharti nazar aayi. Dono ke hotho par halki muskaan bhi ubhar aayi thi. Idhar main dono ke chehro ko gaur se dekhte huye ye samajhne ki koshish karne laga tha ki meri baato se wo dono mut-maeen huye the ya nahi?

"Tumhare sath un logo ne jo kuch kiya tha wo sach me galat tha." Dinesh ne gahri saans le kar kaha____"Us sabka badla lene ke liye tum jo kar rahe ho uske bare me main samajh nahi pa raha hu ki wo kaha tak uchit hai. Maine suna hai ki saza dene wale se bada kashama kar dene wala hota hai. Tumne itne logo ki hatya ki hai to zaahir hai ki iska anjaam ek din tumhe bhi bura hi bhugatna padega aur agar kisi vajah se police se ya un logo se bach bhi gaye to kya tum kabhi apne jeewan me chain se ji paaoge? Itne logo ki hatyaao ka paap bojh ban kar kya tumhe sukh chain se jine dega?"

"Pichhle bees saal se wo log bhi to mere mata pita ka khoon kar ke aur mujhe jail me bhejwa kar aisho araam se ji hi rahe the na dinesh bhai." Maine kaha____"Kya kisi ne unse puchha ki itne saalo se wo kaise itna bada gunaah kar ke sukh chain se ji rahe hain? Sach to ye hai ki insaan chaahe jis bhi haal me rahe wo saala dukhi hi rahta hai. Arbo ki daulat aur har tarah ka aisho araam hote huye bhi insaan dukhi hi rahta hai aur chain se so nahi pata. Sawaal hai ki kyo...par shayad iska koi tark sangat jawaab nahi milega. Insaan ki yahi niyati hai aur yahi uski mansikta hai. Agar arbo ki daulat aur hazaaro tarah ke aisho araam ke baad bhi insaan dukhi hi hai to main aisi baato ko soch kar apne us maksad se pichhe kyo hatu jiske pura ho jane se mujhe yakeen hai ki meri rooh ko sukoon hi milega."

Meri baate sun kar dinesh kuch na bola. Swati bhi gahri soch me doobi nazar aayi. Kuch der ki khamoshi ke baad maine kaha_____"Khair chhodiye in sab baato ko. Main bas itna hi kahuga ki meri vajah se aap logo ko koi takleef nahi hogi aur na hi koi khatra ho sakta hai. Haan is sabke bavjood agar aap log chaahte hain ki main yaha se chala jaau to beshak main chala jaauga. Main bhi nahi chaahta ki aapke itne khubsurat pariwar par koi sankat aaye. Itne samay se main yaha tha, aap logo ne mujhe izzat di, mera khayaal rakha. Iske liye aap dono ka bahut bahut dhanyawaad. Jab tak saanse rahengi tab tak aap log yaad aayenge mujhe."

Meri baat sun kar jaha dinesh ke chehre par bechaini ke bhaav ubhar aaye wahi swati bhi kuch bechain aur pareshan nazar aane lagi thi.

"Meri ek khwaaish hai dinesh bhai." Maine dinesh ki taraf dekhte huye kaha____"Jaise poonam aapki beti hai waise hi main bhi use apni beti hi samajhta hu. Meri ichha hai ki uska chacha hone ke naate uske byaah me main bhi apni taraf se use koi uphaar du. Kripaya iske liye mujhe mana mat karna."

"Yaar keshav bhai." Dinesh ko pata nahi kya sujha ki wo jhat se uth kar mere paas aa gaya aur adheerta se bola_____"Main na bahut jazbaati aadmi hu. Tumhari kahani sun kar dil ko bahut takleef huyi. Tum apne badle ke liye jo kuch kar rahe ho wo bhale hi thoda hi sahi par galat ho lekin main bhi maanta hu ki insaan ko wahi karna chahiye jise karne se use shaanti mile. Rahi baat poonam ke byaah me use uphaar dene ki to tum shauk se do bhai. Wo bhi to tumhari hi beti hai. Mujhe to tumhari is baat se ye mahsoos kar ke khushi huyi ki itna kuch jhelne aur karne ke baad bhi tumhare andar ek achha insaan maujood hai."

"Dhanyawad dinesh bhai." Maine dinesh ke hath ko apne hatho me le kar adheerta se kaha_____"Bees saal baad jab main jail se baahar aaya to jeene ki koi chaah nahi thi, kyoki is duniya me mera apna koi tha hi nahi. Main us mansikta me tha jiske andar na koi ummid thi aur na hi kisi khushi ka ehsaas. Agar kuch tha to sirf badle ki bhaavna. Apne dushmano ko khatm karne ki bhaavna. Maine kabhi nahi socha tha ki upar wala mujhe wo dega jiska main kabhi tasavvur bhi nahi kar sakta tha. Sach hi to hai dinesh bhai, bhala main is baat ka tasavvur kaise kar sakta tha ki is duniya me mera koi apna ho sakta hai? Kisi apne ka tasavvur nahi kar sakta tha main lekin upar wale ne mujhe mere apno ke roop me maya se milaya aur maya ke dwara mere bete se. Itne saalo baad pahli baar maine apne andar khushi ke ehsaas ko mahsoos kiya tha. Jo zindagi bematlab aur berang si thi wahi zindagi ab jine ke kabil lagne lagi aur dil me jeene ki fir se ek nayi hasrat paida ho gayi."

"Bas ab kuch mat bolo keshav bhai." Meri aankho me tairte aansuo ko dekh dinesh ne bhaavuk ho kar kaha____"Tumhari kahani sunne ke baad main mahsoos kar sakta hu ki tum par kya guzri hai itne saalo me. Main dua karta hu ki aane wala samay tumhari zindagi ko khushiyo se bhar de."

Dinesh ne mujhe ekdam se gale laga liya to meri aankho ke tairte aansu anayaas hi chhalak gaye. Saamne sofe par baithi swati bhi aankho me aansu liye meri taraf dekhe ja rahi thi. Khair kuch der baad dinesh ne mujhe khud se alag kiya aur swati se mukhaatib ho kar kaha_____"Yaar kab tak bhookha rakhogi ham dono bhaiyo ko. Jaao jaldi se khane ki thaaliya saja kar le aao. Main aur keshav sath me hi baith kar khana khayenge."

Dinesh ki baat sun kar swati ke surkh hotho par muskaan ubhar aayi. Apne saadi ke pallu se wo apne aansu ponchhte huye uthi aur kitchen ki taraf badh gayi. Idhar dinesh ne mujhse kaha ki main bhi ja kar fresh ho aau uske baad sath me baith kar khana khayenge. Dinesh ki is baat par maine sir hilaya aur uth kar upar ki taraf badh gaya. Mere dilo dimaag me ab koi vichaar nahi rah gaya tha.

[][][][][]

"Tum dono yahi par ruko." Usne chalte chalte dono security guards se kaha____"Ham ye briefcase locker me rakh kar aate hain."

Security ke dono guards ne puri mustaidi se sir hilate huye Okay sir kaha. Ye alag baat hai ki wo bina unki taraf dhyaan diye ek taraf ko badhta chala gaya. Kuch hi der me wo ek kamre me daakhil ho gaya. Kamre ke andar daakhil hote hi usne andar se darwaze ki kundi laga di. Phir palat kar usne ek baar kamre ki bhaugolik sthit ka jaayja liya aur fir kamre ke right side diwaar par lage bade se aaytakaar sheeshe ke paas pahucha. Sheesha diwaar ke beecho bich laga hua tha aur uske niche utna hi bada desk bana hua tha. Lambi desk me total teen paani ke nalke lage huye the. Usne fauran hi hath me liye briefcase ko desk par rakha aur use unlock karne laga.

Briefcase ke andar kaafi saara samaan tha joki alag hi tarah ka lag raha tha. Usne ek ek kar kuch cheezo ko nikaal kar desk par rakh diya. Ek ausat kad wale packet ko khol kar usne kareene se tah kiye huye kapde nikale joki pant shirt the. Khaali packet ke upar hi usne unhe rakha aur fir jaldi jaldi apne jism par pahle se maujood coat paint ke sath sath shirt bhi utaarne laga. Jaldi hi usne un kapdo ko desk ke ek taraf rakha aur packet se nikaale gaye paint shirt pahanne laga. Kuch hi der me wo paint shirt pahan kar ready position me aa gaya. Uske baad usne briefcase se jo dusri cheeze nikaali thi unke dwara wo sheeshe me khud ke chehre ko dekhte huye apna make-up karne laga.

Kareeb pandrah minute baad uska chehra alag hi nazar aane laga tha. Ek chhote se packet se usne kuch aur cheeze nikaali jinme se ek ko le kar wo sheeshe ki taraf jhuka aur us patli spring jaisi cheez ko apni naak me badi sawdhaani se ghusa liya jisse uski naak kuch fuli huyi dikhne lagi. Uske baad usne waisi hi cheez ek aur us packet se nikaali aur use bhi naak ke dusre chhend me ghusa liya. Ab uski naak ke dono taraf ke bhaag thoda ubhre huye ya ye kahe ki thoda fule huye nazar aane lage. Ek dusre packet se kareene se cutting ki gayi moonchh nikaal kar us par usne thoda sa jell daala aur use halke se rub karne ke baad sheeshe me khud ko dekhte huye use apni halki moochho ke upar laga kar chipka liya. Moonchho ke lagne se ab uska chehra alag hi nazar aane laga tha. Uske baad usne waisi hi cutting ki gayi nakli daadhi par bhi jell laga kar chehre par laga liya. Kuch palo tak wo sheeshe me khud ko dekhta raha uske baad usne ek hath badha kar ek nalke ki toti ko chaalu kiya to usme se paani girne laga. Chullu me thoda sa paani le kar usne dono hatheliyo me barabar barabar milaya aur use apne sir ke baalo me kuch is tarike se malne laga taaki baalo me halka sa nami ya fir gilapan aa jaaye. Briefcase ke ek bhaag se usne ek badi si kanghi nikaali aur sir ke baalo ka hair style pahle ki apeksha dusre tarike se banane laga. Jaldi hi wo apne kaam se fursat ho gaya.

Sheeshe me apne badle huye huliye ko kuch der tak dekhne ke baad usne briefcase me saari cheeze waapas rakhi aur fir use le kar kamre ke attach bathroom me ghus gaya. Andar aane ke baad usne sabse pahle bathroom ka darwaza andar se band kiya aur fir wo aage badhte huye toilet sheet ke paas pahucha. Sir utha kar usne bathroom ki chhat ko dekha aur fir us toilet sheet par badi sawdhaani se chadh kar khada ho gaya. Upar ki chhat chaukod akaar ke frame jaisi thi jiska ek bhaag shayad apni jagah se hataya ja sakta tha. Ek hath se briefcase pakde usne dusre hath se us chaukod akaar ke hisse ko thoda sa zor de kar upar ki taraf push kiya to wo be-awaaz upar ho gaya. Us hisse ko sarka kar usne apne hath ko thoda aage badhaya. Kuch hi palo me jab uska hath waapas aaya to uske hath me ek blue colour ka bag tha. Usne us bag ko us whole se nikaal kar toilet ke flush box ke upar rakha aur fir briefcase ko us bag wali jagah par rakh diya. Chaukod wale hisse ko sahi jagah fit kar ke wo toilet sheet se niche utar aaya.

Bag ki chain khol kar usne uske andar maujood cheezo ko kuch der tak dekha uske baad chain band kar usne us bag ko apni peeth par taang liya. Bathroom ka darwaza khol kar wo baahar aa gaya. Kuch hi der me wo kamre se nikal kar dusri taraf ek chhoti si gallary se hote huye ek darwaze ke paas pahucha. Paint ki jeb se usne ek ajeeb si chaabhi nikaali aur darwaze par lage taale ko khol kar usne darwaze ko aahista se khola. Sir ko thoda sa baahar nikaal kar usne baahar dekha. Baahar shaam ka dhundhalka nazar aaya use aur sath hi kareeb paanch fit ki boundary wall bhi. Usne aas paas nazar ghumaayi aur darwaze se baahar aa kar usne fauran darwaze ko band kar diya. Aankho me lage mote lence wale chashme ko durust karte huye wo tezi se boundary ke paas aaya. Ek nazar usne fir se aas paas daali aur fir dono hatho se boundary ki upari satah ko thaam liya. Agle hi pal usne ek jump si li aur dono hatho par pura zor laga kar apne jism ko upar utha liya. Agle kuch hi palo me wo boundary ke upar aa kar dusri taraf jump kar gaya. Sadak par aa kar wo tez kadmo se ek taraf ko badhta chala ja raha tha.


✤༺༻✤

Update - 53
____________________




Main aur dinesh ne ek sath hi baith kar khana khaya. Is dauraan hamare bich sab kuch samaanya ho gaya tha. Dinesh ke hi puchhne par maine use bataya ki maine apna bangla bench diya hai aur usme se kuch paiso dwara yahi gaziabad me hi ek jagah flat le liya hai. Us flat me main apni biwi maya aur apne ek dushman ki beti minakshi ke sath rah raha hu. Maine unhe ye bhi bataya ki minakshi ke sath main kuch bhi galat nahi kar raha hu. Wo meri kaid se bhaag na jaye is liye maine use bandhak banaya hua hai. Jis din mera maksad pura ho jaayega us din main use azaad kar duga.

Dono miya biwi ab kyoki meri asaliyat se waakif ho chuke the is liye unki nazar me meri ek alag hi ahmiyat ho gayi thi. Ye alag baat hai ki swati ke chehre par kabhi kabhi mujhe nirasha ke se bhaav ubhar aate dikh jate the.

Khana khatm hua hi tha ki door bell baji. Swati ne ja kar darwaza khola to pata chala bachche apne school college se aa gaye the. Teeno bachcho ne mujhe dekhte hi namaste kiya aur fir wo andar ki taraf chale gaye. Idhar maine bhi dinesh bhai se jane ki ijazat maagi to usne kaha ki mujhe uske yaha se kamra khaali karne ki koi zarurat nahi hai lekin kyoki maine apne liye flat le liya hai to beshak main apne flat par rahu magar har roz mujhe uske ghar chaay pine ke liye aana padega.

Dinesh aur uski biwi swati ne apne bachcho ki kasam khaayi thi is liye ab mujhe unse kisi tarah ka khatra nahi tha aur idhar maine bhi unhe puri tarah aaswast kar diya tha ki unhe mujhse koi khatra nahi hai. Khair uske baad main aur dinesh sath hi baahar aa gaye. Dinesh apna auto le kar chala gaya aur main dusra auto khoj kar usme baith kar chalta bana. Dinesh ke kahne ke bavjood main uske auto me isi liye nahi baitha tha taaki ye ham dono ke liye hi safe rahe.

Jab main apne flat par pahucha to din dhalne laga tha. Maine dekha maya hamare bete se phone par baate karne me lagi huyi thi. Main aaya to usne phone mujhe pakda diya. Maine kuch der apne bete se baate ki. Uske baad main araam karne ke liye bed par let gaya. Main jaanta tha ki sanjay ki hatya ho jane se maamla pahle se kahi zyada garm ho jaayega jiske chalte shahar me sansani fail jayegi. Media wale aur pradesh ki janta ka bartaav bhi ugra ho sakta hai. Mujhe ehsaas tha ki har baar ki nakaami ke baad sambhav hai ki is maamle ko police se le kar CBI ke supurd kiya ja sakta hai. Bed par lete main yahi sab soch raha tha. Mere zahen me khayaal ubhra ki mujhe apne kaam ki speed badhaani hogi. Halaaki aisa karna behad hi khatarnaak saabit ho sakta tha lekin main ab wakt jaya nahi kar sakta tha. Maamla agar CBI ke hath laga to tafteesh ka daayra aur speed hi badh jaayegi, sath hi mera pakda jana bhi tay ho sakta hai. Is liye mere liye yahi behtar tha ki jitna jaldi ho sake apne dushmano ko khatm kar ke maya ke sath is desh se nikal jaau.

"Lagta hai gahre khayaalo me gum ho." Maya ki awaaz par mera dhyaan bhang hua to maine uski taraf dekha. Wo apne dono hatho me chaay ke cup liye bed ke paas hi khadi thi. Main utha to usne ek cup mujhe pakdaya aur dusra cup khud le kar wo bed par mere paas hi baith gayi.

"Sahi kaha." Maine lambi saans chhodte huye kaha____"Gahre khayaalo me hi khoya hua tha main. Soch raha tha ki sanjay ki hatya ki khabar failte hi ek baar fir se delhi shahar me sansani fail gayi hogi aur is sabke chalte media wale ek baar fir se police prashasan ko nikamma karaar degi."

"Wo to laajmi hai." Maya ne shaant bhaav se kaha____"Bhala media ya janta ko kya pata ki police prashasan ke nikamma hone ka raaz kya hai."

"Raaz to ek din khulega hi dear." Maine chaay ki ek chuski le kar kaha____"Lekin main chaahta hu ki usse pahle mera maksad pura ho jaaye aur ham dono yaha se nikal jaaye. Uske baad yaha kiske bare me kya pata chalega isse hame koi lena dena hi nahi rah jaayega. Dusre desh me ham ek nayi pahchaan ke sath zindagi jiyenge."

"Main bhi yahi soch rahi thi." Maya ne kaha____"Lekin lagta hai halaat hamari soch se kahi zyada bigad jaayenge. Agar aisa hua to ham dono ke liye mushkile badh jaayengi."

"Maine faisla kar liya hai." Maine spasth lahje me kaha____"Ab main wakt barbaad nahi karuga balki jitna jaldi ho sakega apne maksad ko pura karunga. Main jaanta hu ki isme jaan tak jane ka khatra hai lekin mujhe ye khatra mol lena hi padega. Agar ye maamla CBI ke hatho supurd kar diya gaya to mere liye har kadam par khatra paida ho jaayega aur mumkin hai ki main apne maksad me kamyaab bhi na ho paau. Is liye isse pahle ki case CBI ke hath me jaye mujhe jald se jald ye khel samaapt karna hoga."

"Kya aisa nahi ho sakta ki tum apne kadam ab yahi par rok lo?" Maya ne sahsa gambheer ho kar kaha_____"Main jaanti hu ki tumhara maksad pura huye bina tumhe shaanti nahi milegi aur na hi tumhare anusaar tumhare mata pita ki rooh ko shaanti milegi lekin wo bhi to upar se dekh hi rahe honge ki tum is wakt kin halaato me fanse huye ho? Kya wo ye chaahte honge ki unki rooh ko sukoon dene ke liye unka beta apni jaan hi gawa de? Mera khayaal hai aisa wo hargiz nahi chaah sakte. Duniya ke koi bhi mata pita aisa nahi chaahenge. Unki rooh ko sukoon dene ke liye itna hi bahut hai vikram. Meri baat maan lo aur ab yahi par ruk jaao. Hamari apni zindagi ke bare me socho jaan jise khud upar wale ne tohfe ki shakl me hame di hai. Hamari zindagi ka na sahi apne bete ke bare me socho. Us bete ke bare me jo pichhle bees saalo se apne pita ke pyaar ke liye taras raha hai."

"Tumhe kya lagta hai main kuch sochta hi nahi hu?" Maine gambheer bhaav se kaha____"Aree is seene me bahut kuch bhara hua hai maya. Main kisi ko dikhata nahi hu aur na hi mujhse apne andar ka haal baya karna aata hai magar yakeen maano is seene me jaha ek taraf dhadhakte huye shole bhadak rahe hain wahi dusri taraf jazbaato ka bhayankar sailaab bhi hilore le raha hai jise main badi mushkil se kaabu kiye huye hu. Tumse kahi zyada main ek nayi shuruaat ki hasrat rakhta hu. Apne bete ko apne kaleje se laga kar apne dil ke tufaan ko shaant karna chaahta hu. Is khel ko uske aakhiri anjaam ke paas la kar main usse mukar nahi sakta. Main ye bilkul bhi bardaast nahi kar sakta ki upar maujood mere dushmano ki aatmaaye mujhe haara hua khiladi samjhe aur mujh par hase. Itna hi nahi mera jo dushman zinda hai wo bhi mere bare me aisi hi raay bana le. Maine un sabko maut di hai to ab khud maut ke khauf se bhaag nahi sakta balki maut ke seene ko raundta hua apne aakhiri bache dushman ko bhi maut doonga. Mujhe apni koi parwaah nahi hai. Agar sach me mujhe maut aa gayi to sirf isi baat ka ranz rahega ki apne bete ko do pal ke liye apne kaleje se laga na saka."

Meri baate sun kar maya chakit bhaav se dekhti rah gayi mujhe. Uske chehre par hairaani ke alawa nirasha aur dukh ke bhaav ubhar aaye the. Maine chaay ke cup ko bed par rakh kar uske khubsurat chehre ko apni dono hatheliyo me liya aur fir pyaar se bola_____"Tumne mujhe mukammal mard banaya tha dear is liye is mard ko namard na banaao warna mera apna hi zameer mujhe chain se jeene nahi dega. Wo kahega ki aakhiri wakt me maine maut ke dar se apne aakhiri dushman ko zinda chhod diya. Yakeen karo dear, tumhara vikram itna kamzor nahi hai ki koi uske sath kuch kar dega. Tum dekhna, main apne aakhiri dushman ko mitti me mila kar bade shaan ke sath tumhari aankho ke saamne haazir ho jaaunga."

"Bahut ziddi ho tum." Maya ki aankho se aansu chhalak pade____"Kaise apne dil ko is tarah patthar bana lete ho tum?"

"Sach kahu to aisa sirf tumhare pyar ki hi vajah se mere liye sambhav hua hai." Maine uski aankho ke aansu saaf karte huye pyar se kaha____"Tumhare milne se pahle mere andar itna dridh sankalp nahi tha. Kyoki tab sirf ek hi soch thi ki ya to marunga ya fir mar jaauga. Jeene ki koi hasrat hi nahi thi. Aakhir kis ke liye jeeta main lekin jab tumse mulakaat huyi aur apne bete ke bare me pata chala to ek alag hi tarah ka ehsaas jaagrit ho gaya. Bas ek baar is sab se faarig ho jaau fir dekhna main khud hamari duniya ko khushiyo ke naye naye rango se bharne ki koshish me lag jaauga."

Maya kuch der tak mujhe dekhti rahi aur fir aage badh kar usne haule se mere hotho ko choom liya. Uske narm hotho ki chhuwan se mere samuche jism me jhurjhuri si daud gayi. Khair raat me hamne dono dinner kiya aur fir so gaye.

[][][][][][]

"Main tumse milna chaahta hu." Raat ke andhere me ek pedh ke peechhe chhupe khade ek saye ne mobile ko kaan se lagaye dheemi awaaz me kaha____"Yakeen maano main tumhe fansaane ke liye koi jaal nahi bun raha balki tumhare bhale ke liye hi tumse milna chaahta hu."

"..........!" Dusri taraf se kuch kaha gaya.
"Haan main samajh sakta hu." Saye ne pahle ki tarah hi dheeme swar me kaha_____"Lekin bharosa to karna hi padega tumhe. Main bhi to apni jaan ko khatre me daal kar baahar ghoom raha hu, ye jaante huye bhi ki jane kis taraf se tumhare roop me maut mujh par aa jhapte."

".................!" Udhar se fir kuch kaha gaya.
"Thik hai." Saaye ne gahri saans li_____"Agar tum aisa hi chaahte ho to yahi sahi. Maine to ye socha tha ki rubaru mil kar tasalli se baate hongi magar khair koi baat nahi. Waise ek baat hai jise jaanna tumhare liye zaruri hai. Sambhav hai ki tab shayad tumhe mujh bharosa ho."

"................!" Udhar se fir ek baar kuch kaha gaya jis par saaye ne dheeme swar me hi lekin apni awaaz ko khaas banate huye kuch der tak kuch kaha aur fir phone cut kar ke use paint ki pocket me daal liya.

[][][][][][][]

"Y...ye kya kah rahi hain aap??" Mobile phone ko apne kaan se lagaye gulfam ne chaunkte huye kaha_____"Tarun kal shaam se ghar nahi lauta?"

"Haan bhai sahab." Dusri taraf se saumya dukhi bhaav se kah rahi thi_____"Uski security me lage aadmiyo ne bataya ki wo kal shaam ko apne office se baahar hi nahi aaya. Jab kaafi samay guzar gaya to un logo ne usko khojna shuru kiya magar wo unhe office me hi kya balki puri company me hi kahi nahi mila."

"Badi hairatangez baat hai ye." Gulfam ne sochne wale andaz se kaha_____"Aakhir apni security walo ki aankho me dhool jhonk kar wo apne office se kaise gayab ho gaya hoga?"

"Main khud ye soch soch kar pareshan ho gayi hu bhai sahab." Saumya ne adheerta se kaha_____"Aur ab to mera dil ye soch soch kar baitha ja raha hai ki kahi wo vikram ke hath na lag gaya ho. Agar aisa hua to wo mere bete ko bhi maar daalega. Pati ko to kho hi chuki hu ab apne bete ko nahi khona chaahti main. Uske bachche anaath ho jaayenge bhai sahab. Bhagwan ke liye use khojiye aur bacha lijiye use."

Saumya rone lagi to gulfam ne use kisi tarah shaant kiya aur fir ashwasan de kar phone cut kar diya. Is wakt uske chehre par kuch zyada hi pareshani aur chinta ke bhaav ubhar aaye the. Usne kuch der socha aur fir mobile par kisi ko phone milane laga.

[][][][][][]

CMS ka head quarter....!
Ek lambe chaude haal me neem andhera tha jiske doosre chhor par sabse upar ek khaas kism ka singhasan rakha hua tha. Us singhasan me kaale kapdo me lipta hua bada hi rahasyamay insaan baitha hua tha. Kaale glubs me dhanke hath ki do ungliyo ke beech mota sa shigaar fansa hua tha jisme se halka dhua nikal raha tha. Haal ke daye baye kayi kursiya rakhi huyi thi jinme chaar kursiyo par insaani saaye baithe huye the. Un sabke jismo par bhi black colour ka libaas tha. Kaale nakaab se sirf unki aankhe hi chamak rahi thi.

"Halaat bahut bigad gaye hain sir." Daayi taraf ki kursi me baithe ek saaye ne apni khaas awaaz me kaha_____"Us vikram ki vajah se pure shahar me dahshat ka maahaul paida ho gaya hai jiske chalte media walo ne aisa hangama kiya hua hai ki baat upar tak pahuch gayi hai. Aise me agar government ne koi thos faisla liya to nateeja achha nahi hoga."

"Har news channel wale is case ko CBI ke supurd karne ki maang kar rahe hain sir." Doosre saaye ne kaha_____"Agar maamla CBI ke hath chala gaya to hamari sanstha ke vajood par bhi khatra paida ho jaayega."

"Aisa kuch nahi hoga." Singhasan par baithe rahasyamay shakhs ne apni ajeeb si awaaz me kaha____"Maana ki mahaul sansanikhej ho gaya hai aur media wale is maamle ko CBI ke hatho me dene ki maang kar rahe hain lekin ye sab itna asaan nahi hai. Government tab tak is case ko CBI ke surpurd nahi karegi jab tak iski ijazat ham khud na de."

Singhasan par baithe rahasyamay insaan ki ye baate sun kar nakaab ke andar chhupe chaaro ke chehro par hairat ke bhaav ubhar aaye. Kisi ke mukh se fauran koi alfaaz khaariz na ho saka.

"Agar aisa hai tab to achhi baat hai sir." Ek anya saaye ne kaha_____"Lekin vikram jaise sirfire insana ka koi bharosa nahi hai. Wo hamari sanstha ke liye bahut bada khatra hai. Minakshi ke dwara usne jaan liya hoga ki hamari sanstha ka head quarter kaha par hai, is liye wo kabhi bhi yaha aa kar tabaahi macha sakta hai."

"Wo kuch nahi kar sakega." Rahasyamay shakh ki ajeeb awaaz hall me goonji____"Ab tak usne jo kuch kiya hai wo sab hamari nazro me raha hai. Yu samjho ki hamne uske dwara badi asaani se aisa hone diya hai. Abhi to wo yahi samajh raha hai ki wo bahut bada khaleefa hai jise ab tak koi pakad hi nahi paaya hai. Jabki wo moorkh to ye kalpana bhi nahi kar sakta ki ham jab chaahe tab use badi asaani se pakad sakte hain."

"Y...ye aap kya kah rahe hain sir?" Hall me baithe baaki chaaro ne buri tarah chaukte huye kaha tha_____"Agar aap sach me use pakad sakte hain to ab tak use pakda kyo nahi? Kyo use hamare agents ki is tarah hatya karne di?"

"Wo sab is sanstha ke kachra the tripple ex." Rahasyamay shakhs ne kaha____"Aur is sanstha ke sir dard bhi. Is liye unka is tarah se safaya ho jana behtar tha."

Rahasyamay saye ki ye baate sun kar baaki chaaro ke mukh se koi bol na foota. Nakaab se jhaankti aankho me ashcharya ka sagar hilore leta hua dikh raha tha. Fir jaise unhe hosh aaya to chaaro ne ek dusre ki taraf dekha aur fir singhasan me baithe cms ke chief ko dekhne lage.

"Baaki kisi baat ki chinta karne ki koi zarurat nahi hai tum logo ko." Hall me chief ki rahasyamay awaaz goonji_____"Filhaal ek nayi problem khadi ho gayi hai jisko jald se jald niptana zaruri hai."

"K..kaisi problem sir?" Chaaro me se ek ne puchha.
"Hame khabar mili hai ki agent 015 yaani ki tarun achanak se gayab ho gaya hai." Chief ne kaha____"Hamne uske jism me maujood chip ke jariye uski location pata karne ki koshish ki thi magar koi faayda nahi hua. Hamare agents ko wo chip to mil gayi hai lekin wo khud nahi mila."

"Iska to ek hi matlab ho sakta hai sir." Dusre saaye ne kaha____"Ki wo vikram ke hath lag gaya hoga. Vikram ne abhi tak aisa hi to kiya hai. Hamare jis agent ko bhi usne pakda hai to usne sabse pahle uske jism se wo chip hi nikaali thi."

"Bevkoofo jaisi baate mat karo." Hall me chief ki gurrahat bhari awaaz goonji____"Mana ki vikram ne ab tak aisa hi kiya hai lekin is baar aisa nahi hua hai."

"S...sorry sir." Us saye ne hadbada kar kaha____"L..lekin agar aisa nahi hua to fir kaise tarun gayab ho gaya? Baat kuch samajh me nahi aayi sir?"

"Jaisa ki hamne tum logo ko bataya ki vikram par hamari nazar hai aur ham jab chaahe usko pakad sakte hain." Chief ne kaha____"Kahne ka matlab ye ki wo jo bhi karta hai wo sab hamari nazar me hota hai magar tarun ko usne gayab nahi kiya hai aur na hi wo uske hath laga hai. Hame lagta hai ki tarun ke gayab hone ke pichhe koi aisi vajah hai jise sochna aur samajhna behad zaruri hai."

"Hamare liye kya hukum hai sir?" Ek anya saaye ne sanjeeda bhaav se puchha.
"Tum log use khojne ke liye apne sabhi sources ka use karo." Chief ne kaha____"Aur sath hi use jald se jald khoj kar hamare saamne haazir karo."

Chaaro ne adab se sir nawaya aur palat kar hall se baahar nikal gaye. Singhasan par baithe chief ne bujh gaye shigaar ko lighter se jalaya aur uska gahra gahra kash lene laga.



✤༺༻✤
 

TheBlackBlood

αlѵíժα
Supreme
78,222
113,744
354
TheBlackBlood Shubham Bhai,

Sabse pehle to aazadi chhin jaane ki Hard-Dick Shubhkamnaye...............

Personal life first priority he Bhai............. samay to nikalana hi padega ho aapko Honeymoon ke baad..............

Aasha he jald hi mulaqat hogi
Bilkul Bhai, samay to yakeenan nikaalna hi padega kyoki yaha aap sabse lagaav bhi hai aur likhne ki hasrat bhi. Ye zarur hai ki life me byastata aur bhi zyada ho jaayegi but time nikaalne ki koshish jaari rahegi :hug:
 
Top