• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAND

Status
Not open for further replies.

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,272
173
SAAND
UPDATE- 133

Fakkad—jab yeh kamra aur poora bunglow taiyar ho jayega to ek raat main iss kamre me gujarunga…subah din nikalte hi main bahar aaunga aur iss kamre ko lock kar dunga…iske darwaje ke handle par ek tabeez latka dunga aur iss tarah ye kamra hamesha ke liye band ho jayega.

Malik (hairan)—hamesha ke liye band ho jayega….?

Fakkad (kathor awaz me)—jee haan, hamesha ke liye band ho jayega..

Ab aage……

Malik (hairan)—ajib baat hai..! lekin aisa karne ke baad to kuch nahi hoga na…?

Fakkad—kuch nahi hoga…hamesha ke liye shanti ho jayegi..

Malik—lekin ye sab hai kya….?

Fakkad—jo bhi hai aapke samne hai…itne saalo se bhugat rahe ho, phir bhi puchte ho…?

Malik—mera to dimag hi kaam nahi kar raha hai..

Fakkad—ye duniya ek ajayab ghar hai…jo kuch main dekh raha hu, agar tum vo dekh loge to paglaye paglaye phiroge..aao ab chale yaha se.

Iss tarah uss fakkad ne kuch bhi na kah ke bahut kuch kah diya…uske jane ke kuch din baad bunglow malik vasudev ne himmat kar ke dubara kaam shuru karwa diya…double labour laga kar tezi se kaam hone laga…bunglow ready hote hi uss par paint karne ka kaam start kar diya..vasudev ne uss kamre me koi khidki nahi rakhi thi aur jab uss kamre me colour karne ka number aaya to usne uss fakkad ko bubara bulane gaya uske paas…to unhone vasudev ko ek choti shishi me kaale rang ka ek ghol pakda diya.

Fakkad—uss poore kamre me kala rang karwana hai….yaha tak ki chhat par bhi kala rang hoga…iss shishi ka pani uss rang me milwa dena…ek baat aur yaad rakhna ki paint ka kaam ek din me vo bhi suraj doobne se pahle hi har halat me khatam ho jana chahiye…rang hone ke baad darwaja band kar ke lock kar dena…uske baad koi bhi admi iss kamre me nahi jayega, tum bhi nahi….jab bunglow ka ye sab kaam ho jaye to mujhe bata dena…main raat me vahi rahunga.. samajh gaye meri baat.

Vasudev—ji bilkul…lekin iss shishi me kya hai…?

Fakkad—ye ullu ke kaleje ka pani hai….vaise isme ek cheez aur bhi milayi gayi hai…

Vasudev—kya….?

Fakkad—vah nahi bataya ja sakta..

Vasudev—jaisi apki marzi..

Vasudev vaha se lout kar uss fakkad baba ke nirdeshanushar apni dekhrekh me sabhi kaam vaise hi karwa diya…ab bunglow poori tarah se ready ho chuka tha…ye jankari usne uss fakkad ko de di.

Vo fakkad baba dubara aaya aur theek raat 12 baje uss kamre me dakhil hua…raat bhar vo uss kamre me hi raha aur phir subah hote hi bahar aaya…andar kamre me poori raat unhone kya kiya…kaise raat gujari…? Iske baare me usne kisi ko kuch nahi bataya.

Uss kamre se bahar nikalte hi uska darwaja band kar ke usme lock laga diya aur phir uske baad apni jeb se ek kale rang ka tabeez nikala aur uss kamre ke darwaje ke handle par uss tabeez ko latka diya…phir vasudev ko apne sath aane ka ishara kiya.

Fakkad—bhai vasudev ji, ek baat kahna chahta hu magar samajh me nahi aata ki kis tarah kahu…?

Vasudev (dhadakte dil se)—sab kushal to hai….?

Fakkad (mayus)—vasudev ji, hamne to bahut samjhaya..lekin vo mana hi nahi..

Vasudev—koun nahi mana…kya nahi mana….?

Fakkad (chintit)—vahi kamre wala..

Vasudev (tension)—aapne kya kaha aur usne kya nahi mana….?

Fakkad—vasudev ji, main janta hu ki aapne ye bunglow badi mehnat se banwaya hai…magar iss bunglow me rahna aap ko nasib nahi hoga….vah kaale kamre wala kabul karne ko hargij taiyar nahi hai…tumhe yeh bunglow kisi bhi kimat par bechna hoga….agar tumne iss bunglow me rahne ki jidd ki to sirf tabahi hogi…main bas itna hi bata sakta hu aur ye hona atal hai.

Fakkad—ek baat aur dhyan me rahe ki ye bunglow aise logo ko becha jaye jinka pariwar bahut chota ho…bachche to bilkul bhi na ho.

Vasudev (sir pakadte huye)—ajib shart hai..! phir kya fayda hua itna sab kuch karne ka…jab main iss bunglow me rah hi nahi sakta to…?

Fakkad—fayda ye hua ki tumhara ye bunglow bik jayega…dusri surat me ye bunglow ban hi nahi sakta tha…hamesha ke liye aise hi pada rahta jaise ki aaju baju ke plot pade huye hain…unn plots par bhi kabhi koi makaan nahi ban sakega.

Vasudev (ghabrate huye)—vo mere bhaiyo ke plot hain…aap kuch kijiye na..

Fakkad—main jo kuch kar sakta tha, kar diya…jo batana tha, bata diya…aage tum jano aur tumhara kaam…main chalta hu.

Vo fakkad itna kah kar vaha se chala gaya…lekin vasudev ka dil uss fakkad baba ki baato par vishwash nahi hua..usne socha ki iss fakkad ne hi kamre me koi bhoot ya pret ko band kar diya hoga, bhala uss kale kamre wale ko iss baat se kya lena dena ki bunglow me vasudev rah raha hai ya koi aur….uske rishtedaro ne bhi uski baat ka support kiya.

Aur iss tarah soch kar vasudev ne uss bunglow me rahne ka soch liya…apne iss bunglow ke liye usne naye furniture banwaya tha…sabse pahle usko shift kiya bunglow me…rooms me kaalin pahle hi bichhaye ja chuke the…furniture set karne ke baad bunglow ekdam jagmaga utha.

Lekin agle hi din jab vasudev aur samaan lekar aaya to bunglow me ghuste hi uska dimag hi ghoom gaya…har kamre me bichha kaalin aur beshkimti furniture koyle ki tarah kala ho chuka tha…aag lagi hone ke koi lakshan deewaro par ya darwaje khidkiyo par kahi bhi nazar nahi aa rahe the…lekin kaalin aur furniture jal kar koyla ho chuke the.

Jab jhatka laga to vasudev ko uss fakkad ki kahi huyi baat yaad aayi…usne galat nahi kaha tha ki vasudev ki jidd tabahi ko dawat degi aur aaj vasudev yeh tabahi apni ankho se dekh raha tha…usne turant kaan pakad kar bunglow bechne ka advertisement newspaper me de diya.

Yeh sashart ‘ad’ tumhare mousa amit ne padha to unhe dilchaspi jagi…unhone vasudev se contact kiya…shaam ko bunglow dekha jo ki behad khubsurat tha..unko pasand aa gaya…vasudev ne iss bunglow ke baare me amit se kuch nahi chhupaya…jo bhi uske sath hua tha, sab kuch bata diya.

Vasudev ki baato ko sun kar amit hairan rah gaya…amit ko hich kichate dekh vasudev ne uss fakkad baba ka pata bata diya..amit uss fakkad se milne gaye.

Amit ne fakkad ko bata diya ki vo kale kamre wale bunglow ko kharidna chahta hai…ye bhi bataya ki ghar me sirf hum dono miya biwi hi hain…fakkad ne amit ki baato ko sunne ke baad usko kharidne ki ijajat de di…

Fakkad ne amit ko vishwash dilaya ki vo nih sankoch ye bunglow kharid sakta hai..aur ye bhi kaha ki tum logo ko iss bunglow me koi nuksan ya taklif nahi hogi.

Iss tarah amit ne vasudev se ye bunglow kharid liya tha…iss bunglow me rahte huye hame kayi saal nikal gaye magar kabhi koi ghatna nahi huyi…hamne uss fakkad ki hidayto aur nirdesho par poora poora amal kiya tha…uss band kale kamre ke prati kabhi koi jigyasa ya dilchaspi nahi dikhayi thi aur na hi kabhi kisi aane jane wale ko uss kamre ke baare me bataya tha.

Vaise bhi vah kamra ek taraf hatkar sabse last me tha..bunglow ke piche taraf jane ke liye hi uss kamre ke samne se gujarna padta tha…bahar ka koi admi udhar jata nahi tha aur ghar ke logo ko pichle hisse me jana hota to bed room ka ek darwaja piche ki taraf khulta tha.

Naukrani maya ko bhi iss kamre ki haqiqat ka pata nahi tha…use bhi bas itna hi pata tha ki iss kamre me store room hai jisme toota phuta samaan pada hai…haan, amit ne ganga se koi baat nahi chhupayi thi.

Sadhna ko iss bunglow me aaye huye abhi ek hi saal hua tha…ganga ne uss kamre ke baare me sadhna ko kuch nahi bataya tha…use bhi bas utna hi pata tha jitna ki maya ko malum tha.

Lekin aaj, moujuda sansanikhej avishwashniya halat me jab sadhna ne ganga ko pujari dada ke diye huye lifafe me se nikle kagaz ko dikhaya aur kagaz par bane rekha chitro par ganga ki nazar padi to kuch pal ke liye vah kaamp kar rah gayi.

Sadhna, ganga mousi ke muh se iss bunglow aur uss kaale kamre ki kahani sun kar dahal uthi…kuch der tak sangeen khamoshi chhayi rahi…sadhna to jaise iss silsile par kuch kahte huye bhi darr rahi thi..ye khamoshi bhi ab uss par ek bojh ban gayi thi…ki tabhi darwaje par kisi ne bell baja kar iss khamoshi ko bhang kar diya.

Ganga—amit aa gaya…jao, ja kar darwaja kholo..

Sadhna—yeh unhone ghanti kyo bajayi hai…? Hamesha ki tarah gadi ka horn kyo nahi bajaya…?

Ganga (chounk kar)—ohh haan, tum theek kahti ho…..mayaaa..! jara dekh to koun aaya hai…?

Darwaje par amit hi tha…vah gado ko servicing ke liye garrage me chhod aaya tha...maya ne darwaja khola to amit bhitar aa gaya.

Amit—ganga aur sadhna, vapis aa gayi kya…?

Maya—ji sahab ji, vo to bahut pahle hi aa gayi thi.

Amit—tumhari badi mem saab kaha hain…?

Maya—apne kamre me.....badi gadbad ho gayi sahab ji..

Amit—kya hua maya.... ? sab kushal to hai na... ? aur sadhna kaha hai…?

Maya—sadhna mem saab bhi badi mem saab ke paas hi hain unke kamre me..

Amit jab upar sidhiyo ke paas pahucha to , vaha pinjada aur uske charo taraf phaila khoon dekh kar boukhala gaya.. phir uski nazar pinjde ke andar ullu par padi.

Amit (shocked)—ye sab kya hai….? Yeh pinjada kaha se aaya…? Aur...aur..iske andar ye koun sa pakshi hai... ? isko kisne mara…?

Maya—sahab ji..andar chale badi mem saab ke paas..

Amit jab ganga ke kamre me pahucha to unn dono ke chehro par hawaiya ud rahi thi…ganga bed par taang latkaye baithi thi aur sadhna unke kadmo me kaalin par…amit ja kar sadhna ke bagal me baith gaya.

Amit—ye bahar kya hua hai…? Yeh sab kya chakkar hai…? Ye mara hua pakshi…khoon…pinjada….?

Sadhna—mousa ji main batati hu….maya, tum kitchen me ja kar coffee bana lao ..

Maya—ji mem saab

Maya ke kitchen me jate hi sadhna ne poori kahani short cut me amit ko suna dali…yeh kahani sadhna ke khwab se shuru hoti thi…pahle usne apna khwab sunaya…uske baad pujari dada ke band lifafe ka jikra kiya…phir ek rahasyamay vyakti ke ullu ka pinjada de jane ki charcha ki….phir ye bataya ki uss lifafe se kya nikla….uske baad ullu ke khoon ki kahani sunayi aur yeh bataya ki ullu ke khoon se sane kadmo ke nishan kaha ja kar khatam huye hain.

Ye sunte hi amit ke hosh ud gaye….

Kuch hi ghanto me baat kaha se kaha pahuch gayi thi…amit ko inn ghatnao ki jyada chinta nahi thi…lekin yeh baat kaale kamre par khatam ho rahi thi…sabse jyada chinta aur khauf ki baat yahi thi.

Ye bunglow kharide huye unhe saat aath saal ho chuke the…aur abhi tak khauf paida karne wali kabhi koi ghatna unke sath nahi huyi thi…haqiqat ye thi ki kaale kamre aur usse judi kahani ko vo log bhool hi chuke the.

Balki amit to kabhi kabhi sochta tha ki pahle wala makaan malik jarur vahmi aur andh vishwashi shakhs tha jisne ki bina vajah hi darr kar ye bunglow usko itne saste daamo me bech diya..

Lekin..ab….? ab sadhna ki iss avishwashniya, hosh uda dene wali kahani ne uske hosh sach much me hi uda diye the.

(2109 words)

Ek baar phir se sabhi ke doubts clear kar du ki iss kahani me na to koi magic hai aur na hi kisi tarah ka koi horror.

Next Action Packed Hot Update Raat Mein.
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top