Sanju
Well-Known Member
- 4,363
- 7,886
- 158
Besabri se intazar hai bhai update kaUpdate Likh Raha Hu..Complete Hote Hi Post Karunga.

Nice update broSAAND
UPDATE- 176
Thodi er baad ganga mousi aur baki sabhi ladkiya bhi andar aa gayi aur baate karte huye so gayi…subah neend khulte hi ganga mousi ke dil me ghabrahat si hone lagi..to vah uth kar bahar aa gayi…vo iss ghabrahat ki vajah samajh nahi pa rahi thi…phir achanak hi use sadhana ka khyal aaya to usne varsha ko bula kar sadhana ko uthane ko kaha…thodi hi der me varsha kuch ghabrayi huyi bahar aayi.
Varsha (tension)—auntyyy..
Varsha ke baat karne ka lahza kuch aisa tha ki ganga mousi ka hath fauran hi apne dil par chala gaya…ankhe utha kar varsha ki taraf dekha to uske chehre par hawaiya udti nazar aayi.
Ab aage……
Ganga (ghabra kar)—kya hua varsha….?
Varsha—aunty, vo sadhana andar nahi hai….
Ganga (baukhala kar)—nahi hai, iska kya matlab hua…? Dekho yahi kahi hogi…?
Varsha—nahi hai…hamne sab jagah dekh liya..uska bag to yahi rakha hai…
Ganga (pareshan)—vo andar bhi nahi hai aur bahar bhi nahi hai to akhir ye ladki chali kaha gayi…? Varsha mera to dil baitha ja raha hai…
Ganga mousi turant varsha ke sath andar gayi..har cheez apne thikane par rakhi huyi thi…hairat ki baat to ye thi ki bistar par ek silwat tak nahi thi…aisa lagta tha jaise ki raat me iss bistar par koi soya hi nahi tha ya phir sone ke baad usne uth kar chadar ko theek kar diya ho..
Ganga mousi charo taraf nazar dauda kar dekhne lagi ki shayad kisi aur bistar me soyi huyi ho ya phir koi surag hi mil jaye… kahi nazar nahi aayi to uthate huye varsha ka pair achanak hi takiya se lag gaya jisse vo thoda aage fisal gayi.. takiya apni jagah se hatte hi uske niche ek kagaz rakha hua dikhayi diya..usne turant use utha kar dekha to hairan rah gayi..
Varsha (ghabrahat)—auntyyy
Ganga—kya hua…?
Varsha—ye sadhana ka letter…
Ganga (pareshan)—kya..kya likha hai usme…? Kaha hai meri bachchi…? Dikha mujhe..
Ganga mousi ne jaldi se varsha ke hath se vo kagaz chheen liya…ghabrate huye dhadakte dil ke sath usko padhne lagi…
“Pyari mousi, main ja rahi hu...kaha ja rahi hu, malum nahi..? .kis ke sath ja rahi hu, ye bhi malum nahi...?kab vapis aaungi, nahi janti….? lekin itna jarur janti hu ki main vapis aaungi….main apne sawalo ke jawab talash karne ja rahi hu… aap tab tak mere vapis loutne ka intazar kare...
Aapki,
Sadhana”
Letter padhte hi sab chakra gaye…ganga mousi ki to tension ki vajah se rulayi hi phoot padi..varsha ne turant guide ko bula kar sadhana ke gayab hone ke baare me bataya…guide ne bhi kuch samay tak aur logo ki madad se usko talash karne ki koshish ki kintu jab kahi pata nahi chala to usne police me complain karne ko kaha…phir sabhi log turant hi vaha se city ke liye rawana ho gaye.
Udhar raat me….
Sadhana andar aane ke baad apne bistar par let gayi jo ki jamin par hi bichha hua tha..thodi der me ganga mousi aur baki sab bhi aa kar let gaye aur aapas me kal ki planning karne lage kintu sadhana apne hi khyalo me khoyi huyi thi.
Sadhana ki zindagi ek paheli aur ek sir dard ban kar rah gayi thi…uski rahasyamay zindagi ab khud uske liye hi ek bojh lagne lagi thi..sadhana ne mann hi mann faisla kiya ki vo ab ek paheli ban kar nahi rahegi balki apni rahasyamay zindagi se jude sawalo ke jawab dhoondne khud jayegi..usne mann me soch liya ki ab vo khud hi apne maa baap, apne pariwar ka pata lagayegi aur usse bhi badi baat, use har roj aane wale inn bhayanak sapno ka kya raaz hai..? iska bhi pata lagayegi.
Apne baal khol kar ankhe band kar ke lete huye yahi sab sochne me vo magn thi..baate karte karte baki sabhi log gahri neend me so chuke the…charo tarah door door tak raat ka sannata phaila hua tha….raat ka bhi apna ek jadu hota hai.. uska apna hi ek akarsan hota hai….charo oar neerav shanti thi….kintu ye shanti aage aane wale kisi bhayanak toofan se pahle ki shanti thi.
Ye sab sochte huye achanak hi sadhana ki ankh lag gayi…abhi usko soye huye kuch hi samay hua tha ki tabhi achanak usne sapne me dekha ki vahi ullu aa kar uske seene par baitha hai…jiske karan ghabrahat me uski neend khul gayi.
Sadhana (mann me)—ohhh..ye to sapna tha…ye manhoos ullu to mere hi piche hath pair dho kar pad gaya hai…
Tabhi usko apne plan ki yaad aayi to usne ek nazar sab ki taraf dekha…sab iss samay gahri neend me the…usne turant hi ek kagaz par kuch likha aur use apne takiya ke niche rakh kar bistar ki chadar theek ki aur phir apna purse numa bag utha kar chup chap camp se bahar nikal gayi..jabki apna baki samaan vahi chhod diya.
Camp se bahar nikal kar vo charo taraf dekhne lagi ki kidhar jau…? Har taraf sirf ret hi ret thi...phir jane kya soch kar vo ek disha me badh chali....sadhana ne to yahi samajh liya tha ki use yaha se jate huye kisi ne nahi dekha kintu usko kaha malum tha ki camp me upar baitha ek ullu uski har gati vidhi ko taktaki lagaye dekh raha tha....sadhana ke vaha se jate hi usne uss camp ke saat chakkar lagaye aur phir vo bhi ek disha me phad phadate huye ud gaya.
Sadhana ka raat me nikalne ki main vajah ye thi ki din me ret bahut garam ho jati hai, jisse iss registan me din ke samay chalna bahut mushkil hai jabki raat me thandi rahti hai..isliye usne raat ka samay chuna.
Chandni raat me chalte huye sadhana ko darr bhi lag raha tha...ek to akeli ladki, upar se anjan aur sunsan jagah..jise na to apni manzil ka pata hai aur nahi raste ka...bas chale ja rahi thi.....vo camp se kafi dur nikal aayi thi...rabhi ek jagah kuch dekh kar uske pair khauf ke karan jam se gaye.
Manzar hi kuch aisa tha ki iss samay jo bhi dekh leta, uske dil me darr aur khauf paida ho jana lazimi hi tha...kyon ki kuch kadam ki doori par hi ek langda admi apni ek taang uthaye ret me naach raha tha.
Usko iss samay yaha aisi halat me dekhte hi sadhana ki darr aur khauf se cheekh nikalte nikalte rah gayi...usne aage dekha na piche turant dusri taraf daud laga di....usko aise bhagte dekh kar vo langda admi jor jor se hasne laga.
Langda Admi (haste huye)—hahahahaha....abhi se ghabra gayi....abhi to aage tere jeevan me bahut kathin waqt aane wala hai......agar abhi se hi itna ghabra jayegi to inn halato ka samna kaise karegi.... ? hahaha
Sadhana bina piche dekhe lagatar bhagti rahi girti, phir uth ke bhagne lagti....lekin registan me tez bhagna to door jaldi jaldi chalna bhi asaan nahi tha...phir usne himmat nahi hari....jab use laga ki ab vo uss langde admi ki pahuch se bahut door aa gayi hai to ek jagah ret me hi baith kar vo jor jor se hanfte huye apni tez chalti saanso aur ghabrahat ko control karne lagi....thandi ki vajah se uska poora sharir kaamp raha tha.
Aise hi vo raat bhar kabhi kuch der rukti aur phir uth ke chalne lagti...akhir jab subah huyi tab tak vo apne camp se 5-6 km door pahuch chuki thi...achcha hua ki raat me vo uss langde admi ko dekhne ke baad jis disha me bhagi thi vo city ki taraf tha...
Chalte chalte use kuch doori par ek gadi khadi dikhayi di...abhi subah jarur ho chuki thi lekin din ka prakash achchi tarah se nahi phaila tha....gadi ko dekh kar sadhana chounke bina na rah saki...phir bhi koutuhal vash vo jab karib pahuchi to ye dekh kar hairan rah gayi ki ye to police wale ki gadi hai.
Uske mann me sabse pahle yahi shanka huyi ki mere na milne par jarur ganga mousi ne police me mere gayab hone ki report likha di hogi...bas phir kya tha, ye vichar mann me aate hi vo turant vaha se bhi bhagne ke liye palti magar tabhi jaise usko kuch yaad aaya to fauran hadbadate huye gadi ki taraf mud gayi.
Uske aise hadbada kar mudne ki vajah gadi me kisi ka leta hona tha...sadhana turant gadi ki window ke paas ja kar uss shakhs ke chehre ko dekhne lagi aur phir anayas hi usko ek jhatka sa laga.
Sadhana (shocked)—arey..ye..to..vahi ladka hai....jiski sketch pujari dada ne banayi thi...aur isne hi to uss din mujhe jaipur me mall me unn gundo se bachaya tha.....lekin ye yaha kaise....vo bhi police ki gadi me.... ? kahi aisa to nahi ki police ne isko uss din jhagda karne ke jurm me arrest kar liya ho.... ? lekin tab bhi sawal to yahi hai ki ye yaha kaise pahucha.... ? kya karu, kuch samajh me nahi aa raha hai…? Mujhe apne sawalo par dhyan dena hoga, police ke lafde me padna theek nahi hai… main yaha se nikal leti hu…
Ye soch kar sadhana vaha se chalne lagi magar kuch kadam chalne ke baad uske pair apne aap hi ruk gaye….khadi ho kar vo vapis uss ladke ki taraf dekhne lagi.
Sadhana (mann me)—jaise jaise main isse door jati ja rahi hu to mujhe bechaini kyo ho rahi hai achanak…jaise uss din mall se nikalne ke baad ho rahi thi…? Kuch na kuch to iska mere sapno se sambandh avashya hai…tabhi to ye mujhe khwab me dikhta hai….ho sakta hai ki meri manzil tak pahuchne ka rasta yahi se nikalta ho….? Akhir isko mera naam bhi to pata hai..lekin kaise malum hua isko ki mera naam sadhana hai…?
Sadhana vapis gadi ke paas aa gayi aur ek nazar apne charo taraf ghumane ke baad usne car ka gate kholna chaha par vo andar se lock tha to bahar se hi khat khatane lagi…
Kafi der tak knock karne ke baad bhi jab uss ladke ke sharir me koi prati kriya nahi huyi to use kuch tension hone lagi.. sadhana ke hath pair kaamp rahe the thandi ke karan…muh se dhang se bola bhi nahi ja raha tha…daant kit kita rahe the
Jab andar se uss ladke ka koi jawab nahi mila aur na hi uske jism me koi halchal huyi to usne car ke baki darwaje check karne lagi ki shayad koi khula mil jaye…akhir uski mehnat rang layi…back side ka door bhitar se lock nahi tha…darwaja khol kar vo turant hi usme ghus gayi
Andar ghuste hi sharab ki smell aane lagi lekin utni jyada bhi nahi aa rahi thi…sadhana ne andar aate hi phir se use awaz laga kar uthane ki koshish karne lagi….magar uss ladke ke sharir me koi halchal hi nahi ho rahi thi.
(2035 Words)
Update abhi incomplete hai jise complete kar raha hu...update complete hote hi revise kar dunga.
Jab raat ko bacha rota hai to ma kehti hai ruk ja bete aanand bhai ka update aane wala hai phir story sunati huUpdate Likh Raha Hu..Complete Hote Hi Post Karunga.
Mast mast update broSAAND