• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest SAAJAN

What do you Think About this Story...??

  • Good

    Votes: 84 26.3%
  • Better

    Votes: 25 7.8%
  • Best

    Votes: 201 63.0%
  • Bad

    Votes: 2 0.6%
  • Worse

    Votes: 0 0.0%
  • Worst

    Votes: 7 2.2%

  • Total voters
    319
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Rohan008

Active Member
883
2,603
158
SAAJAN
UPDATE- 279

Avdhesh—chahe jo bhi ho, par barish se bachne ke liye kahi chhupna to padega hi…to yahi sahi..

Mrinal—yaha badbu kitni aa rahi hai…? (veer ki taraf dekh kar)…ye chota balatkari, kahi ye gandi hawa tu to nahi phaila raha hai…?

Veer—chup kar pagal…kuch bhi bina soche bol deti hai..

Abhi ye sab baate kar hi rahe the ki tabhi andar se kuch khatpat ki awaz aayi aur phir achanak…..

Ab aage…….

Phir achanak koi andar se nikal kar bahar aaya...uske bahar aate hi ek tez durgandh vaha ke vatavaran me phail gayi...badbu itni jyada ho gayi thi ki sab ko ulti karne ka mann hone laga...

Mamta—beta, chal yaha se jaldi…nahi to khaya piya sab bahar aa jayega..

Hum sab vapis mude hi the ki vo shakhs hamare aage aa kar khada ho gaya…aur phir dekhte hi dekhte usne bhayanak roop dharan kar liya jisko dekh kar sab darne lag gaye…iss tarah ki ye pahli ghatna unke samne aayi thi to darna lazimi hi tha.

Mitaly (darte huye)—ye…ye..kya bala hai…?

Shakhs (darawani awaz)—hahahahaha….aao..iss ghar me chalo….hahahaha

Veer—koun ho tum aur hamara rasta kyo roka tumne….?

Shakhs—hahahaha…..mujhe bhukh lagi hai aur tum sab ko araam karna hai….tum sab yaha araam karo, main tum sab ko kha kar apni bhukh shant karunga..

Ye kah ke usne sab ko pakadne ke liye apne bade bade hath aage badhaye hi the ki tabhi maine aage badh kar uska hath pakad liya aur jor se ghuma kar usko door phenk diya…vo na jane andhere me kaha ja kar gira.

Raj—ab chalo yaha se jaldi…kahi bhi rukna khatarnak hai..

Pooja (ghabrate huye)—bhaiya..chalo hum vapis mahal hi lout chalte hain…

Payal—ab hum yaha se vapis nahi ja sakte….ek bar vrihadpur ki seema me jo ghus gaya vo vapis nahi lout sakta jivit..isliye chupchap chalte raho..

Roopaly—kyaaaa…vapis nahi ja sakte…? Tab to pakka marna likha hai ab..

Payal—mere raj ke hote huye kisi ko darne ki jarurat nahi hai..

Hum vaha se jaldi jaldi aage badh chale…bahut ghani kali andheri raat thi,,hath ko hath nahi sujh raha tha…aasmaan me ghane kaale baadal ab bhi chhaye huye the, lekin barish kuch kam jarur ho gayi thi ab tak….bahut tez hawaye chal rahi thi…door door tak andhera sapaat maidan tha…unme ikka dukka ped bhayanak lag rahe the.

Kachchi sadak ki dhool ke sath ped ke sukhe patte darawani sarsarahat ke sath udte chale ja rahe the…tez hawa se udte apne kapdo ko sabne dono hatho se thaam rakha tha..iss andhakar me vo ankhe phade vo ye samajhne ki koshish me the ki akhir vo kaha hain lekin dimag par bahut jor dene par bhi kuch bhi samajh nahi aa raha tha.

Madhu—raj, ye itna bhayanak saand tha koun…..?

Raj—vo ek jinn tha.

Sab (hairan)—kyaaaa….jinn tha…..?

Geeta—lekin maine to tv me jiase jinn dekhe the ..ye to vaisa bilkul nahi tha…kitna bhayanak tha ye..badbudar…

Raj--Jinn paanch tarah ke hote hain…alag alag prakar ke jinn alag alag shaktiyo ko rakhte hain aur apni shaktiyo ke bal par insano ki naak me dum kar dete hain.

Chandni—paanch tarah ke koun koun se jinn hote hain….?

Raj—(Pahla Mareed Jinn)…mareed jinn duniya ke sabse khatarnak jinn hote hain…kisse aur kahaniyo me aksar inka jikra milta hai…aladin ka chirag me bhi yahi jinn ka jira kiya gaya hai…ye jinn adhiktar samudra ya phir khule pani me paye jate hain.

(Dusra Ifreet Jinn)….Insaani duniya ki tarah hi ifreet jinn bhi apni ek alag duniya rakhte hain…jisme ye mahila aur purush ke roop me samaan jode me rahte hain…ye jinn insano ke vichar samajhne ki taqat rakhte hain aur bahut hi jald unhe apna dost bana lete hain…insano ko ye pata bhi nahi chalta ki unka dost ek jinn hai…ifreet jinn achche aur bure dono prakar ke ho sakte hain.

(Teesra Sila Jinn)….sila jinn sirf aur sirf ek mahila hi ho sakti hain….kisi mahila ki mrityu ke pashchat hi aise jinn astitva me aate hain…ye jinn bahut hi kam hote hain kintu mansik roop se ye bahut hi taqatwar aur majboot hote hain.

(Choutha Ghool Jinn)…ye jinn kabristan ke aas paas dikhayi dete hain…ye jinn insani maans khate hain…ye bahut hi kroor hote hain..aur inki shakal shaitan se milti julti huyi hoti hai…insano ke liye ye bahut hi khatarnak siddh ho sakte hain.

(Paanchva Betaal Jinn)…ye jinn insano ka khoon peete hain aur jinda bhi insano ka khoon pi kar hi rahte hain…vikram betaal ki kahaniyo me bhi yahi betaal ka jikra milta hai….ye jinn past aur future dono dekh sakte hain.

Jinn bhi insani taur tarike se rahte hain, jaise ki shadi karna, bachche paida karna, marna..etc..kintu inki duniya insani duniya se bilkul alag hoti hai….jinn apne asli roop me bahut kam rahte hain…jinn adhiktar insani shakal me hi hote hain.

Jinn dharmik pushtako, dharmik jagaho, insani basti jaise ki gaon, kasba, city se door rahte hain…jinno ko sunsan jagah, khandhar jagah aur andhera pasand hai…ye inhi jagho par rahte hain.

Jinn insano ko poori tarah se prabhavit kar sakte hain…vo insani roop dhaaran kar ke unke jeevan me hastakshep kar sakte hain…jinno ki uttapatti bina dhunye ki aag se huyi hai.

Hum baate karte huye aage badhte ja rahe the magar har pal aisa prateet ho raha tha jaise ki koi hamare sath sath chal raha hai kintu dekhne par koi bhi dikhayi nahi deta tha….tabhi kisi ki cheekh se hum sab ka dhyan baato se hat gaya…ek khauf ki lahar sab ke mann me paida ho gayi.

Mamta (chounk kar)—ye …ye cheekh kis ki hai…?

Raj—pata nahi

Payal—raj..! Munni kaha rah gayi…?

Payal didi ki baat sunte hi hum sabhi chounk gaye….maine dekha to vah iss samay hamare sath nahi thi…maine sab se pucha to unhone apni anbhigyata jahir kar di.

Divya—ab kya kare…?

Roopa—kahi ye cheekh uski hi to nahi hai…?

Raj—chalo piche chal ke dekhte hain…

Hum vapis vaha se palat kar chalne lage..tabhi ek cheekh aur sunayi di jo ki dusri disha se aayi thi…to hum uss disha me hi aage badh chale…kuch door chalne par ek jhopdi nazar aayi….hum uss jhopdi me pahuch gaye ..vaha tak pahuchte hi achanak din jaisa ujala phail gaya…aur sabse badi ashcharya ki baat to ye thi ki mousam aisa ho gaya jaise ki kabhi barish huyi hi na ho…jabki abhi kuch der pahle tak yaha barish ho rahi thi…kintu ab sab kuch uske vipreet tha…ye dekh kar sab hairan rah gaye….uss jhopdi me ek ladki aur ek buddha admi tha. Iss sunsan aur shapit jagah par kisi insan ko dekh kar mera dimag chakra gaya…Shayad vah bimar tha..vo charpayi me leta hua tha..lekin jaise hi usne hame dekha to turant uth kar baith gaya.

Veer—baba, aapne idhar kisi aurat ko dekha hai…?

Buddha—nahi, maine to kisi ko nahi dekha...kaha thi vah... ?

Veer ne ghatna sthal ki taraf ishara kar ke poora mamla bataya to vah nirasha se sir hilane laga…magar mere dimag me abhi bhi inka yaha hona khatak raha tha.

Buddha—ab koi fayda nahi...ab tak jo hona tha...ho chuka hoga..

Paridhi (chounk kar)—kya matlab.... ?

Veer—kya aap jante hain ki vo aurat kaha aur kaisi halat me hogi... ?

Buddha—matlab ye hai ki yaha se khunkhar preto ki seema shuru hoti hai..unki seema ke andar ghusne par vo anjane logo ko pakad kar maar dalte hain ya phir unki bali chadha dete hain...tumhari vo sathi unke hatthe chadh gayi hai...achcha hoga ki tum sab yaha se vapis loutne ki koshish karo agar lout sakte ho to...warna tum sab bhi maare jaoge..

Uss buddhe ki baat sunte hi sab ghabra gayi...aur darne lagi..vo sab ab ummid lagaye meri taraf dekhne lage...magar maine unhe ishare se shant rahne ko kaha.

Veer—nahi..nahi..hum aise nahi jayenge...unn preto ka thikana kis taraf hai... ?

Buddha—doli beti...inhe jane ka rasta bata do..

Sab kuch bada ajib sa lag raha tha..hathode ki tarah kayi prashna hamare dimag me thokre maar rahe the....iss sunsan aur shapit jagah me itni jawan ladki aur ye lachaar buddha kaise rah rahe the.. ? aur rah bhi rahe the to hum anjan logo ke sath apni jawan ladki ko kaise itni raat me bhej raha tha... ? sadme aur inn ajib ajib baato ke karan hamara dimag ghum raha tha aur kuch bhi samajh nahi aa raha tha.

Vo ladki uthi aur hame apne piche aane ka ishara kiya...hum sab uske piche piche chalne lage...raste me kuch kisi ko ghasit kar le jane ke nishan the..rasta uske aage se hi tha...

Uss ladki ke piche chalte chalte hum ek ghane jungle me pahuch gaye jaha andhera chhaya hua tha..uss nirjanta me halki halki hawa saany saany ki dhwani uttapann kar vatavaran ko aur bhi bhayanak bana rahi thi.

Ladki aage aage ja rahi thi aur hum kaante wali jhadiyo se bachte bachate huye nikal rahe the...kuch hi der me hum uss jagah par aa gaye lekin koi dikhayi nahi de raha tha.

Vah ladki jo abhi hamare sath thi..ab vo hamse bahut door dikhayi de rahi thi...vaha aas paas mitti, baans aur patthar ke kuch jhopdi type ghar bane huye the…tabhi..

Veer (chillate huye)—vo..rahi..voh...

Hamne veer ki nazaro ka picha kiya ki tabhi munni ek ped se dhadam se ham sab ke samne aa kar giri..jaise ki kisi ne usko phenka ho...hum sab uski taraf jhuke aur usko pukarne lage..uska chehra, sharir buri tarah se nocha hua tha...khoon se lathpath uska chehra behad darawana lag raha tha.

Jaise hi hamne use dekhna chaha ki vo jinda hai ya nahi..ki tabhi jaise hamare sharir me current daud gaya...vo ladki jo abhi itni door thi..ab vah hamare piche khadi khoon jama dene wale thande swar me baat kar rahi thi.

Ladki—mat chhuo use...warna maar diye jaoge tum sab..

Mamta (shocked)—hey bhagwan.. ! ye sab kya chakkar hai.. ? ye sab kya ho raha hai yaha... ? itni jyada door ladki ekdam piche kaise aa gayi…?

Maine munni ke seene me hath rakh kar dekha, tab tak uski dhadkane band ho chuki thi..vo mar chuki thi aur samne uski laash padi huyi thi…uski aisi halat dekh sabhi ki halat kharab ho gayi.

Ladki—mere mana karne ke baad bhi tum maane nahi....ab maroge tum sab..

Uss ladki ki baat sun kar sabne piche mud kar dekha to shocked ho gaye kyon ki vo ladki vaha se achanak hi gayab ho gayi thi.. ye dekhte hi sab darr gaye buri tarah se…

Chandni (chilla kar)—bhago yaha se….

Khoon jama dene wale nazare dekh kar vo bhagne ke liye jaise hi mude to unke samne unka rasta roke munni khadi thi…uski ankhe patthar jaisi chamak rahi thi aur chehra bahut darawana lag raha tha.

Uske sath sath uski hi tarah ke nuche sharir aur chehre wale, patthar jaisi ankho wale bahut se log khade the..samna ka rasta band dekh kar sab ghabrahat aur darr se dusri taraf bhagne lagi..maine unhe rukne ko kaha lekin sab itna adhik darr chuke the ki unhone meri baat ko ansuna kar diya…darr aur khauf poori tarah se unke upar haavi ho chuka tha…kewal divya, priyadarshini, mrinal, payal, paridhi, saloni, sandhya aur veer hi vaha se nahi bhage...sab ko bhagte dekh munni ne virendra mama ko daboch liya.

Ye dekh kar maine jaldi se mama ko pakad kar apni taraf khichne ki koshish ki lekin vo tas se mas nahi ho rahe the..udhar munni ka shikanja unki gardan par kasta hi ja raha tha...unn bhayanak chehre walo ka ghera bhi paas aata ja raha tha.

Veer—raj..ab kya kare... ?

Raj—tum sab ko bhagne se roko…inko main sambhalta hu..

Veer—theek hai..

Payal—rajj..jaldi se apni power ka use kar ke khatam kar do inhe…

Jab koi upaay nahi sujha to maine jor se ek dhakka munni ko mara jisse vo door ja giri...mama uski pakad se azad ho gaye jinhe payal didi ne jaldi se utha kar apne paas khich liya…lekin vo itna darr chuke the ki vo vaha se bhagne lage..hamne unko rokne ki koshish ki lekin vo nahi maane aur bhagte huye kisi patthar se takra kar gir pade..itne me 15-20 preto ne unhe dubara pakad liya…main unhe bachane ke liye kuch kar pata tab tak unhone mama ji ko cheer phad diya apne bade bade nakhuno se…ek ne divya ke upar jhapatta mara lekin usko hath lagate hi use itna tagda jhatka laga ki vo bahut door ja kar gira.

Raj (cheekh kar)—mama jiiii

Bada hi khaufnak manzar ho chuka tha vaha ka…mout sir par naach rahi thi…darr ke maare sab ka dil itni jor jor se dhadak raha tha ki jaise abhi nikal kar halak ke bahar aa jayega.

Udhar vo sab jase hi bhagne lage to samne se vahi bhayanak preto ki fauj apni taraf aate dekh kar cheekhte huye phir se vapis palat gaye..tab tak veer unke paas pahuch chuka tha….charo taraf se hum unse ghir chuke the.

Priyadarshini (mann me)—main kuch karu…?

Raj (mann me)—nahii…abhi nahi

Virendra mama aur munni ki mout se mera chehra gusse se tamtama gaya….maine ankhe band ki apni uss divya talwar ka smaran kiya…agle hi pal vo roshni bikherti huyi mere hatho me aa gayi…

Talwar ke hath me aate hi maine unn preto ko gajar muli ki tarah katna shuru kar diya…jitne vaha pret the utni hi sankhya me main unn sabke samne khada ho gaya…kshan bhar me hi vaha bhayanak cheekhe goonjne lagi aur phir sab kuch shant ho gaya. Itne saare raj dekh kar sab ashcharya chakit rah gaye…unme se kisi ko bhi vishwash nahi ho raha tha ki unki ankhe jo dekh rahi hain vo sach hai ya phir koi chamatkarik khwab…?

Unn sab preto ke khatam hote hi sab mere paas aa kar rone lagi…lekin unn preto ke khatam hote hi mousam phir badal gaya aur din ki jagah ghani andheri raat ho gayi…mere sabhi prati roop mujhme hi vileen ho gaye…mama ji ki mout se sab dukh me doob gaye the aur mera ye roop dekh kar hairan bhi the…aur bahut jyada dare huye bhi the.

Priyadarshini (shocked, mann me)—saajan ke paas ye koun si shakti hai…?

Mamta (shocked)—ye sab kya chamatkar tha beta…?

Raj—dhire dhire sab pata chal jayega maa…ab chalo yaha se jaldi…nahi to phir koi musibat aa jayegi..

Paridhi—ye sab bhayanak chehre wale koun the…?

Raj—pret

Avadhesh—lekin vo hum par hamla kyo kar rahe the..? aur ye achanak phir se raat kaise ho gayi…?

Raj—ye shapit jagah hai..yaha ka mousam kab badal jaye, kab din aur kab raat ho jaye, kuch kaha nahi ja sakta..

Neha—main samjhi nahi..

Raj--Mrit aatmaye phir se sharir dharan karne ke liye vyakul rahti hain…vo phir se sharir pane ke liye paglo ki tarah cheekhte chillate nazar aate hain…jivit avastha me jo vyakti jis sanskar aur vichar ka hota hai, marne ke baad ussi ke anusar aur ussi ke adhaar par adrishya lok me bhi paristhiti aur vatavaran ka nirman kar leta hai….itna hi nahi, ussi vichar aur sanskar ke anusar jivit vyakti sakriya mastisk ke gyan tantuo par apna prabhav daal kar unhe achche ya bure kamo ke liye prerit bhi kiya karte hain…aur unke madhyam se apni adhuri kamna ya vasna ko poora karte hain.

Agar sach kaha jaye to manav me vichar hi mukhya hain…vicharo ke anusar sanskar bante hain aur sanskar ke adhaar par jeevan ka nirman hota hai…marne ke baad achche vichar, aise sukhad aur anand dayak vatavaran ka nirman kar dete hain ki jinhe hum swarg kah sakte hain…jabki bure vicharo se klesh, yatna aur mansik kashto ka vatavaran taiyar hota hai, vahi nark hai.

Achche vichar aursanskar jeevan ko pane ka ek mulyavan avsar hai…iss avsar ke jariye jeevan paya bhi ja sakta hai aur khoya bhi ja sakta hai…manav jeevan kitna mulyavan aur mahatvapurna hai, ye tabhi samajh me aata hai, jab mar kar hum dono ko kho baithte hain.

chalte chalte akhir hum unn pahado ke nikat pahuch hi gaye jiske dusri taraf vo qila tha….mere hath me uss divya talwar ab bhi thi jiski roshni ke karan hame rasta dekhne me koi pareshani nahi ho rahi thi.

Unn pahado ko paar karne ke liye hamne apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi….

(3008 words)
bht hi behtareen bhai
lekin raj ko pta tha ye itni khatarnaak jagah h to sabko saath q laaya
or do logon ki mot ke baad raj ki credibility pe sawaal uth rhe h
hope ye sab maaya mile

brilliant update
keep rocking bhai :)
 
anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,506
173
SAAJAN
UPDATE- 215
5th Janam Ki Love Story Continues.....

Divya se baat kar ke mere mann ko bahut shanti mili…hum dono bahut samay tak ek dusre ki baaho me simte prem bhari baate karte rahe aur phir subah hone se pahle hi apni apni jagah par chale agle din phir milne ka vada kar ke.

Subah utne ke baad phir se main vivan rishi ke sath unke yagya ki suraksha karne ko tatpar ho gaya….main poori sajagta se yagya ki suraksha me laga hua tha ki tabhi achanak kisi adrishya shakti ne mere dwara banaye gaye suraksha kawach ko tod diya aur mujhe utha kar door phenk diya.

Ab aage……

Main uth kar apne charo taraf dekhne laga magar koi dikhayi nahi de raha tha kewal kisi ke jor jor se hasne ki awaz hi sunayi de rahi thi…main kuch samajh nahi pa raha tha ki ye koun hai…?

Jitu (chilla kar)—koun ho tum…? Jo iss tarah chhup kar hamla kar rahe ho…agar himmat hai to samne aao..

Phir agle hi pal mere samne ek daityakar admi prakat ho gaya..jor jor se haste huye…main kuch samajh pata ki tabhi usne mujhe phir se utha kar phenk diya….ab ki bar main jhadiyo me ja kar gira jisse kafi chot aayi..kintu maine apne dard ki parwah na karte huye turant uth khada hua.

Ab vo daitya yagya sthal ki taraf badhne laga utpaat machane ke liye…ye dekh maine jaldi se apna dhanush sambhal kar uske samne aa khada hua.

Jitu (jor se)—vahi ruk ja dusht….koun hai tu…..?

"Koun rokega mujhe...tuuu.... ? hahahahaha.....bada hi dhith hai tu...phir se aa gaya mere samne....abhi to tere doodh ke daant bhi nahi toote bachche....ja bhag ja yaha se..warna mara jayega...hahahaha" usne bade hi ghamand ke sath kaha.

Jitu—mere rahte tum yagya ka viddhwansh nahi kar sakte..

‘’Lagta hai ki teri mout tujhe yaha khich layi hai, tabhi tu shamri se takrane ki soch raha hai bachche.’’ Usne apna naam batate huye dhamki di.

Usne mere upar aag ke gole phenkne shuru kar diye...to maine varunashtra ka prayog kar uski aag ko bujha diya....usne pani ki shakti ka prayog kiya to maine vayavyashtra ka prayog kar pani ko hawa me uda diya...apna pratyek vaar nisphal hote dekh vo kroadhit ho gaya.

Usne mere upar bade bade patthar phenkne shuru kar diye...ye dekh kar maine apne nukile teero se unn pattharo ko chur chur kar diya....gusse me aa kar usne burf ki shakti ka prayog kiya to maine aagneyashtra ka prayog kar uske dwara phenki gayi burf ko pani bana kar baha diya.

Shayad uske paas isse jyada shaktiya nahi thi...apni parajay hote dekh kar usne janwaro ki haddiya aur khoon yagya kund me phenkne ki phirak me lag gaya...ye jan kar maine ek baan chala kar uska ek hath aur phir dusre baan se uska dusra hath bhi kaat diya....aur uske baad ek ardh chandrakaar baan se uski gardan dhad se alag kar di...

Shamri—aaaaaaaaaaaa.....tu nahi bachega ab...aaaaaaaaaaa

Uske mrit sharir ko aagneyashtra ke prayog se jala diya…Uske marte hi phir aur koi bhi vyavdhan uss din nahi aaya yagya karne ke dauran...uss din ka anushthan safalta purvak sampann ho jane ke pashchat main vivan rishi ke sath vapis lout chala.

Divya mujhe anusuiya ke paas hi baithi huyi mil gayi sath me priyamvada bhi vahi thi...teeno ke chehro par chinta ke bhav the khas kar ke divya ke chehre par...vo mujhe le kar chintit thi...mujhe sahi salamat dekh kar uske dil ko santosh hua..lekin phir mere jism me chot ke nishan dekh kar vo pareshan ho gayi magar sab ke vaha hone ki vajah se kuch bol nahi pa rahi thi...jab ki anusuiya aaj mujhe dekh kar sharma rahi thi.

Vivan—putri, yuvraj ki chot par haldi aur chandan ka lep laga dena...main snan karne ja raha hu.

Anusuiya (meri taraf dekhte huye)—ji pita sri

Jitu—iski koi avashyakta nahi hai rishivar....apne maqsad ki purti ke liye main aaj gaon me ja kar vaha ke halaat ka jayza lena chahta hu...vaise bhi aaj ka yagya sampann ho hi chuka hai....subah apki seva me phir upasthit ho jaunga...mujhe jane ki agya de...maine yagya sthal ko suraksha kawach se surakshit kar diya hai

Vivan—jaise apki ichcha yuvraj..kintu kal subah apko yaha aana hoga... yagya ki raksha ke liye...

Jitu—avashya rishivar

Mere jane ki baat sun kar divya ghabra gayi...vaise bhi aaj vo din bhar se meri suraksha ko le kar chintit thi...maine usko ankho ke ishare se pushp vatika me aane ko kaha.

Priyamvada (dhire se)—dekh divya....tujhe tere saajan kuch ishara kar rahe hain...ja mil le...aur anusuiya bata rahi thi ki kal tune raat me gadbad ghotala kiya hai kuch... ?

Divya (tunak kar)—Maar Dalungi.. !

Main vaha se uth kar pushp vatika ki taraf chala gaya...lekin mera dhyan ek baat par jarur gaya vaha se chalte huye ki anusuiya ke chehre par ab achanak se kuch pareshani ke bhaav umad aaye the...khair maine uski taraf jyada dhyan nahi diya...pushp vatika me mere pahuchte hi thodi der me divya bhi aa gayi.

Divya—chalo pahle apne kapde utaro... ?

Jitu (chounk kar)—ye tum kya bol rahi ho…?

Divya—jaldi utaro na…mujhe lep lagana hai aap ke ghaavo par..

Jitu—achcha to ye baat hai…main to kuch aur hi samjha tha..

Divya—kitni chot lag gayi hai…raat me jana jaruri hai kya…?

Jitu—sabhi gaon wale mere upar hi apni ummid lagaye baithe hain …yuvraj hone ke naate unke dukh dard me shamil ho kar unhe door karna mera kartavya bhi hai.

Divya ne mere jakhmo par lep lagana shuru kar diya…uski komal ungliyo ke sparsh ke hsaas ne jaise mera dard apne aap hi kahi nadarad ho gaya…main uski jheel jaisi neeli gahri ankho me khota chala gaya.

“Tumhare Paas Aata Hu To Saanse Bheeg Jati Hain,
Mohabbat Itni Milti Hai Ki Ankhe Bheeg Jati Hain.”

Divya (seene se lag kar)—mujhe bhi sath me chalna hai…

Jitu—main kal subag phir lout aunga…tumse door rahna ab mere bas me nahi hai…main chah kar bhi tumse jyada samay tak door nahi rah sakta.

Divya—main to khud hi pagal hoti ja rahi hu…jane ye koun sa bandhan hai, kis janam ka rishta hai…jab samne aate ho to dil dhadakta hai aur jab door hote ho to dil tadapta hai..

"Chandni Chaand Karta Hai Aur Chamakna Sitaro Ko Padta Hai,
Mohabbat Ye Ankhe Karti Hain Aur Tadapna Dil Ko Padta Hai."

Kab hamare hoth ek dusre ke hotho se mil kar apne apne dil ki halat ka izhar karne me vyast ho gaye, pata nahi chala..hum ek dusre ko alingan me liye hotho ka amrit paan karne me vyast the magar iss dauran kisi ki do ankhe hamare iss chumban ki gawah thi...vo badi hi bechaini se hame ek dusre ko chumte huye chupchap dekh rahi thi..dekhte dekhte achanak hi uski ankhe anshuon se bheeg gayi to vah vaha se apni bhigi palko ke sath kuch sochte huye vaha se chali gayi.

Kafi der tak divya ke madhur hotho se madira paan karne ke pashchat main usse alag hua aur kal phir milne ka vada kar ke gaon vapis lout aaya...gaon me pahuchte hi maine apna bhesh badal kar ghumne chal diya...gaon ke andar pahuchte hi mujhe afra tafri ka mahoul dikhayi diya..log chillate huye udhar udhar bhag rahe the...mukhiya ke ghar samne bheed jama thi to main bhi vahi pahuch gaya.

Jitu—kya baat hai bhai..yaha itni bheed kyo jama hai... ?

Ek admi—kya kahe bhai..ab to iss gaon me rahna hi mushkil ho chuka hai...

Jitu—kyo aisa kya ho gaya…? Phir se koi gayab ho gaya kya…?

Admi—haan bhai

Jitu—koun…?

Admi—khud mukhiya ji hi aaj gayab ho gaye..

Jitu (jhatka)—kyaaaa….kab aur kaise…?

Admi—bas abhi kuch der hi huye….vo baith kar khana kha rahe the aur unki patni unhe vahi baith kar khana paros rahi thi.. tabhi hawa ka ek tez jhonka aaya, uss hawa ke jhonke me mukhiya ji ki ek dard bhari cheekh sunayi di aur jab ye hawa shant huyi to mukhiya ji apni jagah se gayab the…iss shapit jagah ne aaj ek aur insan ki bali le li.

Jitu (hairan)—kyaaaaa…?

Admi—hmmm bhai…meri mano to tum jaldi hi iss gaon se nikal jao…..ye ab logo ke rahne layak nahi rah gaya hai..yuvraj ne aane ka vada kiya tha kintu abhi tak nahi aaye..ab to unse hi ummid rah gayi hai..jane kab ayenge yuvraj..? kahi aisa na ho ki unke yaha pahuchne tak ye poora gaon hi ujad jaye…?

Ye sun kar main hairan rah gaya…maine turant vaha se nikal kar apne ghode par baitha aur jungle me uss kali pahadi ki taraf nikal gaya…ye soch kar ki shayad main mukhiya ji ka koi surag mil jaye..

Jitu (mann me)—mujhe jitna jaldi ho sake jungle ke andar pahuchna hoga…uss admi ke kahne ke anusar mukhiya ji ko gayab huye abhi kuch hi samay hua hai…ho sakta hai ki main unhe bacha lu aur asli gunahgar bhi pakad me aa jaye.

Raat jyada ho gayi thi magar mujhe fauran jungle ki taraf rawana hona pada kyon ki iss veeran se shapit jungle me shayad main hi sab ki madad kar sakta tha aur ye mera farz bhi tha.

Yaha rahte huye mukhiya ji se mere kafi achche sambandh ban chuke the, halanki unhone mujhe ab tak pahchana nahi tha…unke gayab hone ki khabar aur gayab hone ke tarike ko sun kar meri ruh kaamp gayi.

Main poori raftar se ghode ko bhagate huye akhir jungle tak pahuch hi gaya…magar jungle tak pahuchte hi ghoda akasmaat hi ruk gaya…maine kafi koshish ki usko jungle ke andar jane ki magar vo hinhina kar jungle ke andar jane se mana kar diya..usko vahi chhod kar maine jaise hi jungle me ghusne laga to usne mere kapde ko apne muh se pakad kar khichne aur inkaar me sir hilane laga…jaise ki vah mujhe bhi jungle ke bhitar jane se rokna chahta ho..?

Jitu—(ghode ke sir me hath pherte huye) tu mera yahi intazar kar…main abhi aata hu…mujhe kuch nahi hoga, tu chinta mat kar..

Ghode ne phir se inkaar me sir hila diya..vo mujhe jungle me jane se rokna chahta tha lekin maine kisi tarah apna daman uske muh se chhuda kar akhir jungle ke bhitar apna pahla kadam rakh hi diya.

Jungle ke andar pahla kadam rakhte hi aas maan me joro se bijli kadakne lagi …do char second ke liye jaise vaha bhukamp jaisa aaya.. vaha kijamin hil uthi aur phir sab kuch pahle jaisa shant ho gaya…main inn sanketo se anjan ho kar aage badhta gaya jo ki aage aane wale kisi bhayanak khatre ka sanket kar rahe the.

Jungle ke andar raat me bhatakte huye maine ek mashal jala kar hath me le li aur aage badhta chala gaya…chalte chalte achanak hi mera pair kisi cheez se takra kar niche girne laga magar jamin par girne se pahle hi maine ek hath niche jamin par tika diya..tabhi meri nazaro ko jo dikha vo dekhte hi main stabdh rah gaya.

Meri ankho ke samne kisi ki sir kati taazi lash padi huyi thi…usse kuch doori par uska kata hua sir pada hua tha…khade ho kar maine uss sir ko dekha to chounke bina nahi rah saka kyon ki ye sir mukhiya ji ka tha.

Vaha ja kar pata chala ki mukhiya ji ke sharir ke sath kitni barbarta barti gayi thi….unke poore sharir me gahre nakhuno se bane ghaav the….sir unka alag pada tha…ankhe noch li gayi thi…itni barbarta koi janwar hi kar sakta hai…mukhiya ji ki laash ke bagal me mujhe kisi janwar ke baal bhi dikhayi diye..isse to yahi sabit hota tha ki mukhiya ji ki hatya kisi janwar ne hi ki hai.. magar itni buri tarah se hatya…?

Ye kaam kisi janwar ka ho sakta hai, mujhe vishwash nahi ho raha tha…kyon ki jaha tak maine suna hai iss jungle ke baare me to iss jungle me na to koi sher hai aur na hi cheeta….phir koun sa yeh vichitra prani hai….?

*************

Vahi ek dusri jagah ek ladki kisi ki tasveer ko hatho me liye huye usse kuch baate kiye ja rahi thi..

"Mana Ki Kismat Par Mera Koi Jor Nahi,
Par Ye Sach Hai Ki Mohabbat Meri Kamjor Nahi,
Tere Dil Me, Teri Yaado Me Koi Aur Hai, Lekin,
Meri Har Saans Me Tere Siwa Koi Aur Nahi."

Next Big Suspense Clue & Story Turner Update Will Come Tonight.
 
Akil

Well-Known Member
3,219
8,797

Toh yuvraj ne rishiver ko abhi tak anusuya ke baare mein nahin bataaya....
Hmm toh woh ek maayavi nishachar tha jisne yuvraj ka kawach bhang kiya.... Par aakhirkaar jitu ke haathon maara gaya....
Par ab lagta hai ki yuvraj ko aur bhi zyada satarkata baratani hogi yagna ke dauraan....
Yuvraj ko dekhkar divya ka chintit hona toh samajh mein aata hai par......anusuya ka sharmana?
Woh do aankhen kiski hn jinhone yuvraj aur divya ko dekha ek saath? Kahin anusuya ya priyamvada toh nahin na?
Sarpanch ko kisne maara?
 
anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,506
173
Superb update anand bhai.....
Itne lambe time baad update mila ki kuch scene v bhulne laga hu. Ab ummaid hai ki regular update milte rahenge....
Thanks for Reading & Supporting.
Update ab daily ayega isme bhi
Stay with us.
Today's update is on page.....1375
 
  • Like
Reactions: MNSHKMR and Sabhi91
Status
Not open for further replies.
Top